Tafseer Surah Al Fatiha Part 2

Tafseer Surah Fatiha Part 2


Aoozu Billahi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah Alhamdulillah was salaatu was salaamu ala rasoolillah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani wa yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakaatuhu

Pichle hafte humne, Quran ke introduction ka Chhetta hissa suna, jiss me Quran ki Summary ki tafseel suni aur Surah Fatiha ki tafseer ka pehla hissa me, Auzoo Billahi minash Shaitanir Rajeem ki tafseer suni. Aaj ke Session me hum Surah al-Fatiha ki tafseer me Bismillahi ar-Rahmani ar-Raheem ke baare me janenge;

Introduction

Surah Al Fatiha ke Introduction ke pichle hisse me humne suna tha ke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne hukum diya ke Quran ko parrhne se pehle Shaitan-e-mardood se panah maang liya karo.

Doosra ek aur hukum, Quran ki pehli wahi me aya hai ke,

ٱقْرَأْ بِٱسْمِ رَبِّكَ ٱلَّذِى خَلَقَ

Aye Muhammad (صلى الله عليه وسلم) apne Rabb, apne paalne waale malik ke naam se parrho jiss ne paida kiya,[1]

To hamare Rabb ka naam kya hai?

  • Allah hai.

Kaise maaloom ke hamara Rabb ka naam, Allah hai? Kya saboot hai?

  • Surah al-Fatiha ki pehli ayat me hamare Rabb ka naam agaya, (ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَـٰلَمِينَ).[2]

To Allah ke naam ke saath Quran kaise parrhenge?

  • Mufti Shafi Sahab, apni tafseer Maariful Quran me, Tafseer Qurtubi aur Ruh al-Ma’ani ke hawale se likhte hain ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) har kaam ko shuru karne se pehle, Bismika Allahumma kehte the, lekin jab Bismillah Ar-Rahman Ar-Raheem nazil huwa to phir aap (صلى الله عليه وسلم) ne hukum diya ke Bismillah Ar-Rahman Ar-Raheem istemaal kiya jaye.[3]
  • Ahadith me aata hai ke Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) Quran ko parrhte waqt Bismillah Ar-Rahman Ar-Raheem se shuru karte.[4]
  • To likhne ke aitebaar se bhi Bismillah Ar-Rahman Ar-Raheem 114 me se 113 suraton ke aage likhi huwi hai, siway Surah at-Tauba ke.
  • Aur Surah an-Naml ki 30 ayat me, jo hum parindon par ghaur-o-fikr karte huwe sune the ke, Sulaiman (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) jo Maleka-e-Bilquis ko khat likhe, jisse Hudhud ke zariye bheja gaya, to wo khat ki shuru’at, Sulaiman (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ne kuch aise ki,

إِنَّهُۥ مِن سُلَيْمَـٰنَ وَإِنَّهُۥ بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ

  • Ye khat, Sulaiman ki taraf se hai, aur iss ka agaaz, Bismillah ar-Rahman ar-Raheem se huwa hai,[5]
  • To Bismillah Ar-Rahman Ar-Raheem iss ayat me maujood hone ki wajah se, Quran me 114 waqt aya hai.
  • To Quran parrhne se pehle

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم

Se aap (صلى الله عليه وسلم) shuru karte the, to itteba-e-sunnat me hume bhi chahiye ke, iss jumle ke parrhne ke baad Quran parrhna shuru kare. Aur kyun ke Bismillah Ar-Rahman Ar-Raheem Quran ka hissa hai, iss ko parrhne se pehle Auzoo billahi mina shaitanir rajeem parrhna chahiye.

To aaiyye samajhte hain;

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم

Ab Bismi Allah ka jo hai wo teen alfaz se bana huwa hai,

  • Lafz-e-bi, Ism aur Allah,
  • Mufti Shafi Sahab, apni tafseer Maariful Quran me likhte hain ke, Lafz-e-bi to huroof-e-jaar, ya huroof-e-rabt, ya preposition hai, uss ka matlab “With” ke aatay hain, aur kayee mafhoom bhi hain,
  • Jiss me se teen yahan lagoo kiye ja sakte hain,
    • Pehla hai, qurbat, ya ek cheez aur doosri cheez ke darmiyan qurabat zahir hoti hai, Bi ke istemaal se,
    • doosra hai, kisi ki madad ya kisi cheez ki talash karna,
    • teesra hai, kisi ki barkat hasil karna.
    • Ye teeno mafhoom, Bismillah par lagoo hote hain, jiss ko hum aagay dekhte hain.[6]
  • ‘ism’ ka matlab naam, name ke aate hain. To Bi-Ism ka matlab “With the Name” or “In the Name” ke aatey hain.

Ab Bism ke baad Lafz-e-Allah hai,

اللَّهِ

Lafze Allah jo hai;

  • woh ism hai, naam hai, aur naam jo hai woh zaat/being/personality ka naam hota,
  • Baaz logon ka yeh khayal hai ke, lafz-e-Allah – Al-Ilaha tha, aur kasrat-e-istemaal se, matlab bolte bolte Allah ho gaya,
  • Aur iss naam ki khaas baat yeh hai ke,
    • iss ka koi feminine naam nahin hai,
    • aur na koi plural hai,
    • aur yeh history mein kabhi koi buth ka naam nahin tha,
    • yeh uss haqeeqi zaat ka naam hai jo saari kayenaat / saare universe ko chala raha hai.
  • Lafz-e-Allah ka translation nahin ho sakta, kyun ke,
    • jaise mere naam ka tarjuma nahin kiya jaa sakta hain,
    • Misaal ke taur par, mera naam Rizwan hai, iss ke maane pleasure ke aate hai, mujhe aap “pleasure of the Beneficent” to nahi pukarenge, jo Rizwan-ur-Rehman ka tarjuma hai,
    • waise hi, jiss ne bhi Allah ka tarjuma God ya Lord kiya hai woh saheeh nahin hai.
    • God ya Lord Ilaaha ka tarjuma hai.
  • Mufti Shafi Sahab, apni tafseer Maariful Quran me likhte hain ke, Allah jo naam hai wo Allah ke naamo me sab se bada aur sab se jaame naam hai, Baaz ulama ka khayal ye hai ke, ye naam al-Ism al-Azam hai, aur iss ki barakat ye hai ke, jo dua maange wo qabool hoti hai aur jo cheez maange wo mil jaati hai.[7]
  • To ye Allah kaun hai:

اللّٰهِ

Allah ek zaat ya ek personality ka naam hai aur ilaha ek designation ya ek ohde ka naam hai, jaise president, prime minister, waghairah. Head of the universe, ya iss kayenaat ki ya iss universe ki supreme authority ko ilaha kehte hai, iss ko Quran ne kaise samjhaya?

  • Surah al-Qasas ki 38wi ayat me, Firawn se bolne lagwaya,

وَقَالَ فِرْعَوْنُ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلْمَلَأُ مَا عَلِمْتُ لَكُم مِّنْ إِلَـٰهٍ غَيْرِى

  • Yahan ‘Ilahin gairi’ ko underline kariye, “Aur Firawn ne kaha ke, aye ahle darbaar, ya aye darbaar me maujood logo, main tumhare liye, mere alaawa koi aur ilaha ko nahi jaanta…,[8]
  • Firawn apne aap ko, ilaha kis sense mein keh raha hai, kyun ke, wo definitely apne aap ko khuda hoon nahi keh raha hai, (Quran me aya hai ke) woh khud butth parasti karta tha?
  • Woh iss liye ke, woh apne kingdom mein, Misr me, Egypt me supreme authority tha, to Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) kis ilaha ki baat kar rahe hain?
  • To isse yeh pata chalta hai ke, ilaha ek ohda hai, ek designation hai, Head of the universe ka, aur uss ka naam Allah hai. (Eg. Indian President – Draupadi Murmu, inn se pehle Ram Nath Kovind the, ohda ek hi hai – lekin shaksiyat badal gayee), Allah ka inteqaal nahin hota, woh to;

هُوَ ٱلْأَوَّلُ وَٱلْـَٔاخِرُ وَٱلظَّـٰهِرُ وَٱلْبَاطِنُ ۖ

  • Allah to, wohi sab se pehla aur wohi sab se pichla ya sab se aakhir aur wohi sab se zahir aur wohi sab se poshida, sab se chhupa huwa,…[9]
  • Sab se pehle Allah hi the, abh bhi wo hain aur jab sab kuch khatam ho jayega wohi baqi rahenge, ek hadith me ata hai ke,
  • Sab se pehle Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) the, phir unhone paani ko banaya, aur Arsh ko paani par banaya – to Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) se pehle koi nahi tha wo hamesha se hain.[10]
  • Ek daif hadith me ata hai ke, jab soor phuk diya jayega aur ye kayenaat khatam ho jayegi, to Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke siway sirf wo chaar farishte bach jayenge, Jibraeel, Mikaeel, Israfil aur Malakul Maut.
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) Malakul Maut ko hukum denge ke Mikaeel ki rooh Qabz kar lo, Mikaeel khatam ho jayenge, phir
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ek ke baad ek farishton ki rooh Qabz karne ka hukum denge Malakul Maut ko, Israfeel, Jibraeel aur phir Malakul Maut Apni rooh khud Qabz karenge aur iss ke baad sirf Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki zaat bach jayegi.
    • Tab Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ailaan karenge, Maine Zameen aur Aasmaan ko banaya aur main hi unko khatam karke phir se paida kar sakta hoon,
    • Kahan hai jabar aur zulm karne waale, takabbur karne waale?
    • Koi jawab nahi dega.
    • Phir se Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ailaan karenge, Aaj kiss ki Baadshahat hai – koi jawab nahi dega.
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) khud jawab denge – HUWA ALLAHUL WAHIDUL QAHHAAR, badshahat uss ek Allah ke liye hai jo Wahid hai, Akela hai aur Qahar karne wala taqatwar hai.
    • Phir doosra soor phoonka jayega aur kayenaat phir se recreate hogi.[11]

Kahin Quran aur Hadees mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke size ya shape ke baarey mein nahin aya hai,

  • balke hum ko inki zaat ke baare mein sonchne se bhi mana kiya gaya hai, kyun ke, humara dimagh limited hai aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) unlimited hai, hum imagine hi nahin kar saktey.
  • Ab aap kissi ko kahen ke bhai saarey samandar ka paani ek bottle mein bhar do to woh aap ko pagal khaney ka pata batayega, waise hi, agar hum sonchenge ke hamara banane wala kaisa hai to humko ek bahut bade insaan ke alawa aur kuch nahin samjh mein aa sakta hai,
  • issi tareeqe se hum Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko imagine nahin kar saktey,
  • Agar imagine karne ki koshish bhi karenge, to wo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) nahi ho sakte, kyun ke, Quran me, Surah al-Ikhlas ki ayat (وَلَمْ يَكُن لَّهُۥ كُفُوًا أَحَدٌۢ), aur koi uss ka humsar nahi, uss ke barabar koi nahi,[12]
  • Aur ek jagah par Quran me, Surah ash-Shuraa ki 11wi ayat me farmaya, (…لَيْسَ كَمِثْلِهِۦ شَىْءٌۭ ۖ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلْبَصِيرُ…) “…Uss jaisi koi cheez nahi, aur wo dekhta sunta hai.”[13]
  • Tamam khilqat ke jode hain, lekin Allah uss ke jaisa koi hai hi nahi, jo hum ne imagine kiya, wo Allah ho hi nahi sakta.
  • Ye Litmus test hai, Allah ko pehchhaanne ke liye.
  • Lehaza Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko unki sifaat se pehchana jaa sakta hai, jaise ar-Rahman hai, ar-Raheem hai, al-Jabbar hai, yeh sifaat se unko pehchanna hai.

To phir Allah ko pehchaane kaise, recognize kaise karen ke yehi Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) hain, doosre mazhab ke log apni mandir, church waghairah ka pata batayenge. To Musalamano ke Allah ka pata kya hai, masjid me to koi nahi dikhta – physically?

  • To Quran ne iss ko samjhaya ke,
  • Wohi to hai jo tumhe, sair karata hai khushki aur samandar me, yahan tak ke, jab tum kashtiyon me hote ho aur wo chal rahi hoti hain, (sawaron ko) lekar kushgawar hawa ke saath aur wo bohot khush hote hain ke, achanak tez hawa chal parrhti hai, aur har taraf maujein unn ki taraf badhne lagti hain aur wo guman karne lagte hain ke, wo unn lehron me gher liye gaye hain, uss waqt wo pukaarte hain Allah ko, uss ke liye apni ita’at ko khalis karte huwe ke, Aye Allah agar tu ne hume iss museebat se najaat de di, to hum lazim ho jayenge bohot shukr karne walon me se.[14]
  • To museebat ke waqt, Allah se hath kar jitnee cheezen hamare zahan mein hoti hain woh door ho jaatee hain aur hum khalis Allah ko pukaartey hain, kyun ke,
  • Wohi humare zahan mein reh jaata hai, to yeh hai Allah, to aise hum pehchaanegey Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko.
  • Ye pata, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne khud diya hai.

Ab hamara Allah se rishta kaisa hai, to iss ko Allah ke rasool (صلى الله عليه وسلم) ne samjhaya, Abu Hhuraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) ki riwayat hai jo Bukhari ne transmit kiya hai, ke insaan mujhe takleef deta hai, zamane ko gaali deta hai, jab ke main zamana hoon ‘Anad Dahar’ main hee zamana hoon, main hi din raat ki hare phare karta hoon, phir Quran me, Surah al-Mujadila ki 7wi ayat me farmaya ke,

  • Kya tum ne nahi dekha ke, Allah jaanta hai har cheez jo aasmano me hai aur har cheez jo zameen me hai,
  • tum mein se 3 baat nahin karte, wo chohta hota hai,
  • tum mein se 5 baat nahin karte, wo chhata hota hai,
  • aur nahi hote iss se kum ya zyada, magar ye ke wo unn ke saath hota hai,
  • tum jahan kaheen bhi ho,[15]
  • …Aur jaan rakho ke Allah, insaan aur uss ke dil ke beech mein ha’il ho jaata hai…[16]
  • Asma ul husna mein, ek asma Qareeb bhi hai, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) insaan ki rag-e-jaan se bhi zyada qareeb hai,[17]
  • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) se zyada hum se aur koi Qareeb nahin hai.
  • Mere sonchney se pehle Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko pata hota hai ke mein kya sonchney ya bolne wala hoon, itney qareeb hain.

To ‘anad dahar, ki hadees ko hum sunn chuke hain,

  • to zamana guzar raha hai, meri zindagi guzar rahi hai, time chala ja raha hai, waqt ke saath har cheez fana ho jaayegi,
  • har ek ko Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ka experience ho raha hai, lekin hum concentrate nahin kar rahe hain,
  • har cheez apne ekhtetaam ya apni maut ki taraf chali ja rahi hai.
  • To yeh zamana hai, yeh Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) hain, hum dekh nahin saktey, hum sunn nahi saktey lekin mehsoos zaroor kar saktey hain,
  • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) har cheez ko apne ehaate me liye huwe hain, har cheez ko ghere huwe hain,[18] kaisa ghere huwe hain, hum nahi jaante,
  • woh har jagah hai jaisa ke uss ki shaan hai, har ek ki dua sunn raha hai, koi cheez chupao to woh jaanta hai, koi cheez zahar karo to woh jaanta hai, kyun ke uss ne hum ko banaya hai.

To yeh mukhtasar taur par Allah ke baare mein zikr tha, agar unke baare mein bolte baithe to, jaisa ke Surah Kahf ki 109wi ayaat me aya hai ke,

قُل لَّوْ كَانَ ٱلْبَحْرُ مِدَادًۭا لِّكَلِمَـٰتِ رَبِّى لَنَفِدَ ٱلْبَحْرُ قَبْلَ أَن تَنفَدَ كَلِمَـٰتُ رَبِّى وَلَوْ جِئْنَا بِمِثْلِهِۦ مَدَدًۭا

  • Aye Nabi (صلى الله عليه وسلم), aap keh dijiye, agar samandar roshnayi ban jaye, ink ban jaye, mere Rabb ki, mere paalne waale malik ki baatein likhne ke liye, to samandar khatam ho jayega, iss se pehle ke mere Rabb ke kalimaat khatam ho, agarche issi tarah ka aur samandar bhi hum uss ki madad ke liye le aaye.[19]
  • Ek aur jagah, Surah Luqman me aya hai ke, saat samandar ink ho jaye aur saare darakht pen ho jayen, ink khatam ho sakti hai, pen khatam ho saktey hain lekin Allah ka zikr aur uss ke sifaat aur uss ke kaarnaame aur uss ka zikr kabhi khatam nahi hoga.[20]

To Bismillah ka matlab hai ‘Allah ke naam se’, In the name of Allah.

  • Jaisa koi govt. order nikalta hai, woh koi president ya governor ke naam se shuru hota hai,
  • In the name of the president of India, ek ordinance nikalta, waise hi yeh Quran bhi ek ordinance hai jo Allah ke naam se nikla hua qanoon hai.
  • Mufti Shafi Sahab apni tafseer Maariful Quran me likhte hain ke, lafz-e-Bi ki wajah se yahan tarjume ke teen possibilities hain;
    • Allah ke naam se, With the name of Allah,
    • Allah ke naam ki madad se, With the help of the name of Allah,
    • Allah ke naam ki barakat se, With the benediction of the name of Allah.[21]
    • Lekin ye teeno maano me, ye jumla zahiri taur par na-mukammal, ya incomplete hai, jab tak ke koi iss lafz ka zikr na kare, jisse Allah ke naam se shuru karne ka irada hai, ya uss ki madad ya barakat se shuru karna hai.
    • Lehaza, Arabi Grammer ke usool ke mutabiq, yahan fa’el, verb hona chahiye tha, jaisa ke, main shuru karta hoon Allah ke naam se, ye sirf samajh liya gaya hai – likha nahi gaya hai.

Bismillah likhne ke, aitebaar se (Bi-Ismi-Allah) hona chahiye tha, jaisa ke, Pehli wahi ki pehli ayat me likha gaya hai,

ٱقْرَأْ بِٱسْمِ رَبِّكَ ٱلَّذِى خَلَقَ

  • Lekin, yahan Khalifa Uthman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) ne Sahaba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُم) ke consensus se, Bismillah ke likhne me Alif ko nahi likha, iss liye ye (Bi-Ismi-Allah) nahi balke Bismillah, Likha aur parrha jata hai,
  • Ye sirf Bismillah ki khasiyat hai ke, yahan aisa lage ke asal me Allah ke naam ke saath shuru ho raha hai.

الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم

Iske baad jo sab se pehli sifat aarahi hai woh ar-Rahman aur ar-Raheen ki aa rahi hai,

  • jo Allah ki qualities ko describe kerta hai, yeh Allah kaisa hai?
  • Allah, Rahman hai aur Raheem hai.
  • Allah ko samjhne ke liye unn ke qualities ya sifaat se samajhna padega,
  • Rahman se muraad wo hai, jiss ki Rahmat sab ke liye hai, aur poori kayenaat tak phaili huwi hai, ye Rahmat har uss cheez tak pahunchti hai, jo aagay future me paida hogi.
  • Allah Rahman hai, tabhi to tamam faide ki cheezen hain; sahhat hai, ilm hai, daulat hai, waghairah.
  • Doosri taraf, Raheem wo hai jiss ki Rehmat har mumkin tareeqe se kaamil hai, perfect hai.
  • Aur raheem ka matlab raham karney wala, Taras khaane wala.
  • Tafseer Qurtubi me hai ke, yehi wajah hai ke, Rahman sirf aur sirf Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki khusoosiyat hai, aur ye lafz uss waqt hi istemaal hoga, jab Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke baare me baat kar rahe hain.
    • Kisi insan ya makhlooq ko Rahman ka darja dena jaiz nahi, kyun ke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke siwa koi aur ho hi nahi sakta, jiss ki Rahmat sab par wasee ho aur sab ko pahunche.
    • Jaisa ke hum ne suna ke, Lafz-e-Allah ka koi plural nahi, ussi taraf Lafz-e-Rahman ka bhi koi plural nahi.
    • Kyun ke, ye lafz apne maano me, sirf ek wahid aur mutlaq zaat , ya One and Absolute Being, ke liye hai jo kisi doosre ya teesre ke wujood ki ijazat nahi deta.
  • Iss ke baraks, on the contrary, Lafz-e-Raheem ke mafhoom me aisi koi cheez nahi hai, jiss ka kisi makhlooq me paya jana na-mumkin ho, kyun ke, ek aadmi doosre insaan ke saath mamela karne me bilkul meherban ho sakta hai.
    • Iss liye, Lafz-e-Raheem ek insaan ke liye istemaal kiya ja sakta hai, jaisa ke, Quran me aap (صلى الله عليه وسلم) ke liye aya hai,

لَقَدْ جَآءَكُمْ رَسُولٌۭ مِّنْ أَنفُسِكُمْ عَزِيزٌ عَلَيْهِ مَا عَنِتُّمْ حَرِيصٌ عَلَيْكُم بِٱلْمُؤْمِنِينَ رَءُوفٌۭ رَّحِيمٌۭ

  • Aye logo dekho! Tumhare paas, tum hi me se ek Rasool aye hain, tumhari takleef unn par bhaari guzarti hai, aur tumhari bhalai ke khaheshmand hain, aur momino par shafaqat karne wale, Raheem hain.

Aaiyyeh dekhen ke Rahman aur Raheem ko Quran ne kaise samjhaya hai,

  • Inn dono alfaaz ka root ya maddah (Ray hai meem) hai.
  • Anees apni kitab Explanatory Dictionary of the Quran me, ye root word jahan jahan per ayaa hai unn ayaton ko jama karke likhte hain ke, Quran mein yeh madda faida pahuchane wali cheezon ke liye istemaal hua hai, Allah ki Rahmat me jo cheezen shamil hain, wo hain;
    • Insano ki zindagi ko iss duniya me mumkin banane ke liye, zaroori saman duniya me faraham kiya,[22]
    • Allah ne raat ko araam ke liye aur din ko rozi-roti kamane ke liye banaya hai,[23]
    • Maa baap ki taraf rahmat ke liye aya hai,[24]
    • Azwaaj se hasil hone wali muhabbat aur sukoon ke liye bhi aya hai,[25]
    • Quran ko momino ke liye shifa aur Rahmat kaha gaya hai,[26]
    • Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke baare me kaha ke, aap ko tamam jahan ke liye rahmat bana kar bheja gaya hai,[27]
    • Jannat ko Rabb ki Rahmat kaha gaya hai,[28] Shayed issi liye, jiss kisi ka inteqaal hota hai to, hum kehte hain ke, ye Allah ki Rahmat me muntaqil ho gaye hain.
    • Gunahon ki maghfirat ko Allah ki Rahmat kaha gaya hai,[29] gunah kare ho to Allah ki Rahmat se mayoos na ho kaha.
  • Rahmat lazzat ki shai hai, aur iss ke opposites hain,

Rahman aur Rahim ko aur kaisa samjhaya?

  • Lafz-e-raham jo hai, usska matlab womb hota hai, maa ka peth jiss mein bachcha palta hai, woh bhi yehi root se bana hai,[35]
  • To yeh bataya ja raha hai ke, jiss tarah maa apne bachche ko bina uske mange ghiza pahunchati hai ussi tarah se Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) apni kainaat ko paltey hain.
  • Surah al-An’am ki 12wi ayat me farmaya ke, Allah ne Rahmat ko apni zaat par lazim kar liya hai,[36]
  • Aur Surah al-Araaf ki 156th Ayat me farmaya ke, Meri Rahmat har cheez par chhai huwi hai,[37]
  • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki jo sifat ya attribute jo Quran ko sikhane ke liye zimmadar hai, wo ar-Rahman hai,[38]
  • agar hum Quran par amal karenge, jaisa ke Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne amal karke dikhaya hai, to ye hamare liye duniya aur aakhirat ka faida hai.
  • Kayenaat ko paalne ke liye jo Allah ka Attribute zimmadar hai, wo bhi ar-Rahman hai.[39]
  • to rahman kaun hai, faida pahunchane wala,
  • raheem kaun hai taras khaney wala,
  • makhlooq per taras khaker faida pahunchane wala,
  • taras kha ker yeh faida pahuncha rahe hain ke Quran shuru karwa rahe hain.
  • Ek hadith me aata hai ke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne Rahmat ke 100 hisse banaye hain, har ek hissa ki wusat itni hai, jitne ke zameen aur aasmaan ke beech ki jagah wasi hai, aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) Rahmat ka ek hissa duniya me bhej diya hai, jiss ki wajah se maa apne bachon se Muhabbat karti hai, aur jaanwar ek doosre se Raham dili se pesh aate hain.[40]
  • Bukhari ki ek aur hadith me, Rasoolullah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne farmaya: Allah ne apni makhlooq ko paida kiya, phir jab woh usay khatam kar chuka to RAHAM utth kar Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko pakad liya, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne farmaya kya baat hai? RAHAM ne kaha, main unn logon se teri panah maangta hoon jo rishtedaaro ke rishte todhte hain. Iss par Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne farmaya ke, kya tum razi ho jaoge agar main uss shaks par ihsan kar doon jo tumhare nate rakhe aur jo tumhare nate tode uss shaks se meri nematein rok doon? RAHAM ne kaha, haan mere Rabb, phir Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne farmaya ke ye tumhare liye hai. Abu Hurairah (رضي الله عنه) ne mazeed kaha: agar aap chahein to Surah Muhammad ki ye ayat padh lo;[41]

“Ab kya tum logon se iss ke siway kuch aur tawaqqo (expectation) ki ja sakti hai ke, agar tum ko hukumat mil jaye to, zameen me fasad ya na insaafi phailaoge, aur khooni rishte todh loge?[42]

  • Bukhari aur Muslim ki hadith me Rasoolullah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne farmaya: RAHAM, jiss se tamam rishtedaari nikalti hai, Arsh se latak raha hai, aur kehta hai ke, jiss kisi ne mujh se acha taloq rakha, to Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) uss se taloq qayem rakhega aur jiss kisi ne mujh se apna taloq todh liya, to Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) bhi uss se taloq todh dega.[43]
  • Bukhari, Musliim aur Abu Dawood ki ek aur hadith me, Rasoolullah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne farmaya: jo rishtedari todh leta hai, rishton ko qayem nahi rakhta, wo jannat me nahi jayega.[44]
  • Musalman ek doosre ko salam bhi karte hain to uss me Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki taraf se rahmatein aur barkatein nazil hoti hain, ek hadith me ata hai ke,
    • ek Sahabi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه), Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke paas aye aur kaha: As-Salamu ‘Alaikum, aap (صلى الله عليه وسلم) ne salam ka jawab diya, aur wo Sahabi baitth gaye, aap (صلى الله عليه وسلم) ne kaha ke Dus nekiyan.
    • doosre Sahabi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) aye aur kaha: As-Salamu ‘Alaikum wa Rahmatullah, aap (صلى الله عليه وسلم) ne salam ka jawab diya, aur wo Sahabi baitth gaye, aap (صلى الله عليه وسلم) ne kaha ke Bees nekiyan.
    • teesre Sahabi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) aye aur kaha: As-Salamu ‘Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu, aap (صلى الله عليه وسلم) ne salam ka jawab diya, aur wo Sahabi baitth gaye, aap (صلى الله عليه وسلم) ne kaha ke Bees nekiyan.[45]

To Bismillahir Rahmanir Raheem ke har lafz ke maane hum ne suna, to Bismillahir Rahmanir Raheem ka matlab;

  • Shuru Allah ke naam se jo taras kha kar faida pahunchane wala hai.

Ye sab to theek hai, humne maane sunn liye, lekin hume karna kya hai?

  • Hume jo karna hai, wo asal me ek challenging kaam hai, har kaam ko shuru karne se pehle Bismillah parrhna chahiye.
  • Bismillah ar-Rahman ar-Raheem ko baaz log Surah al-Fatiha ka hissa samajhte hain, to wo aakhri do ayat ko ek ayat samajhte hain, to yeh bhi Surah al-Fatiha ke ayat ko saat hi maante hain,
  • Aur jo Bismillah ar-Rahman ar-Raheem, to Surah al-Fatiha ka hissa nahi samajhte, to phir wo Surah Fatiha ke saath ayat parrhte hain.
  • Ab ye ek difference of opinion hai, jiss ke dono taraf ahadith maujood hain.[46]

References

[1] Al Quran, Surah Al-alaq, Chapter 96: Verse 1

Recite in the name of your Fosterer Who created.

اقْرَأْ بِاسْمِ رَبِّكَ الَّذِي خَلَقَ

[2] Al Quran, al-Fatiha, Chapter 1: Verse 1

[3] Mufti Muhammad Shafi, Tafseer Surah al-Fatiha, Maariful Quran, Page 55

[4] Reference: Sahih al-Bukhari 5046 | Vol. 6, Book 61, Hadith 566 | https://sunnah.com/bukhari:5046

Narrated Qatada: Anas was asked, “How was the recitation (of the Qur’an) of the Prophet?’ He replied, “It was characterized by the prolongation of certain sounds.” He then recited: In the Name of Allah, the Most Beneficent, the Most Merciful prolonging the pronunciation of ‘In the Name of Allah, ‘the most Beneficent,’ and ‘the Most Merciful.

حَدَّثَنَا عَمْرُو بْنُ عَاصِمٍ، حَدَّثَنَا هَمَّامٌ، عَنْ قَتَادَةَ، قَالَ سُئِلَ أَنَسٌ كَيْفَ كَانَتْ قِرَاءَةُ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم‏.‏ فَقَالَ كَانَتْ مَدًّا‏.‏ ثُمَّ قَرَأَ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ، يَمُدُّ بِبِسْمِ اللَّهِ، وَيَمُدُّ بِالرَّحْمَنِ، وَيَمُدُّ بِالرَّحِيمِ‏.‏

[5] Al Quran, Surah an-Naml, Chapter 27: Verse 30

[6] Mufti Muhammad Shafi, Tafseer Surah al-Fatiha, Maariful Quran, Page 57

[7] Mufti Muhammad Shafi, Tafseer Surah al-Fatiha, Maariful Quran, Page 57

[8] Al Quran, Surah al-Qasas, Chapter 28: Verse 38

[9] Al Quran, Surah al-Hadid, Chapter 57: Verse 3

[10] Narrated Imran bin Husain: I went to the Prophet (ﷺ) and tied my she-camel at the gate. The people of Bani Tamim came to the Prophet (ﷺ) who said “O Bani Tamim! Accept the good tidings.” They said twice, ‘You have given us the good tidings, now give us something” Then some Yemenites came to him and he said, “Accept the good tidings, O people of Yemem, for Bani Tamim refused them.” They said, “We accept it, O Allah’s Messenger (ﷺ)! We have come to ask you about this matter (i.e. the start of creations).” He said, “First of all, there was nothing but Allah, and (then He created His Throne). His throne was over the water, and He wrote everything in the Book (in the Heaven) and created the Heavens and the Earth.” Then a man shouted, “O Ibn Husain! Your she-camel has gone away!” So, I went away and could not see the she-camel because of the mirage. By Allah, I wished I had left that she-camel (but not that gathering).

حَدَّثَنَا عُمَرُ بْنُ حَفْصِ بْنِ غِيَاثٍ، حَدَّثَنَا أَبِي، حَدَّثَنَا الأَعْمَشُ، حَدَّثَنَا جَامِعُ بْنُ شَدَّادٍ، عَنْ صَفْوَانَ بْنِ مُحْرِزٍ، أَنَّهُ حَدَّثَهُ عَنْ عِمْرَانَ بْنِ حُصَيْنٍ ـ رضى الله عنهما ـ قَالَ دَخَلْتُ عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَعَقَلْتُ نَاقَتِي بِالْبَابِ، فَأَتَاهُ نَاسٌ مِنْ بَنِي تَمِيمٍ فَقَالَ ‏”‏ اقْبَلُوا الْبُشْرَى يَا بَنِي تَمِيمٍ ‏”‏‏.‏ قَالُوا قَدْ بَشَّرْتَنَا فَأَعْطِنَا‏.‏ مَرَّتَيْنِ، ثُمَّ دَخَلَ عَلَيْهِ نَاسٌ مِنْ أَهْلِ الْيَمَنِ فَقَالَ ‏”‏ اقْبَلُوا الْبُشْرَى يَا أَهْلَ الْيَمَنِ، إِذْ لَمْ يَقْبَلْهَا بَنُو تَمِيمٍ ‏”‏‏.‏ قَالُوا قَدْ قَبِلْنَا يَا رَسُولَ اللَّهِ، قَالُوا جِئْنَاكَ نَسْأَلُكَ عَنْ هَذَا الأَمْرِ قَالَ ‏”‏ كَانَ اللَّهُ وَلَمْ يَكُنْ شَىْءٌ غَيْرُهُ، وَكَانَ عَرْشُهُ عَلَى الْمَاءِ، وَكَتَبَ فِي الذِّكْرِ كُلَّ شَىْءٍ، وَخَلَقَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ ‏”‏‏.‏ فَنَادَى مُنَادٍ ذَهَبَتْ نَاقَتُكَ يَا ابْنَ الْحُصَيْنِ‏.‏ فَانْطَلَقْتُ فَإِذَا هِيَ يَقْطَعُ دُونَهَا السَّرَابُ، فَوَاللَّهِ لَوَدِدْتُ أَنِّي كُنْتُ تَرَكْتُهَا‏.

Reference: Sahih al-Bukhari 3191 | In-book reference: Book 59, Hadith 2 | USC-MSA web (English) reference: Vol. 4, Book 54, Hadith 414 | https://sunnah.com/bukhari:3191

[11] Imam Suyuti, At-Targheeb wa Tarheeb, Grade: Daif

[12] Al Quran, Surah al-Ikhlas, Chapter 112: Verse 4

[13] Al Quran, Surah ash-Shuraa, Chapter 42: Verse 11

[14] Al Quran, Surah Yunus, Chapter 10: Verse 22

[15] Al Quran, Surah al-Mujadila, Chapter 58: Verse 7

[16] Al Quran, Surah al-Anfal, Chapter 8: Verse 24

[17] Al Quran, Surah Qaaf, Chapter 50: Verse 16

[18] Al Quran, Surah an-Nisa, Chapter 4: Verse 126

[19] Al Quran, Surah al-Khaf, Chapter 18: Verse 109

[20] Al Quran, Surah Luqman, Chapter 31: Verse 27

[21] Mufti Muhammad Shafi, Tafseer Surah al-Fatiha, Maariful Quran, Page 58

[22] Al Quran, Surah al-Isra, Chapter 17: Verse 100 and Surah aar-Rome, Chapter 30: Verse 50

[23] Al Quran, Surah al-Qasas, Chapter 28: Verse 73

[24] Al Quran, Surah al-Isra, Chapter 17: Verse 24

[25] Al Quran, Surah ar-Rome, Chapter 30: Verse 21

[26] Al Quran, Surah al-Isra, Chapter 17: Verse 82

[27] Al Quran, Surah al-Anbiya, Chapter 21: Verse 107

[28] Al Quran, Surah al-Jathiya, Chapter 45: Verse 30

[29] Al Quran, Surah az-Zumar, Chapter 39: Verse 53

[30] Al Quran, Surah al-Araaf, Chapter 7: Verse 23

[31] Al Quran, Surah al-An’am, Chapter 6: Verse 15-16

[32] Al Quran, Surah ar-Rome, Chapter 30: Verse 33

[33] Al Quran, Surah ar-Rome, Chapter 30: Verse 36

[34] Al Quran, Surah al-Mulk, Chapter 67: Verse 28

[35] Al Quran, Surah aal-Imran, Chapter 3: Verse 6

[36] Al Quran, Surah al-An’am, Chapter 6: Verse 12

[37] Al Quran, Surah al-Araaf, Chapter 7: Verse 156

[38] Al Quran, Surah ar-Rahman, Chapter 55: Verses 1-2

[39] Al Quran, Surah an-Naba, Chapter 78: Verse 37

[40] Salman reported that Allah’s Messenger (ﷺ) said: Verily, Allah created, on the same very day when He created the heavens and the earth, one hundred parts of mercy. Every part of mercy is coextensive with the space between the heavens. and the earth and He out of this mercy endowed one part to the earth and it is because of this that the mother shows affection to her child and even the beasts and birds show kindness to one another and when there would be the Day of Resurrection, Allah would make full (use of Mercy).

حَدَّثَنَا ابْنُ نُمَيْرٍ، حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ، عَنْ دَاوُدَ بْنِ أَبِي هِنْدٍ، عَنْ أَبِي عُثْمَانَ، عَنْ سَلْمَانَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ إِنَّ اللَّهَ خَلَقَ يَوْمَ خَلَقَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ مِائَةَ رَحْمَةٍ كُلُّ رَحْمَةٍ طِبَاقَ مَا بَيْنَ السَّمَاءِ وَالأَرْضِ فَجَعَلَ مِنْهَا فِي الأَرْضِ رَحْمَةً فَبِهَا تَعْطِفُ الْوَالِدَةُ عَلَى وَلَدِهَا وَالْوَحْشُ وَالطَّيْرُ بَعْضُهَا عَلَى بَعْضٍ فَإِذَا كَانَ يَوْمُ الْقِيَامَةِ أَكْمَلَهَا بِهَذِهِ الرَّحْمَةِ ‏”‏ ‏.‏

Reference: Sahih Muslim 2753c | In-book reference: Book 50, Hadith 25 | USC-MSA web (English) reference: Book 37, Hadith 6634 | https://sunnah.com/muslim:2753c

[41] https://sunnah.com/bukhari:4830

[42] Al Quran, Surah Muhammad, Chapter 47: Verse 22

[43] http://www.sunnah.com/riyadussaliheen/1/323

[44] http://www.sunnah.com/riyadussaliheen/1/339 and http://www.sunnah.com/abudawud/9/141

[45] ‘Imran bin Husain (May Allah be pleased with them) reported: A man came to the Prophet (ﷺ) and said: “As-Salamu ‘Alaikum (May peace be upon you). The Messenger of Allah (ﷺ) responded to his greeting and the man sat down. The Prophet (ﷺ) said, “Ten (meaning the man had earned the merit of ten good deeds).” Another one came and said: “As-Salamu ‘Alaikum wa Rahmatullah (May peace be upon you and the Mercy of Allah).” The Messenger of Allah (ﷺ) responded to his greeting and the man sat down. The Messenger of Allah (ﷺ) said, “Twenty.” A third one came and said: “As-Salamu ‘Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu (May peace be upon you and the Mercy of Allah and His Blessings).” The Messenger of Allah (ﷺ) responded to his greeting and the man sat down. The Messenger of Allah (ﷺ) said, “Thirty.”

[Abu Dawud and At- Tirmidhi, who classified it as Hasan].

عن عمران بن الحصين رضي الله عنهما قال‏:‏ جاء رجل إلى النبي صلى الله عليه وسلم فقال‏:‏ السلام عليكم، فرد عليه ثم جلس، فقال النبي صلى الله عليه وسلم‏:‏ “عشر” ثم جاء آخر، فقال‏:‏ السلام عليكم ورحمة الله، فرد عليه فجلس، فقال‏:‏ ‏ “‏عشرون‏”‏ ثم جاء آخر، فقال‏:‏ السلام عليكم ورحمة الله وبركاته، فرد عليه فجلس، فقال‏:‏ “ثلاثون” ‏(‏‏(‏رواه أبو داود والترمذي وقال‏:‏ حديث حسن‏)‏‏)‏‏.‏

Reference: Riyad as-Salihin 850 | In-book reference: Book 5, Hadith https://sunnah.com/riyadussalihin:850

[46] Ibn Abdullah bin Mughaffal said:

“If Abdullah bin Mughaffal heard any one of us recite: ‘In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful’, he would say: ‘I prayed behind the Messenger of Allah (ﷺ) and behind Abu Bakr and behind Umar-may Allah be pleased with them both- and I did not hear any of them recite: ‘In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.”

أَخْبَرَنَا إِسْمَاعِيلُ بْنُ مَسْعُودٍ، قَالَ حَدَّثَنَا خَالِدٌ، قَالَ حَدَّثَنَا عُثْمَانُ بْنُ غِيَاثٍ، قَالَ أَخْبَرَنِي أَبُو نُعَامَةَ الْحَنَفِيُّ، قَالَ حَدَّثَنَا ابْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مُغَفَّلٍ، قَالَ كَانَ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مُغَفَّلٍ إِذَا سَمِعَ أَحَدَنَا، يَقْرَأُ ‏{‏ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ ‏}‏ يَقُولُ صَلَّيْتُ خَلْفَ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم وَخَلْفَ أَبِي بَكْرٍ وَخَلْفَ عُمَرَ رضى الله عنهما فَمَا سَمِعْتُ أَحَدًا مِنْهُمْ قَرَأَ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ ‏.‏

Grade: Hasan (Darussalam) | Reference: Sunan an-Nasa’i 908

Narrated Nu’aim Mujmir (RA):

“I prayed behind Abu Hurairah (RA) and he recited Bismillahir-Rahmanir-Rahim, and then recited Umm-ul-Qur’an (Al-Fatiha) and when he reached walad-dallin, he said Amin; and then said Allahu Akbar, when he prostrated and when he stood up from his sitting position. And when he uttered the Taslim (i.e. As-Salamu ‘Alaikum), he said, “I swear by the One (i.e. Allah) in Whose Hand my soul is, my Salat (prayer) resembles most that of Allah’s Messenger (ﷺ) than that of anyone among you.” [Reported by an-Nasa’i and lbn Khuzaimah].

وَعَنْ نُعَيْمٍ اَلْمُجَمِّرِ ‏- رضى الله عنه ‏- قَالَ : { صَلَّيْتُ وَرَاءَ أَبِي هُرَيْرَةَ فَقَرَأَ : (بِسْمِ اَللَّهِ اَلرَّحْمَنِ اَلرَّحِيمِ)‏ .‏ ثُمَّ قَرَأَ بِأُمِّ اَلْقُرْآنِ , حَتَّى إِذَا بَلَغَ : (وَلَا اَلضَّالِّينَ)‏ , قَالَ : “آمِينَ” وَيَقُولُ كُلَّمَا سَجَدَ , وَإِذَا قَامَ مِنْ اَلْجُلُوسِ : اَللَّهُ أَكْبَرُ .‏ ثُمَّ يَقُولُ إِذَا سَلَّمَ : وَاَلَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ إِنِّي لَأَشْبَهُكُمْ صَلَاةً بِرَسُولِ اَللَّهِ ‏- صلى الله عليه وسلم ‏-} رَوَاهُ النَّسَائِيُّ وَابْنُ خُزَيْمَةَ 1‏

‏1 ‏- صحيح .‏ رواه النسائي (2/134)‏ ، وابن خزيمة (499)‏ .‏

Sunnah.com reference : Book 2, Hadith 167 | English translation : Book 2, Hadith 279 | Arabic reference : Book 2, Hadith 281 | https://sunnah.com/bulugh/2/167

It was narrated that Anas bin Malik said:

“The Messenger of Allah (ﷺ) led us in prayer, and we did not hear him recite: In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful. And Abu Bakr and Umar led us in prayer and we did not hear it from them either.”

أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَلِيِّ بْنِ الْحَسَنِ بْنِ شَقِيقٍ، قَالَ سَمِعْتُ أَبِي يَقُولُ، أَنْبَأَنَا أَبُو حَمْزَةَ، عَنْ مَنْصُورِ بْنِ زَاذَانَ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، قَالَ صَلَّى بِنَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَلَمْ يُسْمِعْنَا قِرَاءَةَ ‏{‏ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ ‏}‏ وَصَلَّى بِنَا أَبُو بَكْرٍ وَعُمَرُ فَلَمْ نَسْمَعْهَا مِنْهُمَا ‏.‏

Grade: Sahih (Darussalam) | Reference: Sunan an-Nasa’i 906

Qatādā said that when Anas was asked how the Prophet recited the Qur’ān he replied that he did so prolonging the words. Then he recited “In the name of God, the Compassionate, the Merciful,” prolonging each phrase. [Bukhārī transmitted it.]

وَعَنْ قَتَادَةَ قَالَ: سُئِلَ أَنَسٌ: كَيْفَ كَانَتْ قِرَاءَةُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ: كَانَت مدا مَدًّا ثُمَّ قَرَأَ: بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ يَمُدُّ بِبَسْمِ اللَّهِ وَيَمُدُّ بِالرَّحْمَنِ وَيَمُدُّ بِالرَّحِيمِ. رَوَاهُ البُخَارِيّ- حكم صَحِيح (الألباني)

Reference: Mishkat al-Masabih 2191

Narrated Umm Salamah, Ummul Mu’minin:

The Messenger of Allah (ﷺ) used to recite: “In the name of Allah, the Cherisher and Sustainer of the worlds; most Gracious, most Merciful; Master of the Day of Judgment,” breaking its recitation into verses, one after another.

Abu Dawud said: I heard Ahmad (b. Hanbal) say: The early reading is: Maliki yawmi’l-din.

حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ يَحْيَى الأُمَوِيُّ، حَدَّثَنِي أَبِي، حَدَّثَنَا ابْنُ جُرَيْجٍ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ أَبِي مُلَيْكَةَ، عَنْ أُمِّ سَلَمَةَ، أَنَّهَا ذَكَرَتْ – أَوْ كَلِمَةً غَيْرَهَا – قِرَاءَةَ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏{‏ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ * الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ * الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ * مَلِكِ يَوْمِ الدِّينِ ‏}‏ يَقْطَعُ قِرَاءَتَهُ آيَةً آيَةً ‏.‏ قَالَ أَبُو دَاوُدَ سَمِعْتُ أَحْمَدَ يَقُولُ الْقِرَاءَةُ الْقَدِيمَةُ ‏{‏ مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ ‏}‏ ‏.‏

Grade: Sahih (Al-Albani) صحيح (الألباني) حكم : | Reference: Sunan Abi Dawud 4001

Comments are closed.