Bani Israil Part 5

</p> <p>Bani Israil Part 5</p> <p>


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle hafte yahan chhutti hone ki wajah se Dars nahi ho paya, to uss se pehle ke Dars me Hum Bani Israil ki tabahi kyun huwi, unn ke jurm kya thay aur unn ki kumzoriyon par tafseel sunn rahe thay. Aaj ke dars me hum Yahoodiyon ke kaarnamo ki haqeeqat ko jaanenge.

Panchwa Hissa – Bani Israil ke kaarnaame (Achievements)

Ab ye jo topic hai, uss par mera ek article hai, “The Reality of the Achievements of Jews” ke naam se, Quranic Resources website par – jo August 2014 me publish kiya gaya.[1]

Ab iss article ko publish karne ke baad, iss ki khasiyat ye hai ke, iss par itne junk comments aanay lagay ke, ek waqt aisa aya ke website band ho gayee. Phir wo comments ko nikala aur comment ka option band kar diya, tab ja kar ye mamela khatam huwa.

To aisa lagta hai ke, ye article jo hai wo kuch logon ko pasand nahi aya – Wallahu Alam.

Beher-haal, iss article ko likhne ka maqsad ye tha ke, kayee musalmaan groups me, pehle Yahoo Groups huwa karte thay, ab WhatsApps groups hain aur bhi doosre zariye hain, jin par Yahoodi karnamo ki tareef, Jewish Achievements par tareef aanay lagi. Jo original post hai, wo aaj maujood nahi hai – kyun ke Yahoo Groups 2020 me band ho gaya. Uss ki copy kahin par mil gayee – jo 2009 me post kiya gaya tha. To uss me ye likha tha ke;

  • Uss waqt Yahoodi abadi duniya bhar me 14 Million thi (1 Crore 40 Lakh thi), aur Musalmano ki abadi duniya bhar me 1.5 Billion thi (yani 150 Crore thi)
  • To iss aitebar se, 1 Yahoodi ke liye 107 Musalman thay uss waqt – 2009 mein.
  • Lekin, Yahoodi phir bhi Musalmano se zyada taqatwar hain, uss ke wujoohat me uss post me likha tha ke,
    • Albert Einstein, Sigmund Freud, Karl Marx, waghairah jaise log sab yahoodi thay, jinhone duniya ko nayee cheezen, naye ideas diye,
    • Kayee bimariyon ke vaccine banane walay, dawa.en banane walay, aur aaj Medical ki field me karname anjaam dene walay sab Yahoodi hain,
    • Yahoodiyon ke paas 180 Nobel Prize jeetne walay hain to Musalmano ke paas sirf 3 hain,
    • Kayee naye inventions ya ijadaat karne walay, kayee baday baday business owners, Influential Intellectuals aur Politicians alag alag mumalik me Yahoodi hain,
    • 57 Musalman mumalik me 500 universities hain to, US me sirf 5,758 universities hain, India me 8,407 universities hain
    • Literacy rate christians ka 90% hai to Musalmano ka 40% hai,
    • Aur bhi kayee aise relevant ya irrelevant comparisons uss post me thay.
    • Aur uss ke conclusion me ye likha tha ke, Musalmano me ilm ki kami ki wajah se hum itne kumzor hain aur hume Ilm hasil karnay par tawajjoh deni chahiye.
  • Iss post ke jawab me humne, Quranic Resources ki website par wo article publish kiya, jis me sab se pehle humne wo sab kuch bataya jo pichle 4 duroos me hum sunn chukay hain, to inn cheezon ko yahan doharane ki zaroorat nahi hai, hum Quran aur Hadith ki roshni me iss ka jawab diya gaya aur yahoodiyon ki asliyat Musalmano ke saamne humne rakha:
    • Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki hadith jis me aap ne farmaya ke, iss ummat ke saath bhi wohi sab kuch hoga, jo sabiqa muslim ummat ke sath huwa tha, to Musalmano ka zawal, hamara downfall ana tha.[2] Theek ussi tarah jis tarah Yahoodiyon ka zawal aya, aur ab ye Musalmano ki doosri tabahi ke baad ka waqt chal raha hai.
    • Doosra point ye hai ke, Ghair Muslim hum se zyada taqatwar hone ki wajah, Abu Dawood ki hadith me batayi gayee hai, Farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, “Qareeb hai ke, deegar qaumein, tum par aise hi toot padenge jaise khaane walay pyalon par toot padte hain. To kisi ne poochha ke kya hum tedad me kum honge, to aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, nahi, balke tum uss waqt bohot honge, lekin tum sailab ki jhaag ke manind honge, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) tumharay dushman ke seeno se tumhara khauf nikal dega, aur tumhare dilon me Wahn daal dega. Poochha gaya ke, Wahn kya hai? Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Ye duniya ki Mohabbat aur Maut ka darr hai.[3]
    • To pata chala ke wahn ki bimari ki wajah se, aaj Musalman taqatwar nahi rahay.
    • Phir teesri baat ye hai ke, Quran me Surah Bani Israil ki 103 aur 104 ayaat me, Israil ka mulk banega aur Yahoodiyon ko ek jagah jama kiya jayega, ye 1,450 saal pehle bata diya gaya tha.
    • To aaj jo hum iss duniya me dekh rahe hain, wo Quran aur Ahadith me, unn cheezon ki peshangoi aa chuki hai. 2004 me likha huwa hamara ek aur article Status of Muslim Ummah, me kayee ahadith humne bayan ki, aaj jo Musalman Ummat ka haal hai, unn par chand ahadith ki summary hum yahan bayan karenge:
    • Sahih Muslim ki ek lambi hadith me, farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, “Ye har Nabi ka farz tha ke, wo apni ummat ko wo sab kuch bataye, jo unn ke liye acha hai aur wo sab kuch bataye jo unn ke liye bura hai. Phir Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, iss ummat-e-muslima ke aman din iss ke shuru ke hissay me hain aur iss ke aakhri daur me, fitne hain aur wo cheezen hain, jisay tum pasand nahi karte.
      • Aur iss hissay me, yani aakhri daur me, sakht se sakht aazmaishein hongi, har nayee aazmaish, pichli aazmaish ko haqeer kar degi, insignificant kar degi. Har aazmaish par ek momin ye sonchega ke, iss aazmaish se hum khatama ho jayenge. Phir jab doosri ayegi to wo samjhega ke, iss fitne se to hum bach nahi sakenge.
      • Jo koi ye chahta hai ke, wo dozaq ki aag se bach jaye aur jannat me dakhil kar diya jaye, usay chahiye ke Allah par aur roz-e-mahshar par iman par uss ka khatema ho. Aur wo logon ke sath aise hi salook rakhe jaise wo chahta hai log uss ke saath salook kare.n.
      • Jo shakhs kisi khalifa ki bayt kare, usay chahiye ke uss ke hath par bayt kare aur uss ke dil ke ikhlas se uss ki tabedaari kare. Agar koi doosra shakhs khilafat ka dawedaar bann kar aaye, to Musalman baad walay ka sar qalam kar dein.
      • Iss par majme me se ek shakhs ne Abdullah ibn Amr ibn Aas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) se poochha, jo iss hadith ke rawi hain ke, kya aap ne ye hadith Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) se suni? Unhone kaha ke haan, mere kaano ne suni aur mere dil-o-diamgh ne usay yaad kar liya.
      • Phir sawal huwa ke, Khalifa Muawiya, to phir Quran ke khilaaf logon ko hukum karte hain. Iss par Abdullah ibn Amr ibn Aas ne kaha ke, unn ke tabay uss waqt tak raho jab tak ke wo Allah ki ita’at karte hain, aur unn muamelaat me unn ki tabay na raho, jab wo Allah ki ita’at se door hain.[4]
    • Phir Bukhari ki ek hadith me ata hai ke, ek waqt Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) Madina ki ek badi building par chadh gaye aur logon se poocha, kya tum wo dekh sakte ho, jo main dekh raha hoon. Logon ne kaha, Nahi. To aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, main dekh raha hoon ke, fitne tumhare gharon par aise girr rahe hain, jaise barish ka pani barasta hai.[5]
  • To Hume Kya karna chahiye, as an Ummat kya karna chahiye?
    • Agar hum izzat chahte hain aur zillat se bachna chahte hain, to uss ka ek hi solution hai. Momin Ban jao.
    • Surah an-Nisa ki 141wi ayat ke aakhri hisse me Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) farmate hain ke, “…Aur Allah Kafiron ko Momino par hargiz ghalba nahi dega.”[6]
    • Phir Surah al-Maidah me farmaya ke, “Aye logo jo Iman laye ho! tum par zimmadari hai, sirf apni jaano ki, jab tum hidayat par ho to koi gumraah tumhara kuch bhi bigaad nahi sakta…”[7]
    • Surah Yunus me aur Surah Room me farmaya ke, “…Hum par (yani Allah SWT par) lazim hai ke, momino ko bacha lein.”[8] aur “…Hum par ye lazim hai ke, momino ki madad kare.n.”[9]
    • Phir Surah an-Noor me farmaya ke, “Jo log tum me se, Iman laye aur nek kaam karte rahe, unn se Allah ka wada hai ke, unn ko mulk ka hakim banadega, jaisa unn se pehle logon ko hakim banaya tha aur unn ke deen ko, jisay Uss ne pasand kiya hai, Mazboot bana dega, aur khauf ke baad unn ko aman dega…”[10]
    • Surah Muhammad me farmaya, “…Allah tumhari madad karega aur wo tumhare qadmon ko jama dega.”[11]
    • Phir Surah Hud me farmaya ke, “Aur tumhara paalne wala malik aisa nahi hai ke bastiyon ko jab ke wahan ke rehne walay nekukaar hon, saleh hon yani islaah karne waale hon, tabah kar de.”[12]
    • Abu Dawood ki hadith, farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, “Allah ne iss ummat ko…, gumrahi par muttafiq nahi karega.[13]
    • Abu Dawood hi ki ek aur hadith, aap (صلى الله عليه وسلم) se poochha gaya ke, fitno ke daur me, agar koi mere ghar me ghus jaye aur apna haath utthaye mujhe qatl karne ke liye, to main kya karoon? Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Adam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke do betton ki tarah ho jao, Surah Maidah me ata hai ke, Adam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke doosre bette ne kaha ke, agar tum apna haath utthaoge mujhe qatl karne ke liye, to main apna haath nahi utthaoonga, tumhe qatl karne ke liye, mujhe to Allah ka khauf hai, jo tamam jahano ka paalne wala malik hai.[14]
    • To iss sab ka anjaam kya hoga, jo log Allah par Iman nahi rakhte, aur iss duniya me jo harkatein kar rahe hain, inn ka kya anjaam hoga. Surah al-Ahqaf me farmaya ke, “Aur jis din ye kafir dozaq ke saamne pesh kiye jayenge, (to uss waqt unn se kaha jayega:) tum apne hissay ki achi cheezen apni duniya ki zindagi me le chukay aur unn se tum ne khoob faida uttha liya, to aaj tumhe zillat ka azab dia jayega, ye uss ki saza hai ke tum zameen me na-haq ghuroor kiya karte thay, (takabbur karte thay), aur unn na-farmaniyon ki wajah se, jo tum kiya karte thay.[15]
    • Musalmano ki niyyat kya hona chahiye? Kya hum nobel prize ke peechhay bhaag rahe hain ya hum yahan Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko khush karne ke liye zindagi guzaar rahe hain? Hum Musalmano ka ek hi goal hai, wo hai Jannat. Quran Surah aal-e-Imran ki 185wiayat me kehta hai ke, “Har wo shai jis me Nafs hai, (Rooh hai) ussay maut ka maza chakhna hai, aur tum ko Qiyamat ke din, tumhare amaal ka poora poora badla diya jayega, to jo shakhs Jahannam ki aag se door kar diya gaya aur Jannat me dakhil kar diya gaya, to wo muraad ko pahunch gaya (he has achieved his goal, wo kamiyaab ho gaya) aur ye duniya ki zindagi to dokhay ka saman hai.[16]
    • Phir Surah an-Nisa ki 136wi ayat me farmaya ke, “Aye wo logo (jo dawa karte) ho ke hum Iman le aaye! Iman laao Allah par, uss ke rasoolon par aur uss kitab par jo Uss ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) par nazil huwi, aur unn kitabon par jo iss se pehle nazil huwi (yani Quran se pehle). Aur jo koi Allah par, Uss ke farishton par, uss ke Rasoolon par aur Roz-e-Mahshar par Iman na laaye, (ya inn sab ka inkaar kare) to wo raaste se bhattak kar door chala gaya hai.[17]
    • Inn sab ayate.n pesh karne ka ye hargiz maqsad nahi hai ke, hum ilm hasil nahi karenge, Quran jab nazil hona shuru huwa to sab se pehla jumla jo nazil huwa, wo tha “Iqra”, “Read” Parrhne ki taraf dawat aur tarjeeh di gayee. Yani ke ilm ki taraf.

Ab yahan thoda Analyse karna hai;

  • Sab se pehli baat – ye batana hai ke, jin cheezon ki ahmiyat Quran aur Ahadith me aa chuki hai, chahe wo Maa-Baap ki ahmiyat ke baare me ho, Ilm ki fazeelat ki baat ho ya koi aur ahmiyat ki baat ho, jis ka zikr Quran aur Ahadith me aa chuka hai, aisi cheezon ke liye hume – Emotional Stories, Koi bhi iss tarah ka Comparison ya Analysis ho, ya koi aur cheez ki zaroorat nahi, kyun ke, unn cheezon ki ahmiyat jaanne ke liye, Hume, Quran aur Hadith kaafi hain.
  • Doosri baat ye batana hai ke, ye analysis ka jo source hai wo clearly Yahoodi source hai, kyun ke, aisa hi ek aur yahoodiyon ki tareef wala article aur bhi updated form me mujhe dhoondne par mili, jo Yahoodiyon ne khud likha aur shaya kiya hai, ya publish kiya huwa hai unn ke websites par.[18]
    • New York Times ki ek book review article me aya hai ke, ye Yahoodiyon ka propaganda hai, pichle 100 saal se ke, ye aise articles aur books publish karte chale ja rahe hain. Aur Hum hai ke ussi propaganda ka shikar ho rahe hain, Quran aur Hadith ko chhorrh kar.[19]
    • Aur ye baat iss liye batayee ja rahi hai, kyun ke, aisi baatein hamare Musalman bhai log hi kar rahe hain, bina ye jaane ke wo Yahoodi propaganda ka hissa bann rahe hain, aur uss propoganda ko tasleem kar rahe hain. Aur uss propoganda ko phailane me Yahoodiyon ki madad kar rahe hain.
  • Aur teesri baat ye hai ke, agar U.S me 5.7K+ universities hain to, kya saare universities Yahoodiyon ne banaya?
    • Aur agar India me, 8.5K universities hain to, kya saare universities Yahoodiyon ne banaya?
    • To phir iss qism ka data present karne aur compare karne ki kya zaroorat hai?
    • Tehqeeq karne par, Research karne par pata chala ke, U.S me 6K ke qareeb universities huwa karte thay, jo ab band ho chuke hain, aur iss tedaad me, iss figure me junior colleges bhi shamil hain, to jo asal tedad hai universities ki wo bohot kum hai,
    • Waise hi India me bhi sirf 1,113 universities hain, ye 8.5K ka figure tamam colleges ko mila kar ho sakta hai.
    • To na numbers sahih hai aur na iss comparison ke koi maane hain.
  • Chohti baat ye hai ke, Musalmaan mumalik me, kum universities hain to, wahan se log America aur Europe ja kar parrh rahe hain, iss baat ko comparison me liya hi nahi gaya hai.
    • Muslim Mumalik ko to chhorrhiye, India me itni universities hone ke bawajood log America, Europe aur deegar muqamaat par ja kar ilm hasil kar rahe hain.
    • Issi liye to jab Ukraine ki jung shuru huwi, itne saare students ko Indian Government bacha kar layee aur jo wahan reh gaye, unn me se bombing ke nateeje me maare bhi gaye, zakhmi bhi huwe.
    • To batana ye hai ke, ye America me itne universities hain, to kya wahan ke muqami logon ke liye hi hai?
    • Nahi, unhone ek model aisa banaya ke, foreign students aa kar unn ke paas parrhe, aur iss ke nateeje me unn ke paas poori duniya ka cream maujood hai.
    • Jo big tech companies ko chahiye, aur ye batane ki zaroorat nahi ke, kayee baday companies ke CEO Indians hain, iss ke nateeje me.
    • Aur kayee doosre mumalik ke log bhi ache positions par hain, U.S ke students kahan hai?
    • Aur ye jo Universities me funding hoti, wo research groups ki funding hoti koi individual ki nahi, uss me poori team ka effort hota, aur ideas bhi hotay hain. Team ko jo lead kar raha hota hai, uss ka naam zyada hota aur jo log team members hain, unn ka naam saamne nahi ata.
    • Aisi hi ek team jis ne Atom Bomb banaya, uss me 50 ke qareeb scientists kaam kare, 500 ke qareeb log directly project me involved thay aur total me 6 lakh log iss project ke sath indirectly wabasta rahay.[20] Lead karne wala Oppenheimer tha, jis ke naam par abhi ek film bhi release huwi hai, to naam Oppenheimer ka huwa, wo national hero ban gaya, 3 baar uss ka naam Nobel Prize ke liye bheja gaya lekin uss ko Nobel Prize nahi mila,
    • To Musalman bhi kayee aisi teams ka hissa rahay hain, aur aaj bhi hain, jahan team players jo hain unn ke ideas poori team ko successful banatay hain.
    • 2012 me jo Higgs Boson particle ki discovery huwi, uss me to poori duniya se scientists hissa liye, jisme India ke kayee institutes, jis me Aligarh Muslim University ke Musalmano ka contribution hai,[21] aur Tata Institute of Fundamental Research ke Senior Professor Tariq Aziz Sahab hain,[22] Turkey, Iran, Pakistan, aur Egypt ke Musalman mumalik ka contribution bhi shamil hain.[23]
    • Poori ki poori fauj hai Musalmano ki, science ki field me. Sirf inn Musalman countries se hi nahi, balke doosre mumalik se bhi Musalmano ki hissay daari aaj bhi hai.
  • Panchwi baat ye hai ke, Yahoodi aur Eesayee yani Jews aur Christians itne parrhe-likhe hain ya science aur technology me itne aagay hain, ye batane se pehle, ye jaan li jiye ke, ye ilm, ye science aur technology inn ko sikhaya kis ne?
    • Golden age of Jews google kariye, aap ko pata chalega ke, Muslim Spain me Yahoodiyon ka Behtareen Waqt tha, unhone Musalmano se seekha Science aur Technology, yehi nahi Europe ko bhi sikhaane walay Musalmaan hi thay.[24]
    • 550 se zyada Musalmaan intellectuals Islaami mumalik me paida huwe aur iss duniya ko apne ilm se, faida pahunchaya. Har shobay me, deen me, history me, medicine me, science aur technology me inn ki wajah se ilm phaila.[25]
    • 200 se zyada Musalmaan scientist paida huwe, iss medieval Islamic period me, inn ke sirf hum naam hi ginay to dars ka waqt khatam ho jayega. Har ek scientist, mathematician, astronomer, physicist, chemist ki biography hai. Har ek par ek dars diya ja sakta hai.
    • Issi medieval Islamic period me, 50 ke qareeb eesayee aur yahoodi scientists aur scholars bhi hain, jo musalmaan mumalik me ilm hasil kare aur agay apne logon ko faida pahunchaya. Ye musalmano ki hi dayn hai.[26]
    • To iss se pehle ke yahoodi propaganda ka hissa banay, ye janna zaroori hai ke musalmano ki wajah se hi, aaj science aur technology, mathematics aur history, khaas taur par medicine iss naviyat ko pahunchi.
    • Musalmano ke contribution ko agar nikaal denge, to;
    • Trignometry ke baghair, optics ke baghair ye duniya chala kar dekhiye, jisay Ibn al-Haytham ne ijaad kiya tha. Pin hole camera ijaad karne wala Ibn al-Haytham hi tha, jo light ke interference patterns par pehli baar kaam kiya. Ibn al-Haytham ke karnaame baad me Newton, Kepler, Galileo ne apne kaam me istemaal kiya.[27]
    • Aeroplanes ke baghair ye duniya chala kar dekhiye, jis ko hasil karne ke liye Abbas Ibn Firnas apne hathon ko par laga kar, oonchi building se kood gaya tha, udh kar mudne par – usay hawa me pata chala ke, uss ne to dum ke baare me soncha hi nahi.[28]
    • Ibn Seena ka naam aap ne suna hoga, jo medicine ki field me bohot mashhoor huwa, aur jis ki likhi huwi kitabein pichli sadi tak istemaal me thi. Ye shakhs khud ek chalti phirti library tha, na sirf iss ne Quran ko hifz kiya, uss ne 400 ke qareeb kitabein likhi, jis me se 40 medicine par thi.[29]
    • Arab Astronomy ki field me bohot aagay thay, 1000 se zyada taaron ke naam Arabi me hain, jo baad me Arabi se latin me translate kiye gaye.[30]
    • Beshumaar naam hain, Musalmano ke jin ki wajah se science aur technology me taraqqi huwi aur duniya ko faida pahuncha.
    • Eesaiyyon ko aur Yahoodiyon ko Musalmano ne sikhaya.
    • India me Mughal daur me science ki feild me kayee cheezen banayee gayee, aur South India me Sher-e-Mysore Tipu Sultan ka naam hum yahan liye baghair nahi reh saktay. Jo Anti-Canon Rockets me mahir thay.[31] Tafseel me jaane ki gunjaish nahi hai. Misalein kayee maujood hain.
  • Chhetti baat ye ke, Ab sab log, kyun ke, yahoodi propaganda ka shikar ho chuke hain, iss liye ye sawal kiya ja raha hai ke, Modern zamane me Musalmano ne duniya ko kya diya? Musalmano ka contribution kya hai aaj ke zamane me?
    • Dekhne walon ke liye contributions to bohot hain, abhi maine CERN ki aur Large Hadron Collider ki misaal di. Ye 2012 ki baat hai.
    • Farouq El-Baz, ek Egyptian scientist hai jis ne Nasa ki madad ki 1969 me Moon landing sight select karne me, jo sab se pehle moon landing thi Neil Armstrong aur unke sathiyon ki. Ye pichle 20 saal se desert research par kaam kar rahe hain.[32]
    • Phir apne hi Hyderabad ke, Mohammed Mazharuddin sahab hai jo hamare janne walon me, Niel Armstrong ke sath moon landing mission par jaane walay thay, lekin unhe medical reasons ki wajah se mission par nahi bheja gaya. Space suit me unn ka BP badh raha tha, aisa bol kar side kar diya gaya, asal wajah maloom nahi…
    • Mustafa Shaheen (Chahine), ek Lebanese scientist jo Nasa ki Jet Propulsion Laboratory ke chief scientist rahe, jis ke naam par ek minor planet ka naam rakha gaya, Chahine 1989 me.[33]
    • List lambi hai, Musalmano ki Nasa me, lekin bahar ki duniya me inn ka naam saamne nahi ata, aur agar ata bhi hai, to Musalman iss se bekhabar hain.
    • Phir 1985 se October 2023 tak 16 aise Musalman hain, jo Space me gaye – Astronauts hain. Taqreeban pichle 40 saal se Musalman Astronauts Space me ja rahe hain.[34]
    • Wikipedia par ek non-exhaustive list hai, 57 Arab Scientists aur Engineers ki, jis me non-Arabs shamil nahi hai jo aaj ke daur ke Musalman Scientists aur Engineers hain.[35]
    • Phir 10 Billion Dollar ke James Web Space Telescope ke development me, ek Indian Musalman Sahiba Shamil hai, jo JWST ki Key Scientist rahi hain. Dr. Hashima Hasan unn ka naam hai.[36]
    • Missile Man of India kaun tha? Hindu,… Dr. APJ Abdul Kalam, aur wo 11th President of India bhi bann gaye. Aur doosre (second) Muslim President huwe India ke.[37]
    • Phir ISRO jo India ki space agency hai, jis ne Chandrayan-3 bheja, uss me 9 Indian Muslim Scientists aur Engineers ke naam shamil hain.[38]
    • Aur Nigar Shaji, Ek Tamil Musalman sahiba hai, jo ISRO ke Aditya-L1 Mission jo iss saal launch kiya gaya, Suraj ko study karne ke liye, Nigar uss project ki Project Director hain.[39]
    • Kayee aur bohot saare Musalman hain jo ISRO se juday huwe hain.[40]
  • Saatwi baat ye hai ke, Ye jo Nobel prize hai, wo to 1901 me shuru huwa[41] aur kayee logon ko shikayat hai ke, ye sirf western universities ke achievements ko recognize karta hai;
    • The Print ke ek article me, ye bataya gaya hai ke, kisi bhi Black Scientist ko kabhi bhi science ki field me Nobel Prize nahi mila, ye iss baat ka saboot hai ke, West iss mamele me dominate kiye huwe hai, aur doosron ko wo aanay nahi dete.
    • To pata chala ke, Nobel Prize jeetna koi fair game nahi hai. Jaisa ke humne suna ke kayee log collaborate karte hain aur naam kisi aur ka hota hai.
    • Aur ye Prize dene ki shuruat huwi 1901 me, jab ke Musalmano ka contribution science aur technology ki field me, ilm ki field me pichle 1400 saal se hai. Aur jaisa ke humne abhi suna ke, aaj bhi Muslmano ka contribution hai.
    • Hum Musalmano ka focus Nobel Prize kabhi tha hi nahi, sirf aur sirf ilm seekhna aur sikhana hamara focus hai, shuru se.
    • Iss duniya me iss ummat ka ek hi kaam hai, neki ki taraf bulana aur burai se rokna. Jab tak hum iss kaam ko karte rahenge, ye ummat baqi rahegi, hamari duayen qabool hoti rahengi.
    • Aur jis kisi ko jannat me dakhil kar diya gaya, wohi asal kamiyabi hai.
    • Haan ye kaam karte karte, agar iss duniya walay Nobel Prize dete hain to ye extra hai, to aise 16 Musalman hain jinhe Nobel Prize bhi mila.[42]
    • Lekin, asal Nobel Prize meri nazar wo hai, jab koi yahoodi Musalman hota hai, ya wo jo Musalmano se sakht nafrat karta hai aur jab Quran parrhne lagte hain to aakhir me wo Musalman ho jaate hain.
    • Lekin inn me Pehle number per, Muhammad Asad hain, jo ek Yahoodi padriyon ke khandan me paida huwe, magar baad me Musalman ho gaye, jab unn ka inteqaal huwa 1992 me, to poori duniya unn ko Quran ke aalim ke taur par jaanti thi.[43]
    • Doosre Number per, Joram van Klaveren hai, jo far right party me thay, aur Musalmano se nafrat karte thay. Anti Islam kitab likhna chahte thay, jis ke liye Quran parrhna shuru kiya, tamam doubts iss kitab ki wajah se ghayab ho gaye. Ab koi wajah baqi nahi rahi, Musalmano se nafrat karne ke liye. Musalman bann gaye.[44]
    • Aise logon ki list bhi lambi hai, internet par bohot saare videos hain, aap dekh sakte hain.
  • Aatthwi baat ye hai ke, Musalmano se science seekhne ke baad, Eesaiyyon aur Yahoodiyon ne kya kiya?
    • Ye science ki duniya se, Musalmano ke naam mittane me busy ho gaye. Ibn Sina ko Avicena kar diya, Al Jaber ko Algebra bana diya, Al Quwarizmi ko Algorithm, waghairah, waghairah. Aaj hamari ummat ko ye pata hi nahi hai ke, kayee sau saal tak Musalmano ki research, sceince aur technology me maharat ka faida iss duniya ko hota raha,
    • Yahoodi aur Eesayi – Musalmano se jung karne me busy ho gaye, aur iss jung ke nateeje me, jo bhi development huwa, wo duniya ko colonise karne me kaam aya, ye duniya ko faida pahuchane ke liye nahi tha, chand logon ko faida pahunchane ke liye tha,
    • Insaani khoon ke pyase ho gaye ye log, destruction ke alawa iss duniya ko kya diya inhone, Atom Bomb jo begunah Japani shehriyon par dagha gaya. Japan se jung ladhna tha to unn ki fauj se, unn ki airforce se ladhte.
    • Chand par pahunch gaye, wo bhi Russia se jung ke nateeje me pahunche.
    • Inn ke Mumalik ka defence ka budget sab se zyada hai, ye aman phailane ke liye to nahi hai, jung ke liye hai. Pichle sau saal ki history uttha kar dekhiye, har jagah tabahi hi machai, inhone.
    • Phir ye Musalman mumalik me, Scientists ko chun chun kar khatam kar rahe the aur aaj bhi kar rahe hain. Mosad ki poori history uttha kar dekhiye, Egypt, Iraq, Iran, Syria par Israel ke hamle hote rehte hain. Ye main nahi keh raha hoon, ye Israel me publish huwi kitabein keh rahi hain, Curiosity Stream par 4 episode ki documentary keh rahi hai, ke kaise Israel ne Iraq ke nuclear reactor ko tabah kar diya. Kaise unhone Irani sciencedaano ko goliyon se bamon se uda diya…Takay inn ke alawa koi aur aagay na badhe.
    • Duniya bhar ke kayee mumalik ke natural resources ko sirf apne faide ke liye istemaal kiya, aur agar koi awaz utthata to usay khatam kar diya jata.
    • Doosre jo ijadaat hain, ya doosre jo inventions hain, uss se bhi insaniyat ko nukhsan hi pahunchaya ja raha hai, jaise internet hai, majority content to sharr ki taraf hai.
    • Aur Economics ki field me le li jiye, tamam banks wo soodi nizam ka hissa hain. Ab to aisa ho gaya hai ke, baghair sood ke kaam karna bohot hi mushkil hai.
    • Ye do cheezen, fahash se insaan be-hiss ho jata aur sood khane se, bekaar ho jata. To Musalmano ko tabah karne ke liye aur kuch nahi chahiye, inn do cheezon me mubtala kardo, ye khud hi khatam ho jayenge.
    • Phir Bitcoin ya crypto currency le lijiye, ye iss liye mumkin ho saki, kyun ke, Internet hai. To jo bhi inn ki ijadaat hain, uss ka ghalat istemaal – iss duniya ko tabahi ki taraf le ja raha hai.

To ye hai haqeeqat Yahoodiyon ke achievements ki, ye ek propaganda hai aur Musalmano ko iss ka hissa banne ki zaroorat nahi hai.

Yahan Dars rok denge, next Saturday In Sha Allah Surah al-Baqarah ki tafseel agay sunenge.

Al hamdulillahi Rabbil Alameen

Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam

Rabbana aatina fid duniya…

References

[1] Source: Quranic Resources | Achievements of Jews, Date of Publication: 2014-08-27

[2] Narrated Abu Sa`id Al-Khudri: The Prophet (ﷺ) said, “You will follow the ways of those nations who were before you, span by span and cubit by cubit (i.e., inch by inch) so much so that even if they entered a hole of a mastigure, you would follow them.” We said, “O Allah’s Messenger (ﷺ)! (Do you mean) the Jews and the Christians?” He said, “Whom else?”

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ الْعَزِيزِ، حَدَّثَنَا أَبُو عُمَرَ الصَّنْعَانِيُّ ـ مِنَ الْيَمَنِ ـ عَنْ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏”‏ لَتَتْبَعُنَّ سَنَنَ مَنْ كَانَ قَبْلَكُمْ شِبْرًا شِبْرًا وَذِرَاعًا بِذِرَاعٍ، حَتَّى لَوْ دَخَلُوا جُحْرَ ضَبٍّ تَبِعْتُمُوهُمْ ‏”‏‏.‏ قُلْنَا يَا رَسُولَ اللَّهِ الْيَهُودُ وَالنَّصَارَى قَالَ ‏”‏ فَمَنْ ‏”‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 7320

[3] Narrated Thawban: The Prophet (ﷺ) said: The people will soon summon one another to attack you as people when eating invite others to share their dish. Someone asked: Will that be because of our small numbers at that time? He replied: No, you will be numerous at that time: but you will be scum and rubbish like that carried down by a torrent, and Allah will take fear of you from the breasts of your enemy and last enervation into your hearts. Someone asked: What is wahn (enervation). Messenger of Allah (ﷺ): He replied: Love of the world and dislike of death.

حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ إِبْرَاهِيمَ الدِّمَشْقِيُّ، حَدَّثَنَا بِشْرُ بْنُ بَكْرٍ، حَدَّثَنَا ابْنُ جَابِرٍ، حَدَّثَنِي أَبُو عَبْدِ السَّلاَمِ، عَنْ ثَوْبَانَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ يُوشِكُ الأُمَمُ أَنْ تَدَاعَى عَلَيْكُمْ كَمَا تَدَاعَى الأَكَلَةُ إِلَى قَصْعَتِهَا ‏”‏ ‏.‏ فَقَالَ قَائِلٌ وَمِنْ قِلَّةٍ نَحْنُ يَوْمَئِذٍ قَالَ ‏”‏ بَلْ أَنْتُمْ يَوْمَئِذٍ كَثِيرٌ وَلَكِنَّكُمْ غُثَاءٌ كَغُثَاءِ السَّيْلِ وَلَيَنْزِعَنَّ اللَّهُ مِنْ صُدُورِ عَدُوِّكُمُ الْمَهَابَةَ مِنْكُمْ وَلَيَقْذِفَنَّ اللَّهُ فِي قُلُوبِكُمُ الْوَهَنَ ‏”‏ ‏.‏ فَقَالَ قَائِلٌ يَا رَسُولَ اللَّهِ وَمَا الْوَهَنُ قَالَ ‏”‏ حُبُّ الدُّنْيَا وَكَرَاهِيَةُ الْمَوْتِ ‏”‏ ‏.‏ حكم: صحيح (الألباني)

Grade: Sahih (Al-Albani) | Reference: Sunan Abi Dawud 4297

[4] It has been narrated on the authority of ‘Abd al-Rahman b. Abd Rabb al-Ka’ba who said: I entered the mosque when ‘Abdullah b. ‘Amr b. al-‘As was sitting in the shade of the Ka’ba and the people had gathered around him. I betook myself to them and sat near him. (Now) Abdullah said: I accompanied the Messenger of Allah (ﷺ) on a journey. We halted at a place. Some of us began to set right their tents, others began to compete with one another in shooting, and others began to graze their beasts, when an announcer of the Messenger of Allah (ﷺ) announced that the people should gather together for prayer, so we gathered around the Messenger of Allah (ﷺ). He said: It was the duty of every Prophet that has gone before me to guide his followers to what he knew was good for them and warn them against what he knew was bad for them; but this Umma of yours has its days of peace and (security) in the beginning of its career, and in the last phase of its existence it will be afflicted with trials and with things disagreeable to you. (In this phase of the Umma), there will be tremendous trials one after the other, each making the previous one dwindle into insignificance. When they would be afflicted with a trial, the believer would say: This is going to bring about my destruction. When at (the trial) is over, they would be afflicted with another trial, and the believer would say: This surely is going to be my end. Whoever wishes to be delivered from the fire and enter the garden should die with faith in Allah and the Last Day and should treat the people as he wishes to be treated by them. He who swears allegiance to a Caliph should give him the piedge of his hand and the sincerity of his heart (i. e. submit to him both outwardly as well as inwardly). He should obey him to the best of his capacity. It another man comes forward (as a claimant to Caliphate), disputing his authority, they (the Muslims) should behead the latter. The narrator says: I came close to him (‘Abdullah b. ‘Amr b. al-‘As) and said to him: Can you say on oath that you heard it from the Messenger of Allah (ﷺ)? He pointed with his hands to his ears and his heart and said: My ears heard it and my mind retained it. I said to him: This cousin of yours, Mu’awiya, orders us to unjustly consume our wealth among ourselves and to kill one another, while Allah says:” O ye who believe, do not consume your wealth among yourselves unjustly, unless it be trade based on mutual agreement, and do not kill yourselves. Verily, God is Merciful to you” (iv. 29). The narrator says that (hearing this) Abdullah b. ‘Amr b. al-As kept quiet for a while and then said: Obey him in so far as he is obedient to God; and diqobey him in matters involving disobedience to God.

حَدَّثَنَا زُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ، وَإِسْحَاقُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ، قَالَ إِسْحَاقُ أَخْبَرَنَا وَقَالَ، زُهَيْرٌ حَدَّثَنَا جَرِيرٌ، عَنِ الأَعْمَشِ، عَنْ زَيْدِ بْنِ وَهْبٍ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَبْدِ رَبِّ الْكَعْبَةِ، قَالَ دَخَلْتُ الْمَسْجِدَ فَإِذَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَمْرِو بْنِ الْعَاصِ جَالِسٌ فِي ظِلِّ الْكَعْبَةِ وَالنَّاسُ مُجْتَمِعُونَ عَلَيْهِ فَأَتَيْتُهُمْ فَجَلَسْتُ إِلَيْهِ فَقَالَ كُنَّا مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فِي سَفَرٍ فَنَزَلْنَا مَنْزِلاً فَمِنَّا مَنْ يُصْلِحُ خِبَاءَهُ وَمِنَّا مَنْ يَنْتَضِلُ وَمِنَّا مَنْ هُوَ فِي جَشَرِهِ إِذْ نَادَى مُنَادِي رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم الصَّلاَةَ جَامِعَةً ‏.‏ فَاجْتَمَعْنَا إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَقَالَ ‏”‏ إِنَّهُ لَمْ يَكُنْ نَبِيٌّ قَبْلِي إِلاَّ كَانَ حَقًّا عَلَيْهِ أَنْ يَدُلَّ أُمَّتَهُ عَلَى خَيْرِ مَا يَعْلَمُهُ لَهُمْ وَيُنْذِرَهُمْ شَرَّ مَا يَعْلَمُهُ لَهُمْ وَإِنَّ أُمَّتَكُمْ هَذِهِ جُعِلَ عَافِيَتُهَا فِي أَوَّلِهَا وَسَيُصِيبُ آخِرَهَا بَلاَءٌ وَأُمُورٌ تُنْكِرُونَهَا وَتَجِيءُ فِتْنَةٌ فَيُرَقِّقُ بَعْضُهَا بَعْضًا وَتَجِيءُ الْفِتْنَةُ فَيَقُولُ الْمُؤْمِنُ هَذِهِ مُهْلِكَتِي ‏.‏ ثُمَّ تَنْكَشِفُ وَتَجِيءُ الْفِتْنَةُ فَيَقُولُ الْمُؤْمِنُ هَذِهِ هَذِهِ ‏.‏ فَمَنْ أَحَبَّ أَنْ يُزَحْزَحَ عَنِ النَّارِ وَيَدْخُلَ الْجَنَّةَ فَلْتَأْتِهِ مَنِيَّتُهُ وَهُوَ يُؤْمِنُ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الآخِرِ وَلْيَأْتِ إِلَى النَّاسِ الَّذِي يُحِبُّ أَنْ يُؤْتَى إِلَيْهِ وَمَنْ بَايَعَ إِمَامًا فَأَعْطَاهُ صَفْقَةَ يَدِهِ وَثَمَرَةَ قَلْبِهِ فَلْيُطِعْهُ إِنِ اسْتَطَاعَ فَإِنْ جَاءَ آخَرُ يُنَازِعُهُ فَاضْرِبُوا عُنُقَ الآخَرِ ‏”‏ ‏.‏ فَدَنَوْتُ مِنْهُ فَقُلْتُ لَهُ أَنْشُدُكَ اللَّهَ آنْتَ سَمِعْتَ هَذَا مِنْ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَأَهْوَى إِلَى أُذُنَيْهِ وَقَلْبِهِ بِيَدَيْهِ وَقَالَ سَمِعَتْهُ أُذُنَاىَ وَوَعَاهُ قَلْبِي ‏.‏ فَقُلْتُ لَهُ هَذَا ابْنُ عَمِّكَ مُعَاوِيَةُ يَأْمُرُنَا أَنْ نَأْكُلَ أَمْوَالَنَا بَيْنَنَا بِالْبَاطِلِ وَنَقْتُلَ أَنْفُسَنَا وَاللَّهُ يَقُولُ ‏{‏ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لاَ تَأْكُلُوا أَمْوَالَكُمْ بَيْنَكُمْ بِالْبَاطِلِ إِلاَّ أَنْ تَكُونَ تِجَارَةً عَنْ تَرَاضٍ مِنْكُمْ وَلاَ تَقْتُلُوا أَنْفُسَكُمْ إِنَّ اللَّهَ كَانَ بِكُمْ رَحِيمًا‏}‏ قَالَ فَسَكَتَ سَاعَةً ثُمَّ قَالَ أَطِعْهُ فِي طَاعَةِ اللَّهِ وَاعْصِهِ فِي مَعْصِيَةِ اللَّهِ ‏.‏

Reference: Sahih Muslim 1844a

[5] Narrated Usama bin Zaid: Once the Prophet (ﷺ) stood over one of the high buildings of Medina and then said (to the people), “Do you see what I see?” They said, “No.” He said, “I see afflictions falling among your houses as rain drops fall.”

حَدَّثَنَا أَبُو نُعَيْمٍ، حَدَّثَنَا ابْنُ عُيَيْنَةَ، عَنِ الزُّهْرِيِّ،‏.‏ وَحَدَّثَنِي مَحْمُودٌ، أَخْبَرَنَا عَبْدُ الرَّزَّاقِ، أَخْبَرَنَا مَعْمَرٌ، عَنِ الزُّهْرِيِّ، عَنْ عُرْوَةَ، عَنْ أُسَامَةَ بْنِ زَيْد ٍ ـ رضى الله عنهما ـ قَالَ أَشْرَفَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم عَلَى أُطُمٍ مِنْ آطَامِ الْمَدِينَةِ فَقَالَ ‏”‏ هَلْ تَرَوْنَ مَا أَرَى ‏”‏‏.‏ قَالُوا لاَ‏.‏ قَالَ ‏”‏ فَإِنِّي لأَرَى الْفِتَنَ تَقَعُ خِلاَلَ بُيُوتِكُمْ كَوَقْعِ الْقَطْرِ ‏”‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 7060

[6] Quran-ST | 4-141

[7] Quran-ST | 5-105

[8] Quran-ST | 10-103

[9] Quran-ST | 30-47

[10] Quran-ST | 24-55

[11] Quran-ST | 47-7

[12] Quran-ST | 11-117

[13] Narrated AbuMalik al-Ash’ari: The Prophet (ﷺ) said: Allah has protected you from three things: that your Prophet should not invoke a curse on you and should all perish, that those who follow what is false should not prevail over those who follow the truth, and that you should not all agree in an error.

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَوْفٍ الطَّائِيُّ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ، حَدَّثَنِي أَبِي، – قَالَ ابْنُ عَوْفٍ وَقَرَأْتُ فِي أَصْلِ إِسْمَاعِيلَ – قَالَ حَدَّثَنِي ضَمْضَمٌ، عَنْ شُرَيْحٍ، عَنْ أَبِي مَالِكٍ، – يَعْنِي الأَشْعَرِيَّ – قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ إِنَّ اللَّهَ أَجَارَكُمْ مِنْ ثَلاَثِ خِلاَلٍ أَنْ لاَ يَدْعُوَ عَلَيْكُمْ نَبِيُّكُمْ فَتَهْلِكُوا جَمِيعًا وَأَنْ لاَ يَظْهَرَ أَهْلُ الْبَاطِلِ عَلَى أَهْلِ الْحَقِّ وَأَنْ لاَ تَجْتَمِعُوا عَلَى ضَلاَلَةٍ ‏”‏ ‏.‏ حكم: ضعيف لكن الجملة الثالثة صحيحة (الألباني)

Reference: Sunan Abi Dawud 4253

[14] Quran-ST | 5-28

[15] Quran-ST | 46-20

[16] Quran-ST | 3-185

[17] Quran-ST | 4-136

[18] Source: Jewish Achievement – John M Jennings

[19] Source: How Jews Have Made an Impact on the Modern World – The New York Times (nytimes.com)

[20] Source: Spotlight: Why Join the Manhattan Project? – Nuclear Museum

[21] Source: ‘God particle’: Indians leave a footprint on CERN | News Archive News – The Indian Express, ALICE collaborators CERN (arxiv.org)

[22] Source: INSA :: Indian Fellow Detail (insaindia.res.in)

[23] Source: The CMS Collaboration (cern.ch)

[24] Source: Golden age of Jewish culture in Spain – Wikipedia

[25] Source: List of modern Arab scientists and engineers – Wikipedia, List of pre-modern Iranian scientists and scholars – Wikipedia

[26] Source: Where Were the Jews – in the Development of Sciences – in Medieval Islam?

[27] Source: Ibn al-Haytham – Wikipedia

[28] Source: Abbas ibn Firnas – Wikipedia

[29] Source: Avicenna – Wikipedia

[30] Source: https://wired.me/culture/arab-astronomy-the-language-of-stars

[31] Source: Tipu Sultan – Wikipedia

[32] Source: Farouk El-Baz – Wikipedia

[33] Source: Meanings of minor planet names: 4001–5000 – Wikipedia

[34] Source: List of Muslim astronauts – Wikipedia

[35] Source: List of modern Arab scientists and engineers – Wikipedia

[36] Source: Indian American Muslim Woman Is Key NASA Scientist Behind $10 billion James Webb Telescope | by American Muslim Today | Medium

[37] Source: A. P. J. Abdul Kalam – Wikipedia

[38] Source: Meet The Young Muslim Scientists, Engineers Who Contributed To India’s Moon Mission Success – IndiaTomorrow , Khushboo Mirza – ISRO | LinkedIn

[39] Source: Nigar Shaji – Wikipedia

[40] Source: (41) Uzair Mujeeb | LinkedIn, Sana Ali, a driver’s daughter, appointed as ISRO scientist – Muslim Mirror

[41] Source: Alfred Nobel’s life and work – NobelPrize.org

[42] Source: List of Muslim Nobel laureates – Wikipedia

[43] Source: Muhammad Asad: a Jewish convert who devoted his life to serve Islam (trtworld.com)

[44] Source: Dutch far-right leader Geert Wilders’ ex-ally converts to Islam | News | Al Jazeera

Comments are closed.