Bani Israil Part 6

</p> <p>Bani Israil Part 6</p> <p>


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle Dars me Hum Bani Israil ke kaarnamo ki haqeeqat, aur unn ke achievements par analysis sunn rahe thay, aaj ke dars me ko Tayyar karne ke liye do hafte lag gaye, jis me Bani Israil ka Duniya ke maal aur media par control ki haqeeqat ko janenge. Bani Israil par ye series karne ka maqsad sirf haq ko janna hai, ye series sirf aur sirf ilmi point of view se, haqeeqat ko logon tak pahuncha dene ke liye ki ja rahi hai. Aur jo ghalat propaganda hume parrhne aur sunne ko mil raha hai – uss ko pehchana ja sakay – aur uss se bacha ja sakay.

Chhetta Hissa – Bani Israil ka Duniya ki daulat aur media par control ki Haqeeqat

Quran-e-Hakeem me, Surah Hashr ki 7wi ayat me farmaya; “Jo maal bhi Allah apne Rasool (صلى الله عليه وسلم) ko dehat walon se dilwaya hai, wo Allah ke liye hai, uss ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) ke liye, aur unn ke qarabat-daaron, yateemo, zaroorat-mandon, aur musafiron ke liye hai. Takay, Jo log tum me se doulat-mand hain ya ye doulat, maaldaron ke darmiyan hi na gardish karti rahe…[1]

Matlab ye ke, Allah ka qanoon hai ke daulat Ameer se Ghareeb ki taraf jaye, ye hi natural tareeqa hai, jis se economy me liquidity qayem rah sakti hai. Aur agar zakat aur sadaqaat nahi denge, ye natural flow of currency nahi hogi, to phir duniya me zulm hoga, Riba ka nizam, sood ka nizam phail jayega. Jo aaj hum dekh sakte hain.

Riba, Sood, Interest, jo bhi naam usay dein, wo Qanoon-e-Qudrat ke khilaf hai, it is against the law of nature, jo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne hamare liye muqarrar kiya hai.

Issi silsilay me, 2011 me New Scientist Magazine me, “Capitalist Network that runs the world” ke naam se chhapi ek research ke mutabiq,

  • Unhone Orbis 2007 ke ek database se 37 million companies aur investors ki list ko analyze kiya, aur uss me se, 43,070 Transnational Corporations ko chuna, yani aise bade companies jo ek se zyada mumalik me maujood hain, aise companies ya corporations ke, ownership networks ko study kiya,[2]
    • Matlab, ek company doosri company me kitne percent ki shareek hai, kitne percent doosri company ke shares hold karti hai? Aise links ka ek model banaya,
    • Iss model se aur iss study se inhe ye pata chala ke, agar ownership hai, to iss ka matlab hai ke control hai.
    • To iss study ka asal maqsad ye dekhna tha ke, duniya ko kaun control kar raha hai?
    • Aur doosra jo maqsad tha, ye dekhna tha ke, agar ye companies interconnected hain, to iss se risk kya hai, khatra kya hai, ek company fail ho gayee to duniya ki economy par iss ka kya asar hoga?
    • To ye 43,070 companies ko study karne par pata chala ke, ye companies 6 lakh companies ko connected hain, aur inn tamam companies me, 1million shareholding links hain,
    • ab ye 6 lakh companies ka structure kuch iss tarah ka hai ke, 75% companies yani 4.6 lakh companies center me hain, aur inn ke atraaf baqi 25% companies hain, connections aur links ke aitebaar se, inn companies ke aam taur par, ek ya do companies me hisse-daari hai,
    • Aur ye 4.5 lakh companies ke beech me, 1300 taqatwar companies hain jin ki hisse-daari, on average 20 aur companies se hain, aur wo companies, kuch aur companies ko connected hain,
    • Inn sab cheezon ka kya matlab hai?
    • Ye jo 1300 taqatwar companies hain, unn ke connections 36% hain, lekin inn ke paas 95% operating revenue hai,
    • Matlab ye hai ke, control ki agar baat kare, to 737 top companies 80% companies me, unn ki ownership ki wajah se control hai, wo decisions ko influence kar rahe hain, yani ke control kar rahe hain,
    • 6 lakh companies ke hisaab se dekhenge to, ye 737 companies sirf 0.1% hote hain, jo 80% value ko control kar rahe hain.
    • Inn 1300 companies me se, 147 aise companies hain, jo ke 0.024% hote hain, ye 40% value ko control kar rahe hain,
    • Iss study me banks thay, financial institutions thay, asset management companies thay, aur Lehman Brothers Holding bhi thi, jo 2009 me collapse honay ki wajah se 2009 me recession aya aur poori duniya uss se mutasir huwi thi.
    • Ab alag alag logon ne apne hisaab se, iss study ko samjha aur conclusions nikaale.[3]
  • Lekin, Ye jo tafseel hai, wo 10 saal purani hai, aaj kya haal hai?
    • Aaj Duniya ki economy, har country ki GDP ka hisaab karenge to 105 Trillion Dollar hai (yani 8,727 Lakh Crore).[4]
    • Sage Journals ki website par, ek article “Who owns and controls global capital?” me U.S ki kuch companies ka jaiza liya gaya, jo saari duniya me assets manage karti hai. Iss article me kaha gaya hai ke, “Big Three” asset managers jo hai, wo hain to U.S me lekin, unn ke investments U.S ki companies me 81% aur unn ki 17% U.S equity market ki ownership hai.
    • Aur U.S ke bahar ye teen companies, 20% companies me shareholder hain aur 4% non-U.S equity market ki ownership hai. Iss article me tafseel ye bhi hai ke, kis tarah ye companies doosri companies ko control karti hain.[5]
    • To kaun hai ye, “Big Three”?
    • Duniya bhar me, kayee Asset aur Wealth Management Companies hain, jis me top three companies hain, jinhe Big Three ka naam diya gaya hai.
    • Ye teen badi companiyan duniya ke Jin assets ko control karte hain, wo duniya ki economy ka 20% hai.[6]
    • Sirf Teen companies – 20 Trillion USD ko control kar rahi hain, aur jo pehli company hai, sirf wo ek company 10 Trillion USD ke assets duniya bhar me control kar rahi hain.
    • Iss me, jo Top 20 asset management companies hain – wo 57% of world economy ko control kar rahe hain. Aur jo sirf top 10 hain – wo 40% of world economy ko control kar rahe hain.
    • Top 20 companies me se, 14 companies USA me hain.
    • Duniya bhar me, 225 Asset Management companies me se, 87 USA me hain aur 36 UK me hain. 13 Australia me hain, 9 China me aur 8 India me.[7]
    • To, jaisa ke Quran ne kaha, waise hi ho raha hai ke, doulat chand logon ke haath me hain, aur ghareeb log – aur zyada ghareeb hote chale ja rahe hain.
  • Ab ye jo world wealth hai, duniya ki jo doulat hai, usay agar Religious groups ke aitebar se taqseem kare, to kya hisab hai;
    • Wikipedia ke ek article ke mutabiq, New World Wealth ek company ki 2022 ki research ke mutabiq,
    • Christians – 56.2%
    • Muslims – 6.5%
    • Hindus – 3.9%
    • Jews – 1.7%
    • Other Religions – 31.7%,[8]
    • Ye underline karne ka point hai ke, baaz deen ke log chahe wo Eesayee ho ya Yahoodi, wo apna deen zahir nahi kar rahe hain, ya wo kisi bhi deen ko maante nahi hain.
    • Aur jo Ameer Eesayee aur Yahoodi families hain, unhone apni wealth declare nahi ki hai,[9] To kisi ko nahi pata ke inn ke paas kitne paise hain.
    • Pew Research Center ki 2014 ki ek study ke mutabiq, US me Yahoodi log hain wo sab se successful religious group tha financially, uss ke baad Hindus hain, phir uss ke baad Eesaiyon ke do groups hain.[10]
    • Phir Investopedia par ek, Acronym aya, HNWI – High Net Worth Individual, aur ek term hai – jis ke paas 1 million USD se 5 million ke beech me hai, aise log 11.6 million hain.
    • Agar average 2.5 million ki bhi hum baat kare to, 29 Trillion to ye hi ho gaye.[11]
    • Phir UHNWI – Ultra High Net Worth Individual, jis ke paas 5 million se 25 million ke beech me hai, aur aise 1.8 million log US me hain,
    • To average 15 million bhi hisaab lagaye, to 27 Trillion USD ye ho gaye.[12] ab yahan individual ki baat ho rahi hai.
    • Dajjal bhi ek individual hi hai…
    • Ab, Ye dono figures US ki economy se badh kar hain. To ye sab kuch add up nahi ho raha hai.
    • Visual Capital Website ke mutabiq, jo private individuals ki doulat hai, yahan sirf millionaires ki agar hum baat karenge to, 2022 me aise millionaires ke paas, 454.4 Trillion USD doulat hai. Jo ke duniya ki economy se 4 gunah zyada hai,[13]…, Ye kahan se aya…?
    • Phir forbes ki Billionaire Yahoodiyon ki list dekhay to uss me, duniya bhar ke 2570 Billionaires me se,[14] 267 Yahoodi hain. Matlab 10% billionaires yahoodi hain.[15]
    • Lekin, ye to sirf wo doulat hai, jo dikhayee ja rahi hai. Paper per hai, baqi jo nahi dikhane wali doulat hai, uss ka to kisi ko pata nahi.
  • Ab iss ke baad baat karte hain, Banks ki aur Banking history ki, layn-dayn to insaano ke beech me hota raha hai, jab logon ko ek doosre ki cheezon ki zaroorat mehsoos huwi. Lekin qarz dena, recorded history me taqreeban 4000 saal pehle se ye qarz dene aur uss par sood wasool ka system shuru huwa, aur koi ek khaas jagah nahi hai, ye Mesopotamia, India aur China ke civilizations me paya gaya hai.[16]
    • Jab log coins ka istemaal shuru kare, tabh se inn paison ko jama karna aur uss ki hifazat ki zaroorat pesh aayee.
    • To sab se safe jagah uss zamane me logon ko, ibadat-gaah ya temple samajh me aayee, aur ye sab se pehle bank ka kaam karne lagay, aur logon ko qarz par paise dene lagay.
    • Aur yehi wajah hai ke, jungon me jab hamlay hotay to jeetne wala, phir uss mulk ki temple ko ja kar loot leta, kyun ke, uss zamane me paisa – temples me huwa karta tha.
    • Temples se paise qarz ke taur par badeshahon ko diye jaatay thay aur jo sahukaar huwa karte thay, money lenders jo hotay thay, wo aam logon ko qarz dete rahay hain.
    • Roman empire me, temples se paisa nikaal kar alag buildings me rakha jaanay laga. Lekin jo Money lender type log hamesha se rahay hain aur aaj bhi hain, jo bankon ke alawa bhi aam logon ko paise dete hain aur sood wasool karte hain.[17]
    • Judaism, Christianity aur Islam me, Riba, Sood, Interest ya Hebrew me Ribit kehte hain, ya English me Usury kehte hain, inn teeno religions me ye haram hai.[18]
    • Lekin Judaism me, unn ke Rabbis ne sood ko halal kar diya, sab se pehle soodi transactions sirf Rabbis ke liye allowed thay. Baad me waqt ke hisab se aam log bhi soodi karobar me mulawwis ho gaye.
    • Issi liye, Surah at-Tauba ki 31wi ayat me Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) Yahood aur Nasara, Jews aur Christians ke baare me farmate hain ke, “Inhone apne Ulama, Mashaiq aur Maseeh Ibn Maryam ko, Allah ke siway apna ilaaha, apna khuda bana liya hai,…[19]
    • Tirmidhi ki ek hadith me, Adi Ibn Hatim Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) se iss ayat ke baare me poochte hain, jis ke jawab me Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) farmate hain ke, kya tumhare ulama Allah ke hukum ke khilaaf jin cheez ko halal karte – tum log uss ko halal maan nahi lete aur jis cheez ko haram qaraar dete – uss ko haram tasleem nahi kiya karte thay. To Adi bin Hatim kehte hain ke, haan hum aisa hi karte thay. To aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, yehi to apne ulama ko khuda bana lena hai.[20]
    • Ye sood ko Yahoodiyon ne kab halal kar liya, ye to pata nahi, lekin Quran me Surah an-Nisa ki 160-161 ayat me aya hai ke, Allah ne kayee halal cheezen Yahoodiyon par haram kar di thi, kyun ke, wo logon ko Allah ke raaste se roktay thay aur iss liye bhi ke, wo mana kiye jaane ke ba-wajood sood khatay thay.[21]
    • My Jewish Learning website ke ek article me, ye apni iss harkat ko justify kartay huwe likhte hain ke, inn ke Rabbis kehte hain ke, ye iss liye halal kiya gaya, kyun ke, qarz dene me zyada faida hai bina mehnat kiye aur kyun ke yahoodiyon ko persecute kiya gaya aur unn par bhari taxes lagaye gaye, iss liye inhone sood ko apne ooper halal kar liya.[22]
    • Lekin Quran ki ayat se aisa lagta hai ke, ye to inhone persecute honay se pehle halal kar liya tha, azab aane se pehle hi, unn per azab aya inn harkaton ki wajah se, na ke vice versa.
    • Oxford university ke history class material ke mutabiq, Yahoodiyon ko England se 1290 eeswi me iss liye bahar kar diya gaya tha, kyun ke, wo sood based loans logon ko dete thay aur kaafi log qarz ke dabao me aa gaye, aur inn ke khilaaf ek negative feeling paida ho gayi,[23]
    • Georgia Southern University ki ek research ke mutabiq, 1492 me Yahoodiyon ko Spain se iss liye nikala gaya, kyun ke, Yahoodi log Spain me baday baday positions par thay, financial institutions ko lead kar rahe thay, aur inn par koi regulation nahi tha ba-nisbat doosre logon ke. Aur doosri wajah ye thi ke, inn ka influence ataraaf ke kingdoms ki economy par bohot zyada tha.[24]
    • France se Yahoodiyon ko kayee waqt nikala gaya, phir wo wapas aatay rahay, phir nikalay jatay rahay.[25]
    • Ab inn articles me, ye bhi likha hai ke, ye sab kuch antisemitism ki wajah se huwa hai, aur Yahoodi log hi nahi balke eesayee bhi sood le kar qarz dete thay.
    • Lekin jaisa ke humne suna ke, yahoodiyon ne to sood lena bohot pehle se shuru kar diya tha, jis ka zikr Quran me jo aya hai, wo bhi humne abhi suna.
    • Yahoodiyon ki fiqh me ye hai ke, wo doosre yahoodi se sood nahi le saktay, balke sirf ghair-yahoodiyon se le saktay hain. Lekin inhi ke ek Rabbi Isaac Abrabanel hain, jin ka manna ye hai non-jews me, Christians aur Muslims nahi aatay hain, kyun ke, ye dono semitic religions hain. Yani Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke mannay walay religions hain. Inn se bhi sood nahi liya ja sakta, ye main nahi keh raha hoon, ye yahoodiyon ki apni website My Jewish Learning keh rahi hai.[26]
    • To ye log apne hi deen ke rulings ko follow nahi kar rahe hain.
    • Ab modern banking history ki baat karenge to, jo pehle banking houses establish huwe wo Italy me huwe, 14th Century me ya 14wi sadi me,[27]
    • Uss waqt ke badshah ya kings jo thay, wo iss se faida utthane lage, aur bankon se loan le kar, apne kharch ke israaf me izafa karne, mehngi jungay ladhne, aur padosi mumalik ke sath arms race me mubtala ho gaye, jis ki wajah se, qarz ka bojh badhta chala gaya, yahan tak ke, 16wi sadi me, Spain ke badshah Philip Second ya Philip Thani ne bekar jungon me paisa kharch karke, poore mulk ko qarz me dubo diya.
    • Taqatwar Customers ko loan dene se pehle, unn ki credit rating ya wo qarz ki adaigi kar saktay hain ya nahi, check na karna ye bankon ki shuru se kumzori rahi hai, jo aaj bhi bankon ko le doobti hai.
    • 18wi sadi me, Adam Smith ki Invisible Hand Economic Theory ke zariye, money lenders ne yani sahukaron ne aur bank chale walon ne, government ke involvement ko kumzor karne me kamiyaab ho gaye. Aur yehi capitalist economic principles par US ki economy banayee gayee.[28] Matlab bankon par regulations ya to bilkul nahi hai ya bohot hi kum hain.
    • Gold standard develop kiya gaya, jis me sonay ko banking currency se link kiya gaya. Gold reserve ke hisaab se currency print karne ke liye, takay currency ko stability di jaye, aur kuch banking system ko regulate kiya jaye.[29]
    • First world war ke baad, US Dollar – British Pound ko replace kar diya as an international reserve currency.[30]
    • Inn sab cheezon me tafseel bohot zyada hai, har ek point par ek lecture diya ja sakta hai, lekin waqt ko madde-nazar rakhte huwe, sirf summary bayan ki ja rahi hai.
  • Ab Bank Crashes waghairah par nazar daalte hain, jaisa ke hume pata hai ke, 2009 ka recession Lehman Brothers ka Yahoodi bank collapse hone ki wajah se aya tha. Jis ke collapse ne, uss waqt ke 4th Largest Bank ko dubo diya.[31]
    • Iss bank ke crash hone ki wajah se 2009 me, 140 aur banks crash huwe,
    • 2010 me, 157 banks crash huwe,
    • 2011 me, 92 aur
    • 2012 me, 50 aur
    • 2013 me, 24 banks crash huwe.[32] Matlab total 463 banks crash huwe.
    • Bank crash hona mamooli baat nahi hai, itne customers ki jama-poonji ka nuqsan ho jata hai. Aam taur par, jab aisa situation ata hai to central bank ya reserve bank uss ki madad ko aatay hain. Lekin, agar regulation sahih na hone ki wajah se agar bank crash ho jaye to kya kiya ja sakta hai.
    • 2009 ke recession ke baad, ek committee baitthi, aur banks ke liye kuch rules and regulations banaye gaye, US me. Lekin 2018 me chhotte bankon ke liye, ye regulation relax kar diya gaya, jis ki wajah se 2023 me, Silicon Valley Bank aur Signature Bank collapse huwe.[33]
    • Inn do bankon ke sath aur 3 bank fail huwe, ye sab deregulation ki wajah se hai aur log pareshan honay ki wajah se hai.[34]
    • Ye bank ke assets kisi aur ko transfer kar diye gaye – SVB ke Baupost Group ko de diye gaye,[35]
    • Signature bank ko flagstar bank ko de diya gaya,[36] iss ke founders me se ek Yahoodi tha,[37] doosre par bank fail hone ke baad dhoka dehi ke liye muqaddama chalaya gaya.[38]
    • Signature Bank Crypto me investment ke liye kaam karna shuru kiya tha, aur itna risk le liya ke collapse ho gaya.[39]
    • Ye do bank ka doobna, sab se bada collapse hai 2008 ke baad.[40]
    • Ye hi nahi, san 2000 se ab tak 568 bank band ho gaye.[41] aisa lagta hai ke, koi rule nahi hai, shayed aur control ki zaroorat hai. Warna aise crashes chand logon ke faide ke liye hote rahenge.
    • Bank crashes ki history dekhenge to pata chalega ke, kayee bank crashes ki wajah se, ye gold par se dependency hatta di gayee, kyun ke, iss ki wajah se gold mulk se bahar chala ja raha tha.
    • 1999 ke baad koi aisi duniya ki currency baqi nahi rahi, jo gold standard ko follow kar rahi ho. Saray mumalik ne apni currency ka rishta gold se hatta liya.[42]
    • Ab currency volatile ho gayee, uss ki value fluctuate kar sakti hai, aisa karne se chand logon ko faida hota hai, yehi mamela, stock market ka bhi hai aur Crypto currency ka bhi. Fluctuations hote hain, value girrti hai, chand logon ko faida pahunchta hai.
    • Oxfam ki January 2022 ki report ke mutabiq, COVID-19 ke do saalon me 10 billionaires ki doulat more than double ho gayee. Jis me se panch yahoodi hain (Larry Ellison, Larry Page, Sergey Brin, Mark Zuckerberg, Steve Ballmer).[43]
    • Aur pichla jo Crypto ka crash huwa, uss me logon ke 2 Trillion USD ka nuqsan huwa.[44] To iss ka faida chand logon ko hi hota hai. Ameer aur zyada ameer ho raha hai, aur ghareeb aur zyada ghareeb ho raha hai.
  • Iss disconnection ki wajah se, yani Gold par se US Dollar ki dependency ko hattanay se bohot saare countries ko laga ke, unn ke sath dhoka huwa hai.
    • Kyun ke, jo oil producing countries thay wo, oil bech kar dollar kamatay thay, aur uss dollar ko de kar, sonay me convert kartay thay.
    • Ab jab ye dependency khatam kar di gayee, to oil ke badlay kya mil raha hai, kaghaz ke tukday…
    • jis ki koi value nahi hai,
    • jis ki koi stability nahi hai,
    • aur jis ki value kabhi bhi badal sakti hai.
    • To jab logon ne, aiteraz kiya to unn se kaha gaya ke, jo dollar aap kama rahe ho, wo US products khareednay me lagao hum aap ko uss ki poori ki poori value denge.[45]
    • 16-Feb-2003 ki The Gurdian ki news hai ke, Saddam Hussain ne sann 2000 me ye announce kiya ke, wo Iraqi Oil ko US Dollar me nahi Euros me bechenge. Jis ki wajah se kayee million Euros ka Iraq ko faida huwa.[46]
    • March 2003 me Iraq Gulf war huwi, aur Saddam Hussain ka kya haal huwa, wo to sab ko pata hai.[47]
    • Gaddafi aur Iran ka bhi aisa hi haal huwa, jinhone US Dollar ko chhorrh kar doosri currency me oil ki payment lena chaha.[48]
    • Ye ek bohot hi ajeeb coincidence samajh li jiye – warna aisi batein ko to conspiracy theories keh kar ignore kar diya jata hai.
    • Acha, ab ye gold par se currency ki dependancy hatta kar, ye log kya kar rahe hain?
    • Khud gold jama kar rahe hain, US ke paas 8.1K Ton sona hai, unn ke federal reserve me.
    • Uss ke baad Germany, Italy, France, Russia, China, Switzerland, Japan, India…waghairah hain.[49]
    • Ye to wo hisaab hai, jo declare kiya gaya hai, aur jo undeclared hai, uss ka to koi hisab hi nahi hai. Business Standard ke March 2016 ke article ke mutabiq, World Gold Council ki estimate ke mutabiq, Indians have around 22,000 tons of gold, jis me se taqreeban 4000 ton sona to sirf mandiron me hai.[50]
    • Aur world gold council ki hi 2020 ki report ke mutabiq, 38% americans gold me invest karte hain, aur ek estimate ke mutabiq taqreeban 26K tons of gold aam american janta ke paas hai.[51]
    • Pew Research Center ki 2016 ki report ke mutabiq, US me Highest Household income me sab se aagay Jews hain, uss ke baad Hindus hain, phir uss ke baad alag alag Christian firqe hain.[52]
  • To ab iss Dars ka aakhri sawal – Kya Jews duniya ki doulat aur media waghairah ko Control kar rahe hain?
    • Jab ye hum dhoonday, to kayee articles jo yahoodiyon ne likhe hain, unn me bataya gaya hai ke, ye idea baseless hai, aur ye antisemitism ki wajah se hai.
    • To hum yahoodiyon ke khilaf nahi hain, hum antisemite nahi hain, Rabbi Isaac Abrabanel ke mutabiq, Christians aur Muslims Non-Jews nahi hain. Kyun ke, wo Ibrahimi deen ko follow karte hain. To Hum Musalman hain aur Rabbi Isaac ke iss definition ke mutabiq hum bhi semite hain.
    • To hum kuch bhi aisa nahi kahenge, jis se Jews ko takleef pahunche.
    • Haaretz ke 2018 ke article me, article likhne wale ne iss baat ko mana ke, Jews ki numaindagi ya representation hai Politics me, Economics me, Media me, aur deegar shobon me.[53] Ye hum nahi keh rahe hain, ye tum khud keh rahe ho.
    • My Jewish Learning website ke Article, Usury and Money Lending in Judaism me, author kehta hai ke, Yahoodi Duniya ki doulat ko control nahi karte lekin Jews are well represented in Finance and Business, aur phir uss ne iss ki wujoohat bayan ki.[54]
    • The Washington Post ke, ek article Jewish Power ke mutabiq, Yahoodiyon ka asal power American Jews ke paas hai, wo ek aisa force hai jisay saari duniya maanti hai. Iss article me tafseel bohot hai jisay hum bayan karenge to waqt bohot ho jayega.[55]
    • 2% Jews ka representation sirf 10% Yahoodi Billionaires hain, aur ek Yahoodi company, duniya ke 10% assets ko control kar rahi hai, aur duniya ki kayee major companies ko aur kayee countries ko wo control kar rahe hain.
    • Ye control unn ki mehnat ki wajah se hai, kayee yahoodi families duniya ke kayee newspapers ke owners hain ya unn ke interests uss mein hain, lekin wo media outlets ye nahi kehte ke, Jews duniya ko control kar rahe hain. Ye hum nahi keh rahe hain, ye The Jerusalem Post ke ek article me likha hai.[56]
    • 19wi sadi ke shuru me, Nathan M Rothschild ko Spanish Mercury mines ke exclusive rights mil gaye thay, jis ki wajah se wo gold aur silver ke production me monopoly hasil kar liya tha. Ye gold aur silver wo Bank of Britain ko supply kar rahe thay. Aur England ki government ko qarza de rahe thay.[57]
    • Nathan ke battay Walter Rothschild ko, 1917 me UK ke Foriegn Secretary, Arthur Balfour ne ek letter ke zariye, ye likh kar diya ke, Falsteen ki zameen World War I (One) ke baad Yahoodiyon ko de di jayegi. Issi ko Balfour Declaration kaha jata hai, jis ki wajah se Israel ka mulk qayem huwa.[58]
    • Rothschild ki baat chal hi rahi hai to, ek aur baat suntay chalein ke, Gold ka rate jo fix hota hai, wo shuru kis ne kiya?
    • Jo pehla gold rate fix huwa, wo 5 companiyon ne mil kar kiya, Nathan Rothschild & Sons (Jewish), Macotta & Goldsmid (Jewish), Samuel Montagu & Co. (Jewish), Pixley & Abell, and Sharps Wilkins, jis me se teen companiyan yahoodi hain. Ye gold ka rate fix karne ke liye Rothschild ke office me baittha karte thay.
    • Wo gold rate jisay saari duniya istemaal karti hai. Jo aaj bhi fix hota hai lekin, ab uss ke 14 participants hain, aur iss me bhi yahoodi presence hai.[59]
    • 20-Oct-2017 ki The Times of Israel ki report, jis me aya hai ke, Hurricane Harvey jo toofan aya aur tabahi huwi, hurricane relief funds release karne ke liye, ye declare karna tha ke, wo log Israel ko boycott nahi karte hain aur nahi karenge.
    • Kaun kehta hai ke, Yahoodi duniya ko control kar rahe hain. Hum to nahi keh rahe hain, ye tum keh rahe ho apni websites par, apne news channels ke zariye…
    • Allah ne inhe zara kya dheel de di ke,…, ye log sari duniya ko control karna chahte hain aur apne masiha ke liye raaste bana rahe hain, jo ki hamara agla section hai, Bani israil aur dajjal.

Yahan Dars rok denge, next Saturday In Sha Allah Bani Israil ka saathwa hissa hoga.

Al hamdulillahi Rabbil Alameen

Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallim

Rabbana aatina fid duniya…

References

[1] Quran-ST | 59-7

[2] Source: Revealed – the capitalist network that runs the world | New Scientist

[3] Source: James B. Glattfelder: Who controls the world? (youtube.com)

[4] Source: Visualizing the $105 Trillion World Economy in One Chart (visualcapitalist.com), GDP by Country – Worldometer (worldometers.info)

[5] Source: Who owns and controls global capital? Uneven geographies of asset manager capitalism – Albina Gibadullina, 2023 (sagepub.com)

[6] Source: Top 100 Asset Manager Managers by Managed AUM – SWFI

[7] Source: List of asset management firms – Wikipedia

[8] Source: Wealth and religion – Wikipedia

[9] Source: A History of the Rothschild Family, Wealth and religion – Wikipedia

[10] Source: Wealth and religion – Wikipedia

[11] Source: High-Net-Worth Individual (HNWI): Criteria and Example (investopedia.com)

[12] Source: What Are High-Net-Worth Individuals? – Forbes Advisor

[13] Source: Visualizing the Pyramid of Global Wealth Distribution

[14] Source: Real Time Billionaires (forbes.com)

[15] Source: The World’s Jewish Billionaires 2022 – Forbes Israel

[16] Source: History of banking – Wikipedia

[17] Source: The Evolution of Banking Over Time (investopedia.com)

[18] Source: Usury – Wikipedia

[19] Quran-ST | 9-31

[20] ‘Adiyy ibn Hātim (may Allah be pleased with him) reported: I heard the Prophet (may Allah’s peace and blessings be upon him) recite this verse: {They have taken their scholars and monks as lords besides Allah, and [also] the Messiah, the son of Mariyam. And they were not commanded except to worship one God; there is no deity except Him. Exalted is He above whatever they associate with Him.} So I said to him: “We do not worship them.” He replied: “Don’t they forbid what Allah allows, so you forbid it? Don’t they allow what Allah forbids, so you allow it?” I said: ‘Yes.’ He said: “That is how you worship them.” 

Sahih/Authentic. – [At-Tirmidhi]

عن عدي بن حاتم رضي الله عنه : “أنه سمع النبي صلى الله عليه وسلم يقرأ هذه الآية: “اتَّخَذُوا أَحْبَارَهُمْ وَرُهْبَانَهُمْ أَرْبَابًا مِنْ دُونِ اللَّهِ وَالْمَسِيحَ ابْنَ مَرْيَمَ وَمَا أُمِرُوا إِلاَّ لِيَعْبُدُوا إِلَهًا وَاحِدًا لا إِلَهَ إِلاَّ هُوَ سُبْحَانَهُ عَمَّا يُشْرِكُونَ” فقلت له: إنا لسنا نعبدهم، قال: أليس يُحَرِّمُونَ ما أحل الله فتُحَرِّمُونَهُ؟ ويُحِلُّونَ ما حَرَّمَ الله فتُحِلُّونَهُ؟ فقلت: بلى، قال: فتلك عبادتهم”. [صحيح] – [رواه الترمذي]

Reference: Hadith: Worshiping Scholars and Saints

[21] Quran-ST | 4-160 to Quran-ST | 4-161

[22] Source: Jewish Moneylending | My Jewish Learning

[23] Source: Why were the Jews expelled from England in 1290? | Faculty of History (ox.ac.uk)

[24] Source: “The 1492 Jewish Expulsion from Spain: How Identity Politics and Econom” by Michelina Restaino (georgiasouthern.edu)

[25] Source: History of the Jews in France – Wikipedia

[26] Source: Interest-Free Loans in Judaism | My Jewish Learning

[27] Source: https://firstutahbank.com/the-history-of-banking-from-ancient-times-to-now,

[28] Source: The Evolution of Banking Over Time (investopedia.com)

[29] Source: Gold standard – Wikipedia

[30] Source: United States Dollar – Wikipedia

[31] Source: Lehman Brothers – Wikipedia

[32] Source: Failed Banks In The US: An Analysis By Year, Size And More – Forbes Advisor

[33] Source: https://greenlining.org/2023/statement-on-silicon-valley-bank-collapse

[34] Source: Why Silicon Valley Bank Crashed – Roosevelt Institute

[35] Source: SVB Financial Group – Wikipedia

[36] Source: Signature Bank – Wikipedia

[37] Source: 2nd shuttered US bank was co-founded by major Jewish donor Scott Shay | The Times of Israel

[38] Source: Signature Bank, ex-CEO sued by shareholders for fraud (nypost.com)

[39] Source: Signature Bank’s Collapse Fueled by Crypto Bets and Run on Deposits – The New York Times (nytimes.com)

[40] Source: Analysis: Why Silicon Valley Bank and Signature Bank failed so fast | PBS NewsHour

[41] Source: Failed Banks In The US: An Analysis By Year, Size And More – Forbes Advisor

[42] Source: Which Countries are on the Gold Standard in 2024? (worldpopulationreview.com)

[43] Source: Ten richest men double their fortunes in pandemic while incomes of 99 percent of humanity fall | Oxfam International

[44] Source: Crypto peaked in Nov. 2021: Investors lost more than $2 trillion since (cnbc.com)

[45] Source: Petrodollar recycling – Wikipedia, Nixon shock – Wikipedia

[46] Source: Iraq nets handsome profit by dumping dollar for euro | Business | The Guardian

[47] Source: Iraq War – Wikipedia

[48] Source: https://vt.tiktok.com/ZSNvhospW/

[49] Source: Which Country Has Largest Gold Reserves? | Gold Reserves By Country In 2023 – Forbes India

[50] Source: Temples hold about 4,000 tonnes of gold (business-standard.com)

[51] Source: How Much Gold Does the Average American Own in 2023? | American Bullion

[52] Source: How income varies among U.S. religious groups | Pew Research Center

[53] Source: The Link Between Jews and Money Is No Longer Taboo – Europe – Haaretz.com

[54] Source: Jews and Finance | My Jewish Learning

[55] Source: washingtonpost.com: Jewish Power: Inside the American Jewish Establishment

[56] Source: Do the Jews control the world? – The Jerusalem Post (jpost.com)

[57] Source: A History of the Rothschild Family (investopedia.com)

[58] Source: Balfour Declaration – Wikipedia

[59] Source: Gold fixing – Wikipedia

Comments are closed.