Tafseer Surah al-Baqarah Part 12

Tafseer Surah al-Baqarah Part 12


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle Dars me humne, Surah al-Baqarah ki 7wi ayat ki tafseer ka teesra hissa suna, jis me aakhri do alfaaz ke maane jaane, aaj hum Surah al-Baqarah me abhi tak jo sunay uss ko analyze karenge,

Tarjuma wa Tafseer

Surah al-Baqarah shuru huwa toh,

  • ek aesi kitab, Quran, ki baat huwi jis mein koi shak nahi,
  • aur iss mein hidayat hai muttaqeen ke liye,
  • aur humne ye bhi jaana ke, kaun se log muttaqeen hote hain, jaisa ke
    • wo log jo ghaib per imaan late hain,
    • namaz qayam karte hain,
    • Allah ne jo kuch unko diya hai, uss mein se kharch karte hain,
    • aur uss per bhi imaan late hain, jo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) per nazil kiya, yani ke Quran per bhi iman laate hain,
    • aur jo iss Quran se pehle nazil huwa uss par bhi iman laate hain,
    • aur unhe pakka, yakeeni imaan hai, aakhirat ki zindagi per.

Aisay logon ke bare mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) farma rahay hain ke, aise log hidayat per hain Allah ki taraf se aur aise hi log kamyab hain.

Iss ke bar-khilaf, iss ke opposite mein wo log hain jo imaan nahi laate (unn sab cheezon per jo abhi humne suna), inn jaise logon ke liye ek jaisa hai, chahe Aap (صلى الله عليه وسلم) unhe chaukanna kare ya nahi, yaqeenan wo imaan nahi layenge.

Phir ye ke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne mohar laga di hai inn ke dil-o-dimagh per aur unn ke kano per, aur unki aankhon per ek parda hai, aur inke liye bahut bada azaab hai.

Ghaur karne ki baat ye hai ke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) farma rahe hain ke,

  • jo imaan laaye wo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki taraf se hidayat per hain aur kamyab hain.
  • aur doosri taraf, jo imaan nahi laye, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) hi ne, unn ke dil-o-dimagh per aur unke kano per, mohar laga di hai aur unn ki aankhon per parda hai,
  • ek taraf kamyabi hai,…, aur doosri taraf azab-e-azeem hai.

Toh aisa kyon hai ke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ek ko hidayat de rahe hain aur doosre ke uper mohar laga rahe hain?

  • Waisay toh iss ka jawab Quran ke Introduction ke Pehle hisse mein aa chuka hai, ye video Quranic Resources ke Youtube Channel par maujood hai, wahan aur tafseel hai, aur detail wahan maujood hai dekh sakte hain. Lekin iss sawal ka jawab yahan, phir se dohra lete hain,
  • Jawab ye hai ke: Insaan ko banane ke baad Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne sari kayenaat ke aage ek bahut hi khaas pesh-kash ki, ye koi hukum nahi tha, chahe wo uss pesh-kash ko qabool karay ya nahi.
  • To ye pesh-kash kya thi?
  • Ye pesh-kash thi intekhaab karne ki quwwat ki, ya,…, ‘the power to choose’ ki pesh-kash thi,
  • Iss quwwat (ya) taqat ko ‘qubool aur istemal’ karne ki jo zimmadari uthalega, Uss ke saath kya mamela hoga?
    • Wo iss taqat ki buniyaad per ‘sahih aur ghalat’ me faisla karne ke qabil hoga.
    • Usse Mukhtalif marhalon se ya alag alag situations se guzara jayega, aur iss zimmadari ki buniyad per aazmaish hogi, aisi sakht aazmaish ke kayenaat ki uss shai aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ka jo talloq hai, uss se bhula diya jayega,
    • Iss ke saath saath uss ke aage doosri taqaton ko jhuka diya jayega.
    • Sahih faisla karne ke liye Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) waqtan-fa-waqtan apne wajood ki nishaniyan batate rahenge aur instructions bhejte rahenge.
    • Ahkamaat ya Instructions ke hisaab se choice huwi to Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki taraf se inamaat honge aur agar nahi huwi, ghalat choice jaante bhoojte chun li to phir saza hogi, ek khaas ‘jaza aur saza’ ke din.
    • Saari ki saari kayenaat ne iss taqat ko qabool karne se mana kardiya,
    • Quran mein, Surah al-Ahzab ki 72wi ayat mein aya hai ke, zameen aur aasman aur pahadon ko Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne ye pesh kash ki,[1]
    • Unhone mana kar diya, kyun ke, wo darr gaye, aisi badi zimmadari ko qabool karne se,
    • Lekin,…, insaan ne ‘accept’ kar liya, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) farmate hain ke, insaan zalim aur jahil tha ke, iss taqat ko qabool karliya.
  • Phir humne Quran ke Introduction ke ussi hisse me, ye bhi suna ke, Insaan ke andar faisla karne ki salahiyat bhi hai, yani,…, power of taking decisions. Jab insaan ke saamne ek ya ek se zyada raaste hote hain, ya uss ko pareshaniyon ka saamna hota hai, ya koi aur soorat-e-haal pesh aati hai to, wo apne halaat ke mutabiq faisla kar sakta hai.
  • Iss faisla karne ki salahiyat ki wajah se insaan sahih aur ghalat cheezon mein farq kar sakta hai. Iss ko hum zameer kehte hain, issi ki wajah se hum apni ghalatiyon per malamat karte hain, ya hamara zameer, hamara conscious prick karta hai.
  • Toh jisne iss pricking ka,…, iss malamat ka jawab diya, aur uss ko dabnay nahi diya, uss ke liye Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) hidayat ke raaste kholtay chale jaate hain aur jisne iss pricking ko,…, iss malamat ko dabata chala gaya, toh phir uss ke liye hidayat ke raaste band kar diye jaate hain, yahan tak ke mohar laga di jaati hai unke dil-o-dimagh par.

Ab yahan se ek analysis aa raha hai, Momino aur Kafiron ke beech

Momineen aur Kafireen par Tajziya (ya Analysis)

Iss hidayat walay process ko doosray angle se analyze karke dekhte hain, misal ke taur per pricking toh ho rahi hai, aur banda apne aap ko buraiyon se rok bhi raha hai, lekin Islam ki taraf nahi aaraha, ab agar unki,…, yani kafiron ki jo bhi bachi-kuchi kitab hai uss mein dekhenge toh,

  • chori, unke paas bhi haram hai aur hamare paas bhi,
  • sharab, unke paas bhi haram hai aur hamare paas bhi,
  • qatal, unke paas bhi haram hai aur hamare paas bhi,
  • issi tariqe se, aap compare karte chale jaiyye,
  • itni sari islami jangain huwi, kya wajah thi? aisa kya farq aa raha tha?
  • Jung-e-badr kyun huwi?…
  • Jung-e-uhud kyun huwi?…
  • Sulah Hudaibiya huwi…aur,
  • Sulah Hudaibiya ke baad, Aap (صلى الله عليه وسلم) ne dosray mumalik ke badshahon ko paigham kyon bheja, Islam qabool karne ke liye?
  • Wahan aisa kya problem chal raha tha?
  • Aage hamaray saath aisa kya kuch ho sakta hai, inn kafiron ki wajah se?
  • Iss ka jawab, Sahih Bukhari ki hadith 3176 ka mafhoom kuch iss tarah hai ke, Musalmano aur Romans,…, (Ghair Musalmano) ke beech, ek muaheda,…, ek treaty hogi, jisay ghair muslim todenge aur ladne ke liye ek badi fauj aayegi,
    • Jiss ke 80 parcham honge, har parcham ke peechay 12,000 ka lashkar hoga,[2]
    • aur kafiron ko aisa kya samjhaya jayega, ya,…, unn ka aisa kya brainwash kiya jayega ke itne saare log iss baat per aamada ho jayenge ya razi ho jayenge ke musalmano ke khilaf itna bada lashkar, itni badi fauj le-aayenge?
    • Sahih Muslim ki Hadith 2898 mein aaya hai ke inke paas, yani Romans ke paas, 5 qualities hain, jis ki wajah se wo Qiyamat se pehle, tedaad me sab se zyada honge, wo qualities ya sifaat kya hai?[3]
      • Wo Museebat me, sab se zyada sabr karne waale hain,
      • Wo kisi bhi aafat ke baad, bahaal hone me sab se tez hain,
      • Wo maidan-e-jung me, peechay hattne ke baad fauran hamla karne ke liye sab se zyada bechain hote hain,
      • Wo ghareebon, yateemon, aur kamzoron ka khayal rakhte hain, aur
      • Unki paanchwi khoobi, achi aur khoobsurat hai ke, Wo apne badshahon ke zulm ko rokne me behtareen hai.[4]

Toh ab inn behtareen cheezon ke sivay reh kya gaya?

Iss ka jawab ye hai ke inhone deen aur duniya ko alag alag kar diya hai, Jis ki wajah se waqt ke chalte chalte, jin cheezon ko ye pehle bura samajhte the, unhi buraiyon ko apne logon per thop-ne lage hain ya logon ne khud ye buraiyan apna liya hai,

Pehli Burai – LGBTQ+ ki hai:

  • Inn ke paas bhi gay marriage jaiz nahi thay, ab inn ke hukumrano ne qanoon ko badal kar, aise rishton ko jaiz ya legal kardiya hai, jiss ki wajah se qaum-e-loot tabah huwi thi,
  • Ek poori ki poori ummat par Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne azaab bheja, jo apne jazbaati khaheshaat ko poora karne ke liye auraton ke bajaye mardon se poora karte hain, ya aaj ki zaban me lesbian, gay, bisexual, ya transgender hain, in short LGBTQ+ hain.,…, Azaab se tabah kar diya.
  • Qanoon badal kar logon ko same sex marriages karne ki ijazat to dedi, lekin iss ka asar kya huwa?
  • Haal hi me, New York Times ki news aayee ke,[5] ek trans person ne, auraton ki jail me, do auraton ko pregnant kar diya,…, to ab boliye,…, ye aurat hai ya mard?
    • Agar ye shaqs aurat hai, to doosri do auraton ko hamela kaise kiya?
    • Agar ye mard hai, to ye auraton ki jail me kya kar raha tha?
  • Nahi ye LGBTQ hai.
  • Ab qanoon ko phir tabdeel kiya ja raha hai, BBC ki 29-Jan-2023 ki news hai ke,[6] UK me, aise logon ko auraton ki jailon me nahi rakh sakte, bol kar qanoon badal rahe hain. Inhi logon ko nahi maloom ke ye kya kar rahe hain.
  • Aur iss ke baad, ab hadd toh ye hogayi ke, unn ke Pope Francis ne bhi – 5-Feb-2023 ko, Reuters ki news hai ke, Pope ne keh diya ke LGBTQ logon ko mujrim qarar dene walay qawaneen, ek gunah aur zulm hai,[7]
  • Aur hum acchi tarha jaante hain ke, LGBTQ hona society ke liye kitna nuqsaan de hai.

Doosri burai – Sood, Riba, ya Interest hai

  • Bahot arsay se sood jaiz kardiya hai,
  • Muajamul Awsat me, Tabrani ki hadith jis me, aaya hai ke Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, qayamat ke qareeb,…., Riba, Sood, Interest aur Sharab aam ho jayenge,[8]
  • Ab musalman bhi, iss me peeche nahi hain, haram aur halal ka koi farq baqi nahi raha, gaye bank interest ke loan par ya kisi bhi sahookar se qarz uttha liye, ghar khareedne ke liye, gaadi khareedne ke liye, jo aisi zaroorat nahi hai ke, sood ya riba le kar qarz utthaya jaye,[9]
  • Agar kiraye ka ghar hai, aur wo kiraya afford kar sakta hai, to wo sood based, ya interest based qarz na le. Fatwa hai iss par.[10]
  • Aur iss ke badtareen nataij hum dekh rahe hain, khaas taur par COVID-19 ke baad, ameer aur ameer hota ja raha hai, ghareeb aur ghareeb hota ja raha hai, yahan tak ke duniya ki do-tihayee (⅔) daulat sirf 1% abadi ke paas hai, world economic forum ki 15-Jan-2023 ki report ke mutabiq.[11]
  • Hamare paas aaj kal, loan lene ka fashion ho gaya hai, zaroorat nahi hai tab bhi loan lete hain, ye sonche baghair ke wo paise wapas bhi karna hai.
  • Agar zaroorat sakht hai, to hi loan ya qarz lena ki ijazat hai, be-zaroorat nahi. Aap (صلى الله عليه وسلم) ne panah maangi, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) se qarz me doob jaane se.[12]
  • Aisha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) se poochha ke, aap (صلى الله عليه وسلم) itni dua kyun karte hain, qarzdaar banne se, to aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, jo qarz leta hai,
    • wo bolta hai to jhoot bolta hai,
    • wada karta hai to wada khilafi karta hai.
    • Sunan an-Nasai me hai ye hadith.[13]
  • Jo shaqs Maqrooz hai, debt me hai,…, wo koi ghulam se kum nahi, aur ye modern day slavery hai.
  • Aaj ke zamane ke ghulam hain, wo log jo naukri pesha hain aur unn ke mahine kay kharch ko,…, tankha poora nahi kar sakti; aur wo qarz lene par majboor ho jaate hain, aur phir uss cycle se bahar nahi nikal sakte.
  • Aisa kyun ho raha hai?
  • Ye social pressure ki wajah se, samaji dabao ki wajah se ho raha hai, insaan ek qism ki sharmindagi mehsoos karta hai, doosron se apne aap ko compare karke, unn ki itteba karna chahte hain. Qarz me doobay huwe hain, lekin har naya iPhone khareedenge, achi gaadiyon me phirenge, ek ajeeb lifestyle apna liye hain aur ghair zaroori kharche apne ooper daal liye hain, EMI pe, qarz par cheeze khareedte hain.
  • Zakat, Sadaqaat karne, Eid al-Adha me Qurbani karne paise nahi hai, wohi paise jama karke gadgets khareedenge.
  • Qurbani aisa amal hai ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne kabhi nahi chhorrha, tang-dasti ki halat me bhi Qurbani ki. Aur hamara haal ye hai ke, hum apne aap ko sharayi uzr me hai, samajhte hain.
  • To ye system, aisa mahol kis ne banaya, ek capitalistic society ki tarah hum ban chuke hain. Ye sirf iss liye hai ke, logon ke dimagh me aisa situation bana do ke, wo ek qism ke pressure me aa kar cheezon ko khareedta hai, jhoota status logon me zahir karne ke liye. Jo haqeeqat se door hai.
  • Aur aise log apne ghar walon se, rishtedaron se, ya doston se paise nahi maangte, kyun ke, ye unn ki jhooti ana ke khilaf hai, ek jhooti zindagi guzar rahe hain, ye log bank se loan le le kar apna status logon me banate hain.
  • Yehi haal hamare paas ki shadiyon ka bhi ho gaya hai, fuzool kharchi ke alawa kuch aur nahi. Chahe Qarz me doob jaye.
  • Baaz log ye social pressure bardasht nahi kar sakte aur qudkushi kar lete hain.

Teesri Burai – Internet par fahash videos dekhna (Pornography)

  • Fahash ek to aam ho gaya aur asani se internet par mil raha hai aur ek qism se log iss ko bura nahi samajh rahe hain, to iss ko aam hone kis ne diya? jis me ghair-muslim to kya musalmaan bhi iss ka shikar ho gaye hain, iss ke natijay me ye ho raha hai,
    • Pehla ye ke, Ek Cambridge University ki research ke zariye ye pata chala hai ke, Iss ka seedha asar insaan ke dimagh par parrh raha hai, aur wo log jo aisi fahash cheezen dekhte hain, unhe iss ki latt ya addiction ho raha hai jaise drugs ka nasha hota hai. Ye phir log normal nahi reh paate.
    • Doosra ye ke, aise logon me ye possibility hai, jaisa ke research se pata chala ke, inn ke dimagh kisi qadr tabdeel ho rahe hain. Wo apne aap ko control nahi kar sakte ya biwi ke saath ek jo normal relation qayem nahi kar sakte.
    • Teesra ye ke, aise logon ka behaviour jo hai, auraton ki taraf sahih nahi hota, jis ke nataij kuch logon me ache nahi hote. Aur phir wo jurm ki taraf chale jaate hain.[14]
    • Times of India ke, July-2021 ke ek article me 7 bure asraat ginaye gaye jo fahash videos dekhne se hote hain.[15] Jis me se ek, shadi ki na kami hai, bachche nahi ho rahe hain, waghairah.

Chohti Burai – Bandokh rakhna jaiz hai

  • Bandokh ya Gun rakhna allow kardiya, iss ki wajah se schools tak mehfooz nahi hai.
    • Aaj subah subah ki BBC ki news hai, kal raat ko yani 17-Feb-2023 ko, US-Mississippi me mass shooting huwi, 6 log maare gaye,[16]
    • Uss ke ek din pehle, 16-Feb-2023 ko, US-Virginia me, ek 6 saal ke bacche ne apni teacher per goli chalayee, aur wo zakhmi huwi,[17]
    • Ye roz ka mamela hai, US me jahan gun laws me koi sakhti nahi hai,
    • Gun Violence Archive website ke mutabiq, ye saal Shuru huwe jab se ab tak ke, US me 73 incidents record kiye gaye, jis ki wajah se sirf ye dedh mahine me, 112 log maare gaye aur 288 zakhmi huwe.[18]
    • Ye kaisi democracy hai, jo apne logon ki takleef ka khayal nahi rakh sakti, roz log marr rahe hain.

Panchwi Burai – Freedom of Speech

  • Paanchwi Burai – Freedom of speech ke naam per kisi bhi mazhab ka, unke religious personalities, Prophets ka mazaq udha do, koi masla nahi. Lekin ye aam taur par dekha gaya hai ke, ye sirf musalmano ke religious practises aur personalities ko hi target kiya ja raha hai.
    • Haal hi me, Sweden me Quran ko jalaya gaya, freedom of expression ke naam par,
    • Lekin wohi shaks jab Taurait ko jalana chaha to swedish hukumat ne uss shakqs ko taurait jalane se rok diya, ab freedom of expression kahan gaya?
    • Ye sawal karne ka ye matlab nahi hai ke, Taurait ko jalaya jaye, hum musalmano ke liye tamam aasmaani kitabein mohtaram hain. Balke hume to kisi bhi mazhab ke khudaon ko bura bhala kehne se mana kiya gaya hai, Quran me hume Allah ne hukum diya hai.
    • To hum musalman hone ki haisiyat se, taurait ke jalane ki koshish ko bhi rokenge aur musalmano ki madad se hi Sweden me taurait jalne se bach gayee, kuch din pehle ki Israeli News Paper Times of Israel ki report hai.[19]

Iss tarah ki aur bhi kayee saari cheezein ginayi ja sakti hain, ek lambi list hai, jiska maqsad sirf aur sirf aksar insano ko nuksan pohchana hai,…, takleef dena hai,…, ek dafa nahi,…, mustaqil taur par takleef dete rehna hai, sirf chand logon ke faiday ke liye.

  • Surah al-Baqarah me Bani Israeel ki harkaton ko, unn ke double standards ko batate huwe farmaya ke, tum log to wohi ho, jo apne hi logon ka qatl bhi karte ho aur apne baaz logon ko unn ke gharon se bahar nikaalte ho, aur ek doosre ki madad karte ho gunah me aur hadd se nikal jaane me, aur wohi log jinhe unn ke gharon se nikaala tha, jab tumhare paas qaidi ban kar wapas aate hain, to tum unhe fidya de ker riha karwate ho, halanke tumhara unn ke gharon se nikalna hi haram tha…[20]
  • Theek ussi tarah, Pehle sood ko halal ya jaiz kar liya, ek aisi society banayi jo soodi nizaam par chalti hai, ameer jo hai wo ameer se ameer tareen hota chala ja raha hai, aur jab iss soodi nizam ki wajah se recession aata, to wohi corporates jis ki jeb bhar rahe the, ya jis ka faida kar rahe the, unhi se kehte hain donation dene ke liye.
    • Greatest Philantropists search kijiye, pata chalega ke, Jamshedji Tata #1 position par hai, 102.4 Billion USD donate kiya huwa hai,
    • Phir number aata to Bill Gates ka, 75 Billion USD donate kiya hai,
    • Phir Warren Buffett ka naam ata hai, 32.1 Billion USD donate kiya hai,[21]
    • Ab hamare log, sawal karte hain ke, ye kaafir log jo itna donation dete. Kya ye log jannat me jayenge?
    • Aray jannat me kaise jayenge? Pehle jo soodi society banaye, jis ki wajah se ghareeb, aur ghareeb ho gaya, wo pehla kaam hi ghalat tha.
    • Ab aa kar donation dene se, kya wo jannat me chale jayega?
    • There is no Robin hood in Islam, Ameeron ko loot kar ghareebon ko do.
    • Nahi, Qiyamat ke din pehle iss sawal ka jawab dena padega ke, paisa kahan se kamaya tha?
    • Baaz hamare log ye bhi kehte hain ke, ye western mumalik me Islami qanoon ko follow kiya ja raha hai, ameeron se lo aur ghareebon ko do, jo zakaat ka mamela hai. Dekho ye goray kaisi achi tarah hamare qawaneen follow kar rahe hain, kya aisa hamare paas hota? Ulta hum se hi ye sawal kiya jata hai.
    • Lekin, wo ye analyze karne se khasir hain ke, pehle unn ke paas paisa aya kahan se.
    • Aisa kyun nahi huwa, inhone agar zakat ka system follow kiya hai, to aisa kyun nahi huwa ke, zakat lene wala hi koi na bache, jaisa ke Muhammadur Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) aur unn ke khulafa ar-Rashidoon ne karke dikhaya tha.
    • To pata chala ke hamara analysis, hamara tajziya hi ghalat tha.
  • Doosra point analyze karne ka ye hai ke, west me Badshahon ke zulm ko ye rokte hain ya dictatorships khatam karte hain, ya insaani zindagi ki ahmiyat ko qayem kiya huwa hai,
    • Inn ko apne justice system par poora bharosa hai ke, ye insaani huqooq ka paas rakhte hain.
    • Insaan ko insaan samajhte hain,
    • wohi India me ghareeb ko poochhne wala koi nahi,
    • To west me parde ko khatam kar diye, aur iss ka explanation ye de rahe hain ke, hamare paas insaani huqooq ka paas rakha jata hai,
    • Har insaan equal hai,
    • Mard aur Aurat bhi equal hai,
    • Auraton se bhi waise hi kaam karwaate hain jaisa mardon se karwaate hain,
    • Halanke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne mard aur aurat ko alag alag banaya, dono ke functions alag alag hain.
    • Aap dono barabar hai bol kar, har ek se har kaam karwa rahe hain.
    • Baaz kaam jo auraton ki fitrat ke khilaaf hain, jaise koi khatnaak kaam ho, ya jahan bohot zyada taqat lagti ho, waghairah, waghairah, wo sab kaam unn se bhi karwa rahe ho, aur keh rahe ho ke, insaani huqooq hai, sab barabar hain.
    • Mardon aur auraton ka education system ek hai, to unn ke kaam karne ki salahiyat alag kyun? Aise sawal karte hain,
    • Mard jo kaam karte hain, wohi kaam auraton ko bhi karna chahiye,
    • To Dr. Israr Ahmed Sahab ne iss ko acha samjhaya ke, mard aur aurat zehni taur par ek ho sakte hain lekin jismani taur par alag alag hain, agar jismani taur par ye ek hote to Olympics me mard aur aurat ke competitions alag alag kyun hain, dono ko 100m ki race me ek saath kyun daudne nahi dete?
    • Agar mardon aur auraton ki 100m ki race ko compare karenge, to pata chalega ke, jo sab se tez mard daudne wala, Usain Bolt hai, 2009 me jo record banaya wo 9.58 sec hai aur jo sab se tez aurat daudne wali, Florence Griffith-Joyner, 1988 me jo record banayi wo 10.49 sec hai jo koi aur aurat, aaj tak iss record ko todh nahi saki.[22]
    • Issi tarah se, wazan utthane ki jo salahiyat hai, mardon aur auraton ki alag alag hai, aur iss ke bhi jo competitions hote hain, wo mardon ke alag aur auraton ke alag hote hain. Princeton University ki ek report ke mutabiq, auraton ke wazan utthane ki capacity 20% – 40% kum hoti hai, mardon ke muqable me, same weight category me.[23]
    • Aisi kayee aur misaalein di ja sakti hain, aur ye sirf political gain hasil karne ke liye kiya ja raha hai. Jab bhi elections hote hain, to ye justify karne ki koshish hoti hai ke, mard aur aurat ek jaise hain aur hum tumhare huqooq ke liye ladenge.
  • Teesra point analyze karne ka ye hai ke, ye jo Democracy ka nara hai, wo sirf logon ko bewaqoof banane ka zariya hai, kyun?
    • Kyun ke, Democratic Governments jo hain wo badi companiyon ke, bade corporations ke watchdogs hote hain, unn ke mafaad ki hifazat karte hain,
    • Public ko ya awaam ko polarize karke, voting ke zariye democratic system ko istemaal karte huwe government form to kar lete hain, lekin phir wo madad unhi logon ki karte hain, jo elections ko fund kartay hai,
    • India me jo halaat chal rahe hain, aur jo west me pehle se hota aa raha hai, democracy ka nara buland karne se kya hoga, asliyat kya hai, ye logon ko to pata hi nahi.
    • Asal Democracy kya hai?
    • Democracy ka matlab, logon ki hukumat, jis me awaam ke har tabqe ki baat suni jayegi, unn ki bhalai ke liye kaam ho, har mazhab ko bardasht kiya jayega, ghareebon ki madad aisi ho ke ghulami khatam ho jaye, mulk ka paisa sirf chand ameeron me hi na ghoomta rahe, agar Democracy ke ye matlab ko maante ho, to ye asal Democracy hai.
    • Democracy ko istemaal karke, agar aap logon ko ek doosre se ladwa rahe ho, aur awaam ke ek tabqe ko tarjeeh dete ho, supremacy ko ya supremacist groups ko, doosre groups par haawi hone dete ho, naam ke liye ghareebon ka khayal rakhte to ho, lekin ghareebon ki takleef ko khatam karne ke liye koi khadam nahi utthate, balke aise qawaneen banate ho, jiss se ghareeb aur ghareeb hota chala ja raha hai, aur modern day slavery ko khatam karne ki nahi balke uss ko aur badhane ki koshish kar rahe ho, to ye sirf aur sirf democracy ki bighdi huwi tasweer hai, ek perverted image hai. Asal Democracy nahi.

Toh inhone na sirf democracy ka bigda huwa form bana liya balke har cheez ka ek perverted image bana liya hai,

  • bhalai ka,
  • sacchai ka,
  • justice ka, insaaf ka,
  • ab aaj kal science ka bhi ek bigda huwa perception banaya ja raha hai,
  • apne obsolete deen ko, science se milakar baat karenge,
  • aur apni gumrahi mein hadd se aage nikal gaye hain aur ussi me agay badhte chale ja rahe hain.
  • Inhe kitna bhi samjha lo, ye phir wohi baat karenge, apne bigde huwe khayalaat ko hi thopne ki koshish karenge,
  • Aur ye sab log chahte hain ke, hum iss par yaqeen kar lein, aur inn ke iss tareeqe ko follow kare.

Aur hamara haal kya hai?

  • hum bhi inhi ki taqleed mein lage huwe hain,
  • inki tazeem aur tareef kiye jarahe hain,
  • unke justice system ki tareef,
  • unke insani haqooq ki tareef,
  • jabke inn ki tamam cheeze bigdi huwi hain, jaisa ke humne abhi analyze kiya, aur islam ke liye hum hamare andar badi tangi mehsoos karte hain,
    • Paanch (5),…, namazein,
    • 30,…, roze,
    • zakat,
    • hajj,
    • chor ka hath katna,
    • zani ko patthar maar ke khatam kar dena,
    • uff! kya mushkil mazhab hai,
    • shayad kafir sahi kehte hain,…, islam ek barbaric religion hai,
    • jo talwar ke zor per phaila,
    • ye hamari soch ban gayi hai,
  • Allah hum par reham kare,…, apna-apna jaiza lein aur apnay aap ko theek karein,…, nahi toh,.., mohar idhar bhi lag sakti hai.
  • Kya musalmano me bigde huwe khayalat nahi hai?
    • Jaise, Eid al-Adha me bakra kaatna zaroori hai kya, iss ki jagah hum khairaat kyun nahi kar sakte?
    • Kya hamare log bida’at ko asal deen nahi samajh rahe hain?
    • Kya humne Quran ko apni peetton ke peechhe nahi daal rakha hai?
    • Kya hum Ahadith ka inkaar nahi kar rahe hain?
    • Kya hume ghairon ki baatein achi nahi lag rahi hain, Quran aur Hadith ke khilaf?
    • Kya hum yahoodiyon ki tareef me nahi lage huwe hain?
    • Kya hamare log, tantrikon ke paas, baba’on ke paas nahi ja rahe hain? Aur ye samajh rahe hain ke, hume shifa wahan se mil rahi hai?
    • Kya hum inn ghalat aur bigde huwe khayalat ki tableegh nahi kar rahe hain?
    • To hum par mohar kyun nahi lag sakti?
  • To aise musalmano ke saamne jab ye bola jayega ke, ghair-musalmano me chaar ya paanch qualities hain jo behtareen hain, jo hadith humne iss session ke shuru me suni, to fauran maan lenge, aur yehi wajah hai ke, kuch musalman Deen-e-Islam ko chhorrh kar – kuch aur ban ja rahe hain.
  • Ye asal sachai ko nahi dekh rahe hain, unhe ye perverted good, bigdi huwi achai sahih lag rahi hai, to kya ye Allah ki taraf se mohar lagna nahi hai?

خَتَمَ اللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ وَعَلَىٰ سَمْعِهِمْ ۖ وَعَلَىٰ أَبْصَارِهِمْ غِشَاوَةٌ ۖ وَلَهُمْ عَذَابٌ عَظِيمٌ

Toh ye dekh toh rahe hain, lekin jo asal sach hai,…, wo dikhayi nahi de raha,…,

  • ye sun toh rahe hain, lekin inhe sacch sunayi nahi de raha,…,
  • iss ki wajah kya hai?
  • Iss ki wajah ye hi hai ke,…, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) inn ke dil-o-dimagh per mohar laga di hai.
  • To yahan, iss angle se analysis, ya tajziya poora huwa.

Scientific Explanation

Ek aur tareeqe se, yani Iss hidayat walay process ko teesray angle se bhi analyze karna hain, jo hum aanay wale hafte sunenge. In Sha Allah.

To yahan hum aaj ka dars rok denge,

Al hamdulillahi Rabbil Alameen

Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam

Rabbana aatina fid duniya…

References

[1] Al Quran, Surah al-Ahzab, Chapter 33: Verse 72

[2] Narrated `Auf bin Mali: I went to the Prophet (ﷺ) during the Ghazwa of Tabuk while he was sitting in a leather tent. He said, “Count six signs that indicate the approach of the Hour: my death, the conquest of Jerusalem, a plague that will afflict you (and kill you in great numbers) as the plague that afflicts sheep, the increase of wealth to such an extent that even if one is given one hundred Dinars, he will not be satisfied; then an affliction which no Arab house will escape, and then a truce between you and Bani Al-Asfar (i.e. the Byzantines) who will betray you and attack you under eighty flags. Under each flag will be twelve thousand soldiers.

حَدَّثَنَا الْحُمَيْدِيُّ، حَدَّثَنَا الْوَلِيدُ بْنُ مُسْلِمٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْعَلاَءِ بْنِ زَبْرٍ، قَالَ سَمِعْتُ بُسْرَ بْنَ عُبَيْدِ اللَّهِ، أَنَّهُ سَمِعَ أَبَا إِدْرِيسَ، قَالَ سَمِعْتُ عَوْفَ بْنَ مَالِكٍ، قَالَ أَتَيْتُ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم فِي غَزْوَةِ تَبُوكَ، وَهْوَ فِي قُبَّةٍ مِنْ أَدَمٍ فَقَالَ ‏ “‏ اعْدُدْ سِتًّا بَيْنَ يَدَىِ السَّاعَةِ، مَوْتِي، ثُمَّ فَتْحُ بَيْتِ الْمَقْدِسِ، ثُمَّ مُوتَانٌ يَأْخُذُ فِيكُمْ كَقُعَاصِ الْغَنَمِ، ثُمَّ اسْتِفَاضَةُ الْمَالِ حَتَّى يُعْطَى الرَّجُلُ مِائَةَ دِينَارٍ فَيَظَلُّ سَاخِطًا، ثُمَّ فِتْنَةٌ لاَ يَبْقَى بَيْتٌ مِنَ الْعَرَبِ إِلاَّ دَخَلَتْهُ، ثُمَّ هُدْنَةٌ تَكُونُ بَيْنَكُمْ وَبَيْنَ بَنِي الأَصْفَرِ فَيَغْدِرُونَ، فَيَأْتُونَكُمْ تَحْتَ ثَمَانِينَ غَايَةً، تَحْتَ كُلِّ غَايَةٍ اثْنَا عَشَرَ أَلْفًا ‏”‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 3176 | In-book reference: Book 58, Hadith 18 | USC-MSA web (English) reference: Vol. 4, Book 53, Hadith 401 | https://sunnah.com/bukhari:3176

[3] Source: https://www.abuaminaelias.com/dailyhadithonline/2013/06/12/romans-five-good-traits/ and its explanation in https://www.islamweb.net/amp/en/fatwa/190057/

[4] Mustaurid al-Qurashi reported: I heard Allah’s Messenger (ﷺ) as saying: The Last Hour would come (when) the Romans would form a majority amongst people. ‘Amr said to him (Mustaurid Qurashi): See what you are saying? He said: I say what I heard from Allah’s Messenger (ﷺ). Thereupon he said: If you say that, it is a fact for they have four qualities. They have the patience to undergo a trial and immediately restore themselves to sanity after trouble and attack again after flight. They (have the quality) of being good to the destitute and the orphans, to the weak and, fifthly, the good quality in them is that they put resistance against the oppression of kings.

حَدَّثَنَا عَبْدُ الْمَلِكِ بْنُ شُعَيْبِ بْنِ اللَّيْثِ، حَدَّثَنِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ، أَخْبَرَنِي اللَّيْثُ، بْنُ سَعْدٍ حَدَّثَنِي مُوسَى بْنُ عُلَىٍّ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ قَالَ الْمُسْتَوْرِدُ الْقُرَشِيُّ عِنْدَ عَمْرِو بْنِ الْعَاصِ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏ “‏ تَقُومُ السَّاعَةُ وَالرُّومُ أَكْثَرُ النَّاسِ ‏”‏ ‏.‏ فَقَالَ لَهُ عَمْرٌو أَبْصِرْ مَا تَقُولُ ‏.‏ قَالَ أَقُولُ مَا سَمِعْتُ مِنْ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ لَئِنْ قُلْتَ ذَلِكَ إِنَّ فِيهِمْ لَخِصَالاً أَرْبَعًا إِنَّهُمْ لأَحْلَمُ النَّاسِ عِنْدَ فِتْنَةٍ وَأَسْرَعُهُمْ إِفَاقَةً بَعْدَ مُصِيبَةٍ وَأَوْشَكُهُمْ كَرَّةً بَعْدَ فَرَّةٍ وَخَيْرُهُمْ لِمِسْكِينٍ وَيَتِيمٍ وَضَعِيفٍ وَخَامِسَةٌ حَسَنَةٌ جَمِيلَةٌ وَأَمْنَعُهُمْ مِنْ ظُلْمِ الْمُلُوكِ ‏.‏

Reference: Sahih Muslim 2898a | In-book reference: Book 54, Hadith 45 | USC-MSA web (English) reference: Book 41, Hadith 6925 | https://sunnah.com/muslim:2898a

[5] Source: New York Times News – see pdf in folder

[6] Isla Bryson Case – BBC News – Source: Isla Bryson case: Movement of violent transgender prisoners paused – BBC News

[7] Pope Francis says laws criminalising LGBT people are a ‘sin’ and an injustice, Source: https://www.reuters.com/world/pope-francis-says-laws-criminalising-lgbt-people-are-sin-an-injustice-2023-02-05/

[8] Riba, Sood, Interest Fatwa, Source: https://www.islamweb.net/en/fatwa/405640/the-spread-of-riba-is-a-sign-of-the-hour

[9] Buying house on Riba based loan is not allowed Fatwa, Source: https://www.islamweb.net/en/fatwa/384670/father-bought-a-house-with-riba-based-loan

[10] Wants to buy a house with Riba, Source: https://www.islamweb.net/en/fatwa/83806/wants-to-buy-a-house-with-riba

[11] We’ve really lost a decade to lip service about inequality’: World’s richest 1% captured almost two-thirds of all new wealth created in two years, report says, Source: https://www.marketwatch.com/story/weve-really-lost-a-decade-to-lip-service-about-inequality-worlds-richest-1-captured-almost-two-thirds-of-all-new-wealth-created-in-two-years-report-says-11673652390

[12] Prophet sought refuge from overburdening loan, Adab al-Mufrad 801 Source: https://understandquran.com/debts-loans-helping-others-according-quran-sunnah/

[13] Making dua from incurring debt, Sunan an-Nasai 5454, Source: https://understandquran.com/debts-loans-helping-others-according-quran-sunnah/

[14] Is porn bad for you? BBC Science Focus, Source: https://www.sciencefocus.com/the-human-body/is-pornography-harmful/

[15] Shocking Ways Watching Porn Affects Your Physical And Mental Health, Times of India, Source: https://timesofindia.indiatimes.com/life-style/health-fitness/health-news/shocking-ways-watching-porn-affects-your-physical-and-mental-health/photostory/84583475.cms

[16] Mississippi Mass Shooting-6 dead, Source: Mississippi mass shooting: Man kills ex-wife and five others – BBC News

[17] Virginia-6 year old shoots teacher, Source: 6-year-old who shot teacher exposes failures in U.S. school disability plans (usatoday.com)

[18] Gun Violence Archive, Source: Mass Shootings in 2023 | Gun Violence Archive

[19] Source: https://www.timesofisrael.com/muslim-man-says-hes-delaying-protest-torah-burning-near-israeli-embassy-in-sweden/

[20] 2:85

[21] List of Philantropists, Source: https://en.wikipedia.org/wiki/List_of_philanthropists

[22] Fastest Man on the Planet, Source: https://en.wikipedia.org/wiki/100_metres

[23] Muscle Strength difference Men-Vs-Women, Source: https://scholar.princeton.edu/sites/default/files/brzycki/files/mb-2002-01.pdf

Comments are closed.