Seerat an Nabi (صلى الله عليه وسلم) Part 1

</p> <p>Seerat an Nabi (صلى الله عليه وسلم) Part 1 </p> <p>


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Aaj 24-Aug-2024 hai aur chand ki tareekh ke mutabiq 20-Safar ka din hai aur ye 1446 Hijri chal rahi hai, aur 10 din baqi hain Rabi al-Awwal ko shuru hone, jo hamare pyare Nabi ki paidaish aur inteqaal ka mahina hai. To Seerat-e-Nabawi (صلى الله عليه وسلم) ko bayan karne ka maukha hai, aur kyun ke, seerat ke bina Quran nahi samajh aati aur Quran ke bina seerat nahi samajh aati.

Sahih Muslim ki ek hadith me ata hai ke, amma Aisha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْها) se aap (صلى الله عليه وسلم) ke inteqaal ke baad aap ke akhlaaq, aap (صلى الله عليه وسلم) ke character ke baare me poocha gaya, to amma Aisha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْها) ne farmaya, kya tumne Quran nahi parrha? Qatada (رضي الله عنه) jis ne sawal kiya aur iss hadith ke rawi bhi hain, farmaya ke, Haan parrha hai. To iss par amma Aisha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْها) ne kaha “Khuluquhul Quran” aap (صلى الله عليه وسلم) ke akhlaaq, aap ka character “hoo-ba-hoo” Quran tha.[1]

To Seerat ka Dars dena, Dars-e-Quran ka hi hissa hai – to nabi ki seerat ko seekhne ki zaroorat hai, aaj jab ke hum Muhammadur Rasoolullah ko muhabbat karne ke daawe to bohot karte hain, unn ki shaan me gustaaqi ho jaye to ladne, maarne aur marne ko tayyar ho jaate hain, lekin aap ki seerat aur sunnat ko jaanne aur asal sunnaton par amal karne se door hain.

To kya Quran parrhne se saari ki saari seerat pata chal jayegi, jaisa ke hamare Ahle Quran bhai samajhte hain?

Aisa samajhna to himaqat ki baat hogi, islami tareekh yani islamic history aur seerat-e-Nabawi (صلى الله عليه وسلم) par be shumar kitabein hain, jab bhi koi seerat ki kitab parrho to aisa lagta hai ke, iss me se kuch naya seekha, ek naya angle Nabi (صلى الله عليه وسلم) ki zindagi ka samajh me aya, phir ahadith ki kitabein hain jo kaafi tafseel me Quran ko aur aap (صلى الله عليه وسلم) ki zindagi ko bayan karte hain.

To jab Quran ko parrhenge aur uss par amal karna shuru karenge, to seerat ko samajhne ki zaroorat pesh ayegi aur phir Quran aur Seerat kaise interlocked hai, ye pata chalega. Agar seerat ko tafseel me karne jayenge to uss ki gehrai bohot zyada hai, jaisa ke, Tafseer-e-Quran me gehrai hai, to seerat ko hum muqtasar taur par hi bayan karenge, lekin 2 saal pehle hum ek session me seerat ko cover kare thay, iss baar thodi aur tafseel me bayan karne ki koshish karenge, to ye 3 se 4 session me In Sha Allah poori hogi.

Introduction

Hamara seerat ka ye session, shuru hota hai Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) se jin ki aulaad me aap (صلى الله عليه وسلم) paida huwe. Martin Lings, jo baad me Abu Bakr Siraj ad-Deen kehlaye gaye, apni kitab Muhammad (صلى الله عليه وسلم) (his life based on earliest sources) me likhte hain ke: Shuru me Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki koi aulad nahi thi, ye mamela taqreeban 85 saal ki umar tak raha, aur unn ki biwi Sara (عَلَيْها ٱلسَّلَام) ne apni egyptian baandi ko diya, Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) se nikah karne ke liye, jin se Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ko pehla beta huwa, Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام).[2]

Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki Paidaish

Quran me, Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki paidaish ke baare me Surah as-Saffat me aata hai ke, Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ne dua ki ke, Aye mere paalne wale Malik! Mujhe ek saleh beta ata kar,[3] (Uss dua ke jawab me) Hum ne unn ko ek narm dil aur burd-baar ladke ki khush-khabri di.[4]

Sahih al-Bukhari me ata hai ke, Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) Bibi Hajirah (عَلَيْها ٱلسَّلَام) aur unn ke bette Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ko saath le kar Makkah me aaye, uss waqt abhi wo Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ko doodh pilaya karti thi.n, Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ne dono ko Kaba ke paas ek baday darakht ke paas bittha diya, jo uss jagah tha jahan ab zamzam hai, unn dino Makkah me koi insaan nahi tha aur iss liye wahan koi paani nahi tha. Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ne unn dono ko wahin chhorrh diya aur unn ke liye ek chamde ke thailay me khajoor aur ek mashk me pani rakh diya, aur wapas Phalasteen ki taraf chal paday.

  • Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki walida Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke peechay peechay aayee aur kaha ke, Aye Ibrahim! Iss khushk jungle me jahan koi bhi aadmi nahi aur koi bhi cheez maujood nahi hai, aap hume chhorrh kar kahan ja rahe hain?
  • Unhone kayee dafa, iss baat ko dohraya, lekin Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) unn ki taraf dekhtay nahi thay.
  • Aakhir, Hajirah (عَلَيْها ٱلسَّلَام) ne poochha, kya ye Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne aap ko iss kaam ka hukum diya hai?
  • Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ne jawab diya, Haan. Iss par Hajirah (عَلَيْها ٱلسَّلَام) ne kaha ke, phir Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) hamari hifazat karega, wo hum ko halak nahi karega.
  • Chunache, wo wapas aagayee aur Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) rawana ho gaye, aur jab wo thaniya pahadi par pahunche, jahan se wo dikhayee nahi dete thay, to Kaba ki taraf rukh karke dua ki, jahan wo apni biwi aur bachhe ko chhorrh aaye thay, jis ka zikr Surah Ibrahim ki 37wi ayat me aya hai ke, Aye mere paalne walay malik, mere Rabb! Main apni aulad ko iss banjar zameen me, jahan paani tak nahi hai, tere hurmat walay ghar ke paas chhorrh kar aya hoon, Aye Rabb takay ye namaz parrhe, Tu logon ke dilon ko aisa kar de ke, unn ki taraf jhuke rahay aur unn ko mewon se rozi de, aur takay wo tera shukr ada kare.[5]
  • Hadith lambi hai, lekin gharaz ye hai ke, yahan Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) apni walida ke sath rehne lagay, doosre Arab qabile, jaise Jurham yahan aa ker bas jaate hain, Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki shadi Jurham ke Qabilay ki ladki se hoti hai, aur unn ki aulad iss ilaqe me phail jaati hai.[6]

Ishaq (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki Paidaish

Phir Surah as-Saffat hi ki 112wi ayat me Ishaq (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki paidaish ka zikr hai, Allah (ربُّ الْعِزَّت) farmate hain ke, Aur Hum ne unn ko Ishaq (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki basharat di, ke wo Nabi aur nekukaaron me se honge,[7] Aur Hum ne unn par yani Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) par aur Ishaq (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) par barkatein nazil ki thi, aur unn dono ki aulad me se nekukaar bhi hain aur apne aap par khule taur par zulm karne walay bhi hain.[8]

Quran me deegar aur jagah par aata hai ke, jab ye khush-khabri Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ko di gayee, to Bibi Sara bhi sunn rahi thi aur wo hasne lagi ke iss umar me beta kaise hoga? Beher-haal Allah ka hukum jari huwa aur unhe beta hua aur unn se Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki doosri nasal chali jo Phalasteen ki sarzameen me rehne lagi.

Kaba ki Tameer, Makkah ka Abaad hona aur Aakhri Nabi ke liye Dua

Quran hi me, Surah al-Baqarah me ata hai ke, Allah ke hukum par Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) aur Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) Kabatullah ki tameer shuru karte hain,[9] Aur jab Ibrahim aur Ismail (عَلَيْهِم ٱلسَّلَام) Kabatullah ki buniyadein oonchi kar rahe thay, to dua karte jaate thay ke, Aye Hamare Rabb! Hum se ye khidmat qabool kar le, beshak tu sunnay wala aur jaanne wala hai.[10] Aur ye bhi ke, Aye Hamare paalne walay malik! Inn logon me, inhi me se ek Nabi aur Rasool ko Uttha, jo inhe teri ayaat parrh kar sunaye aur unhe kitab aur hikmat ki taleem de aur unn ko paak kare, yaqeenan tu hi zabar-dast hai, ghalib hai aur hikmat wala hai.[11]

To ye Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) aur Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki dua’on ka nateeja tha ke, Kabatullah hajiyon se aabaad ho gaya aur iss tarah Makkah ko aane walay apne sath mewe aur khaane peene ki cheezen le aate, aur Shehr-e-Makkah mash’hoor aur mohtaram ho gaya.[12]

Ishaq (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki aulad me se bhi log Kaba ka ehteraam kiya karte thay ke, ye jagah unn ke dada Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ne banayi thi aur ye Allah ki ibadat-gaahon me se ek maante thay. Lekin waqt ke guzarte, Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki aulaad itni zyada ho gayee ke, wo sab Makkah me reh nahi sakte thay, aur jo koi Makkah se bahar ja kar rehne lagta wo apne sath iss sar zameen ke pathar sath le jata aur uss ko muqaddas maan kar ibadat karta, waqt ke guzarte doosre qabail ke butth bhi unn patharon ke sath rakhay jaane lagay aur log butthon ko Kaba me lana shuru kar diye. Martin Lings, Ibn Ishaq ke hawale se likhte hain ke, ye wo waqt tha ke Yahoodiyon ne yani Ishaq (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki aulad Kabatullah ko aana chhorrh diye.

Ab kyun ke, Ismail (عَلَيْهِم ٱلسَّلَام) ke baad koi nabi nahi aya, to unn ki aulad me bigaad badhta chala gaya aur Kabatullah butthon se bhar gaya. Ab wo waqt aya ke, Jurham ka qabila Makkah me zyadatiyan karne laga, to unhe nikaal bahar kar diya gaya, wo jaate jaate zamzam ka kuway ko dafan kar jaate hain.[13]

Inn ki jagah ek aur qabilay ne le li, jinhe Khuza’ah kaha jata tha, jo Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) hi ki aulad me se thay, aur jo Yemen ki taraf chale gaye thay. Jab wo wapas aaye Makkah ko, to unhone koshish nahi ki, zamzam ke kuwe ko wapas daryaft karne ki, aur iss tarah zamzam ka kuwa bhula diya gaya.[14]

Quraish ka Bayan

Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki aulad me sab se taqatwar qabila Quraish ka qabila tha, jis me se Qusayy nami shakhs thay, jo Khuza’ah Qabile ki ladki se shadi kare aur Makkah me settle ho gaye, unn ke leader ke taur par muqarrar huwe aur Kabatullah ke muhafiz banay.

Unhone apne qareebi rishtedaron ko Kabatullah ke atraaf ki wadi me la kar basaya, unn ke sagay bhai Zuhrah thay, Chacha Taym thay, phir ek aur chachere bhai Makhzum thay, aur do rishtedaron ko basaya, inn ke aur bhi rishtedaar thay jo Makkah ke bahar raha karte thay, inn tamam par Qusayy ek badshah ki tarah hukumat karne lagay. Ye tamam rishtedaron se paise wasool karte aur Kabatullah ke ghareeb mehmaano ki yani ghareeb hajiyon ki qidmat kiya karte thay.

Ab wo waqt aya ke, Qusayy ne apne liye ek behtareen ghar tameer karwaya jo qabile ki majlis ya House of Assembly kehlaya gaya, aur unhone apne rishtedaron ko bhi khaimon se nikal kar apne liye ghar banwane ka hukum diya.

Qusayy ke chaar bettay thay, Abdu ad-Dar, Abdu Manaf, Abd, Abdu al-Uzzah; inn me se Abdu Manaf apne kaarnamon ki wajah se bohot mash’hoor thay, lekin Qusayy ne inteqal se pehle apne baday betray Abdu ad-Dar ko tamam kaamo ki zimmadari dedi, yani Qusayy jo jo kaam karte rahay, wo saare kaamo ka zimmadar Abdu ad-Dar ko banaya, aur baqi bhai baap ke iss hukum ko maan kar rehne lagay. Majlis ka ghar bhi Abdu ad-Dar ko mil gaya.[15]

Abdu Manaf ke bhi chaar bettay huwe, Abdu Shams, Hashim, al-Muttalib aur Nawfal; jis me se Hashim bohot mash’hour huwe, jis ke chalte Quraish ke baaz qabile Hashim ko support karne lagay ke Banu Abdu ad-Dar ke huqooq Hashim ko de diye jaye, baqi aadhay qabilon ka khayal tha ke, ye huqooq Abdu ad-Dar ke paas hi rehna chahiye. Hashim aur unn ke bhai aur deegar qabile jo unhe support kar rahe thay, Kabatullah me qasam khayee ke wo ek doosre ko har haal me support karenge.

Doosri taraf Abdu ad-Dar aur unn ke sathi qabilon ne bhi qasam khayee ke wo ek doosre ka sath denge. Ye dono jama’aton me jhagda honay wala tha, lekin ek muhayeda tayy paya ke, Banu Abdu Manaf Chanda jama karenge aur hajiyon ko khana khilayenge aur Banu Abdu ad-Dar ke paas Kabatullah ki kunjiyan rahengi aur baqaya zimmadariyan rahengi, aur unn ka ghar poore Quraish ki majlis ka ghar jo pehle se chala aa raha tha, unn ki zimmadari me baqi rahega.

Hashim ki shohrat na sirf Quraish ke Qabile me thi balke, berooni qabail bhi unn ko maante thay. Unhone hi do karwan ke safar qayem kiye, Sardiyon ke mahine me Yemen ki taraf safar karte aur garmiyon me Phalasteen aur Syria ki taraf, jo uss zamane me Byzantine Empire ka hissa thay, aur dono safar purane incense trade route ka hissa thay. Syria ki taraf safar karne ka jo pehla Muqaam jahan Karwan rukta tha, wo yathrib tha jo Makkah se 11 din ke safar par tha, iss oasis ki khasiyat ye thi ke, ek waqt tak yahan sirf aur sirf yahoodi abadi thi – wo iss liye aa kar yathrib me bass gaye thay ke, aakhri Nabi yahan aanay walay hain. Lekin ab jab junoobi Arab se ek qabila Yathrib par qabza kar liya tha aur yahoodi wahan phir bhi reh rahay thay aur wo kaafi ameer thay.[16]

Yathrib ka Arab qabila ab do qabilon me taqseem ho gaya tha, jinhe Aws aur Khazraj kaha jata tha, Hashim ne Khazraj ki ek ladki se shadi ki jis ka naam Salma tha, uss ne shadi ki shart ye rakhi ke, wo apne mamelon ki khud zimmadar hongi, lehaza shadi ho gayee aur Salma se Hashim ko ek beta huwa jo wahin Yathrib me rehne laga. Hashim jab bhi Syria ke safar par jaate to jaate huwe aur aate huwe wo apni biwi Salma aur apne bettay Shaybah ke sath waqt guzaarte. Lekin, Hashim ki zindagi zyada lambi nahi thi, wo ek waqt Phalasteen me, Gaza me thay, jab unn ki tabiyat kharab ho gayee aur Hashim ka inteqaal Gaza me huwa aur wahin par unn ki Qabr hai.[17] Ye 497 Eeswi ki baat hai, aur unn ki qabr Sayed al-Hashim Masjid me hai Gaza ke Daraj Muhalle me,[18] jo israeli hawai hamle me iss masjid ko bhi nuqsan pahuncha, October 2023 me, al-Jazeera ki khabar ke mutabiq.[19]

Hashim ke bettay Shaybah me leader banne ki qabiliyat thi, aur ye khabrein Makkah tak pahunchti thi, jo koi bhi Yathrib se guzarta aur Makkah ata. Hashim ke bhai al-Muttalib inn khabron ko sunn kar gaye apne bhateeje se milne aur unhe yaqeen ho gaya ke, agar koi hajiyon ki khidmat karne ki bhag daud, agar koi sambhal sakta hai to wo Shaybah hi hai aur unhone Salma ko aur Shaybah ko convince kiya ke, jis kaam par unn ke walid Hashim fayez thay, ek din Shaybah uss kaam ke zimmadar banenge, aur iss ke liye unhe Makkah me reh kar kaam karna hoga, apne logon ke beech jagah banani hogi, warna bahar se aa kar Makkah me koi leader nahi ban sakta tha.

al-Muttalib jab apne bhateeje ko le kar Makkah pahunche, to kisi ne kaha ke ye to Abd al-Muttalib hai, yani Muttalib ka ghulam. Iss par al-Muttalib ne kaha ke, ye koi ghulam nahi ye to mere bhai Hashim ka betta hai, aur ye sunn kar Makkah me khushiyon ki leher daud gayee, lekin Abd al-Muttalib ka naam aag ki tarah phailne laga aur Shaybah – Abd al-Muttalib ke naam se pukaare jaane lagay aur aagay chal kar hajiyon ki zimmadari Abd al-Muttalib ne uttha li.[20]

Zamzam ka Kuwan

Abd al-Muttalib ne khwab me dekha ke unhe zamzam ka kuwan khodne ka hukum ho raha hai, kayee raaton tak wo yehi khwab dekhte, beher-haal ek din jab unn se kaha gaya ke, zamzam ki jagah kahan hai wo jaanne ke liye dua karo, to unhone Kabatullah ka tawaf kiya aur dua ki to unhe parindon ke zariye wo jagah batayee gayee aur unhone zamzam ka kuwa khoda, jo Jurham ke qabile ne dafan kar diya tha.

Uss kuwe me se bohot sara khazana mila, jis ka kuch hissa Abd al-Muttalib ko mila aur kuch hissa Kabatullah me rakha gaya, aur kyun ke, hajiyon ko paani pilaane ki zimmadari Banu Abd Manaf ki thi, to zamzam ka kuwan bhi Abd al-Muttalib ke qabze me aa gaya.[21]

Abdullah Ibn Abd al-Muttalib

Zamzam ka kuwa Quraish ko aur Hajiyon ko wapas mil jaane ki wajah se Abd al-Muttalib ka naam aur zyada mash’hoor ho gaya, unn ke paas daulat bhi aa gayee lekin unhe aisa lagta tha ke, unn ka ek hi betta hai, jab ke unn ke doosre cousins ke paas zyada bettay hain.

Iss khayal ke chalte, Abd al-Muttalib ne Allah se dua ki ke, agar wo unhe 10 bettay ata karega, to jab wo jawan ho jayenge, to uss me se ek betta wo Allah ki raah me zibah kar denge. Waqt guzarta gaya aur Allah ne Abd al-Muttalib ki dua qabool karte huwe unhe 10 bettay ata kare aur dekhte hi dekhte sab jawani ki umar ko pahunch gaye.

Abd al-Muttalib apne waday ke pakke thay aur unhone, apne betton se Allah se kiya huwa wada bataya, aur sab betton ne wada kiya ke wo apne walid ke waday ka paas rakhenge, Abd al-Muttalib ne uss kahin ko bulaya jo teeron ko chunta tha. Har bettay ke naam ka ek teer tha, aur jab kahin ne teer chuna to wo Abdullah ke naam ka teer nikla jo Abd al-Muttalib ke sab se chhotte bettay thay aur sab se pasandeeda bhi. Abd al-Muttalib apne bettay Abdullah ka hath pakad kar Kaba se bahar aaye, aur jab bheed ne dekha ke wo Abdullah ko qatl karne ja rahe hain, to Abdullah ki maa ke qabile walon ne kaha ke, inn ko qatl matt karo, inn ke badle kisi janwar ko qatl kar do.

Abd al-Muttalib ne expert kahin ko dhoonda jo Yathrib me huwa karti thi, uss ne mashwara diya ke, 10 oontton ko ek jagah rakho aur ek teer par Abdullah ka naam ho aur doosre teer par oontton ka, aur agar teer Abdullah ke naam ki nikle to 10 oontt aur badha do. Lekin har baar teer Abdullah ke naam ki nikal aati rahi, jab tak ke oontton ki tedad 100 na ho gayee. To 100 oontton ko zibah kiya gaya aur iss tarah Abdullah bach gaye.[22]

Iss qurbani ke ho jaane ke baad Abd al-Muttalib apne chahitay bettay ki shadi karna chaha aur unhe Amina pasad aayee, jo Wahb ki betti thi, jo Zuhrah qabile ke sardar thay. Abhi humne suna ke Zuhrah Qusayy ke bhai thay, wohi Zuhrah. Wahb ka inteqaal ho chuka tha aur unn ke bhai Wuhaib qabile ke sardar thay, unn ki betti Halah ka hath khud Abd al-Muttalib ne apne liye maang liya, dono baap aur bettay Zuhrah ke qabile jaate hain aur double nikah anjaam pata hai. Ye shadiyan 569 Eeswi me huwi, jis ke baad ka saal bohot hi aham mana jata hai, aur usay Hathi wala saal kaha jata hai.[23]

Aam al-Feel (Hathi wala Saal)

Hathi wala Saal 570 Eeswi ko kaha jata hai, kyun ke, iss me 3 major cheezen pesh aati hain. Pehla tha Abraha ka Kabatullah par hamla, Abraha Habashi tha aur Yemen ke shehr Sanaa me uss ne ek bohot hi bada Church banaya, jo wo chahta tha ke, Arab log Kabatullah ko chhorrh kar uss Church ko aaye.

Jab ye baat Arabon ko pata chali to bohot ghussa huwe aur ek raat ek shakhs uss Church me pahuncha aur wahan gandagi karke wapas ho jata hai, ye baat Abraha ko pata chalti hai aur wo ek bada lashkar jis me kayee hathi thay, lekar Makkah ki taraf rawana hota hai. Sana’a ke qareebi Arab qabail uss ka muqabila karte hain aur unn ke sardar Nufail ko qaidi bana liya jata hai, wo apni zindagi ke badle, unn ka guide ban jata hai.

Abraha ki fauj Taif se hote huwe, Makkah ke qareeb ek muqaam Mughammis par rukti hai, aur wo ek fauji dasta bhejta hai jo Makkah ke atraaf se kayee maweshi pakad lete hain aur Abraha ko bhejte hain, jis me 200 oontton Abd al-Muttalib ke thay. Abrahah apna safeer Abd al-Muttalib ke paas bhejta hai, aur paigham deta hai ke, wo ladne ke liye nahi aaye hain, balke Kabatullah ko todh ne ke liye aaye hain aur agar unn ko ye kaam karne diya jaye to wo Kabatullah ko todh kar chale jayenge.

Abd al-Muttalib Abraha se milte hain aur apne oontton ko wapas karne ka mutaleba karte hain, ye sunn kar Abraha hairan ho jata hai aur kehta hai ke, main to samjha tha ke tum Kabatullah ko na todhne ki baat karoge aur jung ki baat karoge. Abd al-Muttalib jawab dete hain ke, main inn oontton ka malik hoon jin ki hifazat meri zimmadari hai aur Kabatullah ka malik Allah hai, wo uss ki hifazat karega. Abraha kehta hai ke, wo Kabatullah ko todh dega, Abd al-Muttalib kehte hain ke, ye to kal pata chalega.

Abd al-Muttalib apne oontton ko lekar wapas aate hain aur Quraish ko hukum dete hain ke, Makkah ko khali kar do, aur wo khud kuch logon ke sath Kabatullah ja kar uss ki kundi pakad kar Allah se dua karte hain ke, Apne ghar ko bacha le, hum me itni taqat nahi ke tere ghar ki hifazat kar sakay. Aur wo bhi qareeb ki pahadiyon me Quraish ke tamam logon ke sath panah lete hain.

Doosre din subah me hathi ko Makkah ki taraf rukh karke chalate hain, kuch door chalne ke baad jo main hathi fauj ko lead kar raha tha, wo baitth jata hai. Kaafi koshish ke baad bhi wo nahi utthta, usay doosre directions me chalaya jata to wo utth kar daudta lekin jab Makkah ki taraf ghumaya jata to wo phir se baitth jata. Itne me parindon ka ek jhund samandar ki taraf se aata hai, jin ke panjon aur chonch me pathar thay, wo Abraha ki fauj par ooper se phektay aur wo pathar jis kisi ko lagta wo halak ho jata, uss ka gosht sadne lagta aur kat kat kar girr jata. Abraha ko bhi pathar laga aur wo wapasi ke raaste me halak ho gaya aur baqaya fauj wapas Sana’a chali jaati hai. Issi liye iss saal ko Aam al-Feel kaha jata hai aur iss waqiye ke baad, Quraish ko Allah wale logon me shumar kiya jaane laga.

Abdullah Makkah me nahi thay jab ye hathi wala waqiya huwa, wo Syria aur Phalasteen ki taraf Karwan ke sath gaye huwe thay, aur raaste me, wo apni dadi ke ghar Yathrib me rukay, wahan bimar huwe aur unn ka inteqaal ho gaya. Ye doosra waqiya tha, aam al-feel ka.

Aur Teesra waqiya, saari duniya ke liye kush-khabri le aya, Amina jo Abdullah ke bettay hamela thi, unhone ek raat aisa noor dekha jo Syria me Byzantine Empire ke Mehel dekhe, aur ek awaz aayee ke, tumhare paytt me logon ke sardar hain, aur jab ye paida ho jaye to inn ka naam Muhammad rakhna. Iss waqiye ke kuch hafton baad Sarwar-e-Kayenaat, Sarkar-e-do Alam (صلى الله عليه وسلم) iss duniya me tawallud huwe. Abd al-Muttalib ko bulaya jaata hai, jo apne potay ko Kabatullah me le jaate hain aur Allah ka shukr ada karte hain, dua karte hain aur unn ka naam Muhammad (صلى الله عليه وسلم) rakha jata hai.

Yahan hum aaj ka session rok denge. Wa aakhirud dawana anil hamdulillahi rabbil alameen, was salaatu was salaamu alaa rasoolullahi salla allahu alaihi wa sallam.

References

[1] Qatadah reported: I said to Aisha, “O mother of the believers, tell me about the character of the Messenger of Allah, peace and blessings be upon him.” Aisha said, “Have you not read the Quran?” I said, “O course.” Aisha said, “Verily, the character of the Prophet of Allah was the Quran.”

عن قتادة قُلْتُ لعائشة يَا أُمَّ الْمُؤْمِنِينَ أَنْبِئِينِي عَنْ خُلُقِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَتْ أَلَسْتَ تَقْرَأُ الْقُرْآنَ قُلْتُ بَلَى قَالَتْ فَإِنَّ خُلُقَ نَبِيِّ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ الْقُرْآنَ – 746 صحيح مسلم كتاب صلاة المسافرين وقصرها باب جامع صلاة الليل ومن نام عنه أو مرض

Grade: Sahih (authentic) according Muslim | Source: Ṣaḥīḥ Muslim 746

[2] Source: Martin Lings, Muhammad (صلى الله عليه وسلم) – His Life Based on the Earliest Sources, Inner Traditions, 2006 – Page 1

[3] Quran-ST | 37-100

[4] Quran-ST | 37-101

[5] Quran-ST | 14-37

[6] Narrated Ibn `Abbas: The first lady to use a girdle was the mother of Ishmael. She used a girdle so that she might hide her tracks from Sarah. Abraham brought her and her son Ishmael while she was suckling him, to a place near the Ka`ba under a tree on the spot of Zamzam, at the highest place in the mosque. During those days there was nobody in Mecca, nor was there any water So he made them sit over there and placed near them a leather bag containing some dates, and a small water-skin containing some water, and set out homeward. Ishmael’s mother followed him saying, “O Abraham! Where are you going, leaving us in this valley where there is no person whose company we may enjoy, nor is there anything (to enjoy)?” She repeated that to him many times, but he did not look back at her Then she asked him, “Has Allah ordered you to do so?” He said, “Yes.” She said, “Then He will not neglect us,” and returned while Abraham proceeded onwards, and on reaching the Thaniya where they could not see him, he faced the Ka`ba, and raising both hands, invoked Allah saying the following prayers: ‘O our Lord! I have made some of my offspring dwell in a valley without cultivation, by Your Sacred House (Ka`ba at Mecca) in order, O our Lord, that they may offer prayer perfectly. So fill some hearts among men with love towards them, and (O Allah) provide them with fruits, so that they may give thanks.’ (14.37) Ishmael’s mother went on suckling Ishmael and drinking from the water (she had). When the water in the water-skin had all been used up, she became thirsty and her child also became thirsty. She started looking at him (i.e. Ishmael) tossing in agony; She left him, for she could not endure looking at him, and found that the mountain of Safa was the nearest mountain to her on that land. She stood on it and started looking at the valley keenly so that she might see somebody, but she could not see anybody. Then she descended from Safa and when she reached the valley, she tucked up her robe and ran in the valley like a person in distress and trouble, till she crossed the valley and reached the Marwa mountain where she stood and started looking, expecting to see somebody, but she could not see anybody. She repeated that (running between Safa and Marwa) seven times.” The Prophet (ﷺ) said, “This is the source of the tradition of the walking of people between them (i.e. Safa and Marwa). When she reached the Marwa (for the last time) she heard a voice and she asked herself to be quiet and listened attentively. She heard the voice again and said, ‘O, (whoever you may be)! You have made me hear your voice; have you got something to help me?” And behold! She saw an angel at the place of Zamzam, digging the earth with his heel (or his wing), till water flowed from that place. She started to make something like a basin around it, using her hand in this way, and started filling her water-skin with water with her hands, and the water was flowing out after she had scooped some of it.” The Prophet (ﷺ) added, “May Allah bestow Mercy on Ishmael’s mother! Had she let the Zamzam (flow without trying to control it) (or had she not scooped from that water) (to fill her water-skin), Zamzam would have been a stream flowing on the surface of the earth.” The Prophet (ﷺ) further added, “Then she drank (water) and suckled her child. The angel said to her, ‘Don’t be afraid of being neglected, for this is the House of Allah which will be built by this boy and his father, and Allah never neglects His people.’ The House (i.e. Ka`ba) at that time was on a high place resembling a hillock, and when torrents came, they flowed to its right and left. She lived in that way till some people from the tribe of Jurhum or a family from Jurhum passed by her and her child, as they (i.e. the Jurhum people) were coming through the way of Kada’. They landed in the lower part of Mecca where they saw a bird that had the habit of flying around water and not leaving it. They said, ‘This bird must be flying around water, though we know that there is no water in this valley.’ They sent one or two messengers who discovered the source of water, and returned to inform them of the water. So, they all came (towards the water).” The Prophet (ﷺ) added, “Ishmael’s mother was sitting near the water. They asked her, ‘Do you allow us to stay with you?” She replied, ‘Yes, but you will have no right to possess the water.’ They agreed to that.” The Prophet (ﷺ) further said, “Ishmael’s mother was pleased with the whole situation as she used to love to enjoy the company of the people. So, they settled there, and later on they sent for their families who came and settled with them so that some families became permanent residents there. The child (i.e. Ishmael) grew up and learnt Arabic from them and (his virtues) caused them to love and admire him as he grew up, and when he reached the age of puberty they made him marry a woman from amongst them. After Ishmael’s mother had died, Abraham came after Ishmael’s marriage in order to see his family that he had left before, but he did not find Ishmael there. When he asked Ishmael’s wife about him, she replied, ‘He has gone in search of our livelihood.’ Then he asked her about their way of living and their condition, and she replied, ‘We are living in misery; we are living in hardship and destitution,’ complaining to him. He said, ‘When your husband returns, convey my salutation to him and tell him to change the threshold of the gate (of his house).’ When Ishmael came, he seemed to have felt something unusual, so he asked his wife, ‘Has anyone visited you?’ She replied, ‘Yes, an old man of so-and-so description came and asked me about you and I informed him, and he asked about our state of living, and I told him that we were living in a hardship and poverty.’ On that Ishmael said, ‘Did he advise you anything?’ She replied, ‘Yes, he told me to convey his salutation to you and to tell you to change the threshold of your gate.’ Ishmael said, ‘It was my father, and he has ordered me to divorce you. Go back to your family.’ So, Ishmael divorced her and married another woman from amongst them (i.e. Jurhum). Then Abraham stayed away from them for a period as long as Allah wished and called on them again but did not find Ishmael. So he came to Ishmael’s wife and asked her about Ishmael. She said, ‘He has gone in search of our livelihood.’ Abraham asked her, ‘How are you getting on?’ asking her about their sustenance and living. She replied, ‘We are prosperous and well-off (i.e. we have everything in abundance).’ Then she thanked Allah’ Abraham said, ‘What kind of food do you eat?’ She said. ‘Meat.’ He said, ‘What do you drink?’ She said, ‘Water.” He said, “O Allah! Bless their meat and water.” The Prophet added, “At that time they did not have grain, and if they had grain, he would have also invoked Allah to bless it.” The Prophet (ﷺ) added, “If somebody has only these two things as his sustenance, his health and disposition will be badly affected, unless he lives in Mecca.” The Prophet (ﷺ) added,” Then Abraham said Ishmael’s wife, “When your husband comes, give my regards to him and tell him that he should keep firm the threshold of his gate.’ When Ishmael came back, he asked his wife, ‘Did anyone call on you?’ She replied, ‘Yes, a good-looking old man came to me,’ so she praised him and added. ‘He asked about you, and I informed him, and he asked about our livelihood and I told him that we were in a good condition.’ Ishmael asked her, ‘Did he give you any piece of advice?’ She said, ‘Yes, he told me to give his regards to you and ordered that you should keep firm the threshold of your gate.’ On that Ishmael said, ‘It was my father, and you are the threshold (of the gate). He has ordered me to keep you with me.’ Then Abraham stayed away from them for a period as long as Allah wished, and called on them afterwards. He saw Ishmael under a tree near Zamzam, sharpening his arrows. When he saw Abraham, he rose up to welcome him (and they greeted each other as a father does with his son or a son does with his father). Abraham said, ‘O Ishmael! Allah has given me an order.’ Ishmael said, ‘Do what your Lord has ordered you to do.’ Abraham asked, ‘Will you help me?’ Ishmael said, ‘I will help you.’ Abraham said, Allah has ordered me to build a house here,’ pointing to a hillock higher than the land surrounding it.” The Prophet (ﷺ) added, “Then they raised the foundations of the House (i.e. the Ka`ba). Ishmael brought the stones and Abraham was building, and when the walls became high, Ishmael brought this stone and put it for Abraham who stood over it and carried on building, while Ishmael was handing him the stones, and both of them were saying, ‘O our Lord! Accept (this service) from us, Verily, You are the All-Hearing, the All-Knowing.’ The Prophet (ﷺ) added, “Then both of them went on building and going round the Ka`ba saying: O our Lord ! Accept (this service) from us, Verily, You are the All-Hearing, the All-Knowing.” (2.127)

وَحَدَّثَنِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّزَّاقِ، أَخْبَرَنَا مَعْمَرٌ، عَنْ أَيُّوبَ السَّخْتِيَانِيِّ، وَكَثِيرِ بْنِ كَثِيرِ بْنِ الْمُطَّلِبِ بْنِ أَبِي وَدَاعَةَ،، يَزِيدُ أَحَدُهُمَا عَلَى الآخَرِ عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ، قَالَ ابْنُ عَبَّاسٍ أَوَّلَ مَا اتَّخَذَ النِّسَاءُ الْمِنْطَقَ مِنْ قِبَلِ أُمِّ إِسْمَاعِيلَ، اتَّخَذَتْ مِنْطَقًا لَتُعَفِّيَ أَثَرَهَا عَلَى سَارَةَ، ثُمَّ جَاءَ بِهَا إِبْرَاهِيمُ، وَبِابْنِهَا إِسْمَاعِيلَ وَهْىَ تُرْضِعُهُ حَتَّى وَضَعَهُمَا عِنْدَ الْبَيْتِ عِنْدَ دَوْحَةٍ، فَوْقَ زَمْزَمَ فِي أَعْلَى الْمَسْجِدِ، وَلَيْسَ بِمَكَّةَ يَوْمَئِذٍ أَحَدٌ، وَلَيْسَ بِهَا مَاءٌ، فَوَضَعَهُمَا هُنَالِكَ، وَوَضَعَ عِنْدَهُمَا جِرَابًا فِيهِ تَمْرٌ وَسِقَاءً فِيهِ مَاءٌ، ثُمَّ قَفَّى إِبْرَاهِيمُ مُنْطَلِقًا فَتَبِعَتْهُ أُمُّ إِسْمَاعِيلَ فَقَالَتْ يَا إِبْرَاهِيمُ أَيْنَ تَذْهَبُ وَتَتْرُكُنَا بِهَذَا الْوَادِي الَّذِي لَيْسَ فِيهِ إِنْسٌ وَلاَ شَىْءٌ فَقَالَتْ لَهُ ذَلِكَ مِرَارًا، وَجَعَلَ لاَ يَلْتَفِتُ إِلَيْهَا فَقَالَتْ لَهُ آللَّهُ الَّذِي أَمَرَكَ بِهَذَا قَالَ نَعَمْ‏.‏ قَالَتْ إِذًا لاَ يُضَيِّعُنَا‏.‏ ثُمَّ رَجَعَتْ، فَانْطَلَقَ إِبْرَاهِيمُ حَتَّى إِذَا كَانَ عِنْدَ الثَّنِيَّةِ حَيْثُ لاَ يَرَوْنَهُ اسْتَقْبَلَ بِوَجْهِهِ الْبَيْتَ، ثُمَّ دَعَا بِهَؤُلاَءِ الْكَلِمَاتِ وَرَفَعَ يَدَيْهِ، فَقَالَ ‏{‏رَبَّنَا إِنِّي أَسْكَنْتُ مِنْ ذُرِّيَّتِي بِوَادٍ غَيْرِ ذِي زَرْعٍ‏}‏ حَتَّى بَلَغَ ‏{‏يَشْكُرُونَ‏}‏‏.‏ وَجَعَلَتْ أُمُّ إِسْمَاعِيلَ تُرْضِعُ إِسْمَاعِيلَ، وَتَشْرَبُ مِنْ ذَلِكَ الْمَاءِ، حَتَّى إِذَا نَفِدَ مَا فِي السِّقَاءِ عَطِشَتْ وَعَطِشَ ابْنُهَا، وَجَعَلَتْ تَنْظُرُ إِلَيْهِ يَتَلَوَّى ـ أَوْ قَالَ يَتَلَبَّطُ ـ فَانْطَلَقَتْ كَرَاهِيَةَ أَنْ تَنْظُرَ إِلَيْهِ، فَوَجَدَتِ الصَّفَا أَقْرَبَ جَبَلٍ فِي الأَرْضِ يَلِيهَا، فَقَامَتْ عَلَيْهِ ثُمَّ اسْتَقْبَلَتِ الْوَادِيَ تَنْظُرُ هَلْ تَرَى أَحَدًا فَلَمْ تَرَ أَحَدًا، فَهَبَطَتْ مِنَ، الصَّفَا حَتَّى إِذَا بَلَغَتِ الْوَادِيَ رَفَعَتْ طَرَفَ دِرْعِهَا، ثُمَّ سَعَتْ سَعْىَ الإِنْسَانِ الْمَجْهُودِ، حَتَّى جَاوَزَتِ الْوَادِيَ، ثُمَّ أَتَتِ الْمَرْوَةَ، فَقَامَتْ عَلَيْهَا وَنَظَرَتْ هَلْ تَرَى أَحَدًا، فَلَمْ تَرَ أَحَدًا، فَفَعَلَتْ ذَلِكَ سَبْعَ مَرَّاتٍ ـ قَالَ ابْنُ عَبَّاسٍ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ فَذَلِكَ سَعْىُ النَّاسِ بَيْنَهُمَا ‏”‏‏.‏ ـ فَلَمَّا أَشْرَفَتْ عَلَى الْمَرْوَةِ سَمِعَتْ صَوْتًا، فَقَالَتْ صَهٍ‏.‏ تُرِيدَ نَفْسَهَا، ثُمَّ تَسَمَّعَتْ، فَسَمِعَتْ أَيْضًا، فَقَالَتْ قَدْ أَسْمَعْتَ، إِنْ كَانَ عِنْدَكَ غِوَاثٌ‏.‏ فَإِذَا هِيَ بِالْمَلَكِ، عِنْدَ مَوْضِعِ زَمْزَمَ، فَبَحَثَ بِعَقِبِهِ ـ أَوْ قَالَ بِجَنَاحِهِ ـ حَتَّى ظَهَرَ الْمَاءُ، فَجَعَلَتْ تُحَوِّضُهُ وَتَقُولُ بِيَدِهَا هَكَذَا، وَجَعَلَتْ تَغْرِفُ مِنَ الْمَاءِ فِي سِقَائِهَا، وَهْوَ يَفُورُ بَعْدَ مَا تَغْرِفُ ـ قَالَ ابْنُ عَبَّاسٍ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ يَرْحَمُ اللَّهُ أُمَّ إِسْمَاعِيلَ لَوْ تَرَكَتْ زَمْزَمَ ـ أَوْ قَالَ لَوْ لَمْ تَغْرِفْ مِنَ الْمَاءِ ـ لَكَانَتْ زَمْزَمُ عَيْنًا مَعِينًا ‏”‏‏.‏ ـ قَالَ فَشَرِبَتْ وَأَرْضَعَتْ وَلَدَهَا، فَقَالَ لَهَا الْمَلَكُ لاَ تَخَافُوا الضَّيْعَةَ، فَإِنَّ هَا هُنَا بَيْتَ اللَّهِ، يَبْنِي هَذَا الْغُلاَمُ، وَأَبُوهُ، وَإِنَّ اللَّهَ لاَ يُضِيعُ أَهْلَهُ‏.‏ وَكَانَ الْبَيْتُ مُرْتَفِعًا مِنَ الأَرْضِ كَالرَّابِيَةِ، تَأْتِيهِ السُّيُولُ فَتَأْخُذُ عَنْ يَمِينِهِ وَشِمَالِهِ، فَكَانَتْ كَذَلِكَ، حَتَّى مَرَّتْ بِهِمْ رُفْقَةٌ مِنْ جُرْهُمَ ـ أَوْ أَهْلُ بَيْتٍ مِنْ جُرْهُمَ ـ مُقْبِلِينَ مِنْ طَرِيقِ كَدَاءٍ فَنَزَلُوا فِي أَسْفَلِ مَكَّةَ، فَرَأَوْا طَائِرًا عَائِفًا‏.‏ فَقَالُوا إِنَّ هَذَا الطَّائِرَ لَيَدُورُ عَلَى مَاءٍ، لَعَهْدُنَا بِهَذَا الْوَادِي وَمَا فِيهِ مَاءٌ، فَأَرْسَلُوا جَرِيًّا أَوْ جَرِيَّيْنِ، فَإِذَا هُمْ بِالْمَاءِ، فَرَجَعُوا فَأَخْبَرُوهُمْ بِالْمَاءِ، فَأَقْبَلُوا، قَالَ وَأُمُّ إِسْمَاعِيلَ عِنْدَ الْمَاءِ فَقَالُوا أَتَأْذَنِينَ لَنَا أَنْ نَنْزِلَ عِنْدَكِ فَقَالَتْ نَعَمْ، وَلَكِنْ لاَ حَقَّ لَكُمْ فِي الْمَاءِ‏.‏ قَالُوا نَعَمْ‏.‏ قَالَ ابْنُ عَبَّاسٍ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ فَأَلْفَى ذَلِكَ أُمَّ إِسْمَاعِيلَ، وَهْىَ تُحِبُّ الإِنْسَ ‏”‏ فَنَزَلُوا وَأَرْسَلُوا إِلَى أَهْلِيهِمْ، فَنَزَلُوا مَعَهُمْ حَتَّى إِذَا كَانَ بِهَا أَهْلُ أَبْيَاتٍ مِنْهُمْ، وَشَبَّ الْغُلاَمُ، وَتَعَلَّمَ الْعَرَبِيَّةَ مِنْهُمْ، وَأَنْفَسَهُمْ وَأَعْجَبَهُمْ حِينَ شَبَّ، فَلَمَّا أَدْرَكَ زَوَّجُوهُ امْرَأَةً مِنْهُمْ، وَمَاتَتْ أُمُّ إِسْمَاعِيلَ، فَجَاءَ إِبْرَاهِيمُ، بَعْدَ مَا تَزَوَّجَ إِسْمَاعِيلُ يُطَالِعُ تَرِكَتَهُ، فَلَمْ يَجِدْ إِسْمَاعِيلَ، فَسَأَلَ امْرَأَتَهُ عَنْهُ فَقَالَتْ خَرَجَ يَبْتَغِي لَنَا‏.‏ ثُمَّ سَأَلَهَا عَنْ عَيْشِهِمْ وَهَيْئَتِهِمْ فَقَالَتْ نَحْنُ بِشَرٍّ، نَحْنُ فِي ضِيقٍ وَشِدَّةٍ‏.‏ فَشَكَتْ إِلَيْهِ‏.‏ قَالَ فَإِذَا جَاءَ زَوْجُكِ فَاقْرَئِي عَلَيْهِ السَّلاَمَ، وَقُولِي لَهُ يُغَيِّرْ عَتَبَةَ بَابِهِ‏.‏ فَلَمَّا جَاءَ إِسْمَاعِيلُ، كَأَنَّهُ آنَسَ شَيْئًا، فَقَالَ هَلْ جَاءَكُمْ مِنْ أَحَدٍ قَالَتْ نَعَمْ، جَاءَنَا شَيْخٌ كَذَا وَكَذَا، فَسَأَلَنَا عَنْكَ فَأَخْبَرْتُهُ، وَسَأَلَنِي كَيْفَ عَيْشُنَا فَأَخْبَرْتُهُ أَنَّا فِي جَهْدٍ وَشِدَّةٍ‏.‏ قَالَ فَهَلْ أَوْصَاكِ بِشَىْءٍ قَالَتْ نَعَمْ، أَمَرَنِي أَنْ أَقْرَأَ عَلَيْكَ السَّلاَمَ، وَيَقُولُ غَيِّرْ عَتَبَةَ بَابِكَ‏.‏ قَالَ ذَاكِ أَبِي وَقَدْ أَمَرَنِي أَنْ أُفَارِقَكِ الْحَقِي بِأَهْلِكِ‏.‏ فَطَلَّقَهَا، وَتَزَوَّجَ مِنْهُمْ أُخْرَى، فَلَبِثَ عَنْهُمْ إِبْرَاهِيمُ مَا شَاءَ اللَّهُ ثُمَّ أَتَاهُمْ بَعْدُ، فَلَمْ يَجِدْهُ، فَدَخَلَ عَلَى امْرَأَتِهِ، فَسَأَلَهَا عَنْهُ‏.‏ فَقَالَتْ خَرَجَ يَبْتَغِي لَنَا‏.‏ قَالَ كَيْفَ أَنْتُمْ وَسَأَلَهَا عَنْ عَيْشِهِمْ، وَهَيْئَتِهِمْ‏.‏ فَقَالَتْ نَحْنُ بِخَيْرٍ وَسَعَةٍ‏.‏ وَأَثْنَتْ عَلَى اللَّهِ‏.‏ فَقَالَ مَا طَعَامُكُمْ قَالَتِ اللَّحْمُ‏.‏ قَالَ فَمَا شَرَابُكُمْ قَالَتِ الْمَاءُ‏.‏ فَقَالَ اللَّهُمَّ بَارِكْ لَهُمْ فِي اللَّحْمِ وَالْمَاءِ‏.‏ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ وَلَمْ يَكُنْ لَهُمْ يَوْمَئِذٍ حَبٌّ، وَلَوْ كَانَ لَهُمْ دَعَا لَهُمْ فِيهِ ‏”‏‏.‏ قَالَ فَهُمَا لاَ يَخْلُو عَلَيْهِمَا أَحَدٌ بِغَيْرِ مَكَّةَ إِلاَّ لَمْ يُوَافِقَاهُ‏.‏ قَالَ فَإِذَا جَاءَ زَوْجُكِ فَاقْرَئِي عَلَيْهِ السَّلاَمَ، وَمُرِيهِ يُثْبِتُ عَتَبَةَ بَابِهِ، فَلَمَّا جَاءَ إِسْمَاعِيلُ قَالَ هَلْ أَتَاكُمْ مِنْ أَحَدٍ قَالَتْ نَعَمْ أَتَانَا شَيْخٌ حَسَنُ الْهَيْئَةِ، وَأَثْنَتْ عَلَيْهِ، فَسَأَلَنِي عَنْكَ فَأَخْبَرْتُهُ، فَسَأَلَنِي كَيْفَ عَيْشُنَا فَأَخْبَرْتُهُ أَنَّا بِخَيْرٍ‏.‏ قَالَ فَأَوْصَاكِ بِشَىْءٍ قَالَتْ نَعَمْ، هُوَ يَقْرَأُ عَلَيْكَ السَّلاَمَ، وَيَأْمُرُكَ أَنْ تُثْبِتَ عَتَبَةَ بَابِكَ‏.‏ قَالَ ذَاكِ أَبِي، وَأَنْتِ الْعَتَبَةُ، أَمَرَنِي أَنْ أُمْسِكَكِ‏.‏ ثُمَّ لَبِثَ عَنْهُمْ مَا شَاءَ اللَّهُ، ثُمَّ جَاءَ بَعْدَ ذَلِكَ، وَإِسْمَاعِيلُ يَبْرِي نَبْلاً لَهُ تَحْتَ دَوْحَةٍ قَرِيبًا مِنْ زَمْزَمَ، فَلَمَّا رَآهُ قَامَ إِلَيْهِ، فَصَنَعَا كَمَا يَصْنَعُ الْوَالِدُ بِالْوَلَدِ وَالْوَلَدُ بِالْوَالِدِ، ثُمَّ قَالَ يَا إِسْمَاعِيلُ، إِنَّ اللَّهَ أَمَرَنِي بِأَمْرٍ‏.‏ قَالَ فَاصْنَعْ مَا أَمَرَكَ رَبُّكَ‏.‏ قَالَ وَتُعِينُنِي قَالَ وَأُعِينُكَ‏.‏ قَالَ فَإِنَّ اللَّهَ أَمَرَنِي أَنْ أَبْنِيَ هَا هُنَا بَيْتًا‏.‏ وَأَشَارَ إِلَى أَكَمَةٍ مُرْتَفِعَةٍ عَلَى مَا حَوْلَهَا‏.‏ قَالَ فَعِنْدَ ذَلِكَ رَفَعَا الْقَوَاعِدَ مِنَ الْبَيْتِ، فَجَعَلَ إِسْمَاعِيلُ يَأْتِي بِالْحِجَارَةِ، وَإِبْرَاهِيمُ يَبْنِي، حَتَّى إِذَا ارْتَفَعَ الْبِنَاءُ جَاءَ بِهَذَا الْحَجَرِ فَوَضَعَهُ لَهُ، فَقَامَ عَلَيْهِ وَهْوَ يَبْنِي، وَإِسْمَاعِيلُ يُنَاوِلُهُ الْحِجَارَةَ، وَهُمَا يَقُولاَنِ ‏{‏رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنْتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ‏}‏‏.‏ قَالَ فَجَعَلاَ يَبْنِيَانِ حَتَّى يَدُورَا حَوْلَ الْبَيْتِ، وَهُمَا يَقُولاَنِ ‏{‏رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنْتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ ‏}‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 3364

[7] Quran-ST | 37-112

[8] Quran-ST | 37-113

[9] Quran-ST | 2-125

[10] Quran-ST | 2-127

[11] Quran-ST | 2-129

[12] Source: Martin Lings, Muhammad (صلى الله عليه وسلم) – His Life Based on the Earliest Sources, Inner Traditions, 2006 – Page 3

[13] Source: Martin Lings, Muhammad (صلى الله عليه وسلم) – His Life Based on the Earliest Sources, Inner Traditions, 2006 – Page 4

[14] Source: Martin Lings, Muhammad (صلى الله عليه وسلم) – His Life Based on the Earliest Sources, Inner Traditions, 2006 – Page 5

[15] Source: Martin Lings, Muhammad (صلى الله عليه وسلم) – His Life Based on the Earliest Sources, Inner Traditions, 2006 – Page 6

[16] Source: Martin Lings, Muhammad (صلى الله عليه وسلم) – His Life Based on the Earliest Sources, Inner Traditions, 2006 – Page 7

[17] Source: Martin Lings, Muhammad (صلى الله عليه وسلم) – His Life Based on the Earliest Sources, Inner Traditions, 2006 – Page 8

[18] Source: Hashim ibn Abd Manaf – Wikipedia

[19] Source: A ‘cultural genocide’: Which of Gaza’s heritage sites have been destroyed? | Israel-Palestine conflict News | Al Jazeera

[20] Source: Martin Lings, Muhammad (صلى الله عليه وسلم) – His Life Based on the Earliest Sources, Inner Traditions, 2006 – Pages 8-9

[21] Source: Martin Lings, Muhammad (صلى الله عليه وسلم) – His Life Based on the Earliest Sources, Inner Traditions, 2006 – Pages 10-11

[22] Source: Martin Lings, Muhammad (صلى الله عليه وسلم) – His Life Based on the Earliest Sources, Inner Traditions, 2006 – Pages 12-14

[23] Source: Martin Lings, Muhammad (صلى الله عليه وسلم) – His Life Based on the Earliest Sources, Inner Traditions, 2006 – Pages 17-18

Comments are closed.