Tafseer Surah Al-Ikhlas Part 2

Tafseer Surah al-Ikhlas Part 2


Bismillah Alhamdulillah was salaatu was salaamu ala rasoolillah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani wa yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakaatuhu

Suratul Ikhlas – ke pichle session me bohot hi sarsari taur par, kuch definitions hum dekhe thay, Ahad kaun hai, Shirk kya hai, Samad kaun hai, waghairah aur kuch scientific aspects ko touch kiya tha. Waqt ki kami ki wajah se kuch aur important subjects reh gaye the jo cover nahi kar paye, aur kyun ke ye bohot hi important surah hai tauheed ki rooh se aur shirk ki nafi me, shirk ko kaise oppose karta hai, aur hamari samajh boojh iss ko le kar iss par Roshni daalne ki koshish aaj ke iss session me In Sha Allah karenge:

Suratul Ikhlas par Ahadith

Har dars me, hamari har sitting me – ahadith ko hum cover kar rahe hain. Ahadith ko bayan karne ka maqsad ye hota hai ke, hum ye jaane ke Rasoolullah (ﷺ) aur sahaba ne Quran par amal kaise kiya? Iss ko batane ka main maqsad ye hai ke, hum bhi iss se seekhe ke hum ko amal kaise karna hai.

Pichle dars me Surah Ikhlas ke mutallaq kuch ahadith ayee thi; kuch aur ahadith ko mila kar phir se ek nazar daalte hain:

  1. Surah Al Ikhlas nazil hone ke baad, Rasoolullah (ﷺ) aur Sahaba RA ka amal kya tha, wo hamari tarah definitions samajhne to nahi baitthe, unhone amal kiya, nuzool ke baad kaise amal me laye ye dekhna hai
    • Ab ye Rasoolullah (ﷺ) ka amal hai, Surah Ikhlas par aap (ﷺ) ne kaise amal kare
      • fajar ki do sunnaton me pehli rakat me Surah Al-Kafiroon aur doosri rakat me Suratul Ikhlas aap (ﷺ) parrha karte the,
      • Ibn Umar RA farmaate hain ke maine aap (ﷺ) ko ek mahina observe kiya – aap (ﷺ) fajr ki do sunnat namaz me yehi do suratein parrhte the
      • Ibn Umar RA farmate hain ke maghrib ki do sunnaton me bhi aap (ﷺ) yehi do suratein parrhte the,
      • witr ki aakhri rakat me bhi aap (ﷺ) suratul Ikhlas parrhte the aur ek hadith me Suratul Ikhlas aur Al Muawidhatayn parrhne ka zikr aya hai,
      • Jabir bin Abdullah RA farmate hain ke aap (ﷺ) yehi do suratein tawaf ke baad do rakaton me parrhte the.
      • Sheikh Albany Sahih Al-Jame me ye hadith record ki ke, Jiss kisi ne 10 baar qul huwa Allah parrha, Allah uss ke liye Jannat me ek ghar banayega.
      • Tafseer Ibn Kathir me ek hadith recorded hai ke, jiss kisi ne 10 baar surah ikhlas parrha uss ke liye Jannat me ek mahal hoga, aur jiss kisi ne 20 baar parrha to uss ke liye do aur 30 baar parrhne se 3 mahal honge, Umar RA ne farmaya ke, lehaza apne mahalon ko badhao – yani ke qul huwa allah parrhne me zyadati karein. Aap (ﷺ) ne farmaya Allah SWT ke pass wusat hai, uss ke khazane me kami nahi hoti.
    • Abu Dawood aur Tirmidhi ki hadith hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya Suratul Ikhlas aur Muawidhatayn Subah aur Sham ka 3 baar parrhna har etebaar se tumhare liye kaafi hai.
    • Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya ke Suratul Ikhlas ek tihayee, one-third quran ke barabar hai. Iss baat ko alag alag andaaz se aap (ﷺ) ne Sahaba ko bataya, ek baar aap (ﷺ) sab ko jama hone ka hukum kiya kyun ke aap (ﷺ) ek tihayee quran tilawat karne wale hai, aap (ﷺ) aye aur Suratul Ikhlas parrha aur kaha ke ye surat ek tihayee quran ke barabar hai. Ek aur maukhe par aap (ﷺ) ne sahaba se poocha ke kya ye tumhare liye mushkil hai ke sone se pehle ek tihayee parrh kar soye, jab sahaba ne kaha ke ye to mushkil kaam hai, to aap (ﷺ) ne kaha ke Suratul Ikhlas ek tihayee, one-third Quran ke barabar hai.
    • Ab dekhiye Sahaba RA kaise amal kare Surah Al Ikhlas par; aur ye sab kuch parallel me ho raha hai,
    • Tirmidhi ki ek hadith me, Anas RA farmaate hain ke, ek Shaks ne Rasoolullah (ﷺ) se kaha ke wo Surah Ikhlas se mohabbat karta hai, aap (ﷺ) ne farmaya ke teri ye Muhabbat Jannat me le jayegi.
    • Bukhari aur Muslim ki ek hadith me Ummul momineen Aisha RA farmaati hain ke, Rasoolullah (ﷺ) ne ek shaks ko fauji daste ka incharge banaya, to jab bhi wo apne sathiyon ko namaz me imamat karta, to Surah Ikhlas par Qirat ko khatam karta. Jab wo fauji dasta wapas Madina aya, to logon ne Rasoolullah (ﷺ) se ye baat bayan ki, aap (ﷺ) ne kaha ke uss se poocho ke wo aisa kyun karta hai, uss shaks ne jawab diya ke – surah Ikhlas me Allah SWT ke asmaul husna hain aur mujhe iss surat ko parrhna bohot pasand hai. Aap (ﷺ) ne farmaya ke, uss shaks se keh do ke Allah Uss se mohabbat karta hai.
    • Abu Dawood ki ek hadith, Rasoolullah (ﷺ) ne ek shaks ko dua karte suna –

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ أَنِّي أَشْهَدُ أَنَّكَ أَنْتَ اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ الأَحَدُ الصَّمَدُ الَّذِي لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Aap (ﷺ) ne farmaya; ke tum ne Allah SWT ke sab se Azeem (Greatest) naam se Allah ko pukara hai, jab uss naam lekar jo maangta hai wo mil jata hai, jab dua ki jaati hai to wo qabool hoti hai.

  • Abu Dawoord ki ek aur hadith me, inhi alfaz se milte jhulte alfaz me dua mangi aur kaha ke, Aye Allah meri maghfirat kar dijiye, beshak aap Ghafoor hain aur Raheem hain. Aap (ﷺ) ne farmaya, iss ki maghfirat ho gayee, iss ki maghfirat ho gayee, iss ki maghfirat ho gayee. Teen baar kaha. Aur reason wohi hai, Ahadus Samad – Azmat wale do naam hain Allah SWT ke. Aur bhi combinations aye hain ahadith me.
  1. Mishkat me Abu Dawood ki ek aur hadith me, Rasoolullah (ﷺ) ne ye peshangoi ki ke; log ek doosre ko sawal karte rahenge yahan tak ke, ye sawal hoga ke, Allah ne ye tamam cheezen, ye khilqat, ye creation ko paida kiya hai, to Allah ko kis ne paida kiya? Jab ye sawal hoga, to kaho ke, Allahu Ahad, Allahu Samad, Lam Yalid wa Lam Yulad, Wa Lam Yakun Lahu kufuwan Ahad. Phir teen baar apne left side par thooke, aur phir Allah SWT ki panah maange Shaitan se.

 

Kya ye sawal aaj nahi pooche ja rahe hai? To uss ka jawab kya hona chahiye, aur hamara amal kya hona chahiye aap (ﷺ) ne bata diya. Aur agar tableegh ke dauran ye sawal ata bhi hai to Surah Al Ikhlas ki tafseer kafi hai samjhane ke liye.

Effect of Wiping after recitation and Salah on Human Body

Surah Al Ikhlas, Al Falaq aur An Nas ko raat me sone se pehle aap (ﷺ) parrhte the aur apne haaton me phoonk kar badan par masah karte the, malte the;

  • Ab yahan thoda sa ruk kar sonchna hai, iss hadith ko analyze karna hai
  • Surah Al Falaq aur An Nas ki tafseer me hum sunn chuke hain ke ye suratein jaadu se Rahat deti hain, iss se pata chala ke ek negative effect huwa uss ko sahih karne ke liye ye suratein parrhne se positive effect ho raha hai
  • Waise hi iss hadith me bataya ja raha hai ke, teeno qul parrhkar jism par aap (ﷺ) masah karte the, to iss ka kya effect ho raha hai?
  • Kuch ahadith par mabni fatawa hain, jo Surah Fatiha, ya teeno qul, ayatal kursi ko parrh kar paani par phoonk kar ya to pi sakte hain ya uss se ghusl ya wadoo kar sakte hain, to iss se kya effect ho raha hai?
  • Quran me Surah Anbiya ki 30 ayat ke doosre hisse me aya hai ke,

… وَجَعَلْنَا مِنَ الْمَاءِ كُلَّ شَيْءٍ حَيٍّ ۖ …

Aur hum ne har jaandaar ko, har zinda cheez ko paani se banaya

  • Science daano ki tehqeeq se pata chala ke insaan ke jism me average 65% paani hai
  • Ab pani aur uss ke effects par jo research huwi hai, wo kuch iss tarah hai;
    • France ke ek Dr. Jacques Benveniste (Jaak Benvinist) ne 1988 me paani me kuch antibodies milayee aur unn ko dilute itna kar diya ke wo antibodies ka koi zarra bhi baaqi nahi raha.
    • Antibodies jo hai, wo bimari se ladne ka kaam karti hain, insani jism me,
    • To jo asar wo anti bodies kar rahi thi, uss ki taseer paani me aagayee, dilute karne ke baad bhi, aur wo bimari door karne wali dawa ke taur par istemaal ki jaa rahi hain.
    • Iss ko kuch logon ne memory of water ke naam se bhi mashhoor kiya hai
    • Aur ye jo ilaaj hai wo homeopathy ke tehat aata hai, ab hum sab ko pata hai, homeopathy se ilaaj ho raha hai aur log faida pa rahe hain. Aur dilution ka tareeqa homeopathic medicine banane ka tareeqa hona chahiye. Tab hi asar hota hai.
    • Ab kuch log, kuch doctors iss ilaaj ko nahi maante, lekin iss ka ye matlab nahi hai ke ilaaj ya shifa nahi ho rahi hai.
    • Yahan se sirf itna pata chala ke paani par asar hota hai
  • Phir doosri research me Japan ke Dr. Masaru Emoto ne ye ghaur kiya ke ek hi paani se jo baraf banti hai aur jab baraf bari hoti hai, to barf ka ek ek zarra, jis ko snowflake kehte hai wo alag shape ka hota hai
    • Iss par research karte huwe ye ghaur kiya ke paani ki taaseer, pani par jo effect ho raha hai, uss ke atraaf ke mahol se badal jaati hai aur paanch kitabein likhi, paani ko alag alag emotions dikha kar, jaise love, hate, gratitude, aur kuch music bajakar, aur ache kalimaat bolkar, bure kalimaat bolkar, paani ko freeze kiya aur uss ki photo li.
    • Jab ache emotions pani ke saamne zahir kare ya aisi cheezen paani ko dikhay to bohot hi khoobsurat crystals bane, aur
    • Jab burai ko expose kiya to crystal ka koi shape nahi tha ya bad soorat crystals bane
    • Emoto kehte hain ke iss duniya ki takaleef ko pani par ache kalimaat aur ache emotions ko zahir kar ke ilaaj kiya ja sakta hai, jiss se insani jism par acha asar pade aur bimari door ho jaye, insani zindagi peaceful ho jaye
    • Emoto ko misr bulaya gaya, Egyptian TV show, Al Qahira Al Yaum par ye tasaweer pesh kiye gaye, Quran ki Arabi, Asma-ul-Husna, Islam aur
    • Azan play karke uss ke crystal banaye gaye
    • Iss se ye pata chala ke mahol ka asar paani par hota hai
  • Germany ke Dr. Knut Pfeiffer (Kanoot Faifer) ne pani par research ki, wo German Sheher Munich me rehte hain, to pehli research Munich ke pani se shuru ki, kaha jaata hai ke Munich me nal se pani intehayi pure form me ata hai, distill water ata hai. Chemically ye pani ki purest form hai.
    • Unki research pani ke energetic field ko lekar hai, pani peene ke baad wo cells ki energetic fields ko measure karke pata karte hain ke pani se faida ho raha hai ya nahi
    • Munich ka pani peene ke baad, energetic field kamzor ho gayee, chemically pure pani hone ke bawajood, peene ke qabil nahi hai paani,
    • Phir Dr. Knut Pfeiffer ko kisi musalman saathi ne Zamzam ke asar ko check karne ki salah di, Zamzam peene se pehle aur Zamzam peene ke baad, energetic levels ko check kiya gaya, energy levels bilkul roshan ho gaye,
    • Iss se ye pata chala ke pani ka asar insani jism par hota hai, aur jiss pani ko hum paak samajh rahe hain, peene ke qabil samajh rahe hain, wo hamare liye faidamand nahi hai
  • Sharjah TV ke zariye ek test kiya gaya, namaz ka kya effect hota hai insani dimagh par, brain par, kya asar ho raha hai check kiya gaya.
    • See presentation
    • Insaani dimagh 90% pani hai,
    • Iss se ye pata chala ke Namaz ka effect hum par hota hai
  • Ye sab kuch kyun bataya ja raha hai? Rasoolullah (ﷺ) teeno qul parrh kar hateliyon me phoonk kar, saare badan par masah karte the, sone se pehle. Ye sab kuch iss liye bataya ja raha hai kyun ke, iss sunnat par hum ko amal karna hai, jo baat 1,400 saal pehle Rasoolullah (ﷺ) bata gaye, wo aaj science daan tehqeeq ke zariye pata karke bol rahe hain.
  • Rasoolullah (ﷺ) ki sunnat ko nahi chhorrhna hai, bottom line.

Shirk ki Nafi

Ek hadith e qudsi me aata hai ke, Allah SWT farmate hain ke Adam ka beta, mera inkaar karta hai, aur usse koi haq nahi aisa karne ke liye. Aur wo mujhe gaali deta hai, aur usse koi haq nahi aisa karne ke liye.

  • Wo mera inkaar ye keh kar karta hai ke, Main uss ko dobara zinda nahi kar sakta usski maut ke baad – jab ke uss ka dobara paida karna ya usski maut ke baad ka uthaye jana mere liye zyada asan hai pehli baar paida karne se.
  • Wo mujhe gaali ye keh kar deta hai, Allah SWT ne apne liye ek beta bana liya hai – Jab ke, Wa Anal Ahadus Samadu, Lam Yalid wa Lam Yulad, wa Lam yakun lahu kufuwan Ahad.
  • main Ahad hoon, akela hoon, main samad hoon, sab mere mohtaaj hain, na main kisi ka beta hoon aur na kisi ka baap, aur mere barabar koi nahi hai

Rasoolullah (ﷺ) ne al-Ahad ko kaise implement kiya

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya ke …Allah SWT ek hai aur uss ko odd number pasand hai, Rasool Allah (ﷺ) ne kayee amaal odd numbers me kiye;

  • Witr ki namaz 1 rakat, 3 rakat, 5 rakat, 9 rakat aur 11 rakat me aap (ﷺ) parrhe,
  • aap (ﷺ) khajoor bhi khaate to odd numbers me khaate,
  • Qiyamul lail ke liye kaha ke 2 rakat x 2 rakat parrho, jiss ki koi limit nahi hai, lekin uss ko odd rakat se khatam karne ka hukum diya aap (ﷺ) ne
  • Wudoo ke tamam arkaan, odd numbers me hai,
  • Taharat ke liye aap (ﷺ) ke zamane me matthi ke dhele aur pathar istemaal huwa karte the, inn patharon ko bhi odd number me lene ka hukum diye aap (ﷺ),
  • Lailatul Qadr, taakh raton me, odd raaton me dhoondne ka hukum diye aap (ﷺ)
  • Janaze ko ghusl dete waqt bhi odd martaba paani daalne ka hukum diye aap (ﷺ)
  • Subah aur shaam ke azkaar ya to ek baar parrhna hai, ya odd number me unki ginti hai
  • Namaz me jo tasbeeh parrhte hain wo bhi odd hai, Namaz ki rakatein khud din bhar me odd hai
  • Shaitan ko jamaraat me pathar maarna odd number hai, 7 pathar har shaitan ko maarna hai
  • Safa aur Marwa ke darmiyan 7 baar sayee karna hai
  • Tawaf 7 baar hai
  • Namaz Qasr kar sakte hain safar me 19 din tak kar sakte
  • Azan me 19 alfaaz hai aur iqamah me 17
  • Ek hadith me ata hai ke, aap (ﷺ) ne 19 ghazwaat me hissa liya
  • Aur aap (ﷺ) inteqaal ke waqt aap ki umar 63 saal thi

Bilal’s RA Love of the name of Allah – Al Ahad

Pichle Dars me humne Wahid aur Ahad ke difference suna tha,

  • Wahid ke maane ek, lekin Arabi zaban me jab Wahid kahenge to chance hai ke, ithnain bhi ho sakta hai, uss ke baad thalatha bhi aa sakta hai, lekin jab
  • Ahad kahenge to maane honge akela, aur koi nahi
  • Jab Bilal RA par zulm kiya ja raha tha, kyun ke wo ghulam the aur islam qabool kar chuke the
  • Abu Jahl ke kehne par, Umayya ibn Khalaf, Bilal RA ko peetna, garm zameen par ghaseetna, aur wazan garam patthar seene par rakh dena, jaise zulm kar raha tha,
  • Wo chahte the ke, Bilal RA Islam ko chhorrh de, lekin wo Ahad, Ahad kehte ja rahe the, Qul Huwa Allahu Ahad ka aisa asar liye, dil o dimagh par Ahad Chha gaya,
  • Ye sunn kar Kuffar ko aur bhi zyada ghussa aa raha tha, kyun ke, agar wo Allah kehte, to uss zamane ke kuffar bhi Allah SWT ko maante the, kis hisaab say Allah (SWT) ko maantay the? unkay apnay hisaab say maantay the,
  • Aisa nahi kay jaisa Islam chahta tha, Balke unkay khudaon mein ek khuda ka naam Allah bhi tha. Lekin, ye baat bhi hai ke, kisi aur cheez ka naam Allah nahi tha, “just one more God” like many others,
  • Musnad Ahmed ki Hadith me Abdullah ibn Masood (RA) farmate hain kay un logon mein jo sab say pehlay imaan laye, koi aisa nahi tha jinhonay wo sab nahi kiya jo kuffar chahtay the, takleef ki wajah se karna pada, siwaye Bilal (RA) ke.
  • Bilal RA nay apni parwah na ki, unn ko Allah ke akele hone par aisa yaqeen aa gaya tha ke, wo apni jaan ki parwah kiye baghair Ahad, Ahad kehte jaa rahe the
  • Bilal RA keh rahe the, Ahad, Ahad, wo akele Rabb ko pukaar rahe the, jiss ke alawa aur koi nahi, ye sunn kar unn par aur zulm kiya jaa raha tha
  • Aakhir me Abu Bakr Siddique RA ne, Ummayya ibn Khalaf se Bilal RA ko khareed liye aur azad kar diya
  • Ye Ahad ki taseer thi, Bilal RA ka qawi Iman tha, Rasoolullah (ﷺ) ko aap bohot pasand the, aap ko muazzin bana diya gaya,

Al Ahad means there should be uniformity in the Universe

Qul Huwa Allahu Ahad matlab pichle dars me hum sunn chuke hain ke iss kayenaat me uniformity hai, kyun ke La Ilaha Illa Allah. Agar ek se badh kar Ilaha hote to iss kayenaat me chaos hota, inteshaar hota.

  • Jab kayenat me uniformity hai, to insan ki zindagi me uniformity kyun nahi hai? Kyun pareshan hai insaan, uss ko shanti chahiye, aman chahiye, peace chahiye, kyun amano aman nahi hai?
  • Kyun ke majority jo hai, insano ki aksariyat Al Ahad ko nahi maanti, sab bhaag rahe hain, world peace ke peeche, lekin Islam qabool nahi karenge
  • Pata chala ke ek Allah, Al Ahadus Samad ko manna padega, kitna important hai Ahad ka hamari zindagi me ana. Allah SWT se dua hai ke hamari zindagiyon me ikhlas paida kar de, Ameen.

Vs. No. 2

ٱللَّهُ ٱلصَّمَدُ

Pichle dars me humne suna tha ke Al Samad ek aisa mazboot sahara, jiss ke sab mohtaaj hain;

  • Saari kayenaat Allah SWT ki mohtaaj hai, dependant hai, lekin Allah SWT khud akele hain aur independant hain,
  • Allah (SWT) ka ek aur attribute hai “Ghani”, jiska matlab hai, independent, har cheez say beniyaz,
  • to As-Samad kay matlab mein ziyada rujhaan ‘dependence’ ki taraf hai, aesi personality jis per saara ka saara creation dependent tha, hai aur rahega, har waqt, har lamha aur us waqt bhi jab hamari ye time clock nahi thi.
  • Al Samad ke hum kaise mohtaj hain, pichle dars me humne sarsari taur par nazar daale the, yahan chand misaal se baat ko samajhne ki koshish karte hain, hum Al Samad par kuch iss tarah se dependant hain;
    • Tamam sciencey tehqeeqat jo hain wo ittefaq se insaan ko mil gayee, matlab scientific discoveries by chance discover ho gayee.
    • Jab Benzene discover huwa, to uska form C6H6, us waqt ki knowledge kay hisaab say bohut hi ‘unstable form’ mein hona chahiye tha, lekin benzene stable tha, science daano ko ye pata nahi chal raha tha kay benzene mein stability kahan say aayi, to science daan uss ke structure ke peeche kayee saal laga diye, formula maloom ho gaya, structure maloom nahi ho raha tha. Jo science daan uss par kaam kar raha tha, wo khwaab me saamp ko dekha jo apni dum ko muh se pakde huwe tha. Usski aankh khuli aur wo benzene ring ka structure utaar liya. Jo aaj hum parrhte hain organic chemistry me. To pata chala kay koi hai jis per ye dependent hai aur uski wajeh say benzene stable hai.
    • Main jab bhi, iss waqiye ke baare me sonchta hoon, mujhe Ayatal Kursi ka wo hissa yaad ata hai ke, “Wala yuhituna bi shai’in min ilmihi illa bima sha’a” – Tum Allah SWT ke ilm me utna hi le sakte ho, jitne ki wo ijazat de, jitna wo chahe. kis ne bataya ke Benzene ka structure kaisa hai, ye to Allahus Samad ke siway koi nahi.
    • Hum lambayee ko, length ko meter me naapte hain, measure karte hain. 1793 me ek meter, wo lambayee thi, jo north pole se equator tak ki lambayee hai 10,000km, uss ko 1 crore se divide karenge to 1m hoga. 1799 iswi me meter ka ek prototype banaya gaya lekin wo chala nahi, 1899 me uss ko badal diya gaya. 1960 me 1m Krypton-86 ki roshni ki wavelength. 1983 me 1m ko speed of light se jod diya gaya, jo ke ek second me roshni 299,792,458m door safar karti hai. ek ko iss number se divide karenge to ek meter hoga. To ye meter ek bahut lamba safar teh karkay, ek “universal constant” ki taraf aa gaya hai, aur bhi isi direction mein aata rahega, jis se koi aitraaz nahi kar sakta, ye “universal constant” koi aur nahi balkay Ahd-us-Samad ki taraf hi ishara kar raha hai.
    • Hum wazan ko, ya weight ko KG me naapte hain, measure karte hain. Humne school me parrha tha ke, 1KG – 1 liter paani ka wazan hai. Iss ko bhi abhi frequency of light se calculate kiya ja raha hai, roshni me taseer ye properties kis ne rakhi. Hum chahe un-chahe, Allahus Samad par depend kar rahe hain.
    • Hum waqt ko, ya time ko seconds me naapte hain, measure karte hain. Pehle ek second – ek din ko 86,400 se divide karke calculate karte the – aur ek din – zameen ka ek chakkar ghoomna hota tha, lekin zameen ki raftaar kum ho rahi hai – kuch saal me 1 second se kam hoti jaa rahi hai. Aaj 1 second ko Cesium 133 atom ki ground frequency se measure kar rahe hain, jo bohot hi stable isotope hai aur wo ek second me . Iss ko samjhane ke liye Quantum Mechanics samjhana parrega. Ye elements kis ne banaya, ye stability kis ne di, Cesium 133 ko. Allahus Samad ne di.
    • Aur misaale de sakte hain, lekin ye sab kuch kyun bataya ja raha hai, ye nahi samajhna hai ke, pehle zamane me shahya Allah – As Samad the honge, aaj kal to science ka daur hai, insaan khud mukhtaar hai, ye sonch aa gayee hai.
    • Nahi aisa bilkul bhi nahi hai, hamari roz marra ki zindagi me ek ek cheez – Allahus Samad par dependant hai, hum aaj bhi mohtaaj hain As Samad ke.
    • Medical science me ajaiyye, peshaab ruk gaya to khaarij nahi kar sakte, kaise ye nizaam chal raha hai – Allahus Samad ka.
    • Insaan ke tamam senses, se dimagh ko input jaata, aankh dekh rahi hai, kaan sunn raha hai, naak soong rahi hai, zaban taste kar rahi hai, chamdi mehsoos kar rahi hai. Koi ek ko band kar do, dimagh confuse ho jata hai. Do senses band kardo, jo kahoge dimagh maan lega.
    • Discovery channel par aisa hi ek experiment kiya gaya, logon ke aankh aur naak band kardi gayee, phir unko ek dish pesh ki gayee aur kaha gaya ke iss ka taste batatao, kisi ne bhi sahih nahi bataya. Phir unn se kaha gaya ke unko chocolate diya gaya tha, to wo maan liye ke wo chocolate hi tha – jab ke asal me unko brocoli ka meetha paste diya gaya tha.
    • Quran me Surah An-Namal me kuch sawal aye hain, inn sawalat me Allahus Samad ka jawab bhi hai;
    • Wo kaun hai, jiss ne aasmano aur zameen ko paida kiya aur tumhare liye aasman se paani barsaya. Phir hum hi ne iss pani se hare bhare baagh ugaaye, ye tumhare liye mumkin hi nahi tha ke (uss baagh ke) darakhton ko ugaate. Kya Allah ke saath koi aur Ilaha bhi hai – Hargiz nahi – balke ye log seedhe raaste se bhatak gaye hain (An-Namal – C27 ayat # 60)
    • Wo kaun hai, jiss ne zameen ko rehne ke qabil banaya, uss ke beech nehrein banayee aur uss ke liye pahad banaye aur kis ne do samadar ke beech ek barrier ek rukawat banayee, (samandar me dariya ka paani, river water mix nahi hota, kayee kilometer tak – ek taraf meetha pani aur doosri taraf khara pani). Kya Allah ke saath koi aur Ilaha bhi hai – Hargiz nahi – balke inn ki aksariyat – inn ki majority ilm nahi rakhti (An-Namal – C27 ayat # 61)
    • Wo kaun hai, jo majboor aur lachaar ki dua sunta hai, jab wo uss se dua karta hai, aur kaun uss ki takleef ko door karta hai, aur kaun hai jo tum ko zameen ka khalifa banata hai. Kya Allah ke saath koi aur Ilaha bhi hai – Hargiz nahi – magar bohot kum ghaur karte ho (An-Namal – C27 ayat # 62)
    • Wo kaun hai, jo tum ko jungle aur samandar ke andheron me rasta banata hai aur kaun hawaon ko apni rehmat (yani barish) ke aagay khushkhabri bana kar bhejta hai. Kya Allah ke saath koi aur Ilaha bhi hai – Hargiz nahi – ye log jo shirk karte hain Allah SWT uss se paak hai (An-Namal – C27 ayat # 63)
    • Wo kaun hai, jo khilqat ko, creation ko, pehli baar paida karta hai, aur phir uss ko recreate karta hai, bar bar paida karta hai, aur kaun hai jo tumko aasman aur zameen se rizq deta hai. Kya Allah ke saath koi aur Ilaha bhi hai – Hargiz nahi – apni daleel pesh karo agar tum sache ho (An-Namal – C27 ayat # 64)
    • Ek tihaayee Quran pesh karna padega mujhe iss surat ki tafseer me, warna haq ada nahi hoga iss surat ka.
  • Allahus Samad – hum sab dependant hain, Allah SWT par. Uss ke mohtaaj hain.
  • Ek hadith me ata hai ke, As Samad wo hai jo, lam yalid wa lam yulad hai,

Vs. No. 3

لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ

na wo kisi ka beta hai aur na kisi ka baap;

  • Insaan ki kamzori bache hain, aur bachpan bhi ek kamzori hai
  • Quran ki Surat Al An’am ki 101-102 ayaat me Allah SWT farmate hain ke,
    • Wo aasmano aur zameen ko adam se wajood me laane wala hai, non-existence se existence me lane wala hai – uss ko aulad kaise ho sakti hai, jab ke uss ki koi biwi nahi, wo har cheez ko paida kiya, create kiya, banaya, wo har cheez ka ilm rakhta hai
    • yehi wo Allah hai, jo tumhara paalne wala malik hai, iss ke siway koi supreme authority iss kayenaat me nahi hai, wo khaliq hai – paida karne wala – banane wala hai, har cheez ka, ussi ki ibaadat karo – wo har cheez par qadir hai
  • bachche hote hain to maa baap ko kuch bache zyada pasand hote hain, aur kuch bache thoda kum, partiality hoti hai, inequality hoti hai. Ye tamam cheezen Allah SWT ke saath nahi – issi liye laaziman Allah SWT ka ek hona, akela hona zaroori hai
  • Allah SWT ke paas tamam insaan ek barabar hai, we are all equal in the sight of Allah.
  • Allah ka beta hai bolna aisa hi hai jaisa ke hum uss ko gaali de rahe hain, kuch der pehle ye hadith sunn chuke hain hum
  • Ab ye ek aur ayat me Allah SWT apna ghussa, apna ghazab bayan kar rahe hain;
    • Aur wo kehte hain ke Ar-Rahman ne apne liye beta bana liya hai (Surah Maryam, C19 Ayat 88)
    • Ye to tum bohot hi bhaari aur sakht behooda baat bana laye ho (Surah Maryam, C19 Ayat 89)
    • (Ye baat aisi hai jis par) qareeb hai ke aasman phatt jaye, aur zameen tudke tudke hojaye, aur pahad ek dhamake ke saath girr jaye (Surah Maryam, C19 Ayat 90)
    • Ke unhone Ar-Rahman ke liye aulad hone ka dawa kiya (Surah Maryam, C19 Ayat 91)
  • Ye baat asan nahi hai, kaisi badi baat karte hain – Allah ka beta bana diya aur uss ki ibadat karte ho?
  • Uss ko kaise beta ho sakta hai, uss ke to biwi bhi nahi hai, uss ke barabar koi nahi

Vs. No. 4

وَلَمْ يَكُن لَّهُۥ كُفُوًا أَحَدٌۢ

Wo to Akela hai, uss jaisa koi nahi

  • Agar imagine bhi karenge to – phir wo Allah nahi ho sakta
  • Sonchne se hi to masale khade hote hain
  • Ek misaal ke taur par, ek kamre me kursiyon ko bhar denge aur unn tamam kursiyon ko sonchne ki salahiyat de di jaye to wo – Ek badi kursi ke kuch aur nahi sonch sakte
  • Waise hi – hum dekh sakte hain ke, jab insaan Allah ke baare me sonchne lagta hai, to result hamare samne hain – Allah bohot kaam kar sakta hai to uss ke kayee haath bana diye, wo har taraf dekh sakta hai aur bohot zyada sonch sakta hai to kayee sar bana diye, hum kar bhi kya sakte hain
  • To Wa lam yakun lahu kufuan ahad, Allah ke jaisa koi nahi – jo bhi dimagh me ayega to wo Allah nahi ho sakta


Comments are closed.