Tafseer Surah al-Baqarah Part 39

</p> <p>Tafseer Surah al-Baqarah Part 39</p> <p>


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle dars me hum Surah al-Baqarah ki 17wi ayat ki tafseer me Lafz-e-Masaluhum ki tafseel sunn rahe the, aaj ke dars me hum deegar aur alfaaz ke maane jaanenge.

Tarjuma wa Tafseer

Vs. No. 17 Cont’d…

مَثَلُهُمۡ كَمَثَلِ الَّذِى اسۡتَوۡقَدَ نَارًا ۚ فَلَمَّاۤ اَضَآءَتۡ مَا حَوۡلَهٗ ذَهَبَ اللّٰهُ بِنُوۡرِهِمۡ وَتَرَكَهُمۡ فِىۡ ظُلُمٰتٍ لَّا يُبۡصِرُوۡنَ‏

Unn ki misaal aisi hai, jaise ke ek shakhs ne aag jalayi, phir jab uss aag ne ird-gird ki cheezen, (ya atraaf ke mahol) ko roshan kar diya, to Allah (عز وجل) ne unn ka noor slab kar liya (ya unn ki roshni chheen li), aur unn ko andheron me chhorrh diya ke kuch nahi dekhte.

Humne pichle dars me kaha tha ke, iss ayat me 9 alfaaz hain jo samajhne ke hain; Lafz-e-Masaluhum par hum Qurani ayat aur ahadith sunay, jis me kayee misaalein ayee hain, aur unn me ek khaas hadith ya ek khaas misaal ye bhi hai, jo iss ayat ki tafseer samajh me aa rahi hai ke,

  • Bukhari aur Muslim ki iss hadith me, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Meri misaal ek aise shakhs ki si hai, jis ne aag jalayee, aur jab wo aag ne atraaf ke mahol ko roshan kar diya, to patingay aur keede jo aag me ja kar girte hain, wo uss me girne lagay.
    • To wo shakhs unn patingon ko aag me girne se rokne laga, lekin wo patinge zor laga kar, aag me girne lagay,
    • Pas main tumhe, kamar se pakad kar aag se rok raha hoon, jab ke, tum ba-zor ussi me girr rahe ho,
    • Ye Bukhari ki riwayat me hai aur Muslim ki riwayat bhi issi tarah hai aur uss ke aakhir me hai,
    • Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, Meri aur Tumhari misaal iss tarah hai ke, main tumhe kamar se pakad ker aag se bacha raha hoon, aag se bach kar meri taraf aa jao, aag se bach kar meri taraf aa jao, lekin tum mujh se ba-zor uss me girr rahe ho.[1]

Ab iss ayat ka doosra lafz, aur Surah al-Fatiha se parrhne ki tarteeb ka 67wa lafz Istauqada hai.

67. ISTAUQADA ( Kindled ) اِسْتَوقَدَ ( و ق د ) 2:17

Lafz-e-Istauqada ka root ya maddah (و ق د) hai, jis ka matlab hai “jalane” ke hain. Issi root se banay jo doosre alfaaz Quran me aye hain, wo hain;

  • Ladai ke liye ya jung ke liye aag jalaane ke maane aye hain,[2]
  • Surah al-Humazah me farmaya ke, Tum kya jaano ke Hutama kya hai? Wo Allah ki bhadkayi huwi aag hai,[3]
  • Phir Surah an-Noor me farmaya ke, Allah noor hai aasmano aur zameen ka, uss ke noor ki misaal aisi hai ke, ek taaq hai jis me chiragh hai, aur chiragh sheeshe ke fanoos me hai aur wo sheesha ek chamakdar sitare ki manind hai, wo chiragh jalaya jata hai zaitoon ke ek mubrak darakht se…,[4]
  • Fuel ya jalane wali ladki, aur hamare paas petrol station ke naam Woqod hain,[5]
  • Surah al-Baqarah me hi agay aa raha hai ke, Dozaq ka fuel – insaan aur pathar honge,[6]
  • Jalaane ka opposite kya hai, bujhana,[7]

Ab iss lafz par jo ahadith ayee hain, unn me se pehli hadith hum iss dars ke shuru me sunn chuke hain, Rasoolullah ki misaal jo hai wo ek shakhs ki si hai, jis ne aag jalai;

  • Bukhari ki hadith, farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, maine kal raat khwaab me dekha, do shakhs mere paas aye.
    • Unn dono ne mujhe bataya ke, wo jo aag jala raha hai, wo Jahannam ka darogha Malik hai,
    • Main Jibraeel hoon aur ye Mikaeel hain.[8]
  • Muwatta Imam Malik aur Muslim ki ahadith, farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, duniya me jo Adam ki aulad (ya insaan) jalata hai, wo dozaq ki aag ka sattarwa hissa hai.
    • Sahaba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهم) ne kaha ke, Allah ki qasam aam aag bhi (logon ko jalane ke liye) kaafi hoti.
    • Iss par aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya; iss duniya me aag ki garmi unehattar (69) hisse zyada hain, unn me se har ek utni hararat ke barabar hai.[9]
  • To aam taur par aag jalane ke maane aye hain aur ye lafz aag se aur dozaq ki aag se wabasta hai, Naar se wabasta hai.

Lafz-e-Naar iss ayat ka teesra aur Surah al-Fatiha se parrhne ki tarteeb ka 68wa lafz hai.

68. NAARA ( Fire ) 2:17 ( نَاراً ( ن و ر

Dr. Anees apni kitab Explanatory Dictionary of the Quran me likhte hain ke, Lafz-e-Naar ka root ya maddah (ن و ر) hai, jis ka matlab aag ke hain. Naar ka ya aag ka jo description Quran me aya, uss me;

  • Marne ke baad ki jo zindagi hai, uss me saza dozaq ki aag me hogi,[10]
  • Jiss ka fuel, jiss ka eendhan insan aur pathar honge,[11]
  • Aur jiss me se log bahar nahi nikal payenge,[12]
  • Dozaq ki hifazat, farishte kar rahe hain,[13]
  • Dozaqi – jannatiyon se kalam karenge, thanda paani aur khana maangenge aur unn se keh diya jayega ke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne ye sab dozaqiyon par haram kar diya hai,[14]
  • Duniyawi zindagi me darakht ki lakdi aag ka fuel hai, eendhan hai,[15]
  • Aur aag se zewar bhi bante hain,[16]
  • Ye do qism ki aag ka zikr Quran me aya hai, ek aag har shakhs jala sakta hai, lekin jo zewar tayyar karne wali aag hai wo high temperature per jaldi hai, uss ko bhadkaya jaata hai,
  • Jo dozaq ki aag me jalenge wo log kaun hain?, yahan ek list aarahi hai;
    • kafir honge aur wo log jo Quran ka yani Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki ayato ka inkar karne wale honge,[17]
      • yahan ruk kar sonchiye ke, Quran par amal nahi karna aisa hi hai jaise ke hum Quran ka inkar kar rahe hain, har shaks apna khud hisab le le,
    • Mushrikeen honge,[18]
    • Munafiqeen honge,[19]
    • Mujrimeen honge,[20]
    • Na insafi karne wale,[21]
    • Hadd se nikal jaane wale,[22]
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) aur Rasoolullah (ﷺ) ki na farmani karne wale,[23]
    • Jo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki wahi ko aur unn ki ayat ko chhupate hain,[24]
    • Jo gunah karte hain aur unke gunah unn ko gher lete hain,[25]
    • Jo Sood yani Riba, Mitti, Interest lete hain, uss ki kamayi khate hain,[26]
    • Jo badbakht hain, kharab hain, ache nahi hain,[27]
    • Jo log yateem ka paisa kha jaate hain,[28]
    • Jinn dozaq me honge,[29]
    • Shaitan dozaq me hoga,[30]
    • Shaitan[31] aur Mushrikeen dozaq ki aag ki taraf dawat dete hain.[32]
  • Jinn[33] aur Shayateen aag se bane huwe hain,[34]
  • Dozaq ki aag ka opposite Jannat hai, Maghfirat hai,[35]
    • Aag ka opposite salamati waali thandak hai,[36]
    • Aur Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ko aag se bacha liya gaya tha.[37]

Ahadith me taqreeban 1500 ke qareeb ahadith hain Lafz-e-Naar par, agar ye tamam ahadith padhenge to 3-4 hafte lag jayenge, humne inn ahadith ko summarize kar diya hai, jis me bhi ek list aa rahi hai, jo log dozaq ki aag me honge;

  • Jis ne khudkushi yani ‘suicide’ ki,
  • ‘Khawarij’, kutton ki shakal mein dozakh mein honge,
  • Wo log jo sahi mazhab chod kar nikal gaye, Rasoolullah (ﷺ) ke baad, murtad ho gaye,
  • Jo koi deen-e-islam mein nayi cheezein dakhil kare,
  • Jo koi dosron ko Rasoolullah (ﷺ) ke tarikhay se hatt kar ghalat tarikhe ka rasta dikhaye aur jo uss ghalat raste per chalte hon (bina tehqeeq kiye, blindly follow karne wale),
  • Jis kisi ne bhi jahalat (ignorance) mein jhoota fatwa diya ho,
  • Jo koi jaan buj kar Rasoolullah (ﷺ) ke khilaf jhoot bolte hon,
  • Jo koi Rasoolullah (ﷺ) ke mimbar per jhooti qasam khaye,
  • Masjidon mein bidat phailanay wale,
  • Aurtein (Ladies) ki qismein
    • Wo aurtein jo kapde to pahanti hain lekin barhana dikhti ho.n,
    • Jo aurtein apnay shohar ko burai ki taraf bulati hain (aur issi tarah jo aadmi apni biwi ko burai ki taraf bulata ho)
    • Wo aurat jo tahajjud ki namaz padti hai, roza rakhti hai, sadaqa karti hai lekin apni zubaan se padosiyon ko takleef pahunchati hai,
    • ‘Wailing’ yani cheekhna, chehron ko peetna ya nochna, matam manana jahalat ke waqt ka tarika hai, aur aap (صلى الله عليه وسلم) ne mana farmaya hai, aur agar koi aurat taubah kare baghair mar gayi toh dozakh mein jayegi (aaj kal aadmi bhi ho sakte hain iss category mein)
    • Paaltu janwaron par zulm karne wali auratein ya mard,
  • Daulat (Wealth)
    • Jo Allah ki di huwi daulat ghalat tarikhe se kharch karte hain,
    • Haram kamai khane wale,
    • Maal-e-ghanimat mein se churane wale ya bait-ul-maal se churanay wale,
    • Jis kisi ne zakat na di ho,
    • Zakat wasool karne waale uss me se charate hon,
    • Hajjion se churane wale,
    • Jaan bhuj kar apnay aapko kisi ki aulad batanay walay, jabki hai nahi, (kisi bhi wajeh se, property ke chakkar mein, ya koi aur wajeh ho),
    • Kisi cheez ko apni batana jo ke apni hai nahi,
    • Wo jo logon se bheek mangta hai, bahut zyada paise jama karne ke liye,
    • Jis kisi ne islam ke hisaab se wasiyat nahi ki,
    • Jis kisi ko bhi apne family ki koi fikr na ho aur apni daulat ki bhi,
    • Aise be-imaan log jin ki lalach (ya greed) chhup nahi sakti choti choti cheezon mein bhi,
    • Kanjus log dozakh mein honge,
  • Lohay ki anghoti ya Iron ring pahan-ne wale,
  • Jo koi sone ya chandi ke bartan mein doodh ya pani peenay ke aadi hain,
  • Kapdo ko takhno se neeche rakhnay walay,
  • Wazu ke dauran aediyan ya koniyan acchay say nahi dhone walay, yani aediyan ya koniyan sookhi reh jaati hain, baaq waqt uss ka khayal karna chahiye,
  • Janabat ke baad wale ghusal mein jism koi ka hissa sukha chhutt jaye,
  • Zina karne wale ya waliyan,
  • Kamzor log jo gunah se bachne ki takhat nahi rakte,
  • The weak (الضَّعِيفُ) who lack power (زَبْرَ) to (avoid evil)
  • 73 mein se 72 firke dozakh mein honge, siwaye al-jamaat ke (الْجَمَاعَةُ)
  • Wo log jo nasha kare aur nashe ki halat mein mar jaye,
  • Bachon ko nasha karwane wale,
  • Tasveer banane wale (بِالْمُصَوِّرِينَ), tasveer paint karne wale (الْمُصَوِّرُونَ),
  • Na haq logon ka qatal karne walay,
  • Ghulamon ko maarne wale,
  • Jadu ya magic mein mulavviz (involve) honay wale,
  • Aam khoon rezi ke dauran (الْهَرْجُ) ka lafz aaya, maarne wala aur marne wala dono dozakh mein honge,
  • Khud rai ya ziddi, zulm karne wale (جَبَّارٍ عَنِيدٍ) ke alfaz aaye hain.
  • Fakhr (being Proud)
    • Rai ke dane ke barabar bhi fakhr (proud) karnay walay,
    • Fakhar karnay walay, ‘violent’ log, ‘cruel’ log
    • Jo koi apne aap ko unche muqaam per laye aur phir fakhr kare,
    • Jo koi ye chahta ho ke usay khade hokar istekbal kiya jaye,
  • Wo Yahudi, jo Rasoolullah (ﷺ) ke paigham ko nahi maana,
  • Wo Esai, jo Rasoolullah (ﷺ) ke paigham ko nahi maana,
  • Yajuj aur Majuj dozakh mein honge,
  • Wo log jo Madina ke logon ki taraf bura khayal rakte hain,
  • 2 qism ke ‘judge’, ek jo na-insaaf ho aur doosra jo ‘maghroor’ ho
  • Wo log jo ek muslim leader ki pairvi karte hon agarche ke wo unhe burai ka hukum deta ho,
  • Wo log jo taqdeer per imaan nahi rakhte.
  • Jhoot (Lies)
    • Wo log jo aisi baat karte ho.n, jiss ka natija unhe khud nahi maloom,
    • Jhooti qasam chhup ker, akele mein khane wale,
    • Doosray mazhab ke naam per qasam khana, islam ke ilawa,
    • Jhoot (الْكَذِبَ) bolna, gumrahi (الْفُجُورِ) ki taraf le jata hai aur gumrahi dozakh mein hai,
    • Wo shaks jo subah nikalta hai sari duniya mein jhoot phailane ke liye.
  • Musalman ki taraf rawa iyyah (behavior towards Muslims)
    • Zaban aur ‘private parts’ inn do cheezon ki wajeh se aksar log dozakh mein honge,
    • Zaban ki wajeh se logon ko muh ke bal dozakh mein dala jayega,
    • Jo koi aesi adat mein ho jis se wo logon se bad-saluki kare aur ghalat zaban istemal kare,
    • Jo koi kisi bhi musalman ko aisi baat kahay jis se wo usay neecha dikhata ho ya disgrace karta ho,
    • Imaan walon ko bad-dua dena,
    • Imaan walon ko kafir kehna,
    • Imaan walon ke khilaaf jhooti gawahi dena jis ki wajeh se wo kisi ke qatal ke ilzaam me phass jaye,
    • Imaan wale per ghalat ilzam lagana,
    • Jhooti qasam kha ker musalman ko uss ke haq se rok dena,
    • Musalman ki izzat uchhaal kar, ek niwala bhi kisi ne khaya, to wo dozakh mein hoga,
    • Muslman ki izzat uchal kar, apnay liye kapde banaliye ho, wo bhi dozakh mein hoga,
    • Ladai jhagde mein aise tarike se baat pesh ki, jiski vajah se ‘case’ apne favor mein kar liya, ye jante hue ki khud haq par nahi hai,
    • Wo musalman, jo fajr ki namaz padta ho, wo Allah ke protection mein hai, to usay dhoka mat dena, jis ne aisa kiya uss ne Allah ko dhoka diya aur agar uss ka qatal kar diya toh Allah uss qaatil ko nahi chodega, jab tak ke usay dozakh mein na phek de,
    • Musalman apne bhai se 3 din se zyada apne aap ko door rakhe,
    • 2 musalman apas mein ladte hue dozakh ke kareeb hote hai,
    • Jis kisi ne namazon se, rozon se, zakat se nekiyan jama ki, toh uss ki nekiyan qayamat ke din sari zaya ho jayegi kyun ke, uss ne
      • bad-dua ki ya gaali di,
      • dosron per bohtan lagaya,
      • na-haq logon ka maal khaya,
      • khoon rezi ki,
      • logon ko mara,
      • aur jab aise logon kay amaal kam pad jayenge to unn per dosron ke gunah daal diye jayenge, aur wo dozakh mein daal diya jayega,
    • Nek auraton par ilzam lagane wale, aesi aurtein jinhone kabhi aisa socha bhi nahi tha,
    • Jis kisi ne apne musalman bhai ko ghalat salah di,
    • Jis kisi ne musalman ko uske jahiliyyah wale naam se pukara,…., acche naam se bulana chahiye, jaise ke musalman, imaan wale, Allah ke bande.
    • Jis kisi ko bhi apne family ki koi fikr na ho aur apne daulat ki bhi
    • Aise log jo tumhe ‘betray’ ya dhoka dein, subah aur shaam tumharay family aur daulat mein
    • Tanz karne ya hasi udane wale,
  • Aise log jo taakhub ya ‘pursue’ karte hain, chahe wo halal hai ya haram, (unko chahiye to bas, uss ke peeche lag jaate hain, sahi hai ya ghalat? uss ki unhe koi fikr nahi hoti), toh aise log dozakh mein honge,
  • Jo koi (apne nek amal ka badla) iss duniya ki zindagi mein hi chahta ho, usay Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى), uss ka pura ka pura sila (reward) iss duniya mein hi de denge, aur unn ke liye aakhirat mein kuch nahi bachega sivai aag ke, aur unn ke amal unn ke kuch kaam nahi aayenge,
  • Jo log ilm chupate hain, uss waqt bhi jab unn se pucha jaye,
  • Shaheed jo iss liye shaheed huwa ke, log usay ya bahadur kahe,
  • Aalim jo iss liye ilm hasil kiya ke, log usay Alim ya Alimah kahe ya qari kahe,
  • Jis kisi ne khairat isliye ki ke, log usay yani sakhi ya ‘generous’ kahe.
  • Jis kisi ne apne maa-baap ko budhapay mein chorrh diya,
  • Jis kisi ne apne maa-baap ko badtamizi karke rulaya,
  • Jo koi Quran ko padhe aur Quran ki qirat kare lekin uss per amal na kare aur namaz ko ignore karke so jaye,
  • Jis kisi ko Quran ne qaid (confined) ya jail kar diya ho, aisay log hamesha-hamesha ke liye dozakh mein honge aur unn ke liye koi shifaat bhi nahi hogi,
  • Wo log jo logon ko acchai ki taraf bulate hain lekin khud burai karne se nahi rukte.

Chunke yahan per ‘naar’ ka lafz aaya hai, to iss liye ye dekhna zaroori hai ke kaun se aise amaal hai jiski vajah se dozakh mein jayenge.

Ek aur baat acche se jaan lijiye ke, jahan Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) dozakh se dara rahe hain wahan jannat ki basharat bhi de rahe hain, ek hadith me ata hai ke, Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya ke,

  • agar momin ko pata chale, dozakh ke bare mein to wo jannat ke hasil karne ke liye na-umeed ho jayega aur
  • agar kafir ko Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki jannat ke bare mein pata chalay to wo bhi uss ko hasil karnay ke liye ummeed me aa jayega,
  • To jab jannat ka lafz aayega to In-Sha Allah dekhange ke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) amaal ke badle nekiyon ko kis hisab se multiply karte hain,

Ab agar hum chohthay lafz ki tafseel me jayenge to kaafi der ho jayegi, issi liye. Yahan Dars rok denge, next Saturday In Sha Allah Surah al-Baqarah ki tafseel agay sunenge.

Al hamdulillahi Rabbil Alameen

Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam

Rabbana aatina fid duniya…

References

[1] Abu Huraira reported God’s messenger as saying, “I may be likened to a man who kindled a fire, and when it lit up the neighbourhood the insects and these creeping things which fall into a fire began to fall into it. He began to prevent them, but they got the better of him and rushed into it. Now I am seizing your girdles to pull you from hell, but you are rushing into it.” This is Bukhari’s version, and Muslim has one similar, but at the end of it he quotes him as saying, “You and I may be likened to that. I am seizing your girdles to pull you from hell. Come away from hell! Come away from hell! But you are getting the better of me and rushing into it.”

وَعَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسلم: «إِنَّمَا مثلي وَمثل النَّاس كَمَثَلِ رَجُلٍ اسْتَوْقَدَ نَارًا فَلَمَّا أَضَاءَتْ مَا حوله جَعَلَ الْفَرَاشُ وَهَذِهِ الدَّوَابُّ الَّتِي تَقَعُ فِي النَّار يقعن فِيهَا وَجعل يحجزهن ويغلبنه فيقتحمن فِيهَا فَأَنَا آخِذٌ بِحُجَزِكُمْ عَنِ النَّارِ وَأَنْتُمْ يقتحمون فِيهَا» . هَذِهِ رِوَايَةُ الْبُخَارِيِّ وَلِمُسْلِمٍ نَحْوَهَا وَقَالَ فِي آخرهَا: ” فَذَلِكَ مَثَلِي وَمَثَلُكُمْ أَنَا آخِذٌ بِحُجَزِكُمْ عَنِ النَّارِ: هَلُمَّ عَنِ النَّارِ هَلُمَّ عَنِ النَّارِ فَتَغْلِبُونِي تَقَحَّمُونَ فِيهَا “حكم: مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ (الألباني وَ زبیر علی زئی)

Grade: Muttafaqun ‘alayh (Al-Albani and Zubair `Aliza’i) | Reference: Mishkat al-Masabih 149

[2] Quran-ST | 5-64

[3] Quran-ST | 104-5 to Quran-ST | 104-6

[4] Quran-ST | 24-35

[5] Quran-ST | 36-80

[6] Quran-ST | 2-24

[7] Quran-ST | 5-64

[8] Narrated Samura: The Prophet (ﷺ) said, “Last night I saw (in a dream) two men coming to me. One of them said, “The person who kindles the fire is Malik, the gate-keeper of the (Hell) Fire, and I am Gabriel, and this is Michael.”

حَدَّثَنَا مُوسَى، حَدَّثَنَا جَرِيرٌ، حَدَّثَنَا أَبُو رَجَاءٍ، عَنْ سَمُرَةَ، قَالَ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ رَأَيْتُ اللَّيْلَةَ رَجُلَيْنِ أَتَيَانِي قَالاَ الَّذِي يُوقِدُ النَّارَ مَالِكٌ خَازِنُ النَّارِ، وَأَنَا جِبْرِيلُ، وَهَذَا مِيكَائِيلُ ‏”‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 3236

[9] Abu Huraira reported Allah’s Apostle (ﷺ) as saying: The fire which sons of Adam burn is only one-seventieth part of the Fire of Hell. His Companions said: By Allah, even ordinary fire would have been enough (to burn people). Thereupon he said: It is sixty-nine parts in excess of (the heat of) fire in this world each of them being equivalent to their heat.

حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ، حَدَّثَنَا الْمُغِيرَةُ، – يَعْنِي ابْنَ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْحِزَامِيَّ – عَنْ أَبِي الزِّنَادِ، عَنِ الأَعْرَجِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏”‏ نَارُكُمْ هَذِهِ الَّتِي يُوقِدُ ابْنُ آدَمَ جُزْءٌ مِنْ سَبْعِينَ جُزْءًا مِنْ حَرِّ جَهَنَّمَ ‏”‏ ‏.‏ قَالُوا وَاللَّهِ إِنْ كَانَتْ لَكَافِيَةً يَا رَسُولَ اللَّهِ ‏.‏ قَالَ ‏”‏ فَإِنَّهَا فُضِّلَتْ عَلَيْهَا بِتِسْعَةٍ وَسِتِّينَ جُزْءًا كُلُّهَا مِثْلُ حَرِّهَا ‏”‏ ‏.‏

Reference: Sahih Muslim 2843a, Muwatta Malik Book 57, Hadith 1/1842

[10] Quran-ST | 40-49

[11] Quran-ST | 2-24

[12] Quran-ST | 2-167

[13] Quran-ST | 74-31

[14] Quran-ST | 7-50

[15] Quran-ST | 36-80

[16] Quran-ST | 13-17

[17] Quran-ST | 2-39, Quran-ST | 7-36

[18] Quran-ST | 98-6

[19] Quran-ST | 4-145

[20] Quran-ST | 18-53

[21] Quran-ST | 3-151

[22] Quran-ST | 32-20

[23] Quran-ST | 72-23

[24] Quran-ST | 2-174

[25] Quran-ST | 2-81

[26] Quran-ST | 2-275

[27] Quran-ST | 11-106

[28] Quran-ST | 4-10

[29] Quran-ST | 7-38

[30] Quran-ST | 59-16 to Quran-ST | 59-17

[31] Quran-ST | 59-16

[32] Quran-ST | 2-221

[33] Quran-ST | 15-27

[34] Quran-ST | 7-12

[35] Quran-ST | 2-221

[36] Quran-ST | 21-69

[37] Quran-ST | 29-24

Comments are closed.