Bani Israil Part 1

</p> <p>Bani Israil Part 1</p> <p>


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Ye 7-Oct-2023 ko Israel par Hamas ne attack kiya jis me kaha ja raha hai ke 1,400 Israeliyon ki maut huwi, jis ki wajah se Gaza par Israel hamlawar ho gaya, aur ab tak 8,500 ke ooper Falasteeni log maare gaye,[1] jis me se aadhe to bachhe hain,[2] iss par hum aaj ke dars me baat karenge.

Ye jo dars hai uss ka Structure kuch iss tarah ka hai,

  1. Iss topic ‘Bani Israel’ me sab se pehle ye hai ke “Bani Israel ki kya ahmiyat hai”? Ya Bani Israel ke baare mein jaanna kyun zaroori hai?
  2. Phir hum, Bani Israel ka background ya pasmanzar kya hai, Quran ki rooh se ye jaanenge,
    1. iss topic par hamare ustad Dr. Aneesuddin ke kayee bayan hai, Dr. Israr Ahmed ke bayan kafi tafseel mein hai, aur haal hi mein Engr. Mirza ne bhi pasmanzar ko cover kiya hai.
    2. Hum iss section ko cover zaroor karenge lekin, jitna ho sake mukhtasar taur per guzar jayenge, ziyada tafseel mein nahi jayenge, kyun ke, Youtube par bohot information available hai.
  3. Phir teesre section mein hadith ki roshni mein iss topic ko elaborate kiya jayega, In-Sha Allah
  4. Phir hum “Downfall of Bani Israel” ke bare mein baat karenge, “from a blessed nation se ye log disgraced nation” kaise bann gaye?
  5. Phir hum ye jaanne ki koshish karenge ke iss qoum ke andar kya “Exclusive problems” thay,
  6. Phir iss ke baad hum baat karenge hamare puranay article “Reality of the Achievements of Jews” ke bare mein, kyun ke, kayee saare Musalman bhai log, itna zyada mutassir hain inn ke achievements se.
  7. Iss ke baad ke hissay mein hum ye jaanenge ke Bani Israel ka duniya ki daulat per aur media per control, uss ka pasmanzar aur current affairs par hum baat karenge,
  8. Phir “Bani Israil ki Dajjal ke saath wabastagi per hum baat karenge,
  9. Phir “End of Bani Israel”, iss qoum ka khatma kaisay aur kab hoga?
  10. Phir aaj kal ki surat-e-haal par nazar dalenge
  11. Aur aakhr mein ye dekhenge aaj-kal iss surat-e-haal mein hume kya karna hai?
    1. hamara haal ye hai ke hum toh inke peeche aise chal rahe hain, jaise ke agar ye saanp ke bil mein ghus jaye, toh hum bhi inn ke piche piche bil mein ghus rahe hain.

Dars ko shuru karne se pehle, ye dimagh me bittha lijiye ke, ye jo present Bani Israeli qaum hain ye wo hi Bani Israel hai jo ki Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki aulad mein se hain aur ye wo hi Bani Israel hai jo ki Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke zamane mein thi, inn mein koi fark nahi hai aur na hi aayega, iss ki do wujoohat hain;

  • ek, ye ke inn ki koi tableeghi jamat nahi hai, ye nahi chahte ke koi aur inn mein shamil ho, issi liye inn ki koi religious missionary nahi hai, Christian missionaries ke bare mein toh hume maloom hai lekin inn ki koi nahi hai,
  • doosra ye ke inn mein itna ghuroor hai, ke ye apne aapko itna umda samajhte hain ya supreme samajhte hain ke, inn ke blood mein ya inn ke khoon mein, kisi aur ka blood ya khoon shamil na ho, takabbur ki inteha hai, limit hai, aur iss liye bhi ye log apni qoum ke bahar shadi nahi karte,
  • ye hi wajah thi unhone Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ko Rasool nahi mana, aur yaqeenan unn ke rabbi ya scholars, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ko waise hi pehchante the jaise ke apni aulad ko[3]
  • Aur ye bhi jaan lijiye ke, ye ek bahut hi buzdil aur darr-puk qaum hai, inn se ziyada maut se darne wala koi nahi hai, jaise hum aage chalenge hume pata lagega ke inn ki khwahish aesi hai ke ye hazar baras jeena chahte hain[4]

Bani Israel ke baare mein jaana kyon zaruri hai?

jaisa ke humne abhi jaana ke ye wohi Bani Israel hai jo Rasoolullah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ke zamane mein the,

  • wohi khoon,
  • wohi genes aur
  • wohi zehniyat hai, koi fark nahi,
  • toh, Quran mein aata hai ke tum (yani ke hum musalman) dushmani mein sab se ziyada aage yahudi aur buth parast ko paoge[5]
  • Toh apne dushman ko acche se jaanna zaroori hai,

Aur doosri jagah ye bhi bata diya gaya hai ke agar wo tumhe tumhare ghar ne nahi nikalte toh koi wajah nahi hai ke tum unn se jung karo,[6]

Aur ye bhi jaan lijiye ke, Quran ka ek bada hissa issi qoum ko address kar raha, hadith mein hume inn ke baare mazeed maloomat hoti, jisse ke inn logon ko samajhne mein madad milegi, taake hum inn ke qisson se sabak seekhein aur apne aap ko theek karein, in logon ne jo ghalatiyan ki hain, wo hum na kare.n

Current situation ko madde nazar rakhte hue iss bani Israel ke topic ko lana zaroori ho gaya tha.

Background ya Pasmanzar

Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) Surah aal-e-Imran ki 33wi aur 34wi ayaat me farmate hain ke,

۞ اِنَّ اللّٰهَ اصۡطَفٰۤى اٰدَمَ وَنُوۡحًا وَّاٰلَ اِبۡرٰهِيۡمَ وَاٰلَ عِمۡرٰنَ عَلَى الۡعٰلَمِيۡنَۙ ‏

ذُرِّيَّةًۢ بَعۡضُهَا مِنۡۢ بَعۡضٍؕ وَاللّٰهُ سَمِيۡعٌ عَلِيۡمٌۚ‏

Beshak Allah ne Adam aur Nuh aur Aal-e-Ibrahim aur Aal-e-Imran ko tamam duniya walon par tarjeeh di, unhe chun liya tha.[7]

Ye ek doosre ki aulad se hain aur Allah Sunnay wala Jannay wala hai.[8]

Ye ek khaas baat hai ke, iss ayat me Allah (عز وجل) Adam, Nuh, Ibrahim aur Imran (عَلَيْهِم ٱلسَّلَام) ka zikr ek hi ayat me kar rahe hain. Adam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) se insaaniyat ki shuruwat huwi, aur aap pehle nabi aur Rasool thay. Phir unn ki aulad me se Nuh (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) Nabi banay, aur choonke 900 saal ki tableegh ke baad bhi unn ki qaum ne unn ki baat nahi maani, Allah par Iman nahi laya to unn ko gharq kar diya gaya, aur ek kashti bhar logon ko bacha liya gaya jo Iman laane walay thay.

Nuh (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki aulad me hi phir Nabi aaye, aur aagay chal kar Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) Nabi banay, aur aap ki aulad me kayee saare aur Nabi Aye. Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى), Quran me Bani Israil ko mukhatib karke farmate hain ke,

وَاِذِ ابۡتَلٰٓى اِبۡرٰهٖمَ رَبُّهٗ بِكَلِمٰتٍ فَاَتَمَّهُنَّ ؕ قَالَ اِنِّىۡ جَاعِلُكَ لِلنَّاسِ اِمَامًا ؕ قَالَ وَمِنۡ ذُرِّيَّتِىۡ ؕ قَالَ لَا يَنَالُ عَهۡدِى الظّٰلِمِيۡنَ‏ ١٢٤

Aur zara yaad karo, jab Ibrahim ko aazmaya unn ke Rabb, unn ke paalne walay malik ne, bohot si baton me, to unhone unn sab ko poora kar dikhaya, to Allah ne kaha ke, Aye Ibrahim, Main tumhe sab logon ka imam banane wala hoon. (Iss par) Ibrahim ne kaha, aur meri aulad me se bhi? (To Allah ne) Jawab diya ke, Mera ye wada zalimon ke liye nahi hoga.[9]

Allah ke iss waday ka nateeja ye nikla ke, Unn ki aulad me bhi kayee Nabi Aye jo logon ke Imam Banay.

Phir Quran me Surah al-Anbiya me ata hai ke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) aur Loot (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ko Jerusalem aur Falasteen ki muqaddas zameen ki taraf hijrat karwaya. Aur unn ko Ishaaq aur Yaqoob ata kiya.[10]

  • Ye to aaj se 4 hazar saal pehle ki baat hai, yani 4 hazar saal pehle Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ja kar Falasteen ki sar-zameen par rehne lagay.
  • Jaisa kisi ne bohot khoob kaha ke, iss baat ko media kyun taam-taam nahi kar rahi hai.
  • Aiyye aagay jaante hain…

To Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke do betay thay,

  • Pehle, Ismail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) jo khud to Nabi thay, lekin inn ki aulad me koi Nabi nahi aaye, siway Rahmatuli al-Alameen, Khatamul Ambiya Muhammadur Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke.
  • Doosre, Ishaq (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) jo khud bhi Nabi thay, aur unn ke bete Yaqoob (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) bhi Nabi thay, aur unn ke bete Yousuf (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) bhi, aur inn ki aulad me kayee Nabi aur Rasool Aye, jaise ke ya jo Quran me naam aye hain;
    • Musa,
    • Haroon,
    • Dawood,
    • Sulaiman,
    • Younus,
    • Zakariyya,
    • Yehia,
    • Imran,
    • Maryam,
    • Isa[11]
    • (عَلَيْهِم ٱلسَّلَام)
  • Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ko Teeno mazahib ke log maante hain, Jews, Christians aur Muslims. To Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) kaunse religion ko follow karte thay? Wo Yahoodi thay ya Isaai thay, kya thay?
  • Iss ka jawab Quran me, Surah Aal-e-Imran me diya gaya hai ke, Aye Ahle Kitab! tum Ibrahim ke baare me hum se kyun jhagda karte ho, halanke Tuarait aur Injeel dono hi kitabein Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke baad nazil huwi…[12]
  • Aur agay farmaya ke, Ibrahim na to Yahoodi thay aur na Isai, balke sab se be-ta’aloq ho kar Ek Musalmaan thay aur wo Mushrikeen me se hargiz nahi thay.[13]
  • Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki qabar aaj Falasteen yani ke Palestine me hai, to ye apni biwi Sara aur doosre bete Ishaq (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke saath iss ilaqe me raha karte thay,[14]
  • Ab ye jo Yaqoob (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) thay, unn ka doosra naam Israil tha aur inn ki aulad ko bani israil ya children of israel ke laqab se pukara jata hai,[15]
  • Surah Yousuf parrhenge to pata chalega ke kis tarah, Yousuf (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ko Egypt ki market me bech diya gaya aur wo wahan rehne lagay aur phir unn ke walid Yaqoob (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) aur unn ki poori family Egypt me unite ho jaati hai aur Bani Israil, Palestine se nikal kar Egypt me rehne lagtay hain.[16]
  • Kuch arsay baad, Egypt me Bani Israil ki haisiyat ghulamo ki si ho jaati hai, aur Firawn unn par zulm karne lagta hai, jisay Quran ne Bani Israil ko mukhatiq karte huwe Surah al-Baqarah me farmaya ke,
    • Aur zara yaad karo jab ke hum ne tumhe najat di thi, Firawn ki qaum se, wo tumhein bad-tareen azab me mubtala kiye huwe thay, tumhare beton ko zibah kar dalte thay aur tumhari auraton ko zinda rakhtay thay, aur iss me tumhare paalne wale malik ki taraf se tumhare liye bohot badi aazmaish thi,
    • Aur jab humne tumhare liye, darya ko phaad diya, tum ko najat di aur firawn ki qaum ko gharq kar diya aur tum dekh hi to rahay thay.[17]
  • Ab iss ke baad, Surah al-Maidah me zikr ata hai ke, Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ne apni qaum se kaha ke,
    • Aye meri qaum ke logo! Tum Muqaddas Zameen (yani Falasteen) me dakhil ho jao, jisay Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne tumhare liye likh rakha hai, aur apni peetton ke bal na phir jana, warna nuqsan me parrh jaoge,
    • Wo kehne lagay ke, Aye Musa! wahan to baday sakht log rehtayhain, jab tak wo log uss sarzameen se nikal na jaye.n, hum wahan jaane walay nahi hain, agar wo wahan se bahar nikal jayenge, to hum uss shehar me dakhil honge.[18]
    • Unn ki qaum ke do logon ne kaha ke, Allah ki madad hamare sath hai, agar hum iss me dakhil ho jayenge to Fatah hamari hogi, lekin Bani Israil ke buzdilon ne kaha ke, Aye Musa! Tum aur Tumhara Paalne wala Malik ja kar ladho, jab tak wo log wahan maujood hain, hum hargiz dakhil nahi honay walay.[19]
    • Yahan par bhi Quran bata raha hai ke, Falasteen ki zameen Bani Israil ke liye Allah ne ata ki thi, lekin saath me buzdil Bani Israil ki poll bhi khol raha hai ke, Bani Israil ne mana kar diya Falasteen me dakhil honay se,
    • To iss inkaar aur iss Allah ki na-farmani ke nateeje me, Bani Israil ko 40 saal tak bhatakne ke liye chhorrh diya gaya…[20]
  • Phir Jab ye chalees saal ka arsa poora huwa, to Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) Bani Israil ke sath Falasteen me dakhil huwe, aur unn ke baad poora Falasteen Bani Israil ne fatah kar liya.[21]
  • Phir iss ke baad Surah al-Baqarah me zikr ata hai, Taloot ka, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) farmate hain ke,
    • Kya tumne ghaur nahi kiya Bani Israil ke sardaron ke muamlay me, jo unhein Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke baad pesh aya? Jab ke unhone apne Nabi se kaha ke, hamare liye koi badshah muqarrar kar dijiye, takay hum Allah ki raah me jung karein, to unhone (yani unn ke Nabi ne) kaha ke, tum se iss baat ka bhi andesha hai ke, jab tum par jung farz kar di jayegi, to uss waqt tum jung na karo, unhone kaha ye kaise ho sakta hai ke hum Allah ki raah me jung na karein? Jab ke hume nikal diya gaya hai, hamare gharon se aur apne beton se, phir jab un par jung farz kar di gayee to sab peeth pher gaye, siway unn ki ek chhotti si tedad ke aur Allah zalimon se khoob waqif hai,
    • Phir Taloot ko badshah muqarrar kiya jata hai aur Bani Israil ja ker Jaloot ki qaum se jung karte hain aur Dawood (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) Jaloot ko qatl kar dete hain aur Bani Israil ke aur Falasteen ke Badshah bann jaate hain,[22]
  • Phir Surah Bani Israil me ata hai ke, Bani Israil ko unn ki kitabon me chaukanna kar diya gaya tha ke, wo do waqt fasad machayenge aur badi sarkashi karenge, jis ki wajah se unn ka zawal ya unn ka downfall do waqt hoga,[23]
    • To jo pehla zawal hai, uss me Bani Israil bad-tareen shirk me mubtala ho gaye, unn ke Nabi unn ko chakanna karte rahe lekin unhone unn ki baat nahi maani, to Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) farmate hain ke,
    • Phir jab pehli sarkashi ki saza ka waqt aya, humne sakht ladai ladhne wale logon ko tum par musallat kar diya aur wo shehron me phail gaye aur hamara wada poora ho kar raha.[24]
    • To iss me Babylonia ki fauj ne Bani Israil ko shadeed tareen saza di aur ye pehli waqt qatl-o-gharat machai,
    • Phir uss ke baad Allah ne unn ki madad ki aur wo phir se phalne aur phoolne lagay,
    • Phir uss ke baad phir se Bani Israil sarkash ho gaye aur Nabiyon ka qatl karne lagay, to Rumiyon ke haathon inn ki doosri tabahi huwi.[25]

Inn saare waqiyat ki tafseel jaisa ke humne kaha ke youtube par maujood hai.

Yahan Dars rok denge, next Saturday In Sha Allah Surah al-Baqarah ki tafseel agay sunenge.

Al hamdulillahi Rabbil Alameen

Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam

Rabbana aatina fid duniya…

References

[1] Source: Israel-Hamas war: Casualties, injuries and people displaced | AP News

[2] Source: Israel-Hamas War News Highlights: Death Count In Gaza Crosses 8,000, Half Of Them Children (ndtv.com)

[3]

[4]

[5]

[6]

[7] Quran-ST | 3-33

[8] Quran-ST | 3-34

[9] Quran-ST | 2-125

[10] Quran-ST | 21-71 to Quran-ST | 21-72

[11] Source: Quran-ST | 6-83 to Quran-ST | 6-86, Abraham’s family tree – Wikipedia

[12] Quran-ST | 3-65

[13] Quran-ST | 3-67

[14] Source: Abraham in Islam – Wikipedia

[15] Source: Jacob in Islam – Wikipedia

[16] Quran-ST | Yousuf (Joseph)

[17] Quran-ST | 2-49 to Quran-ST | 2-50

[18] Quran-ST | 5-21 to Quran-ST | 5-22

[19] Quran-ST | 5-23 to Quran-ST | 5-24

[20] Quran-ST | 5-26

[21] Source: Surah Al-Ma’idah 5:20-26 – Towards Understanding the Quran – Quran Commentary (islamicstudies.info)

[22] Quran-ST | 2-246 to Quran-ST | 2-251

[23] Quran-ST | 17-4

[24] Quran-ST | 17-5

[25]

Comments are closed.