Tafseer Surah al-Falaq

Tafseer Surah al-Falaq Urdu



Bismillah Alhamdulillah was salaatu was salaamu ala rasoolillah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakaatuhu

 

Pichle Dars me humne Surah An-Nas ki tafseer suni, aur aaj In Sha Allah Surah Al-Falaq ko samajhne ko koshish karenge, uss se pehle, pichle dars par kuch comments aye hain – unn par nazar daalenge; jo iss Surah Al Falaq ke introduction ke taur par kaam ayega:

Shaane Nuzool

Surah Al Falaq aur Surah An-Nas ka shaane nuzool ke baare me pichle dars me humne kuch ulama ke khayalaat pesh kiye the aur kaha tha ke ye suratein Makkah me nazil huwein. To comment ye aya ke jab khuli huwi hadith maujood hai ke ye do suratein Madani hain, Rasoolullah (ﷺ) ka qaul majood hai to ulama ki raye kyun bayan karna?

Do ahadith maujood hain, ek Uqba bin Amer ki hadith jiss me aap (ﷺ) ka qaul majood hai ke aaj raat mere paas behtereen ayaat nazil huwi, aur app (ﷺ) inn ko baar baar parrhne lage. Doori hadith pichle dars me humne suni kea ap (ﷺ) ummul momineen aisha RA se farma rahe hain ke – jadoo ka jo condition tha Rasoolullah (ﷺ) ka uss ka ilaaj aap (ﷺ) ko bata diya gaya hai, iss hadith me bhi ishara Uqba bin Amer wali hadith ki taraf hai.

Iss baat ko issi liye bayan kiya jaa raha hai kyun ke comment iss baat par aya, lekin chahe ye suratein makki ho ya madani, hamare iman me koi farq nahi parrh raha hai, inn suraton ki fazilat kum nahi ho rahi hai – to inn suraton ko makki mane ya madani mane – iss se koi farq nahi parrhta, ye sirf ek ilmi behas hai, ikhtelaaf ya ummat ko divide nahi karna iss ki wajah se.

Magic on Rasoolullah (ﷺ)

Doosra comment Jadoo se related hai, pichle dars me, ye hadith bayan ki ke; aap (ﷺ) poocha gaya ke kya jadoo se shifa hasil ki ja sakti hai ya nahi, to aap (ﷺ) ne farmaya ke jadoo shaitani amal hai. Iss ke baad maine ye kaha tha ke, jadoo se shifa hasil karne ka sawal nahi paida hota, ye meri understanding thi, aur hadith ke alfaz nahi the.

To iss par ye comment aya ke, jadoo se shifa hoti hai issi liye Rasoolullah (ﷺ) se poocha gaya ke kya aap (ﷺ) jadoo ko istemaal karne ki ijazat dete hain ya nahi. Jiss ke jawab me aap (ﷺ) ne farmaya ke ye shaitani amal hai, aap (ﷺ) ne nahi kaha ke iss se shifa nahi milti.

Iss se aagay badh kar ye kehna hai ke, jadoo hai, uss ka asar hota hai, log jadoo karte hain aur karwate hain, jadoo se shifa hoti hai, kaam bante hain, iss se rishte lagte hain, karobaar me faida karwate hain, lekin ahadith me aya hai ke jo aise amaal me mubtala hoga, uss ka mujh se koi taaloq nahi.

Ab ye zaati taur per, individually ghaur kar lein ke Rasoolullah (ﷺ) ka taaloq barqarar rakhna hai ya ye tamam amaal ka sahara lena hai.

Lafze Sihr – jaadu ke baare me pichle dars me baat huwi thi, jiss me humne ye samjha tha ke Sihr – aankhon ke dhoke ko kehte hain, iss se hatt kar sihr ki, jaadu ki, magic ki kayee qisme hain. Bukhari ki Ek hadith me aata hai ke, acha kalam ya acha bayan me jaadu hai.[1]

Scientific Explanation of Al Mu’awidhatayn

Medical science ki ek advance field hai – jiss ko neurology kehte hai, jo insaan ke dimagh se, human brain se related hai, iss me experimentally ye prove kiya gaya hai ke, hypnotism jaisi simple cheezon ki wajah se insaan ke dimagh par asar parrhta hai, usski yaad dasht par memory par effect ho raha hai.

To sihr se bhi bhool ka mamela huwa Rasoolullah (ﷺ) ke saath,

Ye baat hum ko pata hai ke, Allah SWT hi ek hain jo akele hain (Qul Huwa Allahu Ahad)[2], aur aap ne jo kayenaat banayee hai wo pairs me hai (…سُبْحَانَ الَّذِي خَلَقَ الْأَزْوَاجَ كُلَّهَا).[3] Mard-Aurat, Right-Left, Good-Bad, Up-Down, din-raat, kayenaat me balance hai, centripetal-centrifugal forces ke beech me, ye bhi pairs me hain, Suraj me balance hai – fuel jo jal raha hai wo Suraj ko phaad dena chahta hai-lekin jo material generate ho raha hai aur jo uss ka weight hai, iss me balance hai gravity ki wajah se, to har cheez pairs me hain.

Lekin jo earth ka rotation hai, kyun ke ye spin ho rahi hai, to angular momentum ka koi resistance nahi hai aur iss ka opposing force nahi hai. Allah SWT hi zameen ko ghuma raha hai, aur wohi hai jo din aur raat ki hare-pher karta hai, Aur Allah SWT hi hai jo subah ko lata hai.

Jo shaitani amal hai wo raat ke andhere me hote hain aur kasrat se hote hain. Gunah bhi raat ke andhere me badh jaate. To ye Allah SWT hi hai jo subah ko laata hai, logon ki takleef se najaat dene ke liye.

To zyada kuch karne ki zaroorat nahi hai, murghiyan kaatne ki zaroorat nahi, kawwe kaatne ki zaroorat nahi, nimbu kaatne ki zaroorat nahi, fulan jagah jaa kar bakre kaatne ki zaroorat nahi hai. Qul – Aap (ﷺ) keh dijiye, ke main panah me aata hoon uss Falaq ke rabb se, kuch nahi karna hai sirf keh dena hai hai, Qul Auzoo biRabbil Falaq, sirf ye do suratein parrhne ki zaroorat hai. Koi aur amal ki zaroorat nahi sirf aap (ﷺ) keh dijiye ke Al Falaq ke Rabb ki panah me aata hoon.

Similarities with Surah Al-Fatiha

Surah Al-Fatiha aur

Ab aaiyye Surah Al-Falaq ke tarjuma aur tafseer par:

أعُوذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيم

Main Allah se panah mangta hoon, Allah SWT ke protection me aata hoon, shaintan se jisse pathar maar ke bhaga diya gaya hai.

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم

Shuru Allah ke naam se jo taras kha kar faida pahunchane wala hai.

Vs No 1:

قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ

Aye Nabi (ﷺ) aap keh dijiye; main panah maangta hoon subah ka paalne wala malik ki

Iss ayat me 4 alfaz aye hai, Qul, Auzoo, Rabb aur Al-Falaq, jiss me se 3 humne pichle do hafton me sun chuke hain. Aaj kyun ke kuch aur log naye join kare, to unn ke liye phir se repeat kar lenge.

YAQUULU (He Says) 2:8 (ق و ل ) يَقُوْلُ

Ye construction kayee baar Quran me aya hai, aur iss ayat me Qul aya, jo ek hukum hai, KEH DO, hukum ho raha hai, ye hukum Rasoolullah (ﷺ) ko ho raha hai ke aap (ﷺ) keh dijiye. Iss hukum ke saath kayee baar Allah SWT ki taraf se sawal hota hai aur kayee baar pooche gaye sawal ke jawab bhi diye gaye hain Quran me.

AUZOO (I seek refuge) 2:67 (ع و ذ ) أَعُوذُ

Main Panah maangta hoon, main Allah SWT ke protection me ata hoon. Iss ko ek misaal se samjhte hain ke, maa ke saath ek Chhota bachcha ja raha hai, bachcha maa ka haath nahi pakrra hai, aur wo ja rahe hain, itne me ek kutta bhonka, to wo bachca darr kar maa ki taraf lapka aur maa se ja kar chimatt gaya – ye hai maa ki panah me aana. To issi tarah main kisi cheez se bachne ke liye Allah SWT ki taraf lapkunga to Allah SWT ke protection me ana hai.

To aap (ﷺ) keh dijiye ke, main panah maangta hun, Rabbil-Falaq ke protection me ata hoon, to teesra lafz hai Rabb, iss ko phir se repeat karte hain

RABB (Fosterer) 1:1 (ر ب ب ) رَبٌّ

Rabb ke mane Paalne wale ke aatey hain, lekin lafz e rabb ke maney kisi aur zaban mein ek lafz mein nahin kar saktey hain, kyun ke arabic dictionary ke lehaz se rabb woh shakhsiyat ko kahtey hain jo ek haalat se doosri haalat mein tabdeel karte huway kisi cheez ko paalna yahan tak key woh apne kamal (yani perfection) tak pahunch jaye. Insaan ki fitrat me dynamism hai, ek hi static halat par sabr nahi kar sakta. To hamara paalne wala malik humein ek hi halat me nahi rakhta.

FAALIQ (One who splits something) 6:95 (ف ل ق ) فَالِق

Al-Falaq ka matlab dawn, day break, Subah, split, cleave, parting, phaadnay, cheernay ya do tukde hone ke aate hain. Andhere ko cheer kar Roshni aati hai jisse hum Subah kehte hain, iss ko Quran me Surah Anam ki 96 me Faaliqul Isbaah kaha gaya, kaun hai ye Faaliq, ye Allah SWT hain.[4]

Surah Anam ki 95 ayat me kaha gaya Inna-Allaha Faaliqul Habbi wan Nawa aya hai, beenj ko aur khajoor ki guttli ko phaad kar uss me se darakhat nikaalte hain Allah SWT[5]

Quran me Surah Ash-Shuara me aya hai ke, Jab Musa AS ko hukum huwa ke Red sea par asa maaro, to wahan lafze anfalaqa aya, Red sea do hisson me ho gayee aur beech me se raasta inkal aya.

Tirmidhi ki ek Hadith me lafze Filqatun aya hai, chand jab do tukdon me ho gaya, jiss ka zikr Quran me Surah Al-Qamar ki pehli ayat me aya hai,[6] tab ek tukda pahad ke saamne tha aur doosra tukda pahad ke peeche.[7]

Bukhari aur Muslim ki ek Hadith me Falaqiya Allah aya hai, insaan jab marr jaata hai to uss ki rooh badan se juda ho kar Allah SWT ke paas chali jaati hai, to ye rooh ke parwaaz hone ya insaan ka inteqaal hone ke liye bhi aya hai.[8]

 Surah Al-Falaq ki pehli ayat me Al-Falaq ka matlab Subah, Daybreak, ya Dawn ka liya gaya hai, Suraj se nikli huwi Roshni jo suraj ke aane ki khabar deti hai – uss ko Al-Falaq kehte hain; to Subah ke paalne waale malik ki panah me hum aate hain,

Quran ka ek ek lafz important hai, to Rabbil-Falaq ko kaise samjhenge?

Pehle dawn ko daybreak ya Subah ko samajhna padega, zameen gol ghoom rahi hai, west to east ghoom rahi hai, maghrib se mashriq ki taraf. To issi liye hum kehte hain sun rises in the east, suraj mashriq se tulu hota hai, iss zameen ke ghoomne ki wajah se, suraj har second kahin na kahin tulu ho raha hai yani sunrise ho raha hai har second aur kahin na kahin ghuroob ho raha hai yani sunset ho raha hai har second – alag alag jagahon par. Waise hi dawn ya subah

To ye dawn ya subah kya hai?

Suraj ki Roshni – Suraj nikalne se pehle aati hai. Jab Suraj, horizon ke 180 neeche hota hai to uss ki Roshni fiza ko ya atmosphere ko roshan karti hai – light up karti hai – iss ko Subah kehte hain ya dawn kehte hain. Ye tulu-e-aftab ya sunrise se pehle ka waqt. Dawn is a process and Sunrise is an event.

Ye dawn ya subah ka paalne wala malik, Rabbil-Falaq, to ye dawn ko kaise paal rahe hain Allah SWT? Har waqt dawn ho rahi hai, subah ho rahi hai – 24×7 duniya me kahin na kahin. Ye hai paalna, zameen ko rotate kar rahe hain Allah SWT. Ab science me iss ka koi logical jawab nahi hai ke ye zameen kyun ghoom rahi hai, ek simple jawab science ki rooh se dekhenge to – this is how it is made during the primordial period. All heavenly bodies rotate, tamam falaki ajsaam ghoom rahe hain – formation ke time se ghoom rahe hain, 4.5 Billion saal se (450 Crore).

Iss ka ek hi jawab samajh me aata hai, ke zameen ke ghoomne ki wajah se din aur raat ki hare-pher ho raha hai, aur Allah SWT farmaate hain ke; Bukhari ki hadith-e-Qudsi hai ke, Adam ka beta mujhe bura bhala kehta hai, time ko zamane ko gaali de kar, kyun ke main hi time hoon – main hi zamana hoon. Main hi din aur raat ki hare-pher karta hoon.[9]

Bukhari ki ek aur Hadith me Abu Zarr RA farmaate hain ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya ke Suraj ghuroob hone ke baad Arsh-e-Ilahi ke neeche sajda karta hai aur Allah SWT se ijazat maangta hai ke wo tulu ho ya nahi, ussay ijazat milne ke baad wo tulu hota hai, jab sunrise hoti hai. Aap (ﷺ) ne farmaya ke ek din aisa ayega ke suraj ko ijazat nahi milegi wo sajda karna chahega lekin uss ka sajda qabool nahi kiya jayega. Suraj usske regular raaste par jana chahega aur uss ko hukum hoga ke jahan se aya hai wahan wapas chala jaye, yani wo east ki jagah west se tulu hoga. Aap (ﷺ) ne ye Surah Yaaseen ki ayat tilawat ki;[10]

وَالشَّمْسُ تَجْرِي لِمُسْتَقَرٍّ لَهَا ۚ ذَٰلِكَ تَقْدِيرُ الْعَزِيزِ الْعَلِيمِ

Aur Suraj apne muqarrar, set, predetermined raaste par ya daire me chalta hai, ye taqdeer hai, program hai uss al-Aziz, taqatwar, zabardast, powerful, mighty aur al-Aleem, dana, ilm-walay, wise Allah ka

Inn ahadith se ye pata chala ke Allah SWT zameen ko rotate karta hai aur uss ki wajah se din aur raat ki hare-pher karta hai, to ye bhi ek aankhon ka dhoka hai ke, zameen west se east ki taraf ghoomti hai aur humein lagta hai ke Suraj East se ya mashriq se nikal raha hai aur wo har second Allah SWT se ijazat talab kar raha hai ke kya wo tulu ho ya nahi. Aur jiss din Allah SWT ki taqdeer uss ka program me wo waqt aajayega to suraj ko rise hone ki, tulu hone ki ijazat nahi milegi.

Aise Allah, aise rabb jo ke subah ka paalne wala malik hai, jiss ke hukum se ye ho raha hai uss ki panah me aajata hoon.

kiss cheez se panah maang rahe hain?

Vs No 2

 مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ

Har uss cheez ke shar se jo uss ne paida kiya

Iss ayat me do lafz samajhne ke hain, Shar aur khalaq.

SHARR (Bad)  2:216     شَرٌّ  ( ش ر ر )

Bad, Bura, badtar, evil, nuqsandeh

KHALAQ (Creation)  2:21     خَلَقَ  ( خ ل ق )

Paida karna, ek cheez se doosri cheez banana-create karna, jaisa ke tamam zinda cheezon ko paani se banaya, creation of living beings from water, jinno ko garmi se banaya jo aag se nikalti hai, insaan ko nutfe se banaya. Allah SWT ne har cheez ki khilqat ki, wo jo chahta hai create karta hai, wo jo chahta hai paida karta hai, create karta hai, banata hai. Wo har cheez ke physical form ko bhi banaya aur unn ki functions, unn ki fitrat bhi banayee, aur har cheez uss ke hukum, uss ke command ko follow karti hai. Matlab, The laws of nature laid down by Him cannot be violated, but if He will He can, as He does in the case of miracles which He Himself makes His Prophets to perform. Qanoon e Qudrat ko koi nahi change kar sakta, magar jab Allah SWT chahte hain to wo apne banaye huwe qanoon ke khilaf jaata hai maujezon ke zariye.

Ab ye creation ka sharr kya hai:

  • Allah SWT ne Angoor paida kiya, uss ka juice banaye aur der karke piye to wo sharab bangaya,
  • Allah SWT ne ghode paida kiya sawari ke liye, hum horse racing clubs banake juwa shuru kar liye
  • Allah SWT ne mulazimat banayee, job positions create kare hamare rizk ke liye, hum kaam karte karte, rishwat lena shuru kar diye
  • Barish zabardast huwi to ghar toot gaye, makhlooq ka sharr ho gaya
  • Ghiza me koi cheez milawat ho gayee, food poisoning ho gayee, pet kharab ho gaya
  • Namaz ka hukum diye aakhirat achi hona bolker, uss me hum riyakaari karne lage
  • Nuclear energy ko banaya power generation ke liye, aap nuclear bomb banake jang ke liye istemaal karne lage, logon ko maar dala.

Allah SWT ne jo cheezen banayee wo khair ke liye banayee, agar shaitan ke wasswase me aakar, wo khair ki cheezon ko sharr ke liye, evil ke liye istemaal karne lage, aur gunahon me parrhgaye.

Koi tadap kar ye duaon ko maange to kya ye qabool nahi hongi, Allah SWT hum ko apni panah me le le

Vs No 3

وَمِنْ شَرِّ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ

Aur Andheri raat se jab andhera chhaa jaye.

Iss ayat me bhi do lafz hain: Ghasiq aur Waqab.

GHASAQI (Darkness of Night)  17:78     غَسَقِ  ( غ س ق )

Raat ka andhera.

WAQAB (It overspreads)  17:78     وَقَبَ  ( و ق ب )

Chhaa jaana.

Raat ke andhere me nuqsaan deh jaanwar bhi nikalte hain, aur jo buri cheezen hai wo bhi hoti hain, gunah hote hain.

Inn sab gunahon se panah maangta hoon Subah ke Rabb ki.

Vs. No. 4

وَمِنْ شَرِّ النَّفَّاثَاتِ فِي الْعُقَدِ

Aur unn jaadugar auraton ke geethiyon me phoonkne ki, jaadu se panah maangta hoon

Iss ayat ke alfaz hain: An-Naffathaat, Al-Uqad

AN-NAFFAASAATI (Women who blow)  113:4     اَلنَّفَّاثَاتِ  ( ن ف ث )

Jaadugar auratein jo phoonkti hain. Women who blow (Practicing witchcraft)

UQDAH (Tie of Marriage)  2:235     عُقْدَةٌ  ( ع ق د )

Aqade Nikah, Nikah ki geethi, bandhan, knot, tie, obligation, contract.

Amal, amaliyaat, jaadu ke sharr se panah maangta hoon, Subah ke Rabb ki; jab ye tamam cheezen halki parrhjaati hain.

Vs. No. 5

وَمِنْ شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ

Aur main hasad karne waale ki hasad se panah maangta hoon jab ke wo hasad kare.

Iss ayat ka lafz hai, Hasad

HASADA (Envy)  2:109     حَسَدًا  ( ع ق د )

Jalan. Kisi ko koi achi cheez mile to aap ko bura maaloom hota hai, aur aapke dil me ye khwahesh rehti ke Allah SWT wo cheez unn se chheen lena, wapas le le.

Abu Dawood ki ek hadith me aap (ﷺ) ne farmaya ke hasad nekiyon ko aise jala deti hai jaise aag lakdi ko jala deti hai.[11]

Quran me Allah SWT farmaate hain ke achchai aur burai ek saman nahi ho sakti, ussi silsilay me Sunan Nasai me ek hadith hai ke aap (ﷺ) ne farmaya hasad aur iman ek jagah dil me jama nahi ho sakte, aur lambi hadith hai.[12]

Bukhari aur Muslim ki ek hadith hai, aap (ﷺ) ne farmaya ke hasad sirf do cheezon me jaiz hai, ek wo shaks jiss ko Allah Daulat de aur wo Allah ki raah me kharch karde, yani Quran aur Hadith par amal karte huwe kharch karde aur doosra wo shaks jiss ko Allah SWT Ilm de aur wo uss par amal bhi kare aur doosron ko sikhaye bhi. In do logon se hatt kar hasad jaiz nahi.[13]

To hasad karne walon se bhi Allah SWT ki panah mangne ka hukum hai.

References

[1] Narrated `Abdullah bin `Umar: Two men came from the East and addressed the people who wondered at their eloquent speeches On that Allah’s Messenger (ﷺ) said. Some eloquent speech is as effective as magic.’

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ يُوسُفَ، أَخْبَرَنَا مَالِكٌ، عَنْ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ ـ رضى الله عنهما أَنَّهُ قَدِمَ رَجُلاَنِ مِنَ الْمَشْرِقِ، فَخَطَبَا، فَعَجِبَ النَّاسُ لِبَيَانِهِمَا، فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ إِنَّ مِنَ الْبَيَانِ لَسِحْرًا ـ أَوْ ـ إِنَّ بَعْضَ الْبَيَانِ لَسِحْرٌ ‏”‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 5767 | In-book reference: Book 76, Hadith 81 | USC-MSA web (English) reference: Vol. 7, Book 71, Hadith 662 | https://sunnah.com/bukhari:5767

[2] Al Quran, Surah Al-Ikhlas, Chapter 112: Verse 1

[3] Al Quran, Surah YaaSeen, Chapter 36: Verse 36

[4] Al Quran, Surah Al-Anam, Chapter 6: Verse 96

[5] Al Quran, Surah Al-Anam, Chapter 6: Verse 95

[6] Al Quran, Surah Al-Qamar, Chapter 54: Verse 1

[7] Narrated Ibn Mas’ud, may Allah be pleased with him: “We were with the Messenger of Allah (ﷺ) in Mina, when the moon was cleft asunder into two parts. Part of it was behind the mountain, and part of it before it. The Messenger of Allah (ﷺ) said to us: ‘Bear witness’ meaning: The house has drawn near, and the moon has been cleft asunder (54:1).”

حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ حُجْرٍ، أَخْبَرَنَا عَلِيُّ بْنُ مُسْهِرٍ، عَنِ الأَعْمَشِ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ، عَنْ أَبِي مَعْمَرٍ، عَنِ ابْنِ مَسْعُودٍ، رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ بَيْنَمَا نَحْنُ مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم بِمِنًى فَانْشَقَّ الْقَمَرُ فِلْقَتَيْنِ فِلْقَةٌ مِنْ وَرَاءِ الْجَبَلِ وَفِلْقَةٌ دُونَهُ فَقَالَ لَنَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ اشْهَدُوا ‏”‏ ‏.‏ يَعْنِي ‏:‏ ‏(‏اقتَرَبَتِ السَّاعَةُ وَانْشَقَّ الْقَمَرُ ‏)‏ قَالَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏.‏

Grade Sahih (Darussalam) | Reference: Jami` at-Tirmidhi 3285 | In-book reference: Book 47, Hadith 337 | English translation: Vol. 5, Book 44, Hadith 3285 | https://sunnah.com/tirmidhi:3285

[8] Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: The Messenger of Allah (ﷺ) said, “There was a person who used to loan money to the people and he used to say to his servant: ‘When an insolvent person comes to you, show him leniency so that Allah may forbear our faults.’ So when he met Allah (i.e., when he died), Allah forgave him.” [Al-Bukhari and Muslim].

وعن أبي هريرة رضي الله عنه أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال‏:‏ ‏ “‏كان رجل يداين الناس، وكان يقول لفتاه‏:‏ إذا أتيت معسرا فتجاوز عنه، لعل الله أن يتجاوز عنا فلقي الله فتجاوز عنه‏”‏ ‏(‏‏(‏متفق عليه‏)‏‏)‏

Reference: Riyad as-Salihin 1370 | In-book reference: Book 11, Hadith 86 | https://sunnah.com/riyadussalihin:1370

[9] Narrated Abu Huraira: Allah’s Messenger (ﷺ) said, “Allah said, ‘The son of Adam hurts me for he abuses Time though I am Time: in My Hands are all things, and I cause the revolution of day and night.’

حَدَّثَنَا الْحُمَيْدِيُّ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، حَدَّثَنَا الزُّهْرِيُّ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ الْمُسَيَّبِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ قَالَ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ يُؤْذِينِي ابْنُ آدَمَ، يَسُبُّ الدَّهْرَ وَأَنَا الدَّهْرُ، بِيَدِي الأَمْرُ، أُقَلِّبُ اللَّيْلَ وَالنَّهَارَ ‏”‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 4826 | In-book reference: Book 65, Hadith 348 | USC-MSA web (English) reference: Vol. 6, Book 60, Hadith 351 | https://sunnah.com/bukhari:4826

[10] Narrated Abu Dhar: The Prophet (ﷺ) asked me at sunset, “Do you know where the sun goes (at the time of sunset)?” I replied, “Allah and His Apostle know better.” He said, “It goes (i.e. travels) till it prostrates Itself underneath the Throne and takes the permission to rise again, and it is permitted and then (a time will come when) it will be about to prostrate itself but its prostration will not be accepted, and it will ask permission to go on its course but it will not be permitted, but it will be ordered to return whence it has come and so it will rise in the west. And that is the interpretation of the Statement of Allah: “And the sun Runs its fixed course For a term (decreed). that is The Decree of (Allah) The Exalted in Might, The All- Knowing.” (36.38)

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ يُوسُفَ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنِ الأَعْمَشِ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ التَّيْمِيِّ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي ذَرٍّ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم لأَبِي ذَرٍّ حِينَ غَرَبَتِ الشَّمْسُ ‏”‏ تَدْرِي أَيْنَ تَذْهَبُ ‏”‏‏.‏ قُلْتُ اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ‏.‏ قَالَ ‏”‏ فَإِنَّهَا تَذْهَبُ حَتَّى تَسْجُدَ تَحْتَ الْعَرْشِ، فَتَسْتَأْذِنَ فَيُؤْذَنَ لَهَا، وَيُوشِكُ أَنْ تَسْجُدَ فَلاَ يُقْبَلَ مِنْهَا، وَتَسْتَأْذِنَ فَلاَ يُؤْذَنَ لَهَا، يُقَالُ لَهَا ارْجِعِي مِنْ حَيْثُ جِئْتِ‏.‏ فَتَطْلُعُ مِنْ مَغْرِبِهَا، فَذَلِكَ قَوْلُهُ تَعَالَى ‏{‏وَالشَّمْسُ تَجْرِي لِمُسْتَقَرٍّ لَهَا ذَلِكَ تَقْدِيرُ الْعَزِيزِ الْعَلِيمِ ‏}‏‏”‏‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 3199 | In-book reference: Book 59, Hadith 10 | USC-MSA web (English) reference: Vol. 4, Book 54, Hadith 421 | https://sunnah.com/bukhari:3199

[11] Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) said: The Prophet (ﷺ) said, “Beware of envy because envy consumes (destroys) the virtues just as the fire consumes the firewood,” or he said “grass.” [Abu Dawud].

وعن أبي هريرة رضي الله عنه أن النبي صلى الله عليه وسلم قال‏:‏ ‏ “‏إياكم والحسد، فإن الحسد يأكل الحسنات كما تأكل النار الحطب، أو قال‏:‏ العشب‏”‏‏.‏ رواه أَبُو دَاوُدَ

Reference: Riyad as-Salihin 1569 | In-book reference: Book 17, Hadith 59 | https://sunnah.com/riyadussalihin:1569

[12] It was narrated from Abu Hurairah that The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Two will never be gathered together in the Fire: A Muslim who killed a disbeliever then tried his best and did not deviate. And two will never be gathered together in the lungs of a believer: Dust in the cause of Allah, and the odor of Hell. And two will never be gathered in the heart of a salve: Faith and envy.”

أَخْبَرَنَا عِيسَى بْنُ حَمَّادٍ، قَالَ حَدَّثَنَا اللَّيْثُ، عَنِ ابْنِ عَجْلاَنَ، عَنْ سُهَيْلِ بْنِ أَبِي صَالِحٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ “‏ لاَ يَجْتَمِعَانِ فِي النَّارِ مُسْلِمٌ قَتَلَ كَافِرًا ثُمَّ سَدَّدَ وَقَارَبَ وَلاَ يَجْتَمِعَانِ فِي جَوْفِ مُؤْمِنٍ غُبَارٌ فِي سَبِيلِ اللَّهِ وَفَيْحُ جَهَنَّمَ وَلاَ يَجْتَمِعَانِ فِي قَلْبِ عَبْدٍ الإِيمَانُ وَالْحَسَدُ ‏”‏ ‏.‏

Grade: Hasan (Darussalam) | Reference: Sunan an-Nasa’i 3109 | In-book reference: Book 25, Hadith 25 | English translation: Vol. 1, Book 25, Hadith 3111 | https://sunnah.com/nasai:3109

[13] Ibn Mas’ud (May Allah be pleased with him) reported: The Prophet (ﷺ) said, “Envy is permitted only in two cases: A man whom Allah gives wealth, and he disposes of it rightfully, and a man to whom Allah gives knowledge which he applies and teaches it.” [Al- Bukhari and Muslim].

وعن ابن مسعود رضي الله عنه عن النبي صلى الله عليه وسلم قال‏:‏ ‏ “‏لا حسد إلا فى اثنتين‏:‏ رجل آتاه الله مالاً، فسلطه على هلكته فى الحق، ورجل آتاه الله حكمة، فهو يقضي بها ويعلمها‏”‏ ‏(‏‏(‏متفق عليه‏)‏‏)‏‏.‏

Reference: Riyad as-Salihin 543 | In-book reference: Introduction, Hadith 543 | https://sunnah.com/riyadussalihin:543

Comments are closed.