Tafseer Surah al-Baqarah Part 55
Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem
Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah
Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli
As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu
Pichle dars me hum Surah al-Baqarah ki 20wi ayat ki tafseer sunn rahe the, aaj ke dars me bhi issi ayat ki tafseer aagay sunenge.
Tarjuma wa Tafseer
Vs. No. 20 Cont’d…
يَكَادُ الۡبَرۡقُ يَخۡطَفُ اَبۡصَارَهُمۡؕ كُلَّمَاۤ اَضَآءَ لَهُمۡ مَّشَوۡا فِيۡهِۙ وَاِذَاۤ اَظۡلَمَ عَلَيۡهِمۡ قَامُوۡاؕ وَلَوۡ شَآءَ اللّٰهُ لَذَهَبَ بِسَمۡعِهِمۡ وَاَبۡصَارِهِمۡؕ اِنَّ اللّٰهَ عَلٰى كُلِّ شَىۡءٍ قَدِيۡرٌ
Qareeb hai ke, bijli ki chamak unn ki basarat chheen le, yani aankhon ki binayi salb kar le, jab bijli chamakti hai to unn par roshni padti hai, to uss roshni me chalte hain, aur jab andhera ho jata hai to ruk jaate hain, aur khade ke khade reh jaate hain, aur agar Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) chahta to unn ke kaano ke sunne ki taqat aur aankhon ke dekhne ke salahiyat ko salb kar leta, yaqeenan Allah har cheez par qadir hai.
Ab iss ayat me, samajhne ke 8 alfaaz me se 6 alfaz ki tafseel hum sunn chuke hain, aaj hum aakhari do alfaaz Shai’in aur Qadeer ki tafseel janenge;
To iss ayat ka saatwa lafz aur Surah al-Fatiha se parrhne ki tarteeb ka lafz number 96 Shai’in hai.
96. SHAY-IN (Thing) شَىْءٍ ( ش ى ء ) 2:20
Hamare ustaad Dr. Anees apni kitab Explanatory Dictionary of the Holy Quran me likhte hain ke, lafz-e-Shai’in ka root ya maddah (ش ى ء) hai, jis ke maane “cheez” ya “Thing” ke aye hain. Iss root se lafz-e-Sha’a bhi tha jo hum pichle dars me sunn chuke hain, Quran-e-Majeed me ye lafz;
- Material yani maddi cheezon ke liye bhi istemaal huwa hai, jaise Surah Saba me farmaya ke, Aye Nabi (صلى الله عليه وسلم) aap keh dijiye ke, yaqeenan mera paalne wala malik apne bando me se jis ke liye chahta hai rozi kushada karta hai, abundant kar deta hai, aur jis ke liye chahta hai tang kar deta hai. Aur tum jo cheez kharch kartay ho wo usay lautta deta hai ya uss ke badle tumhe aur ata karta hai…[1]
- Iss ayat me lafz-e-Sha’a aur Shai’in dono aaye hain.
- Phir Surah al-Araf me farmaya, Aur Madyan ki taraf humne unn ke bhai Shu’aib (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) ko bheja, to unhone ke kaha ke, Aye Meri qaum! Allah hi ki ibadat karo, Uss ke siway tumhare liye koi aur supreme authority nahi hai, koi aur ibadat karne ke layeq nahi hai, yani Allah ke siway koi aur poojne ke qabil nahi hai. Tumhare paas tumhare paalne wale malik ki taraf se khuli nishaniyan, khuli daleel aa chuki hai, to maap aur tol poora kiya karo aur logon ko unn ki cheezen kum na kiya karo…[2]
- To inn ayaat me lafz-e-Shai’in maddi cheezon ke liye istemaal huwa hai.
- Aur Quran me baaz jagah ye lafz, ghair maddi cheezon ke liye, abstrat cheezon ke liye bhi istemaal huwa hai, jaise, Surah aal-Imran me Jung-e-Badr ka zikr karte huwe farmaya ke, Aye Nabi (صلى الله عليه وسلم) iss muamele me, aap ke liye koi cheez nahi hai ya koi ikhtiyaar nahi hai…[3]
- Aur baaz ayaat me, ye lafz maddi aur ghair maddi cheezon ke baare me istemaal huwa hai, jaisa ke Surah al-Baqarah me farmaya, Aur Hum tumhe laziman aazmayenge kisi qadr khauf aur bhook se aur jaan-o-maal ke nuqsan ke zariye…[6]
Iss lafz par jo ahadith aayi hain, unn ka mafhoom aa raha hai;
- Sahih Muslim, Adab al-Mufrad, Abu Dawood, Tirmidhi aur Ibn Majah ki ahadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki masnoon dua’on me se sonay se pehle aap (صلى الله عليه وسلم) ye dua karte thay,
- Aye Allah, Aasmaano ke paalne walay malik, zameen ke paalne walay malik, arsh-e-azeem ke paalne walay malik aur har cheez ke paalne walay malik,
- anaaj aur khajoor ki ghutli ko phaad kar paida karne wala,
- Taurait, injeel aur al-Furqan yani sahih aur ghalat me farq karne wali daleel yani ke Quran ko nazil karne walay,
- Main teri panah maangta hoon har cheez ke shar se,
- Tu peshani ke baalon se pakadne wala hai, yani tere qabza-e-qudrat me hai har cheez,
- Aye Allah, Tu hi awwal hai, sab se pehle hai, tujh se pehle koi cheez nahi,
- Tu hi aakhir hai, sab khatam ho jayega tab bhi teri hi zaat baqi rahegi, tere baad koi nahi,
- Tu hi zahir hai, aur tere ooper koi cheez nahi, aur
- Tu hi batin hai, chhupa huwa hai, tere agay koi cheez nahi,
- Hum se qarz ka bojh utaar de aur hume tangdasti se, ghareebi se najaat ata farma.[7]
- Hum me se kitne log qarz me mubtala hain, lekin ye dua maloom hi nahi, koshish kare ke isay yaad kar le aur sonay se pehle parrhe.n
- Adab al-Mufrad ki hadith, farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, Ek Musalmaan ko ajar diya jata hai har uss cheez par jo wo kharch karta hai, siway uss kharchay ke jo wo mitti par kharch karta hai.
- Construction par jo kharch karta hai, uss ka ajr nahi milta.
- Ek ghar ki zaroorat hai, Real Estate me invest kiye ja rahe hain.
- Duniya ka faida ho sakta hai, lekin aakhirat ka faida nahi hoga.
- Hamara poora focus, issi cheez par hai, haal hi me kisi se poochha gaya ke shadi kab kar rahe ho, to uss ne kaha ke, abhi kahan pehle kamana hai, ghar banana hai, phir uss ke baad shadi karna hai.
- Hum apne priorities ko, apni niyyat ko pehle durust kare.n, Shadi karna zaroori kaam hai, Ghar banana zaroori kaam nahi hai…aur ye hadith uss ki daleel hai.
- Tirmidhi ki hadith, farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, Be hayayi kisi cheez ko be-daagh nahi chhorrhti aur Haya kisi cheez ko saware bina nahi chhorrhti.[8]
- To lafz-e-Shai’un bohot hi zyada istemaal me hai aur ahadith me bhi bohot hi zyada istemaal huwa hai.
Ab iss ayat ka aatthwa lafz, aur Surah al-Fatiha se parrhne ki tarteeb ka Lafz number 97, Qadeer hai.
97. QADIIR (Powerful) قَدِيْرٌ ( ق د ر ) 2:20
Lafz-e-Qadeer ka root ya maddah (ق د ر) hai, jis ke maane “Powerful” ke ya “Qudrat rakhne walay” ke aye hain. Quran me issi root se bannay walay alfaaz me;
- Lafz-e-Yuqaddiru hai, jo kisi miqdaar ya measurement ke maane bayan karta hai, jai se Surah al-Muzammil ki aakhri aur lambi ayat ke ek hissay me farmaya, …Aur Allah hi raat aur din ka andaza karta hai…[9] measurement karta hai.
- Din aur Raat ki lambai itne durust tareeqe se naapi gayee hai ke, Sunrise ya Tulu-e-Aftab aur Sunset ya sooraj ke Ghuroob hone ke awqat hum na sirf predict kar saktay hain, balke har saal ye repeat bhi hotay hain aur unn me koi farq nahi hota.
- Phir Surah as-Sajdah me farmaya ke, Wohi aasman se zameen tak ke har kaam ka intezaam karta hai, phir wo ek roz me, ek din me Uss ki taraf ye umoor wapas bheje jaate hain, jis ki miqdaar tumhari ginti ke hisaab se hazar saal ki hogi.[10]
- Lafz-e-as-Samaa me iss ko hum tafseel se bayan kar chuke hain,
- Lafz-e-Qadaru aya hai, capacity ya isteta’at ke maano me, Surah al-Baqarah me farmaya, Aur agar tum auraton ko unn ke paas jaane ya unn ka mehr muqarrar karne se pehle talaq de do, to tum par kuch gunah nahi, aur unn ko kuch kharch do sahib-e-wus’at yani ameer aadmi apni isteta’at ke mutabiq kharch de aur tang-dast ya ghareeb aadmi apni isteta’at ke mutabiq kharch de…[11]
- Lafz-e-Yaqdiru aya hai, power, qudrat ya ikhtiyar ke maano me, jaisa Surah an-Nahl me farmaya, Allah ne ek misal bayan ki hai, ek ghulam jo bilkul doosre ke ikhtiyar me ya control me hai, aur wo kisi cheez par bhi qudrat nahi rakhta, aur ek aisa shakhs hai jis ko hum ne apne paas se bohot achha rizq diya hai aur wo uss me se kharch karta hai, chhupa kar bhi aur zahiri taur par bhi, alaniya dikha kar bhi kharch karta hai, kya ye dono barabar ho sakte hain?…[12]
- Phir Lafz-e-Taqdeer aya hai, program ya destiny ke maano me, jisay hum urdu me taqdeer hi kehte hain, Surah al-An’am me farmaya ke, Yaqeenan Allah hi hai jo daane aur khajoor ki gutthli ko phaad kar unn se darakht waghairah nikaalta hai, wohi hai jo murda ko zinda me se nikaalne wala hai, yehi to hai Allah (uss ko pehchhano) lekin tum kidhar behke ja rahe ho.[13]
- Wohi (raat ke andhere se) subah ki roshni phad nikaalta hai aur ussi ne raat ko sukoon ka waqt (Tthehraya) aur Sooraj aur chand ko hisaab ke liye muqarrar kiya hai, aur ye taqdeer hai, uss ka banaya huwa program hai, jo ghalib-o-zabar-dast hai aur sab kuch jaanne wala hai.[14]
- Phir Surah Yaa-Seen me farmaya ke, Aur ek nishani unn ke liye murda zameen hai ke, Humne uss ko zinda kiya aur uss me se anaaj ugaya, phir ye uss me se khaate hain,[15]
- Aur uss me khajooron aur angooron ke baagh paida kiye aur uss me chashme jaari kar diye,[16]
- Takay yeh unn ke phal khaye.n aur ye sab unn ke hathon ne to nahi banaya, to kya tum log shukr nahi karte?[17]
- Paak hai wo zaat, jis ne tamam jodon ko, pairs ko paida kiya, uss me se bhi jo zameen ugaati hai aur khud unn ki apni jaano me se bhi aur uss me se bhi jin ke baare me ye nahi jaante,[18]
- Aur ek nishani unn ke liye raat hai ke uss me se Hum din ko kheench lete hain, to uss waqt andhera chha jata hai,[19]
- Aur Sooraj apne muqarrar rastay par chalta hai, ye (Uss Allah ki) tay shuda taqdeer hai, uss ka set kiya huwa program hai, jo bohto zabar-dast hai, Mighty hai, aur bohot ilm wala hai.[20]
- Surah Yaa-Seen ki iss ayat me, lafz-e-Qaddarna aya hai chand ke liye, farmaya ke, Aur chaand ki bhi humne manzile.n muqarrar kar di hain, yani uss ke stages program kar diye hain, yahan tak ke wo phir (ghatt-tay, ghatt-tay) khajoor ki puraani sookhi tehni ki tarah ho jata hai.[21]
- Phir Surah Fussilat me, Lafz-e-Qaddara aya hai destiny ya muqaddar ke liye, farmaya ke, Aye Nabi (صلى الله عليه وسلم)! Aap unn se poochhiye ke, kya tum log kufr kar rahe ho, inkaar kar rahe ho uss zaat ka jis ne zameen ko do dino me banaya? Aur tum iss liye buton ko Uss ke barabar tthehra rahay ho, Wohi to saare aalamon ka, paalne wala malik hai.[22]
- Aur ussi ne zameen me pahad banaye (through the deposition of material) uss ki satah ke ooper se (matti aur patthar waghairah ko transport karke, deposit kiya aur uss se pahad banaye) aur zameen me barkat rakhi aur uss me sab khaane ka saman chaar periods me, muqaddar kar diya, tamam talabgaaron ke liye barabar.[23]
- Iss ke alawa, Uss ne (yani Allah Tala ne) aasmaano me tawazun qayem kiya jab ke wo dhuwa tha, smoke tha, to Uss ne uss se yani aasmaan jo dhuwe ki shakal me tha, aur zameen se farmaya dono aao, chahe khushi se ya na-khushi se yani zabardasti aao, dono ne kaha hum khushi se aatay hain.[24]
- Phir do din me ya do periods me saat aasmaan banaye aur har aasmaan me uss ke kaam ka hukum communicate kar diya, wahi bhej kar, aur hum ne aasmaan-e-duniya ko chiraghon se, sitaron se muzayyan kar diya, decorate kar diya, aur shaitano se mahfooz rakha, yeh uss hasti ka banaya huwa program hai, taqdeer hai, jo mighty hai, zabardast hai, ilm rakhne wala hai.[25]
- Phir Surah ar-Raad me farmaya, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) khoob jaante hain ke, har madah yani har female ke paytt me kya utthaye huwe hai, aur wo jaante hain jis qadar rahm yani womb, sukadtay hain ya badhtay hain aur har cheez uss ke paas ek muqarrar ya tayy shuda program ke mutabiq hai.[26]
- Dekhte chale jaiyye ke, Allah tala ne jo taqdeer banayi hai, iss kayenaat ki khilqat se 50 hazar saal pehle, wo kis qadr detailed hai, kis qadr tafseel se likhi gayee hai.
- Surah al-Mursalat me sawal karte huwe farmaya, Kya Humne tum ko haqeer pani se nahi paida kiya?[27] Aisa paani jo shiddat ke baad kamzor padh jata hai.
- Phir Humne uss (nutfe ya sperm) ko ek mahfooz jagah rakh diya,[28]
- Ek aise waqt tak jo maloom hai, muqarrar hai ya jab tak ke Hamara banaya huwa program poora na ho jaye,[29]
- To Humne Program banaya, ya andaza muqarrar kiya aur Hum behtareen Program banane walay hain.[30]
- Surah Abasa me insaan ki khilqat ke baare me farmaya, Ek boond se, Uss ne (insaan) ko paida kiya aur uss ke liye ek program banaya takay wo ek tayy shuda ya muqarrar raasta ikhtiyar kare,[31] phir uss ke liye rasta aasaan kar diya.[32]
- Hum ne tumhare beech maut ko tthehra diya hai, muqarrar kar diya hai, We have programmed death among you, aur Hum iss se aajiz nahi hain, ye Allah tala ke liye koi badi baat nahi hai, koi big deal nahi hai.[33]
- Jis cheez se hum ghabraate hain, darrte hain, bhaagna chahte hain,…, Maut,…, wo bhi hamara muqaddar hai, usay bhi Allah ne program kar diya hai… Maut ko Taal kar dikha do…uss ki jagah aur waqt postpone nahi ho sakta, usay ttala nahi ja sakta.
- Surah al-Qamar me farmaya ke, Humne har cheez ek program ke mutabiq paida kiya hai.[34]
- Aur Surah at-Talaq me farmaya, …Yaqeenan, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne har cheez ka ek program muqarrar kar rakha hai.[35]
- Surah al-Furqan me farmaya, …Wohi hasti jis ke liye hai badshahi aasmaano ki aur zameen ki aur jis ne kisi ko apni aulad nahi banaya aur na hi uss ka koi shareek hai, hukumat (ke ikhtiyarat) me aur ussi ne har cheez ko paida kiya aur phir uss ke liye ek program muqarrar kar diya.[36]
- Ye kayenaat ki jo taqdeer hai, jo iss kayenaat ko chalane ke program hai, wo ek secure database me mahfooz hai, jisay Surah al-Burooj me farmaya ke, wo secure database, Lauh-e-Mahfooz hai.[37]
- Aur ye program salana implement kiya jata hai, Lailatul Qadr me, jaisa ke, Surah al-Qadr me farmaya ke, Behsak humne iss Quran ko utara, nazil kiya, lailatul qadr me,[38]
- Aur tumhe kya maloom ke, ye lailatul qadr ya shab-e-qadr kya hai?[39]
- Lailatul Qadr, hazaar mahino se behtar hai,[40]
- Iss raat me rooh al-Ameen yani Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَام) aur farishte har kaam ke (intezaam ke) liye apne paalne walay malik ke hukum se utarte hain,[41]
- Sarasar salamti hai, ye raat rahti hai, tulu-e-fajr tak, subah tak.[42]
- To Allah ki banayi huwi taqdeer, kin kin cheezon ko cover kar rahi hai, uss ki sirf ye jhalak hai,
- Zameen me beenj se jhaad ka nikalna,
- Paani ke chashme ya lakes aur ponds banaya,
- Zindagi aur maut ka ana,
- Jodon ko banaya, Allah ke siway har cheez pairs me hai, ye bhi taqdeer ka hissa hai,
- Aur ghiza banayi, iss zameen par zindagi guzarne ka saman banaya, taqdeer ke tehat, muqarrar program ke hisaab se,
- Raat aur Din ki her pher,
- Sooraj aur Chand ko time calculate karne ke liye banaya,
- Heavenly bodies ke movements ko program kiya,
- Zameen me Pahad banaye, uss ka bhi ek poora process hai, jo taqdeer ka hissa hai,
- Saat aasmaano ko banaya aur unn ko kaise kaam karna hai, ye bhi unn ki taqdeer me likh diya,
- Aur shaitano se aasmano ko mehfooz kar diya,
- Phir maa ke paytt me bacha, kaise banta hai, kya ghiza uss ko milti hai, kaise wo phalta phoolta hai, aur jo cheezen uss ke liye zaroori nahi unn ko nikaal bahar kar deta hai,
- Aur maa ke reham me bacha rehta hai, jab tak ke Allah chahe, ye bhi Allah ki taqdeer aur uss ke program ka hissa hai,
- Har cheez ka program Allah ne banaya, kitni detail me hai ye taqdeer.
- Yahan tak ke maut bhi taqdeer me hai.
Iss me science bohot bhari huwi hai, wo hum next Saturday In Sha Allah Surah al-Baqarah ki tafseer me agay sunenge.
Al hamdulillahi Rabbil Alameen
Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam
Rabbana aatina fid duniya…
References
[5] Quran-ST | 53-28, Quran-ST | 58-18
[7] Suhail reported that Abu Salih used to command us (in these words): When any one of you intends to go to sleep, he should lie on the bed on his right side and then say:” O Allah. the Lord of the Heavens and the Lord of the Earth and Lord of the Magnificent Throne, our Lord, and the Lord of evervthina, the Splitter of the grain of corn and the datestone (or fruit kernal), the Revealer of Torah and Injil (Bible) and Criterion (the Holy Qur’an), I seek refuge in Thee from the evil of every- thing Thou art to sieze by the forelock (Thou hast perfect control over it). O Allah, Thou art the First, there is naught before Thee, and Thou art the Last and there is naught after Thee, and Thou art Evident and there is nothing above Thee, and Thou art Innermost and there is nothing beyond Thee. Remove the burden of debt from us and relieve us from want.” Abu Salih used to narrate it from Abu Huraira who narrated it from Allah’s Apostle (ﷺ).
حَدَّثَنِي زُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ، حَدَّثَنَا جَرِيرٌ، عَنْ سُهَيْلٍ، قَالَ كَانَ أَبُو صَالِحٍ يَأْمُرُنَا إِذَا أَرَادَ أَحَدُنَا أَنْ يَنَامَ أَنْ يَضْطَجِعَ عَلَى شِقِّهِ الأَيْمَنِ ثُمَّ يَقُولُ “ اللَّهُمَّ رَبَّ السَّمَوَاتِ وَرَبَّ الأَرْضِ وَرَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ رَبَّنَا وَرَبَّ كُلِّ شَىْءٍ فَالِقَ الْحَبِّ وَالنَّوَى وَمُنْزِلَ التَّوْرَاةِ وَالإِنْجِيلِ وَالْفُرْقَانِ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ كُلِّ شَىْءٍ أَنْتَ آخِذٌ بِنَاصِيَتِهِ اللَّهُمَّ أَنْتَ الأَوَّلُ فَلَيْسَ قَبْلَكَ شَىْءٌ وَأَنْتَ الآخِرُ فَلَيْسَ بَعْدَكَ شَىْءٌ وَأَنْتَ الظَّاهِرُ فَلَيْسَ فَوْقَكَ شَىْءٌ وَأَنْتَ الْبَاطِنُ فَلَيْسَ دُونَكَ شَىْءٌ اقْضِ عَنَّا الدَّيْنَ وَأَغْنِنَا مِنَ الْفَقْرِ ” . وَكَانَ يَرْوِي ذَلِكَ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم .
Reference: Sahih Muslim 2713a, Hisn al-Muslim 107, Mishkat al-Masabih 2408, Jami` at-Tirmidhi 3481, Sunan Ibn Majah 3873
[8] Anas (May Allah be pleased with him) said: The Messenger of Allah (ﷺ) said, “Indecency does not leave anything untainted and decency does not leave anything ungraced and embellished.” [At- Tirmidhi].
وعن أنس رضي الله عنه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم : “ما كان الفحش في شيء إلا شانه، وما كان الحياء في شيء إلا زانه”.((رواه الترمذي وقال حديث حسن)).
Reference: Riyad as-Salihin 1735