Tafseer Surah Al-Masad Part 1

Tafseer Surah al-Masad Part 1


Bismillah Alhamdulillah was salaatu was salaamu ala rasoolillah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani wa yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuh

Pichle Dars me humne Surah Al-Ikhlas ki tafseer suni, aur aaj In Sha Allah Surah Al-Masad ko samajhne ki koshish karenge, aaj ke session ka time sirf adha ghanta hai, issi liye iss surat ko do ya teen hisson me karenge:

Introduction

Suratul Masad – Quran ki 111 surat hai, lafz e Masad iss surat ki akhri ayat me aya hai. Iss surat ko Suratul Lahab bhi kaha jata hai aur ye lafz pehli ayat me hai. Ye Surat Rasoolullah (ﷺ) ke chacha Abu Lahab par hai.

Quran ki tarteeb ke hisab se pehle Surah al-Kafiroon, phir Surah an-Nasr, phir ye Surah al-Masad, phir Surah al-Ikhlas, phir Surah al-Falaq aur phir Surah an-Naas hai.

  • Surah al-Falaq aur Surah an-Naas sath parhne ki hadith hum sun chukay hain,
  • Surah Ikhlas, surah falaq aur surah an Naas ek Sath parhne ki hadith bhi sun chukay hain,
  • phir Surah al-Kafiroon aur Surah al-Ikhlas Namaz ki do rakat mein parhne ki hadith bhi sun chukay hain
  • Kyun ke Quran me tasalsul hai, continuity hai, to yahan Surah al-Masad ko kyun rakha gaya?
  • Surah an-Naas me waswasson se jo insano aur jinno ki taraf se aate hai uss se panah mangi gayi, ye hum sun chuke hain
  • Surah Falaq – mein puray creation ke shar se, hasad aur keena karne walon ke shar se bachne ka tarika bata gaya, ye bhi hum sun chuke hain,
  • Surah al-Ikhlas me Allah SWT ki wahdaniyat aur tauheed ka zikr bhi hum sunn chuke hain
  • Ab yahan Surah al-Masad ko rakhne ka maqsad, Rasoolullah (ﷺ) ke dushmano ka kya haal hota hai iss ke baare me hum janne aur samajhne ki koshish karenge,
  • In-Sha Allah hum aage dekhenge ke Surah Al Kafiroon – kafiron se deal karnay ka tarikha bata rahi hai, Surah an-Nasr Islam ki overall victory, jiss me log groups me dakhil ho rahe the aur ye silsila aaj bhi chal raha hai, uss ke bare me hai, inn ko dekhenge
  • To ye tamam topics me tasalsul hai, continuity hai.

Understanding the Surah and its Purpose

Iss surat ko shuru karne se pehle yeh samjhne ki zaroorat hai ke Quran mein bade bade sahaba (رضي الله عنهم) ka zikr nahi hai, Abu Bakr Siddiq (رضي الله عنه) aur Zaid bin Haritha (رضي الله عنه) ka isharatan zikr hai, lekin Firaun aur Abu Lahab ka naam Quran me aya hai, to iski kya wajah hai?

Iss ki wajah ye samajh me aati hai ke,

  • Firaun, Islam ke khilaf ek ‘opposing force’ hai political level per – ek political enemy of Islam hota hai, aaj bhi hai – issi liye ye naam ke saath zikr hai aur
  • Abu Lahab, Islam ke khilaf ek ‘opposing force’ hai family ya social level per.
  • Musalmano ko ye dono level per kaam karte rehna padega, takay Islam ka message logon tak pahunchta rahe, ye do opposing forces ke bawajood.

Abu Lahab jaisay log family mein ya society mein milte hain, to ye log kya karte hain? Jaanay anjanay taur per Islam se rokte hain, misaal ke taur per;

  • Ab aise mehfilon mein baith kar, deeni maaloomat hasil karne ke baad, ek naujawan ladke ko samajh aya ke wo daadi rakh le, to uss ne dadhi rakh li. Ya koi namaz nahi parhta tha aur wo namaz parhne laga,
  • To uss per aitraz karenge,
  • peeche parrh jayenge
  • Aur agar Abu Lahab jaise log, family mein bade hon, aur unkay paas paisa bhi ho, aur family ke major events, shadi waghairah ko wo hi financially sponsor karne wale hon
  • Jab bhi koi accha kaam karna chahtay hain, to uss waqt fauran aise shaks ka khayal dimag mein ajata hai, aur log wo nek kaam karne se ruk jaate hain.
  • Aisay log false ideology lekar family/society mein ghoomte rehte hain aur inka kaam sirf aitraaz karna, mazaq udana aur logon ko neki se rokna, islam ke sahi principles se door karna hota hai.
  • To aisay logon ki wajeh se dimag per excessive pressure banta hai, log depression me chale jaate hain, psychological problems aur psychiatric problems khade ho gaye hain,
  • 8% of world population depression me hai, 280 million log hote hain, jiss me se 75% log middle ya low income groups me hain – jin ka treatment hi nahi hota.
  • US kay employers ko US$ 100 billion ka kharcha aata hai sirf depression ke shikaar employees ke treatment ke liye
  • ‘data’ to wo logon ka hai jinko pata hai ki wo depression ke shikaar ho gaye hain, aise kitnay honge jinko depression ka pata hi nahi ke hota kya hai, bas pareshaan hai, bechain hai, andar hi andar dum ghut ra, lekin pata nahi ke medical condition hai aur treatment ki zaroorat hai, WHO ke figures hai, 75% log developing countries mein ba-ghair treatment ke hain, bas Allah raham karay.
  • To Abu Lahab jaise logon se kaise ‘deal’ kiya jaye?
    • kya hum insay ladayi kar lein?
    • Inki wajeh say family say door kahin chale jayein? kya karein?
    • Rasoolullah (ﷺ) ne kya kiya? Social Level par aur Political Level par, kyun ke ye problems aaj bhi hain.
    • Adab-e-Rasool (ﷺ), musalman kya kare? Cartoon banaye ja rahe hain, kaise iss se jooje?
    • Sahaba (رضي الله عنهم) ne kaisay deal kiya aur hamare liye kya ahkamaat hai?
    • Iss liye iss surat ko acche se samajhne ki zaroorat hai.

Surah nazil hone se pehle ka Pasmanzar

Rasoolullah (ﷺ) ke dada, Abdul Muttalib ke 10 bete the, Sheikh Safi ur Rehman al-Mubarakpuri ne apni kitab, Ar-Raheequl Maktoum me in ke naam record kiye hain;

  • Al-Harith,
  • Az-Zubair,
  • Abu Talib, (ye wo chacha hain jo Rasoolullah (ﷺ) ko support kare, Abdul Muttalib ke inteqaal ke baad, aur unconditional support diye jab aap (ﷺ) tableegh-e-Islam ke initial phase me the – lekin inhone Islam qabool nahi kiya)
  • ‘Abdullah, (ye Rasoolullah (ﷺ) ke walid hain)
  • Hamzah, (ye wo chacha hain jo Rasoolullah (ﷺ) ke saath bade huwe, aur bohot qareebi taaloq tha aap (ﷺ) se, Islam qabool kare aur jungon me hissa liya aur Uhad ki jung me shaheed huwe)
  • Abu Lahab, (ye wo chacha hai jis par ye surat nazil huwi)
  • Ghidaq,
  • Maqwam,
  • Safar and
  • Al-‘Abbas…

Abu Lahab ka asli naam Abd al-Uzzah tha, Abdul Muttalib apne bete ko pyar se Abu Lahab pukarte the kyun ke unn ke gaal lal the, aag ki tarah, jiss se wo khoobsurat aur dilkash dikhta tha. Abu Lahab ki khud ki kamayee huwi daulat thi, wo Abdul Muttalib ke beton me sab se zyada ameer tha, lekin wo baaqi khandan se kuch door tha, iss wajah se bhi ke wo apni maa ka eklota beta tha, aur ussi maa se doosre bhai ya behan na hone ki wajah se, sautele bhai – behen se alag rehta tha.

Bukhari ki ek hadith me ata hai ke, jab Rasoolullah (ﷺ) paida huwe, Thuwaiba jo Abu Lahab ki baandi thi, slave girl thi, wo aap (ﷺ) ki paidaish ki khushkhabri Abu Lahab ko deti hai aur iss khushi me Abu Lahab apne hath ke ishare se uss ko azad kar deta hai.

Nabuwat se pehle Rasool Allah (ﷺ) apne behtareen akhlaq ki wajah se mashhoor the, aap (ﷺ) ko log al-Amin keh kar pukarte the, al-Amin ki shohrat itni badh gayee thi, aur ye naam har ek ki zaban pe tha, aur shayad isi wajah se Abu Lahab aap (ﷺ) ke paas apne do bete (Utbah aur Utaibah) ke liye aap (ﷺ) ki do betiyan (Ruqayyah aur Umm Kuthum) se shadi ka proposal le aye. Aap (ﷺ) ne ye proposal maan liya, kyun ke wo Abu Lahab ke beton ke baare me acha guman rakhte the aur ye do rishte tai ho gaye.

Jab aap (ﷺ) par pehli wahi nazil huwi aur aap (ﷺ), Allah ke Nabi aur Rasool bann gaye, aur Islam aap (ﷺ) ke ghar me, doston me aur qareebi bharose wale logon me phail raha tha, aur jo log Islam qabool kar rahe the, unn ke saath jo waqiyat pesh aa rahe the wo koi maujeze se kum nahi the, zyada detail me jaane ka maukha nahi hai. Doosri aur teesri wahi ke baad pehle taharat aur paaki ka khayal rakhna, wazu karna, namaz aur Allah ke zikr ki taraf Rasoolullah (ﷺ) ko hukam huwa.

Abhi tak Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki taraf se hukum nahi huwa tha, aap (ﷺ) ko Islam ki dawat-e-aam dene ka, lekin Islam aap ke qareebi rishtedaaro me phail raha tha. Aap (ﷺ) ke chachaon me se, Abu Talib apne baap, dada ka deen chhorna nahi chahte the. Chacha Abbas Islam qabool karna taal rahe the, aur Hamzah samajh nahi rahe the, halanke dono aap (ﷺ) se zaati taur par mohabbat ka izhaar karte rahe. Abu Lahab zaati taur par ye zahir kar raha tha ke aap (ﷺ) gumrah hai ya kisi dhoke me mubtala hai.

Akhir Rasoolullah (ﷺ) ko, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki taraf se ye hukum aa hi gaya ke, apne qareebi rishtedaaron ko Islam ki dawat dijiye, Surah Ash-Shu’ara ki 214 ayta me ke;

وَأَنذِرْ عَشِيرَتَكَ ٱلْأَقْرَبِينَ

Aur apne qaribi rishtedaro ko khabardar kar dijiye

Iss ayat ke nuzool par aap (ﷺ) ne Bani Hashim me se aur Bani Abd Al-Muttalib ko jama kiya, 45 log jama huwe, Jab Rasoolullah (ﷺ) uss mehfil se khitaab karna chah rahe the, tab Abu Lahab beech me bolna shuru kar diya aur Rasoolullah (ﷺ) iss mehfil me logon se khitaab nahi kar paye aur wo mehfil khatam ho gayee.

Phir aap (ﷺ) ne ek aur dawat ki aur apne rishtedaro ko dobara jama kiya, aur unn se khitab kiya, aap (ﷺ) ne baad hamd o sana ke farmaya ke, ek rehnuma, ek guide apne logon se jhoot nahi bolta, main Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki qasam khata hoon ke Allah ke siway koi aur Ilaha, koi aur supreme authority nahi hai, aur main Rasool bana kar bheja gaya hoon khas taur par arabon ke liye aur tamam insano ke liye. main Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki qasam khata hoon ke tum waise hi maroge jaise sote ho, aur waise hi uthaye jaoge qiyamat me jaise subah neend se uthte ho. Qiyamat ke din hisaab kitab hoga tumhare amaal ka, uss ke baad ya to dozakh ki aag hogi hamesha ke liye ya jannat ke baagh honge hamesha ke liye.

Chronological Order of Suras

Order

Surah Name

Number

Type

Note

5

Al-Faatiha

1

Meccan

6

Al-Masad

111

Meccan

Shane nuzool me, Bukhari, Muslim aur chand hadith ko milkar, jiss me Ibn Abbas (رضي الله عنه) farmate hain ke;

  • Jab iss ayat me apne qareebi rishtedaron ko naseehat karne ka hukum nazil huwa, to aap (ﷺ) As-Safa ki pahadi par chadh kar awaz di “Ya Sabaha” (jaisa ke uss zamane me riwaaj tha, kissi se madad maangna hota tha ya kisi khatre ke baare me aghah karna hota tha to koi unchi jagah se awaz dete the “Ya Sabaha” kar ke),
  • Ek aur hadith me ata hai ke, aap (ﷺ) ne qabilon ke naam le kar pukara Aye Bani Fihr, Aye Bani Adi, Quraish ke alag alag qabilon ke naam se pukara.
  • Logon ne kaha ke “ye kaun hai?” kuch ne kaha ke “Ye Muhammad (ﷺ) hai” aur Log jama ho gaye aur jo nahi aa sakay unhone apne ek zimmadar ko bheja ke baad me unn ko report dein,
  • Tab aap (ﷺ) ne poocha, ke kya tum dekhte ho? ke agar main kahoon, ke ghodon par ek fauj iss pahad par chadh rahi hai ya iss pahad ke peeche khadi hai, to kya tum mera yaqeen karoge?
  • Yahan ye khaas baat Rasoolullah (ﷺ) ki speech ki aur aap (ﷺ) ke eloquence, bayan karne ke tareeqe ki ke, logon ko pehle apni taraf kar liya, phir bataya ke dawat kiss baat ki de rahe hain,
  • To logon ne kaha ke, “humne aap (ﷺ) ko kabhi jhoot bolte nahi suna”,
  • Tab aap (ﷺ) ne farmaya, “main ek khula chaukanna karne wala hoon, ek aise azaab se jo aane wala hai”,
  • Wahan, Abu Lahab ne kaha, “Tum halak ho jao ya Tumhare haath toot jaye”, kya iss ke liye tumne humein yahan jama kiya hai?” phir wo chala gaya.
  • Iss par Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne “تَبَّتْ يَدَا أَبِي لَهَبٍ وَتَبَّ‏” nazil huwi.

Iss Surah ke nuzool par ikhtelaf hai ke ye iss waqiye ke fauri baad nazil huwa ya Abu Talib ke inteqaal ke baad jab Raoolullah (ﷺ) par aur musalmano par bohot zulm kiye ja rahe the.

Martin Lings apni kitab Muhammad (ﷺ) me likhte hain ke, Iss waqiye ke baad, Abu Lahab ka rawayya khule aam dushman ka ho gaya aur uss ki biwi Umm Jamil (jo Abu Sufiyan ki behan thi) aap (ﷺ) se nafrat karne lagi aur inn dono ne apne beton ko kaha ke Rasoolullah (ﷺ) ki do betiyon (Ruqaiyya aur Umm Kulthum) se rishta khatam kar dein. Ye pata nahi ke shaadi ho gayi thi aur talaq hui ya sirf mangni tooti. Ibn saad likhte hain ke shaadi ho gayi thi aur iss waqiye ke baad talaq ho gayi. Zahir hai ke ye harkat sirf Rasoolullah (ﷺ) ko takleef pahunchaane ke liye ki gayi.

Tarjuma wa Tafseer

Ab aaiyye Surah Al-Masad ke tarjuma par:

أعُوذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيم

Main Allah se panah mangta hoon, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke protection me aata hoon, shaitan se jisse pathar maar ke bhaga diya gaya hai.

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم

Shuru Allah ke naam se jo taras kha kar faida pahunchane wala hai.

Vs No 1:

تَبَّتْ يَدَآ أَبِى لَهَبٍۢ وَتَبَّ

Toot gaye Abu Lahab ke dono haath aur wo tabah aur barbaad ho gaya

Iss ayat me 3 alfaz samajhne ke hai Tabba, Yadun, aur Lahab.

TABBA ka matlab jo Quran me aya hai wo, halak hone, tabah aur barbaad hone ke aye hain.

YAD ka matlab hai, haath. Quran me Yad – Kalahi tak ke liye bhi aya, koni tak ke liye bhi aya, aur kandhe tak ke liye bhi aya. Iss ayat me jo construction aya uss ka matlab dono haath.

Ahle Quran se behas ke dauran, maine ye sawal kiya tha ke, agar Quran hi se hum ko saare ehkamat lena hai aur ahadith ka inkar karna hai, reject kar dena hai to, ye batao ke chor ke haath kahan se kaatenge? Iss ka jawab to ahadith me aya hai – jaisa ke aap (ﷺ) ne kar ke dikhaya hai. Ye point iss liye bayan kiya ja raha hai, kyun ke hadith ka inkar karna aisa hi hai jaisa ke Rasoolullah (ﷺ) ka inkar karna.

LAHAB ka matlab fire, aag, aag ki lepat, shola.

تَبَّتْ يَدَآ أَبِى لَهَبٍۢ وَتَبَّ

Toot gaye Abu Lahab ke dono haath aur wo tabah aur barbaad ho gaya

Ye ek peshangoi thi Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) jo puri huwi, Abu Lahab ka sakht opposition, sakht mukhalifat, Rasoolullah (ﷺ) ki tableegh ko rokna aur khule aam aap (ﷺ) ko gaali dena, takleef pahunchana iss ke details next session me aa rahi hain.

Vs No 2

 مَآ أَغْنَىٰ عَنْهُ مَالُهُۥ وَمَا كَسَبَ

Uss ka maal aur jo kuch wo kamaya uss ke kisi kaam na aya

Iss ayat ke alfaz hai, Ghani, Maal, aur Kasab.

GHANI (One who is independent) 2:264

Yeh Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke asma-ul-husna me ka ek naam hai, iss ka matlab – Independent, Azad 39:7, kisi cheez se azad ho jana 88:7, unconcerned, be-parwaah, be-fikr 80:37, carefree 69:28, maaldaar aur daulat wala 59:7, safety, hifazat, salamati 7:48, dwell or live 7:92, flourish, panapna 10:24 waghairah ke aye hain Quran me, jiss ka opposite poverty, ghareebi 93:8 and being in need, zaroorat mand 35:15.

MAAL (Wealth) 2:155

Urdu me maal ko maal hi kehte hain, wealth

KASAB (To earn) 2:79

Quran me ye lafz neki, burayi aur daulat kamane ke liye aya hai

Yahan do cheezon ka zikr hai, ek to hai maal aur doosre hai kamayee, maal wirasat me bhi mil sakta hai, Abu Lahab maaldaar tha, lekin ye usski kamayi huwi daulat thi. Kamayi to apni mehnat ki hoti hai, to Abu Lahab jiss tareeqe se bhi kamaya tha wo uss ke kaam na aya. Iss surat me Abu Lahab ko dozaq ka information diya ja raha hai aur uss ka maal o daulat uss ke koi kaam nahi ayee dozaq se bachane me na Abu Lahab ko dozaq se azad karne me aur na uss ki hifazat karne me, Quran ne iss ko kaise Kaha? →

Vs No 3

سَيَصْلَىٰ نَارًۭا ذَاتَ لَهَبٍۢ

Wo jald bhadakti huwi aag me dala jayega.

Iss ayat ke laalfaz hain: Sayasla, Naar.

SAYASLA (They will enter, They will soon be burned) 4:10

Wo jald dakhil kiye jayenge, ya wo jald jalaye jayenge.

NAAR (Fire) 2:17

Naar yani aag ka jo description Quran me aya, ye uss ka khulasa hai, har ek point jo main keh raha hoon wo kisi na kisi ayat par dependant hai;

  • Mrne ke baad ki jo zindagi hai, uss me saza dozaq ki aag me hogi
  • Jiss ka fuel, jiss ka eendhan insan aur pathar honge
  • Aur jiss se log bahar nahi nikal payenge
  • Dozaq ki hifazat farishte kar rahe hain
  • Dozaqi – jannatiyon se kalam karenge, thanda paani aur khana maangenge aur unn se keh diya jayega ke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne ye sab dozaqiyon par haram kar diya hai – ye zikr Surah Araf me aya hai
  • Duniyawi zindagi me ped ki lakdi aag ka eendhan hai aur aag se zewar bante hain, ye shayad iss liye bataya ja raha hai ke dozaq ki aag ki jo garmi hai uss ka andaza ho sakte. kyunke zewar banane ke liye high temperature par kaam karna padega, metals ko piglane ke liye
  • Jo dozaq ki aag me jalenge wo log kaun hain?, yahan ek list aarahi hai;
    • kafir honge
    • Quran ka yani Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki ayato ka inkar karne wale honge, yahan ruk kar sonche ke, Quran par amal nahi karna aisa hi hai jaise ke hum Quran ka inkar kar rahe hain, har shaks apna khud hisab le le
    • Mushrikeen honge
    • Munafiqeen honge
    • Mujrimeen honge
    • Na insafi karne wale
    • Hadd se nikal jaane wale
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki ayato ka inkar karne wale
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) aur Rasoolullah (ﷺ) ki na farmani karne wale
    • Jo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki wahi ko aur unn ki ayat ko chhupate hain
    • Jo gunah karte hain aur unke gunah unn ko gher lete hain
    • Jo Sood yani Riba, Mitti, Interest lete hain, uss ki kayi khate hain
    • Jo badbakht hain, kharab hain, ache nahi hain
    • Jo log yateem ka paisa kha jaate hain
    • Shaitan aur Jinn
    • Jis ne khudkushi yani ‘suicide’ ki
    • ‘Khawarij’, kutton ki shakal mein dozakh mein honge
    • wo log jo sahi mazhab chod kar nikal gaye, Rasoolullah (ﷺ) ke baad , murtad ho gaye, arabi alfaz kuch iss tarah hain
    • (إِنَّهُمُ ارْتَدُّوا بَعْدَكَ عَلَى أَدْبَارِهِمُ الْقَهْقَرَى‏)
    • Jo koi deen e islam mein nayi cheezein dakhil kare
    • Jo koi dosron ko Rasoolullah (ﷺ) ke tarikhay se hat kar ghalat tarikhe ka rasta dikha ye aur jo uss ghalat raste per chalte hon (bina tehkeek kiye blindly follow karne wale)
    • Jis kisi ne bhi jahalat (ignorance) mein jhoota fatwa diya ho
    • Jo koi jaan buj kar Rasoolullah (ﷺ) ke khilaf jhoot bole
    • jo koi Rasoolullah (ﷺ) ke mimbar per jhooti kasam khale
    • masjidon mein bidat phelanay wale
    • Aurtein (Ladies)
      • Wo aurtein jo kapde to pahani hain lekin barhana dikhti ho
      • jo aurtein apnay shohar ko burai ki taraf bulati hain (yahan ye bhi kaha ja sakta hai jo aadmi apni biwi ko burai ki taraf bulata ho)
      • wo aurat jo tahajjud ki namaz padti hai, roza rakti hai, sadaqa karti hai lekin apni zubaan se padosiyon ko zakhmi karti hai
      • ‘Wailing’ karna yani ke matam manana jahalat ke waqt ka tarika hai, aur agar koi aurat taubah kare baghair mar gayi toh dozakh mein jayegi (aaj kal aadmi bhi ho sakte hain iss category mein)
      • ‘domestic animals’ ki taraf ‘unjust behavior’ karnay wali (ya wala)
    • daulat (Wealth)
      • Jo Allah ki di huwi daulat ghair ghalat tarikhe se kharch karte hain
      • haram kamai khane wale
      • maal-e-ghanimat mein se churane wale ya bait-ul-maal se churanay wale
      • Jis kisi ne zakat nai di ho
      • ‘zakat collectors’, jo ki uss mein se churate ho
      • Hajjion se churane wale
      • jaan bhuj kar apnay aapko kisi ki aulad batanay walay, jabki hai nahi, (kisi bhi wajeh se, property ke chakkar mein, ya koi aur wajeh ho)
      • aisi cheez ko apni batana jo ke apni hai nahi
      • wo jo logon se bheek mangta hai, bahut jyada paise jama karne ke liye
      • jis kisi ne islam ke hisaab se wasiyat nahi ki
      • Jis kisi ko bhi apne family ki koi fikr na ho aur apne daulat ki bhi
      • aise be-imaan log jiski lalach (greed) chup nahi sakti chote chote cheezon mein bhi
      • kanjus dozakh mein honge
    • ‘Iron’ ring pahan ne wale
    • Jo koi sone ya chandi ke bartan mein doodh ya pani peenay ke aadi hain
    • kapdo ko takhno se neeche rakhnay walay
    • wazu ke dauran aediyan aur koniyan acchay say nai dhone walay
    • janabat ke baad wale ghusal mein koi jism ka hissa sukha chod dena
    • Fahashi (الْبَذَاءُ) sakti se aati hai ya ‘harness’ (الْجَفَاءِ) se hai aur sakti dozakh mein hogi
    • zina karne wale aur waliyan
    • kamzor log jo gunah se bachne ki takhat nahi rakte
    • the weak (الضَّعِيفُ) who lack power (زَبْرَ) to (avoid evil)
    • 73 mein se 72 firke dozakh mein honge, siwaye al-jamaat ke (الْجَمَاعَةُ)
    • wo log jo nasha kare aur nashe ki halat mein mar jaye
    • bachon ko nasha kar wane wale
    • tasveer banane wale (بِالْمُصَوِّرِينَ), tasveer paint karne wale (الْمُصَوِّرُونَ)
    • Na haq logon ka khatal karne walay
    • ghulamon ko maarne wale
    • jadu ya magic mein mulavviz (invlovle) honay wale
    • aam khoon rezi ke dauran (الْهَرْجُ) ka lafz aaya, maarne wala aur marne wala dono dozakh mein honge
    • khud rai ya ziddi, zulm karne wale (جَبَّارٍ عَنِيدٍ ) ke alfaz aaye hain
    • Fakr (being Proud)
      • rai ke dane ke barabar bhi fakhr (proud) karnay walay
      • fakhar karnay walay, ‘violent’ log, ‘cruel’ log – hadith kay alfaaz yun hai
      • (مُسْتَكْبِرٍ), (زَنِيمٍ), (جَوَّاظٍ), (عُتُلٍّ), (الْعَظَمَةُ)
      • jo koi apne aap ko unche mukham per laye aur phir fakr kare
      • jo koi ye chahta ho ke use khade hokar istekbal kiya jaye
    • Yahudi, jin honay Rasoolullah (ﷺ) ke paigham ko nahi maana
    • Esai, jin honay Rasoolullah (ﷺ) ke paigham ko nahi maana
    • Yajuj aur Majuj dozakh mein honge
    • wo log jo Madina ke logon ko ki taraf bura khayal rakte hain
    • 2 khism ka ‘judge’, ek jo na-insaf ho aur ek jo ‘proudish’ ho
    • wo log jo ek muslim leader ki pervi karte hon agarche ke wo unhe burai ka hukum deta ho
    • wo log jo takhdir per imaan nahi rakte
    • Jhoot (Lies)
      • wo log jo aisi baat karte jiska natija unhe khud nahi maloom
      • jhooti kasam chup ke akele mein khane wale
      • doosray mazhab ke naam per kasam khana, islam ke ilawa
      • jhoot (الْكَذِبَ) bolna, gumrahi (الْفُجُورِ) ki taraf le jata hai aur gumrahi dozakh mein
      • Wo shaks jo subah nikalta hai sari duniya mein jhoot phelane ke liye
    • musalman ki taraf rawa iyyah (behavior towards Muslims)
      • zaban aur ‘private parts’ inn do cheezon ki wajeh se aksar log dozakh mein jayenge
      • zaban ki wajeh se logon ko muh ke bal dozakh mein dala jayega
      • jo koi aesi adat mein ho jis se wo logon ko bad-saluki karein aur ghalat zaban istemal kare
      • jo koi kisi bhi musalman ko aisi baat kahay jisse wo use neecha dikhana chahta jo, arabi mein (شَيْنَهُ) ka lafz aaya hai, yani ‘disgrace’ karna
      • imaan wale ko bad-dua dena
      • imaan wale ko kafir kehna
      • imaan wale ke khilaaf jhooti gawahi dena jis ki wajeh se imaan wale ka kisi ko khatal karna sabit karde
      • imaan wale per ghair ghalat ilzam lagana
      • jhooti kasam kha ke musalman ko uske haq se rok dena
      • musalman ki izzat uchal kar ek niwala bhi kisi khaya ho wo dozakh mein hoga
      • muslman ki izzat uchal kar apnay liye kapde banaliye ho wo dozakh mein hoga
      • ladai jhagde mein acche tarike se baat pesh ki, jiski vajah se ‘case’ apne favor mein kar liya, ye jante hue ki khud haq par nahi hai
      • wo musalman, jo fajr ki namaz padta ho, wo Allah ke protection mein hai, to use dhoka mat dena, jis ne aisa kiya usne Allah ko dhoka diya aur agar uska qatal kar diya toh Allah us qatil ko nahi chodega jab tak ke use dozakh mein phek na de
      • musalman apne bhai se 3 din se zyada apne aap ko door rakhe
      • 2 musalman apas mein ladte hue dozakh ke kareeb hai
      • jis kisi ne namazon se, rozon se, zakat se nekiyan jama ki, toh uski nekiyan qayamat ke din sari zaya ho jayegi kyun ke, uss ne
        • bad-dua ki dosron per (hurled abuses upon others) (شَتَمَ) ka lafz aaya hai
        • dosron per bohtan lagaya, (قَذَفَ) ka lafz aaya hai
        • unlawfully logon ka maal khaya (أَكَلَ مَالَ)
        • khoon rezi ki (سَفَكَ دَمَ)
        • logon ko mara, (ضَرَبَ)
        • aur jab aise logon kay amaal kam pad jayenge to un per dosron ke gunah dale jayenge, aur wo dozakh mein daal diya jayega
      • nek auraton par ilzam lagane wale, aesi aurtein jinhone kabhi aisa socha bhi nahi tha
      • jis kisi ne apne musalman bhai ko ghalt salah di
      • jis kisi ne musalman ko uske jahiliyyah wale naam se pukara,…., acche naam se bulana chahiye, jaise ke musalman, imaan wale, Allah ke bande.
      • Jis kisi ko bhi apne family ki koi fikr na ho aur apne daulat ki bhi
      • aise log jo tumhe ‘betray’ ya dhoka dein, (يُخَادِعُكَ) ke lafz aaya hai, subah aur shaam tumharay family aur daulat mein
      • tanz karna ya hasi udhanay wale
    • aise log jo taakhub ya ‘pursue’ karte hain, chahe wo halaal ho ya haram, (unko chahiye bas uske peeche lag jaate hain, sahi hai ya ghalat? uski unko koi fikr nahi hoti), toh aise log dozakh mein honge
    • Jo koi (apne nek amal ka badla) iss duniya ki zindagi mein hi chahta ho, use Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى), uska pura ka pura sila (reward) iss duniya mein hi de dinge, aur unka liye aakhirat mein kuch nahi bachega sivai aag ke, aur unke amal unke kuch kaam nahi aayenge
    • jo log ilm chupa te hain, us waqt bhi jab usse pucha jaye
    • shaheed jo isliye shaheed huwa ke log use (جَرِيءٌ) ya bahadur kahe
    • wo insan jis ne ilm isliye hasil kiya ke log use Alim ya Alimah kahe ya qari kahe
    • jis kisi ne khairat ki isliye ke log use (جَوَادٌ) yani ke sakhi ya ‘generous’ kahe
    • Wo, jis kisi ka hisab poocha jaye
    • Jis kisi ne apne maa-baap ko budapay mein chod diya (The one who fails his parents or one of them when they are old)

(مَنْ أَدْرَكَ وَالِدَيْهِ عِنْدَ الْكِبْرِ، أَوْ أَحَدَهُمَا، فَدَخَلَ النَّارَ)

  • Jis kisi ne apne maa-baap ko badtamizi karke rulaya (One who causes his parents to weep through disobedience)

(وَبُكَاءُ الْوَالِدَيْنِ مِنَ الْعُقُوقِ)

  • Jo koi Quran ko padhe aur Quran ki qirat kare lekin uss per amal na kare aur salah (namaz) ko ignore karke so (sleep) jaye
  • jis kisi ko Quran ne qaid (confined) ya jail kar diya ho (حَبَسَهُ القُرْانُ), aisay log hamesha-hamesha ke liye dozakh mein honge aur unke liye koi shifaat bhi nahi hogi
  • wo log jo logon ko acchai ki taraf bulate hain lekin khud nahi rukte burai karne se
  • Shaitan aur Mushrikeen aag ki taraf dawat dete hain

chunke yahan per ‘naar’ ka lafz aaya hai, to isliye ye dekhna zaroori hai ke kaun se aise amaal hai jiski vajah se dozakh mein jayenge, ab nai dekhnge toh phir kab? dekhna padta, tab hi pata chalega, lekin ye baat acche se jaan lijiye ke jahan Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) dozakh se dara rahe hain wahan jannat ki basharat bhi de rahe hain, ye hadith sun lijiye, mafhoom bata ra hon, ke Rasoolullah (ﷺ) farmate hain ke agar momin ko pata chale, dozakh ke bare mein to wo jannat ke hasil karne ke liye na-umeed ho jayega aur agar kafir ko Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki jannat ke bare mein pata chalay to wo bhi umeed mein aa jayega aur usko hasil karnay ke liye lag jayega, toh jab jannat ka lafz aayega to In-Sha Allah dekhange ke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) amaal ke badle nekiyon ko kis hisab se multiply karte hain, 7 gunah se toh shuru kar kay Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) bi-ghari hisaab tak le ja re, dekhenge, In-Sha Allah

Toh, wapas aate hain iss surat ki taraf

Abu Lahab ne aur uss ki family, biwi aur bachon ne Rasoolullah (ﷺ) ka inkar, Quran ka inkar kiya, aur ye list me se bohot sare kaam kiye aur aap (ﷺ) ko takleef di. To wo dozaq ki bhadakti hui aag me dala jayega,…

Vs. No. 4

وَٱمْرَأَتُهُۥ حَمَّالَةَ ٱلْحَطَبِ

Aur uss ki biwi bhi; jo sar par eendhan utthaye phirti hai

Iss ayat ka lafz hai: Amratuhu, Hammal, Hatab

AMRATUHU (His wife) 2:102

Ye lafz me itni lachak hai mano me, Imra’a kahenge to mard ho jayega, Imra’atun kahenge to aurat ho jayega, Mar’i kahenge to Husband ho jayega, Amra’atu kagenge to wife ho jayega. Iss ayat me Amra’atuhu uss ki biwi aya hai.

HAMAL (To carry) 2:246

Ye lafz ke maane, kisi cheez ko le jana (carrying), jaisa ke bojh (load), wazan utthana, hamal (pregnancy) ke liye bhi aya, hamla karne ke liye bhi aya (attack)

HATAB (Fuel) 2:246

Fuel, firewood, eendhan

Ab ye hammalata al-hatab ke do interpretations aye hain,

  • ek ye ke, Abu Lahab ki biwi Umm Jamil lakdi chun ke apne sar par le aati thi
  • doosra ye ke, dozaq ka eendhan ye sar par utthati thi, kyun ke Rasoolullah (ﷺ) ke raaste mein lakdiyan aur kaante daalti thi takay wo aap (ﷺ) ko wo chubh jaye
  • To Rasoolullah (ﷺ) ko takleef dene ki saza me ye dozaq ka eendhan apne sar par uttha rahi hai

Vs. No. 5

فِى جِيدِهَا حَبْلٌۭ مِّن مَّسَدٍۭ

uss ke gale me bati huwi rassi hogi

Iss ayat ka lafz hai: jidiha, hablun, masad

JIDIHA (Neck) 111:5

Ye Quran me sirf iss ayat me aya hai – gardan, neck

HABLUN (Rope) 111:5

Rope, Rassi, Quran ko Allah ki Rassi kaha gaya, jise mazbooti se tham lena hai, ek mazboot sahara jo bacha le, ya kisi ki panah me aa jana, rag-e-jaan ke liye bhi hablun istemaal huwa hai

MASAD (Neck) 111:5

Ye Quran me sirf iss ayat me aya hai – palm fiber, wo reshe jo khajoor ke shakhon ke paas hote hain, aur inn ko baant kar jo rassi banti hai. bati huwi rassi, lohe ki rassi jo mazboot bati huwi ho.

Ye iss wajah se hai ke, wo kehti thi ke uss ke gale ka necklace bech kar Rasoolullah (ﷺ) takleef doongi, wo Islam ki mukhalifat ko finance karna chahti thi. To jiss maqsad se wo haar pehenti thi, wo haar dozaq me lohe ki mazboot rassi ban jayega, saza ke taur par.

To Quran khatam hone se pehle ye declare kiya ja raha hai ke aap (ﷺ) ke dushman ka ye haal ho raha hai. Kya hum aap (ﷺ) ki sunnat se hatt kar aap (ﷺ) se dushmani to nahi kar rahe hain?

Comments are closed.