Nastaiin

</p> <p>Nasataiin</p> <p>

NASTAIIN ( We seek help ) 1:4 نَسْتَعِين

Lafz-e-Nastaeen ka maddah ya root (ع و ن) hai,

  • Issi root se I’aanat hai jiss ke maane madad ke hain.[8]
  • Aur al-Musta’an, jo Allah ke behtareen naamo me se ek naam hai, aur Allah ki sifat hai, jiss ke maane “Jiss ki madad talab ki jaati hai”. The one whose help is sought.[9]
  • Issi root se doosre alfaz bhi hai, jo wabasta hai,
    • Ibadat se,[10] Surah al-Fatiha me to hum iqrar kar rahe hain ke, hum Allah se hi madad mangenge.
    • Sabr aur Salat se,[11] yani Allah se madad maango to sabr aur salat ke zariye kaha gaya,
    • neki karne me aur burai se bachne me madad karo ek doosre ki kaha aur iss ka opposite karne se mana kiya, burai me ek doosre ka saath na do kaha.[12]

Ahadith me bhi madad maangne ka matlab hi aya hai,

  • Iss hadith ka ek version humne pichle dars me suna tha, Farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, Islam asan mazhab hai, aur jo koi iss ko sakht banata hai, deen uss par ghalib aa jata hai, so darmiyana raasta apnao, aur agar ye nahi kar sakte ho, to uss ka qareebi raasta apnao, aur basharat do aur Subah, Shaam aur Raat ke kuch hisse me, Allah se madad maango. [13]

References

[8] Al Quran, Surah al-Furqan, Chapter 25: Verse 4

[9] Al Quran, Surah Yusuf, Chapter 12: Verse 18

[10] Al Quran, Surah al-Fatiha, Chapter 1: Verse 4

[11] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 253

[12] Al Quran, Surah al-Maidah, Chapter 5: Verse 2

[13] Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: The Prophet (ﷺ) said, “The religion (of Islam) is easy, and whoever makes the religion a rigour, it will overpower him. So, follow a middle course (in worship); if you can’t do this, do something near to it and give glad tidings and seek help (of Allah) at morn and at dusk and some part of night”. [Al-Bukhari].

عن أبي هريرة رضي الله عنه عن النبي صلى الله عليه وسلم قال‏:‏ ‏ “‏ إن الدين يسر، ولن يشاد الدين إلا غلبه، فسددوا وقاربوا وأبشروا، واستعينوا بالغدوة والروحة وشيء من الدلجة‏”‏ ‏(‏‏(‏رواه البخاري‏)‏‏)‏‏.‏ وفي رواية له ‏:‏ ‏ ‏سددوا وقاربوا واغدوا وروحوا، وشيء من الدلجة، القصد القصد تبلغوا‏ ‏‏.‏

Reference: Riyad as-Salihin 145

Comments are closed.