Ramadan ka Bayan

Ab kyun ke Ramazan shuru ho gaya hai, to Ramazan ke Roze Musalman kyun rakhte hain aur hamare liye kya ahkamaat hain, iss par nazar daalte hain

  • Pehli Wahi, Ramadan ke mahine me Nazil huwi, Shab-e-Qadr ya Lailatul-Qadr ko.
  • Surah Al Baqarah ki 183 aur 184 Ayat me Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) farmata hai ke, “Aye Iman Walo! Tum par bhi roze rakhna farz kiya gaya hai, jaise ke tum se pehle qaumo par farz kiya gaya tha, taakay tum taqwa wale bano. Ginti ke chand din hain, iss par bhi jo tum me se bimar ho ya safar par ho, to doosre dino me (chhute huwe) rozon ki ginti poora karle, jo iss ki taqat rakhte hain. Aur jo Roza na rakh sake, unn par fidya hai, ek miskeen ka khana khila na. Aur jo apni marzi se koi khair karna chahe to uss ke liye khair hai aur wo Roza Rakh le ye tumhare liye behtar hai.”
  • Aaj weight loss – ke naam par, diabetic treatment ke naam par, jo ilaaj ho raha hai wo roze rakha kar ilaaj kiya ja raha hai – Tum Roze Rakh lo – ye tumhare liye behtar hai. Tamam bimariyon se bacha liye jaoge, aaj kal ke bimariyon ki ek list hai, jo rozon se theek ho jaate
    • Obesity – Motapa
    • Type 2 Diabetes – reverse ho jaati
    • Auto immune diseases hain, unn ka ilaaj roza hai
    • Poly-Cystic Overies
    • Blood-Pressure, Triglycerides and Cholestrol Level ko control karne
    • Cancer se prevention, waghairah
  • Surah Al Baqarah ki 185 ayat
    me Allah (سُبْحَانَهُوَتَعَالَىٰ) farmata hai ke, Ramadan wo mahina hai jiss me Quran Nazil kiya gaya, jo insano ke liye hidayat hai aur iss me aisi nishaniya hai, jo haq-o-batil me farq karti hain. To jo koi iss mahine me maujood ho, usse chahiye ke poore mahine ke roze rakhe, aur jo bimar hain ya safar me ho to doosre dino me (inn chhute huwe rozon) ko poora kar le,…
  • To Ramadan ke Roze, hum iss shukrane me rahte hain, ke Allah (سُبْحَانَهُوَتَعَالَىٰ) ne hume hidayat di.
  • Surah Al Baqarah ki 187 ayat me hai ke, Roze ki raaton me tumhare liye hala kar diya gaya hai, apni biwiyon ke paas jana, wo tumharay liye libas hain aur tum unkay liye libas ho, Allah (سُبْحَانَهُوَتَعَالَىٰ) ko pata
    hai ke, tum apne aap se khiyanat kar rahe the, Allah (سُبْحَانَهُوَتَعَالَىٰ) tumhari taraf rehmat ki nazar ki hai aur tumhare gunaho ko maaf kiya hai, ab tumhe ijazat hai ke apni biwiyon ke milo aur Allah ne jo tumhare liye likh diya hai wo hasil karo. Raat ko khao aur piyo yahan tak ke subah ki safed dhari – raat ki kaali dhari se alag nazar na ajaye. Phir roza rakh kar raat tak poora karo, aur jab raat ko itikaaf ki halat me ho to phir apni biwiyon ke paas na jao. Aur ye Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ke hudood hain, these are the limits, inn ke qareeb bhi matt jao. Issi tarah Allah (سُبْحَانَهُوَتَعَالَىٰ) apni ayat ko khol khol kar bayan karta hai, taake wo nek bane.
  • Ramadan Quran ka mahina hai, to Quran jitna parrh sakte hain, samajh kar maano ke saath parrhe, ye chand ahadith ko yaad rakhe ke, aap (صلىاللهعليه وسلم) ne farmaya ke, 
    • jiss kisi ne Quran ko teen din se kum me khatam kiya, uss ne Quran ko nahi samjha,
    • Chaand ko dekh kar, Roza Rakhna shuru karo aur Chaand ko dekh kar Roza rakhna chhorrh do, aur agar aasmaan abar-alood hai to mahine ki ginti 30 ki kar lo,
    • Sehri khao, ke iss me barakat hai, Musalmano aur ghair muslim ke roze me Sehri ka farq hai,
    • Meri ummat me khair uss waqt tak baaqi rahega, jab tak wo iftar me jaldi kare,
    • Jo shaks iman ke saath, sawab hasil karne ki niyyat se, qiyamul layl kare, namaz me khada ho, uss ke agle gunah maaf kar diye jaate hain,
    • Ramadan me aap (صلىالله عليهوسلم) safar karte to roza nahi rakhte ya agar roza rakhe huwe hote to roza kohl lete,
    • Roza ek dhaal hai, jo gunaho se bachata hai
    • Jo koi, roza bhi rakhe aur gunah ko na chhorrhe, to Allah (سُبْحَانَهُوَتَعَالَىٰ) ko uss ke roze ki, yani khana-peena chhorrhne ki zaroorat nahi,
    • Roze me buri baat kehne se ruke, agar koi gaali de ya jhagda kare to uss se kahe ke mera roza hai,
    • Ramadan me aasmaan ke darwaze khol diye jaate hain, aur Jahannam ke darwaze band kar diye jaate hain, aur sarkash shayateen ko bediyan pehna di jaati hain, aur iss me ek raat aisi hai jo ek hazar mahino se behtar hai. Jo iss ke khair se mehroom raha, to wo mehroom hi raha
    • Aakhri ashray me lailatul qadr ko talash karein, aur ye dua kasrat se parrhe, “Allahumma innaka Afuwwun tuhibbul afwa Fa’fuanni” – Aye Allah tu maaf karne wala hai aur maafi aur dar-guzar ko pasand karta hai, to tu mujhe maaf farma de,
    • Allah SWT farmate hai, ke Ibn Adam ke tamam amaal uss ke liye hain, siway roze ke, wo mere liye roza rehta hai aur main hi iss ki jaza doonga,
    • Aap (صلىالله عليهوسلم) ne farmaya ke roze daar ke muh ki booh, Allah ke nazdeek mishq ki khushboo se zyada pasandeeda hai,
    • Rozedaar ke liye do khushiyan hai, ek khushi roza kholne ke waqt hoti hai, aur doosri khushi, apne rab se milne ke waqt usse hogi,
    • Jannat ka ek darwaza hai, jiss me se sirf rozedaar dakhil honge aur jab Rozedaar dakhil ho chuke honge, to wo darwaza band kar diya jayega.

Comments are closed.