Tafseer Surah al-Ikhlas Part 1

Tafseer Surah al-Ikhlas Urdu



Bismillah Alhamdulillah was salaatu was salaamu ala rasoolillah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakaatuhu

 

Pichle Dars me humne Surah Al-Falaq ki tafseer suni, aur aaj In Sha Allah Surah Al-Ikhlas ko samajhne ki koshish karenge:

Introduction

Suratul Ikhlas – Qul Huwa Allahu Ahad, jo hai wo Quran ki 112 surat hai, pichli do suraton me surah ka naam uss ki pehli ayat me aya tha, lekin iss surat me lafz e ikhlas iss surat ki kisi bhi ayat me nahi aya. Ye naam iss surat ke content par rakha gaya hai, kyun ke iss surat me tauheed, concentrated form me hai, bhari huwi hai.

Ikhlas ka matlab, khalis, exclusive, pure ke aate hain, jiss me koi cheez ki milawat na ho, Allah SWT ki ghulami karein to uss me kisi bhi qism ka shirk na mila ho, wohi ibadat qabool hoti hai jo khalis Allah ke liye ho. Kyun ke iss surat me tauheed aur Allah ki wahdaniyat bhari huwi hai, to tuaheed kya hai? Tauheed ko samajhna padega;

Islam ka maqsad hai ke insaniyat ek Allah ko Maane, issi liye hamara kalima tayyaba jo hai wo tauheed se bana huwa hai, La Ilaha Illa Allah – Muhammadur Rasoolullah. Iss silsile me ek Musnad Ahmed ki hadith, Uthmane Ghani RA farmate hai ke, Rasoolullah (ﷺ) ne kaha ke ek aisa kalima hai jo agar nek dili se, sachche dil se parrhe to uss par dozaq kia ag haram kar di jaati hai. Umar RA ne farmaya ke, mujhe pata hai ke wo kalima kaunsa hai, wo kalima-e-ikhlas hai, jiss se Allah ne apne bande aur Rasool Muhammad (ﷺ) ko aur unn ke sahaba ko zameen me ghalba diya, establish kar diya. Aur wo Kalima-e-taqwa hai jo Rasoolullah (ﷺ) apne chacha Abu Taalib ko aakhri dam tak kehne ki koshish karte rahe – wo kalima e La Ilaha illah Allah hai[1]

Iss, La ilaha illa Allah ko samajhne ke liye, do alfaz hum pichle duroos me sunn chuke hain, Allah kaun hai aur Ilaha kaun hai. Allah wo ek zaat ka naam hai, aur Ilaha ek designation hai, ek ohda hai – iss kayenaat ki supreme authority. La Ilaha Illa Allah keh kar hum ye maan rahe hain, ye iqraar kar rahe hain ke Allah ke siway iss Ilaha ke designation par, iss ohde par koi aur faiz nahi ho sakta, koi aur iss designation ko occupy karne ke qabil nahi.

Iss ki daleel bhi hum sunn chuke hain, Surah An-Naas ki tafseer me ke, Surah Furqan ki 3 ayat se pata chalta hai ke,

وَاتَّخَذُوا مِن دُونِهِ آلِهَةً لَّا يَخْلُقُونَ شَيْئًا وَهُمْ يُخْلَقُونَ وَلَا يَمْلِكُونَ لِأَنفُسِهِمْ ضَرًّا وَلَا نَفْعًا وَلَا يَمْلِكُونَ مَوْتًا وَلَا حَيَاةً وَلَا نُشُورًا

  • Ilaha kya kya kar sakta hai;
  • Kisi cheez ko paida karna, banana, create karna – Ilaha me ye qabiliyat rehna
  • Ilaha ko kisi aur ne nahi paida kiya – wo uncreated rehna
  • Faida aur Nukhsan pahunchanay wala
  • Zindagi aur maut dene wala
  • Marne ke baad zinda karne wala
  • Ye kaam to koi aur nahi kar sakta, siway Allah ke[2]

Surah Zukhruf ki 83 ayat me farmaya ke Allah SWT;

وَهُوَ الَّذِي فِي السَّمَاء إِلَهٌ وَفِي الْأَرْضِ إِلَهٌ وَهُوَ الْحَكِيمُ الْعَلِيمُ

  • Allah SWT Aasmano me bhi ilaha hai wohi hai aur
  • Zameen me bhi ilaha wohi hai[3]

Surah Hashr ki 22-23 ayaat me farmaya ke;

هُوَ اللَّهُ الَّذِي لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ عَالِمُ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ هُوَ الرَّحْمَنُ الرَّحِيمُ    

هُوَ اللَّهُ الَّذِي لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ الْمَلِكُ الْقُدُّوسُ السَّلَامُ الْمُؤْمِنُ الْمُهَيْمِنُ الْعَزِيزُ الْجَبَّارُ الْمُتَكَبِّرُ سُبْحَانَ اللَّهِ عَمَّا يُشْرِكُونَ

  • Allah SWT wohi hai La ilaha illa huwa, jiss ke alawa koi aur ilaha nahi hai, koi aur supreme authority nahi hai iss kayenaat me
  • Woh jaanta hai jo kuch zahir hai, saamne hai aur jo kuch chhupa huwa hai, ghaib me hai
  • Woh taras kha kar faida pahunchane wala hai
  • Woh badeshah hai, king hai,
  • Uski zaat paak hai, har aib se, har defect se paak hai,
  • Woh salamati aur aman dene wala hai aur panah me lene wala,
  • Woh Ghalib hai, zabar dast badai wala hai,
  • Aur Allah SWT paak hain unn tamam shirk karne walon ke shirk se[4]

Surah TaaHaa ki 98 ayat me farmaya ke;

إِنَّمَا إِلَهُكُمُ اللَّهُ الَّذِي لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ وَسِعَ كُلَّ شَيْءٍ عِلْمًا

  • Beshak tumhara Ilaha Allah hai, La ilaha illa Huwa, Allah ke siway koi Supreme Authority nahi hai
  • Uss ke ilm me is kayenaat ki har cheez hai[5]

Surah Baqarah me Ayatal Kursi me farmaya ke;

اللّهُ لاَ إِلَـهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ لَّهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَن ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِّنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاء وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَؤُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ

  • Allah, jiss ke siway koi ilaha nahi, koi supreme authority nahi hai, jo Al-Hai hai, zinda hai, aur Al-Qayyoom hai, wo khud bhi qayam hai aur saari kayenaat ko qayam rakhe huwe hai
  • Uss ko na neend aati hai aur na oong
  • Jo kuch asmano me hai aur jo kuch zameen me hai sab ussi ka hai
  • Kaun hai jo uss ki ijazat ke baghair kisi ki sifarish kar sake
  • Woh jaanta hai jo kuch hamare aagay hai, aur jo kuch hamare peeche hai ya ghaib me hai
  • Aur uss ke ilm me se koi kuch hasil nahi kar sakta baghair uss ki ijazat ke
  • Uss ki kursi, usski badeshahi aur ilm kayenaat ki har shai ko, zameen aur aasaman ki har cheez ko ghere huwe hai
  • Aur uss ko inn (zameen aur asman) ki dekh rekh, unn ki hifazat, zameen aur asman ko monitor karna, nahi thakata
  • Aur wo Al-Aliy hai, the High, buland wa bala aur Al-Azeem hai, the Great, badi azmat wala hai[6]

Surah Al-Mominoon ki 116 ayat me farmaya ke;

فَتَعَالَى اللَّهُ الْمَلِكُ الْحَقُّ لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ رَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ

  • To Allah jo sachcha badeshah hai aur usski shaan uss se oonchi hai
  • Jiss ke siway koi ilaha nahi, koi supreme authority nahi hai iss kayenaat me
  • Aur wo Arsh ka paalne wala malik hai, Arsh – iss kayenaat ka central control, iss universe ka capital, uss Arsh ka paalne wala malik[7]

Surah Muzammil ki 9 ayat me farmaya ke;

رَبُّ الْمَشْرِقِ وَالْمَغْرِبِ لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ فَاتَّخِذْهُ وَكِيلًا

  • Mashriq, east ka aur Maghrib, west ka paalne wala malik
  • Jiss ke siway koi ilaha koi supreme authority nahi hai iss kayenaat me
  • Aur ussi ko apna wakeel, apna trustee, apna kaar saaz bana lo[8]

Surah Al Anam ki 103 ayat me farmaya ke;

ذَلِكُمُ اللّهُ رَبُّكُمْ لا إِلَـهَ إِلاَّ هُوَ خَالِقُ كُلِّ شَيْءٍ فَاعْبُدُوهُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ وَكِيلٌ

  • Wohi Allah hai tumhara paalne wala malik
  • Jiss ke siway koi aur ilaha nahi koi aur supreme authority nahi
  • Har cheez ka paida karne wala, banane wala, create karne wala
  • Ussi ki ibadat karo, ussi ki ghulami karo,
  • Aur wo har cheez ka wakeel hai, trustee hai[9]

Ye to chand ayaat the, iss baat ke sabot me ke Allah hi asal haq daar hai, ilaha ke designation par, ilaha ke ohde par faiz hone ke liye, kyun ke inn ayaat me aye huwe tamam kaam koi aur nahi kar sakta. Iss baat par iman rakhna hi Tauhid hai. Main aur bhi daleelein de sakta hoon, kyunke, one-third Quran, ek tihayee Quran me Tauhid bhari huwi hai.

Amer Ali:

Surah Al Ikhlas se mutalliq chand ahadith ki summary pesh karta hoon;

  • Tirmidhi ki ek hadith me, Anas RA farmaate hain ke, ek Shaks ne Rasoolullah (ﷺ) se kaha ke who Surah Ikhlas se mohabbat karta hai, aap (ﷺ) ne farmaya ke teri ye Muhabbat Jannat me le jayegi.[10]
  • Bukhari aur Muslim ki ek hadith me Ummul momineen Aisha RA farmaati hain ke, Rasoolullah (ﷺ) ne ek shaks ko fauji daste ka incharge banaya, to jab bhi wo apne sathiyon ko namaz me imamat karta, to Surah Ikhlas par Qirat ko khatam karta. Jab wo fauji dasta wapas Madina aya, to logon ne Rasoolullah (ﷺ) se ye baat bayan ki, aap (ﷺ) ne kaha ke uss se poocho ke wo aisa kyun karta hai, uss shaks ne jawab diya ke – surah Ikhlas me Allah SWT ke asmaul husna hain aur mujhe iss surat ko parrhna bohot pasand hai. Aap (ﷺ) ne farmaya ke, uss shaks se keh do ke Allah Uss se mohabbat karta hai.[11]
  • Kayee ahadith ko jama karke pata chalta hai ke, aap (ﷺ) fajar ki do sunnaton me pehli rakat me Surah Al-Kafiroon aur doosri rakat me Suratul Ikhlas parrhte the,[12] Ibn Umar RA farmaate hain ke maine aap (ﷺ) ko ek mahina observe kiya – aap (ﷺ) fajr ki do sunnat namaz me yehi do suratein parrhte the[13] Jabir bin Abdullah RA farmate hain ke aap (ﷺ) yehi do suratein tawaf ke baad do rakaton me parrhte the,[14] Ibn Umar RA farmate hain ke maghrib ki do sunnaton me bhi aap (ﷺ) yehi do suratein parrhte the,[15] witr ki aakhri rakat me bhi aap (ﷺ) suratul Ikhlas parrhte the.
  • Abu Dawood aur Tirmidhi ki hadith hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya Suratul Ikhlas aur Muawidhatayn Subah aur Sham ka 3 baar parrhna har etebaar se tumhare liye kaafi hai.[16]
  • Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya ke Suratul Ikhlas ek tihayee, one-third quran ke barabar hai. Iss baat ko alag alag andaaz se aap (ﷺ) ne Sahaba ko kahee, ek baar aap (ﷺ) sab ko jama hone ka hukum kiya kyun ke aap (ﷺ) ek tihayee quran tilawat karne wale hai, aap (ﷺ) aye aur Suratul Ikhlas parrha aur kaha ke ye surat ek tihayee quran ke barabar hai. Ek aur maukhe par aap (ﷺ) ne sahaba se poocha ke kya ye tumhare liye mushkil hai ke sone se pehle ek tihayee parrh kar soye, jab sahaba ne kaha ke ye to mushkil kaam hai, to aap (ﷺ) ne kaha ke Suratul Ikhlas ek tihayee, one-third Quran ke barabar hai.[17]

Inn ahadith se Suratul Ikhlas ki fazeelat ka pata chalta hai, aur jo social media par ya aam feham misconception hai ke teen waqt suratul Ikhlas parrhna aisa hai jaise aap ne quran mukammal ya complete kar liye. Ahadith me ek tihayee quran ka zikr aya hai, iss ka matlab ye huwa ke one-third quran me tauheed bhari huwi hai, jaisa ke humne introduction ke shuru me suna.

Chronological Order of Suras[18]

Order

Sura Name

Number

Type

Note

20

Al-Falaq

113

Meccan

 

21

An-Naas

114

Meccan

 

22

Al-Ikhlaas

112

Meccan

Ek hadith shaane nuzool me quote ki jaati hai ke, Abu Al-Aliyah farmate hain ke; mushrikeen e Makkah, Rasoolullah (ﷺ) se sawal karne lage ke apne Rabb ka nasab, aap ki lineage, bataiyye. Iss sawal ke jawab me Allah SWT ne “Qul huwa Allahu Ahad” nazil huwi.[19]

Jamal:

XXX

Ab aaiyye Surah Al-Ikhlas ke tarjuma aur tafseer par:

أعُوذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيم

Main Allah se panah mangta hoon, Allah SWT ke protection me aata hoon, shaintan se jisse pathar maar ke bhaga diya gaya hai.

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم

Shuru Allah ke naam se jo taras kha kar faida pahunchane wala hai.

Vs No 1:

قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ

Aye Nabi (ﷺ) aap keh dijiye; wo Allah ek hai, akela hai

Iss ayat me 4 alfaz aye hai, Qul, Huwa, Allah aur Ahad, jiss me se “Qul” hum pichle dars me sun chuke hain.

HUWA ka matlab hai, He, Woh.

ALLAH ek naam hai, proper noun hai, uss zaat ka jo iss kayenaat ko chala raha hai, uss ke kayee attributes hain, asma hai, jiss me se ek naam Ahad hai.

AHAD (One, Unique) 2:96 (ا ح د ) أَحَدٌ

Ye Asma-ul-Husna, ye Allah ka pyara naam, iss surat ki pehli ayat me aya hai, Quran ke tamam ayaat ko jama karne se Ahad ka matlab kuch iss tarah hai ke, Allah SWT Ahad yani ek hain, akele hain, unique hain, unke jaisa koi aur nahi. Allah se hatt kar koi cheez iss kayenaat me hai to wo uss ka creation hai, usski khilqat hai jo uss par dependent hai.

Yahan par ek aur lafz ko samajhna zaroori hai, wo hai, WAHID, Allah SWT Wahid bhi hain, to Wahid ka matlab bhi ek, ke aate hain lekin, kayee khususiyaat mill kar ek. Iss ko Quran ne kaise samjhaya, “Maa’in Wahid” kaha, ek paani – paani to paani hai, lekin kayee molecules mill kar paani banta hai. It consists of several parts of the same thing, Water. To ye maa’in wahid hai.

Phir Quran me ummatan Wahida aya hai, jiss ka matlab kayee insaan milkar ek ummat bante hain, Waise hi Allah SWT as Al-Wahid, ek Allah jisske tukde nahi ho sakte, wo apne tamam attributes, asma-ul-husna ke saath ek zaat hai;

  • wo Rabb yani paalne wala malik bhi hai,
  • wo Rahman yani faida pahuchane wala bhi hai,
  • wo Raheem yani Taras khane wala bhi hai,
  • wo Malik bhi hai – Badeshahe Haqeeai bhi hai,
  • wo Khaliq yani paida karne wala bhi hai,
  • wo Bari yani khilqat ke process me jo cheezon ki zaroorat nahi hai unn se bari karne wala bhi hai,
  • wo Musawwir yani final product banana wala, khoob surati dene wala, beautify karne wala bhi hai,
  • ye tamam ek saath kaam kar rahe hain with perfect coordination aur usske nizam me usske procedure me koi tabdeeli nahi ho sakti.

Aye Nabi (ﷺ) aap keh dijiye; wo Allah ek hai, akela hai, unique hai, Quran me Surah Al-Anbiya ki 22 ayat me farmaya ke, “Agar asaman aur zameen me Allah ke siway aur ilaha hote to asaman aur zameen ka nizam bigad jata, there would have been chaos in the universe…[20]

Phir Surah Al-Mulk ki 3-4 Ayaat me kuch iss tarah se challenge diya ke, Allah SWT wohi hai jiss ne 7 asmano ko banaya, tum rehman ki khiqat me, uss ke creation me koi farq, koi nuqs, koi discontinuity, koi discord, nahi dikhega. Zara Nazrein daudao, phir se dekho, ghaur se dekho, tum ko kya tum ko koi nuqs koi discontinuity nazar aati hai? Dekho baar baar dekho, tumhari nazrein thak kar wapas aa jayegi, lekin tumhein iss kayenaat me koi nuqs nahi nazar ayega.[21]

Ye iss baat ka sabot hai ke – La Ilaha illa Allah – Qul Huwa Allahu Ahad; Aye Nabi (ﷺ) aap keh dijiye; wo Allah ek hai, akela hai, unique hai

Vs No 2

 اللَّهُ الصَّمَدُ

Allah wohi hai sab jiss ke mohtaaj hain

Iss ayat lafz hai, As-Samad.

SAMAD (One on Whom all depend)  112:2     اَلصَّمَدُ ( ص م د )

Yeh Allah SWT ke asma-ul-husna me ka ek naam hai, iss ka matlab – iss kayenaat ki har cheez Allah ki mohtaaj hai. Al-Samad ek aisa mazboot sahara hota hai jab koi aur sahara nahi.

Zara ghaur karke dekhe;

  • kya kabhi sonch ke saans liye, saans to chal rahi hai,
  • dil dhadak raha hai
  • digestive system chal raha hai
  • zameen ghoom rahi hai, din aur raat ki hare-pher ho rahi hai
  • Sardi, Garmi, Barsaat, ho rahi hai
  • Ye sab kaun kar raha hai, baghair pooche, baghair maange

Aur khaas baat ye hai ke Wo kisi par depent nahi karta, Allah SWT kisi ka mohtaaj nahi, Wo Ghani hai. Wo independent hai. Khaliq independent hai aur makhlooq dependent hai Khaliq par.

Allahus Samad, hum sab uss ke mohtaaj hai, We are all dependant on Him.

Vs No 3

لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ

Na wo kisi ka beta aur na kisi ka baap.

Iss ayat ka lafz hain: Yalid.

AL WAALIDAYN (Parents2:83     اَلْوَالِدَيْنِ  ( و ل د )

Iss root ke maane, walidayn, maa, baap, aulaad, beta, paida hona yap aida karna.

Na wo jana gaya hai, aur na uss ne kisi ko jana. Iss mamele me bhi Allah SWT unique hai.

Vs. No. 4

وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Aur uss ka koi humsar nahi, koi uss ke barabar nahi

Iss ayat ka lafz hai: Kufuwan

KUFUWA (Equal or alike) 112:4 كُفُوْاً ( ك ف ء )

Ye lafz Quran me sirf iss jagah aya hai, Uss jaisa, Barabar, masawi, Equal

Wa lam yakun lahu kufuwan ahad, no one is equal to Him.

References

[1] It was narrated from Hurman bin Aban that `Uthman bin `Affan (رضي الله عنه) said: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: `I know a word which no one says, sincerely from the heart, but he will be forbidden to the Fire.” `Umar bin al-Khattab (رضي الله عنه) said to him: I will tell you what it is: it is the word of al-ikhlas by means of which Allah, may He be blessed and exalted, caused Muhammad (ﷺ) and his companions to prevail and it is the word of taqwa that the Prophet (ﷺ) of Allah urged his uncle Abu Talib to say when he was dying, the testimony that there is no god but Allah.

حَدَّثَنَا عَبْدُ الْوَهَّابِ الْخَفَّافُ، حَدَّثَنَا سَعِيدٌ، عَنْ قَتَادَةَ، عَنْ مُسْلِمِ بْنِ يَسَارٍ، عَنْ حُمْرَانَ بْنِ أَبَانَ، أَنَّ عُثْمَانَ بْنَ عَفَّانَ، رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ إِنِّي لَأَعْلَمُ كَلِمَةً لَا يَقُولُهَا عَبْدٌ حَقًّا مِنْ قَلْبِهِ إِلَّا حُرِّمَ عَلَى النَّارِ فَقَالَ لَهُ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ أَنَا أُحَدِّثُكَ مَا هِيَ هِيَ كَلِمَةُ الْإِخْلَاصِ الَّتِي أَعَزَّ اللَّهُ تَبَارَكَ وَتَعَالَى بِهَا مُحَمَّدًا صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَأَصْحَابَهُ وَهِيَ كَلِمَةُ التَّقْوَى الَّتِي أَلَاصَ عَلَيْهَا نَبِيُّ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَمَّهُ أَبَا طَالِبٍ عِنْدَ الْمَوْتِ شَهَادَةُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ‏.‏

Grade: Qawi (Darussalam) | Reference: Musnad Ahmad 447 | In-book reference: Book 4, Hadith 43 | https://sunnah.com/ahmad:447

[2] Al Quran, Surah Al-Furqan, Chapter 25: Verse 3

[3] Al Quran, Surah Al-Zukhruf, Chapter 43: Verse 83

[4] Al Quran, Surah Al-Hashr, Chapter 59: Verse 22-23

[5] Al Quran, Surah TaaHaa, Chapter 20: Verse 98

[6] Al Quran, Surah Al-Baqarah, Chapter 2: Verse 255

[7] Al Quran, Surah Al-Mominoon, Chapter 23: Verse 116

[8] Al Quran, Surah Al-Muzammil, Chapter 73: Verse 9

[9] Al Quran, Surah Al-Anam, Chapter 6: Verse 103

[10] Anas (May Allah be pleased with him) reported: A man said: “O Messenger of Allah! I love Surat-Al-Ikhlas [Say: He is Allah, (the) One].” He (ﷺ) said, “Your love for it will admit you to Jannah.” [At-Tirmidhi].

وعن أنس رضي الله عنه أن رجلا قال‏:‏ يارسول الله إني أحب هذه السورة ‏”‏قل هو الله أحد‏”‏‏:‏‏”‏إن حبها أدخلك الجنة‏”‏ ‏(‏‏(‏رواه الترمذي وقال‏:‏ حديث حسن- رواه البخاري في صحيحه تعليقًا‏)‏‏)‏‏.‏

Reference: Riyad as-Salihin 1013 | In-book reference: Book 8, Hadith 23 | https://sunnah.com/riyadussalihin:1013

[11] ‘Aishah (May Allah be pleased with her) reported: Messenger of Allah, (ﷺ) appointed a man in charge of an army unit who led them in Salat (prayer); he always concluded his recitation with Surat Al-Ikhlas: “Say (O Muhammad (ﷺ)): ‘He is Allah, (the) One. Allah-us-Samad (Allah – the Self-Sufficient). He begets not, nor was He begotten. And there is none equal or comparable to Him.”‘ (112:1-4) Upon their return to Al-Madinah, they mentioned this to Messenger of Allah (ﷺ), who said, “Ask him why he does so?” He was asked and he said, “This Surah contains the Attributes of Allah, the Gracious, and I love to recite it. Messenger of Allah (ﷺ) then told them, “Tell him that Allah loves him”. [Al-Bukhari and Muslim].

وعن عائشة رضي الله عنها، أن رسول الله صلى الله عليه وسلم، بعث رجلاً على سرية، فكان يقرأ لأصحابه في صلاتهم، فيختم بـ‏{‏قل هو الله أحد‏}‏ فلما رجعوا، ذكروا ذلك لرسول الله، صلى الله عليه وسلم، فقال‏:‏ ‏”‏سلوه لأي شيء كان يصنع ذلك‏؟‏ ‏”‏ فسألوه، فقال ‏:‏ لأنها صفة الرحمن، فأنا أحب أن أقرأ بها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم ‏:‏‏”‏أخبروه أن الله تعالى يحبه‏”‏ ‏(‏‏(‏متفق عليه‏)‏‏)‏ ‏.‏

Reference: Riyad as-Salihin 388 | In-book reference: Introduction, Hadith 388 | https://sunnah.com/riyadussalihin:388

[12] Narrated Abu Hurairah (RA): The Prophet (ﷺ) recited Surat al-Kafirun, and Surat al-Ikhlas in the two (voluntary) Rak’at of the Fajr (prayer). [Reported by Muslim].

وَعَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ‏-رَضِيَ اَللَّهُ عَنْهُ‏- : { أَنَّ اَلنَّبِيَّ ‏- صلى الله عليه وسلم ‏-قَرَأَ فِي رَكْعَتَيْ اَلْفَجْرِ : ( قُلْ يَا أَيُّهَا اَلْكَافِرُونَ )‏ و : ( قُلْ هُوَ اَللَّهُ أَحَدٌ )‏ } رَوَاهُ مُسْلِمٌ .‏ 1‏

‏1 ‏- صحيح .‏ رواه مسلم .‏ ( 726 )‏ .‏

Sunnah.com reference: Book 2, Hadith 268 | English translation: Book 2, Hadith 359 | Arabic reference: Book 2, Hadith 364 | https://sunnah.com/bulugh/2/268

[13] Ibn ‘Umar (May Allah be pleased with them) reported: I observed the Prophet (ﷺ) for one month reciting in the two supererogatory Rak’ah of the Fajr prayer Surat Al-Kafirun (No. 109) [in the first Rak’ah], and Surat Al-Ikhlas (No. 112) [in the second Rak’ah]. [At-Tirmidhi].

وعن ابن عمر رضي الله عنهما، قال رمقت النبي صلى الله عليه وسلم شهرًا يقرأ في الركعتين قبل الفجر‏:‏ ‏{‏قل يا أيها الكافرون‏}‏، و‏:‏ ‏{‏قل هو الله أحد‏}‏‏.‏ ‏(‏‏(‏رواه الترمذي وقال‏:‏ حديث حسن‏)‏‏)‏‏.‏

Reference: Riyad as-Salihin 1109 | In-book reference: Book 8, Hadith 119 | https://sunnah.com/riyadussalihin:1109

[14] Jabir bin Abdullah narrated: During the two Rak’ah of Tawaf, the Messenger of Allah recited the two Surat of Ikhlas, “Say: O you disbelievers!” and: “Say: He is Allah, (the) One.”

أَخْبَرَنَا أَبُو مُصْعَبٍ الْمَدَنِيُّ، قِرَاءَةً عَنْ عَبْدِ الْعَزِيزِ بْنِ عِمْرَانَ، عَنْ جَعْفَرِ بْنِ مُحَمَّدٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَرَأَ فِي رَكْعَتَىِ الطَّوَافِ بِسُورَتَىِ الإِخْلاَصِْ ‏:‏ ‏(‏ قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ ‏)‏ وَ ‏(‏ قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ ‏)‏‏.‏

Grade: Sahih (Darussalam) | Reference: Jami` at-Tirmidhi 869 | In-book reference: Book 9, Hadith 62 | English translation: Vol. 2, Book 4, Hadith 869 | https://sunnah.com/tirmidhi:869

[15] It was narrated that Ibn ‘Umar said: “The Prophet (ﷺ) used to recite in the Maghrib: ‘Say: O you disbelievers!’[Al-Kafirun (109)] and ‘Say: He is Allah, (the) One.’”[Al-Ikhlas (112)]

حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ بُدَيْلٍ، حَدَّثَنَا حَفْصُ بْنُ غِيَاثٍ، حَدَّثَنَا عُبَيْدُ اللَّهِ، عَنْ نَافِعٍ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ كَانَ النَّبِيُّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ يَقْرَأُ فِي الْمَغْرِبِ ‏{قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ}‏ وَ ‏{قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ}‏ ‏.‏

Grade: Da’if (Darussalam) | Reference: Sunan Ibn Majah 833 | In-book reference : Book 5, Hadith 31 | English translation: Vol. 1, Book 5, Hadith 833| https://sunnah.com/ibnmajah:833

[16] ‘Abdullah bin Khubaib (May Allah be pleased with him) reported: The Messenger of Allah (ﷺ) said to me, “Recite Surat Al-Ikhlas and Al- Mu’awwidhatain (Surat Al-Falaq and Surat An-Nas) three times at dawn and dusk. It will suffice you in all respects.” [Abu Dawud and At-Tirmidhi].

وعن عبد الله بن خُبيب -بضم الخاء المعجمة- رضي الله عنه قال‏:‏ قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم‏:‏ ‏ “‏اقرأ‏:‏ قل هو الله أحد، والمعوذتين حين تمسي وحين تصبح، ثلاث مرات، تكفيك من كل شيء‏”‏‏.‏ رواه أبو داود والترمذي وقال حديث حسن صحيح ‏.‏

Reference: Riyad as-Salihin 1456 | In-book reference: Book 15, Hadith 49 | https://sunnah.com/riyadussalihin:1456

[17] Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: The Messenger of Allah (ﷺ) said, “Surat Ikhlas is equivalent to one-third of the Qur’an.” [Muslim].

وعن أبي هريرة رضي الله عنه أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال في‏:‏‏{‏ قل هو الله أحد‏}‏ ‏ “‏إنها تعدل ثلث القرآن‏”‏‏.‏‏(‏‏(‏ رواه مسلم ‏)‏‏)‏‏.‏

Reference: Riyad as-Salihin 1012 | In-book reference: Book 8, Hadith 22 | https://sunnah.com/riyadussalihin:1012

Abu Sa’id Al-Khudri (May Allah be pleased with him) reported about Surat Al-Ikhlas (Chapter 112): The Messenger of Allah (ﷺ) said, “By Him in Whose Hand my soul is, it is equivalent to one-third of the Qur’an.” According to another version, he (ﷺ) said to his Companions, “Is anyone of you incapable of reciting one-third of the Qur’an in one night?” They considered it burdensome and said: “O Messenger of Allah, which of us can afford to do that?” He (ﷺ) said, “Surat Al-Ikhlas [Say: He is Allah (the) One] is equivalent to one-third of the Qur’an.” [Al- Bukhari].

وعن أبي سعيد الخدري رضي الله عنه أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال في‏:‏‏{‏ قل هو الله أحد‏}‏‏:‏‏”‏ والذي نفسي بيده، إنها لتعدل ثلث القرآن‏”‏‏.‏

وفي رواية‏:‏ أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال لأصحابه‏:‏‏”‏ أيعجز أحدكم أن يقرأ بثلث القرآن في ليلة‏”‏ فشق ذلك عليهم، وقالوا‏:‏ أينا يطيق ذلك يارسول الله‏:‏ فقال ‏:‏‏”‏ ‏{‏قل هو الله أحد‏}‏ ثلث القرآن‏.‏‏”‏‏.‏ ‏(‏‏(‏ رواه البخاري‏)‏‏)‏‏.‏

Reference: Riyad as-Salihin 1010 | In-book reference: Book 8, Hadith 20 | https://sunnah.com/riyadussalihin:1010

Narrated Abu Sa`id Al-Khudri: The Prophet (ﷺ) said to his companions, “Is it difficult for any of you to recite one third of the Qur’an in one night?” This suggestion was difficult for them so they said, “Who among us has the power to do so, O Allah’s Messenger (ﷺ)?” Allah Apostle replied: ” Allah (the) One, the Self-Sufficient Master Whom all creatures need.’ (Surat Al-Ikhlas 112.1–to the End) is equal to one third of the Qur’an.”

حَدَّثَنَا عُمَرُ بْنُ حَفْصٍ، حَدَّثَنَا أَبِي، حَدَّثَنَا الأَعْمَشُ، حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ، وَالضَّحَّاكُ الْمَشْرِقِيُّ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ، رضى الله عنه قَالَ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم لأَصْحَابِهِ ‏”‏ أَيَعْجِزُ أَحَدُكُمْ أَنْ يَقْرَأَ ثُلُثَ الْقُرْآنِ فِي لَيْلَةٍ ‏”‏‏.‏ فَشَقَّ ذَلِكَ عَلَيْهِمْ وَقَالُوا أَيُّنَا يُطِيقُ ذَلِكَ يَا رَسُولَ اللَّهِ فَقَالَ ‏”‏ اللَّهُ الْوَاحِدُ الصَّمَدُ ثُلُثُ الْقُرْآنِ ‏”‏‏.‏ قَالَ أَبُو عَبْدِ اللَّهِ عَنْ إِبْرَاهِيمَ مُرْسَلٌ وَعَنِ الضَّحَّاكِ الْمَشْرِقِيِّ مُسْنَدٌ‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 5015 | In-book reference: Book 66, Hadith 37 | USC-MSA web (English) reference: Vol. 6, Book 61, Hadith 534 | https://sunnah.com/bukhari:5015

[18] Source: https://tanzil.net/docs/revelation_order

[19] Abu Al-Aliyah narrated from Ubayy bin Ka’b: “The idolaters were saying to the Messenger of Allah: ‘Name the lineage of your Lord for us.’ So Allah, Most High, revealed: Say: “He is Allah, the One. Allah As-Samad.” So As-Samad is ‘the One Who does not beget, nor is He begotten,’ because there is nothing born except it will die, and there is nothing that dies except that it will be inherited from, and verily. Allah, the Mighty and Sublime, does not die, nor is He inherited from. ‘And there is none comparable to Him.’ He said: ‘There is nothing similar to Him, nor equal to Him, nor is there anything like Him.’”

حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ، حَدَّثَنَا أَبُو سَعْدٍ، هُوَ الصَّغَانِيُّ عَنْ أَبِي جَعْفَرٍ الرَّازِيِّ، عَنِ الرَّبِيعِ بْنِ أَنَسٍ، عَنْ أَبِي الْعَالِيَةِ، عَنْ أُبَىِّ بْنِ كَعْبٍ، أَنَّ الْمُشْرِكِينَ، قَالُوا لِرَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم انْسُبْ لَنَا رَبَّكَ ‏.‏ فَأَنْزَلَ اللَّهُ ‏:‏ ‏(‏ قلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ * اللَّهُ الصَّمَدُ ‏)‏ فَالصَّمَدُ الَّذِي لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ لأَنَّهُ لَيْسَ شَيْءٌ يُولَدُ إِلاَّ سَيَمُوتُ وَلَيْسَ شَيْءٌ يَمُوتُ إِلاَّ سَيُورَثُ وَإِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ لاَ يَمُوتُ وَلاَ يُورَثُ ‏:‏ ‏(‏ لَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ ‏)‏ قَالَ ‏”‏ لَمْ يَكُنْ لَهُ شَبِيهٌ وَلاَ عِدْلٌ وَلَيْسَ كَمِثْلِهِ شَيْءٌ ‏”‏ ‏.‏

Grade: Da’if (Darussalam) | Reference: Jami` at-Tirmidhi 3364 | In-book reference: Book 47, Hadith 416 | English translation: Vol. 5, Book 44, Hadith 3364 | https://sunnah.com/tirmidhi:3364

Abu Al-Aliyah narrated: “The Prophet mentioned their (the idolater’s) gods, so they said: ‘Then name your Lord’s lineage for us.’” He said: “So Jibril, peace be upon him, came to him with this Surat: Say: “He is Allah, the One.” So he mentioned similarly, but he did not say in it: “From Ubayy bin Ka’b.” And this is more correct than the narration of Abu Sa’eed (no. 3364). Abu Sa’eed’s name is Muhammad bin Muyassar.

حَدَّثَنَا عَبْدُ بْنُ حُمَيْدٍ، حَدَّثَنَا عُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ مُوسَى، عَنْ أَبِي جَعْفَرٍ الرَّازِيِّ، عَنِ الرَّبِيعِ، عَنْ أَبِي الْعَالِيَةِ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم ذَكَرَ آلِهَتَهُمْ فَقَالُوا انْسُبْ لَنَا رَبَّكَ ‏.‏ قَالَ فَأَتَاهُ جِبْرِيلُ بِهَذِهِ السُّورَةِ ‏:‏ ‏(‏ قلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ ‏)‏ ‏.‏ فَذَكَرَ نَحْوَهُ وَلَمْ يَذْكُرْ فِيهِ عَنْ أُبَىِّ بْنِ كَعْبٍ وَهَذَا أَصَحُّ مِنْ حَدِيثِ أَبِي سَعْدٍ وَأَبُو سَعْدٍ اسْمُهُ مُحَمَّدُ بْنُ مُيَسَّرٍ وَأَبُو جَعْفَرٍ الرَّازِيُّ اسْمُهُ عِيسَى وَأَبُو الْعَالِيَةِ اسْمُهُ رُفَيْعٌ وَكَانَ عَبْدًا أَعْتَقَتْهُ امْرَأَةٌ صَابِئَةٌ ‏.‏

Grade: Da’if (Darussalam) | Reference: Jami` at-Tirmidhi 3365 | In-book reference: Book 47, Hadith 417 | English translation: Vol. 5, Book 44, Hadith 3365 | https://sunnah.com/tirmidhi:3365

[20] Al Quran, Surah Al-Anbiya, Chapter 21: Verse 22

[21] Al Quran, Surah Al-Mulk, Chapter 67: Verses 3-4

Comments are closed.