Tafseer Surah al-Baqarah Part 6

Tafseer Surah al-Baqarah Part 6


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah Alhamdulillah was salaatu was salaamu ala rasoolillah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani wa yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle hafte humne, Surah al-Baqarah ki tafseer ka panchwa hissa suna, jiss me Surah ki teesri ayat ki tafseer me – zakat aur sadaqat kitna dena hai, uss ki tafseel suni, aaj hum chohti ayat ki tafseer sunenge,

Tarjuma wa Tafseer

Vs. No. 4

Muttaqiyon ke aur sifaat aa rahe hain, wo kya hain?

وَالَّذِيۡنَ يُؤۡمِنُوۡنَ بِمَۤا اُنۡزِلَ اِلَيۡكَ وَمَاۤ اُنۡزِلَ مِنۡ قَبۡلِكَۚ وَبِالۡاٰخِرَةِ هُمۡ يُوۡقِنُوۡنَؕ‏

Aur jo kitab (Aye Muhammad (صلى الله عليه وسلم)) aap par nazil huwi aur jo kitabein aap (صلى الله عليه وسلم) se pehle nazil huwi sab par Iman laate aur aakhirat par yaqeen rakhte hain.

Iss ayat me samajhne ke, teen alfaz hain; Unzila, Aakhirah aur Yuqinoon

Iss ayat me bhi Muttaqeen ki mazeed aur teen qualities ka zikr hai, to muttaqeen ki chohti quality ya sifat ye hai ke,

وَالَّذِيۡنَ يُؤۡمِنُوۡنَ بِمَۤا اُنۡزِلَ اِلَيۡكَ

Aur jo kitab (Aye Muhammad (صلى الله عليه وسلم)) aap par nazil huwi hai, uss par iman laate hain yani ke Quran par iman laate hain.

Ayat ke iss hisse me, jo samajhne wala lafz hai, wo hai Unzila

UNZILA (Sent Down) اُنْزِلَ 2:4

Lafz-e-Unzila ka root ya maddah (ن ز ل) hai, ooper se neeche utarna. Issi root se aur bhi constructions hain jaisa ke,

  • Nazzala,
  • Anzala,
  • Nuzzila,
  • Nunazzil
  • Waghairah

Jo istemaal huwe hain Quran ke aasmaan se zameen par nazil hone ke liye,[1] Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke zariye.[2] Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke doosray naam jo Quran me aye hain, wo hain;

  • Rooh al-Ameen, jis ka matlab ek amanat-daar Rooh,[3]
  • Rooh al-Quds, jis ka matlab ek paak Rooh,[4]

Quran apne baare me kehti hai ke, Noorum-Mubeen yani ke Wazeh, ya Khuli roshni ki tarah wo nazil huwi.[5] Noor ka matlab Roshni ya Light hai jo ke, electromagnetic spectrum ka hissa hai. Electromagnetic spectrum kya hai?

  • Electromagnetic spectrum bohot bada hai, 3Hz se 300 ExaHertz tak hai, jo hum ko sunai deta hai, wo dikhai nahi deta. Aur jo Dikhai deta hai, wo sunai nahi deta. Frequencies alag hain;
    • Jo sunai deta hai, uss ki frequency hai 20Hz se 20,000Hz ya 20Hz to 20Kilo Hz kahenge,
    • Iss ke aagay Radio Frequency hai, AM Radio 535 se 1705 Kilo-Hz, FM Radio Mega-Hz me hai,
    • Mobile jo hum istemaal karte hain, wo 4G aur khaas taur par 5G Giga-Hz frequency me kaam karte hai,
    • Aur jo Roshni, Light hum ko dikhai deti hai uss ki frequency hai 430 – 730 Tera-Hertz. Ye hamare sunne ki frequency se bohot agay hai,
    • To Quran kis frequency me nazil huwa ye pata nahi, frequencies ko batane ka matlab ye hai ke, aaj insaan ye frequencies ko istemal kar sakta hai, to Rabb-e-Kayenaat jo inn frequencies ko banaya hai, wo kyun Wahi ko yani ke Quran nazil karne ke liye alag frequency me nahi bhej sakta?
  • Phir duniya me ek aisa problem hai, jo 20% insano ko effect karta hai. Iss ko “The Hum” kehte hain. Ek aisi dheemi awaz jo 30Hz se 100Hz ke beech me hai. Aam taur par logon ko sunayee nahi deti lekin kuch logon ke sunne ki isteta’at zyada hoti hai to unn logon ko ye ache se sunayee deti hai.
    • The Hum google karne se kayee news articles aur videos milte hain, aur iss ke baare me detail mil jayegi.
    • Batana ye hai ke, jo majority insano ko sunayee nahi deti – iss ka matlab ye nahi ke,…, wo,…, hai nahi.
    • Iss par kaafi research huwi aur ye establish ho gaya ke “The Hum” ek haqiqat hai aur ye sirf kuch insano ko hi sunayee deti hai.
    • Waise hi wahi ka ya Quran ke nazil hone ka mamela bhi hai. Ye sirf Nabiyon aur Paighambaron ko hi sunayee deti thi aur aam insaano ko nahi.
    • To iss baat par iman laana,…, ke Quran ko,…, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) nazil kiya hai, ek aisi frequency me jo aam insano ko sunai nahi deti,…, ab asan ho gaya hai.
  • Aaj science ki field mein kuch aise experiment huwe hain, jiss se ye sabit ho jaata hai ke, insaan kaan istemaal kiye bina bhi sunn sakta hai.
    • Kaan to sirf ek frequency range mein sunn sakta hai (20Hz to 20KHz), kaan uss frequency ko electrical signal mein convert karke dimaagh tak pahunchata hai.
    • Science daano ne pata kiya ke agar ek khaas frequency per koi awaz ya information ko broadcast kiya jaye, nashar kiya jaye to insaan ke dimaagh per na sirf wo awaaz sunai deti hai, balke record bhi ki jaa sakti hai.
    • Sar ka peshani se ooper ka hissa aur kan patti ke paas ek khaas frequency par information bheja jaye to dimagh tak signal pahunch sakta hai.
    • Ye discovery main kahoonga ke Quran ki uss ayat ki tafseer bann jaati hai aur Wahi ko na maanne walon per hujjat qayam ho jaati hai. Quran mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) fermata hai Surah Fussilat ki 53wi mein

سَنُرِيهِمْ ءَايَـٰتِنَا فِى ٱلْـَٔافَاقِ وَفِىٓ أَنفُسِهِمْ حَتَّىٰ يَتَبَيَّنَ لَهُمْ أَنَّهُ ٱلْحَقُّ ۗ…

“Hum unn ko ankhareeb apni nishaniya dikha denge, atraaf-e-alam me, universe me aur khud inn ki zaat ke andar, inn ke jismo me, yahan tak ke unn par zahir ho jayega ke ye Quran haq hai…”

  • Phir ye topic hum, wahi ki tafseel me sunn chuke hain ke, Quran ko ek saath kyun nahi nazil kiya gaya?
    • Wo iss liye ke Quran – Noor hai, Light hai, aur physics ke mutabiq Light exherts pressure, Roshni dabao daalti hai,
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) Quran me, Surah Hashr ki 21wi ayat me farmate hain ke agar iss Quran ko kisi pahad per nazil karte, to pahad Allah ke khashiyat se, Allah ke khauf se phatt kar reza reza ho jata, chur chur ho jata,[6]
    • Iss liye ke light exerts pressure,
    • aur doosri jagah Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) farmate hain ke, taake Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ka dil sabit rahe, ye sab kuch hum ‘wahi’ ki tafseel me sunn chuke hain.
  • Iss ke pesh-e-nazar, ye maloom hota hai ke, Quran ko Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne Muhammadur Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) par Jibrail (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ke zariye, jo ke pakeeza aur bharose-mand rooh hai, lauhim mahfooz se nazil kiya,[7] kyun ke,
    • Surah al-Isra ki 105wi ayat me farmaya ke, Quran ko humne sachai ke saath nazil kiya, aur wo sachai ke saath nazil huwa,…[8]
    • Iss me jhoot ya falsehood hai hi nahi,
    • Surah Fussilat ki 42wi ayat me farmaya ke, iss Quran par jhoot ka dakhal na aagay se ho sakta hai aur na peechhe se…[9]
    • Batil, jhoot, falsehood iss par hamla awar ho hi nahi sakta,
    • Aur ye sab kuch iss liye bhi aisa hai, kyun ke,

اِنَّا نَحۡنُ نَزَّلۡنَا الذِّكۡرَ وَاِنَّا لَهٗ لَحٰـفِظُوۡنَ‏

  • Beshak, Humne (yani ke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne) ye zikr, ye Quran, ye Kitab-e-Naseehat nazil kiya hai aur Hum hi iss ke nigahbaan, iss ke muhafiz, iss ke protector hain,[10] Surah al-Hijr – Ayat #9.
  • Issi root se doosre alfaz bhi hai, doosre derivatives bhi hai jo,
    • Maujezon ke nazil hone ke liye bhi istemaal kiye gaye hain,[11]
    • Taurait aur Injeel, yani Torah and Bible ke nazil hone ke liye bhi istemaal kiye gaye hain,[12]
    • Kitab aur Hikmat, ke nazil hone ke liye istemaal kiye gaye hain,[13]
      • Yahan, thoda sa deviate hum ho rahe hain, lekin ye zaroori hai,
      • Kitab aur Hikmat, ye phrase Quran me baar baar aya hai,
      • Kitab ka nazil karna to samajh me ata hai ke, wo Quran hai, lekin hikmat kya hai? Kyun ke, iss ayat me iss ko bhi nazil kiya gaya hai kaha gaya,
      • Surah al-Ahzab ki 34wi ayat me, ummahatu al-momineen ko mukhatib karte huwe farmaya ke, Aur tumhare gharon me jo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki ayatein parrhi jati hain, yahan lafz-e-yutla aya hai, matlab Allah ki ayatein tilawat ki jati hain, unn par ghaur-o-fikr kiya jata hai, unn par amal karke dikhaya jata hai, aur hikmat – jo ayaat par amal karne ka jo tareeqa hai, jo sunnat-e-rasool (صلى الله عليه وسلم) hai, wo sikhayee jaati hai…[14]
      • To maloom huwa ke, Kitabul Allah – Quran hai, aur Hikmat jo hai, wo sunnat-e-rasool hai,
      • Islamweb ne ek sawal ke jawab me, Imam Shafii ko quote kiya ke Hikmat kya hai? Jo unhone apni tafseer me, Kitab aur Hikmat ko samjhate huwe likhte hai ke, Allah ne Kitab kaha, jis ka matlab Quran hai, aur uss ke fauri baad, Hikmah kaha hai, jo ke Sunnat-e-Rasool (صلى الله عليه وسلم) hai. Phir Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne apni makhlooq ko Kitab aur Hikmat ki taleem de kar, apne ahsanat ka zikr kiya hai, lehaza ye kehna jaiz nahi ke, Hikmat – Sunnat-e-Rasool (صلى الله عليه وسلم) se hatt kar koi aur cheez hai – Wallahu Alam. Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) par iman lanay ko Allah par iman lanay se jodh diya hai, aur Sunnat-e-Rasool (صلى الله عليه وسلم) Allah ke kalam ke asal maano ko wazeh karti hai, aur uss me hidayat aur wazahat hai ke Allah ke kalam me kya khaas hai aur kya aam hai.[15]
      • Aur Kitab aur Hikmat sirf Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ko hi nahi, balke doosre nabiyon ko bhi di gayee thi,[16] jin me Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) aur unn ki aulad ke liye aya hai,[17] Musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام)[18] ke liye aur Isa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ka naam[19] Quran me khas taur par aya hai.
      • Iss ka kya matlab hai?
      • Iss ka ye matlab hai ke, Allah ne apne Nabiyon aur Rasoolon ko na sirf Kitab ata ki balke uss kitab ka explanation bhi diya, takay jo Allah ka nazil karda qanoon jo hai, wo Nabi aur Rasool logon ko samjhaye aur amal karke dikhaye.
      • Quran ke introduction me humne suna tha ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne unn logon ko Hadith likhne se mana farmaya tha, jo naye naye Musalman huwe, aur jinhone Quran ko poora seekha nahi tha.
      • Iss ki wajah ye humne bayan ki thi ke, Quran jab musalman seekh le, tab uss ko Hadith likhne ki ijazat de di gayee, takay Quran me, Yani Allah ki Kitab me aur Hikmat me, Rasool ki sunnat me, yani Quran ke explanation me, jo Ahadith me maujood hai, unn me farq ho jaye.
      • Ye uss Allah ke waday ke nateeje me huwa, jo Allah ne Quran ki hifazat ke liye diya huwa hai, jo humne abhi suna.[20]
      • Doosre nabiyon ko bhi Kitab aur Hikmat di gayee thi, lekin na to unn ki kitab bachi aur na hikmat, Bible ke liye kaha jata hai ke, Kitab aur Hikmat dono mil gayee, aur wo log confuse ho gaye. Kyun ke, Kitab aur Hikmat ki hifazat sirf Quran ke liye Allah ne zimmadari li hai, aur doosri kitabon ke liye nahi,
      • To kya bataya gaya?
      • Ye ke, Allah ne na sirf Kitab ko yani ke Quran ko nazil kiya hai, balke uss ki hikmat ko, yani sunnat-e-rasool ko bhi nazil kiya hai.
      • Jo jo cheezen, Hadith ka inkaar karne wale nahi maante, wo Quran me aa gaya ke, Allah ne ye cheezen nazil ki hai;
      • Maujezon ko nahi maante, Quran kehta hai ke, Allah maujeze, Allah ki nishaniyan nazil karta hai,
      • Ahadith ko, Sunnate Rasool ko nahi maante, Quran kehta hai ke, Allah ne Kitab aur Hikmat nazil kiya.
    • Phir Quran me, nazil hone wali cheezon me aur kya aya hai?
      • Kitab aur Mizan, yani ke Allah ki shareeyat,[21]
      • Roshan taleemat aur hidayat,[22]
      • Farishton ko Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke ahkamat ke saath nazil kiya,[23]
      • Aisi fauj nazil karte hain jo dikhte nahi hain,[24] Ye kis par nazil hote hain, ye Rasoolon aur Momineen ki madad ke liye, aise na dikhne wale afwaaj nazil hote hain.
      • Shayateen ke liye bhi aya ke, wo nazil hote hain,[25] Ye kin logon par nazil hote hain, “Har jhoote gunahgaar par nazil hote hain”[26]
      • Sultan, Authority – Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) nazil karte hain.[27] Ye Daleel ke ibadat kis ki kare, ye daleel Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) nazil karte hain, kitab aur hikmat ki shakal me,
      • Taskeen, Sukoon nazil karte hain,[28]
      • Jo peace, jo sukoon ki insaan ko talash hai, wo Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) nazil karte hain.
      • To peace chahiye to kya karna hoga?
      • Allah ko pakad lena hoga, Iman lana padega. Tab ye sukoon hume mil sakta hai.
    • Phir iss duniya me barish ke liye bhi nuzool ka lafz Quran me istemaal huwa hai,[29]
      • Jo murda zameen ko zinda karta hai aur iss tarah rizq yani khaane peene ki cheezen muhayya karta hai,[30] aur
      • Barish aur hawa, bandon ko saza dene ke liye bhi nazil hoti hain,[31]
    • Anzala ke kuch derivatives, Zameen ke kisi oonche muqam se neeche utarne ke liye bhi Quran me istemaal huwe hain, jaisa ke,
      • Paani ke jahaz se zameen par utarna,[32]
      • Qilay se neeche utar diye jana,[33]
      • Mann-o-Salwa Allah ne Bani Israeel ke liye utara,[34]
      • Ahadith me Sawari se utarne ke liye bhi, Lafz-e-Anzil istemaal kiya gaya hai,[35]
    • Phir Lafz-e-Nuzula, Tohfay ya Ziyafat ya Mehmaan nawazi ke maano me istemaal kiya gaya hai,[36] Phir tohfay ke maano me;
      • Ye ahle kitab me se jo kufr karte hain aur mushrikeen,…, nahi chahte ke aap (صلى الله عليه وسلم) par khair nazil kiya jaye,[37] Yani ke Quran ko Khair kaha gaya hai,
      • Maweshiyon me se aatth joday paida kiye nahi kaha, nazil kiye kaha hai,[38]
      • Aye Bani Adam humne tum par libas nazil kiya hai, takay wo tumhare jism ke qabil-e-sharam hisson ko dhaanke,[39] Libas bhi Allah ne nazil kiya,
      • Aur Surah Hadid ki 25wi ayat me farmaya ke, Humne Hadeed yani ke Loha nazil kiya hai jis me bada zor aur logon ke liye faide hain…,[40]
      • Aur Allah ke khazano me se, waqtan-fawaqtan cheezen nazil karte hain, ek muqarrar miqdaar ke mutabiq.[41]
      • Ahadith me Khazane aur Museebatein nazil hone ka zikr hai, [42]
      • Bimari aur uss ka ilaaj nazil hone ka zikr hai,[43]
      • Azab nazil hone ka zikr hai.[44]
    • Yahan thoda phir se rukna padega, kyun ke, bohot hi scientific mazameen inn 4 points me aaye hain;
      • Aur agar barish ke nazil hone ko bhi, inn me add kar liya jaye to 5 mazameen ho jayenge,
      • Sab se pehle, ye baat jaan lein ke, jo hamari zameen ke elements hain, wo pehle sitaron ka ya stars ka hissa thay, kyun ke, ye elements sirf stars me, sitaron me hi ban sakte hain.
      • Stars me ya sitaron me hydrogen ke atoms, ek doosre se fuse hote hain, fusion nuclear reaction ki wajah se, do hydrogen atoms ek doosre se fuse ho gaye to wo helium ban jata hai,
      • phir ek hydrogen aur ek helium atom fuse ho gaye to lithium ban jata hai,
      • Aise hi fusion reactions ke zariye carbon banta hai aur oxygen banta hai,
      • To pata chala ke jitne elements hamari zameen par maujood hain, wo zameen par nahi bane, balke wo sitaron ke andar form huwe,[45]
      • Aag me kayee cheezen jalte hain, lekin jab raakh ban jaati hai to aag bujh jaati hai, waise hi, sitaron me jab loha ban jata hai, iron jab ban jata hai to wo sitara khatam ho jata hai,
      • To jo aakhri element sitaron me ban sakta hai wo Iron hai, jo sitaron ki raakh hai, Iron ko stellar ash kaha jata hai,
      • Ye Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki khilqat ka, creation ka ajeeb nizam hai ke, jab uss star ka, ya uss sitare ka fuel, Hydrogen khatam ho jata hai to wo phatt parrhta hai, jisay Supernova Explosion kehte hain.
      • Iss explosion ki wajah se ek shock wave banti hai jo 10,000 km/sec ki raftar se bahar nikalti hai, aur jo material sitare ke surface par tha, uss ki satah par tha, wo compress ho jata hai aur uss ka temperature badh jata hai,
      • Aur sab se khas baat ye hai ke, iss explosion me kayee saare aur elements bante hain, jo sitare me ban nahi paye, ye sirf supernova explosion me hi bante hain, jaise
        • Jast yani Zinc,
        • Chandi yani Silver,
        • Tin,
        • Sona yani Gold,
        • Para yani Mercury,
        • Seesa yani Lead, aur
        • [46]
      • Haqeeqat ye hai ke, ye tamam cheezen zameen par paayee jaati hain, jo iss baat ka saboot hai ke, jo pehle sitaron me the aur phir supernova ke zariye solar system ki paidaish ke waqt maujood the, matlab ye elements zameen par bheje gaye ya utaare gaye, nazil huwe, jaisa ke Quran ne kaha hai.
      • Aur ye kayee saare elements hamare jismo me bhi hain, darakhton me bhi hai – chlorophyl jis se darakhton ka khana banne me madad hoti hai – uss ke banne me iron ki zaroorat hoti hai, janwaron me bhi hain, loha ya iron ki wajah se hamara khoon laal hai, iron ki kami ho jaye to bimariyon ka sabab banta hai, baghair lohe ke hamari zindagi, hamara karobar sab band ho jayega.[47]
      • Phir sciencedaano ke saamne ye sab se bada masla ye tha ke, samandaron me jo itna pani hai, wo kahan se aya, bohot hi zyada research ke baad pata chala ke, ye bahar se bheja gaya, aur jaisa ke Quran ne farmaya ke, humne nazil kiya pani – jis se hamari zindagi mumkin hai.
      • To Quran ne inn cheezon ko record kiya, apne hi andaaz me ke, humne chaupayon ke joday nazil kiya, libas nazil kiya, loha nazil kiya aur tamam elements nazil kiye, aur pani nazil kiya, warna hamari zindagi mumkin nahi ho sakti thi.
      • Ye pani ko deliver karne ke baad, zameen par water cycle qayem ho gayee, jis ki wajah se paani badalon ki shakal me zameen ki satah se ooper jaata hai aur phir wapas neecha nazil hota hai, inn dono tareeqon ke liye, lafz-e-anzala aya hai.

Phir Quran me ek aur lafz aya hai, Lafz-e-Manazil, jo chaand ke stages ke liye istemaal huwa hai.[48]

  • Chand ke stages hain, pehli ka chand – barik hota hai aur kuch minuton me ghayeb ho jata hai,
  • Aur jaise jaise din guzarte hain ke, waise hi chand ka size bhi badhta hai aur wo zyada der tak aasmaan me nazar ata hai,
  • Phir maheene ki 13, 14, 15 ko chand poora round dikhayee deta hai, aur ye raatein roshan hoti hain, aur inhi dino me, yehi tareeqon ko din me, aap (صلى الله عليه وسلم) ne roza rakhne ko recommend kiya,
  • Phir chand ghattna shuru hota hai, aur der raat ko aasmaan me nazar ata hai,
  • Phir ek din aisa bhi ata hai, jab chand nahi hota, no moon kehte hain aur hamare yahan India me – aisi hi raaton ko amawas ki raat kaha jaata hai. Jis raat chand nahi hota.
  • Phir se ye chand ki cycle shuru hoti hai.
  • Aur isis tareeqe se dino ki, mahino ki aur saalon ki ginti hoti hai.

To aam taur par Lafz-e-Nazala ke jo derivatives hain unn ke maano me neeche utarne ka matlab aya hai, aur Lafz-e-Yanzil neeche ana Lafz-e-YaRuj ka opposite hai, jis ke maane ooper chadhna hai.

Ahadith me bhi yehi matlab aya hai,

  • Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) se poocha gaya, aap (صلى الله عليه وسلم) peer ke din roza kyun rakhte hain, aap (صلى الله عليه وسلم) ne jawab diya ke, main iss din paida huwa aur issi din mujh par Quran ka nuzool shuru huwa.[49]
  • Aur kayee saari ahadith iss lafz ke liye maujood hai.

To kaha gaya ke, Muttaqi wo log hain jo aap par jo Kitab-o-Hikmat nazil huwi uss par bhi iman laate hain aur Paanchwi quality kya hai muttaqeen ki?

…وَمَاۤ اُنۡزِلَ مِنۡ قَبۡلِكَۚ…

…aur aap (صلى الله عليه وسلم) se pehle jo kitabein nazil huwi, unn par bhi iman laate hain…

Ab yahan ye sawal paida hota hai ke, ye kitab per imaan lana kyun zaroori hai?

  • kitab ek ‘set of instructions’ hai
  • agar jaza aur saza ka din hai toh bagair instructions diye ke ye kaise ho sakta hai ke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) kisi ko saza de aur kisi ko jaza,
  • qayamat ke din koi ye na kahe ke hume to pata hi nahi tha ke karna kya hai?
  • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne insani dimag mein wo salahiyat rakhi hai ke, uska dimagh aur dimagh ka level badta hi jata hai, chunke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) Aaleem hain, yani ke Ilm dene wale hain, toh, ilm mein sirf izafa hi ho sakta hai, saray insano ke ilm mein izafa hota hi ja raha hai,
  • itna izafa hone ke bawajood bhi insaan apne liye khud se rehnumai ya hidayat ki kitab nahi likh sakta, insan apnay liye zindagi guzarne ka sahi tariqa ijad nahi kar sakta,
  • History gawah hai ke, jitnay bhi qanoon banaye gaye wo sirf aur sirf ek tarfa the aur hain, one sided hi hain,
  • aur agar hum soonche ke, hum apni life ke experience say, aap biti se, logon ki zindagiyon se, baap-dada ke taur tareekhon se, aage ki zindagi guzar lenge toh yakeenan hum apnay aap ko halakat mein, nuksan mein daalenge,
  • chunke ye mumkin hi nahi ke insaan apne liye khud se ‘set of instructions’ banale, zindagi guzarne ka tarika bana le, likh le, isiliye Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne apni taraf se ye ‘set of instructions’ bheje ya nazil kiye
  • kaisay nazil huwa ye uper sun chuke hain aur kis par nazil kiya?
  • instructions bhejne ka ye tariqa kyun istemal kiya gaya? puri kitab ek saath kyun nahi utaar di gayi?
    • Abhi hum sunn chuke hain ke, taake Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke dil ko sabit rakh sakay.
  • toh kis par nazil huwa?
  • Aap (صلى الله عليه وسلم) per nazil kiya, iss liye ke koi ye na kahe ke ye set of instructions toh implementable hi nahi hai, ye toh practical hai hi nahi
  • yahan ye janna zaroori hai ke, ye set of instructions implementable the aur hamesha rahenge,
  • Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) aur Sahaba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُم) ne iss ko implement karke dikhaya aur example set kiya
  • toh ye maanna hi padega ke, ek set of instructions chahiye hi chahiye, agar nahi maane toh iss kitab se mazeed hidayat lena muskil hai aur hum iss muttaqeen ki category mein nahi aayenge,
  • Quran ek latest set of instructions hai, iss per imaan lana zaroori hai, ye baat toh samajh mein aarahi hai lekin guzri huwi kitabon par imaan lanay ke liye kyon kaha ja raha hai?
    • Iss ki tafseel hum aanay walay hafte sunenge,

To yahan hum aaj ka dars rok denge, aglay hafte hum Surah al-Baqarah ki tafseer agay sunenge. In Sha Allah.

References

[1] 2:185

[2] 2:97

[3] 26:192-196

[4] 16:102

[5] 4:175

[6] 59:21

[7] 85:21-22

[8] 17:105

[9] 41:42

[10] 15:9

[11] 6:37, 26:4

[12] 3:3

[13] 2:231

[14] 33:34

[15] Source: https://www.islamweb.net/en/fatwa/324292/?Option=FatwaId

[16] 2:213, 3:79, 6:83-89

[17] 4:54,

[18] 45:16

[19] 3:48, 5:110

[20] 15:9

[21] 42:17

[22] 2:159

[23] 16:2, 65:5 & 12, 53:13

[24] 9:26

[25] 26:221

[26] 26:222

[27] 7:71

[28] 9:26, 3:154, 48:4

[29] 29:63

[30] 45:5, 40:13, 42:27

[31] 2:59, 29:34

[32] 23:29

[33] 33:26

[34] 20:80

[35] Narrated `Abdullah bin Abi `Aufa: We were traveling with Allah’s Messenger (ﷺ) and he was fasting, and when the sun set, he said to (someone), “Get down and mix Sawiq with water for us.” He replied, “O Allah’s Messenger (ﷺ)! (Will you wait) till it is evening?” The Prophet (ﷺ) again said, “Get down and mix Sawiq with water for us.” He replied, “O Allah’s Messenger (ﷺ)! It is still daytime.” The Prophet (ﷺ) said again, “Get down and mix Sawiq with water for us.” So, he got down and carried out that order. The Prophet (ﷺ) then said, “When you see night falling from this side, the fasting person should break his fast,” and he beckoned with his finger towards the east.

حَدَّثَنَا مُسَدَّدٌ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الْوَاحِدِ، حَدَّثَنَا الشَّيْبَانِيُّ، قَالَ سَمِعْتُ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ أَبِي أَوْفَى ـ رضى الله عنه ـ قَالَ سِرْنَا مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم وَهْوَ صَائِمٌ، فَلَمَّا غَرَبَتِ الشَّمْسُ قَالَ ‏”‏ انْزِلْ، فَاجْدَحْ لَنَا ‏”‏‏.‏ قَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ، لَوْ أَمْسَيْتَ‏.‏ قَالَ ‏”‏ انْزِلْ، فَاجْدَحْ لَنَا ‏”‏‏.‏ قَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ، إِنَّ عَلَيْكَ نَهَارًا‏.‏ قَالَ ‏”‏ انْزِلْ، فَاجْدَحْ لَنَا ‏”‏‏.‏ فَنَزَلَ، فَجَدَحَ، ثُمَّ قَالَ ‏”‏ إِذَا رَأَيْتُمُ اللَّيْلَ أَقْبَلَ مِنْ هَا هُنَا فَقَدْ أَفْطَرَ الصَّائِمُ ‏”‏‏.‏ وَأَشَارَ بِإِصْبَعِهِ قِبَلَ الْمَشْرِقِ‏.‏

https://sunnah.com/bukhari:1956

[36] 3:198, 32:19, 18:107

[37] 2:105

[38] 39:6

[39] 7:26

[40] 57:25

[41] 15:21

[42] Um Salama: The Prophet (ﷺ) woke up and said, “Glorified be Allah: What great (how many) treasures have been sent down, and what great (how many ) afflictions have been sent down!”

وَعَنِ الزُّهْرِيِّ، حَدَّثَتْنِي هِنْدُ بِنْتُ الْحَارِثِ، أَنَّ أُمَّ سَلَمَةَ، قَالَتِ اسْتَيْقَظَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم فَقَالَ ‏ “‏ سُبْحَانَ اللَّهِ، مَاذَا أُنْزِلَ مِنَ الْخَزَائِنِ وَمَاذَا أُنْزِلَ مِنَ الْفِتَنِ ‏”‏‏.‏

https://sunnah.com/bukhari:3599

[43] Abu Huraira reported God’s messenger as saying: “God has not sent down a disease without sending down remedy for it.” Bukhari transmitted it.

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَا أَنْزَلَ اللَّهُ دَاء إِلا أنزل لَهُ دَوَاء» . رَوَاهُ البُخَارِيّ – حكم : صَحِيح (الألباني)

https://sunnah.com/mishkat:4514

[44] Ibn ‘Umar (May Allah be pleased with them) said: The Messenger of Allah (ﷺ) said, “If Allah afflicts punishment upon a nation, it befalls the whole population indiscriminately and then they will be resurrected and judged according to their deeds.” [Al- Bukhari and Muslim].

وعن ابن عمر رضي الله عنهما قال : قال رسولُ اللهِ : « إذَا أنْزَلَ اللهُ تَعَالَى بِقَومٍ عَذَاباً ، أصَابَ العَذَابُ مَنْ كَانَ فِيهِمْ ، ثُمَّ بُعِثُوا عَلَى أَعْمَالِهِمْ » . متفق عليه .

https://sunnah.com/riyadussalihin:1830

[45] Formation of Elements and Iron, Source: https://sciencing.com/origin-iron-5371252.html

[46] Elements formed in Supernovae, Source: https://lco.global/spacebook/stars/supernova/#:~:text=This%20shock%20wave%20compresses%20the,lead%20and%20uranium%20are%20produced.

[47] Iron helps sustain life on earth, source: https://www.livescience.com/29263-iron.html

[48] 10:5

[49] Abu Qatadah (May Allah be pleased with him) reported: The Messenger of Allah (ﷺ) was asked about fasting on Mondays. He said, “That is the day on which I was born and the day on which I received Revelation.” [Muslim].

عن أبي قتادة رضي الله عنه أن رسول الله صلى الله عليه وسلم‏:‏ سئل عن صوم يوم الاثنين فقال‏:‏ ‏ “‏ذلك يوم ولدت فيه، ويوم بعثت أو أنزل علي فيه‏”‏ ‏(‏‏(‏رواه مسلم‏)‏‏)‏‏.‏

https://sunnah.com/riyadussalihin:1255

Comments are closed.