YUQIMUUN (They establish) يُقِيمُونَ 2:3
Lafz-e-Yuqeemoona ka maddah ya root (ق و م) hai, jiss ke maane wo qayem karte hain. Quran me, issi madde se jo alfaz banay hain unn ke maane;
- Qayem karna, jaisa ke, aamaal ka hisaab qayem karna,[63]
- Taurait aur Injeel ko qayem karna, uss par amal karna,[64]
- Muaheda ya agreement qayem karna aur uss par amal karna,[65]
- Deen ka seedha raasta,[66]
- Salat Qayem karna jaisa iss ayat me aya hai,[67]
Salat ko ya Namaz ko qayem karne ke liye;
- ek nizam ki zaroorat hoti hai,
- tareeqe ki zaroorat hoti hai,
- jagah ki zaroorat hoti hai,
- waqt ka nizam qayem karna hota hai.
- Ye tamam cheezon ko Lafz-e-Salaat me samjhenge.
Chohta lafz iss ayat ka, Salat hai.
References
[63] 14:41
[64] 5:68
[65] 9:7
[66] 9:36
[67] 2:3