WhatsApp par Peace Group me, ek Bhai ne ek video bheja, jo Rasoolullah SAWS ke Ilm e Ghaib ke mutallaq hai.
Source: WhatsApp Video dated Oct 2017 Mia Bhai Group
Bhejne Waale Bhai bhi Mashallah se Aalim e Deen hain, aur main Allah SWT se dua karta hoon ke wo aap ke ilm me barakat ata farmaye. Ameen. Aur main ummeed karta hoon ke bhai bhi zaati hamlay nahi karenge.
Ye Jo video aap ne bheja, Iss Ka shuru Ka hissa Jo hai jiss me Quran e Kareem ke hawale se aur Ahadith ke hawale se bataya Gaya ke kuch Ilm e ghaib Rasoolullah SAWS ko Diya Gaya, Iss me koi shak Nahi kyun ke ye Quran aur Hadith me bayan Kiya Gaya hai aur aap SAWS ko wahi ke zariye, ya ‘ilhaam’, ‘sacchay qaab’, ya ‘kashf’ ke zariye se, ya Farishta Haazir ho ker, wo baatein bata di jaati thi.
Lekin Iss video ke doosre hisse me Pir Sahab zyada Jazbaati ho Gaye aur Quran aur Hadith ke khilaaf baatein unn se Nikal gayee, inn Qurani Ayaat aur Ahadees ko main bayan karna chahta hoon:
1- Aye Nabi SAWS aap keh di jiye, zameen aur aasman ki koi cheez ko Ghaib (Ka Ilm) Nahi hai siway Allah SWT ke, aur Inn ko shaoor Nahi ke ye kab utthata jayenge (Surah An Naml, Surah 27: Ayat 65)
2- Aur Uss (Allah) ke pass hi Ghaib ki kunjiyan hai, Allah ke siway (Inn Ghaib ki Kunjiyon) Ka Ilm Kisi ke pass Nahi, aur wo jaanta hai Jo zameen mein hai aur wo Jo samandar mein, koi patta Nahi girta aur wo Allah SWT jaanta hai, koi zarra zameen ke andheron mein ho (ya uss ki gehrai mein), ya koi sabz cheez ho ya sukhi ye sab kuch ek roshan kitab me likha huwa hai (Surah Al An’am, Surah 6: Ayat 59)
3- Aur Rasoolullah SAWS ne Farmaya: ye Ghaib ki Kunjiyon ka zikr Surah Luqman me Allah SWT ne bayan kiya hai (Bukhari 4627):
Beshak Uss (Allah) hi ko Qiyamat ke aane ki ghadi (ya waqt) ka ilm hai, Aur wohi Barish barsaata hai, Aur Wo jaanta hai (Hamela ke) pet ki cheezon ko, Aur koi shaqs nahi jaanta ke wo kal kya (Rozi) kamayega, Aur koi shaqs nahi jaanta ke wo kiss sarzameen mein usse maut aayegi. Beshak Allah SWT Ilm wala aur khabardaar hai. (Surah Luqman, Surah 31: Ayat 34)
4- Masruq RA farmate hain ke unhone Ayesha RA se kaha: Aye Ummul Momineen! Kya Rasoolullah SAWS ne apne Rab ko Dekha? Ayesha RA ne farmaya “Tum jo sawal kar rahe ho, uss ki wajah se mere rongte khade ho gaye hain, (aur farmaya) ke Jaan lo, jiss kisi ne ye teen cheezon me se kisi ek ka bhi zikr karega wo jhoota hai:
a- Jiss kisi ne kaha ke Rasoolullah SAWS ne apne Rab ko dekha wo Jhoota hai, phir aap ne ye ayaat qirat ki:
– Nigahein Uss (Allah) ka idraak (dekh) nahi kar saktien aur wo (Allah) nigahon ka idraak kar sakta hai (yani nigahein jo dekhti hai wo bhi Allah dekh sakta hai)…(Surah Al An’am, Surah 6: Ayat 103)
– Aur kisi aadmi ke liye ye mumkin nahi ke wo Allah se baat kare, magar Wahi ke zariye se ya parde ke peeche se… (Surah Ash Shu’ara, Surah 42, Ayat 51)
b- Aisha RA ne aagay farmaya: Jiss kisi ne kaha ke Rasoolullah SAWS ko ye ilm tha ke kal kya hone wala hai, wo jhoota hai, aap ne Surah Luqman ki Ayat 34 qirat ki.
c- Phir Aap RA ne farmaya: Jiss kisi ne kaha ke Rasoolullah SAWS ne Allah SWT ke kisi hukm ko chhupaya hai, wo jhoota hai, phir aap ne ye ayat qirat ki:
Aye Nabi SAWS, jo kuch aap ke Rab ki taraf se naazil huwa hai wo sab kuch logon tak pahuncha do aur agar aisa na kiya to aapne (Allah) ka paigham pahunchane me qasir rahe (yani you did not fulfil your duty)… (Surah Al Maidah, Surah 5: Ayat 67)
5- Anas RA se riwayat hai ke: Rasoolullah SAWS ne farmaya: Ruku aur Sujood sahih tareeqe se karo, Allah ki Qasam mujhe peeth ke peeche bhi dikhta hai, jab tum Ruku aur Sujood karte ho. (Sunan an-Nasai 1117)
Conclusion
To hamay Quran aur Hadith se ye pata chalta hai ke Rasoolullah (SAWS) ko Ilm-e-ghaib diya gaya tha jitna Allah ne chaha aur jo Allah (SWT) ne nahi chaha wo Ilm-e-ghaib nahi diya gaya, jitna bhi ilm-e-ghaib diya gaya uska aksar aur beshtar hissa ummat ki rehnumai, ummat ki bhalai aur behtari ke liye hi hai, jis mein wo sari ahadith shamil hain ke qayamat ke khareeb honay walay waqiat ko bayan karti hain,
Bahrahaal, Rasoolullah (SAWS) ko ilm-e-ghaib tha, utna hi jitna ke Allah (SWT) ne chaha, agar nahi bhi hota to – issay Aap (SAWS) ki shaan mein koi farakh nahi aanay wala, Aap (SAWS) ki shaan in sab cheezon se buland wa bala hai.
Lekin iss ‘ilm-e-ghaib’ ke maslay ko lekar hum ba haisiyat-e-ummat-e-mohammadi (SAWS) aapas mein jhagda karein ye ghalat hai, Musalmaan iss baat ko le kar tafraqe me kyun padhein?
Wallahu Alam
Watch Further: