Tafseer Surah al-Baqarah Part 53
Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem
Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah
Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli
As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu
Pichle dars me hum Surah al-Baqarah ki 19wi ayat ki tafseer me hum Lafz-e-Maut ka doosra hissa sunn rahe the, aaj ke dars me 19wi ayat ki tafseer aagay sunenge.
Tarjuma wa Tafseer
Vs. No. 19 Cont’d…
اَوۡ كَصَيِّبٍ مِّنَ السَّمَآءِ فِيۡهِ ظُلُمٰتٌ وَّرَعۡدٌ وَّبَرۡقٌ ۚ يَجۡعَلُوۡنَ اَصَابِعَهُمۡ فِىۡۤ اٰذَانِهِمۡ مِّنَ الصَّوَاعِقِ حَذَرَ الۡمَوۡتِؕ وَاللّٰهُ مُحِيۡطٌۢ بِالۡكٰفِرِيۡنَ
Ya unn ki misal aisi hai jaise aasman se bade zor ki barish baras rahi hai, uss me andhere bhi hain, badalon ki garaj aur bijli (ki chamak) bhi, to ye bijli ke zor daar kadakne ki wajah se (darr kar) maut ke khauf se kano me apni ungliyan tthos li hain aur Allah kafiron ko har taraf se ghere huwe hai.
Iss ayat ke gyara alfaaz me se hum 10 alfaaz ke maane sunn chuke hain, aur 11wa Lafz Muheet hai.
Lafz-e-Maut per kuch baatein bayan karke aagay badhte hain;
Maut se aamna saamna
- Sahih Bukhari ki hadith, Jab maut ka farishta Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke paas aya, to unhone zor se thappad maar kar unki ek aankh kharab kar di.
- Farishta wapas apne rab ke paas wapas gaya aur kaha ke aap ne mujhe ek aisay bande ke paas bheja hai jo marna nahi chahta.
- Allah taala ne unki aankh theek kar di aur farmaya ke wapas jao aur Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) se kaho ke woh apna haath bail ki peeth par rakh de, aur unke haath ke neechay jitne baal honge utne saal tak aap ki zindagi badha di jayegi.”
- chunanchay farishta Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke paas aaya aur unhe Allah tala ki pesh-kash batayi,
- To Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne poocha aye mere rab iss ke aage kya ho ga?
- Uss ke aagay tumhari mout hogi, toh iss per Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha ke phir to maut abhi honay di jiye…[1]
- Bukhari ki ek aur hadith ka mafhoom, Jab Rasool Allah (صلى الله عليه وسلم) sehatmand thay to ye farmaya karte thay ke, “kisi nabi ko uss waqt tak maut nahi aati jab tak ke unhone jannat mein apni jagah nah dekh li ho, phir unhe ikhtiyar diya jata hai”,
- Jab Aap (صلى الله عليه وسلم) maut ke kareeb pahunche, jab ke aap (صلى الله عليه وسلم) ka sar Amma Aisha ki godh me tha, aap behosh ho gaye, phir bedaar huwe, aur aap (صلى الله عليه وسلم) ne chhat ki taraf dekha aur farmaya, اللَّهُمَّ الرَّفِيقَ الأَعْلَى””, Aye Allah, (jo sab se) behtareen saathi (hai)”
- toh Amma Aisha (أم ٱلْمُؤْمِنِين) samajh gayee ke, aap (صلى الله عليه وسلم) hamare sath rehne ko ikhtiyar nahi kar rahe hain, ek aur hadith me farmaya ke, Amma Aisha samajh gayi ke wo choice aap (صلى الله عليه وسلم) de di gayee aur aap Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ka sath pasand kar liye, choose kar liye aur jo aakhri kalimaat aap (صلى الله عليه وسلم) keh rahe thay ” اللَّهُمَّ الرَّفِيقَ الأَعْلَى”, “O! Allah, (with) the highest Companion”[2]
- Inn do ahadith se pata chala ke, Rasool Allah (صلى الله عليه وسلم) ko aur har Nabi aur Rasool ko iss tarah ki choice di gayi ke wo chahe toh iss duniya mein hamesha ke liye reh sakte hain, ya nahi,
- Aur agar aap (صلى الله عليه وسلم) iss duniya ko pasand farmate toh kya hota ye hum nahi jaante,
- Bachpan me, hum me se kisi ne hamare walid se ye poochha tha ke, agar Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) iss duniya ko select kar lete to kya hota, to hamare walid sahab, Allah Jannat naseeb kare, kisi aalim se poochh kar bataya ke, aap (صلى الله عليه وسلم) sirf maujood hotay, aap ki nabuwwat khatam ho jaati, aap decommission ho jaate lekin maujood hotay.
- Ye khayal baar baar ata ke, agar aap (صلى الله عليه وسلم) hotay to kum-az-kum hum unn ko dekh sakte, aur ye khayal bhi ata ke, agar hum gunah karte to aap ke saamne kaise jaate, waghairah, waghairah.
- Ab haal hi me, kisi dost ne kaha ke, agar aisa hota to Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) iss duniya ko hi jannat bana deta, warna choice dene ka kya matlab hai?
- Tamam anbiya ko ye choice di gayee aur kisi nabi ne, duniya ko choose nahi kiya, sab ne Allah ka sath pasand kiya.
- Asal baat to ye hai ke, ye sab batein hume nahi sonchna chahiye, kyun ke, agar aisa hota to kya hota par ek hadith ka mafhoom hai ke, aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, agar aur magar shaitan ke liye darwaza khol dete hain.[3]
- To agar Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) iss duniya ko ikhtiyar karte to kya hota, hume nahi maloom, kyun ke,
- Zahiri taur per Rasool Allah (صلى الله عليه وسلم) ne iss duniya ko nahi pasand kiya aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ka saath pasand kiya, sab se behtreen sathi ke saath rehna pasand kiya.
- Tirmidhi ki hadith, farmaya Rasool Allah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, shaheed ko mout ke chhu-ne ka ehsas nahi hota siwaye iss ke, jaise kisi keeday ke katne ka ehsas hota hai. [4], [5]
Maut say Nafrat (كراهية الموت)
Quran mein aata hai ke, Aur tum paoge tamam insaano se zyada harees ya greedy, iss duniya ki zindagi par, yahan tak ke mushrikon se bhi zyada greedy (yahoodiyon ko), unn me se har ek ki ye khwahesh ha ke kisi tarah, uss ki umar hazar saal ki ho jaye, magar itni lambi umar uss ko mil bhi jaye to usay azab se to nahi bacha sakti, aur jo kaam ye karte hain, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) dekh raha hai.
- Aaj mushrikon ke paas kya hai, punar janam hai, dobara wo zinda ho kar iss duniya me aayenge, kyun ke, maut par inn ka koi bass nahi
- Aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) farmate hain ke, mushrikon se bhi zyada lambi zindagi ki tamanna, yahoodiyon ko hai – jo ek hazar baras jeena chahte hain aur marna nahi chahte.
- Phir Allah (ربُّ الْعِزَّت) ne farmaya ke, ye lambi zindagi unhe dozaq ke azab se nahi bacha sakti, iss par hum aagay baat karenge.
Maut se nafrat to hum sab ko hai, Muslim ki ek hadith me Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, jo Allah se milna chahta hai, Allah uss se milna chahta hai aur jo Allah se nahi milna chata, Allah uss se nahi milna chahta.
- Iss par Amma Aisha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْها) ne aap (صلى الله عليه وسلم) se kaha ke, Maut se karahiyat, maut se nafran to hum sab karte hain, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, main iss ki baat nahi kar raha hoon…[6]
- Abu Dawood ki ek hadith me, jo asal karahiyat hai maut se,…, uss ka zikr aa raha hai ke, farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, “Jald hi log tum par hamla karne ke liye ek doosre ko dawat denge, jaisa ke log khana khaate waqt doosron ko dawat dete hain.
- Kisi ne sawal kiya ke, kya uss waqt hamari tedad ki kami ki wajah se aisa hoga?
- Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya: Nahi! Uss waqt tum bohot zyada hogay, lekin tum sailab ke jhaag aur kachre ki tarah hogay, aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) tumhare dushman ke seeno se tumhara khauf nikal dega aur tumhare dilon me wahn daal dega,
- Kisi ne poocha ke, ye wahn kya hai? Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Hubb ad-Duniya wa Karahiyatul Maut, matlab duniya ki mohabbat aur Maut se Nafrat.[7]
- Issi liye aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, Maut ko yaad karte raha karo, uss ke liye kya karna hai, Qabron ki ziyarat karna chahiye.
Maut kitni door hai?
- Log aakar Rasool Allah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) say baar baar poochte thay ke Qayamat kab aayegi, ye jo aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) hume baar baar Qayamat qayamat bolkar dara-te hain, toh ye kab aayegi?
- Quran mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne farmaya, Aye Nabi (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) inn se keh dijiye ke aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) nahi jaante ke qayamat kab aayegi.
- Ek aur hadith mein aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) farmaya ke tumhari qayamat utni hi door hai jitni ke tumhari maut, aur tumne uss ke liye kya tayari ki hai?
- Ek aur hadith mein farmaya ke jab mein namaz mein ek salam pherta hoon to mujhe pata nahi hota ke doosra salam bhi pher paaonga ya nahi, ya uss se pehlay meri maut aa jayegi.
- Toh insaan ki maut kitni door hai? chand lamhe, few seconds, only.
- Toh insaan ki qayamat kitni door hai? Jitni door maut hai utni door Qiyamat hai, kyun ke, insaan ka inteqaal hoga aur wo jab utthega to Qiyamat ke din utthega.
Ye maut ke baare me sunn kar depress nahi ho jana hai, al-Adab al-Mufrad ki ek hadith se iss topic ko hum positive note par khatam karte hain, farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, Jab iss kayenaat ka aakhri lamha aa jaye aur tumhare hath me, ek tehni ho, ya ek pauda ho jo wo lagane ja raha tha, to usay chahiye ke uss paude ko laga de.[8]
- Maut saamne khadi hai, niyyat nek kaam ki thi, mauqa hai to nek kaam kar le.
- Momin ke liye, koshish hi koshish hai ye zindagi,
- Sonch kar dekhiye, kayenaat khatam hone ja rahi hai…ek maukha hai to usay istemaal kar le.
To ye tha, Lafz-e-Maut par teesra hissa, ab iss ke aagay iss ayat ka aakhri lafz Muheet hai.
89. MUHIIT ( Encompasser ) مُحِيطٌ ( ح و ط ) 2:19
Lafz-e-Muheet ka root ya maddah (ح و ط) hai jis ke maane gher lene wala, ihata karne walay ke aaye hain. Doosre maane jo aaye hain, unn me;
- Surah Yunus me farmaya, Wohi to hai jo tumhe sayr karata hai, khushki aur samandar me, yahan tak ke jab tum kashtiyon me sawar hote ho, aur wo chal rahi hoti hain (Tum ko le kar) khushgawar ya muwafiq hawa ke sath aur wo uss se khush hotay hain ke, achanak tez hawa ka jhakkad chal parrhta hai aur har taraf se maujein unn ki taraf badhne lagti hain aur wo samajhne lagte hain ke, wo inn lehron me gher liye gaye hain…[9] Surrounded by waves ka matlab aya hai.
- Phir Surah Yusuf me Yaqoob (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ka qaul record karte huwe farmaya, Yaqoob (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ne kaha, jab tak tum Allah ki qasam na khao ke, uss ko mere paas (sahih salim) wapas le aaoge, main usay (yani Yusuf (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke bhai ko) hargiz tumhare sath nahi bhejoonga, magar ye ke tum gher liye jao yani bebas ho jao majboori ki soorat me (to alag baat hai)…[10]
- In do ayaton me, physically gher liye jaane ke maane aaye hain.
- Aur Abstract sense me, ilm se ihata karna aya hai, jaisa Ayat al-Kursi me farmaya ke, …Wala Yuheetuoona bi-Shay’im min ilmihi illa bima Sha’a…Aur wo Ihata nahi kar sakte, samajh nahi sakte yani Allah ka ilm wo hasil nahi kar sakte, siway uss ke jo Allah dena chahe.[11]
- Aur jab Qiyamat ke din hum har ummat me se uss giroh ko jama karenge, jo hamari ayaton ka inkaar karte thay, to unn ko ek jagah jama kiya jayega,[12] yahan tak ke jab sab aajayenge, to Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) farmayenge: Kya tum ne meri aayaton ko jhutlaya tha halanke tumne unn (ayaton) ka ilmi ihata nahi kiya tha? (Yani apna ilm laga kar unn ko samjha hi nahi tha) Bhala tum karte kya thay?[13]
- Phir Surah at-Talaq me farmaya, …Allah apne ilm se har cheez par ihata kiye huwe hai.[14]
- Surah an-Nisa me ek jagah farmaya ke, …Allah tala logon ke amaal ka ihata kiye huwe hain.[15]
- Surah an-Nisa me hi ek aur jagah farmaya ke, Aur aasmaano aur zameen me jo kuch hai wo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) hi ka hai aur Allah tala har cheez ko ghere huwe hai.[16]
- Surah al-Isra me farmaya ke, Allah (ربُّ الْعِزَّت) logon ko ihata kiye huwe hai,…[17]
- Baaz logon ne iss ayat ka tarjuma – physical presence ke sense me kya hai, lekin inn tamaam ayaat par ghaur karne se aisa lagta hai ke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ko physically har jagah honay ki zaroorat nahi hai, unn ki shaan badi hai, wo apni shaan ke aitebaar se maujood hain aur cheezon ko apne ilm ke ihatay me liye huwe hain, wo har cheez ko jaante hain.
- Hum iss ko imagine nahi kar sakte, kyun ke, Allah Tala waise nahi hain jo kisi ke imagination me sama jaye, wo akele hain, unn jaisa koi nahi, wo unique hain.
- Wo har cheez ka ihata kiye huwe hain, surround kiye huwe hain, aur wo zabar-dast hain, har cheez par qudrat rakhte hain.
Ahadith jo iss lafz par aaye hain, unn ka mafhoom aa raha hai;
- Bukhari, Ibn Majah aur Tirmidhi ki ahadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ek chawkore zameen par utara yani ek square zameen par utara aur uss ke beech-o-beech me ek line utaari, aur ek line utaari jo uss square ke bahar tak ja rahi thi, aur uss chawkore ke atraaf choti choti lines utaari aur farmaya,
- Ye Ibn-e-Adam hai, yani uss square ke beech me insaan hai, aur jo chowkore hai, wo uss ki zindagi hai jo uss ko ghere huwe hai,
- aur wo choti lines uss ki mushkilein hain, wo ek se bachta hai to doosri uss ko pakad leti hai
- aur jo line square ke bahar ja rahi hai, wo uss ki ummeed hai.[18]
- To maut ke baad tak aagay chali gayee hai, matlab ye ke, aaj raat ko inteqaal ho raha hai, aur wo 1 saal baad ki planning me laga huwa hai.
- Abu Dawood ki ek hadith me, kisi banjar zameen par deewar se ihata karne ke maane aye hain. Matlab boundary wall banana, to surround ke maane aaye hain.[19]
To yahan iss ayat ke 11 afaaz ki tafseel poori huwi, to iss ayat ka tarjuma inn tamam ko madde nazar rakhte huwe ye hoga ke,
- Ya unn ki misal aisi hai jaise aasman se bade zor ki barish baras rahi hai, uss me andhere bhi hain, badalon ki garaj aur bijli (ki chamak) bhi, to ye bijli ke zor daar kadakne ki wajah se (darr kar) maut ke khauf se kano me apni ungliyan tthos li hain aur Allah kafiron ko har taraf se ihata kiye huwe hai, ghere huwe hai.
- Ye doosri misaal di ja rahi hai kafiron aur munafiqon ki, jo maut ke darr se bijli ki kadak ki awaz na sunne ke liye apne kano ko ungliyon se band kar rahe hain, to kaisi bewaqoofi hai ke, bijli agar unn par girna hi hai to uss ki awaz na sunne se kya bijli se bach jayenge,
- Balke, Bijli ki kadak agar zor daar hai, to bijli qareeb me giri hai, to uss se bachne ke bajaye, uss ki awaz ko rokne ki koshish kar rahe hain,
- Theek ussi tarah, agar Quran nahi sunenge to kya ye kafir aur munafiq ye samajh rahe hain ke, dozaq ke azab se bach jayenge?
- Ye baat ko zehen-nasheen kar lijiye ke, hamare deen me ignorance is not bliss, jaise mash’hoor kahawat hai English me ke, ignorance is bliss…Nahi, if you ignore the Quran, jaisa ke abhi humne suna ke, Qiyamat ke din, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) apne saamne khada karke sawal karenge ke, tumne meri ayaat ka inkaar kiya, baghair uss ko samjhe ke, to tum karte kya thay.
- Quran ko sunenge hi nahi, to samajhna to door ki baat hai, aur Quran me kya likha huwa hai ye na jaanna, koi bahana nahi hai – dozaq ke azab se bachne ke liye.
- Ye baat to sirf kafiron aur munafiqon par hi apply nahi ho rahi hai, hum apne baare me bhi ye sonch lein ke, hum me se baaz log sirf Quran ki tilawat Arabi zaban me karte hain, baghair uss ko samjhe ke, to ye baat hum par bhi apply hoti hai ke, kya Quran ke maane nahi maloom, ya Quran me kya likha huwa hai ye agar hum nahi jaante, to ye bahana kaafi nahi hai ke, uss par amal na karne se dozaq se bach jayenge.
- Kya hum apne har mamelaat me, Quran ko refer karte?
- Kisi kaam ko karne se pehle, kabhi ye sonchay ke, aakhir Quran aur ahadith me kya hukum hai, iss cheez ke baare me?
- Kya hum apne jhagdon ko Quran ke zariye hal karte hain?
- Nahi, hamari zindagiyon me Quran kahan hai?
- Hum log to ye chah rahe hain ke, Uniform Civil Code Raij ho jaye, takay Quran ke ahkamaat se bach jaye.n
- Hum to wirasat ke mamele bhi, shariyat ke khilaf kaam karte huwe ada karna chahte hain.
- Ek Bhai sahab, aye aur kaha ke, hamare mamoo – hamari waleda aur khalaon ko wirasat ka hissa kum karke dena chahte hain, khalaon ka hissa 35% kuch ho raha tha, mamu’on ne mill kar behne ko 25% de rahe thay aur Nani ka hissa bhi nahi diya.
- Bechari Nani ko bhi nahi maloom, betay jaisa bolay wo bhi waise hi dohra rahi hain. Aur jo bhai sahab Quran ke hisson ke baat jab unn ko bataye, to sab inn ke khilaaf ho gaye.
- Jaise ke koi naya qanoon aa gaya aur wo uss ki itteba karne ko kaha ja raha hai.
- Ye to haal hamari ummat ka hai, hum jaanna hi nahi chahte ke Quran me kya hai, to uss ko implement kaise karenge, uss par amal kaise karenge?
- Aur hum expect karte hain ke, Allah hume jannat me daal dega?
- Iss ayat me Allah Tala ishara de rahe hain ke, jis tarah kano me ungliyan daal kar bijli se nahi bach sakte, waise hi Quran ka inkaar karke, aur uss ko na sunn kar tum azab se nahi bach sakte.
- To hume bhi chahiye ke, Quran jis cheez se agah kar raha hai, wo hum apne andar bhi dhoonde ke, kya hum kahin aisa amal to nahi kar rahe hain.
- Hum samajh rahe thay ke, hum jannati amal kar rahe hain, jab ke humne Quran par amal hi nahi kiya, to kahin jannat ke bajaye dozaq me na chale jaye.n
- Wallahu Muheetun bil kafireen, aur Allah Tala Kafiron ko ghere huwe hain, Allah (ربُّ الْعِزَّت) ko pata hai ke, Kafir kya amal kar rahe hain. Gaza me kya ho raha hai, aur deegar jagahon par kya ho raha hai, ek ek cheez Rabbul Alameen ko pata hai.
- Allah Tala se dua hai ke, wo hume haq ke raaste par, Deen-e-Islam par rakhe aur Neku-kaaron me shamil kare. Ameen.
Vs. No. 20
يَكَادُ الۡبَرۡقُ يَخۡطَفُ اَبۡصَارَهُمۡؕ كُلَّمَاۤ اَضَآءَ لَهُمۡ مَّشَوۡا فِيۡهِۙ وَاِذَاۤ اَظۡلَمَ عَلَيۡهِمۡ قَامُوۡاؕ وَلَوۡ شَآءَ اللّٰهُ لَذَهَبَ بِسَمۡعِهِمۡ وَاَبۡصَارِهِمۡؕ اِنَّ اللّٰهَ عَلٰى كُلِّ شَىۡءٍ قَدِيۡرٌ
Qareeb hai ke, bijli ki chamak unn ki basarat le le, yani aankhon ki binayi salb kar le, jab bijli chamakti hai to unn par roshni padti hai, to uss roshni me chalte hain, aur jab andhera ho jata hai to ruk jaate hain, aur khade ke khade reh jaate hain, aur agar Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) chahta to unn ke kaano ki shinwai, yani sunne ki taqat aur aankhon ki binai, yani dekhne ke salahiyat ko salb kar leta, yaqeenan Allah har cheez par qadir hai.
Ab iss ayat me, samajhne ke 8 alfaaz hain; Yakaadu, Yakhtafu, Mashaw, Qaamu, Sha’a. Kul, Shai, aur Qadeer.
Iss ayat ka pehla lafz aur Surah al-Fatiha se parrhne ki tarteeb ka 90wa lafz Yakaadu hai.
90. YAKAADU ( It Almost ) يَكَادُ ( ك و د ) 2:20
Hamare ustaad Dr. Anees apni kitab Explanatory Dictionary of the Holy Quran me likhte hain ke, lafz-e-Yakaadu ka root ya maddah (ك و د) hai, jis ke maane “almost” ya “Qareeb tha ke” aye hain. Quran-e-Majeed me aur jo maane aaye hain, unn me;
- Lagta nahi tha,[20] ke maane aaye hain,
- Intend ke maane aaye hain, Chaah, jaise Samajhna nahi chahte,[21]
- Tul jaane ya poori koshish karne ke maane aaye hain,[22]
- Mushkil se, ke maane aaye hain.[23]
Iss lafz par jo ahadith aayi hain, unn ka mafhoom aa raha hai;
- Muslim ki hadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne fajr ki namaz uss waqt parrhayi, jab log ek doosre ko Mushkil se pehchaan saktay thay.[24]
- ahadith me Yakadu ke maane, mushkil se ke aaye hain.
Yahan Dars rok denge, next Saturday In Sha Allah Surah al-Baqarah ki tafseer agay sunenge.
Al hamdulillahi Rabbil Alameen
Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam
Rabbana aatina fid duniya…
References
[1] Narrated Abu Huraira: The angel of death was sent to Moses and when he went to him, Moses slapped him severely, spoiling one of his eyes. The angel went back to his Lord, and said, “You sent me to a slave who does not want to die.” Allah restored his eye and said, “Go back and tell him (i.e. Moses) to place his hand over the back of an ox, for he will be allowed to live for a number of years equal to the number of hairs coming under his hand.” (So the angel came to him and told him the same). Then Moses asked, “O my Lord! What will be then?” He said, “Death will be then.” He said, “(Let it be) now.” He asked Allah that He bring him near the Sacred Land at a distance of a stone’s throw. Allah’s Messenger (ﷺ) (p.b.u.h) said, “Were I there I would show you the grave of Moses by the way near the red sand hill.”
حَدَّثَنَا مَحْمُودٌ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّزَّاقِ، أَخْبَرَنَا مَعْمَرٌ، عَنِ ابْنِ طَاوُسٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ ” أُرْسِلَ مَلَكُ الْمَوْتِ إِلَى مُوسَى ـ عَلَيْهِمَا السَّلاَمُ ـ فَلَمَّا جَاءَهُ صَكَّهُ فَرَجَعَ إِلَى رَبِّهِ فَقَالَ أَرْسَلْتَنِي إِلَى عَبْدٍ لاَ يُرِيدُ الْمَوْتَ. فَرَدَّ اللَّهُ عَلَيْهِ عَيْنَهُ وَقَالَ ارْجِعْ فَقُلْ لَهُ يَضَعُ يَدَهُ عَلَى مَتْنِ ثَوْرٍ، فَلَهُ بِكُلِّ مَا غَطَّتْ بِهِ يَدُهُ بِكُلِّ شَعْرَةٍ سَنَةٌ. قَالَ أَىْ رَبِّ، ثُمَّ مَاذَا قَالَ ثُمَّ الْمَوْتُ. قَالَ فَالآنَ. فَسَأَلَ اللَّهَ أَنْ يُدْنِيَهُ مِنَ الأَرْضِ الْمُقَدَّسَةِ رَمْيَةً بِحَجَرٍ ”. قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ” فَلَوْ كُنْتُ ثَمَّ لأَرَيْتُكُمْ قَبْرَهُ إِلَى جَانِبِ الطَّرِيقِ عِنْدَ الْكَثِيبِ الأَحْمَرِ ”.
Reference: Sahih al-Bukhari 1339
[2]Narrated `Aisha: When the Prophet (ﷺ) was healthy, he used to say, “No soul of a prophet is captured till he is shown his place in Paradise and then he is given the option.” When death approached him while his head was on my thigh, he became unconscious and then recovered his consciousness. He then looked at the ceiling of the house and said, “O Allah! (with) the highest companions.” I said (to myself), “Hence, he is not going to choose us.” Then I realized that what he had said was the application of the narration which he used to mention to us when he was healthy. The last word he spoke was, “O Allah! (with) the highest companion.”
حَدَّثَنَا بِشْرُ بْنُ مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ، قَالَ يُونُسُ قَالَ الزُّهْرِيُّ أَخْبَرَنِي سَعِيدُ بْنُ الْمُسَيَّبِ، فِي رِجَالٍ مِنْ أَهْلِ الْعِلْمِ أَنَّ عَائِشَةَ قَالَتْ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ وَهْوَ صَحِيحٌ ” إِنَّهُ لَمْ يُقْبَضْ نَبِيٌّ حَتَّى يَرَى مَقْعَدَهُ مِنَ الْجَنَّةِ، ثُمَّ يُخَيَّرَ ”. فَلَمَّا نَزَلَ بِهِ وَرَأْسُهُ عَلَى فَخِذِي غُشِيَ عَلَيْهِ، ثُمَّ أَفَاقَ، فَأَشْخَصَ بَصَرَهُ إِلَى سَقْفِ الْبَيْتِ ثُمَّ قَالَ ” اللَّهُمَّ الرَّفِيقَ الأَعْلَى ”. فَقُلْتُ إِذًا لاَ يَخْتَارُنَا. وَعَرَفْتُ أَنَّهُ الْحَدِيثُ الَّذِي كَانَ يُحَدِّثُنَا وَهْوَ صَحِيحٌ قَالَتْ فَكَانَتْ آخِرَ كَلِمَةٍ تَكَلَّمَ بِهَا ” اللَّهُمَّ الرَّفِيقَ الأَعْلَى ”.
Reference: Sahih al-Bukhari 4463
[3] It was narrated that Abu Hurairah said: “The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘The strong believer is better and more beloved to Allah than the weak believer, although both are good. Strive for that which will benefit you, seek the help of Allah, and do not feel helpless. If anything befalls you, do not say, “if only I had done such and such” rather say “Qaddara Allahu wa ma sha’a fa’ala (Allah has decreed and whatever he wills, He does).” For (saying) ‘If’ opens (the door) to the deeds of Satan.'”
حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، وَعَلِيُّ بْنُ مُحَمَّدٍ الطَّنَافِسِيُّ، قَالاَ حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ إِدْرِيسَ، عَنْ رَبِيعَةَ بْنِ عُثْمَانَ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يَحْيَى بْنِ حَبَّانَ، عَنِ الأَعْرَجِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ ” الْمُؤْمِنُ الْقَوِيُّ خَيْرٌ وَأَحَبُّ إِلَى اللَّهِ مِنَ الْمُؤْمِنِ الضَّعِيفِ وَفِي كُلٍّ خَيْرٌ احْرِصْ عَلَى مَا يَنْفَعُكَ وَاسْتَعِنْ بِاللَّهِ وَلاَ تَعْجِزْ فَإِنْ أَصَابَكَ شَىْءٌ فَلاَ تَقُلْ لَوْ أَنِّي فَعَلْتُ كَذَا وَكَذَا. وَلَكِنْ قُلْ قَدَّرَ اللَّهُ وَمَا شَاءَ فَعَلَ فَإِنَّ ”لَوْ” تَفْتَحُ عَمَلَ الشَّيْطَانِ”
Grade: Sahih (Darussalam) | Reference: Sunan Ibn Majah 79
[4] Narrated Abu Hurairah: That the Messenger of Allah (ﷺ) said: “The martyr does not sense the touch of death except as one of you senses the touch of a (bug) bite. [Abu ‘Eisa said:] This Hadith is Hasan Gharib Sahih.
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ، وَأَحْمَدُ بْنُ نَصْرٍ النَّيْسَابُورِيُّ، وَغَيْرُ، وَاحِدٍ، قَالُوا حَدَّثَنَا صَفْوَانُ بْنُ عِيسَى، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَجْلاَنَ، عَنِ الْقَعْقَاعِ بْنِ حَكِيمٍ، عَنْ أَبِي صَالِحٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم “ مَا يَجِدُ الشَّهِيدُ مِنْ مَسِّ الْقَتْلِ إِلاَّ كَمَا يَجِدُ أَحَدُكُمْ مِنْ مَسِّ الْقَرْصَةِ ” . قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ غَرِيبٌ .
Grade: Da’if (Darussalam) | Reference: Jami` at-Tirmidhi 1668
[5] We do not know of anyone who is saved from this hardship apart from the martyr. Imam Ahmad (7953), at-Tirmidhi (1668 – and he classed it as sahih), an-Nasai (3161) and Ibn Majah (2802) narrated from Abu Hurayrah that the Messenger of Allah (blessings and peace of Allah be upon him) said: “The martyr does not feel anything more when he is killed than one of you feels if he is pinched.” (Classed as sahih by al-Albani in Sahih at-Tirmidhi and elsewhere)
Reference: Signs of Death in Islam – Islam Question & Answer
[6] ‘Aishah (May Allah be pleased with her) reported: The Messenger of Allah (ﷺ) said, “He who loves to meet Allah, Allah loves to meet him; and he who dislikes to meet Allah, Allah abhors to meet him.” I (‘Aishah) said: “O Messenger of Allah! So far as the feelings of aversion against death is concerned, we all have this feeling.” Thereupon he said, “I do not mean that. What I meant is that when a (true) believer is given the glad tidings of the Mercy of Allah, His Pleasures and His Jannah (at the time of death), he loves to meet Allah, and Allah also loves to meet him. When a disbeliever is given the news of the Torment of Allah and His Wrath (at the time of death), he dislikes to meet Allah and Allah also abhors to meet him.” [Muslim].
وعنها قالت : قال رسول الله صلى الله عليه وسلم : ”من أحب لقاء الله أحب الله لقاءه، ومن كره لقاء الله كره الله لقاءه” فقلت: يا رسول الله ، أكراهية الموت؟ فكلنا نكره الموت! قال:”ليس كذلك، ولكن المؤمن إذا بشر برحمة الله ورضوانه وجنته أحب لقاء الله ، فأحب الله لقاءه، وإن الكافر إذا بشر بعذاب الله وسخطه، كره لقاء الله وكره الله لقاءه” ((رواه مسلم)).
Grade: Sahih | Reference: Riyad as-Salihin 1848
[7] Narrated Thawban: The Prophet (ﷺ) said: The people will soon summon one another to attack you as people when eating invite others to share their dish. Someone asked: Will that be because of our small numbers at that time? He replied: No, you will be numerous at that time: but you will be scum and rubbish like that carried down by a torrent, and Allah will take fear of you from the breasts of your enemy and last enervation into your hearts. Someone asked: What is wahn (enervation). Messenger of Allah (ﷺ): He replied: Love of the world and dislike of death.
حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ إِبْرَاهِيمَ الدِّمَشْقِيُّ، حَدَّثَنَا بِشْرُ بْنُ بَكْرٍ، حَدَّثَنَا ابْنُ جَابِرٍ، حَدَّثَنِي أَبُو عَبْدِ السَّلاَمِ، عَنْ ثَوْبَانَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ” يُوشِكُ الأُمَمُ أَنْ تَدَاعَى عَلَيْكُمْ كَمَا تَدَاعَى الأَكَلَةُ إِلَى قَصْعَتِهَا ” . فَقَالَ قَائِلٌ وَمِنْ قِلَّةٍ نَحْنُ يَوْمَئِذٍ قَالَ ” بَلْ أَنْتُمْ يَوْمَئِذٍ كَثِيرٌ وَلَكِنَّكُمْ غُثَاءٌ كَغُثَاءِ السَّيْلِ وَلَيَنْزِعَنَّ اللَّهُ مِنْ صُدُورِ عَدُوِّكُمُ الْمَهَابَةَ مِنْكُمْ وَلَيَقْذِفَنَّ اللَّهُ فِي قُلُوبِكُمُ الْوَهَنَ ” . فَقَالَ قَائِلٌ يَا رَسُولَ اللَّهِ وَمَا الْوَهَنُ قَالَ ” حُبُّ الدُّنْيَا وَكَرَاهِيَةُ الْمَوْتِ ” . حكم: صحيح (الألباني)
Grade: Sahih (Al-Albani) | Reference: Sunan Abi Dawud 4297
[8] Anas ibn Malik reported that the Prophet, may Allah bless him and grant him peace, said, “If the Final Hour comes while you have a shoot of a plant in your hands and it is possible to plant it before the Hour comes, you should plant it.”
حَدَّثَنَا أَبُو الْوَلِيدِ، قَالَ: حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ سَلَمَةَ، عَنْ هِشَامِ بْنِ زَيْدِ بْنِ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ: إِنْ قَامَتِ السَّاعَةُ وَفِي يَدِ أَحَدِكُمْ فَسِيلَةٌ، فَإِنِ اسْتَطَاعَ أَنْ لاَ تَقُومَ حَتَّى يَغْرِسَهَا فَلْيَغْرِسْهَا. حكم :صـحـيـح (الألباني)
Grade: Sahih (Al-Albani) | Reference: al-Adab al-Mufrad Book 27, Hadith 4
[15] Quran-ST | 3-120, Quran-ST | 4-108
[18] ‘Abdullah bin Mas’ud narrated “The Messenger of Allah (s.a.w) drew a square line (on the ground) forus, and in the middle of the (square) line he drew another line, and he drew another line going out of the (square) line.Around the one that was in the middle, he drew (various) lines. Then he said: ‘This is the son of Adam, and this is his life-span encircling him, and this one in the middle in the person, and these lines are his obstacles, if he escapes this one, this one ensnares him, and the line extending outside is his hope.'”
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي يَعْلَى، عَنِ الرَّبِيعِ بْنِ خُثَيْمٍ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مَسْعُودٍ، قَالَ خَطَّ لَنَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم خَطًّا مُرَبَّعًا وَخَطَّ فِي وَسَطِ الْخَطِّ خَطًّا وَخَطَّ خَارِجًا مِنَ الْخَطِّ خَطًّا وَحَوْلَ الَّذِي فِي الْوَسَطِ خُطُوطًا فَقَالَ “ هَذَا ابْنُ آدَمَ وَهَذَا أَجَلُهُ مُحِيطٌ بِهِ وَهَذَا الَّذِي فِي الْوَسَطِ الإِنْسَانُ وَهَذِهِ الْخُطُوطُ عُرُوضُهُ إِنْ نَجَا مِنْ هَذَا يَنْهَشُهُ هَذَا وَالْخَطُّ الْخَارِجُ الأَمَلُ ” . هَذَا حَدِيثٌ صَحِيحٌ .
Grade: Sahih (Darussalam) | Reference: Jami` at-Tirmidhi 2454, Sahih al-Bukhari 6417, Sunan Ibn Majah 4231
[19] Al-Hasan said that Samura reported the Prophet as saying, “If anyone puts a wall round land*, it belongs to him.” [Abu Dawud transmitted it] * Mirqat, iii, 369 says the reference is to barren land.
عَنِ الْحَسَنِ عَنْ سَمُرَةَ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «مَنْ أَحَاطَ حَائِطًا عَلَى الْأَرْضِ فَهُوَ لَهُ» . رَوَاهُ أَبُو دَاوُدَ – حكم: لم تتمّ دراسته (الألباني)
Grade: Daif (Hadith.one) | Reference: Mishkat al-Masabih 2996
عن الحسن عن سمرة عن النبي صلى الله عليه و سلم قال : من أحاط حائطا على الأرض فهو له . رواه أبو داود
حضرت حسن بصری حضرت سمرہ سے اور وہ نبی کریم ﷺ سے نقل کرتے ہیں کہ آپ ﷺ نے فرمایا جو شخص افتادہ زمین پر دیوار گھیر دے تو وہ اسی کی ہوجاتی ہے – ( ابوداؤد )
تشریح:
مطلب یہ ہوا کہ جو شخص موات (یعنی افتادہ وغیرآباد) زمین پر دیوار گھیر دے گا وہ زمین اسی کی ملکیت ہوجائے گی۔ گویا یہ حدیث اپنے ظاہری مفہوم کے مطابق اس بات پر دلالت کرتی ہے کہ موات زمین کی ملکیت کے ثبوت کے لئے اس پر دیوار کھینچ دینا کافی ہے جیسا کہ مشہور ترین روایت کے مطابق حضرت امام احمد کا یہی مسلک ہے جب کہ بقیہ ائمہ کے نزدیک ایسی زمین کی ملکیت کے ثبوت کے لئے احیاء یعنی اس کو آباد کرنا شرط ہے جس کی وضاحت باب کے شروع میں کی جا چکی ہے اور یہ بالکل ظاہر ہے کہ دیوار کھینچنا احیاء یعنی آباد کرنے کے مفہوم میں داخل ہی نہیں ہے لہذا تینوں ائمہ کے مسلک کے مطابق اس حدیث کی تاویل یہ ہوگی کہ اس سے سکونت کے لئے دیوار کھینچنا مراد ہے
Grade: ضعیف
Source: Mishkaat Shareef: 3025 | غیرآباد زمین کو آباد کرنے اور پانی کے حق کا بیان – Hadith.one
[24] Narrated Abu Musa (RA) in another version of Muslim: He (ﷺ) offered the Fajr prayer at daybreak when the people could hardly recognize one another.
وَلِمُسْلِمٍ مِنْ حَدِيثِ أَبِي مُوسَى: { فَأَقَامَ اَلْفَجْرَ حِينَ اِنْشَقَّ اَلْفَجْرُ, وَالنَّاسُ لَا يَكَادُ يَعْرِفُ بَعْضُهُمْ بَعْضًا }
Grade: Sahih | Reference: Bulugh al-Maram Book 2, Hadith 6