Naabudu

</p> <p>Naabudu</p> <p>

NAABUDU ( We serve/worship ) 1:4 نَعْبُدُ

Lafz-e-Abd ka maddah ya root (ع ب د) hai, Abd ka matlab ghulam ke aatey hain arabi mein, ab urdu mein ibaadat hum namaz ko samjhtey hain, namaz ibaadat ka ek hissa hai. Lekin ghulam kaun hota?

  • Ghulam to kisi ke control me hota, aur uss ki qudrat kisi cheez par nahi hoti,[39]
  • Surah at-Tauba ki 31wi ayat me farmaya ke, …halanke, unko ek ilaha, yani kayenat me jo ek hi supreme authority hai, uss ke siway kisi ki ghulami karne ka hukum nahi diya,[40]
  • To hume chaiye ke hum sirf ek Allah ki ibadat kare, uss ke ghulam ban kar,[41]
  • Aur uss ke saath kisi ko shareek nahi karenge,[42]
  • Hamare deen ko uss Allah ke liye khalis bana kar,[43]
  • Ye saari ki saari kayenaat, aur uss me jo makhlooq hai wo, aur Farishte,[44] har cheez aur har ek, Allah ke ghulam hain.[45]
  • Mushrikeen, yani wo log jo shirk karte hain, Allah ke saath doosre khudaon ko shareek karte hain, wo aise logon aur cheezon ki ghulami kar rahe hain, jo iss kayenaat ki kisi bhi cheez ko control nahi karte,[46]
  • Kayee cheezen jis ki ibadat ki jaati hai, wo sirf naam hain,[47] unn ki koi asliyat nahi.
  • To Ibadat ka matlab ye hai ke, ek farmabardaar bande ke taur par Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki ghulami karna, yani Quran par waise hi amal karna jaisa ke Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) hume bataya hai.

Hum teri mukammil ghulami kartey hai aur karenge, ye dono matlab iss me aa jaate hain.

References

[39] Al Quran, Surah an-Nahl, Chapter 16: Verse 75

[40] Al Quran, Surah at-Tauba, Chapter 9: Verse 31

[41] Al Quran, Surah al-Anbiya, Chapter 21: Verse 25

Al Quran, Surah az-Zariyat, Chapter 51: Verse 56

[42] Al Quran, Surah ar-Raad, Chapter 13: Verse 36

[43] Al Quran, Surah az-Zumar, Chapter 39: Verse 11

[44] Al Quran, Surah az-Zukhruf, Chapter 43: Verse 19

[45] Al Quran, Surah Maryam, Chapter 19: Verse 93

[46] Al Quran, Surah al-Maidah, Chapter 5: Verse 76,

Al Quran, Surah an-Nahl, Chapter 16: Verse 73,

Al Quran, Surah ash-Shuara, Chapter 26: Verse 71,

Al Quran, Surah al-Ankaboot, Chapter 29: Verse 17

[47] Al Quran, Surah Yusuf, Chapter 12: Verse 40

Comments are closed.