al Hamd

</p> <p>al Hamd</p> <p>

al-HAMD (Tareef – The praise) 1:1 الحَمْد

al-Hamd ka maddah ya Root (ح م د) hai aur iss ko hamare ustaad Dr. Anees ne apni kitab The Explanatory Dictionary of the Quran me samjhaya ke,

  • Surah aal-Imran ki 188th Ayat me aya hai ke, Tareef to sirf uss ki honi chahiye, jo kuch acha kaam kare,[4]
  • Aur kyun ke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) hi hai jo sab kuch karta hai, iss liye (الحَمدُ لِلَّهِ رَبِّ العَالَمِين), tamam tareef Allah ke liye hain, jo alameen ka paalne wala malik hai,[5]
  • Aur jiss lafz ke aage, “AL” laga ho, wo poori ya saari ke ehsas ko zahir karta hai,
  • To Hamd kya hai – Tareef hai, al-Hamd kya hai, Tamam Tareef, Saari ki Saari Tareef,
  • Quran me, Surah Fatir ki pehli ayat me farmaya ke, Allah ne iss kayenaat ki takhleeq ka aghaaz kiya, Allah,…, Initiator of Creation hai, wohi iss ko paalte hain…[6]
  • Aur Surah Saba ki pehli ayat me farmaya ke, iss kayenaat ki har cheez Allah ki hai,…[7]
  • Aur issi liye iss kayenaat ki har cheez Allah ki hamd, uss ki tareef bayan karti hai.[8]
  • Quran me, kayee jagah par, al-Hamd ke maane shukr ke aaye hain,[9] to iss aitebaar se, Tamam Shukr bhi Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke liye hai, kyun ke, ye sab kuch uss ne banaya hai.
  • Jo log Allah ki hamd aur uss ki tareef karke, uss ka shukr ada nahi karte, wo na-shukri aur ghuroor ka muzahera karte hain.[10] aur
  • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) apne bando me ye sifaat pasand nahi karta,[11]
  • Balke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne hume Quran me, Surah az-Zumar ki 58th ayat me, hukum diya hai ke,

وَتَوَكَّلْ عَلَى ٱلْحَىِّ ٱلَّذِى لَا يَمُوتُ وَسَبِّحْ بِحَمْدِهِۦ ۚ …

  • Aur aap (صلى الله عليه وسلم) uss (Allah par jo) zinda hai bharosa rakhiye, jisse kabhi maut nahi aati, aur uss ki hamd, uss ki tareef aur shukr ke saath tasbeeh karte rahiye,…[12]
  • Doosre alfaz jo Hamd se jude huwe hain, jo Quran me aye hain, uss me;
    • Lafz-e-Hameed hai, jo ke Allah ke khubsurat naamo me se ek naam hai, jiss ke maane hai, wo jo tareef ke qabil ho,[13]
    • Phir Lafz-e-Ahmed[14] aur Lafz-e-Muhammad,[15] bhi issi madde se, issi root se bane huwe hain, ye dono naam Quran me Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke liye aye hain, jiss ka matlab, jiss ki tareef ki jaati hai.
    • Lafz-e-Mahmood, jiss ka matlab, jiss ki tareef ki gayee ho.

References

[4] Al Quran, Surah aal-Imran, Chapter 3: Verse 188

[5] Al Quran, Surah al-Fatiha, Chapter 1: Verse 1

[6] Al Quran, Surah al-Fatir, Chapter 35: Verse 1

[7] Al Quran, Surah Saba, Chapter 34: Verse 1

[8] Al Quran, Surah al-Isra, Chapter 17: Verse 44

[9] Al Quran, Surah al-Araaf, Chapter 7: Verse 43

Al Quran, Surah Ibrahim, Chapter 14: Verse 39

Al Quran, Surah al-Muminoon, Chapter 23: Verse 28

Al Quran, Surah an-Naml, Chapter 27: Verse 15

[10] Al Quran, Surah Luqman, Chapter 31: Verse 12

Al Quran, Surah as-Sajdah, Chapter 32: Verse 15

[11] Al Quran, Surah az-Zumar, Chapter 39: Verse 7

[12] Al Quran, Surah al-Furqan, Chapter 25: Verse 58

[13] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 267

[14] Al Quran, Surah as-Saff, Chapter 61: Verse 6

[15] Al Quran, Surah aal-Imran, Chapter 3: Verse 144

Comments are closed.