Rayb

Rayb

RAYB ( Doubt ) رَ يْبَ 2:2

Lafz-e-Rayb ka root ya maddah (ر ى ب) hai, aur iss ke maane shak ya doubt ke hain. Aur ye lafz jo cheezon se wabasta hai, wo hain;

  • Jhooti tawaqqo aur Fareb se,[51]
  • Dil ki bimariyon se,[52]
  • Jhoot se,[53]
  • Gumrahi aur hadd se guzarne se, ye wabasta hai.[54]

To,…, Quran, Surah al-Baqarah shuru hote hi ye declare kar raha hai ke, iss kitab me, iss qanoon me, aur kyun ke Quran ko shifa bhi kaha gaya hai, to iss prescription me, insaani bimariyon ki dawa me, koi shak nahi.

  • Ahmad, Tirmidhi, Nasai aur Darimi se ye hadith milti hai jisay Shiekh Nasiruddin Albani ne sahih kaha, Hasan bin Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُما) farmate hain maine Rasoolullah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) se ye baat zehan nasheen karli ke;
    • Jo cheez shak paida kare, uss ko chhorrh do, aur uss ki taraf palat jao jo shak ko door kare,
    • Sach se sukoon milta hai aur jo shak hota hai ya jo doubtful hai, wohi jhoot hai.[55]
    • Ye ek aisa statement hai jo ke advance medical science ka subject hai, jisay “doubt psychology” kehte hain, jis mein “mind mapping softwares” ke zariye ye maloom karne ki koshish ki ja rahi hai ke insaan kin wajohat ke bina per doubt ya shak mein padta hai, jis ki wajah se wo optimum level per perform nahi kar pata.
    • To ye Quran ki khasiyat hai ke, jo doubt ya shak, insaan ke andar hai, usay pehli hi bata diya ja raha hai ke, iss kitab me koi shak wali cheez nahi.
  • Iss me sirf aur sirf haq hai,
  • Ye baat zehan me bittha lo, ya jaisa hum kehte hain,…, kaan khol kar sunn lo iss kitab me, is qanoon me koi shak ki cheez nahi.
  • References

    [51] Al Quran, Surah al-Hadeed, Chapter 57: Verse 14

    [52] Al Quran, Surah an-Noor, Chapter 24: Verse 50

    [53] Al Quran, Surah al-Ankaboot, Chapter 29: Verse 48

    [54] Al Quran, Surah Ghafir, Chapter 40: Verse 34

    [55] Al-Hasan b. ‘Ali said: I have retained in my memory these words of God’s Messenger, “Leave what causes you doubt and turn to what does not cause you doubt. Truth is tranquility, but falsehood is doubt.”

    Ahmad, Tirmidhi and Nasa’i transmitted it, and Darimi transmitted the first part.

    وَعَنِ الْحَسَنِ بْنِ عَلِيٍّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا قَالَ: حَفِظْتُ مِنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «دَعْ مَا يَرِيبُكَ إِلَى مَا لَا يَرِيبُكَ فَإِنَّ الصِّدْقَ طُمَأْنِينَةٌ وَإِنَّ الْكَذِبَ رِيبَةٌ» . رَوَاهُ أَحْمَدُ وَالتِّرْمِذِيُّ وَالنَّسَائِيُّ وَرَوَى الدَّارِمِيُّ الْفَصْل الأول – حكم : صَحِيح (الألباني)

    Reference: Mishkat al-Masabih 2773

Comments are closed.