al Kitaab

</p> <p>al Kitaab</p> <p>

AL KITAAB (The Book) 2:2 اَلْكِتَابُ

Dr. Anees apni kitab Explanatory Dictionary of the Holy Quran me likhte hain ke, Lafz-e-Kitab ka maddah ya root (ك ت ب) hai, aur ye lafz ke maane jo Quran me aaye hain;

  • Likhna – writing,[1]
  • Kitab – Book,[2]
  • Nuskha – Prescription,[3] jo doctor likh kar deta hai,
  • Hukumnama ya Farmaan – Decree,[4] ya ordinance,[5]
  • Deeni Qawaneen – jo kisi cheez ka hukum dete hain,[6]
  • Record – jaise koi cheez likh kar record karli, mehfooz kar liya,[7]
  • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke paas ek aisa record hai, ek aisi inventory hai, ya aisi fehrist hai, jis me har cheez likhi huwi hai, recorded hai maazi, haal aur mustaqbil ke poore ahwaal likhe huwe hain,[8]

References

[1] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 282

[2] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 79

[3] Al Quran, Surah al-An’am, Chapter 6: Verse 12

[4] Al Quran, Surah at-Tauba, Chapter 9: Verse 51

[5] Al Quran, Surah at-Tauba, Chapter 9: Verse 36

[6] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 183

[7] Al Quran, Surah Yunus, Chapter 10: Verse 21

[8] Al Quran, Surah al-Hajj, Chapter 22: Verse 70

Al Quran, Surah Saba, Chapter 34: Verse 3

Comments are closed.