Tafseer Surah al-Baqarah Part 18

Tafseer Surah al-Baqarah Part 18

Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle dars me hum teen alfaz Ins, Rooh aur Nafs ke mutalliq scientific analysis sunn rahe the, aur aaj ke dars me hum baqi teen alfaaz ko science ki roshni me analyze karenge.

Tarjuma wa Tafseer

Pichle dars me jo humne suna, uss ko summarize karte huwe aagay badhte hain:

  • Lafz-e-Ins me humne suna ke, Sultan kya hai, aur kis tarah Jin-o-Ins ko challenge kiya gaya ke agar tum zameen aur aasmaan ki boundaries ko paar karke bahar nikal sakte ho to nikal jao,
  • Iss ki tafseel me humne dekha ke zameen ki ek escape velocity hai, aur aasmaano me gravity kis tarah se kaam karti hai,
  • Ye tafseel sunne ke baad aisa lag raha tha ke, ye to sirf Insaano ki baat ho rahi hai, Insaano ne rocket waghairah jaisi cheezen banayi aur wo iss tareeqe se sultan, hasil karke zameen aur aasmaano ko paar karne ke zaraye bana liye,
  • To Jinn kaise inn cheezon ko paar karenge, iss me chand cheezen hain,
    • Pehla to ye hai ke, ye challenge dono ke liye tha, aur ye challenge dene se pehle, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) khud Surah ar-Rahman ki 31wi ayat me, Jin-o-Ins ko do bojh, do heavy groups se mukhatib kiya aur phir 33wi ayat me, zameen aur aasmaano ki boundary paar karne ka challenge diya,
    • To yahan ye indication mil raha hai ke, Jinn also have mass,
    • Ye shayad iss liye bhi hai ke, baaz Jinn – Insaano se wabasta hain, aur Insaan jahan hote hain, wo bhi wahan hote hain, to iss tareeqe se jinn bhi – Insaano wali sultan ka hissa hain.
    • Phir, ek Hadith me aata hai ke, Jinn teen qism ke hote hain,
      • Ek wo jis ke par hote hain, aur wo hawa me udhte hain,
      • Doosre wo jo saamp aur kutton ki shakal ikhtiyar karte hain,
      • Teesre wo jo kisi jagah unn ka khiyaam hota hai aur wo idhar se udhar phirte hote hain.[1]
      • To ye sab cheezon se aisa lagta hai ke, wo bhi zameen ke bashinde hain aur unhe bhi insaano ki tarah sultan chahiye bahar nikalne ke liye. Aur wo insaano ke saath bahar ja sakte hain.
    • Doosra ye ke, ye bhi energies hain, Surah ar-Rahman ki 15wi ayat me farmaya ke, humne Jinno ko heatwave se banaya jo aag se nikalti hai, to energies to kahin par bhi ja sakti hain.[2]
    • Lekin jahan ye challenge kiya gaya, wahan aag ke sholon se aur dhuwe se daraya gaya ke, tum par aag ke sholay aur dhuwa chhorrha jayega to tum muqabla nahi kar sakoge.
    • Universe me agar ghoomte phirenge, to Black holes bhi hain, Pulsars bhi hain, jis me se itni tez raftaari se aag ke sholay, beams of electromagnetic radiation nikalte hain ke wo bardasht nahi kar sakenge.[3]
    • Aur black holes se jo high-energy radiation aur material ke jets pheke jaate hain, wo baaz jets speed of light, yani ke 300,000 km/s ki raftaar se pheke jaate hain,[4] aur jo high-energy radition hota hai wo X-Rays ki shakal me pheke jaate hain,[5] to inn ka muqabla nahi kar sakte.
    • Phir teesra ye ke, Jin-o-Ins zameen aur aasmaano ki boundaries se nikal kar karenge kya? Maut se bachna chahenge ya Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) se bach kar nikalna chahenge?
    • To sachai ye hai ke, na maut se bach sakte hain, Quran me ek aur challenge Insaano ko kiya gaya ke, “tum kahin par bhi raho, maut tum ko aa kar rahegi, bade bade towers me chale jao, ya koi distant galaxy me chale jao,…” maut aa kar rahegi,
    • Aur na Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) se bach sakte hain, iss kayenaat ke bahar to kya, iss duniya ke bahar hum nahi reh sakte. Atmosphere chahiye, ek controlled temperature chahiye, ek controlled pressure chahiye, Zameen ki Gravity chahiye, warna secondon me khatam ho jayenge.
  • Phir Lafz-e-Nafs ke silsile me humne analyze kiya ke, ye consciousness hai aur ye gravity ke khilaf kaam kar raha hai,
    • Aur humne gravity ko khashiyatillah se equate kiya tha,
    • Aur humne ye bhi kaha tha ke, Universal Consciousness jo hai wo Universal Force of gravitation ko counteract karta hai, balance karta hai, jiss ki wajah se ye kayenaat qayem hai,
    • Aur humne ye bhi kaha tha ke, agar hum khade hain to wo consciousness ki wajah se khade hain, jo gravity ke kheenchne ko balance karta hai,
    • Surah al-Feel ke scientific explanation me humne ye kaha tha, parindon par ghaur-o-fikr karne ke nateeje me ke, parinde udh sakte hain kyun ke, chaar forces balance me hain, aur wahan bhi humne kaha tha ke, Parinda udh sakta hai, kyun ke, wo conscious hai, uss me bhi sha’oor hai.
    • Uss sha’oor ki wajah se wo apne paron ko harkat deta hai, jiss ki wajah se lift generate hoti hai, jo ke gravity ko counteract karti hai.
    • Parindon par ghaur-o-fikr karne ke baad humne, heavenly bodies ya falaki ajsaam par ghaur kiya tha, kyun ke, Quran ne inn dono ko compare kiya hai aur kaha tha ke, inn par bhi do qism ke force kaam karte hain, jis ke wajah se ye apni apni orbit me, ya apne apne daire me tair rahe hain,
    • To heavenly bodies jo aasmaano me hain, wo bhi ek dynamic balance me hai, jis me se ek gravity hai, to kya ye heavenly bodies bhi conscious hain?
    • Kyun ke, Jo force gravity ko balance karta hai, wo to consciousness hai, to ye apne daire me jo tair rahe hain, wo Allah ke hukum se tair rahe hain, aur Surah an-Noor ki ayat jis me kaha gaya ke, parindon aur heavenly bodies ki salat aur tasbeeh hum nahi samajh sakte,[6]
    • To agar wo conscious hain, tab hi salat bhi kar sakte hain aur tasbeeh bhi, Allah ke hukum ki pabandi me lage huwe hain,
    • Ab ek sawal ye paida hota hai ke, agar parinde aur heavenly bodies Allah ka hukum na maane to kya hoga?
    • Pehli baat to ye hai ke, jaisa ke Quran me aya hai ke, ye sab iss zimmadari ko lene se inkaar kar diye ke, Allah ki ibaadat kare ya nahi, ye zimmadari to insaan ne uttha li, to ye zameen aur aasmaano aur deegar cheezon ke liye mumkin nahi ke wo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki na farmani kare,
    • Doosri baat ye hai ke, agar aisa hota to inteshaar hi inteshaar hota, iss kayenaat me, lekin Surah Mulk me kaha gaya ke, kayenaat me har jagah uniformity hi uniformity hai, to iss ka ye matlab hai ke, ye dono consciously Allah ke qanoon ki pabandi kar rahe hain, na-farmani nahi.[7]
  • Phir humne Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki Nafs ki baat ki ke, jis ki wajah se Universal Consciousness hai aur jo Khashiyatillah hai wo Universal Force of Gravitation ke liye zimmadar hai, aur inn dono forces me balance hai, issi liye ye kayenaat qayem hai,
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ko na to neend aati hai aur na oong aati hai aur na maut aati hai,
    • Lekin jab Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki marzi shamil-e-haal hogi, jab uss ka hukum hoga, to saari kayenaat par Khashiyatillah taari ho jayegi, Gravity ko badha diya jayega, Har cheez ka Consciousness kamzor padh jayega,

كُلُّ نَفۡسٍ ذَآٮِٕقَةُ الۡمَوۡتِ ثُمَّ اِلَيۡنَا تُرۡجَعُوۡنَ‏

  • Har nafs ko, har conscious being ko maut ka maza chakhna hai, phir tum hamari taraf lauta diye jaoge,[8]

كُلُّ مَنۡ عَلَيۡهَا فَانٍ ۚ ۖ‏ وَّيَبۡقٰى وَجۡهُ رَبِّكَ ذُو الۡجَلٰلِ وَالۡاِكۡرَامِۚ‏

  • Jo koi bhi iss zameen par hai wo fana ho jayega, aur tumhare paalne wale malik ki zaat-e-babarkat baqi rahegi, jo bohot buzurgi wala aur bohot azmat wala hai,[9]
  • Aye Nabi (صلى الله عليه وسلم), Ye log aap se qiyamat ke baare me poochte hain ke, iss ke waqe hone ka waqt kab hai, aap (صلى الله عليه وسلم) keh dijiye ke, iss ka ilm to mere paalne wale malik hi ke paas hai, wohi uss ke waqt-e-muqarrar par usay zahir karega, aur wo aasmaan aur zameen me ek bhaari baat hogi, it will be heavy, kyun ke, gravity badha di jayegi, wo tum par achanak aa jayegi,…[10]
  • Aur jab soor phoonka jayega, to jo koi aasmaano me hai aur jo koi zameen me hai, sab behosh ho kar girr padenge, siway unn ke jisay Allah chahega, ba-sha’oor rakhega, aur phir dobara soor phoonka jayega, to wo sab ke sab fauran khade ho jayenge, dekhte huwe.[11]
  • To ye kayenaat khatam ho jayegi, yahan tak ke, Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) bhi maut ka maza chakhenge, sirf aur sirf Allah ki zaat baqi rah jayegi, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ka consciousness aisa hai ke, wo hamesha se hai, ab bhi hai aur hamesha rahega.
  • Phir humne baat ki, consciousness aur neend ki, humne kaha ke insaan ka sha’oor, uss ki nafs do waqt li jaati hai, ek to maut ke waqt aur doosre neend me, aur jiss ki neend me maut nahi likhi hoti, unn ka sha’oor, unn ka consciousness wapas kar diya jaata hai,
  • Ab neend me insaan ba-hayat hota hai, zinda hota hai, uss ki saans chal rahi hoti hai, dil dhadakta rehta hai, digestive system chal raha hota hai, to jab sha’oor nahi hai, to ye sab cheezen kaun chala raha hai?
  • Insaani dimagh ke kayee sections hote hain, ek jisay Cerebellum kehte hain, ye dimagh ka 10% hissa hai, lekin 80% kaam ye karta hai, isay subconscious mind bhi kehte hain, kyun ke, yehi wo hissa hai jo behoshi ki halat me, neend me ya coma me bhi, hamare jism ka nizam chalata rehta hai,
    • Doosra hissa jisay Cereberum kehte hain, ye dimagh ke beech ka hissa hai, aur yahin par hosh ya sha’oor ya consciousness aata ya jaata hai,
    • Dimagh ke kayee aur bhi hisse hain, uss tafseel me jaane ki gunjaish nahi hai.
    • Phir humne ashaab-e-kahf ki bhi baat ki ke, unhe waqt ka sha’oor nahi tha aur wo 300 saal tak cave me ya ghaar me so rahe the, aur khaas baat ye hai ke inn ka aging process, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne rok diya tha,
    • To sawal ye paida hota hai ke, ye jo Cerebellum hai, ye kab tak nizam chala sakta hai?
    • Kya ye khud apne se faisla karta hai?
    • Ya koi aur iss ko instructions de raha hai?
    • Fil haal science ke paas inn sawalaat ke jawaab nahi hain.
    • Ab jo Cereberum hai, wo chunke sha’oor se ya consciousness se wabasta hai, aur yehi wo hissa hai jo gravity se mutassar hota hai, dimagh ka ye hissa tawazun ya balance karne ke liye bhi zimmadar hai, movement ke liye, coordination ke liye, aur bhi kayee zimmadariyan hai iss hisse ki, lekin sab se ahem iss ki zimmadari hai, faisla karne ki salahiyat.
  • Phir humne gravity aur sleep ki humne baat ki, sooraj aur zameen ki gravity raat ko ek taraf ho jaati hai, iss liye hum raat ko so sakte hain, yahan normal logon ki baat ho rahi hai, jo sleep disorders hain, aur jo log goli kha kar hi so paate hain, unn ki baat nahi ho rahi hai,
    • Ab iss me ek category logon ki wo hai, jo nasha karte hain aur science ye kehti hai ke, nasha karne se ya anesthesia dene se dimagh ke kuch hisse kaam karna band kar dete hain, jiss se ke wo information ko jama nahi kar sakte,[12]
    • Science hume aaj bata rahi hai ke, Insaan nashe me, unresponsive ho jata hai, unconscious nahi, issi liye Quran kehta hai ke, agar nashe ki halat me ho to Namaz ke ya Salat ke qareeb na ana, kyun ke, tum jo kehte ho wo samajhte nahi.
    • Anesthesia me bhi yehi hota hai, iss liye insaan par operation kiya ja sakte hai, aur bande ko takleef mehsoos nahi hoti,[13]
    • General anesthesia Insaan 170 saal se istemaal kar raha hain, lekin ye insaani dimagh ke kis hisse par kaam karti hai, ye aaj tak nahi maloom. Lekin itna pata hai ke, ye neend ka jo mechanism hai uss ko hijack kar leta hai.[14]
    • Lekin Fajar ki azan me hum ye kehte hain ke, as-Salaatu Khairun min an-Naum, Namaaz neend se behtar hai.
    • Yaani, meethi neend ke behtareen waqt, agar hum apna consciousness, apna sha’oor, apni tawajjoh Allah par focus karenge, to ye neend se behtar hai.
  • Consciousness kaise aata hai, aur kaise jaata hai, iss ki tafseel sciencedaano ko nahi maloom, computers invent kar liye aur ye samjhe ke, ye conscious ho jayega ek din, lekin kayi saalon se hum computer istemaal kar rahe hain, wo apne se kuch nahi karta, ab artificial intelligence ya AI ka zamana hai, ChatGPT ki baat ho rahi hai, lekin ye sab kuch apne se kuch nahi karte, consciousness inn me nahi hai, ye bijli se chalte hain aur bijli band kar dein to ye sirf ek dabba hai, jo kuch nahi kar sakta. Insaan ki tarah ba-sha’oor ye kabhi bhi nahi ho sakte.
  • Ussi tareeqe se maut ka bhi yehi alam hai, zindagi kahan hai, kabh tak hai sciencedaano ko nahi maaloom, sirf itna maloom hai ke, dil band ho gaya to maut declare nahi karte, balke dimagh kaam karna band kar de to hi maut declare karte hain. Zindagi khatam ho jaye to koi shai nahi jo iss ko jaane se rok sakay.
  • Gravity ko naap sakte hain, lekin gravity jis ki wajah se hai, wo nahi naap sakte, khashiyatillah ko – koi nahi measure kar sakta, dark matter ke peechhe paday the, kayee Saal ki research ke baad ab Dark Energy ki baat kar rahe hain, lekin iss ko koi measure Nahi Kar saka aaj tak aur na hi ye pata laga sakay ke ye kayenaat kab khatam hogi?
  • Aur theek ussi tarah, insaan ki nafs hai, keh sakte hain, nafs hai ya chali gayi pata laga sakte hain, lekin Universal Consciousness ko koi nahi measure kar saka hai, abhi tak.
  • Ye wo cheezen hai, jiss ke control me Qiyamat ka aana hai, iss ka information insaan ko nahi hai.

Scientific Analysis – Part 2

Insan, an-Nas aur Bashar, ye Teen alfaz ko aaj science ki roshni mein analyze karenge,

Toh Chohta lafz – ‘Insaan’ ke baare me humne kaha ke,

  • ye Biological being hai, ye janwar ki tarah ki koi zaat hai,
  • knowledge aur speech ki wajah se, insaan doosre janwaron se alag hai,
  • Aur issi biological ya physical body se hi, Nafs wabasta hai.
  • Jaisa ke iss se pehle Kaha Gaya ke, Urdu me Mud, Clay aur Soil ke liye ek hi lafz hai, mitti.
  • Halanke, Quran me, inn ke liye alag alag alfaaz istemaal kiye gaye hain,
  • Mud jo hai wo, mitti aur pani mil kar banti hai, aur iss mitti me soil bhi hoti hai, clay bhi hota hai, silt bhi hoti hai, inn ke sath sath pani bhi mila hota hai,[15]
    • Aur iss me pani ke sath sath inorganic cheezen jaise, Calcium, Zinc, Magnesium aur Sodium se bane minerals bhi mile hote hain,
    • Aur organic cheezen jaise, humic acid, fulvic acid aur acetic acid bhi mile hote hain.[16]
  • Clay Ka composition, aam taur par hydrous aluminium phyllosilicates se bani hoti hai,
    • Aur iss me bhi pani ki maujoodgi hoti hai, aur iss ke sath sath, iron, magnesium, alkali metals, alkaline earths se bane minerals hote hain,
    • Aur pani hone ki wajah se hi, ye minerals bante hain, jo life ko support karte hain,[17]
    • Aur phir biology me ek, theory hai jo ye kehti hai ke, jo origin of life hai, wo clay minerals istemaal karke, ye non-living cheezon se apne-aap paida huwi.
    • Sciendaan ye pata lagane ki koshish me hain ke, zameen par zindagi ki shuruwat kaise huwi?[18]
    • Curiosity Stream ki ek documentary, Unexplained Science: What Scientists still don’t understand me, Prof. Matthew Stanley kehte ke, Kuch science-daano ne, ye pata laganay ki koshish ki ke, evolution ke time par, zameen par mahol Kaisa tha, to unhone geologists se poochha ke, zameen jab ban rahi thi, tab kya conditions the?
    • Geologists ne tehqeeq karke bataya ke, uss waqt volcanic eruptions ho rahe the, kayee qism ke minerals maujood the, aur ye sab paani me, samadaron me pahunch rahe the, aur lightning strikes ki wajah se, ho sakta hai ke kuch chemical reactions shuru ho gaye,
    • To do sciencedaan, Miller aur Urey ne, ek university me wo conditions ko simulate Kiya, paani ko garam karke, uss me kuch gasses chhorrhe, to kuch din ke baad uss me amino acids ban gaye.
    • To amino acids wo hain, jis se protiens bante hain, aur kayi qism ke protein mil kar insaan bana hai, matlab jo basic building blocks of life hai, wo hum laboratory me bana sakte hain, unhi conditions ko simulate karke, jo zameen ke initial stages me the.
    • Ab iss experiment ka maqsad ye tha ke, ye experiment chala kar, koi life form, jo simplest life form hai wo amoeba hai, to wo chahte the ke, ye experiment chala kar ameoba bana le,
    • Aur Cornell University me ye experiment 40 saal se chala rahe Hain, aur abhi tak ameoba nahi bana paye, sciencedaan ye samajhte hain ke, agar iss experiment ko 100 million saal tak chalaya jaye to ameoba nikal ayega.[19]
    • Lekin ye bhool gaye ke, jab tak zinda kaun rahega?
  • To experiment ke zariye insaan ne, basic building block of life, amino acid bana liya, lekin wo zindagi ko nahi bana sakta, life, zindagi, hayat ye sab Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke haath me hai,
  • Quran bhi yehi kehta hai ke, Insaan ko Allah ne mudd aur clay se synthesize Kiya, Allah ne paida kiya, wo apne aap se paida nahi huwa.

Panchwa lafz – ‘An-Naas’ ke baare me humne kaha ke,

  • Surah al-Hajj ki 5wi ayat me farmaya ke, an-Nas ko yani ke Insaano ko Humne Turab se, mitti se banaya,[20]

يٰۤـاَيُّهَا النَّاسُ اِنۡ كُنۡـتُمۡ فِىۡ رَيۡبٍ مِّنَ الۡبَـعۡثِ فَاِنَّـا خَلَقۡنٰكُمۡ مِّنۡ تُرَابٍ ثُمَّ مِنۡ نُّـطۡفَةٍ ثُمَّ مِنۡ عَلَقَةٍ ثُمَّ مِنۡ مُّضۡغَةٍ مُّخَلَّقَةٍ وَّغَيۡرِ مُخَلَّقَةٍ لِّـنُبَيِّنَ لَـكُمۡ…

  • Aye logo! Agar tumhe Marne ke baad zinda kiye jaane par Zara bhi shak ho to, Zara ghaur Karo ke, Humne tum ko pehli baar bhi to, turab se yani mitti se paida kiya tha, phir uss se nutfa Bana ker, phir alaqa se, phir ghost ke lothday se – jis ki shakal Kamil bhi Hoti hai, wazeh bhi Hoti hai aur ghair Kamil bhi ya ghair wazeh bhi hoti hai, takay tum par hamari khaliqiyat zaher Kar dein ya khol khol ker bayan ker dein,…
  • Anees apni kitab, Explanatory Dictionary of the Holy Quran me likhte hain ke, issi mitti se hume ghiza bhi milti hai, jis ki wajah se sperm aur egg bante hain.
  • Ye top soil me thodi hawa hoti hai, pani hota hai, minerals hote hain, plant aur animal matter hota hai, yehi cheezen ped aur padhon ke, ugaye jaane me madad karte hain, jis se hamari ghiza bhi paida hoti hai.[21]
  • To insaan jab ghiza khata hai to, uss ghiza se hi, sperm aur egg bante hain,
  • To issi liye kaha ke, ghaur karo ke humne tum ko mitti se paida kiya, phir uss se nutfa banaya, sperm banaya, aur phir ye sperm aur egg milne ki wajah se alaqa bana,
  • Matlab fertilization huwa, aur ek zygot ban gaya,
  • Ye alaqa kya hai?
    • Lafz se alaqa, arabi me, jonk ya leech ko kehte hain, jonk kya karta?
    • Insaan ke jism se chipak kar, khoon choosta hai,
    • To waise hi, lafz-e-alaqa me, Ain Laam Qaaf se bane ye madde me, ye sab maane aa jaate hain,
    • Pehla matlab, ta’aloq qaim karna hai,
    • To ye Alaqa ya zygote, wo reham me ta’aloq qaim karta hai, reham ko chipak jaata hai, aur phir
    • Doosra matlab, mu’allaq ho jata hai,
    • Reham se latak jaata hai, aur ghiza hasil karta hai,
    • Jonk ya leech jis tarah se apni ghiza hasil karta, theek ussi tarah ye alaqa, ye zygote bhi apni ghiza hasil karta,
    • To ek lafz me Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne poora ek process samjha diye, insaan ki paidaish ka,
  • Kieth L. Moore, ye professor of Anatomy the, Canada ki kayee Universities me, aur 1980 me King AbdulAzeez University, Saudi Arabia me unhe Anatomy aur Embryology parrhane ke liye muqarrar kiya gaya,
  • To jab ye, Saudi Arabia aa rahe the, unhe dawat di gayee, Insaan ki paidaish par jo Quran ki ayaat ko samjhane ke liye, Jab Kieth L. Moore ke saamne ye ayaat pesh ki gayee, to wo inn ayat me jo scientific description hai, usay sunn kar kaha ke, Muhammad (صلى الله عليه وسلم) ne microscope me dekh kar Quran me likh liya hoga,
  • Jab usay bataya gaya ke, ye Quran to 7wi sadi eeswi me Nazil huwa, aur Microscope 17wi sadi eeswi me banaya gaya, to wo ye jaan kar hairan ho gaya aur kaha ke, itna accurate information, 7wi said eeswi me koi insaan nahi likh sakta, aur Quran ko koi insaan nahi likh sakta.
  • Alaqa ke maane samajhne ke baad uss ne kaha ke, jonk ya leech aur alaqa ka shape ek tarah ka hai, to na sirf alaqa jonk ki tarah kaam karta hai, balke wo dikhta bhi jonk hi ki tarah hai,
  • Phir kaha ke, alaqa ke baad insaan ko mudghah se paida kiya, to jo bachche ka development ka teesra stage hai, wo mudghah hai, jiss ka matlab chabaya huwa gosht ka lothda, to ek plasticine ka model banaya gaya aur uss par danton se chabaya gaya, aur uss ko aur mudghah ko compare kiya gaya to dono ek jaise dikhte hain,
  • Iss par bhi Kieth L. Moore ne hairath ka izhaar kiya ke, Quran ka har lafz, Insaan ki paidaish ke har ek stage to describe karta hai, aur ye sciencedaano ko jo maaloom hai uss ke khilaf nahi hai.[22]
  • Tafseel to iss me bohot zyada hai, Quran me bhi alag alag jagah par Insaan ki takhleeq ka zikr aya hai, aur har ek stage me tafseel bohot zyada hai, jisay samjhane ki gunjaish nahi hai.

Chhetta lafz – ‘Bashar’ ke baare me humne kaha ke,

  • ek aisi zaat jo information exchange karti hai ya information leti ya deti hai,
  • Lafz-e-Bashar Quran me kuch jagah aam logon ke liye bhi aya hai,[23] lekin zyadatar ye lafz, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke Nabiyon aur Rasoolon ke liye istemaal huwa hai, jinhone aam logon tak Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ka paigham pahunchaya hai.
  • Wahi ke baare me, hum tafseel pehle duroos me sunn chuke hain,
  • Ek khaas frequency par, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki taraf se communication ata tha, jo sirf Nabi aur Rusul suna karte the, yahan tak ke logon ki maujoodgi me bhi, sirf Wahi Nabiyon ko hi sunai deti thi.
  • Phir communication ke baghair hum zinda nahi reh sakte, aur zyada se zyada tezi se communicate karne ke liye, hum ne kayee zaraye bana liye hain.
  • Information processing being Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne banaya hai, aur hume iss duniya me iss salahiyat ki bina par kuch challenges diye hain, kuch tests diye hain,
  • Hume apne Rabb ko pehchhaanna hai, aur uss Rabb ke wajood ki nishaniyan har cheez me Allah Rabbul Izzat ne rakh di hai,
  • Aur agar hum nahi pehchhaan sake to pakkad hogi, kyun ke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki top class makhlooq hume banaya hai.
  • Insaan duniya ki har cheez samajh sakta hai, complex situations ko solve karta hai, sirf apne Rabb ko nahi pehchhaan sakta, ye kehna zyadati nahi to aur kya hai?
  • Hum duniya ki, ya iss kayenaat ki har cheez samajh sakte hain, lekin nahi samajh sakte to Quran nahi samajh sakte, to aisa kehna zyadati nahi hai to aur kya hai?
  • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) se dua hai ke wo hume, Quran parrhne, samajhne aur amal karne wala banaye, aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki jaise qadar karke uss ki ibadat karne ka haq hum se ada karwa le.

Aise sessions ka maqsad hi ye hai ke, hum Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke qareeb ho jaye aur uss ke saamne waise hi jhuk jayen, jaisa uss ke saamne jhukne ka haq hai.

Yahan aaj ka dars rok denge, next Saturday In Sha Allah Surah al-Baqarah ki tafseer agay sunenge.

Al hamdulillahi Rabbil Alameen

Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam

Rabbana aatina fid duniya…

References

[1] Abu Tha’laba al-Khushani traced to the Prophet the saying that the jinn are of three classes, one which have wings and fly in the air, one which consists of snakes and dogs, and one which stay in places and travel about. [It is transmitted in Sharh as-sunna.]

وَعَن أبي ثعلبةَ الخُشَنيَّ يَرْفَعُهُ: «الْجِنُّ ثَلَاثَةُ أَصْنَافٍ صِنْفٌ لَهُمْ أَجْنِحَةٌ يَطِيرُونَ فِي الْهَوَاءِ وَصِنْفٌ حَيَّاتٌ وَكِلَابٌ وَصِنْفٌ يُحلُّونَ ويظعنونَ» . رَوَاهُ فِي شرح السنَّة – حكم: صَحِيح (الألباني)

Reference: Mishkat al-Masabih 4148

[2] Quran-ST | 55-15

[3] Pulsar – Wikipedia

[4] Relativistic Jets | NuSTAR (caltech.edu)

[5] ESA – Scientists get to the bottom of a ‘spitting’ black hole

[6] Quran-ST | 24-41

[7] Quran-ST | 67-3 to Quran-ST | 67-4

[8] Quran-ST | 29-57

[9] Quran-ST | 55-26, Quran-ST | 55-27

[10] Quran-ST | 7-187

[11] Quran-ST | 39-68

[12] Consciousness and Anesthesia – PMC (nih.gov)

[13] Unresponsiveness ≠ Unconsciousness | Anesthesiology | (asahq.org)

[14] General Anesthesia Hijacks Sleep Circuitry to Knock You Out | Duke Today

[15] Mud – Wikipedia

[16] Property of mud – PubMed (nih.gov)

[17] Clay – Wikipedia, Clay mineral – Wikipedia

[18] Abiogenesis – Wikipedia

[19] Curiosity Stream – Unexplained Science: What Scientists Still Don’t Understand

[20] Quran-ST | 4-6

[21] Soil Composition (nationalgeographic.org)

[22] Keith L. Moore – Wikipedia

[23] Quran-ST | 16-103

Comments are closed.