YU MINUUN

YU MINUUN

YU MINUUN (They believe)يُؤْمِنُوْنَ 2:3

Dr. Anees apni kitab Explanatory Dictionary of the Holy Quran me likhte hain ke, Lafz-e-Yuminoon ka maddah ya root (ا م ن) hai, jiss ka matlab ‘Wo log jo iman laye ya iman layenge’ aur issi madde se ya issi root se lafz-e-Iman bhi hai,[1] aur doosre alfaaz iss root se jo Quran me aye hain, wo hain;

  • Aman – Safety,[2] Aman ki jagah, ya safe place.
  • Aman – Peace,[3] Aman me aa jana, ya Aman khayam karna.
  • Be-khauf hona – Security,[4] Kya bastiyon ke rehne wale iss se bekhauf hain ke unn par hamara azaab raat ke waqt – achanak aa jaye, jab ke wo be-khabar so rahe hon? Are they secure from Allah’s Plan?
  • Bharosa – Trust,[5]
  • Amanat – kisi ke maal ko kharch kare baghair – safety dena aur usay poora wapas karna,[6]
  • Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ne jab Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) se poocha ke aap marne ke baad kaise zindagi dete hain, to Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne poocha ke kya tum ko iman nahi, yahan jo lafz istemaal huwa hai – wo yaqeen ke mano me istemaal huwa hai, kya tumhe yaqeen nahi ke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) marne ke baad zindagi denge, kyun ke, Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) agay farma rahe hain ke, Iman to hai lekin sawal iss liye kiya ke dil ko itemenan ho jaye…,[7]
  • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) par iman lana, aakhirat par, farishton par, Allah ki bheji huwi kitabon par aur uss ke bheje huwe Rasoolon aur Nabiyon par,[8]
  • Amanat-daar,[9]

Ek Momin me ye tamam khususiyat rehna chahiye, aur jo Iman hai, wo Taqwe ki tarah dil ki kaifiyat hai.[10]

Iman se wabasta jo achi sifaat hain, wo kya hai?

  • Ita’at aur Farmabardari,[11]
  • Shukar guzaar banna,[12]
  • Allah par tawakkal ya bharosa karna,[13]
  • Taqwa,[14]
  • Nekukaar banjana,[15]
  • Tauba,[16]
  • Rehnumai ya Hidayat,[17]
  • Sabr,[18]
  • Jinn ke dil Allah ki yaad se araam paate hain, ya Allah ke zikr se unhe itmenan milta hai,[19]
  • Mohabbat,[20]
  • Noor,[21]
  • Allah ki taraf se Ruh ke zariye quwwat ata hona,[22]
  • Sakeena Nazil hona yani sukoon ki kaifiyat mehsoos karna.[23]

Buray sifaat jo Iman ke khilaf hai, yane ye sifaat momin me nahi ho sakte;

  • Kufr aur Shirk,[24]
  • Munafiqat,[25]
  • Mufsid, fasad ya corruption phailana,[26]
  • Na-Farmani,[27]
  • Bewaqoof,[28]
  • Iman nahi laye, to Allah ne dilon par mohr laga di, jis ki wajah se ab ye samajhte nahi,[29]
  • Khauf,[30]
  • Gunah, Badkaari,[31]
  • Jhoot,[32]
  • Jurm,[33]
  • Nuqsan, tabahi, khasara,[34]
  • Ghair Mahfooz, insecure,[35]
  • Pareshani, Ghum,[36]
  • Na-Insafi,[37]
  • Majboor karna, Zabardasti.[38]

al-Mumin, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki sifaton me se ek sifat hai,[39] jis ke zariye Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) hume Salamati, Be-Khaufi aur aman ata karte hain. Wohi hai jo qabil-e-bharosa hain, amanatdaar hain, jiss ka wajood yaqeeni hai, aur jiss ke wajood aur sifaat par hume iman laana zaroori hai.[40]

References

[1] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 108

[2] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 239

[3] Al Quran, Surah an-Nisa, Chapter 4: Verse 91

[4] Al Quran, Surah al-Araf, Chapter 7: Verse 97

[5] Al Quran, Surah Yusuf, Chapter 12: Verse 11

[6] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 283

[7] Al Quran, al-Baqarah, Chapter 2: Verse 260

[8] Al Quran, al-Baqarah, Chapter 2: Verse 177

Al Quran, Surah Saba, Chapter 34: Verse 3

[9] Al Quran, Surah ash-Shuara, Chapter 26: Verse 107

[10] Al Quran, Surah al-Hujurat, Chapter 49: Verse 7

[11] Al Quran, Surah al-Ahzab, Chapter 33: Verse 22

[12] Al Quran, Surah an-Nisa, Chapter 4: Verse 147

[13] Al Quran, 10:84

[14] 2:103

[15] 6:48

[16] 19:60

[17] 2:137

[18] 3:200

[19] 13:28

[20] 19:96

[21] 2:257

[22] 58:22

[23] 48:4

[24] 40:12

[25] 57:13

[26] 38:28

[27] 3:110

[28] 2:13

[29] 63:3

[30] 106:4

[31] 40:58

[32] 61:2

[33] 83:29

[34] 6:12

[35] 29:67

[36] 3:154

[37] 6:82

[38] 10:99

[39] 59:23

[40] Dr. Mir Aneesuddin, Explanatory Dictionary of the Holy Quran.

Comments are closed.