Tafseer Surah al-Baqarah Part 46

</p> <p>Tafseer Surah al-Baqarah Part 46</p> <p>


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle dars me hum Surah al-Baqarah ki 19wi ayat ki tafseer me Lafz-e-Samaa ke maano ki tafseel ka doosra hissa sunn rahe the, aaj ke dars me issi lafz par aur tafseel aa rahi hai.

Tarjuma wa Tafseer

Vs. No. 19 Cont’d…

80. ASSAMAAA (The sky ) ) 2:19 ( اَلسَّمآءِ ( س م و Cont’d…

Pichle hafte humne ek aise baddu ki baat ki thi jisne kaha tha ke wo chaar farz cheezon ke ilawa kuch aur amal nahi karega, jis per Aap (صلى الله عليه وسلم) ne unhe jannat ki basharat di.[1]

  • Uss hadith se zahiri taur par aisa lag raha tha ke, ghaur-o-fikr nahi karenge to bhi koi baat nahi, jannat me chale to jayenge,
  • Aur, Hamare aas-paas bhi aise log hain jo ye kehte hain ke, “Hum to aam log hain, hum nahi sonch sakte, kya hai ye zameen aur aasmaan?”
  • Lekin Sahih Muslim ki ek aur lambi hadith me, issi baddu ke waqiye ki tafseel aayee hai, aur uss hadith se aisa lagta hai ke, ye baddu bhi ghaur-o-fikr kar ke Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki qidmat me hazir huwa aur jo pehla sawal uss ne kiya, wo ye tha ke, aasmaan ko kis ne paida kiya, ya aasmaan ki takhleeq ya creation kis ne kiya, iss par aap (صلى الله عليه وسلم) jawab dete hain, Allah ne…[2] baqi ki hadith to hum sunn chuke hain, lekin Sahih Muslim ki iss hadith me addition ye hai ke, wo har farz amal ke baare me poochhta hai ke, kya Allah ne aap (صلى الله عليه وسلم) ko Namaz ka, Zakat ka, Rozon aur Hajj ka hukum diya hai, jis ka confirmation Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) uss dehati ko dete hain.
  • To kya jo Bedouins ya baddu log jo ghaur-o-fikr nahi karte, unn ke iman ke baare me Surah al-Hujurat ki 14wi ayat me zikr aya hai ke, …ye matt kaho ke tum momin ho gaye ho, balke ye kaho ke tum zahiri taur par musalman ho gaye ho…,[3] kyun ke, tumhare dil me abhi tak iman dakhil nahi huwa hai.
  • Moulana Maududi apni tafseer me iss ayat ki tafseel me likhte hain ke, jo qabeele ye sonch kar Musalmaan ho rahe thay ke, Musalmano ki Madina me jo hukumat qayem huwi wo ab itni powerful ho chuki hai ke, unn ke sath align nahi karenge to unhe nuqsan pahunchhega aur agar Musalmano ke sath ho gaye to jung jeetne par unn ko bhi faida hoga. To zahiri taur par to ye log material gains ke liye Islam qabool kare thay, abhi Allah ko dil se mana nahi tha, aur uss ke wajood ki nishaniyon par ghaur-o-fikr nahi kiya tha. To wo level ka iman abhi unn ke dilon me dakhil hi nahi huwa tha, aur ye mamela har baddu qabeele ke liye nahi, chand qabeelon ka mamela tha.
  • To pata chala ke, dehati log bhi ghaur-o-fikr kar rahe hain Allah ki banayi huwi khilqat par, jaisa ke sahih Muslim ki iss hadith se pata chalta hai.
  • Lekin ye common man kaun hai, jaisa ke hum me se baaz log apne aap ko kehte hain?
  • Quran me dekhenge to ye aya hai ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ko hukum huwa ke aap ye keh dijiye ke, “Main to tumhari tarah ka ek insaan hoon, sirf iss exception ke saath ke, mujh par wahi aati hai…”[4]
  • Aur agar ahadith me dekhenge to kayee lafz aaye hain, aam aadmi ke liye,
    • Lafz-e-Riaya aya hai, to Riaya me to har qism ke log hote hain,[5] aur
    • Lafz-e-al-Khafiy aya hai, jo zyada limelight me nahi hota,[6] aur iss qism ke log bhi kayee saray hote hain,
    • Phir ek aur hadith me General Musalmano ki baat aayee hai, jo common folks hain ya awaamun naas hain, jis me har shakhs dakhil hai ya cover ho jaata hai. Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, ye deen – naseehat hai. Ye sab aam-o-khaas ke liye sincerity hai, Allah ke liye, uss ki kitab ke liye, uss ke Rasool ke liye, Musalmano ke leaders ke liye aur aam Musalman public ke liye.[7]
  • Lekin Quran kyun ke, tamam insaano ki hidayat ke liye nazil huwa hai,[8] to Quran ke sawal aur uss ka jo haq hum musalmano ko ada karna hai, wo uss ko parrh kar, uss par ghaur-o-fikr kar ke, uss par amal kar ke, ada kiya ja sakta hai. Jo ke har musalman par farz hai.
  • Musalmano ko har cheez samajh me aa sakti hai, nahi samajh me aati to Quran nahi samajh me aati,
    • Bahane banane lag jaate hain ke, hum to aam insaan hai, hume zameen aur aasmaan ki kya samajh,
    • Hum thodi Quran samajh sakte hain,
    • Lekin agar kal koi, supermarket announce kar de ke, supermarket ka sara samaan free me de diya jayega, tabh sab ko sab kuch samajh me aane lagta hai,
    • Ek din pehle se line laga kar khade ho jayenge, aur itni hoshiyari dikhayenge ke andaza bhi nahi laga sakte.
  • Beher-haal, Quran par ghaur-o-fikr karne ki zaroorat hai, Allah ki iss kayenaat me jo nishaniyan hain, unn par ghaur-o-fikr karne ki zaroorat hai.
    • Jaisa ke ek mash’hoor hadith me aata hai ke, aap (صلى الله عليه وسلم) ek raat Tahjjud ke liye utthay aur kamre se bahar ja kar aasmaan ki taraf dekhne lagay, aur phir aap (صلى الله عليه وسلم) ne Surah aal-Imran ki 190wi ayat se tilawat karna shuru kiya, surah ke end tak.[9]
    • Aur jo dua’en aap (صلى الله عليه وسلم) iss qiyamul Layl me parrhi, unn se saaf zahir hota hai ke, kitna ghaur-o-fikr aap (صلى الله عليه وسلم) karte thay.[10]
    • Sirf Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) hi nahi balke tamam anbiya (عَلَيْهِم ٱلسَّلَام) Allah ke wajood ki nishaniyon par ghaur-o-fikr karte aaye hain, Surah al-Anam me, Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ka aasmaano aur zameen par ghaur-o-fikr karna recorded hai, jaise hi raat hoti hai, wo Venus ko dekhte hain aur kehte hain ke ye mera Rabb, mera paalne wala malik hai, lekin jab wo ghuroob ho gaya, to Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ne kaha ke main ghuroob hone walon ko pasand nahi karta.[11]
    • Phir unhone chand ko dekha tulu hote huwe, aur kaha ke, ye mera paalne wala malik hai, aur jab wo bhi ghuroob ho gaya, to unhone kaha ke agar mere paalne walay malik ne mujhe hidayat nahi ki, to main gumrah logon me shamil ho jaoonga.[12]
    • Phir jab subah ho gayee aur sooraj tulu huwa to Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ne kaha ke, ye mera paalne wala malik, mera Rabb hai aur ye sab se bada hai. Aur jab shaam ko wo bhi ghuroob ho gaya, to unhone kaha ke, Aye meri qaum, main unn tamam cheezon se bari hoon, paak hoon, jinhe tum Allah ke sath shareek karte ho.[13]
    • Inni wajjahtu wajhiya, lillazee fatara as-Samawati wa al-Ardha haneefan, wama ana mina al-Mushrikeen.
    • Maine apni tawajjoh ko uss zaat ki taraf, uss hasti ki taraf ruk kar liya hai, jis ne aasmaano aur zameen ko paida kiya, usay fitrat ata ki, aur main mushrikeen me se nahi hoon.[14]
Rasool Allah (صلى الله عليه وسلم)’s period – 571 to 634 CE

Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke zamane me to science ki field me, ya astronomy me to Quran aur ahadith se hi hume hidayat milti hai,

  • Jo wahi ke zariye aap (صلى الله عليه وسلم) tak pahunchaye gaye,
  • Phir iss me, Meraj ka waqiya, jo ke aap (صلى الله عليه وسلم) ko saato aasman ki aur aalam-e-barzaq ki sair karayee gayee, ye sab tafseel maujood hai,
  • Phir amma Aisha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْها) ne Quran par ghaur-o-fikr karke, aap (صلى الله عليه وسلم) se sawal kiya ke, jab qiyamat ke din zameen badal di jayegi doosri zameen se, aur aasmaan bhi (Badal diye jayenge), to log kahan honge, aur ek aur hadith me doosri ayat ka hawala hai ke, zameen Allah ki mutthi me hogi aur aasmaan uss ke dahine hath par lapaytte huwe honge, to log kahan honge, inn dono sawalon ke jawab me, aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Dozak par jo pull hai, Pull Sirat par honge.[15]
  • Iss ke alawa, jo nomadic ya baddu lifestyle thi, uss me ye zaroori tha ke din me sooraj ke position ko dekhe aur raat me sitaron ke positions ke zariye, rasta jaane. Ye cheezen baddu type logon ke DNA me maujood thi.
  • Phir Ahadith me, hume namaz ke timings ki jo detail milti hai aur mahine ke shuru aur khatam hone ke liye chand ko dekhna ek mamool tha. To ye astronomical observations na sirf Arab me, balke poori duniya me insaan istemaal kar raha tha.
  • Aur khaas baat ye hai ke, jab aap desert ke beech me hote hain to wahan se sitaron ko dekhna aasaan hota hai, to issi liye baddu’on ka iss field me ghaur-o-fikr karna aur aap (صلى الله عليه وسلم) se aa kar sawal karna, koi anokhi baat nahi thi.
  • Har aam aadmi iss fann ko jaanta tha, survive karne ke liye.
Astronomy at the time of 4 Caliphs (رضي الله عنهم) – eeswi 634 to 661

Phir Khulafa-e-Rashidoon ke zamane me, yani ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke baad, Musalmano ki hukumat ko qayem rakhne, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke ahkamaat par amal karne, cheezon ko organize karne me waqt guzra.

  • Sab se bada contribution jo Khalifa Abu Bakr (رضي الله عنه) ke zamane me tha, wo Quran ko ek kitab ki shakal me poora ka poora likh dene ka kaam tha.
  • Yehi wo waqt hai, jab Quran logon ke seeno se aur jo kuch likhi huwi manuscripts thi, unn se na sirf Quran ko likh diya gaya,
  • Balke, ye wo waqt hai jab Arabic Language ka bhi development huwa, kyun ke, pehle ke log nukte ya dots nahi lagate thay likhte waqt. To poori ki poori language, uss ki script Musalmano ki wajah se develop huwi.
  • Aur khaas baat iss me ye hai ke, Quran ko hadith se milne na dena, ye asal me challenging kaam tha, jis ki hidayaat aap (صلى الله عليه وسلم) ne di thi, uss ko follow karna aur implement karne ka kaam huwa.
  • Jab Quran likh diya gaya aur ek kitab ki shakal me aa gaya to, ab purane manuscripts ko jala diya gaya, Khalifa Abu Bakr ke paas jo manuscripts thi, wo unhone jala daali.
  • Ilm seekhne aur sikhaane ka silsila to Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) se shuru ho gaya tha, lekin uss ko jaari rakhna aur aane walay logon tak pahunchane ka kaam huwa.
  • Phir Khalifa Umar (رضي الله عنه) ke zamane me, islaami hukumat phail rahi thi, aur letters exchange ho rahe the, iss ke chalte Islamic Calendar ki zaroorat pesh aayi, jisay Umar (رضي الله عنه) ne Hijrat ke saal se, Sahaba ke mashware par laagoo kiya.
  • Quran aur Ahadith ko extensively sikhaane ka kaam Umar (رضي الله عنه) ke zamane me huwa aur kuch rules bhi banaye gaye, ahadith ko kis tarah bayan kiya jaye. Jo science of Hadith hai, wo Umar (رضي الله عنه) ke zamane se shuru huwi. Professor Masud-ul-Hasan ne apni kitab Umar al-Farooq (رضي الله عنه) ki seerat me bayan kiya hai.[16]
  • Uss ke baad, Khalifa Uthman (رضي الله عنه) ke zamane me economy boom honay lagi aur log iss se faida utthane lagay, Musalman hukumat phail rahi thi aur Quran ke pronounciation me farq honay laga aur iss wajah se logon me difference of opinion ho gaya. Iss ko regulate karne ke liye, Quran ko phir se likha gaya zayr, zabar, pesh ke signs ke saath. Uss ke copies banaye gaye aur har governor ke paas ek copy bhej di gayee aur iss ummat me fitnah phailne se bach gaya.[17]
  • Ali (رضي الله عنه) ka daur-e-khilafat civil wars se bhara huwa hai, to aise me development par focus karna mushkil kaam hai.
  • Khulafa-e-Rashidoon ke daur-e-khilafat me Ilm seekhne aur sikhaane par focus tha, aur yehi cheez, aagay Musalmano ki hukumat me har field me phailne lagi aur Astronomy, Mathematic aur Sciences me Musalman aagay badhne lagay.
Umayyad (661–750), Abbasid (750–1517), and Fatimid (909–1171) caliphates

Issi ilm seekhne sikhaane ke chakkar me, ilm ke zakheere Musalmano ke hath lag gaye, East me India tak khilafat pahunch gayi thi, Sindh ke ilakhay tak, aur West me Spain tak, tamam languages se ilm ko translate kiya jaane laga, Sanskrit se, Farsi se, Greek se aur doosri zabano se. Dubai Astronomy naami Website ke mutabiq, aaj duniya me 10 hazar se bhi zyada kitabein hain, jo sirf astronomy ki field me Musalmano ke contributions ka record bayan karti hain.

  • Ghaur-o-fikr ka silsila iss tarah aagay badh raha tha ke, ek waqt aisa shuru ho gaya ke, Musalman uss kaam ko le kar, cross check karke, verify karke, aur aagay contribute karne lagay. Iss kaam ke ba-daulat aaj bhi kayee sitaron ke naam Arabi naam hain.[18]
  • Arabon ki khaas baat ye thi ke, unhone ek proper procedure ka istemaal karna shuru kiya, Ph.D. jis tarah hoti hai ke, pehle ye dekha jata hai ke, iss field me kaam kya huwa hai, uss ko record kiya jata hai aur phir iss field me aagay kya kaam hona hai, uss par kaam kiya jata hai. Iss Ph.D ki thesis ke tareeqe se Musalmano ne kaam karna shuru kiya aur insaani uloom ko aur aagay badhaya.
  • Khaas taur par, Namaz ke timing aur Qible ka direction maloom karna Musalmano ke liye bohot zaroori kaam ho gaya, aur iss ki wajah se Astronomy aur Mathematics ki field me Musalmano ka focus raha, kayee sadiyon tak.
  • Umayyad Khalifa, al-Masur ke zamane me India se liye huwe Astronomical Observations ke texts ko Arabi me translate kiya gaya, jisay Zij al-Sindh kaha jata hai, aur Persia se liye gaye charts aur texts ka Arabi naam Zij al-Shah rakha gaya jo 200 saal ke observations ka data tha.
  • Indian Numbers ko liya gaya aur Greeks se kuch texts ke translations ko mila kar Arabon ne Algebra aur Trigonometry develop ki, aur ye dono ki wajah se hi mathematics aur astronomy ki field me development possible ho saka, yahan tak ke E=mc2 bhi possible ho saka.[19]
  • 830 eeswi me, al-Khwarizmi ne Zij al-Sindh ko develop kiya, jis me sooraj, chand aur 5 planet ke movements ke table thay. Aaj al-Khwarizmi ka bigaad hum algorithm ke naam se jaante hain, jo non-traditional methods ko istemaal kar ke cheezon ko calculate karne laga, yani scientific methodology ki shuruat huwi.
  • Khalifa al-Mamun ke zamane me, Astronomy ki field me research ke liye na sirf financial support diya jata tha, balke positions se bhi nawaza jaata tha, recognition diya jata tha. Issi ke chalte, Musalmano ne, Greeks ke banaye huwe astrolabes par kaam karna shuru kiya aur unn ko kaafi hadd tak develop kiya, jo mulk me alag alag jagahon par se sooraj, chand, sitaron ka position, Qibla direction, din aur raat me time estimation waghairah jaise cheezon ko calculate karne ke kaam me aata tha. Aur iss ke liye astronomy ka ilm hona zaroori ho gaya tha.[20]
  • 850 eeswi me al-Farghani ne ek Kitab likhi jo ke sitaron ke baare me tafseel thi, iss kitab me sooraj aur chand ke movements, circumference of the earth jaise details bhi maujood thay aur ye islaami hukumat me bohot hi mash’hoor huwi aur Latin me bhi translate ki gayee.[21]
  • Jo tareeqe kaar Musalman Science-daano ne istemaal kiya Islamic Golden Age me, wo aaj bhi Astronomy me istemaal ho raha hai. Aur aaj jo science-daan collaborate karte hain, Astronomy aur deegar fields me, wo bhi Baghdad me Islamic Golden Age me shuru huwa, jo iss se pehle kabhi nahi huwa tha.[22]
  • Ek Muslim Syrian Astronomer Aurat, jis ka naam Maryam al-Asturlabi tha aur jo Astrolabe ke champion ki betti thi, hume tareekh me 1000 eeswi me milta hai.[23]
  • 1025 eeswi se 1028 eeswi ke beech me Ibn al-Haytham ne Greek Astronomical model par comments karte huwe ek kitab likhi al-Shuku ala Batlamyus aur log alternate models ki khoj me lag gaye. 1070 eeswi me aur uss ke baad bhi Muslim Scientists iss kaam ko aagay badhane me observations me lag gaye aur kayee kitabein likhi gayee.[24]
  • 1200 eeswi me paida huwe Naseer-ud-Din Tusi ki jo kitabein thi,[25] wo Latin me translate huwi aur ussi ko Copernicus ne istemal karke, wo theory duniya ke saamne pesh ki ke, zameen iss kayenaat ka center nahi hai, balke zameen sooraj ke atraaf ghoomti hai. Inhi cheezon ki wajah se Spherical Geometry aur deesgar sciences me development huwa.[26]
  • Naseer-ud-Deen Tusi ne Baghdad me ek observatory bhi banayi thi, jahan kayee jagah se scientists aa kar ek jagah kaam kiya karte the, ek doosre se collaborate karte thay.
  • Ab iss me tafseel bohot hai, agar har Musalman sciencedaano ke karnaame ginate baitthenge, to issi me 3-4 dars lag jayenge. Lekin ek baat to tayy hai ke, Musalmano ka contribution science, astronomy aur mathematics me itna tha ke, aaj ki science mumkin nahi hoti, agar Musalmano ka contribution na hota.
  • To ye ilm hasil karne ka nateeja hai aur ghaur-o-fikr karne ka nateeja hai, jis ki wajah se aam insaano ki zindagi me farq pada, warna namaz ke timings google karke to dekhte nahi thay, jaise jaise islami hukumat phailte chali gayee, waise waise unn jagahon par ja kar logon ko naye calculations karne paday, namaz ke auqat aur qible ka direction maloom karne ke liye, issi tareeqe se to science bhi develop huwi.
Impact of Big-Bang theory on the human life

Pichle darson me humne Big Bang Theory aur ye kayenaat kaise wajood me aayee ki tafseel suni, iss theory ke sath sath ek aur theory bhi thi, jisay Steady State Theory kaha jata tha. Ab konsi theory sahih hai, iss ka faisla karne ke liye proof chahiye tha, ya to observations ke zariye proof milay ya experiment ke zariye proof diya jaye. To jab ye do tareeqon se proof jama karna shuru kare to Big Bang ke liye proofs milna shuru huwe, aakhir kaar doosri theory ko hume chhorrh dena parrha.

To ab yahan sawal ye paida hota hai ke, Big Bang to Kafiron ne daryaft kiya hai to iss se insaani zindagi me kya farq pada?

  • Jaisa ke humne kaha ke, Proof ke liye, Ek to hai observations, jis ke liye Optics ki field me development hona zaroori tha, warna door ki cheezen kaise dekhte?
  • Pehla proof jo mila wo expanding universe ka tha, jo bade bade telescopes se kayee galaxies ko observe kar ke, data par ghaur-o-fikr kar ke samajh me aya.
  • Aise hi ek ke baad ek proofs milte chale gaye, Einstine ki Theory of relativity bhi Big Bang ko support kar rahi thi, to jab bhi Relativity ko proof milta, wo Big Bang ko aur zyada support indirectly milta chala gaya.
  • Iss tareeqe se Optics ki field me development ki wajah se aam insaano ke liye ainak ki sahoolat ho gayee. Door-beeno ki sahoolat ho gayee.
  • Phir aasmaano me har cheez hum jo frequency par dekhte hain, wo uss frequency par dikhayee nahi deti, uss ke liye khaas qism ke cameras aur detectors ki zaroorat padi, to ye bhi aaj aam insaano ke faide ke liye istemaal hona shuru huwa, jaise X-Rays hai, Infrared sensors hai, Radar detectors hai.
  • Doosri jo field hai wo, experimentation hai, aur ye experimentation ki field me Big Bang Theory ko prove karne ke liye science-daano ne baday baday experiments setup kiya.
  • Jis me se ek experiment 27km ke diameter ka Large Hadron Collider hai. Jis me Hydrogen atoms me se protons ko nikaal kar, unhe speed of light tak accelerate kar ke, smash kiya jata hai.
  • Iss experiment ko develop karne me jo technology istemaal huwi, uss ki wajah se World Wide Web yani internet ki shuruat huwi jo aaj aam insaan istemaal kar raha hai.
  • Cancer Therapy me jo Radiation istemaal ho raha hai, wo iss Large Hadron Collider ki wajah se hume pata chali. Medical imaging me improvements, pehle sirf x-ray huwa karta tha, ab MRI hai aur doosre qism ke equipment hai jo hum radiologists ke paas dekhte hain.
  • Electric cars ho ya, bohot hi sensitive radiation detectors ho ye sab kuch inn experiments ki wajah se hai.
  • Phir ye jo arms race huwi US aur Russia ke beech, uss ki wajah se aaj insaan Mars tak pahunch gaya, hamare Aircrafts me jo navigation ke liye equipment hai, uss me development huwa.
  • To aam insaan ke faide hi faide hain.
  • Aur baat kahan se shuru huwi thi, Quran ke iss sawal se ke, kya tum ghaur-o-fikr nahi karte, ya tumhare dilon par taale paday huwe hain?

Yahan Dars rok denge, next Saturday In Sha Allah Surah al-Baqarah ki tafseel agay sunenge.

Al hamdulillahi Rabbil Alameen

Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam

Rabbana aatina fid duniya…

References

[1] Reference: Sahih al-Bukhari 1397

[2] It is reported on the authority of Anas b. Malik that he said: We were forbidden that we should ask anything (without the genuine need) from the Holy Prophet. It, therefore, pleased us that an intelligent person from the dwellers of the desert should come and asked him (the Holy Prophet) and we should listen to it. A man from the dwellers of the desert came (to the Holy Prophet) and said: Muhammad, your messenger came to us and told us your assertion that verily Allah had sent you (as a prophet). He (the Holy Prophet) remarked: He told the truth. He (the bedouin) said: Who created the heaven? He (the Holy Prophet) replied: Allah. He (the bedouin again) said: Who created the earth? He (the Holy Prophet) replied: Allah. He (the bedouin again) said: Who raised these mountains and who created in them whatever is created there? He (the Holy Prophet) replied: Allah. Upon this he (the bedouin) remarked: By Him Who created the heaven and created the earth and raised mountains thereupon, has Allah (in fact) sent you? He (the Holy Prophet) said: Yes. He (the bedouin) said: Your messenger also told us that five prayers (had been made) obligatory for us during the day and the night. He (the Holy Prophet) remarked: He told you the truth. He (the bedouin) said: By Him Who sent you, is it Allah Who ordered you about this (i. e. prayers)? He (the Holy Prophet) said: Yes. He (the bedouin) said: Your messenger told us that Zakat had been made obligatory in our riches. He (the Holy Prophet) said. He has told the truth. He (the bedouin) said: By Him Who sent you (as a prophet), is it Allah Who ordered you about it (Zakat)? He (the Holy Prophet) said: Yes. He (the bedouin) said: Your messenger told us that it had been made obligatory for us to fast every year during the month of Ramadan. He (the Holy Prophet) said: He has told the truth. He (the bedouin) said: By Him Who sent you (as a prophet), is it Allah Who ordered you about it (the fasts of Ramadan)? He (the Holy Prophet) said: Yes. He (the bedouin) said: Your messenger also told us that pilgrimage (Hajj) to the House (of Ka’bah) had been made obligatory for him who is able to undertake the journey to it. He (the Holy Prophet) said: Yes. The narrator said that he (the bedouin) set off (at the conclusion of this answer, but at the time of his departure) remarked: ‘By Him Who sent you with the Truth, I would neither make any addition to them nor would I diminish anything out of them. Upon this the Prophet remarked: If he were true (to what he said) he must enter Paradise.

حَدَّثَنِي عَمْرُو بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ بُكَيْرٍ النَّاقِدُ، حَدَّثَنَا هَاشِمُ بْنُ الْقَاسِمِ أَبُو النَّضْرِ، حَدَّثَنَا سُلَيْمَانُ بْنُ الْمُغِيرَةِ، عَنْ ثَابِتٍ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، قَالَ نُهِينَا أَنْ نَسْأَلَ، رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم عَنْ شَىْءٍ فَكَانَ يُعْجِبُنَا أَنْ يَجِيءَ الرَّجُلُ مِنْ أَهْلِ الْبَادِيَةِ الْعَاقِلُ فَيَسْأَلَهُ وَنَحْنُ نَسْمَعُ فَجَاءَ رَجُلٌ مِنْ أَهْلِ الْبَادِيَةِ فَقَالَ يَا مُحَمَّدُ أَتَانَا رَسُولُكَ فَزَعَمَ لَنَا أَنَّكَ تَزْعُمُ أَنَّ اللَّهَ أَرْسَلَكَ قَالَ ‏”‏ صَدَقَ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ فَمَنْ خَلَقَ السَّمَاءَ قَالَ ‏”‏ اللَّهُ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ فَمَنْ خَلَقَ الأَرْضَ قَالَ ‏”‏ اللَّهُ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ فَمَنْ نَصَبَ هَذِهِ الْجِبَالَ وَجَعَلَ فِيهَا مَا جَعَلَ ‏.‏ قَالَ ‏”‏ اللَّهُ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ فَبِالَّذِي خَلَقَ السَّمَاءَ وَخَلَقَ الأَرْضَ وَنَصَبَ هَذِهِ الْجِبَالَ آللَّهُ أَرْسَلَكَ قَالَ ‏”‏ نَعَمْ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ وَزَعَمَ رَسُولُكَ أَنَّ عَلَيْنَا خَمْسَ صَلَوَاتٍ فِي يَوْمِنَا وَلَيْلَتِنَا ‏.‏ قَالَ ‏”‏ صَدَقَ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ فَبِالَّذِي أَرْسَلَكَ آللَّهُ أَمْرَكَ بِهَذَا قَالَ ‏”‏ نَعَمْ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ وَزَعَمَ رَسُولُكَ أَنَّ عَلَيْنَا زَكَاةً فِي أَمْوَالِنَا ‏.‏ قَالَ ‏”‏ صَدَقَ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ فَبِالَّذِي أَرْسَلَكَ آللَّهُ أَمْرَكَ بِهَذَا قَالَ ‏”‏ نَعَمْ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ وَزَعَمَ رَسُولُكَ أَنَّ عَلَيْنَا صَوْمَ شَهْرِ رَمَضَانَ فِي سَنَتِنَا ‏.‏ قَالَ ‏”‏ صَدَقَ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ فَبِالَّذِي أَرْسَلَكَ آللَّهُ أَمَرَكَ بِهَذَا قَالَ ‏”‏ نَعَمْ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ وَزَعَمَ رَسُولُكَ أَنَّ عَلَيْنَا حَجَّ الْبَيْتِ مَنِ اسْتَطَاعَ إِلَيْهِ سَبِيلاً ‏.‏ قَالَ ‏”‏ صَدَقَ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ ثُمَّ وَلَّى ‏.‏ قَالَ وَالَّذِي بَعَثَكَ بِالْحَقِّ لاَ أَزِيدُ عَلَيْهِنَّ وَلاَ أَنْقُصُ مِنْهُنَّ ‏.‏ فَقَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ لَئِنْ صَدَقَ لَيَدْخُلَنَّ الْجَنَّةَ ‏”‏ ‏.‏

Reference: Sahih Muslim 12a

[3] Quran-ST | 49-14

[4] Quran-ST | 41-6

[5] Ibn ‘Umar reported the Prophet as saying, “The sultan is God’s shade on the earth to which each one of His servants who is wronged repairs. When he is just he will have a reward, and it is the duty of the common people to be grateful; but when he acts tyrannically the burden rests on him, and it is the duty of the common people to show endurance.” [Baihaqi transmitted in Shuab al iman]

وَعَنِ ابْنِ عُمَرَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «إِنَّ السُّلْطَانَ ظِلُّ اللَّهِ فِي الْأَرْضِ يَأْوِي إِلَيْهِ كُلُّ مَظْلُومٍ مِنْ عِبَادِهِ فَإِذَا عَدَلَ كَانَ لَهُ الْأَجْرُ وَعَلَى الرَّعِيَّةِ الشُّكْرُ وَإِذَا جَارَ كَانَ عَلَيْهِ الْإِصْرُ وعَلى الرّعية الصَّبْر» حكم: لم تتمّ دراسته (الألباني)

Grade: Daif | Reference: Mishkat al-Masabih 3718

Ma’qil b. Yasar told that he heard God’s Messenger say, “Any governor in charge of Muslim subjects who dies while acting dishonestly towards them will be excluded by God from paradise.” [Bukhari and Muslim]

وَعَنْ مَعْقِلِ بْنِ يَسَارٍ قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسلم يقولُ: «مَا مِنْ والٍ بلي رَعِيَّةً مِنَ الْمُسْلِمِينَ فَيَمُوتُ وَهُوَ غَاشٌّ لَهُمْ إِلَّا حَرَّمَ اللَّهُ عَلَيْهِ الْجَنَّةَ» حكم: مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ (الألباني)

Grade: Sahih (al-Albani) | Reference: Mishkat al-Masabih 3686

[6] Sa’d bin Abu Waqqas (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (ﷺ) said, “Allah loves a slave who is pious, free of all wants and the unnoticed.” [Muslim].

وعن سعد بن أبي وقاص رضي الله عنه قال‏:‏ سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم‏:‏ يقول‏:‏ “إن الله يحب العبد التقي الغني الخفي” ‏(‏‏(‏رواه مسلم‏)‏‏)‏‏.‏ والمراد‏:‏ بـ “الغني” غني النفس، كما سبق فى الحديث الصحيح‏.‏

Reference: Riyad as-Salihin 596

[7] Tamim al-Dari reported the Prophet (May peace be upon him) as saying; Religion conduct; religion consists in sincere conduct. The people asked; to whom should it be directed, Messenger of Allah? He replied : To Allah, his book, his Apostle, the leaders (public authorities) of the believers and all the believers, and the leaders (public authorities) of Muslim and the Muslims and the Muslims in general.

حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ يُونُسَ، حَدَّثَنَا زُهَيْرٌ، حَدَّثَنَا سُهَيْلُ بْنُ أَبِي صَالِحٍ، عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَزِيدَ، عَنْ تَمِيمٍ الدَّارِيِّ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ إِنَّ الدِّينَ النَّصِيحَةُ إِنَّ الدِّينَ النَّصِيحَةُ إِنَّ الدِّينَ النَّصِيحَةُ ‏”‏ ‏.‏ قَالُوا لِمَنْ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ ‏”‏ لِلَّهِ وَكِتَابِهِ وَرَسُولِهِ وَأَئِمَّةِ الْمُؤْمِنِينَ وَعَامَّتِهِمْ وَأَئِمَّةِ الْمُسْلِمِينَ وَعَامَّتِهِمْ ‏”‏ ‏.‏ حكم: صحيح (الألباني)

Grade: Sahih (Al-Albani) | Reference: Sunan Abi Dawud 4944, Riyad as-Salihin 181, Bulugh al-Maram Book 16, Hadith 96

[8] Quran-ST | 2-185

[9] Narrated Ibn ‘Abbas: I spent a night with the Prophet (sal Allaahu alayhi wa sallam). When he woke up from his sleep (in the latter part of the night for prayer) he came to his ablution water. He took the tooth-stick and used it. He then recited the verse: “Verily in the creation of the heavens and the earth and the alternation of the night and the day are tokens (of His Sovereignty) for men of understanding” (iii-190). He recited these verses up to the end of the chapter or he finished the whole chapter. He then performed ablution and came to the place of prayer. He then said two rak’ahs of prayer. He then lay down on the bed and slept as much as Allaah wished. He then got up and did the same. He then lay down and slept. He then got up and did the same. Every time he used the tooth-stick and offered two rak’ah of prayer. He then offered the prayer known as witr. Abu Dawud said: Fudail on the authority if Husain reported the wording: He then used the tooth-stick and performed ablution while he was reciting the verses: “Verily in the creation of the heaves and the earth…” until he finished the chapter.

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عِيسَى، حَدَّثَنَا هُشَيْمٌ، أَخْبَرَنَا حُصَيْنٌ، عَنْ حَبِيبِ بْنِ أَبِي ثَابِتٍ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ عَلِيِّ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَبَّاسٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ بِتُّ لَيْلَةً عِنْدَ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فَلَمَّا اسْتَيْقَظَ مِنْ مَنَامِهِ أَتَى طَهُورَهُ فَأَخَذَ سِوَاكَهُ فَاسْتَاكَ ثُمَّ تَلاَ هَذِهِ الآيَاتِ ‏{‏ إِنَّ فِي خَلْقِ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَاخْتِلاَفِ اللَّيْلِ وَالنَّهَارِ لآيَاتٍ لأُولِي الأَلْبَابِ ‏}‏ حَتَّى قَارَبَ أَنْ يَخْتِمَ السُّورَةَ أَوْ خَتَمَهَا ثُمَّ تَوَضَّأَ فَأَتَى مُصَلاَّهُ فَصَلَّى رَكْعَتَيْنِ ثُمَّ رَجَعَ إِلَى فِرَاشِهِ فَنَامَ مَا شَاءَ اللَّهُ ثُمَّ اسْتَيْقَظَ فَفَعَلَ مِثْلَ ذَلِكَ ثُمَّ رَجَعَ إِلَى فِرَاشِهِ فَنَامَ ثُمَّ اسْتَيْقَظَ فَفَعَلَ مِثْلَ ذَلِكَ ثُمَّ رَجَعَ إِلَى فِرَاشِهِ فَنَامَ ثُمَّ اسْتَيْقَظَ فَفَعَلَ مِثْلَ ذَلِكَ كُلُّ ذَلِكَ يَسْتَاكُ وَيُصَلِّي رَكْعَتَيْنِ ثُمَّ أَوْتَرَ ‏.‏ قَالَ أَبُو دَاوُدَ رَوَاهُ ابْنُ فُضَيْلٍ عَنْ حُصَيْنٍ قَالَ فَتَسَوَّكَ وَتَوَضَّأَ وَهُوَ يَقُولُ ‏{‏ إِنَّ فِي خَلْقِ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ ‏}‏ حَتَّى خَتَمَ السُّورَةَ ‏.‏ حكم: صحيح (الألباني)

Grade: Sahih (Al-Albani) | Reference: Sunan Abi Dawud 58

[10] Ibn ‘Abbas said: I spent a night with my maternal aunt Maimuna when the Prophet was with her. After talking to his family for a time he had a sleep, then when the last third of the night came, or a little later, he sat up, looked at the sky, and recited, “In the creation of the heavens and the earth and the alternation of night and day there are indeed signs for people of understanding,”(Al-Qur’an; 3:190) to the end of the sura. Then getting up and going to the bucket, he loosened its cord and poured some water into a bowl, then performed a good ablution between the two extremes, not going to great length, and when he had done it fully he stood up and prayed. I got up, and when I had performed ablution I stood at his left side, whereupon he took me by the ear and made me go round to his right side. His prayer was altogether thirteen rak’as. Then he lay down and slept, and he snored as was his custom. When Bilal made the call to prayer for him he prayed without performing ablution, and his supplication included these words, “O God, place light in my heart, light in my eyesight, light in my hearing, light on my right hand, light on my left hand, light above me, light below me, light in front of me, light behind me, and grant me light.” Some added, “and light in my tongue,” and mentioned, “my joints, my flesh, my blood, my hair, my skin.” (Bukhari and Muslim.) In a version by both of them he said, “Place light in my soul, and give me abundant light.” In another by Muslim he said, “O God, give me light.”

وَعَن ابْن عَبَّاس قَالَ: بِتُّ عِنْدَ خَالَتِي مَيْمُونَةَ لَيْلَةً وَالنَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عِنْدَهَا فَتَحَدَّثَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مَعَ أَهْلِهِ سَاعَةً ثُمَّ رَقَدَ فَلَمَّا كَانَ ثُلُثُ اللَّيْلِ الْآخِرُ أَوْ بَعْضُهُ قَعَدَ فَنَظَرَ إِلَى السَّمَاءِ فَقَرَأَ: (إِنَّ فِي خَلْقِ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَاخْتِلَافِ اللَّيْل وَالنَّهَار لآيَات لأولي الْأَلْبَاب ” حَتَّى خَتَمَ السُّورَةَ ثُمَّ قَامَ إِلَى الْقِرْبَةِ فَأَطْلَقَ شِنَاقَهَا ثُمَّ صَبَّ فِي الْجَفْنَةِ ثُمَّ تَوَضَّأَ وُضُوءًا حَسَنًا بَيْنَ الْوُضُوءَيْنِ لَمْ يُكْثِرْ وَقَدْ أَبْلَغَ فَقَامَ فَصَلَّى فَقُمْتُ وَتَوَضَّأْتُ فَقُمْتُ عَنْ يَسَارِهِ فَأَخَذَ بِأُذُنِي فَأَدَارَنِي عَنْ يَمِينِهِ فَتَتَامَّتْ صَلَاتُهُ ثَلَاثَ عَشْرَةَ رَكْعَةً ثُمَّ اضْطَجَعَ فَنَامَ حَتَّى نَفَخَ وَكَانَ إِذَا نَامَ نَفَخَ فَآذَنَهُ بِلَالٌ بِالصَّلَاةِ فَصَلَّى وَلَمْ يَتَوَضَّأْ وَكَانَ فِي دُعَائِهِ: «اللَّهُمَّ اجْعَلْ فِي قَلْبِي نُورًا وَفِي بَصَرِي نُورًا وَفِي سَمْعِي نُورًا وَعَنْ يَمِينِي نُورًا وَعَنْ يَسَارِي نُورًا وَفَوْقِي نُورًا وتحتي نورا وأمامي نورا وَخَلْفِي نُورًا وَاجْعَلْ لِي نُورًا» وَزَادَ بَعْضُهُمْ: «وَفِي لِسَانِي نُورًا» وَذُكِرَ: ” وَعَصَبِي وَلَحْمِي وَدَمِي وَشِعَرِي وبشري) وَفِي رِوَايَةٍ لَهُمَا: «وَاجْعَلْ فِي نَفْسِي نُورًا وَأَعْظِمْ لِي نُورًا» وَفِي أُخْرَى لِمُسْلِمٍ: «اللَّهُمَّ أَعْطِنِي نورا» حكم: مُتَّفق عَلَيْهِ (الألباني)

Reference : Mishkat al-Masabih 1195

Narrated Ibn `Abbas: Whenever the Prophet offered his Tahajjud prayer, he would say, “O Allah, our Lord! All the praises are for You; You are the Keeper (Establisher or the One Who looks after) of the Heavens and the Earth. All the Praises are for You; You are the Light of the Heavens and the Earth and whatever is therein. You are the Truth, and Your saying is the Truth, and Your promise is the Truth, and the meeting with You is the Truth, and Paradise is the Truth, and the (Hell) Fire is the Truth. O Allah! I surrender myself to You, and believe in You, and I put my trust in You (solely depend upon). And to You I complain of my opponents and with Your Evidence I argue. So please forgive the sins which I have done in the past or I will do in the future, and also those (sins) which I did in secret or in public, and that which You know better than I. None has the right to be worshipped but You.”

حَدَّثَنِي ثَابِتُ بْنُ مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنِ ابْنِ جُرَيْجٍ، عَنْ سُلَيْمَانَ الأَحْوَلِ، عَنْ طَاوُسٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ قَالَ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم إِذَا تَهَجَّدَ مِنَ اللَّيْلِ قَالَ ‏ “‏ اللَّهُمَّ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ، أَنْتَ قَيِّمُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، وَلَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَمَنْ فِيهِنَّ، وَلَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ نُورُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَمَنْ فِيهِنَّ، أَنْتَ الْحَقُّ، وَقَوْلُكَ الْحَقُّ، وَوَعْدُكَ الْحَقُّ، وَلِقَاؤُكَ الْحَقُّ، وَالْجَنَّةُ حَقٌّ، وَالنَّارُ حَقٌّ، وَالسَّاعَةُ حَقٌّ، اللَّهُمَّ لَكَ أَسْلَمْتُ، وَبِكَ آمَنْتُ، وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ، وَإِلَيْكَ خَاصَمْتُ، وَبِكَ حَاكَمْتُ، فَاغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ، وَأَسْرَرْتُ وَأَعْلَنْتُ، وَمَا أَنْتَ أَعْلَمُ بِهِ مِنِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ ‏”‏‏.‏ قَالَ أَبُو عَبْدِ اللَّهِ قَالَ قَيْسُ بْنُ سَعْدٍ وَأَبُو الزُّبَيْرِ عَنْ طَاوُسٍ قَيَّامٌ‏.‏ وَقَالَ مُجَاهِدٌ الْقَيُّومُ الْقَائِمُ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ‏.‏ وَقَرَأَ عُمَرُ الْقَيَّامُ، وَكِلاَهُمَا مَدْحٌ‏.‏

Reference : Sahih al-Bukhari 7442

Narrated Ibn `Abbas: When the Prophet got up at night to offer the Tahajjud prayer, he used to say: Allahumma lakal-hamd. Anta qaiyyimus-samawati wal-ard wa man fihinna. Walakal-hamd, Laka mulkus-samawati wal-ard wa man fihinna. Walakal-hamd, anta nurus-samawati wal-ard. Wa lakal-hamd, anta-l-haq wa wa’duka-lhaq, wa liqa’uka Haq, wa qauluka Haq, wal-jannatu Han wan-naru Haq wannabiyuna Haq. Wa Muhammadun, sallal-lahu’alaihi wasallam, Haq, was-sa’atu Haq. Allahumma aslamtu Laka wabika amantu, wa ‘Alaika tawakkaltu, wa ilaika anabtu wa bika khasamtu, wa ilaika hakamtu faghfir li ma qaddamtu wama akh-khartu wama as-rartu wama’a lantu, anta-l-muqaddim wa anta-l-mu akh-khir, la ilaha illa anta (or la ilaha ghairuka). (O Allah! All the praises are for you, You are the Holder of the Heavens and the Earth, And whatever is in them. All the praises are for You; You have the possession of the Heavens and the Earth And whatever is in them. All the praises are for You; You are the Light of the Heavens and the Earth And all the praises are for You; You are the King of the Heavens and the Earth; And all the praises are for You; You are the Truth and Your Promise is the truth, And to meet You is true, Your Word is the truth And Paradise is true And Hell is true And all the Prophets (Peace be upon them) are true; And Muhammad is true, And the Day of Resurrection is true. O Allah ! I surrender (my will) to You; I believe in You and depend on You. And repent to You, And with Your help I argue (with my opponents, the non-believers) And I take You as a judge (to judge between us). Please forgive me my previous And future sins; And whatever I concealed or revealed And You are the One who make (some people) forward And (some) backward. There is none to be worshipped but you . Sufyan said that `Abdul Karim Abu Umaiya added to the above, ‘Wala haula Wala quwata illa billah’ (There is neither might nor power except with Allah).

حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، قَالَ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، قَالَ حَدَّثَنَا سُلَيْمَانُ بْنُ أَبِي مُسْلِمٍ، عَنْ طَاوُسٍ، سَمِعَ ابْنَ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ قَالَ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم إِذَا قَامَ مِنَ اللَّيْلِ يَتَهَجَّدُ قَالَ ‏”‏ اللَّهُمَّ لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ قَيِّمُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَمَنْ فِيهِنَّ وَلَكَ الْحَمْدُ، لَكَ مُلْكُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَمَنْ فِيهِنَّ، وَلَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ نُورُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، وَلَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ الْحَقُّ، وَوَعْدُكَ الْحَقُّ، وَلِقَاؤُكَ حَقٌّ، وَقَوْلُكَ حَقٌّ، وَالْجَنَّةُ حَقٌّ، وَالنَّارُ حَقٌّ، وَالنَّبِيُّونَ حَقٌّ، وَمُحَمَّدٌ صلى الله عليه وسلم حَقٌّ، وَالسَّاعَةُ حَقٌّ، اللَّهُمَّ لَكَ أَسْلَمْتُ، وَبِكَ آمَنْتُ وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ، وَإِلَيْكَ أَنَبْتُ، وَبِكَ خَاصَمْتُ، وَإِلَيْكَ حَاكَمْتُ، فَاغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ، وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ، أَنْتَ الْمُقَدِّمُ وَأَنْتَ الْمُؤَخِّرُ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ ـ أَوْ لاَ إِلَهَ غَيْرُكَ ـ ‏”‏‏.‏ قَالَ سُفْيَانُ وَزَادَ عَبْدُ الْكَرِيمِ أَبُو أُمَيَّةَ ‏”‏ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ ‏”‏‏.‏ قَالَ سُفْيَانُ قَالَ سُلَيْمَانُ بْنُ أَبِي مُسْلِمٍ سَمِعَهُ مِنْ طَاوُسٍ عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم‏.‏

Reference : Sahih al-Bukhari 1120, Sunan Ibn Majah 1355, Sahih al-Bukhari 6317

[11] Quran-ST | 6-75 to Quran-ST | 6-76

[12] Quran-ST | 6-77

[13] Quran-ST | 6-78

[14] Quran-ST | 6-79

[15] Narrated Masruq: that ‘Aishah said: “O Messenger of Allah! – On the Day of Resurrection the whole earth will be grasped by His Hand and the heavens will be rolled up in His Right Hand (39:67). Where will the believers be?” He said: “Upon the Sirat O ‘Aishah!”

حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي عُمَرَ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنْ دَاوُدَ بْنِ أَبِي هِنْدٍ، عَنِ الشَّعْبِيِّ، عَنْ مَسْرُوقٍ، عَنْ عَائِشَةَ، أَنَّهَا قَالَتْ يَا رَسُولَ اللَّهِ ‏:‏ ‏(‏والأَرْضُ جَمِيعًا قَبْضَتُهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَالسَّمَوَاتُ مَطْوِيَّاتٌ بِيَمِينِهِ ‏)‏ فَأَيْنَ الْمُؤْمِنُونَ يَوْمَئِذٍ قَالَ ‏”‏ عَلَى الصِّرَاطِ يَا عَائِشَةُ ‏”‏ ‏.‏ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏.‏

Grade: Sahih (Darussalam)

Reference : Jami` at-Tirmidhi 3242

It was narrated that ‘Aishah said: “I asked the Messenger of Allah (saw): “On the Day when the earth will be changed to another earth and so will be the heavens.” [14:48] – where will the people be on that Day?’ He said: ‘On the Sirat (the Bridge across Hell-fire).’”

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ مُسْهِرٍ، عَنْ دَاوُدَ، عَنِ الشَّعْبِيِّ، عَنْ مَسْرُوقٍ، عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ سَأَلْتُ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ عَنْ قَوْلِهِ ‏{يَوْمَ تُبَدَّلُ الأَرْضُ غَيْرَ الأَرْضِ وَالسَّمَوَاتُ ‏}‏ فَأَيْنَ تَكُونُ النَّاسُ يَوْمَئِذٍ قَالَ ‏”‏ عَلَى الصِّرَاطِ ‏”‏ ‏.‏

Grade: Sahih (Darussalam)

Reference : Sunan Ibn Majah 4279

[16] Source: Professor Masud-ul-Hasan, Hazrat Umar Farooq (Seerat), Kitab Bhavan, Page 175

[17] Source: Professor Masud-ul-Hasan, Hazrat Uthman Ghani (Seerat), Kitab Bhavan, Pages 52-54

[18] Source: https://dubaiastronomy.com/astronomy-from-arabia/

[19] https://drive.google.com/file/d/13gPg25vIswCtCsya9FZ5YG6-wYaFLs4U/view?usp=drive_link (54:35 to 55:40)

[20] Source: Al Jazeera Documentary, Science in a Golden Age – Astronomy: The Science of the Stars

[21] Source: https://dubaiastronomy.com/astronomy-from-arabia/

[22] Source: Al Jazeera Documentary, Science in a Golden Age – Astronomy: The Science of the Stars

[23] Source: Who was Muslim astronomer Mariam al-Asturlabi.mp4

[24] Source: https://dubaiastronomy.com/astronomy-from-arabia/

[25] Source: Nasir al-Din al-Tusi – Wikipedia

[26] Source: Al Jazeera Documentary, Science in a Golden Age – Astronomy: The Science of the Stars

Comments are closed.