Maalik

</p> <p>Maalik</p> <p>

MAALIK ( Master ) 1:3 مَا لِك

Lafz-e-Malik ka maddah ya root (م ل ك) hai. Maalik Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki sifaton me se ek sifat hai, aur Allah ke behtareen namo me se ek naam hai;

  • Maalik kisse kehtey hain?
  • Owner, wo jo har cheez par mukammil ikhtiyar aur taqat ka malik hai,[3]
  • Master, jaisa ke maalik urdu mein hum kehtey hai,
  • To yaum-e-deen ka maalik, yani yaum-e-deen mein aur koi maalik nahin hoga.
  • Iss ayat ko Qirat ke hisab se Maliki Yaumi ad-Deen bhi parrha jata hai,
  • Malik ka matlab badeshah, king ke aate hain,[4] to Maliki Yaumi ad-Deen ka matlab hoga yaum-e-deen ka badeshah.
  • Iss duniya mein bahut mill jatey allam ghallam, lekin wahan He will be the only Master and the only King on that day.
  • Issi root se, lafz-e-Mulk bhi hai, jis ke maane Kingdom, ya saltanat ke hain,[5]
  • Allah ki Saltanat me, Allah ke siway baqi sab ghulam hain, aur wohi taqat rakhte hain, jo unhe Allah ki taraf se di gayee ho.
  • Kisi ke paas apni marzi se koi taqat ya ikhtiyar nahi hai, kyun ke,
  • Asal me, Allah hi haqiqi Badeshah hai.

Ahadith me bhi, yehi maane aye hain iss root ke,

  • Ek hadith me ata hai ke, aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, Allah ke nazdeek sab se zaleel insaan wo hai, jo apne aap ko badeshahon ka badeshah kahe ya doosron se kehelwaye.[6]
  • Witr ki namaz ke baad ye, tasbeeh aap (صلى الله عليه وسلم) hume sikhayee, “Subhana al-Maliki al-Quddus” teen baar parrhe aur teesri baar awaz buland karke parrhe aur uss me aagay jodh dein “Rabbu al-Malaikati wa al-Ruh”[7]
  • Lafz-e-Malak bhi issi root se hai, jis ka matlab farishte ke hain.
  • Agar koi Musalman, kisi bimar Musalman ko milne jata hai, to 70 hazar farishte uss ke liye dua karte hain suraj ghuroob hone tak, aur agar kisi bimar se milne shaam me jata hai to, 70 hazar farishte uss ke liye dua karte hain, aur usse jannat me apne hisse ka phal milega.[8]

References

[3] Al Quran, Surah ar-Rome, Chapter 30: Verse 28

[4] Al Quran, Surah al-Muminoon, Chapter 23: Verse 116

[5] Al Quran, Surah aal-Imran, Chapter 3: Verse 189

[6] Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) said: The Prophet (ﷺ) said, “The most disgraceful man near Allah is a man who calls himself (or likes others to call him) Malikul-Amlak (i.e., king of kings).” [Al-Bukhari and Muslim].

وعن أبي هريرة رضي الله عنه النبي صلى الله عليه وسلم قال‏:‏ ‏ “‏إن أخنع اسم عند الله عز وجل رجل تسمى ملك الأملاك‏”‏ ‏(‏‏(‏متفق عليه‏)‏‏)‏‏.‏ قال سُفيانُ بن عُيَيْنَةَ: «مَلِكُ الأَمْلاَكِ» مِثْلُ: شَاهِن شَاهِ.

Reference: Riyad as-Salihin 1724

[7] Subḥāna ‘l-Maliki ‘l-Quddūs. [Recite three times, and raise and extend the voice on the third time and say…] Rabbi ‘l-Malā’ikati war-rūh. Glory is to the King, the Holy. [Recite three times in Arabic, and raise and extend the voice on the third time and say…] Lord of the angels and the Spirit.

Reference: An-Nasa’i 3/244, Ad-Daraqutni and others. The final addition is from Ad-Daraqutni’s version 2/ 31 and its chain of narration is authentic. See the checking of Zadul-Ma’ad by Shu’aib Al-Arna’ut and ‘Abdul-Qadir Al-Arna’ut 1/337.

“سبحان الملك القدوس” ثلاث مرات والثالثة يجهر بها ويمد بها صوته “ربِّ الملائكةِ والرّوح”

Reference: Hisn al-Muslim 119

[8] ‘Ali bin Abu Talib (May Allah be pleased with him) reported: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) saying, “When a Muslim visits a sick Muslim at dawn, seventy thousand angels keep on praying for him till dusk. If he visits him in the evening, seventy thousand angels keep on praying for him till the morning; and he will have (his share of) reaped fruits in Jannah.” [At- Tirmidhi].

وعن علي رضي الله عنه قال‏:‏ سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول‏:‏ ‏”‏ما من مسلم يعود مسلماً غدوة إلا صلى عليه سبعون ألف ملك حتي يمسي، وإن عاده عشية إلا صلى عليه سبعون ألف ملك حتي يصبح، وكان له خريف في الجنة” ‏(‏‏(‏رواه الترمذي وقال‏:‏ حديث حسن‏)‏‏)‏‏.‏

Reference: Riyad as-Salihin 899


Comments are closed.