GHAYR ( Not or save ) غَيْرِ 1:7
Lafz-e-Ghair ka maddah ya root (غ ى ر) hai, jis ka matlab Not, ya except ke aate hain. Issi root ke alfaz me,
- Lafz-e-Yughayyirunna hai, jis ke maane tabdeel karna, alter karne ke aate hain.[31]
- Lafz-e-Yughayyiru hai, change karna, badalne ke maane aate hain.[32]
- Lafz-e-Ghair ka matlab, doosre ke aaye hain, jaise dozaq me insaan jab jalenge, to unn ka skin, unn ki jild jal jayega to doosri jild se badal di jayegi kaha.[33]
- Phir Surah al-Baqarah me, Li ghairi Allah aya hai, zabiha par Allah ka naam se hatt kar kisi aur ka naam lena, other than Allah ke maane aye hain.[34]
- Bi ghairi al-Haq aya hai, Yahood nabiyon ka qatl kiya karte the, bi-ghairi al-Haq, baghair haq per rahe, yani na-haq qatl karte the.[35]
- Lafz-e-al-Mughiraat aya hai, Surah al-Adiyaat me, Fa al-Mughiraati Sub’ha, chaapa maarna, Raid karne ke maane aaye hain.
References
[31] Al Quran, Surah an-Nisa, Chapter 4: Verse 119
[32] Al Quran, Surah ar-Raad, Chapter 13: Verse 11
[33] Al Quran, Surah an-Nisa, Chapter 4: Verse 56
[34] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 173
[35] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 61