LIL MUTTAQIIN For those who guard (against evil) لِلْمُتَّقِيْنَ 2:2
Lafz-e-Muttaqeen ka root ya maddah (و ق ى) hai, iss ka matlab;
- Protection ya kisi cheez se bachanay ke aye hain,
- Aisa libas Allah ne ata kiya jo garmi se bachaye aur jungi libas bhi ata kiya, jo hathyar ke maar se bachaye,[1]
- Aag ke azab se bachao,[2]
- Hiris aur Dil ki tangi se bachao,[3]
- Dushman se bachne ke liye, hoshiyar rehna ya mohtaat rehna,[4]
- Qisas ke hukum ke zariye, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne Musalmano me Qatl aur Khoon-rezi se bachaya hai,[5]
- Allah se darna,[6]
To,…, Muttaqi wo hai jo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) se dar kar gunahon se bachte huwe nek amal karta hai, kyun ke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) iss par qadir hain ke wo gunahon ki saza, azab ke zariye de sakte hain. Iss kaifiyat ka naam Taqwa hai.
Quran me, Lafz-e-Taqwa jin achi cheezon se bawasta hai, wo hain;
- Iman se,[7]
- Quran se,[8]
- Allah ki ita’at se, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki itteba se, aur iss ke nateeje me milne wali kamiyabi se,[9]
- Apni marzi ko Allah ki marzi ke aagay jhuka denay, aur Namaz qayem karne se,[10]
- Neki karne se,[11]
- Ghalati ko Sudhaarne se,[12]
- Sadaqah dene se aur haq ko ya sach ko tasleem kar lene se,[13]
- Insaf se,[14]
- Sadaqat se,[15]
- Maafi se,[16]
- Sabr se,[17]
- Jahannam ke khauf se,[73]
- Allah ki Raza se,[19]
Aur jo cheezen Taqwa ke khilaf hain, wo hain;
Taqwa dil ki kaifiyat hai,[22] aur iss ki wajah se jo Muttaqi hain wo nek amaal kartay hain.[23] Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) hume hukum dete hain ke, hum unn hi se daray.[24] Jab Muttaqiyon ko wasswase aate hain, to wo Allah ka zikr karte hain, jis ke baad unhe haq ka pata chal jata hai.[25]
Taqway ke fawaid ye hain, jiss se muttaqi;
- Sahih aur Ghalat me farq kar sakta hai, burai ko uss se door kar diya jata hai aur Maaf kar diya jata hai,[26]
- Uss ke raaste asan ho jaate hain,[27]
- Uss ko barkatein, zameen aur aasmaan se milti hain,[28]
- Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) Muttaqeen ke saath hote hain,[29]
- Yehi wo log hain jo sab se zyada izzat wale hain,[30] aur
- inn ka thikaana Jannat hai.[31]
- Ahadith me bhi ye lafz ke maano me bachne ke aur protection ka hi matlab aya hai.[32]
Ye Quran, Hidayat hai Muttaqeen ke liye, wo log jo Allah se dar kar gunahon se bachte hain aur nek amaal karte hain. Phir Surah an-Naml ki 1-2 ayaat me farmaya ke, ye Quran hidayat hai, guidance hai, Momineen ke liye,[33] aur Surah al-Baqarah me aagay, 130wi ayat me farmaya ke, ye Quran insaano ki hidayat ke liye nazil kiya gaya hai.[32]
References
[1] Al Quran, Surah an-Nahl, Chapter 16: Verse 26
[2] Al Quran, Surah at-Tahreem, Chapter 11: Verse 6
[3] Al Quran, Surah al-Hashr, Chapter 4: Verse 9
[4] Al Quran, Surah aal-Imran, Chapter 3: Verse 28
[5] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 124
[6] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 196
[7] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 103
[8] Al Quran, Surah al-Haqqah, Chapter 14: Verse 48
[9] Al Quran, Surah an-Noor, Chapter 24: Verse 52
[10] Al Quran, Surah al-An’am, Chapter 6: Verses 16-17
[11] Al Quran, Surah aal-Imran, Chapter 3: Verse 117
[12] Al Quran, Surah al-Araf, Chapter 7: Verse 35
[13] Al Quran, Surah al-Layl, Chapter 92: Verses 5-7
[14] Al Quran, Surah al-Maidah, Chapter 5: Verse 8
[15] Al Quran, Surah al-Maidah, Chapter 5: Verse 2
[16] Al Quran, Surah al-Muddathir, Chapter 19: Verse 1
[17] Al Quran, Surah aal-Imran, Chapter 3: Verse 120
[73] Al Quran, Surah az-Zumar, Chapter 39: Verse 16
[19] Al Quran, Surah at-Taubah, Chapter 9: Verse 109
[20] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 206 and
Al Quran, Surah Saad, Chapter 38: Verse 28
[21] Al Quran, Surah ar-Raad, Chapter 13: Verse 35
[22] Al Quran, Surah al-Hujurat, Chapter 49: Verse 3
[23] Al Quran, 2:2-5, 2:122, 3:133-135, 9:44, 39:33
[24] Al Quran, 3:102, 9:16
[25] Al Quran, Surah al-Araf, Chapter 7: Verse 201
[26] Al Quran, Surah al-Anfal, Chapter 8: Verse 29
[27] Al Quran, Surah at-Talaq, Chapter 10: Verse 4
[28] Al Quran, Surah al-Araf, Chapter 7: Verse 96
[29] Al Quran, 16:128, 3:21
[30] Al Quran, Surah al-Hujurat, Chapter 49: Verse 13
[31] Al Quran, Surah at-Tur, Chapter 52: Verses 17-18
[32] Anas (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (ﷺ) said, “Whoever says (upon leaving his house): ‘Bismillah, tawakkaltu ‘alallah, wa la hawla wa la quwwata illa billah [I begin with the Name of Allah; I trust in Allah; there is no altering of conditions but by the Power of Allah],’ it will be said to him: ‘You are guided, defended and protected.’ The devil will go far away from him”. [Abu Dawud, At-Tirmidhi and An- Nasa’i. At-Tirmidhi classified it as Hadith Hasan]. Abu Dawud reported it with this addition: “One devil will say to another: ‘How can you deal with a man who has been guided, defended and protected?”.
العاشر: عن أنس رضي الله عنه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم : ”من قال-يعني إذا خرج من بيته-: بسم الله توكلت على الله، ولا حول ولا قوة إلا بالله ، يقال له: هديت وكفيت ووقيت، وتنحى عنه الشيطان”. رواه أبو داود والترمذي، والنسائي وغيرهم. وقال الترمذي: حديث حسن، زاد أبو داود: ”فيقول :-يعني الشيطان-لشيطان آخر: كيف لك برجل قد هدي وكفي ووقيّ ؟
Reference: Riyad as-Salihin 28
[33] Al Quran, Surah an-Naml, Chapter 27: Verses 1-2
[32] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 130