Tafseer Surah al-Baqarah Part 33

</p> <p>Tafseer Surah al-Baqarah Part 33</p> <p>


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle dars me hum Surah al-Baqarah ki 14wi ayaat ki tafseer me Lafz-e-Shaitan par ahadith ka panchwa hissa sunn rahe the aur conclusion ka pehla hissa suna, aaj ke dars me Shaitan ki topic In Sha Allah khatam ho jayegi, conclusion ke doosre aur akhri hissay ke sath.

Tarjuma wa Tafseer

Vs. No. 14 Cont’d…

وَاِذَا لَقُوۡا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا قَالُوۡاۤ اٰمَنَّا ۖۚ وَاِذَا خَلَوۡا اِلٰى شَيٰطِيۡنِهِمۡۙ قَالُوۡاۤ اِنَّا مَعَكُمۡۙ اِنَّمَا نَحۡنُ مُسۡتَهۡزِءُوۡنَ‏

To jab ye momino se milte hain, unn se communicate karte hain, ya momino ki mehfilon me jaate hain to kehte hain ke, hum iman le aye hain. Lekin jab wo akele, khilwat me, apne jaise shayateen ke saath hote hain…to unn se kehte hain ke, hum tumhare saath hain…

58. SHAYAATINIHIM (Their devils) شَيَاطِيْنِهِمْ ( ش ط ن ) 2:14 Cont’d…

Conclusion – Part 2

Conclusion ke iss doosre hissay mein chand sawalon ke jawab hum denge Quran aur ahadith ke dayre me rehte huwe,

Pichle dars me humne suna tha ke, shaitan jaanwaron ki shakal me aa sakta hai, aur insaano ko nuqsan pahuncha sakta hai, phir shaitan par ahadith me suna ke, oontth se girne par jab kisi sahabi ne shaitan ko kosa, to aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Allah ka naam lo, aur shaitan ko matt koso, warna wo takabbur me phoolne lagta hai aur Allah ka naam lene se wo sikud jata hai, sikud kar makhi ke barabar ho jata hai.

  1. Pehla: To agar shaitan janwaron ko pareshan karke, hume nuqsan pahuncha sakta hai, to kya aaj ke zamane ki sawari ke zariye bhi wo hume nuqsan pahuncha sakta hai?
    • Safar ki dua ke maane agar hum samjhenge, to jawab khud hi mil jayega,
    • Quran me, Surah Zukhruf ki 12wi, 13wi aur 14wi ayaat me ye hukum aya hai ke, “Aur jisne, tamam qism ke haiwanaat paida kiye aur tumhare liye kashtiyan aur chaupaye banaye, jin par tum sawar hote ho,
    • Aur jab tum unn par baitth jao aur apne aap ko balance kar lo, to apne Rabb ka ahsaan yaad karo aur kaho { سُبۡحٰنَ الَّذِىۡ سَخَّرَ لَنَا هٰذَا وَمَا كُنَّا لَهٗ مُقۡرِنِيۡنَۙ‏ وَاِنَّاۤ اِلٰى رَبِّنَا لَمُنۡقَلِبُوۡنَ‏ } yani wo zaat paak hai, jis ne inn cheezon ko hamare liye musakhar kar diya, (hamare taabe ya hamare bas me kar diya) aur hum me taqat na thi ke iss ko apne bas me kar lete, aur hum apne paalne wale malik ki taraf lautt kar jaane waale hain.[1]
    • Ab ye safar ki dua hai, jisay janwaron aur kashtiyon me baitthne ke baad parrhne ka hukum aya, phir Surah Yaseen ki 41wi se 43wi ayaat me farmaya, “Aur ek nishani unn ke liye ye hai ke, Hum ne unn ki aulad ko bhari huwi kashti me sawar kiya, aur unn ke liye waisi hi aur cheezen paida kee.n jin par wo sawar hotay hain. Aur agar Hum chahte to unn ko gharq kar dei.n, phir na to unn ka koi faryaad sunne wala huwa aur na koi bachaane wala.”[2]
    • To jitne safar karne ki cheeze.n hain, unn par sawar ho kar hume ye dua parrhni chahiye, kyun ke, ye safar karne ki cheezen insaan ne nahi – Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne hamare liye banaya hai, aur unhe hamare control me diya hai.
    • Titan naami ek submersible keh lijiye, ya ek aisa vessel jo paani ki satah ke 4km neeche ka safar karne ke liye banaya gaya tha, jo 1912 me Titanic jo kashti Atlantic Ocean me doobi, uss ko dekhne ja rahe the, 5 log uss me sawar huwe aur 2 ghante baad wo samandar ke paane ke pressure se implode ho gayee, aur paancho log khatam ho gaye chand millisecond me.
    • Experts ke mutabiq, samandar ki uss gherai me, 6000 psi (pounds per square inch) pressure hota hai, agar iss ko compare karenge atmospheric pressure se to taqreeban 400 gunah zyada pressure hota hai, to andaza karein ke Titan par kitna pressure tha, aur iss pressure ko bardaasht karne ke liye jo safety warnings diye gaye thay, uss ko nazar-andaaz kiya gaya.
    • To Shaitan ne bhatkaya na,…, Titan jis company ne banaya, uss ka owner Stockton Rush khud uss hadesay me mara gaya. 4 aur logon ki bhi maut ho gayee, Insaano ko nuqsan pahuncha, kyun ke, ek shaitan sifat shakhs ne experts ki baat nahi maani, apni man-mani ki, aur apne saath 4 aur logon ki maut ka zimmadar bana.[3]
  2. Doosra: Phir aaj kal baaz jagahon par, khwab me operations ho rahe hain, to kya shaitan insaan ko chhu sakta hai? aur kya shaitan insaan ke koi hissay ko effect kar sakta hai, mutasir kar sakta hai ya nahi?
    • kisi ki kidney kharab thi, usay theek kar diya, ye raat ko khwab me ilaaj ho raha hai aur log theek ho rahe hain, kya aisa ho sakta hai?
    • Ab mai.n jo batane ja raha hoon, unn cheezon ka Quran aur Hadith se koi ta’aloq nahi hai,
    • Magar hum inn cheezon se inkaar bhi nahi kar sakte ke, aisi cheeze.n duniya me nahi ho rahi hain, lekin iss ka matlab ye nahi hai ke, ye sahih tareeqa hai,
    • Quran ne sharab peena haram kiya hai, to iss ka ye matlab nahi hai ke, duniya me log sharab hi nahi pi rahe hain, waise hi, jaadu, tonay, tondgay, amal, amaliyat se aap (صلى الله عليه وسلم) ne hume mana kiya hai, lekin iss ka ye matlab nahi ke aisi cheeze.n duniya me nahi ho rahi hain.
    • Musalman bhi iss me peechhay nahi hain, doosre log kar rahe hain to hum bhi kar rahe hain, aur iss ka ye matlab nahi ke, kyun ke, musalman inn buraiyyon me paday huwe hain, to ab ye kaam sahih ho gaye,
    • Kyun ke, TV par aur Youtube par videos bharay paday hain, chirstian padriyon ke, jo chamatkari shifa dete hain, andhay ko binai de di videos hain ja kar dekhiye,
    • Ek Shakhs ka inteqaal ho gaya church me, padri ne usay zindagi de di, to ye sab kuch ho raha hai,
    • To kya hum Christianity ko qabool karke Esaai bann jayenge?
    • To shifa ya bimari, faida ya nuksan, ye cheezein koi daleel nahi hai, criteria nahi hai, sabot nahi hai, kisi bhi cheez ko sahih ya ghalat sabit karne ke liye,
    • Agar mujhe maali faida ho raha hai, ya mujhe bimari se shifa ho rahi hai toh ye amal, ye ilaj ka tarikha sahih hai, jisne amal kiya, ya ilaj kiya wo saccha hai, aisa manna ghalat hai aur issi mein azmaish chhupi huwi hai,
    • Museebat me ya Bimari me, kya banda Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko pukarta hai aur Quran aur Hadith ke tariqe par chal kar apne masalon ke hal dhoondta hai aur dua karta hai aur koshish karta hai
    • Ya phir be-sabra hokar aise logon ke paas jaa kar apni takleefon ko door karta hai, jis se ke wo shirk aur bidaat mein padh jata hai.
    • Baaz log, inn amilon ke pass jate hain, aur kehte hain ke, sahab ladki ki shadi nahi ho rahi, toh aamil kehta hai ke, jo log dekhne aa rahe hain unn ke ladke ki photo aur kab aarahe bata do, to wo aamil ladke walon par jinn se asar karwaate, taakay ladki pasand aa jaye aur shaadi ho jaye.
    • Phir aamil ke paas naukri nahi lag rahi hai bol ker jate hain, to aamil kehta hai ke, interview kab hai aur kahan jaane wala hai ya kis company me hai bata do, to wo aamil interview me jinn ke zariye dakhal andaazi karta hain, ladke ko naukri mil jaati hai.
    • Lekin yahan kahani khatam nahi hoti, chalo bhai shadi ho gayee ya naukri lag gayee aur wo khushi khushi zindagi guzaarne lage…aisa to nahi hota,
    • Ek waqt agar aap inn aamilon ke paas jayenge, to unn ko to amadani ka zariya mil gaya, ab wo jinn aap ke peeche laga kar rakhte hain, to pareshaniyan to aati rahengi, shadi me pareshani aur naukri me pareshani shuru ho jayegi,
    • Ab phir aa gaye aamil ke paas, wo paise le kar phir se kuch kara deta, wo masla thodi der ke liye, hal ho jata aur ye silsila chalta rehta,
    • Jis kaam ke liye Allah se madad mangna chahiye tha, wo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko chhorrh kar doosron se madad mangne me lagay huwe hain…Aur shaitan unn ki zindagiyon me shamil ho jata hai.
    • Aur badte badte, iss hadd tak baat pohanch jati hai ke, bande ko Allah yaad hi nahi rehta, aur jab aisa ho jata hai toh,
    • فَاذْكُرُونِي أَذْكُرْكُمْ, tum mujhe yaad rakho mein tumhe yaad rakhunga, iss circle, se, iss dairay se, banda bahar nikal jata hai, وَاشْكُرُوا لِي وَلَا تَكْفُرُونِ aur Mera shukar aada karo aur na-shukri nahi karna, goya ke shukr toh uske andar se khatam ho hi gaya, kyon ke woh Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ka nahi, amilon ka shukr aata kar raha hai, lekin yahan baat khatam nahi hoti,
    • phir Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) khud uske peeche ek shaitan ko muqarar kar dete hain, jo ussay mazeed bhat kata hai, hatta ye ke uss bande ka thikana dozak yakeenan ho jata hai
    • Ye tamam cheezen, hamare maashre me ho rahe hain, aur inn ka hamare deen se koi taloq nahi hai,
    • Iss masle ka jawab bhi hum Quran aur Hadith ke dayre me reh kar dena chahe.nge aur sab se pehle ye baat samajh le.in ke, shaitan ki taraf se koi khair insaan ko nahi mil sakta,
    • Agar koi khair zahiri taur par dikh bhi raha hai to, wo sirf ek dhoka hai aur batin me, ya uss ke andar ka jaiza lenge to pata chalega ke ye to shirk se aur gunah se related cheez hai,
    • Quran me Surah al-Baqarah ki 275wi ayat me ata hai ke, Jo log sood khaate hain, wo Qiyamat ke din, apni khabron se aise utthenge jaise kisi ko shaitan ne chhu kar diwana bana diya ho,
    • To pata chala ke, shaitan jab insaan ko chhuta hai, to wo uss ko diwana bana deta hai,
    • Aur jahan tak bimari ki shifa ki baat hai, Abu Dawood ki hadith, farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, mantar padhna, ganday aur mankay aur jaadu ki cheezen ya tehreere.n, yani mantar parrhe nahi balke likh diye aur taweez banal iye, ye sab shirk hai.
    • Abdullah Ibn Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) jo hadith ke rawi hain, unn ki ahliya farmati hain ke, aap ye kyun kehte hain (ke dum karna waghairah shirk hai)? Allah ki qasam! Meri aankh dard ki wajah se goya nikli jaati thi, to main fulan yahoodi ke paas jaati aur wo mujhe dum karta tha. Jab wo dum karta to mera dard ruk jaata tha.
    • Abdullah Ibn Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) ne farmaya ke, ye shaitan ki karastaani hoti thi, wo tumhari aankh me apni ungli maarta tha, to jab wo yahoodi dum karta to shaitan baaz aa jata tha, halanke tumhe yehi kuch kehna kaafi tha, jaise Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) kaha karte the,
    • Izhabil ba’sa, Rabban Nas, Ashfi antash Shafi, La Shifa’a illa Shifa’uka, Shifa’an la yughadiru Saqama.[4]
    • To jo log chamatkaar karte hain, wo shaitan ke dost hain, jaisa iss hadith se pata chalta hai. Aur jo bhi baba’on ke paas, aamilon ke paas, jaadugaron ke paas jayega, wo shirk kar raha hai.
  3. Teesra: Ahadith me humne suna ke, Jung-e-Uhud me Shaitan ne awaz di ke, Aye Allah ke bando apne peechay walon se daro, to kya shaitan doosre logon ko hamare khilaf bhadka kar hume nuqsan pahuncha sakta hai?
    • Ab iss hadith me, Hudaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) farmatay hain ke, wo kahe ja rahe thay Musalmano se ke, tum log jisay maar rahe ho, wo mere walid hain, lekin dekhte hi dekhte musalmano hi ne unn ke walid ka qatl kar diya.
    • To haan shaitan kisi bhi bhes me ho, wo insaano ko nuqsan pahunchane ke liye amada hota hai,
    • Shaitan ka kaam insaano ko gumrah karna hai, wo hamari taraf se koi khud khadam nahi utthata, hume ya hamare dushmano ko uchkaal kar la sakta hai, aur lada kar bhaag jata hai,
    • Yehi mamela Jung-e-Badr me bhi huwa, Quran me Surah al-Anfaal ki 48wi ayat me ata hai ke, “Aur jab Shaitan ne unn logon ke amaal ko unn ki nigaahon me khushnuma bana ker, (decorate karke, muzayyan kar ke dikhaya) tha aur unn se kaha tha ke aaj koi tum par ghalib nahi.n aa sakta aur ye ke, main tumhare saath hoon, magar jab dono giroh ek doosre ke aamne saamne khade ho gaye to, wo ultay paa.on phir gaya aur kehne laga ke, mera tumhara sath nahi.n hai, main wo kuch dekh raha hoon jo tum log nahin dekh saktay, mujhe Allah se darr lagta hai aur Allah badi sakht saza dene wala hai.[5]
    • Iss ayat ki tafseer me Tabrani ne ek daif isnaad ke saath hadith bayan ki hai, Ibn Abbas farmate hain ke, Iblis Jung-e-Badr ke din shayateen ki fauj le kar aya.
    • Maine usay Banu Mudlij ke ek aadmi ki shakal me dekha, jis ka naam Suraqa bin Malik bin Jusham tha, Shaitan ne mushrikeen se kaha, aaj ke din koi bhi tum par ghalib nahi aa sakta aur main tumhara muhafiz rahoonga.
    • Phir jab log saff bana kar khade ho gaye to Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne mutthi bhar mitti li aur mushrikeen ke muh.on par phek di, jo palatt kar bhaag gaye,
    • Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) – Iblis ke paas aaye aur unhe dekha, to uss ka haath ek mushrik ke haath me tha, Iblis ne apna haath khheench liya aur wo aur uss ki jama’at bhag gaye,
    • Uss shakhs ne kaha, aye Suraqa, kyun tum ne nahin kaha tha ke tum hamari hifazat karoge? To wo bola: Beshak main wo dekh raha hoon, jo tum nahi dekh saktay, Beshak! Main Allah se darta hoon, kyun ke, Allah sakht saza dene wala hai.
    • Uss waqt uss ne farishton ko dekha.[6]
    • Muwatta Imam Malik ki ek hadith, farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, Arafat ke din se zyada, kisi aur din Shaitan ko zaleel aur zyada manhoos aur zyada ghazabnaak nahi hota, kyun ke, wo Allah ki rahmat ko aur logon ke gunahon ko maaf hote dekh raha hota hai,
    • Siway Badr ke din ke, jo usay dikhaya gaya tha,
    • To kisi ne poochha, Badr ke din Shaitan ko kya dikhaya gaya tha, Ya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم)?
    • To Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, Jung-e-Badr ke din Jibrail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ko farishton ki saffe.n tarteeb dete huwe dikhaya gaya tha.[7]
    • To Shaitan Kuffar-e-Makkah ke sardaron ko waaday muhayde kar ke laya, aur jab farishton ki fauj ko dekh liya to bhag khada huwa, aur tamam kattar sardaar, jung-e-badr me maare gaye, 70 kafiron ka qatl huwa, ye insano ka nuqsan nahi to aur kya hai?
  4. Chohta: Acha,…, kya shaitan ko pata hota hai ke hamare dimagh mein kya chal raha hai? ya phir wo halat aur mauzu dekh kar apne hisab se waswase dalta hai?
    • Shaitan kis tarha waswase dalta hai?
    • Shaitan par Qurani ayat me humne suna tha ke, shaitan insaano ki khwaheshaat me wasswasse daalta hai,
    • Phir ahadith me suna ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, shaitan ragon me khoon ki tarah dawra karta hai, to jo electromagnetic signals hamara dil,…, hamare dimagh ko aur deegar azaa ko bhejta hai, wo electromagnetic signals ke zariye pahunchte hain, to jo cheez hamare jism ke andar hai, kya wo inn signals ko nahi jaan sakta?
    • Phir lafz-e-qalb ko samjhaate waqt ek baat ye kahi thi ke, dil ki ya qalb ki ek electromagnetic field hoti hai, jo jism ke atraaf 3 feet ki radius me maujood hoti hai, jo insaan ke emotional state se influence hoti hai, aur insaan ke jism ke aur dil-o-dimagh ki emotional kaifiyat zahir karti hai.[8]
    • Phir lafz-e-wahi ko samjhate waqt hum ne kaha tha ke, science ke mutabiq kan-patti ke ooper ka hissa aur peshani ke ooper ka hissa sensitive hai, radar ke signals ko, jo microwave frequency range me hote hain.
    • Inn hisson par radar ki frequency ke signals bhejne se bhairon ko bhi sunai deta hai, hum ne bataya tha.
    • Phir US aur UK me aur duniya ke kuch muqamat par, chand logon ko ek awaaz sunai deti hai, jo bohot hi low frequency awaz hai, jisay sciencedaan “The Hum” ka naam diye hain. To insaano ke 3% logon ko hi sunai deti hai, aam logon ko nahi sunai deti.
    • To ye tamam cheezen Shaitan ke wasswasson ke liye bhi valid hai.
    • Shaitan jis frequency me operate karta hai, wo hume sunai ya dikhai to nahi deti hai lekin, wo hum se interact zaroor karta hai aur wasswassay daalta hai.
    • To zahiri taur par aisa lagta hai ke, shaitan insaan ke andar, uss ke dil-o-dimagh me kya chal raha hai, wo jaanta hai, aur wasswasse daalta hai,
    • Lekin, Abu Dawood aur Tirmidhi ki ahadith jis me aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, ek student ke liye, ek talib-e-ilm ke liye, ya ek aalim ke liye, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى), uss ke Farishte, aasmaano me rehne walay aur zameen par rehne walay, yahan tak ke chumtti jo ek surakh me rehti hai aur machliyan jo samandar me rehti hain wo sab uss ki salamati ki dua karte hain, uss ki maghfirat ki dua karte hain. Aur farishte apne paron ko phailate hain ya unhe neeche karte hain, aalim ki izzat me.[9]
    • Phir Bukhari aur Muslim ki ek Muttafiqun Alaih hadith se pata chalta hai ke, Jab Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) kisi shakhs se muhabbat karte hain, to Jibrail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) se kehte hain ke main fulan shakhs se muhabbat karta hoon, to tum bhi uss se muhabbat karo, to wo uss se muhabbat karne lagte hain, aur wo aasmaan ke rehne walon me announce karte hain, ailan karte hain ke Allah fulan shakhs se muhabbat karta hai, to farishte bhi uss se muhabbat karne lagte hain,
    • Muslim ki ek aur hadith me hai ke, zameen par rehne wale bhi uss shakhs se muhabbat karne lagte hain, aur agar Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) kisi se nafrat karte hain, to Jibrail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) se keh dete hain ke main fulan shakhs se nafrat karta hoon, to Jibrail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) bhi uss se nafrat karte hain, aur aasmaano me ailan kar dete hain, to farishte bhi uss shakhs se nafrat karte hain aur zameen walay bhi uss se nafrat karte hain.[10]
    • To inn ahadith se ye pata chal raha hai ke, jab tak ye muhabbat aur nafrat ka mamela, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki taraf se shuru nahi hota, zameen aur aasmaan ke bashindon ko nahi pata ke, ye shakhs kaisa hai, uss ke dil me kya chal raha hai?
    • To lazmi si baat hai ke, shaitan ko bhi ye nahi maloom ke insaan ke dil me kya hai, lekin shaitan intelligent hai, uss ki hamare sath wabastagi ki wajah se, usay andaza hai ke, wo hume kahan behka sakta hai, aur ye uss ka experience bhi hai, kyun ke, wo hamare sath paidaish se laga huwa hai,
    • To uss ka andaza kabhi sahi ho jata hai aur kabhi ghalat ho jata hai, aur agar banda nek hai to waise bhi shaitan ke wasswasse uss par kaam nahi karte, aur agar banda gunahgaar hai, to waise bhi wo shaitan ki baat zyada sunn raha hota hai, aur har wasswasse par amal kar raha hota hai.
    • Wallahu Alam
  1. Panchwa: Shaitan ki jismani taqat kitni hai?
    • Muslim ki hadith no. 541a aur 542 jise Abu Hurairah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه)[11] aur Abu Darda (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه)[12] rivayat karte hain ke, hadith ke aakhri hissay mein RasoolAllah (صلى الله عليه وسلم) farmte hain ke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki qasm, agar hamare bhai Sulaiman (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ki dua nahi hoti toh ahl-e-Madina ke bacche isse khelte,
    • goya ke jab jinn aaya namaz ke dauran aur satane laga toh, RasoolAllah (صلى الله عليه وسلم) ne haath badaya aur use pakad ne ki koshish ki, agar haath aajata toh, band kar rakte, isse log dekh bhi sakte aur Madine ke bacche iss ke khelte.
    • Thoda sonchiye ke jismani taqat itni ke bacche khel sakte.
    • Shaitan ki koi taaqat nahi, uss ka hum par koi bass nahi, shaitan hume force nahi kar sakta koi kaam karne ke liye, wo sirf wasswasse daalta hai aur peeche hatt jata hai,
    • Aur na wo majboor karta hai ke, hum uss ke wasswasson par amal kare, aur jab wasswasse aate hain to, unn ke aane par hamari koi pakkad nahi hoti, agar hum unn par amal karte hain, tab hi pakkad hoti hai,
    • Jab tak Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki marzi shamil-e-haal nahi hai, kuch bhi nahi ho sakta,
    • Na koi aamil kuch dakhal andaazi kar sakta hai, na koi jinn,
    • Tamam ki tamam qudrat Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki hai.
  2. Chhetta: Quran aur Ahadith se hume maloom huwa ke, insano ki aksariyat jahannam mein hogi, sirf 0.1% log hi jannat me jayenge, baaqi sab jahannam me, toh kya shaitan apne maqsad mein kamiyab ho gaya?
    • Pehli baat to ye hai ke, shaitan ko Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne insaano ko bhatkaane ki ijazat di, warna uss ki koi majaal nahi thi ke, wo insaano ko bhatka sakay ya nuqsan pahuncha sakay,
    • Insaan Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ka top most creation hai, aur wo information processing being hai, aur jaisa ke hadith me aya hai ke, har insaan ke saath ek farishta aur ek jin lagay huwe hain, to farishta sahih information pahunchata hai, haq ki taraf dawat deta hai, aur jin ghalat information pahunchata hai, burai ki taraf dawat deta hai.
    • To ab insaan ke saamne, do conflicting information hai, lekin Quran me, jo ke sahih aur ghalat cheezon me farq karne wali kitab hai, uss ke zariye hume maloom hai ke, iss duniya me sahih aur seedhay raaste par chalne se, aakhirat me insaan ko kamiyabi milti hai, inn tamam cheezon ke bawajood insaan ke paas free will bhi hai, to jo insaan apni free will se sahih raaste ko chunn le wo iss duniya ke test me kamiyab ho gaye aur jo aisa na kare, wo iss duniya ke test me fail ho gaye,
    • Quran me Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne declare kar diya ke,
    • {بَلۡ اَكۡثَرُهُمۡ لَا يُؤۡمِنُوۡنَ‏} – Haqeeqat ye hai ke, asksariyat iman nahi laate.[13]
    • {وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ النَّاسِ لَا يَشْكُرُونَ} – Lekin Aksar insaan shukr ada nahi karte.[14]
    • {مِنۡهُمُ الۡمُؤۡمِنُوۡنَ وَاَكۡثَرُهُمُ الۡفٰسِقُوۡنَ‏} – Ahle Kitab ke baare me aya hai ke, unn me kuch to momin hain lekin aksar unn me fasiq hain, ya aksar na-farmaan hain.[15]
    • {وَأَكْثَرُهُمْ لَا يَعْقِلُونَ} – Aur unn me se aksar aqal nahi rakhte.[16]
    • {وَأَكْثَرُهُمُ الْكَافِرُونَ} – Aur unn me aksar Kufr karte hain, ya Allah ki nematon ka inkaar karte hain.[17]
    • Ye tamam haqaiq ko saamne rakhne se aisa lag raha hai ke, shaitan apne maqsad me kamiyab ho gaya.

Agar Shaitan jeet gaya to, wo kya cheez hai jis ne shaitan ko rula diya? What made the devil (Iblees) cry?

  • Surah Al Imran ki 135wi aur 136wi ayaat me, Rabbul Aalameen farmate hain, “aur woh log jo jab koi be-hayai karte hain ya – apne upar zulm karte hain to Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko yaad karte hain aur – apne gunaho ki maafi mangte hain, aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke siwa kon gunaho ko maaf karne wala hai? aur woh jantay bhujte iss (gunah) par aday nahi rehte.[18]
  • Aisay logon ka badla unn ke paalne wale malik ki taraf se bakhshish hai aur Jannat ke baagh hain, jin ke neechay nehrein behti hain, woh unn mein rahenge, aur amal karne walon ke liye behtareen ajar hai.[19]
  • Phir Mishkat mein ek muttafiqun alaih hadith jis me, RasoolAllah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne ek aise shakhs ke baray mein bataya jis ne gunah kiya aur kaha: aye mere Rabb mein ne gunah kiya hai, to mujhe maaf kar de, uss ke Rabb ne jawab diya, “kya mere bande ko maloom hai ke uss ka ek Rabb hai jo gunahon ko maaf karta hai aur uss ki saza bhi de sakta hai?
  • Mein (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne apne bande ko maaf kar diya hai,” (uss ke baad) jab tak Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne chaha, itna waqt guzarne ke baad uss shakhs ne phir gunah kiya aur kaha aye mere Rabb mein ne gunah kiya hai to mujhe maaf kar de, uss ke Rabb ne jawab diya: kya mera bandah jaanta hai ke uss ka ek Rabb hai jo gunahon ko maaf karta hai aur uss ki saza bhi deta hai?
  • Mein (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne apne bande ko maaf kar diya hai, phir Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne jitna waqt chaha (guzarne ke baad) uss shaks ne [farmabardari se] rehne ke baad, phir ek gunah kiya aur kaha: aye mere Rabb mein ne ek aur gunah kiya hai, toh mujhe maaf kar de, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne jawab diya: kya mera bandah jaanta hai ke uss ka ek Rabb hai jo gunahon ko maaf karta hai uss ki saza bhi de sakta hai? Mein (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne apne bande ko maaf kar diya hai, lehaza woh jo chahay kare.[20]
  • Phir Tafseer Ibn Kathir me Abdur-Razzaq ki ek hadith recorded hai Anas bin Malik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) farmate hain ke jab, “Surah aal-Imran ki 135wi ayat nazil huwi (jo abhi hum ne suni) to shaitan ro pada”.[21]
  • Shaitan ki puri koshish zaya hogayi, zindagi bhar wo ghaat laga kar raaste mein baitha raha lekin jab bande ne maafi maang li toh Rabbul Aalameen ne maaf kar diya.
  • Toh huwa ye ke Shaitan ke chele-chapate, uss ke paas aaye aur ronay ki wajah poochne lage, toh shaitan ne wajeh batayi
  • toh uss ke chelon ne kaha ke hum musalmano ko gumrahi mein daal denge takay wo mafi hi na maange,
  • jab ghalati ko ghalati hi nahi samjhenge toh mafi kahan se maangenge,
  • Issi ko bidat kehte hain, aise kaam karna jo gunah hai lekin ye samajhna ke iss se sawab mil raha hai, to shaitan ne hume bidaat me daal rakha hai, jiss se hume bachna chahiye, tauba karke maafi maang lena chahiye, takay Allah Rabbul Izzat hume maaf kar de.
  • Issi tareeqe se hum shaitan ko hara saktay hain.

Yahan Dars rok denge, next Saturday In Sha Allah Surah al-Baqarah ki tafseel agay sunenge.

Al hamdulillahi Rabbil Alameen

Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam

Rabbana aatina fid duniya…

References

[1] Quran-ST | 43-12 to Quran-ST | 43-14

[2] Quran-ST | 36-41 to Quran-ST | 36-42

[3] Source: “Like the Titanic, the Titan sank because warnings were ignored” – James Cameron – TVMnews.mt, Titan submersible implosion – Wikipedia and Stockton Rush Titan tests (livemint.com)

[4] Narrated Abdullah ibn Mas’ud: Zaynab, the wife of Abdullah ibn Mas’ud, told that Abdullah said: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) saying: spells, charms and love-potions are polytheism. I asked: Why do you say this? I swear by Allah, when my eye was discharging I used to go to so-and-so, the Jew, who applied a spell to me. When he applied the spell to me, it calmed down. Abdullah said: That was just the work of the Devil who was picking it with his hand, and when he uttered the spell on it, he desisted. All you need to do is to say as the Messenger of Allah (ﷺ) used to say: Remove the harm, O Lord of men, and heal. Thou art the Healer. There is no remedy but Thine which leaves no disease behind.

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْعَلاَءِ، حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ، حَدَّثَنَا الأَعْمَشُ، عَنْ عَمْرِو بْنِ مُرَّةَ، عَنْ يَحْيَى بْنِ الْجَزَّارِ، عَنِ ابْنِ أَخِي، زَيْنَبَ امْرَأَةِ عَبْدِ اللَّهِ عَنْ زَيْنَبَ، امْرَأَةِ عَبْدِ اللَّهِ عَنْ عَبْدِ اللَّهِ، قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏”‏ إِنَّ الرُّقَى وَالتَّمَائِمَ وَالتِّوَلَةَ شِرْكٌ ‏”‏ ‏.‏ قَالَتْ قُلْتُ لِمَ تَقُولُ هَذَا وَاللَّهِ لَقَدْ كَانَتْ عَيْنِي تَقْذِفُ وَكُنْتُ أَخْتَلِفُ إِلَى فُلاَنٍ الْيَهُودِيِّ يَرْقِينِي فَإِذَا رَقَانِي سَكَنَتْ ‏.‏ فَقَالَ عَبْدُ اللَّهِ إِنَّمَا ذَاكِ عَمَلُ الشَّيْطَانِ كَانَ يَنْخَسُهَا بِيَدِهِ فَإِذَا رَقَاهَا كَفَّ عَنْهَا إِنَّمَا كَانَ يَكْفِيكِ أَنْ تَقُولِي كَمَا كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏”‏ أَذْهِبِ الْبَاسَ رَبَّ النَّاسِ اشْفِ أَنْتَ الشَّافِي لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا”‏ ‏.‏

Grade: Sahih (Al-Albani) | Reference: Sunan Abi Dawud 3883, Mishkat al-Masabih 4552

[5] Quran-ST | 8-48

[6] Tabrani | Tafseer 13/7, Source: How could the Shaytaan appear to the disbelievers in the battle of Badr when he is chained up during Ramadan and the battle was in Ramadan? – Islam Question & Answer (islamqa.info)

[7] Yahya related to me from Malik from Ibrahim ibn Abi Abla from Talha ibn Ubaydullah ibn Kariyz that the Messenger of Allah, may Allah bless him and grant him peace, said, “Shaytan is not considered more abased or more cast out or more contemptible or more angry on any day than on the Day of Arafa. That is only because he sees the descent of the Mercy and Allah’s disregard for great wrong actions. That is except from what he was shown on the Day of Badr.” Someone said, “What was he shown on the Day of Badr, Messenger of Allah?” He said, “Didn’t he see Jibril arranging the ranks of the angels?”

وَحَدَّثَنِي عَنْ مَالِكٍ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ بْنِ أَبِي عَبْلَةَ، عَنْ طَلْحَةَ بْنِ عُبَيْدِ اللَّهِ بْنِ كَرِيزٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏”‏ مَا رُئِيَ الشَّيْطَانُ يَوْمًا هُوَ فِيهِ أَصْغَرُ وَلاَ أَدْحَرُ وَلاَ أَحْقَرُ وَلاَ أَغْيَظُ مِنْهُ فِي يَوْمِ عَرَفَةَ وَمَا ذَاكَ إِلاَّ لِمَا رَأَى مِنْ تَنَزُّلِ الرَّحْمَةِ وَتَجَاوُزِ اللَّهِ عَنِ الذُّنُوبِ الْعِظَامِ إِلاَّ مَا أُرِيَ يَوْمَ بَدْرٍ ‏”‏ ‏.‏ قِيلَ وَمَا رَأَى يَوْمَ بَدْرٍ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ ‏”‏ أَمَا إِنَّهُ قَدْ رَأَى جِبْرِيلَ يَزَعُ الْمَلاَئِكَةَ ‏”‏ ‏.‏

Reference: Muwatta Malik Urdu Hadith 938 (Waheeduz Zaman) |Sunnah.com Hadith Book 20, Hadith 950

[8] Source: Chapter 06: Energetic Communication | HeartMath Institute

[9] Narrated Kathir ibn Qays: Kathir ibn Qays said: I was sitting with AbudDarda’ in the mosque of Damascus. A man came to him and said: AbudDarda, I have come to you from the town of the Messenger of Allah (ﷺ) for a tradition that I have heard you relate from the Messenger of Allah (ﷺ). I have come for no other purpose. He said: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: If anyone travels on a road in search of knowledge, Allah will cause him to travel on one of the roads of Paradise. The angels will lower their wings in their great pleasure with one who seeks knowledge, the inhabitants of the heavens and the Earth and the fish in the deep waters will ask forgiveness for the learned man. The superiority of the learned man over the devout is like that of the moon, on the night when it is full, over the rest of the stars. The learned are the heirs of the Prophets, and the Prophets leave neither dinar nor dirham, leaving only knowledge, and he who takes it takes an abundant portion.

حَدَّثَنَا مُسَدَّدُ بْنُ مُسَرْهَدٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ دَاوُدَ، سَمِعْتُ عَاصِمَ بْنَ رَجَاءِ بْنِ حَيْوَةَ، يُحَدِّثُ عَنْ دَاوُدَ بْنِ جَمِيلٍ، عَنْ كَثِيرِ بْنِ قَيْسٍ، قَالَ كُنْتُ جَالِسًا مَعَ أَبِي الدَّرْدَاءِ فِي مَسْجِدِ دِمَشْقَ فَجَاءَهُ رَجُلٌ فَقَالَ يَا أَبَا الدَّرْدَاءِ إِنِّي جِئْتُكَ مِنْ مَدِينَةِ الرَّسُولِ صلى الله عليه وسلم لِحَدِيثٍ بَلَغَنِي أَنَّكَ تُحَدِّثُهُ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم مَا جِئْتُ لِحَاجَةٍ ‏.‏ قَالَ فَإِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏ “‏ مَنْ سَلَكَ طَرِيقًا يَطْلُبُ فِيهِ عِلْمًا سَلَكَ اللَّهُ بِهِ طَرِيقًا مِنْ طُرُقِ الْجَنَّةِ وَإِنَّ الْمَلاَئِكَةَ لَتَضَعُ أَجْنِحَتَهَا رِضًا لِطَالِبِ الْعِلْمِ وَإِنَّ الْعَالِمَ لَيَسْتَغْفِرُ لَهُ مَنْ فِي السَّمَوَاتِ وَمَنْ فِي الأَرْضِ وَالْحِيتَانُ فِي جَوْفِ الْمَاءِ وَإِنَّ فَضْلَ الْعَالِمِ عَلَى الْعَابِدِ كَفَضْلِ الْقَمَرِ لَيْلَةَ الْبَدْرِ عَلَى سَائِرِ الْكَوَاكِبِ وَإِنَّ الْعُلَمَاءَ وَرَثَةُ الأَنْبِيَاءِ وَإِنَّ الأَنْبِيَاءَ لَمْ يُوَرِّثُوا دِينَارًا وَلاَ دِرْهَمًا وَرَّثُوا الْعِلْمَ فَمَنْ أَخَذَهُ أَخَذَ بِحَظٍّ وَافِرٍ ‏”‏ ‏.‏ حكم: صحيح (الألباني)

Grade:Sahih (Al-Albani) | Reference: Sunan Abi Dawud 3641

Narrated Abu Umamah Al-Bahili: “Two men were mentioned before the Messenger of Allah (ﷺ). One of them a worshiper, and the other a scholar. So the Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘The superiority of the scholar over the worshiper is like my superiority over the least of you.’ Then the Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘Indeed Allah, His Angels, the inhabitants of the heavens and the earths – even the ant in his hole, even the fish – say Salat upon the one who teaches the people to do good.'”

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ الأَعْلَى الصَّنْعَانِيُّ، حَدَّثَنَا سَلَمَةُ بْنُ رَجَاءٍ، حَدَّثَنَا الْوَلِيدُ بْنُ جَمِيلٍ، حَدَّثَنَا الْقَاسِمُ أَبُو عَبْدِ الرَّحْمَنِ، عَنْ أَبِي أُمَامَةَ الْبَاهِلِيِّ، قَالَ ذُكِرَ لِرَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم رَجُلاَنِ أَحَدُهُمَا عَابِدٌ وَالآخَرُ عَالِمٌ فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ فَضْلُ الْعَالِمِ عَلَى الْعَابِدِ كَفَضْلِي عَلَى أَدْنَاكُمْ ‏”‏ ‏.‏ ثُمَّ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ إِنَّ اللَّهَ وَمَلاَئِكَتَهُ وَأَهْلَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ حَتَّى النَّمْلَةَ فِي جُحْرِهَا وَحَتَّى الْحُوتَ لَيُصَلُّونَ عَلَى مُعَلِّمِ النَّاسِ الْخَيْرَ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ غَرِيبٌ ‏.‏ قَالَ سَمِعْتُ أَبَا عَمَّارٍ الْحُسَيْنَ بْنَ حُرَيْثٍ الْخُزَاعِيَّ يَقُولُ سَمِعْتُ الْفُضَيْلَ بْنَ عِيَاضٍ يَقُولُ عَالِمٌ عَامِلٌ مُعَلِّمٌ يُدْعَى كَبِيرًا فِي مَلَكُوتِ السَّمَوَاتِ ‏.‏

Grade: Hasan (Darussalam) | Reference: Jami` at-Tirmidhi 2685

[10] Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) said, “If Allah loves a person, He calls Gabriel saying, ‘Allah loves so and-so; O Gabriel! Love him.’ Gabriel would love him and make an announcement amongst the inhabitants of the Heaven. ‘Allah loves so-and-so, therefore you should love him also,’ and so all the inhabitants of the Heaven would love him, and then he is granted the pleasure of the people on the earth.”

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ سَلاَمٍ، أَخْبَرَنَا مَخْلَدٌ، أَخْبَرَنَا ابْنُ جُرَيْجٍ، قَالَ أَخْبَرَنِي مُوسَى بْنُ عُقْبَةَ، عَنْ نَافِعٍ، قَالَ قَالَ أَبُو هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم‏.‏ وَتَابَعَهُ أَبُو عَاصِمٍ عَنِ ابْنِ جُرَيْجٍ، قَالَ أَخْبَرَنِي مُوسَى بْنُ عُقْبَةَ، عَنْ نَافِعٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ “‏ إِذَا أَحَبَّ اللَّهُ الْعَبْدَ نَادَى جِبْرِيلَ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلاَنًا فَأَحْبِبْهُ‏.‏ فَيُحِبُّهُ جِبْرِيلُ، فَيُنَادِي جِبْرِيلُ فِي أَهْلِ السَّمَاءِ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلاَنًا فَأَحِبُّوهُ‏.‏ فَيُحِبُّهُ أَهْلُ السَّمَاءِ، ثُمَّ يُوضَعُ لَهُ الْقَبُولُ فِي الأَرْضِ ‏”‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 3209

Abu Huraira reported that Allah’s Messenger (ﷺ) said: When Allah loves a servant, He calls Gabriel and says: Verily, I so and so; you should also love him, and then Gabriel begins to love him. Then he makes an announcement in the heaven saying: Allah loves so and so and you also love him, and then the inhabitants of the Heaven (the Angels) also begin to love him and then there is conferred honour upon him in the earth; and when Allah is angry with any servant He calls Gabriel and says: I am angry with such and such and you also become angry with him, and then Gabriel also becomes angry and then makes an announcement amongst the inhabitants of heaven: Verily Allah is angry with so-and so, so you also become angry with him, and thus they also become angry with him. Then he becomes the object of wrath on the earth also.

حَدَّثَنَا زُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ، حَدَّثَنَا جَرِيرٌ، عَنْ سُهَيْلٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ إِنَّ اللَّهَ إِذَا أَحَبَّ عَبْدًا دَعَا جِبْرِيلَ فَقَالَ إِنِّي أُحِبُّ فُلاَنًا فَأَحِبَّهُ – قَالَ – فَيُحِبُّهُ جِبْرِيلُ ثُمَّ يُنَادِي فِي السَّمَاءِ فَيَقُولُ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلاَنًا فَأَحِبُّوهُ ‏.‏ فَيُحِبُّهُ أَهْلُ السَّمَاءِ – قَالَ – ثُمَّ يُوضَعُ لَهُ الْقَبُولُ فِي الأَرْضِ ‏.‏ وَإِذَا أَبْغَضَ عَبْدًا دَعَا جِبْرِيلَ فَيَقُولُ إِنِّي أُبْغِضُ فُلاَنًا فَأَبْغِضْهُ – قَالَ – فَيُبْغِضُهُ جِبْرِيلُ ثُمَّ يُنَادِي فِي أَهْلِ السَّمَاءِ إِنَّ اللَّهَ يُبْغِضُ فُلاَنًا فَأَبْغِضُوهُ – قَالَ – فَيُبْغِضُونَهُ ثُمَّ تُوضَعُ لَهُ الْبَغْضَاءُ فِي الأَرْضِ ‏”‏ ‏.‏

Reference: Sahih Muslim 2637a to Sahih Muslim 2637c

Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: The Prophet (ﷺ) said, “When Allah loves a slave, calls out Jibril and says: ‘I love so-and-so; so love him’. Then Jibril loves him. After that he (Jibril) announces to the inhabitants of heavens that Allah loves so- and-so; so love him; and the inhabitants of the heavens (the angels) also love him and then make people on earth love him”. [Al- Bukhari and Muslim].

Another narration of Muslim is: Messenger of Allah, (ﷺ) said: “When Allah loves a slave, He calls Jibril (Gabriel) and says: ‘I love so-and-so; so love him.’ And then Jibril loves him. Then he (Jibril) announces in the heavens saying: Allah loves so-and-so; so love him; then the inhabitants of the heavens (the angels) also love him; and then people on earth love him. And when Allah hates a slave, He calls Jibril and says: ‘I hate so- and-so, so hate him.’ Then Jibril also hates him. He (Jibril) then announces amongst the inhabitants of heavens: ‘Verily, Allah hates so- and-so, so you also hate him.’ Thus they also start to hate him. Then he becomes the object of hatred on the earth also”. [Muslim].

وعنه عن النبي، صلى الله عليه وسلم، قال‏:‏ ‏”‏إذا أحب الله العبد نادى جبريل‏:‏ إن الله تعالى يحب فلانًا، فأحببه، فيحبه جبريل، فينادي في أهل السماء‏:‏ إن الله يحب فلانًا، فأحبوه، فيحبه أهل السماء، ثم يوضع له القبول في الأرض‏”‏ ‏(‏‏(‏متفق عليه‏)‏‏)‏ ‏.‏

وفي رواية لمسلم ‏:‏ قال رسول الله صلى الله عليه وسلم‏:‏ ‏”‏إن الله تعالى إذا أحب عبدًا دعا جبريل، فقال ‏:‏ إني أحب فلانًا فأحببه، فيحبه جبريل، ثم ينادي في السماء، فيقول‏:‏ إن الله يحب فلانًا، فأحبوه فيحبه أهل السماء، ثم يوضع له القبول في الأرض، وإذا أبغض عبدًا دعا جبريل فيقول‏:‏ إني أبغض فلانًا، فأبغضه، فيبغضه جبريل، ثم ينادي في أهل السماء، إن الله يبغض فلانًا، فأبغضوه، ثم توضع له البغضاء في الأرض‏”‏‏.‏

Reference: Riyad as-Salihin 387

[11] حَدَّثَنَا إِسْحَاقُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ، وَإِسْحَاقُ بْنُ مَنْصُورٍ، قَالاَ أَخْبَرَنَا النَّضْرُ بْنُ شُمَيْلٍ، أَخْبَرَنَا شُعْبَةُ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدٌ، – وَهُوَ ابْنُ زِيَادٍ – قَالَ سَمِعْتُ أَبَا هُرَيْرَةَ، يَقُولُ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ إِنَّ عِفْرِيتًا مِنَ الْجِنِّ جَعَلَ يَفْتِكُ عَلَىَّ الْبَارِحَةَ لِيَقْطَعَ عَلَىَّ الصَّلاَةَ وَإِنَّ اللَّهَ أَمْكَنَنِي مِنْهُ فَذَعَتُّهُ فَلَقَدْ هَمَمْتُ أَنْ أَرْبِطَهُ إِلَى جَنْبِ سَارِيَةٍ مِنْ سَوَارِي الْمَسْجِدِ حَتَّى تُصْبِحُوا تَنْظُرُونَ إِلَيْهِ أَجْمَعُونَ – أَوْ كُلُّكُمْ – ثُمَّ ذَكَرْتُ قَوْلَ أَخِي سُلَيْمَانَ رَبِّ اغْفِرْ لِي وَهَبْ لِي مُلْكًا لاَ يَنْبَغِي لأَحَدٍ مِنْ بَعْدِي ‏.‏ فَرَدَّهُ اللَّهُ خَاسِئًا ‏”‏ ‏.‏ وَقَالَ ابْنُ مَنْصُورٍ شُعْبَةُ عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ زِيَادٍ ‏.‏

Abu Huraira reported that he heard the Messenger of Allah (ﷺ) saying: A highly wicked one amongst the Jinn escaped yesternight to interrupt my prayer, but Allah gave me power over him, so I seized him and intended to tie him to one of the pillars of the mosque in order that you, all together or all, might look at him, but I remembered the supplication of my brother Sulaiman: ” My Lord, forgive me, give me such a kingdom as will not be possible for anyone after me” (Qur’an, xxxvii. 35).

Sahih Muslim 541a

Chapter 8: The permissibility of cursing the Shaitan during prayer, and seeking refuge with Allah from him; and the permissibility of doing a few actions while in salat, Book 5: The Book of Mosques and Places of Prayer

https://sunnah.com/muslim:541a

[12] حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ سَلَمَةَ الْمُرَادِيُّ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ، عَنْ مُعَاوِيَةَ بْنِ صَالِحٍ، يَقُولُ حَدَّثَنِي رَبِيعَةُ بْنُ يَزِيدَ، عَنْ أَبِي إِدْرِيسَ الْخَوْلاَنِيِّ، عَنْ أَبِي الدَّرْدَاءِ، قَالَ قَامَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَسَمِعْنَاهُ يَقُولُ ‏”‏ أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنْكَ ‏”‏ ‏.‏ ثُمَّ قَالَ ‏”‏ أَلْعَنُكَ بِلَعْنَةِ اللَّهِ ‏”‏ ‏.‏ ثَلاَثًا ‏.‏ وَبَسَطَ يَدَهُ كَأَنَّهُ يَتَنَاوَلُ شَيْئًا فَلَمَّا فَرَغَ مِنَ الصَّلاَةِ قُلْنَا يَا رَسُولَ اللَّهِ قَدْ سَمِعْنَاكَ تَقُولُ فِي الصَّلاَةِ شَيْئًا لَمْ نَسْمَعْكَ تَقُولُهُ قَبْلَ ذَلِكَ وَرَأَيْنَاكَ بَسَطْتَ يَدَكَ ‏.‏ قَالَ ‏”‏ إِنَّ عَدُوَّ اللَّهِ إِبْلِيسَ جَاءَ بِشِهَابٍ مِنْ نَارٍ لِيَجْعَلَهُ فِي وَجْهِي فَقُلْتُ أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنْكَ ‏.‏ ثَلاَثَ مَرَّاتٍ ثُمَّ قُلْتُ أَلْعَنُكَ بِلَعْنَةِ اللَّهِ التَّامَّةِ فَلَمْ يَسْتَأْخِرْ ثَلاَثَ مَرَّاتٍ ثُمَّ أَرَدْتُ أَخْذَهُ وَاللَّهِ لَوْلاَ دَعْوَةُ أَخِينَا سُلَيْمَانَ لأَصْبَحَ مُوثَقًا يَلْعَبُ بِهِ وِلْدَانُ أَهْلِ الْمَدِينَةِ ‏”‏ ‏.‏

Abu Darda’ reported: Allah’s Messenger (ﷺ) stood up (to pray) and we heard him say: ” I seek refuge in Allah from thee.” Then said: ” curse thee with Allah’s curse” three times, then he stretched out his hand as though he was taking hold of something. When he finished the prayer, we said: Messenger of Allah, we heard you say something during the prayer which we have not heard you say before, and we saw you stretch out your hand. He replied: Allah’s enemy Iblis came with a flame of fire to put it in my face, so I said three times: ” I Seek refuge in Allah from thee.” Then I said three times: ” I curse thee with Allah’s full curse.” But he did not retreat (on any one of these) three occasions. Thereafter I meant to seize him. I swear by Allah that had it not been for the supplication of my brother Sulaiman he would have been bound, and made an object of sport for the children of Medina.

Sahih Muslim 542

Chapter 8: The permissibility of cursing the Shaitan during prayer, and seeking refuge with Allah from him; and the permissibility of doing a few actions while in salat, Book 5: The Book of Mosques and Places of Prayer

https://sunnah.com/muslim:542

[13] Quran-ST | 2-100

[14] Quran-ST | 2-243

[15] Quran-ST | 3-110

[16] Quran-ST | 5-103

[17] Quran-ST | 16-83

[18] Quran-ST | 3-135

[19] Quran-ST | 3-136

[20] Abu Huraira said that God’s messenger told of a man who committed a sin and said, “My Lord, I have sinned, so forgive me.” His Lord replied, “Does my servant know that he has a Lord who pardons sin and punishes for it? I have pardoned my servant.” After remaining [obedient] such time as God willed he committed a sin and said, “My Lord, I have sinned, so forgive me.” His Lord replied, “Does my servant know that he has a Lord who pardons sin and punishes for it? I have pardoned my servant.” Then after remaining [obedient] such time as God willed he committed a sin and said, “My Lord, I have committed another sin, so forgive me.” He replied, “Does my servant know that he has a Lord who pardons sin and punishes for it? I have pardoned my servant, so let him do what he likes.”

(Bukhari and Muslim.)

https://sunnah.com/mishkat:2333

وَعَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” إِنَّ عَبْدًا أَذْنَبَ ذَنْبًا فَقَالَ: رَبِّ أَذْنَبْتُ فَاغْفِرْهُ فَقَالَ رَبُّهُ أَعَلِمَ عَبْدِي أَنَّ لَهُ رَبًّا يَغْفِرُ الذَّنْبَ وَيَأْخُذُ بِهِ؟ غَفَرْتُ لِعَبْدِي ثُمَّ مَكَثَ مَا شَاءَ اللَّهُ ثُمَّ أَذْنَبَ ذَنْبًا فَقَالَ: رَبِّ أَذْنَبْتُ ذَنْبًا فَاغْفِرْهُ فَقَالَ رَبُّهُ: أَعَلِمَ عَبْدِي أَنَّ لَهُ رَبًّا يَغْفِرُ الذَّنْبَ وَيَأْخُذُ بِهِ؟ غَفَرْتُ لِعَبْدِي ثُمَّ مَكَثَ مَا شَاءَ اللَّهُ ثُمَّ أَذْنَبَ ذَنبا قالَ: رب أذنبت ذَنبا آخر فَاغْفِر لِي فَقَالَ: أَعَلِمَ عَبْدِي أَنَّ لَهُ رَبًّا يَغْفِرُ الذَّنْبَ وَيَأْخُذُ بِهِ؟ غَفَرْتُ لِعَبْدِي فَلْيَفْعَلْ مَا شَاءَ “

مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ (الألباني) حكم :

Reference : Mishkat al-Masabih 2333, In-book reference : Book 9, Hadith 107

https://sunnah.com/mishkat:2333

[21] Ref.: Tafsir Ibn katheer, all 10 volumes edition, page nos.: 8

Comments are closed.