Rabb

</p> <p>Rabb</p> <p>

RABB (Paalne wala – Fosterer) 1:1 رَ ب

Lafz-e-Rabb ka madda ya root (ر ب ب) hai, iss ke mane Paalne wale ke aatey hain, lekin Lafz-e-Rabb ke maney kisi aur zaban mein ek lafz mein nahin kiye ja saktey hain, kyun ke, arabic dictionary ke lehaz se Rabb woh shakhsiyat ko kahtey hain jo ek haalat se doosri haalat mein tabdeel karte huway kisi cheez ko paalna yahan tak ke woh apne kamal (yani perfection) tak pahunch jaye. Insaan ki fitrat me dynamism hai, ek hi static halat par sabr nahi kar sakta. To hamara paalne wala malik humein ek hi halat me nahi rakhta. Rabb jo hai,

  • Wo Malik hai, Owner bhi hai,
  • Wo Aqa hai, Master bhi hai,
  • Wo alaa taqat aur ekhtiyaar wala hai, Lord possessing Supreme Power,
  • Wo Paalta hai, One who cherishes,
  • Wo Barqarar rakhta hai, One who sustains,
  • Wo Parwarish karta hai, One who nourishes,
  • Wo Pokhtagi lata hai, One who brings to maturity,
  • Wo Maintain karta hai,
  • Wo Intezaam karta hai, One who Manages,
  • Wo taraqqi deta hai, One who Develops,
  • Wo ek darje se doosre darje me tabdeel karta hai, One who evolves.
  • Ye tamam maane, Rabb me hain, Rabb ye sab kuch karta hai, Mukhtasar taur par, wo Paalne wala Malik hai.

Comments are closed.