1-Allah

1- Allah


1-ALLAH (Allah) 1:1 ( ا ل ه ) اَللّه

اللَّهِ

Lafze Allah jo hai;

  • woh ism hai, naam hai, aur naam jo hai woh zaat/being/personality ka naam hota,
  • Baaz logon ka yeh khayal hai ke, lafz-e-Allah – Al-Ilaha tha, aur kasrat-e-istemaal se, matlab bolte bolte Allah ho gaya,
  • Aur iss naam ki khaas baat yeh hai ke,
    • iss ka koi feminine naam nahin hai,
    • aur na koi plural hai,
    • aur yeh history mein kabhi koi buth ka naam nahin tha,
    • yeh uss haqeeqi zaat ka naam hai jo saari kayenaat / saare universe ko chala raha hai.
  • Lafz-e-Allah ka translation nahin ho sakta, kyun ke,
    • jaise mere naam ka tarjuma nahin kiya jaa sakta hain,
    • Misaal ke taur par, mera naam Rizwan hai, iss ke maane pleasure ke aate hai, mujhe aap “pleasure of the Beneficent” to nahi pukarenge, jo Rizwan-ur-Rehman ka tarjuma hai,
    • waise hi, jiss ne bhi Allah ka tarjuma God ya Lord kiya hai woh saheeh nahin hai.
    • God ya Lord Ilaaha ka tarjuma hai.
  • Mufti Shafi Sahab, apni tafseer Maariful Quran me likhte hain ke, Allah jo naam hai wo Allah ke naamo me sab se bada aur sab se jaame naam hai, Baaz ulama ka khayal ye hai ke, ye naam al-Ism al-Azam hai, aur iss ki barakat ye hai ke, jo dua maange wo qabool hoti hai aur jo cheez maange wo mil jaati hai.[7]
  • To ye Allah kaun hai:

اللّٰهِ

Allah ek zaat ya ek personality ka naam hai aur ilaha ek designation ya ek ohde ka naam hai, jaise president, prime minister, waghairah. Head of the universe, ya iss kayenaat ki ya iss universe ki supreme authority ko ilaha kehte hai, iss ko Quran ne kaise samjhaya?

  • Surah al-Qasas ki 38wi ayat me, Firawn se bolne lagwaya,

وَقَالَ فِرْعَوْنُ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلْمَلَأُ مَا عَلِمْتُ لَكُم مِّنْ إِلَـٰهٍ غَيْرِى

  • Yahan ‘Ilahin gairi’ ko underline kariye, “Aur Firawn ne kaha ke, aye ahle darbaar, ya aye darbaar me maujood logo, main tumhare liye, mere alaawa koi aur ilaha ko nahi jaanta…,[8]
  • Firawn apne aap ko, ilaha kis sense mein keh raha hai, kyun ke, wo definitely apne aap ko khuda hoon nahi keh raha hai, (Quran me aya hai ke) woh khud butth parasti karta tha?
  • Woh iss liye ke, woh apne kingdom mein, Misr me, Egypt me supreme authority tha, to Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) kis ilaha ki baat kar rahe hain?
  • To isse yeh pata chalta hai ke, ilaha ek ohda hai, ek designation hai, Head of the universe ka, aur uss ka naam Allah hai. (Eg. Indian President – Draupadi Murmu, inn se pehle Ram Nath Kovind the, ohda ek hi hai – lekin shaksiyat badal gayee), Allah ka inteqaal nahin hota, woh to;

هُوَ ٱلْأَوَّلُ وَٱلْـَٔاخِرُ وَٱلظَّـٰهِرُ وَٱلْبَاطِنُ ۖ

  • Allah to, wohi sab se pehla aur wohi sab se pichla ya sab se aakhir aur wohi sab se zahir aur wohi sab se poshida, sab se chhupa huwa,…[9]
  • Sab se pehle Allah hi the, abh bhi wo hain aur jab sab kuch khatam ho jayega wohi baqi rahenge, ek hadith me ata hai ke,
  • Sab se pehle Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) the, phir unhone paani ko banaya, aur Arsh ko paani par banaya – to Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) se pehle koi nahi tha wo hamesha se hain.[10]
  • Ek daif hadith me ata hai ke, jab soor phuk diya jayega aur ye kayenaat khatam ho jayegi, to Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke siway sirf wo chaar farishte bach jayenge, Jibraeel, Mikaeel, Israfil aur Malakul Maut.
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) Malakul Maut ko hukum denge ke Mikaeel ki rooh Qabz kar lo, Mikaeel khatam ho jayenge, phir
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ek ke baad ek farishton ki rooh Qabz karne ka hukum denge Malakul Maut ko, Israfeel, Jibraeel aur phir Malakul Maut Apni rooh khud Qabz karenge aur iss ke baad sirf Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki zaat bach jayegi.
    • Tab Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ailaan karenge, Maine Zameen aur Aasmaan ko banaya aur main hi unko khatam karke phir se paida kar sakta hoon,
    • Kahan hai jabar aur zulm karne waale, takabbur karne waale?
    • Koi jawab nahi dega.
    • Phir se Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ailaan karenge, Aaj kiss ki Baadshahat hai – koi jawab nahi dega.
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) khud jawab denge – HUWA ALLAHUL WAHIDUL QAHHAAR, badshahat uss ek Allah ke liye hai jo Wahid hai, Akela hai aur Qahar karne wala taqatwar hai.
    • Phir doosra soor phoonka jayega aur kayenaat phir se recreate hogi.[11]

Kahin Quran aur Hadees mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke size ya shape ke baarey mein nahin aya hai,

  • balke hum ko inki zaat ke baare mein sonchne se bhi mana kiya gaya hai, kyun ke, humara dimagh limited hai aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) unlimited hai, hum imagine hi nahin kar saktey.
  • Ab aap kissi ko kahen ke bhai saarey samandar ka paani ek bottle mein bhar do to woh aap ko pagal khaney ka pata batayega, waise hi, agar hum sonchenge ke hamara banane wala kaisa hai to humko ek bahut bade insaan ke alawa aur kuch nahin samjh mein aa sakta hai,
  • issi tareeqe se hum Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko imagine nahin kar saktey,
  • Agar imagine karne ki koshish bhi karenge, to wo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) nahi ho sakte, kyun ke, Quran me, Surah al-Ikhlas ki ayat (وَلَمْ يَكُن لَّهُۥ كُفُوًا أَحَدٌۢ), aur koi uss ka humsar nahi, uss ke barabar koi nahi,[12]
  • Aur ek jagah par Quran me, Surah ash-Shuraa ki 11wi ayat me farmaya, (…لَيْسَ كَمِثْلِهِۦ شَىْءٌۭ ۖ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلْبَصِيرُ…) “…Uss jaisi koi cheez nahi, aur wo dekhta sunta hai.”[13]
  • Tamam khilqat ke jode hain, lekin Allah uss ke jaisa koi hai hi nahi, jo hum ne imagine kiya, wo Allah ho hi nahi sakta.
  • Ye Litmus test hai, Allah ko pehchhaanne ke liye.
  • Lehaza Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko unki sifaat se pehchana jaa sakta hai, jaise ar-Rahman hai, ar-Raheem hai, al-Jabbar hai, yeh sifaat se unko pehchanna hai.

To phir Allah ko pehchaane kaise, recognize kaise karen ke yehi Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) hain, doosre mazhab ke log apni mandir, church waghairah ka pata batayenge. To Musalamano ke Allah ka pata kya hai, masjid me to koi nahi dikhta – physically?

  • To Quran ne iss ko samjhaya ke,
  • Wohi to hai jo tumhe, sair karata hai khushki aur samandar me, yahan tak ke, jab tum kashtiyon me hote ho aur wo chal rahi hoti hain, (sawaron ko) lekar kushgawar hawa ke saath aur wo bohot khush hote hain ke, achanak tez hawa chal parrhti hai, aur har taraf maujein unn ki taraf badhne lagti hain aur wo guman karne lagte hain ke, wo unn lehron me gher liye gaye hain, uss waqt wo pukaarte hain Allah ko, uss ke liye apni ita’at ko khalis karte huwe ke, Aye Allah agar tu ne hume iss museebat se najaat de di, to hum lazim ho jayenge bohot shukr karne walon me se.[14]
  • To museebat ke waqt, Allah se hath kar jitnee cheezen hamare zahan mein hoti hain woh door ho jaatee hain aur hum khalis Allah ko pukaartey hain, kyun ke,
  • Wohi humare zahan mein reh jaata hai, to yeh hai Allah, to aise hum pehchaanegey Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko.
  • Ye pata, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne khud diya hai.

Ab hamara Allah se rishta kaisa hai, to iss ko Allah ke rasool (صلى الله عليه وسلم) ne samjhaya, Abu Hhuraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) ki riwayat hai jo Bukhari ne transmit kiya hai, ke insaan mujhe takleef deta hai, zamane ko gaali deta hai, jab ke main zamana hoon ‘Anad Dahar’ main hee zamana hoon, main hi din raat ki hare phare karta hoon, phir Quran me, Surah al-Mujadila ki 7wi ayat me farmaya ke,

  • Kya tum ne nahi dekha ke, Allah jaanta hai har cheez jo aasmano me hai aur har cheez jo zameen me hai,
  • tum mein se 3 baat nahin karte, wo chohta hota hai,
  • tum mein se 5 baat nahin karte, wo chhata hota hai,
  • aur nahi hote iss se kum ya zyada, magar ye ke wo unn ke saath hota hai,
  • tum jahan kaheen bhi ho,[15]
  • …Aur jaan rakho ke Allah, insaan aur uss ke dil ke beech mein ha’il ho jaata hai…[16]
  • Asma ul husna mein, ek asma Qareeb bhi hai, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) insaan ki rag-e-jaan se bhi zyada qareeb hai,[17]
  • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) se zyada hum se aur koi Qareeb nahin hai.
  • Mere sonchney se pehle Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko pata hota hai ke mein kya sonchney ya bolne wala hoon, itney qareeb hain.

To ‘anad dahar, ki hadees ko hum sunn chuke hain,

  • to zamana guzar raha hai, meri zindagi guzar rahi hai, time chala ja raha hai, waqt ke saath har cheez fana ho jaayegi,
  • har ek ko Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ka experience ho raha hai, lekin hum concentrate nahin kar rahe hain,
  • har cheez apne ekhtetaam ya apni maut ki taraf chali ja rahi hai.
  • To yeh zamana hai, yeh Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) hain, hum dekh nahin saktey, hum sunn nahi saktey lekin mehsoos zaroor kar saktey hain,
  • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) har cheez ko apne ehaate me liye huwe hain, har cheez ko ghere huwe hain,[18] kaisa ghere huwe hain, hum nahi jaante,
  • woh har jagah hai jaisa ke uss ki shaan hai, har ek ki dua sunn raha hai, koi cheez chupao to woh jaanta hai, koi cheez zahar karo to woh jaanta hai, kyun ke uss ne hum ko banaya hai.

To yeh mukhtasar taur par Allah ke baare mein zikr tha, agar unke baare mein bolte baithe to, jaisa ke Surah Kahf ki 109wi ayaat me aya hai ke,

قُل لَّوْ كَانَ ٱلْبَحْرُ مِدَادًۭا لِّكَلِمَـٰتِ رَبِّى لَنَفِدَ ٱلْبَحْرُ قَبْلَ أَن تَنفَدَ كَلِمَـٰتُ رَبِّى وَلَوْ جِئْنَا بِمِثْلِهِۦ مَدَدًۭا

  • Aye Nabi (صلى الله عليه وسلم), aap keh dijiye, agar samandar roshnayi ban jaye, ink ban jaye, mere Rabb ki, mere paalne waale malik ki baatein likhne ke liye, to samandar khatam ho jayega, iss se pehle ke mere Rabb ke kalimaat khatam ho, agarche issi tarah ka aur samandar bhi hum uss ki madad ke liye le aaye.[19]
  • Ek aur jagah, Surah Luqman me aya hai ke, saat samandar ink ho jaye aur saare darakht pen ho jayen, ink khatam ho sakti hai, pen khatam ho saktey hain lekin Allah ka zikr aur uss ke sifaat aur uss ke kaarnaame aur uss ka zikr kabhi khatam nahi hoga.[20]

References

[7] Mufti Muhammad Shafi, Tafseer Surah al-Fatiha, Maariful Quran, Page 57

[8] Al Quran, Surah al-Qasas, Chapter 28: Verse 38

[9] Al Quran, Surah al-Hadid, Chapter 57: Verse 3

[10] Narrated Imran bin Husain: I went to the Prophet (ﷺ) and tied my she-camel at the gate. The people of Bani Tamim came to the Prophet (ﷺ) who said “O Bani Tamim! Accept the good tidings.” They said twice, ‘You have given us the good tidings, now give us something” Then some Yemenites came to him and he said, “Accept the good tidings, O people of Yemem, for Bani Tamim refused them.” They said, “We accept it, O Allah’s Messenger (ﷺ)! We have come to ask you about this matter (i.e. the start of creations).” He said, “First of all, there was nothing but Allah, and (then He created His Throne). His throne was over the water, and He wrote everything in the Book (in the Heaven) and created the Heavens and the Earth.” Then a man shouted, “O Ibn Husain! Your she-camel has gone away!” So, I went away and could not see the she-camel because of the mirage. By Allah, I wished I had left that she-camel (but not that gathering).

حَدَّثَنَا عُمَرُ بْنُ حَفْصِ بْنِ غِيَاثٍ، حَدَّثَنَا أَبِي، حَدَّثَنَا الأَعْمَشُ، حَدَّثَنَا جَامِعُ بْنُ شَدَّادٍ، عَنْ صَفْوَانَ بْنِ مُحْرِزٍ، أَنَّهُ حَدَّثَهُ عَنْ عِمْرَانَ بْنِ حُصَيْنٍ ـ رضى الله عنهما ـ قَالَ دَخَلْتُ عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَعَقَلْتُ نَاقَتِي بِالْبَابِ، فَأَتَاهُ نَاسٌ مِنْ بَنِي تَمِيمٍ فَقَالَ ‏”‏ اقْبَلُوا الْبُشْرَى يَا بَنِي تَمِيمٍ ‏”‏‏.‏ قَالُوا قَدْ بَشَّرْتَنَا فَأَعْطِنَا‏.‏ مَرَّتَيْنِ، ثُمَّ دَخَلَ عَلَيْهِ نَاسٌ مِنْ أَهْلِ الْيَمَنِ فَقَالَ ‏”‏ اقْبَلُوا الْبُشْرَى يَا أَهْلَ الْيَمَنِ، إِذْ لَمْ يَقْبَلْهَا بَنُو تَمِيمٍ ‏”‏‏.‏ قَالُوا قَدْ قَبِلْنَا يَا رَسُولَ اللَّهِ، قَالُوا جِئْنَاكَ نَسْأَلُكَ عَنْ هَذَا الأَمْرِ قَالَ ‏”‏ كَانَ اللَّهُ وَلَمْ يَكُنْ شَىْءٌ غَيْرُهُ، وَكَانَ عَرْشُهُ عَلَى الْمَاءِ، وَكَتَبَ فِي الذِّكْرِ كُلَّ شَىْءٍ، وَخَلَقَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ ‏”‏‏.‏ فَنَادَى مُنَادٍ ذَهَبَتْ نَاقَتُكَ يَا ابْنَ الْحُصَيْنِ‏.‏ فَانْطَلَقْتُ فَإِذَا هِيَ يَقْطَعُ دُونَهَا السَّرَابُ، فَوَاللَّهِ لَوَدِدْتُ أَنِّي كُنْتُ تَرَكْتُهَا‏.

Reference: Sahih al-Bukhari 3191 | In-book reference: Book 59, Hadith 2 | USC-MSA web (English) reference: Vol. 4, Book 54, Hadith 414 | https://sunnah.com/bukhari:3191

[11] Imam Suyuti, At-Targheeb wa Tarheeb, Grade: Daif

[12] Al Quran, Surah al-Ikhlas, Chapter 112: Verse 4

[13] Al Quran, Surah ash-Shuraa, Chapter 42: Verse 11

[14] Al Quran, Surah Yunus, Chapter 10: Verse 22

[15] Al Quran, Surah al-Mujadila, Chapter 58: Verse 7

[16] Al Quran, Surah al-Anfal, Chapter 8: Verse 24

[17] Al Quran, Surah Qaaf, Chapter 50: Verse 16

[18] Al Quran, Surah an-Nisa, Chapter 4: Verse 126

[19] Al Quran, Surah al-Khaf, Chapter 18: Verse 109

[20] Al Quran, Surah Luqman, Chapter 31: Verse 27

[21] Mufti Muhammad Shafi, Tafseer Surah al-Fatiha, Maariful Quran, Page 58

Comments are closed.