Tafseer Surah al-Baqarah Part 45

</p> <p>Tafseer Surah al-Baqarah Part 45</p> <p>


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah,…, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle dars me hum Surah al-Baqarah ki 19wi ayat ki tafseer me Lafz-e-Samaa ke maane science ki roshni me kya hain, tafseel sunn rahe the, aaj ke dars me issi lafz par aur tafseel aa rahi hai.

Tarjuma wa Tafseer

Vs. No. 19 Cont’d…

80. ASSAMAAA (The sky ) 2:19 ( اَلسَّمآءِ ( س م و Cont’d…

Lekin uss se pehle, Pichle dars me jahan hum rokay thay, wahan Surah al-Anbiya ki 30wi ayat me jo zameen aur aasmaan ek jagah thay aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne unhe kis tarah alag alag kar diya, ye humne jana.

  • Aur ye bhi ke, scientist ne iss process ko “Big-bang” ka naam diya hai.
  • Toh iss big-bang se kya pata chala? “Origin of the Universe” ka pata chala, ke ye kainaat kaisay wajood mein aayi,
  • Yani “adam se”, “non-existence se” “wajood me anay tak” ya existence me anay tak kya kya huwa, ye humne jana,
  • Ab iss ilm ke aa jane ke baad hamari zindagi mein kya farq aaya?
  • Agar ye ilm aam musalman ke paas nahi hai, jo ke haqeeqat hai ke nahi hai, toh iss se hume kya farq pada?
  • Imaan mein koi farq aaya? ya amal mein koi farq pada? Ya kisi aur cheez me farq pada?
  • Bukhari mein, Abu Hurairah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki ek hadith ka mafhoom hai ke, ek baddu (ya dehati) Nabi-e-Kareem (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ki khidmat mein aaya aur arz kiya ke, Aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) mujhe koi aisa kaam bataaiye jis par agar mein hamesha amal karu to jannat mein dakhil ho jao, Aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne farmaya ke;
    • Allah ki ibadat kar, Uss ka kisi ko shareek nah thehra,
    • Farz namaz qaim kar,
    • Zakat jo tujh par farz hai, ada kar, aur
    • Ramadan ke poore mahine ke rozay rakh.
    • Dehati ne kaha, Uss zaat ki qasam jis ke qabze mein meri jaan hai, inn amaal se badhkar kuch aur amal nahi karoonga, jab woh wapas jaane laga to Rasoolullah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne farmaya ke, agar kisi ko ek jannati ko dekhna ho, to iss shakhs ko dekh lo.[1]
  • Bukhari mein Abu Qatada (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya ke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne sitaron ko, yani stars ko teen maqasid ke liye banaya hai,
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne unn ko aasman ki zeenat banaya,[2] Surah Mulk me farmaya, (وَلَقَدْ زَيَّنَّا السَّمَاءَ الدُّنْيَا بِمَصَابِيحَ)
    • (وَجَعَلْنَاهَا رُجُومًا لِلشَّيَاطِينِ) shaitano ke liye missile banaya,[3] aur
    • Sitaron ko ek nishani banaya, jin se log apna rasta talash karte hain,[4] yani navigation ka tool banaya aur
    • agar koi inn ki wazahat mukhtalif tareeqay se karta hai toh woh ghalti karta hai, jo kuch usay diya gaya hai usay zaya karta hai, aur apne aap ko aisi cheez mein lagaata hai jis ke baray mein woh nahi jaanta [5]
  • Inn ahadith ki roshni mein aisa lag raha hai ke, ghaur-o-fikr karenge toh, iss big-bang theory ka ya kisi aur science ke uloom se, iman aur amal mein koi farq nahi padega.
  • To,…, agar iss ilm se farq hi nahi padta toh iss ko Quran mein batanay ki kya zaroorat thi?
  • Surah Ankaboot me, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) farma rahe hain ke;

      …أَوَلَمْ يَرَوْا كَيْفَ يُبْدِئُ اللَّهُ الْخَلْقَ

Kya unhone nahi dekha ke, Allah ne kis tarah khilqat ko pehli baar paida karta hai ya uss ki khilqat ki ibteda karta hai aur phir iss creation ke process ko repeat karta hai, ye Allah (ربُّ الْعِزَّت) ke liye asaan hai, phir aagay farmaya ke,

  • …قُلْ سِيرُوا فِي الْأَرْضِ فَانْظُرُوا كَيْفَ بَدَأَ الْخَلْقَ

Aye Nabi (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ), Aap keh dijiye ke zameen mein chalo phiro aur dekho ke Uss ne kis tarah takhleeq ki ibtida ki, phir Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) hi utthata hai ya utthayega doosri baar, beshak Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) har cheez par Qadir hai.[6]

  • Phir, Surah Ghashiyah me, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) farmate hain ke;

    أَفَلَا يَنْظُرُونَ إِلَى الْإِبِلِ كَيْفَ خُلِقَتْ

    وَإِلَى السَّمَاءِ كَيْفَ رُفِعَتْ

    وَإِلَى الْجِبَالِ كَيْفَ نُصِبَتْ

    وَاِلَى الۡاَرۡضِ كَيۡفَ سُطِحَتۡ‏

    فَذَكِّرۡؕ اِنَّمَاۤ اَنۡتَ مُذَكِّرٌ

  • To kya ye log oontton ko nahi dekhte, ke unhein kaise banaya gaya hai?[7]

Aur aasman ko nahi dekhte ke, kaise utthaya gaya hai ya buland kiya gaya hai?[8]

Aur pahadon ko nahi dekhte ke, ke kaise gaade gaye hain?[9]

Aur zameen ko nahi dekhte ke, kaise bichhayee gayee hai?[10]

To Aye Nabi (صلى الله عليه وسلم), Aap yaad dihaani karate rahiye, aap to bass naseehat karne waale hain.[11]

  • Yahan Quran ki, khaas baat ye note karna hai ke, Quran me Allah (ربُّ الْعِزَّت) sawal karte hain aur phir Rasool Allah (صلى الله عليه وسلم) se sawalaat ka jawab bhi dete hain.
  • Baaz ayaat me log jo sawal karte hain, unn ko bhi record kiya gaya hai aur phir uss ka jawab diya gaya hai.
  • To ye kis liye ho raha hai?
  • Aam taur par jab sawal hota hai, to jawab dene ke liye insaan sochne lagta hai,
  • To pata chala, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) apni kayenaat ko, apne creation ko pesh kar rahe hain aur ghaur-o-fikr karnay ki dawat de rahe hain.
  • Iss se, ek aur baat bhi khul kar saamne aa gayee ke, iss deen par imaan lana, andha imaan lana nahi hai, reason it out, ghaur karo aur Allah ke wajood ki nishaniyon ko jaano. Convince ho jaao, phir iman le aao…
  • Yehi wajah hai ke, kayee log Islam me dakhil ho rahe hain, iss reasoning ki wajah se, jin sawalaat ke jawab doosre religions nahi de pa rahe hain, wo jawab iss Quran me aur Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ki ahadith me maujood hai.
  • To,…, iss ghaur-o-fikr se kya hasil hoga?
  • Iss ka jawab aa raha hai,
  • Surah Baqarah ki 164wi ayat mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) farmate hain ke,
    • Beshak, aasmano aur zameen ki takhleeq mein, raat aur din ke ek ke baad ek ke anay jane mein, aur unn kashtiyon mein jo darya’on mein logon ke faiday ki cheezen le kar chalti hain, aur uss pani mein ke jo Allah ne aasman se nazil kya hai, phir uss se zameen ko zinda kiya uss ki maut ke baad, aur har (qisam ke) haiwanat ke phailaane mein, aur hawaon ke chalaane me aur baadalon mein jo aasman aur zameen ke darmiyan muallaq ya suspended rehte hain, aqal walon ke liye yaqeenan nishaniyan hain.[12]
  • Surah Ra’ad ki doosri ayat mein farmaya ke, ye nishaniyan iss liye batayee ja rahi hain, takay tum apne paalne walay malik se milne ka yaqeen kar lo.
    • Toh ye sawal-o-jawab se, aur ghaur-o-fikr karne se kya ho raha?
    • Aakhirat per imaan mein izafa ho raha, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) se milne per yakeen badh raha hai.
  • Surah Jathiayah ki 12wi ayat mein farmaya ke,
    • Allah hi hai jis ne samandar ko tumhari khidmat mein laga diya taakay Uss ke hukum se kashtiyan iss mein chalein aur tum uss ka fazal talaash karo aur taakay tum shukar guzaar bano.
    • Toh Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ki inn ayaat per ghaur-o-fikr karne se kya hota hai? Banda shukar guzaar ban jata hai.
  • Surah Al Imran ki 190wi ayat mein farmaya ke,
    • aasmano aur zameen ki paidaish mein aur raat aur din ke aane jane mein yaqeenan aqal walon ke liye nishaniyan hain.[13]
    • Phir aagay farmaya, jo log khaday huwe, baitthy huwe aur laytte huwe, har haal me, Allah ko yaad karte hain aur aasmano aur zameen ki takhleeq mein ghaur-o-fikar karte hain, aye hamaray paalne walay maalik! Aap ne yeh bekar me, paida nahi kya, Tu paak hai (aap, sab se badh kar hain) toh hamein dozak ki aag ke azab se bacha lijiye.[14]
    • Toh, ghaur-o-firk karnay ka kya natija nikla? kya faida huwa? Allah se Darnay bhi lage aur azab se bachnay ki dua bhi maang li.
  • Phir, Sahih Ibn Hibban ki hadith ka mafhoom hai ke,
    • Amma Aisha (رضي الله عنها) ne ek sawal ke jawab me farmaya ke, ek raat Rasool Allah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne mujh se farmaya: aye Aisha (رضي الله عنها) mujhe aaj ki raat, apne Rab ki ibadat kar lene do,
    • Amma Aisha, (رضي الله عنها) ne kaha : Allah ki qasam mujhe Aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ki sohbat pasand hai aur mujhe woh cheez pasand hai jo aap ko khush kare,
    • Phir Aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) khaday huwe, Taharat ki, phir namaz mein khaday ho gaye aur ronay lagay yahan tak ke Aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ke gaal bheeg gaye,
    • aur Aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) rote rahe yahan tak ke Aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ki darrhi tar ho gayi,
    • aur Aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ke ansoo zameen par girrne lage,
    • Ussi waqt Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Rasool Allah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ke paas Fajar ki namaz ka elaan karne aaye to Aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ko rotay huwe dekha, aur kaha ya Rasool Allah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) aap kyun ro rahe hain?
    • beshak Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne aap ko aglay aur pichle gunah karne se bacha liya hai.
    • Rasool Allah (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne farmaya:
      • kya mein apne Rabb ka shukar guzar banda na banu?
      • iss raat mujh par ek aayat nazil huwi hai,
      • Aur halakat hai,…, uss ke liye jo iss ayat ko parrhta hai aur uss par ghaur-o-fikr nahi karta,
      • phir Aap (صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ne Surah Al-Imran ki 190wi ayat ki tilawat farmayee,
      • “Beshak! aasmano aur zameen ki paidaish mein aur raat aur din ke aane jaane mein,…, yaqeenan aqal walon ke liye nishaniya hain” [15]
  • To kya pata chala? Ghaur-o-fikr karne se,
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ke wajood ki, existence ki nishaniyan milti hai,
    • Banda Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ka shukar guzar ban jata hai,
    • Aakhirat per imaan aur yaqeen mein izafa hota hai,
    • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) se darnay bhi lagta hai aur azab se bachne ki dua bhi mangne lagta hai,
    • Aur agar ghaur-o-fikr nahi karange toh halakat hai, barbadi hai jaisa ke hadith mein hum ne suna.
  • Phir pichlay hafte humne jana ke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) inn kafiron ko challenge kar rahe hai ke dekho aur talash karo ya, iss kayenaat mein dhoondho, tum ko koi shifag ya koi crack ya koi kami nazar aati ho toh batao.
    • Itna precision aur itna perfection hai ke, aage Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) khud hi bata rahe hain ke tumhari nazar khali laut kar, nakaam hokar wapas aajayegi, tum iss mein koi nukhs nahi dhoondh paaoge.
  • Ye toh kafiron ki baat hogayi aur hum jo apne aap ko musalman honay ka dawa karte hain
    • kya iss azeem-us-shaan kayenaat per ghaur-o-fikr karne ki koshish bhi ki hai, ya kum-az-kum ghaur karne ke baare me socha bhi hai?
    • Haan ghaur-o-fikr karna shuru to kiya tha, jis ki wajah se Musalmaan Science ki hi nahi balke har field me aagay thay, phir humne ye ilm doosron tak pahunchaya, doosri qaume iss se faida utthane lagi,
    • Ab Aaj kal hamari ummat apne dimagh ko, aam taur par, araam dete hain, zyada ghaur-o-fikr ke kaamo se thakatay nahi, lekin phir bhi baaz log hain hamari ummat me, jo inn kamo ko anjaam dete hain. Jaisa ke, Germany me COVID-19 ke waqt Turkish origin ke, ek Miya aur Biwi ne announce kiya ke, wo mRNA technology ko istemaal karke jald vaccine bana sakte hain aur unn ki company BioNTech ne Pfizer ke saath collaborate karke ye vaccine tayyar kiya.[16] Issi liye uss ko Pfizer/BioNTech Vaccine kaha jata hai.
    • Surah Anfal ki 60wi ayat mein Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) farmate hain ke;
      • Aur jahan tak ho sakay (fauj ki jama’at ke zor se) aur ghodon ko (Muqable ke) liye tayyar rakho, ya (dushman se) larrgnay ke liye tayyar raho…[17]
      • Iss ayat mein hukum hai ke tayyar raho….
      • Aur aisa lagta hai ye ek collective hukum hai, ek aadmi kitne ghode lekar khada reh sakta hai?
      • Balke, aaj ke daur mein ghodon ko lekar kaun si jung jeeti ja sakti hai?
      • Lafz-e-khail ka aam taur per ‘ghodon’ ya ‘horses’ ka tarjuma kiya gaya hai, yani ghodon ki company ya cavalry ke saath tayyar raho,
      • Lekin “Lafz-e-khail” jis root se bana hai, ussi se “khayal” ya “guman” bhi hai,
      • Aur lafz-e-rabat ke ek maanay, “measure” ke bhi aate hain,
      • yani “unn se larnay ke liye tayyar raho jitni taqat tum ikhatta kar sakte ho aur (tumharay) khayal ke mutabiq (ke tumharay dushmano ke paas ho sakta hai) taakay iss ke zariye Allah ke dushmano aur tumhare dushmano aur unn ke ilawa dosray logon ko khauf zada kar dein…” 
    • Ghaur-o-fikr hi nahi karenge toh kya pata lagega ke dushmano ke paas kya tayyari hai?
    • Hum log toh bus, pani peetay hain aur Al-Hamdulillah tak nahi kehte, thoda soch lete ke ye pani aaya kahan se, aur agar khatam ho gaya toh kya karenge, jaise ki aaj duniya ke kayee sheharon mein peenay ka pani khatam ho raha hai.
    • World Resources Institute ki August 2023 ki report ke mutabiq, duniya ke 25 mulk jis me, jahan insaani abaadi ka ek chohthai, yani one-fourth population rehta hai, pani ki khillat se do chaar hain. Aur duniya ki aadhi aabadi kum-az-kum saal me ek mahina pani ki khillat ya water shortages se do chaar hote hain.[18]
    • Iss ghaur-o-fikr ke kaam me, hume koshish karna chahiye, jaisa ke Quran aur Ahadith se hume pata chalta hai.

Ab,…, ghaur-o-fikr ki baat chal rahi hai to, ek sawal ka jawab science-daan nahi de pa rahe hain ke, Big Bang se pehle kya tha?

  • Sab se pehli baat to ye hai ke, science sirf iss kayenaat ke baare me kuch hadd tak cheezen bayan kar sakti hai, kyun ke, wo iss kayenaat ki fitri cheezon ko, experiments ke zariye jaanch aur parakh kar, unn ka nateeja bayan kar sakti hai.
  • Iss kayenaat ke bahar kya hai, iss ki wazahat karna science ke dayere kaar me nahi hai, science ke scope me nahi hai.
  • To pata chala ke, science ki bhi kuch limitations hain, aur shayed yehi baat Bukhari ki uss hadith me thi, ke sitaaron ke paida kiye jaane ke maqasid kya hain. To jo baat science ke dayere se bahar hai, hum uss ko parrh to sakte hain, uss par ghaur bhi kar sakte hain,
  • Lekin uss ko maanenge nahi, jaise ke baaz science-daano ne iss sawal par comment kiya hai, aur unn ke mutabiq iss kayenaat ke wajood se pehle kuch bhi nahi tha, sab kuch Big Bang ke saath shuru huwa, uss se pehle kuch bhi nahi tha.
    • Aur ye kayenaat adam se wajood me khud ba khud aa gayee.
    • Ye kehna aisa hi hai, jaisa ke, maa ke paytt me jo bachha hai, wo ye samjhe ke, yehi uss ki duniya hai aur iss ke bahar kuch bhi nahi.
  • Issi liye Quran ne, Surah al-Anbiya ki 30wi ayat ko shuru hi iss sawal se kiya ke, “Kya inn kafiron ne nahi dekha, ke zameen aur aasmaan ek jutth thay aur humne inn ko alag alag kar diya…?”
  • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ko pata tha ke, Big Bang ko discover karne walay kafir hi honge, aur iss dariyaft ke baad, wo Allah (جل جلاله) ka hi inkaar kar denge.
  • To Big Bang se pehle kya tha?
  • Iss sawal ka jawab dene ke liye Quran aur Hadith me hume dekhna padega,
  • To kya kehte hain Quran aur Hadith, iss sawal ke baare me?
  • Chand ahadith ka mafhoom aa raha hai;
  • Bukhari ki ek lambi hadith, Yemen se kuch log aaye aur aap (صلى الله عليه وسلم) se sawal kiya ke, khilqat kaise shuru huwi, to aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya,
    • “Sab se pehle, Allah (ربُّ الْعِزَّت) ki zaat thi aur kuch nahi tha,
    • Aur Uss ka Arsh pani par tha,
    • Aur Uss ne har cheez likh daali,
    • Aur aasmaano aur zameen ki takhleeq ki, unhe paida kiya…”[19]
  • Sahih Muslim ki hadith, Abdullah ibn Amr ibn al-’As se riwayat hai ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne aasmaano aur zameen ki takhleeq se pachaas hazaar saal pehle tamam khilqat ki taqdeer likh di thi, aur farmaya ke, uss ka arsh paani par tha.[20]
  • Tirmidhi ki hadith, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) se poochha gaya ke, Tamam khilqat ki paidaish se pehle, Allah (عز وجل) kahan thay? Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Wo bohot hi buland badalon me tha, jis ki wajah se andhera chhaa jaata hai, uss ke neechay koi hawa na thi, aur na uss ke ooper koi hawa, aur Uss ne apna Arsh pani par banaya. Hadith ke rawiyon me Ahmad bin Mani’ kehte hain ke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ke sath kuch bhi nahi tha.[21]
  • Phir Abu Dawood ki hadith, farmaya Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne ke, Sab se pehli cheez jo Allah ne create kiya wo Qalam tha, jisay Uss ne hukum diya: Likho. Qalam ne poochha: Aye mere paalne walay malik kya likhoon? Allah (ربُّ الْعِزَّت) ne hukum diya ke, har cheez ki taqdeer likho jo kuch honay wala hai qiyamat ke aane tak. Agar koi iss se hatt kar (yani taqdeer par iman se hatt kar) marr gaya to wo mujh me se nahi [22]
  • Inn ahadith se hume ye pata chalta hai ke, aasmaano aur zameen ki takhleeq se pehle;
    • Sirf Allah (ربُّ الْعِزَّت) ki zaat thi,
    • Phir Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ne Arsh ko banaya, jo paani par tha, tamam Qurani ayaat aur ahadith ko analyze karne se aisa samajh me ata hai ke, Arsh saari kayenaat ka capital hai, central control hai, jahan se instructions nikalti hain, process hoti hain aur wahin se saari kayenaat manage aur control hoti hai.
    • Agar Arsh ko hum ek hyper computer samjhe, kyun ke Super Computers iss duniya me istemaal ho rahe hain aur wo bohot slow hain,
    • Iss kayenaat ki har cheez ko control karne ke liye Super nahi, Hyper bhi nahi, Arsh Azeem chahiye, aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) iss Arsh-e-Azeem ke Rabb hain, paalne wale malik hain.
    • Yahan hum iss behas me nahi parrhte ke, Allah ne sab se pehle kya banaya, Arsh ya paani ya qalam. Ye ek controversial subject hai aur iss par behas karke hume koi faida nahi hasil hoga.
    • Lekin aisa hume zaroor lag raha hai ke, Arsh chahiye tha saari cheezon ko manage aur control karne ke liye.
    • Aur jab Qalam se kaha gaya ke iss kayenaat ki taqdeer likhne ke liye, uss ne sab kuch likh dala jo kuch honay wala hai Qayamat ke aane tak. Aur humne pichle dars me iss ki jhalak dekh li ke kitne precision ki zaroorat thi aur Arsh ke zariye ye tamam cheezon ko control kiya gaya, to iss kayenaat ki taqdeer aur minute se minute detail tak likh di gayee, 10-43 of a second tak ki detail.
    • To jab ye tafseel likhi ja rahi thi, uss ko process kaun karega, meri nazar me, wo Arsh hi hai jo iss ko process kar sakta hai. Itna information kahin na kahin store to hona chahiye na, to Lauhim Mehfooz wo aisa database hai, jahan ye tamam information Mehfooz hai, securely stored hai.
    • Aasmano aur zameen ki takhleeq se 50 hazar saal pehle ye tafseel likh di gayee.
  • Aur iss kayenaat ko, aasmano aur zameen ko, kis ne paida kiya?
  • Iss ka jawab Quran-e-Majeed me, teen alag alag jagah par diya gaya;
  • Surah al-Baqarah me farmaya, Badee us-Samawati wa al-Ardh,[23] Urdu me Badee ka tarjuma “paida karne wala” kiya gaya hai jo durust ya accurate nahi hai,
  • Badee ke maane hain Originator, koi cheez wajood me nahi thi, uss ko pehli baar paida karne wala. Adam se wajood me laane wala, to create something from nothing. The Originator.
  • Yahan science fail ho jaati hai, kyun ke, wo ek jagah ye kehti hai ke Big Bang se pehle kuch nahi tha, aur doosri jagah ye kehti hai ke ye kayenaat khud ba khud wajood me aa gayee, by chance, to agar kuch bhi nahi tha aur ye sab kuch khud ba khud ho gaya, to sawal ye paida hota hai ke, did nothing create something, from nothing? Yahan atheists jawab nahi de sakte.
  • Asal jawab iss ka ye hai ke, jab kuch bhi nahi tha, to Allah ki zaat maujood thi aur uss Badee us-Samawati wa al-Ardh ne, pehli baar iss kayenaat ko adam se wajood me le aya.
  • Phir Surah al-An’am me farmaya, Fatir as-Samawati wa al-Ardh,[24] yahan bhi Urdu me Fatir ka tarjuma “paida karne wala” kiya gaya hai, ye bhi accurate nahi hai,
  • Fatir ke maane hain Initiator, iss root se Lafz-e-Iftaar bhi hai, iftar me hum kya karte?
  • Rozay khatam karne ke liye, Khana shuru karte, aur
  • To, rozay ko iftar ke zariye phaad diya jata hai, warna wo doosre din ke rozay me mil jayega,
  • To matlab kya huwa, Phaad kar paida karna shuru karna.
  • Ek aur matlab, Fatir ka ye bhi hai ke, fitrat ata karna – sirf paida kar diya nahi, apni khilqat ko fitrat bhi ata ki, sooraj ka kaam roshni aur garmi dena hai, badal ka kaam barish dena hai, paani hamari pyas bujhata hai aur thanda karta hai, har cheez ko dekhiye uss ki fitrat hai. Ye fitrat kis ne di, Allah (ربُّ الْعِزَّت) ne ata ki.
  • To inn aasmano aur zameen ko phaad kar unn ki shuruat ki, aur unhe fitrat ata ki,
  • Phir Surah al-An’am ki pehli ayat me farmaya, Khalaqa as-Samawati wa al-Ardh,[25] yahan bhi Urdu me Khaliq ka tarjuma “paida karne wala” kiya gaya hai, to aisa to nahi ho sakta ke, kisi zaban me teen alag alag alfaaz aaye, aur unn ka tarjuma ek hi ho, ye to sahih nahi hai.
  • Khaliq ke maane hain proportion karna, jo cheezen maujood hain unn ko istemaal karke doosri koi aur cheez banana. Quran me aata hai ke, Wa Laqad Khalaqa al-Insaana min Sulalatin min Teen, Aur humne Insaan ko mitti ke khulaase se paida kiya,[26] wa khalaqa al-jaanna min maariji min naar, aur Jinnaat ko banaya, aag ke sholay se, ya aag ki lapatt se.[27] To pehle mitti banayee aur phir uss se insaan banaya, to Khalaqa me ye material hona zaroori hai.
  • To Allah Tala, Badee ki haisiyat se , aasmaano aur zameen ko adam se wajood me le kar aaye, jo nahi tha wo banaya, jaisa humne pichle dars me kaha ke kuch bhi nahi tha, phir ek point universe bann gayee, jiss ki density aur temperature bohot zyada tha.
  • Phir Fatir ki haisiyat se, iss point universe me expansion shuru karwaya, wo phailne lagi, yahan tak ke Protons, Neutrons, Electrons banay. Inn ko fitrat ata ki, proton ko positive charge diya, neutrons ko neutral rakha aur electrons ko negative charge diya.
  • Phir Khaliq ki haisiyat se, Inn proton, neutron, electrons se alag alag elements banaye, iss se aasmaano aur zameen ko banaya.
  • Ye hai Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) ke kaarnaame, aur Ussi ki hai aasmaano aur zameen ki badshahat aur Wohi hai jo inn sab ko control kiye huwe hai.[28]
  • Aur inn me jo kuch hai, wo Allah (ربُّ الْعِزَّت) hi ka hai,[29]
  • Aasmaano aur zameen me jo kuch hai, wo jaanta hai,[30] yahan tak ke inn me jo ghaib ki cheezen hain, jo hume nahi dikhayee deti, wo bhi Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ) jaante hain,[31] aur ye sab kuch ek khuli huwi kitaab me darj hai, likha huwa hai, recorded hai.[32]

Ab iss ke aagay aur bhi bohot tafseel hai jo hum next Saturday In Sha Allah bayan karenge, to Yahan Dars rok denge.

Al hamdulillahi Rabbil Alameen

Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala abdika wa rasoolika wa sayyidana Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam

Rabbana aatina fid duniya…

References

[1] Narrated Abu Huraira: A Bedouin came to the Prophet (ﷺ) and said, “Tell me of such a deed as will make me enter Paradise, if I do it.” The Prophet (p.b.u.h) said, “Worship Allah, and worship none along with Him, offer the (five) prescribed compulsory prayers perfectly, pay the compulsory Zakat, and fast the month of Ramadan.” The Bedouin said, “By Him, in Whose Hands my life is, I will not do more than this.” When he (the Bedouin) left, the Prophet (ﷺ) said, “Whoever likes to see a man of Paradise, then he may look at this man.” Narrated Abu Zur’a: From the Prophet (ﷺ) the same as above.

 حَدَّثَنِي مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ الرَّحِيمِ، حَدَّثَنَا عَفَّانُ بْنُ مُسْلِمٍ، حَدَّثَنَا وُهَيْبٌ، عَنْ يَحْيَى بْنِ سَعِيدِ بْنِ حَيَّانَ، عَنْ أَبِي زُرْعَةَ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ أَنَّ أَعْرَابِيًّا، أَتَى النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم فَقَالَ دُلَّنِي عَلَى عَمَلٍ إِذَا عَمِلْتُهُ دَخَلْتُ الْجَنَّةَ‏.‏ قَالَ ‏”‏ تَعْبُدُ اللَّهَ لاَ تُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا، وَتُقِيمُ الصَّلاَةَ الْمَكْتُوبَةَ، وَتُؤَدِّي الزَّكَاةَ الْمَفْرُوضَةَ، وَتَصُومُ رَمَضَانَ ‏”‏‏.‏ قَالَ وَالَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ لاَ أَزِيدُ عَلَى هَذَا‏.‏ فَلَمَّا وَلَّى قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ مَنْ سَرَّهُ أَنْ يَنْظُرَ إِلَى رَجُلٍ مِنْ أَهْلِ الْجَنَّةِ فَلْيَنْظُرْ إِلَى هَذَا ‏”‏‏.‏ حَدَّثَنَا مُسَدَّدٌ، عَنْ يَحْيَى، عَنْ أَبِي حَيَّانَ، قَالَ أَخْبَرَنِي أَبُو زُرْعَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم بِهَذَا‏.‏

Reference: Sahih al-Bukhari 1397

[2] Quran-ST | 67-5

وَلَقَدْ زَيَّنَّا السَّمَاءَ الدُّنْيَا بِمَصَابِيحَ

[3] Quran-ST | 67-5

وَجَعَلْنَاهَا رُجُومًا لِلشَّيَاطِينِ

[4] Quran-ST | 16-16

وَعَلَامَاتٍ ۚ وَبِالنَّجْمِ هُمْ يَهْتَدُونَ

[5] Qatada said God most high created these stars for three purposes; He made them an adornment for the sky, missiles for the devils, and signs by which people find their way. If anyone explains them differently he makes a mistake, squanders what is allotted to him, and occupies himself with something he does not know.

Bukhari transmitted it without a full isnad. Razin’s version has, “occupies himself with what does not concern him, what he has no knowledge of, and what prophets and angels are incapable of knowing.” On the authority of ar-Rabi’* there is something to the same effect with the addition, “I swear by God that God has not set in a star anyone’s life, provision, or death. They are only speaking lies against God and attributing causes to the stars.”

* Ar-Rabi’ b. Ziyad, Qatada’s authority.

وَعَن قتادةَ قَالَ: خلقَ اللَّهُ تَعَالَى هَذِه النجومَ لثلاثٍ جَعَلَهَا زِينَةً لِلسَّمَاءِ وَرُجُومًا لِلشَّيَاطِينِ وَعَلَامَاتٍ يُهْتَدَى بهَا فَمن تأوَّلَ فِيهَا بِغَيْرِ ذَلِكَ أَخَطَأَ وَأَضَاعَ نَصِيبَهُ وَتَكَلَّفَ مَالا يَعْلَمُ. رَوَاهُ الْبُخَارِيُّ تَعْلِيقًا وَفِي رِوَايَةِ رَزِينٍ: «تكلّف مَالا يعنيه ومالا عِلْمَ لَهُ بِهِ وَمَا عَجَزَ عَنْ عِلْمِهِ الْأَنْبِيَاء وَالْمَلَائِكَة»

وَعَن الربيعِ مِثْلُهُ وَزَادَ: وَاللَّهِ مَا جَعَلَ اللَّهُ فِي نَجْمٍ حَيَاةَ أَحَدٍ وَلَا رِزْقَهُ وَلَا مَوْتَهُ وَإِنَّمَا يَفْتَرُونَ عَلَى اللَّهِ الْكَذِبَ وَيَتَعَلَّلُونَ بِالنُّجُومِ

Grade: لم تتمّ دراسته, لم تتمّ دراسته (الألباني) | Reference: Mishkat al-Masabih 4602, 4603

قال البخاري في صحيحه، قال قتادة: (خلق الله هذه النجوم لثلاث: زينة للسماء، ورجوماً للشياطين، وعلامات يهتدى بها، فمن تأول غير ذلك أخطأ وأضاع نصيبه، وتكلف ما لا علم له به). البخاري في الصحيح (6/295)

—————-

(خلق الله هذه النجوم…) هذا مأخوذ من القرآن: الأولى: زينة للسماء. قال تعالى: ﴿ ولقد زينا السماء الدنيا بمصابيح وجعلناها رجوماً للشياطين ﴾. وفي هذه الآية إشارة إلى أن النجوم في السماء الدنيا. الثانية: رجوماً للشياطين، أي لشياطين الجن الذين يسترقون السمع. قال تعالى: ﴿ وأنا كنا نقعد منها مقاعد للسمع فمن يستمع الآن يجد له شهاباً رصداً ﴾. الثالثة: علامات يهتدى بها، قال تعالى: ﴿ وألقى في الأرض رواسي أن تميد بكم وأنهاراً وسبلاً لعلكم تهتدون. وعلامات وبالنجم هم يهتدون ﴾. فقوله (علامات) أي دلالات على الجهات والبلدان ونحو ذلك، كما قال تعالى: ﴿ وهو الذي جعل لكم النجوم لتهتدوا بها في ظلمات البر والبحر ﴾.

[6] Quran-ST | 29-19 to Quran-ST | 29-20

[7] Quran-ST | 88-17

[8] Quran-ST | 88-18

[9] Quran-ST | 88-19

[10] Quran-ST | 88-20

[11] Quran-ST | 88-21

[12] Quran-ST | 2-164

[13] Quran-ST | 3-190

[14] Quran-ST | 3-191

[15] عن إبراهيم بن سويد النخعي حدثنا عبد الملك بن أبي سليمان عن عطاء، قال: دخَلْتُ أنا وعُبيدُ بنُ عُميرٍ على عائشةَ فقالت لِعُبيدِ بنِ عُميرٍ: قد آن لك أنْ تزورَنا فقال: أقولُ يا أمَّهْ كما قال الأوَّلُ: زُرْ غِبًّا تزدَدْ حُبًّا قال: فقالت: دعُونا مِن رَطانتِكم هذه قال ابنُ عُميرٍ: أخبِرينا بأعجَبِ شيءٍ رأَيْتِه مِن رسولِ اللهِ صلَّى اللهُ عليه وسلَّم قال: فسكَتَتْ ثمَّ قالت: لَمَّا كان ليلةٌ مِن اللَّيالي قال: ( يا عائشةُ ذَرِيني أتعبَّدِ اللَّيلةَ لربِّي ) قُلْتُ: واللهِ إنِّي لَأُحِبُّ قُرْبَك وأُحِبُّ ما سرَّك قالت: فقام فتطهَّر ثمَّ قام يُصَلِّي قالت: فلم يزَلْ يبكي حتَّى بَلَّ حجرَه قالت: ثمَّ بكى فلم يزَلْ يبكي حتَّى بَلَّ لِحيتَه قالت: ثمَّ بكى فلم يزَلْ يبكي حتَّى بَلَّ الأرضَ فجاء بلالٌ يُؤذِنُه بالصَّلاةِ فلمَّا رآه يبكي قال: يا رسولَ اللهِ لِمَ تَبكي وقد غفَر اللهُ لك ما تقدَّم وما تأخَّر ؟ قال: ( أفلا أكونُ عبدًا شكورًا لقد نزَلَتْ علَيَّ اللَّيلةَ آيةٌ، ويلٌ لِمَن قرَأها ولم يتفكَّرْ فيها {إِنَّ فِي خَلْقِ السَّمَوَاتِ وَالْأَرْضِ) [آل عمران: 190] ) الآيةَ كلَّها.

“…Ibn Umayr said (to Aishah): Tell us about the most interesting (or “amazing”) thing you have seen from the Messenger of Allah ﷺ. He said, she remained silent and then said: “On one night, the Messenger (ﷺ) said to me: “O Aishah, excuse me to worship my Lord on this night. I (Aishah) said: “By Allah, I love your companionship and I love what makes you happy. She said, he (the messenger ﷺ) stood and purified himself, then stood in prayer. She said, he began crying until his cheeks became wet, and (she said) he cried after that until his beard was wet, and (she said) he continued crying until the tears started to fall to the ground. At that moment, Bilāl (RA) came to the Messenger of Allah ﷺ to announce the Fajr prayer and he saw him crying. He said, “O Messenger of Allah, why are you crying? Indeed, Allah has forgiven your previous and future sins.” The Messenger replied, “Shall I not be a grateful servant? A verse has been revealed to me on this night, woe to the one who reads it and does not reflect upon it. He then read: “Verily! In the creation of the heavens and the earth, and in the alternation of night and day, there are indeed signs for men of understanding” (3: 190).”

Reference: Sahih Ibn Hibban 620

Virtues of the Qur’an’s Chapters and Verses 26

Chapter: A Special Āyah to Reflect Upon, Book: Virtues of the Qur’an’s Chapters and Verses

https://sunnah.com/virtues:26

[16] Source: The Husband-and-Wife Team Behind the Leading Vaccine to Solve Covid-19 – The New York Times

[17] Quran-ST | 8-60

[18] Source: 25 Countries, Housing One-quarter of the Population, Face Extremely High Water Stress

[19] Narrated Imran bin Husain: I went to the Prophet (ﷺ) and tied my she-camel at the gate. The people of Bani Tamim came to the Prophet (ﷺ) who said “O Bani Tamim! Accept the good tidings.” They said twice, ‘You have given us the good tidings, now give us something” Then some Yemenites came to him and he said, “Accept the good tidings, O people of Yemem, for Bani Tamim refused them.” They said, “We accept it, O Allah’s Messenger (ﷺ)! We have come to ask you about this matter (i.e. the start of creations).” He said, “First of all, there was nothing but Allah, and (then He created His Throne). His throne was over the water, and He wrote everything in the Book (in the Heaven) and created the Heavens and the Earth.” Then a man shouted, “O Ibn Husain! Your she-camel has gone away!” So, I went away and could not see the she-camel because of the mirage. By Allah, I wished I had left that she-camel (but not that gathering).

حَدَّثَنَا عُمَرُ بْنُ حَفْصِ بْنِ غِيَاثٍ، حَدَّثَنَا أَبِي، حَدَّثَنَا الأَعْمَشُ، حَدَّثَنَا جَامِعُ بْنُ شَدَّادٍ، عَنْ صَفْوَانَ بْنِ مُحْرِزٍ، أَنَّهُ حَدَّثَهُ عَنْ عِمْرَانَ بْنِ حُصَيْنٍ ـ رضى الله عنهما ـ قَالَ دَخَلْتُ عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَعَقَلْتُ نَاقَتِي بِالْبَابِ، فَأَتَاهُ نَاسٌ مِنْ بَنِي تَمِيمٍ فَقَالَ ‏”‏ اقْبَلُوا الْبُشْرَى يَا بَنِي تَمِيمٍ ‏”‏‏.‏ قَالُوا قَدْ بَشَّرْتَنَا فَأَعْطِنَا‏.‏ مَرَّتَيْنِ، ثُمَّ دَخَلَ عَلَيْهِ نَاسٌ مِنْ أَهْلِ الْيَمَنِ فَقَالَ ‏”‏ اقْبَلُوا الْبُشْرَى يَا أَهْلَ الْيَمَنِ، إِذْ لَمْ يَقْبَلْهَا بَنُو تَمِيمٍ ‏”‏‏.‏ قَالُوا قَدْ قَبِلْنَا يَا رَسُولَ اللَّهِ، قَالُوا جِئْنَاكَ نَسْأَلُكَ عَنْ هَذَا الأَمْرِ قَالَ ‏”‏ كَانَ اللَّهُ وَلَمْ يَكُنْ شَىْءٌ غَيْرُهُ، وَكَانَ عَرْشُهُ عَلَى الْمَاءِ، وَكَتَبَ فِي الذِّكْرِ كُلَّ شَىْءٍ، وَخَلَقَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ ‏”‏‏.‏ فَنَادَى مُنَادٍ ذَهَبَتْ نَاقَتُكَ يَا ابْنَ الْحُصَيْنِ‏.‏ فَانْطَلَقْتُ فَإِذَا هِيَ يَقْطَعُ دُونَهَا السَّرَابُ، فَوَاللَّهِ لَوَدِدْتُ أَنِّي كُنْتُ تَرَكْتُهَا‏.

Reference: Sahih al-Bukhari 3191

[20] Abdullah bin ‘Amr bin al-‘As reported: I heard Allah’s Messenger (ﷺ) as saying: Allah ordained the measures (of quality) of the creation fifty thousand years before He created the heavens and the earth, as His Throne was upon water.

حَدَّثَنِي أَبُو الطَّاهِرِ، أَحْمَدُ بْنُ عَمْرِو بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرِو بْنِ سَرْحٍ حَدَّثَنَا ابْنُ، وَهْبٍ أَخْبَرَنِي أَبُو هَانِئٍ الْخَوْلاَنِيُّ، عَنْ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْحُبُلِيِّ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرِو، بْنِ الْعَاصِ قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏”‏كَتَبَ اللَّهُ مَقَادِيرَ الْخَلاَئِقِ قَبْلَ أَنْ يَخْلُقَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ بِخَمْسِينَ أَلْفَ سَنَةٍ – قَالَ – وَعَرْشُهُ عَلَى الْمَاءِ“‏.

Reference: Sahih Muslim 2653b

[21] Narrated Waki’ bin Hudus: from his uncle Abu Razin who said: “I said: ‘O Messenger of Allah! Where was our Lord before He created His creation?’ He said: ‘He was (above) the clouds – no air was under him, no air was above him, and He created His Throne upon the water.'” Ahmad [bin Mani’] said: “Yazid bin Harun said (regarding) the air – ‘It means there was nothing with him.”

حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ، حَدَّثَنَا يَزِيدُ بْنُ هَارُونَ، أَخْبَرَنَا حَمَّادُ بْنُ سَلَمَةَ، عَنْ يَعْلَى بْنِ عَطَاءٍ، عَنْ وَكِيعِ بْنِ حُدُسٍ، عَنْ عَمِّهِ أَبِي رَزِينٍ، قَالَ قُلْتُ يَا رَسُولَ اللَّهِ أَيْنَ كَانَ رَبُّنَا قَبْلَ أَنْ يَخْلُقَ خَلْقَهُ قَالَ ‏ “‏ كَانَ فِي عَمَاءٍ مَا تَحْتَهُ هَوَاءٌ وَمَا فَوْقَهُ هَوَاءٌ وَخَلَقَ عَرْشَهُ عَلَى الْمَاءِ ‏”‏ ‏.‏ قَالَ أَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ قَالَ يَزِيدُ بْنُ هَارُونَ الْعَمَاءُ أَىْ لَيْسَ مَعَهُ شَيْءٌ ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَكَذَا رَوَى حَمَّادُ بْنُ سَلَمَةَ وَكِيعُ بْنُ حُدُسٍ وَيَقُولُ شُعْبَةُ وَأَبُو عَوَانَةَ وَهُشَيْمٌ وَكِيعُ بْنُ عُدُسٍ وَهُوَ أَصَحُّ وَأَبُو رَزِينٍ اسْمُهُ لَقِيطُ بْنُ عَامِرٍ قَالَ وَهَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ ‏.‏

Grade: Hasan (Darussalam) | Reference: Jami` at-Tirmidhi 3109

[22] Ubadah b. al Samit said to his son: Son! You will not get the taste of the reality of faith until you know that what has come to you could not miss you, and that what has missed you could not come to you. I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: The first thing Allah created was the pen. He said to it: Write. It asked: What should I write, my Lord? He said: Write what was decreed about everything till the Last Hour comes. Son! I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say : He who dies on something other than this does not belong to me.

حَدَّثَنَا جَعْفَرُ بْنُ مُسَافِرٍ الْهُذَلِيُّ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ حَسَّانَ، حَدَّثَنَا الْوَلِيدُ بْنُ رَبَاحٍ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ بْنِ أَبِي عَبْلَةَ، عَنْ أَبِي حَفْصَةَ، قَالَ قَالَ عُبَادَةُ بْنُ الصَّامِتِ لاِبْنِهِ يَا بُنَىَّ إِنَّكَ لَنْ تَجِدَ طَعْمَ حَقِيقَةِ الإِيمَانِ حَتَّى تَعْلَمَ أَنَّ مَا أَصَابَكَ لَمْ يَكُنْ لِيُخْطِئَكَ وَمَا أَخْطَأَكَ لَمْ يَكُنْ لِيُصِيبَكَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏”‏ إِنَّ أَوَّلَ مَا خَلَقَ اللَّهُ الْقَلَمَ فَقَالَ لَهُ اكْتُبْ ‏.‏ قَالَ رَبِّ وَمَاذَا أَكْتُبُ قَالَ اكْتُبْ مَقَادِيرَ كُلِّ شَىْءٍ حَتَّى تَقُومَ السَّاعَةُ”‏.‏ يَا بُنَىَّ إِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏”‏مَنْ مَاتَ عَلَى غَيْرِ هَذَا فَلَيْسَ مِنِّي”.

Grade: Sahih (Al-Albani) | Reference: Sunan Abi Dawud 4700

[23] Quran-ST | 2-117

[24] Quran-ST | 6-14

[25] Quran-ST | 6-1

[26] Quran-ST | 23-12

[27] Quran-ST | 55-15

[28] Quran-ST | 2-107

[29] Quran-ST | 2-116, Quran-ST | 2-284

[30] Quran-ST | 3-29

[31] Quran-ST | 2-33

[32] Quran-ST | 27-75

Comments are closed.