Tafseer Surah al-Baqarah Part 47

</p> <p>Tafseer Surah al-Baqarah Part 47</p> <p>


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle dars me hum Surah al-Baqarah ki 19wi ayat ki tafseer me Lafz-e-Samaa ke maano ki tafseel ka Teesra hissa sunn rahe the, aaj ke dars me issi lafz par aur tafseel aa rahi hai.

Tarjuma wa Tafseer

Vs. No. 19 Cont’d…

اَوۡ كَصَيِّبٍ مِّنَ السَّمَآءِ فِيۡهِ ظُلُمٰتٌ وَّرَعۡدٌ وَّبَرۡقٌ ۚ يَجۡعَلُوۡنَ اَصَابِعَهُمۡ فِىۡۤ اٰذَانِهِمۡ مِّنَ الصَّوَاعِقِ حَذَرَ الۡمَوۡتِؕ وَاللّٰهُ مُحِيۡطٌۢ بِالۡكٰفِرِيۡنَ‏

Ya unn ki misal aisi hai jaise aasman se bade zor ki barish baras rahi hai, uss me andhere bhi hain aur garaj aur bijli (ki chamak) bhi, to ye bijli ki kadak ki wajah se (darr kar) maut ke khauf se kano me apni ungliyan tthos li aur Allah kafiron ko har taraf se ghere huwe hai.

80. ASSAMAAA (The sky ) اَلسَّمآءِ ( س م و ) 2:19 Cont’d…

Lafz-e-as-samaa ki tafseer me hum, ye jannay ki koshish kar rahe the ke, aasmaano aur zameen par, Allah ki banayi huwi iss kayenaat par jo ghaur-o-fikr karne ki dawat Quran de raha hai,

  • uss ki haqeeqat kya hai,
  • uss ki importance kya hai aur
  • kya uss ke baghair hum jannat me ja sakte hain ya nahi, aur
  • Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke zamane me kya ghaur-o-fikr ki gayee,
  • Khulafa-e-Rashideen ke zamane me kya huwa aur
  • Uss ke baad ke zamane me kis tarah Musalmano ne ghaur-o-fikr ki, jis ki wajah se scientific discoveries aur innovations ka ek silsila raha, Islamic Golden Age me.
  • Phir humne ye bhi jana ke, iss ghaur-o-fikr ka faida aam Musalmano ko kaise ho raha hai aur phir,
  • Uss se aagay badh kar humne ye bhi jana ke, latest research aasmaano aur zameen ki takhleeq me, Big Bang Theory hai aur uss ke mutabiq ye kayenaat kaise wajood me aayee aur iss ko prove karne ke liye jo observations aur experiments setup kiye gaye, to uss ki wajah se aam insaano ki zindagi me kya farq pada, ye sab tafseel hum ab tak sunn rahe thay.

To iss ke aagay kya hai ya Hum kya kar sakte hai?

  • Ab agar ye Dars sunn kar koi ye decide kare ke, main Quran ke iss hukum par amal karna chahta hoon aur kisi na kisi field me Research karna chahta hoon, aur issi ko apna zariya-e-Maash banana chahta hoon, to uss ke liye kya options hain?
  • Asal baat to ye hai ke, aaj Musalmaan ye realize kar chuke hain ke, wo ilm ke mamele me aur research ke mamele me thoda peechhay hain,
  • Aur ye realization ke chalte, kayee opportunities aaj available hain, jaise ke;
  • Duniya bhar ke Universities me, Research Grants milte hain, taakay research aur innovation ko badhawa mile, research groups ko faida ho, university ko faida ho, mulk ko faida ho aur aam logon ko faida ho.
  • Gulf me, hukumatein encourage kar rahi hain aur invite kar rahe hain researchers ko, aa kar iss ilaakhay me research karne ke liye,
  • Qatar me, Qatar Research, Development and Innovation Council hai, jo
    • 10 Million Riyal tak ki funding de raha hai, technology me research ke liye.[1]
    • Food Security me innovation ke liye 1.8 Million Riyal tak ki funding di ja rahi hai,[2]
    • Taqreeban itni hi funding Precision Medicine ki field me di ja rahi hai,[3]
    • Qatar University ke zariye, Government Organisations aur Departments ke zariye, alag alag shobon me funding di ja rahi hai.
  • Yehi haal, UAE ka bhi hai, Saudi Arab, Oman, waghairah ka bhi hai.

To ab research kis field me karenge?

  • Ye to aam taur par, jis field me aap ki degree hai ya Masters hai uss par depend karta hai,
  • Ya aap ka interest kis field me hai, uss par depend karta hai.
  • Accounts aur Finance ki field me agar koi hai, to wo kya kare?
  • Aise logon ke liye bhi opportunities hain, Islamic Finance ki field me gunjaish hai, real world challenges ko le kar Islamic Finance, Islamic Banking ki field me kaam kiya ja sakta hai. Ye industry 2027 tak 6.67 Trillion USD tak pahunch jayegi.[4]
  • Computers ki field me, aaj kal Quantum Computing ki baat chal rahi hai, ab ye ek race hai ke, kaun sab se pehla Quantum Computer banayega. 2030 tak ye industry 1.8 Billion USD tak pahunch jayegi, aur iss ke applications har field me hai, Medicine, Chemistry, Transportation, Manufacturing, waghairah me, jahan zyada processing power aur high speed storages ki zaroorat hai.[5]
  • Data Science, ek aur field hai jis me bohot scope hai, kayee opportunities iss field me hain. Data Science me Mathematics hai, Statistics hai, advanced programming hai, advanced analytics hai aur Artificial Intelligence hai, yani AI jisay kehte hain. Har cheez ek doosre se connected hai to jo information hai, jo data hai wo itna zyada ho gaya hai ke, ye ek field bann gayee hai aur iss me bhi bohot saare job openings abhi hai.[6] Iss ki market 2029 tak 484 Billion USD ki ho jayegi.[7]
  • Robotics ki field me, aaj hum dekh rahe hain ke, bilkul insaan jaise dikhne aur baat karne waale robots aa chuke hain, ab jo iss field me research chal rahi hai wo Electronic Skin par research chal rahi hai. Jo insaan ki jild ki tarah ki uss me narmi hogi, aur hamare skin ki tarah hi mehsoos hogi.
    • Aur uss me insaan ke jild ki tarah ki touch sensitivity bhi hogi, matlab ye ke robot ko to nahi pata ke kitna force lagana hai, to iss touch sensitivity ki wajah se robots me control of force aa jayega.
    • Abh tak jo e-skin banayi gayi hai, wo stretch honay par uss ki accuracy khatam ho jaati thi, lekin haal hi me, University of Texas ne jo material istemaal kiya hai, wo iss problem ko khatam kar dega.[8]
    • Robotics ki industry 2032 tak 283 Billion USD tak pahunch jayegi.[9]
  • Robots ki baat kar chal rahi hai to inn ko smart bananay me Artificial Intelligence ka bohot bada hath hai,
    • Aaj AI ki field itni badi ho gayee hai ke, har jagah AI assistants, aur support ke liye software BOTs maujood hain.
    • AI ki field me aaj keh rahe hain ke, 5 lakh ke qareeb job available hain lekin log nahi hai iss field me, yani ke 5 lakh logon ki shortage hai iss field me.
    • Ye field bhi 2025 tak 126 Billion USD tak pahuch jayegi, ye har saal AI ki market do gunah badh rahi hai. Aur har jagah iss ke job openings hai.[10] [11]
  • Environment Protection, Climate Change aur Global Warming:
    • Environment Protection Research naami ek aisi journal ya magazine hai, jo iss field me research karne walon ko apna kaam publish karne ke liye ek platform muhiya karta hai,
    • To ye Environment protection hai kya?
    • Insaan jin cheezon ko pollute kar raha hai, jaise hawa, pani, mitti, aur deegar cheezen jo insaano ke istemaal se ya to kharab ho rahi hai ya ghalat istemal se barbaad ho rahi hai, iss ko kaise roka jaye aur hum aaj kya kar sakte hain takay aane wale dino me insaano ko takleef na jhelna paday.
    • Delhi me sardiyon ke mausam me, hawa me itna pollution hota hai ke, log bimar ho rahe hain, iss ko behtar banane ke liye asal wajah maloom ki gayee aur pata chala ke pados ke subon me log kheton me fasal ke katte huwe hissay jalate hain, jis ki wajah se itna pollution ho raha hai.
    • Iss qism ki kayee cheezen hain, India me kayee nadiyan aisi hain jis me industrial waste aur drainage milne ki wajah se paani peene ke qabil nahi hai.
    • Aisi cheezon ko control karne ke liye kya kiya ja sakta hai, shayed naya qanoon banana padega aur pollution phailane walon ko saza ke taur par jurmana bharna padega ya kisi aur qism se unhe rokna padega.
    • To ye sab kuch karne se pehle logon ke problems ko solve karna padega, uss ke liye research ki zaroorat hai, pehle solution dena padega phir qanoon ke zariye saza di ja sakti hai.[12]
    • Phir Haal hi mein jo barish UAE, Oman aur Bahrain mein huwi, jis ki wajah se Oman mein 20 logon ji jaan gayi aur bahut sara maali nuksan huwa hai, UAE mein sirf cars ka damage $250 million bataya ja raha hai,[13] toh uss ki asal wajah Global warming aur climate change bataya ja raha hai.[14]
    • World bank ke mutabiq Environment Protection per action na lene ki wajah se $16 Million per hour ka nuksaan ho raha hai, climate change ki wajah se.[15] Yani ke saal bhar mein $140 billion ka nuksan ho raha hai,
    • Balke, Dubai me Climate Change par UN Framework Convention huwi (UNFCCC COP28), December 2023 me jis se pata chala ke Global annual investment taqreeban $7 trillion ke qareeb ho rahe hain, aesi cheezon per jo climate ko aur kharab kar rahe hain, aur ye investment global GDP ka 7% hai, jab ke Environment Protection ki field me sirf 200 Billion USD hi kharch kiye ja rahe hain. Aur iss convention me decide kiya gaya ke, ye investments badh kar 542 billion USD per year ke hisab se kharch karne parrhenge.[16]
    • Iss ki wajah se jo jobs create honge, woh lakhon ki tadad mein hai, ab jo iss field me interested hai wo apply kar sakte hain.[17] Kyon ki, International Labor Organization (ILO) ke mutabiq 24 Million aur jobs create honge iss field me globally 2030 tak.[18]
  • Aaj kal Green Buildings, Green Technology aur Sustainability Solutions ki baat ho rahi hai, jis me char buniyadi cheezen hain; Human, Social, Economic aur Environment;
    • Human Sustainability me ye khayal rakha jana chahiye ke, log jo kaam kar rahe hain unn ko faida ho, aur continuous faida ho. Iss duniya me jo cheezen hain wo limited hain, unlimited nahi hain, to logon ko faida pahunche, aur sehat ke sath pahunche, environment ko qayem rakhte huwe pahunche.
    • Social Sustainability me ye khayal rakha jana chahiye ke, communities barqarar rahe, sab ko sath le kar development hona chahiye, aur poori society ko faida pahunchna chahiye, na ke sirf chand logon ko faida ho raha hai, aur baqi log bichde reh ja rahe hain ya ek community ko faida pahunch raha hai aur doosre communities ko chhorrh diya ja raha hai.
    • Economic Sustainability me ye khayal rakha jana chahiye ke, poori ummat ke living standards improve hon. Ghareebon ka khayal rakha jaye to hi economy chalti hai, aur iss ke sath sath business owners iss baat ka bhi khayal rakhein ke, Environment bhi protected rahe, jo bhi resources zameen se nikaal rahe hain, uss se Environment ko nuqsan na pahunche, aur uss se societies aur communities ko nuqsaan na pahunche.
    • Environmental Sustainability me ye khayal rakha jana chahiye ke, insaano ko nuqsan na pahunche, iss zameen ki jo hawa, pani, mitthi, mineral waghairah hain wo kharab na ho, jo biodiversity hai wo kharab na ho, jin ilaqon me development ho raha hai, wahan ke communities ko nuqsan na pahunche.[19]
    • Statista ke mutabiq Green Technology aur sustainability ka market size 2030 tak 62 billion tak pahunch jayega.[20]
  • Disaster Management bhi ek nayi field hai, dekhte chale jaiyye ke inn sab cheezon ke baare me, pehle koi nahi baat karta tha, aur yehi wajah hai ke hum inhe yahan highlight kar rahe hain.
    • Disaster Management ya Emergency Management, wo field hai jo koi bhi disaster hone se pehle uss ki tayyari karna sikhaye ke, hum pehle se hi aisi tayyari kare ke koi disaster aye na lekin, iss ke bawajood Emergency aati hai, jaisa ke,
    • agar floods aa jayenge to hum kya karenge, ya hum ko kum se kum impact ho aur agar ummeed se zyada flood ho jaye to hum uss ko kaise tackle karenge,
    • Earthquake aa jaye to hum kya karenge, ya kya hum aise precautions le rahe hain jis ki wajah se Earthquake ka impact kum ho, jaise earthquake resistant buildings ya construction ka istemaal karna ho. Lekin iss ke bawajood bhi iss precaution ke badh kar agar earthquake aa jaye to hum kya karenge, kya hamare emergency services iss ke liye tayyar hain ya nahi
    • Ab disaster kahin par bhi aa sakta hai, emergency kahin par bhi ho sakti hai, Bimari ki tarah phail sakti hai, jaise COVID-19 phaila tha aur wo ek global emergency thi.[21]
    • Aur iss qism ke disasters ke liye tayyar rehne ke liye, jo government spending ho rahi hai, wo 2030 tak 300 Billion USD tak pahuch jayegi.[22]
  • Medical Emergencies ki baat chal rahi hai to, Medicine ki field mein toh itni gunjaish hai ke, iss ka andaza nahi lagaya ja sakta,
    • 2016 ki WHO is report ke mutabiq, 44.5 health care professionals chahiye har 10,000 logon ke liye. Ab iss ko gehrai me dekhenge to, ek hazar logon ke liye 1 doctor aur taqreeban 3 nurses chahiye, kisi bhi country me. Aur iss me alternate medicine yani Ayurved, Unani, Yoga, Naturopathy, Siddha aur Homeopathy jaise doctors count nahi hote.[23]
    • Iss aitebar se, India me doctors ki kami hai, kyun ke, WHO ki 2020 ke data ke mutabiq sirf India me aaj, 7.265 doctors per 10,000 hain jab ke ye figure 10 hona chahiye tha, yani 3 doctors ki kumi hai.[24]
    • Aur agar nurses waghairah ko bhi milaya jaye to 44.5 ke aadhay hain hum, 22.8 par hain, to iss ka matlab hai ke, nurses aur support staff ki bhi India me kumi hai.
    • To zahir si baat hai, jab pandemic aya to doctors bas nahi ho rahe thay.
    • Healthcare ka market size aaj 11.3 Trillion USD hai, jo badh kar 18.9 Trillion ho jayega 2028 tak.[25]
  • To ye saari tafseel hai, unn logon ke liye jo Research karna chahte hain aur unhe nahi pata ke wo kya kare aur kahan jaye.
  • Aur hamari baat kahan se shuru huwi thi?
  • Hum Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ke iss hukum par analysis sunn rahe thay ke, Aasmaano aur zameen ki khilqat me ghaur-o-fikr karna chahiye.
Quran on the word as-Sama’a
  • To iss analysis ke baad, ek baat to tayy hai ke, baghair ghaur-o-fikr ke guzara nahi hai,
  • Ab hum Allah (ربُّ الْعِزَّت) ki kursi par baat karte hain, jo Ayat al-Kursi se hume milti hai;
  • Uss ki kursi, uss ki badshahi, uss ki qudrat ya uss ka jurisdiction tamaam aasmaano aur zameen par hawi hai,[26] aur wohi aasmaan aur zameen tak ke har amr ka ya har kaam ka intezaam ya tadbeer karta hai aur phir wo umoor wapas Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ki taraf lautta diye jaate hain, ek yaum me ya ek period me jis ki ginti tumhare hisaab se ek hazar saal ke barabar hai,[27] aur aakhir kaar iss kayenaat ka, iss khilqat ka, inn aasmaano aur zameen ka waris Allah hai ya ye sab kuch Allah ki wirasat hai.[28]
    • Matlab ye ke, aasmaano aur zameen me command ya hukum kis ka chalega?
    • Allah (عز وجل) ka chalega.
    • Wohi har hukum ka, har amr ka intezaam karta hai, aur wo kaam ho jaane ke baad uss ki report wapas uss tak pahunchti hai ek din me ya ek yaum me, jo hamari ginti ke hisaab se ek hazar saal ke barabar hai,
    • Ye kaamon ka instruction aur uss ka feedback ya reporting, main samajhta hoon ke ye sab kuch Arsh se nashar hota hai aur wapas reports wahin par pahunchte hain aur store kar diye jaate hain, Qiyamat ke din ke istemaal ke liye.
    • Quran me, Surah al-Ma’arij ke shuru ki ayaat ka mutaleya karne se ye samajh me aa raha hai ke, Allah ke hukum se Qiyamat ke aane ki setting aasmaano aur zameen me karne ke baad, feedback ya reporting karne ke liye, Jibraeel-e-ameen aur farishte, Allah (ربُّ الْعِزَّت) ke paas wapas jaate hain, ek din me ya ek yaum me, jo hamari ginti ke hisaab se 50 hazar saal ke barabar hai.[29]
    • To ye sab kuch process karne ke liye, Arsh responsible hai,…, to khaali peeli nahi bole,…, Arsh-e-Azeem. 50 hazar saal ka data process karna hai uss ko, jo uss ke liye koi badi baad nahi hai, aur ye Lauhim Mahfooz me safely, securely store kar diya jata hai.
    • Aaj hamaray paas jo Super Compters hain, unn me sab se tez jo hai, uss ka naam Frontier hai, jo ke 1.194 Exaflops process kar sakta hai, matlab 1.194 x 1018 Floating Point Operations per Second yani 1.194 Billion Billion FLOPS process karta hai. US me ek aur Aurora ke naam se Super Computer aa raha hai, jo 2 Exaflops process kar sakta hai.[30]
    • Ye sciencedaan keh rahe hain ke, Insaani dimagh ki capacity thoda sa badh kar hai, Insaani dimagh ek exaflops per second process karta hai, aur wo bhi usay sirf 20 watt power chahiye. Jab ke Frontier Super Computer ko wohi kaam karne ke liye 20 Mega Watt power chahiye, 1 Million gunah ziyada.[31]
    • To sonch kar dekhiye ke, Arsh kis speed se cheezon ko process karta hoga, jis ke liye 1 hazar saal aur 50 hazar saal ka data process karna koi badi baat nahi, aur ye wo iss kayenaat ko manage aur control karte huwe kar raha hai na jaane kab se.
    • Science ke mutabiq to ye kayenat 14 Billion saal pehle shuru huwi, jab ke,…, Arsh to uss se pehle paida kiya gaya tha aur jab usay iss kayenaat ki taqdeer likhne ka hukum mila to usay taqdeer ka data process karne ke liye 50 hazar saal lag gaye. Hum imagine bhi nahi kar sakte ke ye data kitna zyada hai aur Arsh iss data ko kitni tez raftari se process karta hai.
    • Ibn Masood ki Marfoo hadith me aya hai ke, Pehle aasmaan aur uss ke ooper wale aasmaan ke beech 500 saal ka faasla hai. Har do aasmaano ke beech me 500 saal ka faasla hai, aur saatwe aasmaan aur Allah ki Kursi ke beech me 500 saal ka faasla hai, phir Kursi aur paani ke beech 500 saal ka faasla hai, aur Arsh Paani ke ooper hai aur Allah Arsh se bhi ooper hai, aur tumhara koi bhi amal uss se chhupa huwa nahi hai.[32]
    • Tirmidhi ki ek hadith me, farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, ar-Rahman ka dahina hath ya barkat ka hath bhara huwa hai, wo bina kisi kumi ke kharch karne wala hai, phir aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, sonch kar to dekho ke wo kitna kharch kar chuka hoga, jab se ye aasmaano aur zameen ko paida kiya, aur ab tak kharch karta ja raha hai aur uss ke hath me jo hai, wo ab tak kum nahi huwa aur uss ka Arsh pani par hai aur uss ke doosre hath me meezan hai, uss me kumi peshi karta rehta hai.[33]
      • Iss kayenaat ko chalane ke liye, jahan jis cheez ko badhana hai, kahan kis cheez ko kum karna hai, ye Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) control karte rehte hain.
      • Saatwe aasmaan ke ooper Kursi hai, footstool ya wo chauki jis par Badshah Payr rakh kar baitth’te hain. Aur ye Kursi hi itni badi hai ke, wo tamam aasmaan aur zameen se badi hai. Aur Uss ke ooper paani hai aur Arsh to uss se bhi ooper hai aur sab se bada hai.
      • Aur Arsh pani par hai ka matlab yahan samajh li jiye, ke ye kis qism ka pani hoga, Lafz-e-Maa Quran me, pani ke liye bhi aya hai aur fluids ke liye bhi aya hai, aur jaisa ke humne kaha ke Quark-Gluon Plasma bhi pani ki shakal ka sa hai. To kya ye paani storage ke liye istemaal ho raha hai? Ya data transmission ke liye istemaal ho raha hai?
      • Aaj hum quantum computing aur quantum memory ki baat kar rahe hain, long term storages ke liye. To Allah ke paas jo storage hai, Lauhim Mahfooz,…, wo to 14 Billion saal se data store karte chali aa rahi hai,
      • Aur phir pehle hum database ki baat kiya karte thay, aur data ki volume badhne ki wajah se aaj hum big data me, Data Lakes, Data Ponds aur Data Stream ki baat kar rahe hai. To data storages ke liye water bodies ke naamo se hum aaj pukaar rahe hain.[34]
      • Tafseer Ibn Kathir me, Allah ke Ilm ko Samandar se tabeer kiya gaya hai, to agar Allah ka ilm samandar hai to uss ke muqable me insaano ke ilm ki misaal aisi hai ke, ek chidiya apni chonch me paani ka ek qatra le kar udh jaye.[35]
      • To kya Arsh ko paani se link karna ye sirf ek coincidence hai, ya ye paani data storage ke liye quantum memory ki tarah kaam kar raha hai?
      • Wallahu Alam.
    • Ek aur baat par hume ghaur karna ye hai ke, aaj sciencedaan do cheezon par kaam kar rahe hain,
      • Pehli cheez ye hai ke, Qiyamat kab aayegi, ye maloom kare, iss ki tafseel aagay aa rahi hai, lekin yahan ye baat batana zaroori hai ke, ye kayenaat phail rahi hai aur gravity uss ko control kiye huwe hai, to Sciencedaano ne hisab lagaya ke, iss kayenaat me kitna madda hai, material kitna hai takay jo tamam maddi cheezon ki total gravity jo jama kar ke ye hisab lagaya ja sakay ke qiyamat kab ayegi,
      • Lekin jab ye hisab lagaya gaya to pata chala ke, iss kayenaat me itna madda hi nahi hai, itna material hi nahi hai ke unn ki gravity iss kayenaat ko ek jagah jama kar sakay.
      • To phir doosre heavenly bodies discover huwe ya aise ajraam-e-falaki paye gaye jo light nahi dete, jaise black holes ho gaye aur aise sitare ho gaye jo zyada light unn se nahi nikal rahi hai, inn tamam ko bhi jama kar liya, to itni gravity nahi bann rahi hai ke, Iss kayenaat ko ek jagah kheench kar jama kar de.
      • Ab sciencedaan ye keh rahe hain ke, do cheezen hain, jo hume dikhayi to nahi de rahe hain, lekin unn ki gravity hum mehsoos kar sakte hain, ek hai dark matter aur doosre hai dark energy.
      • Lekin aaj jab sciencedaan iss kayenaat ko dekhte hain to unhe, ye kayenaat sukadti huwi nahi balke phailti huwi nazar aa rahi hai, balke dark energy ki wajah se, sciencedaan keh rahe hain ke, ye aur tez raftari se phail rahi hai.
      • To iss ke chalte sciencedaano ne ye keh diya ke, Qiyamat ayegi hi nahi, lekin abhi humne Quran ke hawale se suna ke, Jibraeel-e-ameen aur farishte Qiyamat ke aanay ka adjustment kar ke uss ki reporting Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ko dete rehte hain. Hume to yaqeen hai ke, Qiyamat ayegi, kyun ke iss ke aane ka ilm sirf Allah (جل جلاله) ko hi hai aur doosri baat ye hai ke, Qiyamat ussi waqt ayegi jab soor phooka jayega, jis ki wajah se gravity achanak badhegi. Iss ka kitna bhi calculation kar lo, pata nahi lagaya ja sakta hai ke, Qiyamat kab ayegi.
    • Doosra point yahan ye bayan karna tha ke, jab Black Holes ko study kiya gaya, tab sciencedaan ek aur cheez ke qareeb pahunch gaye, wo hai lauhim mahfooz.
      • Pehle ye samajhte hain ke Black Hole kya hai?
      • Jab koi sitara, jaise hamara sooraj bhi ek sitara hai, ek star hai. Iss me 5 lakh ton hydrogen har second jal kar doosre heavier elements me convert ho raha hai,
      • To ek waqt aisa ayega ke, sooraj ka fuel jo hai, hydrogen wo khatam ho jayega aur gravity itni badh jayegi ke, sooraj sukad jayega aur ek black hole ban jayega, kyun ke, uss me itni gravity hogi ke light bhi uss ke bahar nahi nikal sakegi.
      • Jab ye hoga to Quran kehta hai ke, Sooraj aur chand jama kar diye jayenge.[36]
      • Matlab ye hai ke, agar chand sooraj se ja milega to, planet bhi uss ke sath jama ho jayenge. Yani sooraj har cheez ko apni taraf kheench raha hoga.
      • Ab ye sonchiye ke, hum ye nazara door se dekh rahe hain aur ye check karne ke liye humne ek spaceship bheji, ye dekhne ke liye ke uss ka kya haal hota hai,
      • To spaceship jaise jaise black hole ki taraf badhti hai, Einstine ki General Relativity se hume pata chalta hai ke, spaceship mein baithne walon ko har cheez normal nazar ayegi, wo ek aam raftaar se safar kar rahe hai, waqt bhi normal raftar se guzar raha hai, sab kuch theek hai.
      • Lekin ek point aisa ayega ke, spaceship black hole ki gravity se bahar nahi nikal sakti, jisay event horizon kehte hain, wo event horizon ko paar karke, black hole me ja kar girr jaati hai.
      • Hum ye nazara door se jo dekh rahe hain, hume aisa lagega ke, jaise jaise wo spaceship black hole ki taraf safar karti hai, to uss ki speed kum hoti chali ja rahi hai, waqt ki raftar bhi kum ho chuki hai, aur jahan spaceship black hole ke event horizon me pahunchi, hume aisa lagega ke spaceship wahin par ruk gayee hai.
      • Halanke, spaceship black hole me girr chuki hai lekin hume ye nazar ayega ke, wo event horizon par hi ruki huwi hai.
      • Ab yahan sciendaano ka manna ye tha ke, black hole me jo bhi cheez girr jayegi, wo bohot zyada temperature aur pressure ki wajah se tabah ho jayegi. Lekin sciendaan ye samajhte thay ke, iss kayenaat me koi bhi cheez agar wo tabah bhi ho gayee to uss cheez ka information kahin na kahin store ho raha hai aur uss information ko le kar wo cheez wapas banayee ja sakti hai. To pehle sciencedaan ye samajhte thay ke, ye information black holes me baqi reh jata hai.
      • Lekin Stephen Hawkings ne ye daryaft kiya ke, black holes ka bhi ek temperature hota hai aur wo bhi radiation emit karte hain, aur agar unhe zyada waqt tak chhorrh diya jaye to black holes bhi evaporate ho jaate hain.
      • To yahan sciendaano ke liye, ek aisa problem saamne aya ke, agar black hole jis me information store ho raha tha, wo bhi gayeb ho jayenge to ye information kahan jayega?
      • Iss ka jawab dhoondne ke liye research karna shuru ki, aur baaz sciencedaano ne ye kaha ke, ye spaceship black hole me girr to jaati hai leking jaisa ke door se dekhne walay ko wo hamesha event horizon par nazar aati hai, ye ho sakta hai ke, uss ka information bhi event horizon par ruk jaata hai.
      • Iss par research karte huwe, ek nayi ijaad holographic principle ke zariye ye bataya ja raha hai ke, ek 3-dimensional object ka jo information hai wo 2-dimensions me store kiya ja sakta hai.
      • To iss theory ke chalte, ye bataya ja raha hai ke, iss kayenaat ka sara information, jo iss 3-dimensional kayenaat ko describe karne ke liye zaroori hai, wo ek 2-dimensional space me store kiya ja sakta hai, at the edge of the universe.
      • To kya ye farishte ye information ko store karne me busy hain, har ek hazar saal me, jo ke Lauhim Mehfooz par store kar diye jaate hain.
      • Aur jo bhi information hai, ke ye kayenaat kaise bani, kaise chali aur uss ka khaema kaise huwa wo to pehle se hi Lauhim Mehfooz me maujood hain.

Yahan Dars rok denge, next Saturday In Sha Allah Surah al-Baqarah ki tafseel agay sunenge.

Al hamdulillahi Rabbil Alameen

Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam

Rabbana aatina fid duniya…

References

[1] Source: QRDI Portal – Opportunity View

[2] Source: Food Security Call (MoM) (qrdi.org.qa)

[3] Source: Path Towards Precision Medicine (PPM) (qrdi.org.qa)

[4] Source: Worldwide: value of Islamic finance assets 2022 | Statista

[5] Source: (42) Global “Quantum Computing Market” Size-Share Worth ~ US$ 1849.3 million by 2031 at a CAGR of 33.7% | Industry Research Biz | LinkedIn

[6] Source: What is Data Science? | IBM

[7] Source: Data Science Platform Market Size, Share & Trends | Forecast [2030] (fortunebusinessinsights.com)

[8] Source: Stretchable hybrid response pressure sensors: Matter

[9] Source: Robotics Technology Market Size, Trends, Growth, Report 2032 (precedenceresearch.com)

[10] Source: Artificial Intelligence Market Forecasts Omdia.

[11] Source: Revenues from the AI software market worldwide from 2018 to 2025 (in billion U.S dollars)

[12] Source: Research for Addressing the Environmental Protection Agency’s Priority Scientific Questions – A Review of the Environmental Protection Agency’s Science to Achieve Results Research Program – NCBI Bookshelf (nih.gov)

Environmental protection – Wikipedia

[13] Source: UAE floods: Up to 50,000 cars damaged by record rainfall, potential cost of $250 mln

[14] Source: What caused Dubai floods? Experts cite climate change, not cloud seeding | Reuters

[15] Source: What we’re reading about climate and jobs

[16] Source: Global annual finance flows of $7 trillion fueling climate, biodiversity, and land degradation crises

[17] Source: Fact Sheet | Climate Jobs (2024) | White Papers | EESI

[18] Source: Green Jobs: the only way to go | United Nations

[19] Source: What Are The Sustainability Solutions? – Sigma Earth

[20] Source: Global green technology and sustainability market size 2030 | Statista

[21] Source: What Is Disaster Management: Prevention and Mitigation (tulane.edu)

[22] Source: Disaster Preparedness Systems Market Size, Growth Report, Trends 2022-2030

[23] Source: Has India Really Achieved WHO Recommended Doctor-Population Ratio?

[24] Source: Medical doctors (per 10 000 population)

[25] Source: Healthcare Services Market Size, Share, 2023-2028 | LinkedIn

[26] Quran-ST | 2-255

[27] Quran-ST | 32-5

[28] Quran-ST | 3-180

[29] Quran-ST | 70-1 to Quran-ST | 70-14

[30] Source: Frontier remains world’s most powerful supercomputer on Top500 list – DCD, What Is an Exaflop? | NVIDIA Blogs

[31] Source: What is the World’s Fastest Computer? | HowStuffWorks, Brain-Inspired Computing | NIST

[32] It was narrated that Ibn Mas’ood said: Between the first heaven and the one above it is (a distance of) five hundred years. Between each of the heavens is (a distance of) five hundred years. Between the seventh heaven and the Kursiy is (a distance of) five hundred years. Between the Kursiy and the water is (a distance of) five hundred years, and the Throne is above the water. Allah SWT is above the Throne, and nothing whatsoever of your deeds is hidden from Him.

Reference: Ibn Khuzaymah in al-Tawheed, p. 105; by al-Bayhaqi in al-Asmaa’ wa’l-Sifaat, p. 401

This report was classed as saheeh by Ibn al-Qayyim in Ijtimaa’ al-Juyoosh al-Islamiyah, p. 100; by al-Dhahabi in al-‘Uluw, p. 64). Shaykh Ibn ‘Uthaymeen said: This hadeeth stops at Ibn Mas’ood (it is mawqoof), but this is one of the matters concerning which there is no room for personal opinion, so it comes under the heading of marfoo’ [ahaadeeth whose isnaad goes back to the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him)], because Ibn Mas’ood is not known to have taken anything from the Israa’eeliyyaat [reports derived from Jewish sources]. (al-Qawl al-Mufeed Sharh Kitaab al-Tawheed, 3/379)

Source: What is the difference between the ‘Arsh of the Lord and His Kursiy? – Islam Question & Answer

Al-Hasan narrated that: Abu Hurairah said: “Once when the Prophet of Allah was sitting with his Companions, a cloud came above them, so the Prophet of Allah said: ‘Do you know what this is?’ They said: ‘Allah and His Messenger know better.’ He said: ‘These are the clouds that are to drench the earth, which Allah [Blessed and Most High] dispatches to people who are not grateful to Him, nor supplicate to Him.’ Then he said: ‘Do you know what is above you?’ They said: ‘Allah and His Messenger know better.’ He said: ‘Indeed it is a preserved canopy of the firmament whose surge is restrained.’ Then he said: ‘Do you know how much is between you and between it?’ They said: ‘Allah and His Messenger know better.’ He said: ‘Between you and it [is the distance] of five-hundred year.’ Then he said: ‘Do you know what is above that.’ They said: ‘Allah and His Messenger know better.’ He said: ‘Verily, above that are two Heavens, between the two of them there is a distance of five-hundred years’ – until he enumerated seven Heavens – ‘What is between each of the two Heavens is what is between the heavens and the earth.’ Then he said: ‘Do you know what is above that?’ They said: ‘Allah and His Messenger know better.’ He said: ‘Verily, above that is the Throne between it and the heavens is a distance [like] what is between two of the heavens.’ Then he said: ‘Do you know what is under you?’ They said: ‘Allah and His Messenger know better.’ He said: ‘Indeed it is the earth.’ Then he said: ‘Do you know what is under that?’ They said: ‘Allah and His Messenger know better.’ He said: ‘Verily, below it is another earth, between the two of which is a distance of five-hundred years.’ Until he enumerated seven earths: ‘Between every two earths is a distance of five-hundred years.’ Then he said: ‘By the One in Whose Hand is the soul of Muhammad! If you were to send [a man] down with a rope to the lowest earth, then he would descend upon Allah.’ Then he recited: He is Al-Awwal, Al-Akhir, Az-Zahir Al-Batin, and He has knowledge over all things.”

حَدَّثَنَا عَبْدُ بْنُ حُمَيْدٍ، وَغَيْرُ، وَاحِدٍ، – الْمَعْنَى وَاحِدٌ قَالُوا حَدَّثَنَا يُونُسُ بْنُ مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا شَيْبَانُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، عَنْ قَتَادَةَ، حَدَّثَنَا الْحَسَنُ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ بَيْنَمَا نَبِيُّ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم جَالِسٌ وَأَصْحَابُهُ إِذْ أَتَى عَلَيْهِمْ سَحَابٌ فَقَالَ نَبِيُّ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ هَلْ تَدْرُونَ مَا هَذَا ‏”‏ ‏.‏ فَقَالُوا اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ ‏.‏ قَالَ ‏”‏ هَذَا الْعَنَانُ هَذِهِ رَوَايَا الأَرْضِ يَسُوقُهُ اللَّهُ تَبَارَكَ وَتَعَالَى إِلَى قَوْمٍ لاَ يَشْكُرُونَهُ وَلاَ يَدْعُونَهُ ‏”‏ ‏.‏ ثُمَّ قَالَ ‏”‏ هَلْ تَدْرُونَ مَا فَوْقَكُمْ ‏”‏ ‏.‏ قَالُوا اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ ‏.‏ قَالَ ‏”‏ فَإِنَّهَا الرَّقِيعُ سَقْفٌ مَحْفُوظٌ وَمَوْجٌ مَكْفُوفٌ ‏”‏ ‏.‏ ثُمَّ قَالَ ‏”‏ هَلْ تَدْرُونَ كَمْ بَيْنَكُمْ وَبَيْنَهَا ‏”‏ ‏.‏ قَالُوا اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ ‏.‏ قَالَ ‏”‏ بَيْنَكُمْ وَبَيْنَهَا مَسِيرَةُ خَمْسِمِائَةِ سَنَةٍ ‏”‏ ‏.‏ ثُمَّ قَالَ ‏”‏ هَلْ تَدْرُونَ مَا فَوْقَ ذَلِكَ ‏”‏ ‏.‏ قَالُوا اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ ‏.‏ قَالَ ‏”‏ فَإِنَّ فَوْقَ ذَلِكَ سَمَاءَيْنِ وَمَا بَيْنَهُمَا مَسِيرَةُ خَمْسِمِائَةِ عَامٍ ‏”‏ ‏.‏ حَتَّى عَدَّ سَبْعَ سَمَوَاتٍ مَا بَيْنَ كُلِّ سَمَاءَيْنِ كَمَا بَيْنَ السَّمَاءِ وَالأَرْضِ ‏.‏ ثُمَّ قَالَ ‏”‏ هَلْ تَدْرُونَ مَا فَوْقَ ذَلِكَ ‏”‏ ‏.‏ قَالُوا اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ ‏.‏ قَالَ ‏”‏ فَإِنَّ فَوْقَ ذَلِكَ الْعَرْشَ وَبَيْنَهُ وَبَيْنَ السَّمَاءِ بُعْدُ مَا بَيْنَ السَّمَاءَيْنِ ‏”‏ ‏.‏ ثُمَّ قَالَ ‏”‏ هَلْ تَدْرُونَ مَا الَّذِي تَحْتَكُمْ ‏”‏ ‏.‏ قَالُوا اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ ‏.‏ قَالَ ‏”‏ فَإِنَّهَا الأَرْضُ ‏”‏ ‏.‏ ثُمَّ قَالَ ‏”‏ هَلْ تَدْرُونَ مَا الَّذِي تَحْتَ ذَلِكَ ‏”‏ ‏.‏ قَالُوا اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ ‏.‏ قَالَ ‏”‏ فَإِنَّ تَحْتَهَا الأَرْضَ الأُخْرَى بَيْنَهُمَا مَسِيرَةُ خَمْسِمِائَةِ سَنَةٍ ‏”‏ ‏.‏ حَتَّى عَدَّ سَبْعَ أَرَضِينَ بَيْنَ كُلِّ أَرْضَيْنِ مَسِيرَةُ خَمْسِمِائَةِ سَنَةٍ ثُمَّ قَالَ ‏”‏ وَالَّذِي نَفْسُ مُحَمَّدٍ بِيَدِهِ لَوْ أَنَّكُمْ دَلَّيْتُمْ رَجُلاً بِحَبْلٍ إِلَى الأَرْضِ السُّفْلَى لَهَبَطَ عَلَى اللَّهِ ‏”‏ ‏.‏ ثُمَّ قَرَأََ ‏(‏ هو الأَوَّلُ وَالآخِرُ وَالظَّاهِرُ وَالْبَاطِنُ وَهُوَ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ ‏)‏ ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ غَرِيبٌ مِنْ هَذَا الْوَجْهِ ‏.‏ قَالَ وَيُرْوَى عَنْ أَيُّوبَ وَيُونُسَ بْنِ عُبَيْدٍ وَعَلِيِّ بْنِ زَيْدٍ قَالُوا لَمْ يَسْمَعِ الْحَسَنُ مِنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ‏.‏ وَفَسَّرَ بَعْضُ أَهْلِ الْعِلْمِ هَذَا الْحَدِيثَ فَقَالُوا إِنَّمَا هَبَطَ عَلَى عِلْمِ اللَّهِ وَقُدْرَتِهِ وَسُلْطَانِهِ ‏.‏ عِلْمُ اللَّهِ وَقُدْرَتُهُ وَسُلْطَانُهُ فِي كُلِّ مَكَانٍ وَهُوَ عَلَى الْعَرْشِ كَمَا وَصَفَ فِي كِتَابِهِ ‏.‏

Grade: Da’if (Darussalam) | Reference: Jami` at-Tirmidhi 3298 | This hadith is extremely weak and hence not been considered.

[33] Narrated Abu Hurairah: “The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘Ar-Rahman’s Hand is full, He spends without any decrease, night and day.’ He said: ‘Do you not see how much He has spent since He created the heavens and the earth, yet it has not decreased what is in His Hand, and His Throne is over the water, and in His Other Hand is the Mizan (Scale) which He raises and lowers.'”

حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ، حَدَّثَنَا يَزِيدُ بْنُ هَارُونَ، أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْحَاقَ، عَنْ أَبِي الزِّنَادِ، عَنِ الأَعْرَجِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ يَمِينُ الرَّحْمَنِ مَلأَى سَحَّاءُ لاَ يَغِيضُهَا اللَّيْلُ وَالنَّهَارُ قَالَ أَرَأَيْتُمْ مَا أَنْفَقَ مُنْذُ خَلَقَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ فَإِنَّهُ لَمْ يَغِضْ مَا فِي يَمِينِهِ وَعَرْشُهُ عَلَى الْمَاءِ وَبِيَدِهِ الأُخْرَى الْمِيزَانُ يَرْفَعُ وَيَخْفِضُ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏.‏ وَهَذَا الْحَدِيثُ فِي تَفْسِيرِ هَذِهِ الآيَةِ ‏:‏ ‏(‏ وَقََالَتِ الْيَهُودُ يَدُ اللَّهِ مَغْلُولَةٌ غُلَّتْ أَيْدِيهِمْ وَلُعِنُوا بِمَا قَالُوا بَلْ يَدَاهُ مَبْسُوطَتَانِ يُنْفِقُ كَيْفَ يَشَاءُ ‏)‏ وَهَذَا حَدِيثٌ قَدْ رَوَتْهُ الأَئِمَّةُ نُؤْمِنُ بِهِ كَمَا جَاءَ مِنْ غَيْرِ أَنْ يُفَسَّرَ أَوْ يُتَوَهَّمَ هَكَذَا قَالَ غَيْرُ وَاحِدٍ مِنَ الأَئِمَّةِ مِنْهُمُ الثَّوْرِيُّ وَمَالِكُ بْنُ أَنَسٍ وَابْنُ عُيَيْنَةَ وَابْنُ الْمُبَارَكِ إِنَّهُ تُرْوَى هَذِهِ الأَشْيَاءُ وَيُؤْمَنُ بِهَا وَلاَ يُقَالُ كَيْفَ ‏.‏

Grade: Sahih (Darussalam) | Reference: Jami at-Tirmidhi 3045

[34] Source: A Field Guide to Data Bodies of Water | Rackspace

[35] Source: Tafsir Surah Al-Kahf – 109 – Quran.com

[36] Quran-ST | 75-9

Comments are closed.