Tafseer Surah al-Baqarah Part 4

Tafseer Surah al-Baqarah Part 3


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah Alhamdulillah was salaatu was salaamu ala rasoolillah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani wa yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle hafte humne, Surah al-Baqarah ki tafseer ka teesra hissa suna, jiss me Surah ki doosri ayat me Muttaqiyon ke do qualities, do sifaat ke baare me jana;

  • Allazeena yuminoona bil-ghaibi, Pehli quality ye hai ke, ye wo log hain jo ghaib par iman laate hain,
  • Abu Dawood mein rivayat hai ke Az Zuhri, quran ki ayat,

…“قُلْ لَمْ تُؤْمِنُوا وَلَكِنْ قُولُوا أَسْلَمْنَا”…

  • “Aap ((صلى الله عليه وسلم)) keh dijiye, ke tum ne imaan nahi laya, balke ye kaho ke tumne Islam qabool kiya hai”,[1] ki tafseer karte huwe farmate hain ke,
  • islam ek irada hai aur imaan amal hai [2], yani ke ‘imaan’ action mein aata hai.
  • To ye jaan lijiye ke “imaan” dil-o-dimagh ki kaifiyat nahi hai, iss mein action hai.
  • Sahih Bukhari aur Muslim mein Abu Hurairah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) se rivayat hai ke Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, imaan ki 60 ya 70 shakaein hain ya branches hain,
    • jis mein sab se ooper, “La Ilaha Illallah” ka zaban se iqrar karna hai, aur
    • unn mein sab se kamtar, raste se koi nuksan de cheez hatta dena, aur
    • haya ya sharm bhi imaan ka hissa hai.[3]
  • Sahih Muslim mein Abu Saeed al-Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) se rivayat hai ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, jo koi ghalat kaam hota huwa dekhe ussay chahiye ke,
    • Wo usay haath se rok le, agar wo aisa nahi kar sakta toh,
    • Wo usay zaban se rok le, aur koi aisa bhi nahi kar sakta toh,
    • Wo usay dil mein bura samjhe, aur ye imaan ka sab se nichla darja hai.[4]
  • Agar ham raaste mein pada pathar dekhe aur usay hata de aur burai hote dekhe aur usse dil mein bura samjhe toh humaray andar imaan ka sab se kamtar hissa hai, iska matlab ye hai ke humay Quran se mazeed rehnumai mil sakti hai, iman to badhta aur ghat’ta rehta hai. Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki hidayat wasee hai, aage phir Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) se hidayat mil jayegi aur iman ka darja badh jayega.
  • Lekin yahan per ye lowest walay imaan ki baat nahi ho rahi, baat ho rahi hai, iman-bil-ghaib ki, yani ke jo aam taur per zehniyat bani huwi hai ke,
    • “jo dikhta hai wohi sach hai”, “seeing is believing” walay concept ki nafi kardi ja rahi hai, seeing is believing ko negate kiya ja raha hai,
    • agar insan iman-bil-ghaib ki list mein se ek hi item “youm-e-qayamat” ka tasawwur khatam kar dega, toh ye duniya ki zindagi, bahut takleef de ho jayegi,
    • insaf mil nahi sakta, ache aur buray amaal ke badle ki koi toh jagah honi chahiye.
    • Ab agar kisi ko cancer hai, toh uss mein uss ki kya galti hai, uss ne koi aisa kaam kiya hi nahi ke jo cancer ka mareez ban gaya, toh uska ajar kaun dega?
    • kisi ka accident ho gaya, ab zindagi kitni mushkil hogayi, iss ka ajar kaun dega?
  • Koi Malik hai toh, youm-e-qiyamat hai, Malik ke ba-ghair jaza aur saza ka din kaisa?
  • chahe jitne qanoon bana lo, agar log Allah ka taqwa nahi ikhtiyar karenge, Allah ka dar dil me nahi hoga, toh crime kabhi khatam nahi hoga,
    • ek aurat aur ek mard,…, agar razi hain, toh kaun sa qanoon hai jo unhe badkari se rok sakta hai, dil mein Mailki-youmi-deen ka dar hona chahiye.
    • Koi bhi hukumat ho, wo kisi ke ghar me ja kar to qanoon ko nafiz nahi kar sakti, log khud se, Allah se dar kar gunaho se nahi bachenge, Quran ka to kya duniya ka koi qanoon kamiyab nahi ho sakta.
    • Issi liye baar baar aya hai Quran me, wattaqullah.
    • Aye logo,…, (poori insaniyat se kaha ja raha hai), apne Rabb ki ibadat karo, jiss ne tumhe aur tum se pehle logon ko paida kiya, takay tum taqwa hasil karo,[5] ek hi agenda hai,…, tum taqwe waale bano, kyun?
    • Kyun ke, ye Quran muttaqiyon ke liye hidayat hai,
    • Aye momino, Roze tum par farz kiye jaate hain, jaisa ke tum se pehle logon par farz kiye gaye thay, takay tum taqwa hasil karo, taqwe wale bano,[6]
    • Phir poori insaniyat ke liye message diya ja raha hai, jo haal hi me FIFA ki wajah se bohot mash’hoor ho gaya, opening ceremony me ye ayat parrhi gayee,
    • Aye logo, humne tum ko ek mard aur ek aurat se paida kiya aur tumhari qaumein aur qabail banaye, takay tum ek doosre ko pehchhaano, beshak tum me sab se zyada ba-izzat Allah ke nazdeek wo hai jo sab se zyada muttaqi hai, jo sab se zyada Allah se darne wala hai….[7],[8]
  • isi tariqe say saaray ghaib ya unseen chezon ko jodte chale jaiye aur iman late chale jaiye
  • aur agar ghaib ya unseen cheezon per imaan nahi laate toh iss kitab se mazeed rehnumai nahi mil sakti, aur Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki hidayat ke mustahiq nahi honge,[9]
  • Phir,
  • Jami At Tirmidhi mein, Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) se rivayat hai ke Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) farmate hain ke, iman aur kufr ke beech mein salat ka chhor dena hai.[10]
  • isiliye, Wa yuqeemunas salat, Ye doosri quality hai Muttaqeen ki, wo log jo Namaz ko ya Salat ko qayem karte hain,
    • hadith mein jo lafz aaya hai wo hai ‘tark’ kar dena, ‘tark’ ka matlab chhorrh dena, completely neglect kar dena,
  • lekin kuch hamare jaise log bhi hain, jo juma se juma ki namaz padhte hain, kuch ramzan se ramzan ki namaz padhte hain, aur kuch eid se eid ki namaz hi padte hain, kuch log maghrib ki hi namaz padhte hain, kuch log apni sahulat ke hisab se padte hain, toh hamaray jaise logon ke liye kya hukum hai?
    • Ibn Majah mein Ubadah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) rivayat karte hain ke Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, panch namazein wo hai jise Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne apne bando per farz ki hai…,[11]
    • Poore ka poora procedure jo rasoolillah (صلى الله عليه وسلم) ne banaya, uss ko follow karna padega.
  • Ab aagay badhte hain…

Tarjuma wa Tafseer

Muttaqiyon ki teesri quality kya hai;

Vs. No. 3

… وَمِمَّا رَزَقۡنٰهُمۡ يُنۡفِقُوۡنَۙ‏…

…, aur jo kuch humne unn ko diya (ya ata kiya) uss me se kharch karte hain.

Iss hisse me do alfaaz samajhne ke hain,…, wo hain; Razaqnahum, aur Yunfiqoon.

Panchwa lafz jo iss ayat me samajhne ka hai, wo Razaqnahum hai.

RAZAQNAAHUM (We Provide them) رَزَقْناهُمْ 2:3

Lafz-e-Razaqnahum ka maddah ya root (ر ز ق) hai, iss ke maane Humne jo unn ko diya. Razaqnahum, Lafz-e-Rizq ka construction hai, Rizq wo cheez hai jo zindagi ko barqarar rakta hai, Rizq sustains life,[12] Jaise;

  • Hawa aur Pani,[13]
  • Khana,[14]
  • Waghairah, jo zameen aur aasmaan ke shamil hone aur unn ki madad se paida hote hain,[15]
  • Paani aasmaan se barasta hai, lekin uss se pehle,
  • Suraj ki garmi chahiye, paani ko zameen se bhaamp bana kar aasmaan me bhejne ke liye,
  • Suraj me nuclear reactions ho rahe hain, jiss ki wajah se Suraj Roshni aur Garmi de raha hai,
  • Suraj ko qayem rakhne ke liye, solar system aur planets chahiye balance karne ke liye,
  • Solar system ko balance karne ke liye, Milkyway galaxy chahiye,
  • Galaxy ko balance karne ke liye, Local Group of Galaxies chahiye,
  • Local group ko balance karne ke liye, Supra group of galaxies chahiye,
  • Aur aakhir me expanding universe chahiye.
  • Baat kaha se shuru huwi thi, Insaan ke rizq se.
  • Ye poora karobar Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) chala rahe hain, sirf hume rizq pahunchane ke liye.
  • Aesi koi majboori nahi hai Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke paas, ke sirf rizq pohchanay ke liye itni badi kainaat banaye aur chalaye,
  • Sirf ye duniya banakar bhi rizk de sakte thay, phir kya wajah hai ke Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne itni badi kainaat banayi?
    • Surah Hud ki 7wi ayat me Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) Farmate hain ke,

وَهُوَ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٍ وَكَانَ عَرْشُهُ عَلَى الْمَاءِ لِيَبْلُوَكُمْ أَيُّكُمْ أَحْسَنُ عَمَلًا…

  • Aur wohi to hai jiss ne aasmaano aur zameen ko 6 din me banaya, jab ke uss ka arsh paani par tha, taakay tum ko aazma kar dekhe ke tum me se kaun behtar amal karne wala hai,…[16]
  • Aaj hum kitni research ya tehqeeq kar rahe hain, iss baat ko jaannay ke liye ke, hum insaano se hatt kar kya koi aur makhlooq iss kayenaat me hai?
  • Ye kya zaroori hai ke Allah ki banayee huwi doosri makhlooq hum ko dikhe ya hamare equipment ya detector me pakde jaye?
  • Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne jo makhlooq banayee hai, unn ke baare me hume bata diya apni kitab me, aur kaha ke ghaib ki cheezon par iman lao,
  • Iman laane ke bajaye, hum dhoondne me lage huwe hain,
  • Allah ne insaan ko apni top class makhlooq banaya, aur uss ko aisa banaya ke, wo poori kayenaat ka jaiza le chuka hai, James Webb Telescope ke zariye, iss kayenaat ke shuru ke hisson ko tak aaj hum dekh sakte hain, apni aankhon se nahi balke infrared detectors ke zariye,
  • ye sab kuch rizq ka hissa hai, jo ilm Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne hume ata kiya, wo bhi rizq ka hissa hai.
  • Hum information ke liye bhooke hain, agar information exchange nahi karenge, to bhi hum zinda nahi reh sakte.
  • Do minute ke liye WhatsApp kaam karna band ho gaya to, duniya bhar me hungama ho gaya,
  • Ab ek website banaye, “Down Detector” ke naam se, ye batati hai ke pichle 24 ghanton me WhatsApp kaise chal raha hai? Iss website par aur bhi doosre zaroori apps waghaira ke baare me maloomaat hasil kar sakte hain.[17]
  • To pata chala ke iss kayenaat ke banane ka maqsad insano ki aazmaish hai, rizq ko kayee cheezon se jod diya gaya.
  • Phir;

Rizq kabhi daulat ke maano me istemaal huwa hai, kyun ke, daulat se hi zindagi ko qayem rakhne ke saman khareed sakte hain. Aur hume Quran me, hukum huwa hai ke daulat ko ghareebon par kharch karo, Allah ki raah me ya Allah ke khatir, jiss se ke ghareebon ki zindagi ko barqarar rakha ja sakay.[18]

Shaheedon ko[19] aur jannatiyon ko,[20] Rizq diya jata hai jaise ke iss duniya me Allah ne hume diya hai. Lafz-e-Rizq Quran me jin alfaaz se wabasta hai, wo hain;

  • Ma’ash – Livelihood,[21] aur
  • Libas – Clothing,[22]

Wo Allah hi hai jo Rizq ke zariye zindagi ko barqarar rakhta hai,[23] uss ki marzi hai wo kisi ko zyada deta hai, to kisi ko kum.[24] Kyun ke, “…Wallahu Khairu ar-Raziqeen”, aur Allah behtareen Rizq dene wala hai,[25] aur jo Rizq company ko ya employer ko milta hai, wo bhi Allah hi ka diya huwa hai, ussi me se to Rizq hume bhi milta hai.

Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke behtareen naamo me se ek naam, uss ki sifaton me se ek sifat, ar-Razzaq hai, Rizq dene wala.[26] Ab iss ko Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne kaisa samjhaya;

  • Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Koi shaks uss waqt tak nahi marta, jab tak ke uss ka rizq uss ke liye mukammal na ho jaye, lehaza uss ki talash me, yani rizq ki talash me sahih mamela istemaal karo.[27]
  • Ye hume kya karna chahiye – bataya ja raha hai,
  • Ek aur hadith me aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Jo chahta hai ke uss ke rizq me farawani ho aur uss ki umar daraaz ho, usay chahiye ke rishtedaron se achhay taloqaat rakhe.[28]
  • Ek aur hadith me aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Wo kamiyab ho gaya jo Islam qabool kar liya aur uss ko ek din bhar ka rizq de diya gaya aur wo content ho gaya, razi ho gaya, jo uss ke paas hai.[29]
  • Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, jo mustaqil taur par, constantly isteghfar karta hai, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى);
    • uss ke liye har mushkil me se nikalne ka raasta bana dete hain,
    • uss ki har pareshani se najaat dete hain, aur
    • uss ko rizq dete hain, jahan se usay guman bhi nahi tha.[30]
  • Roze ki halat me agar koi ghalati se kha ya pee le, to aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, ye Allah ke Rizq me se tha, jo uss ne khilaya ya pilaya.[31]
  • Allah ne paanch cheezen insaan ki taqdeer me likh di hai;
    • Pehla hai, Uss ki zindagi kitni hogi,
    • Doosra hai, uss ke amaal,
    • Teesra hai, uss ka sona,
    • Chohta hai, uss ka zameen me phirna,
    • Panchwa hai, uss ka rizq.[32]
  • Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) ek waqt Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke paas gaye, to wo Nashta kar rahe the, aap (صلى الله عليه وسلم) ne Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) ko khane ke liye bulaya to unhone kaha ke main roza hoon. To aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya;
    • Hum apna rizq kha rahe hain, lekin iss se behtar rizq Bilal ko jannat me milega.
    • Aye Bilal kya tum ko maloom hai ke roza rakhne wale ki haddiyan Allah ki tasbeeh karti hain aur farishte uss ke liye dua-e-maghfirat karte hain, jab rozedaar ke atraaf log khana khaate hain.[33]
    • Aaj nayee research bata rahi hai ke, jo log hafte me do din roza rakhte hain, ya intermittent fasting karte hain, unn me hormonal imbalance nahi hota,
    • Ye khaas taur par auraton me jo menopaus ke baad unn me hormonal imbalance ho jata hai, jiss ki wajah se haddiyan kamzor ho jaati hain.
    • Motapa, rozon se control kiya ja sakta hai, aur arthritis jaisi haddiyon se mutalliq bimari ko roka ja sakta hai.[34]
    • Ye baat hamare nabi ne 1444 saal pehle bata di, iss hadith ke zariye ke rozedaar ki haddiyan Allah ki tasbeeh bayan karti hain.
  • Ek lambi hadith me aya hai ke, aap (صلى الله عليه وسلم) jab ek muhim se laute to ghar me dekha ke ek carpet latka hai jis par tasweer thi, aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, “Allah ke diye huwe rizq me se, pathar aur mitti ko kapde pehnane ka hukum hume nahi mila hai”, amma Aisha farmati hain ke, phir uss carpet ko pharrh kar takiya bana liya gaya.[35]
  • Ek Hadith-e-Qudsi hai, jiss me Allah ne apni izzat aur jalal ki qasam khayee aur kaha ke, Main iss duniya se kisi ko jab tak nahi nikaalta, jiss ko mujhe maaf karna hota hai, jab tak ke uss ki gardan me maujood har gunah ko takleef ke zariye yani uss ke jism me bimari aur rizq me tangi ke zariye khatam na kar doon.[36]
  • Kayee log rizq aur ilm ko jodte hain, wo ye samajhte hai ke, jo rizq per conditions apply hote hain wohi ilm per bhi apply hote hain,
    • To rizk ka maamla kya hai?
    • Hum yani Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) jiss ka chahta hai uss ka rizq farakh kar deta hai aur jiss ka chahta hai tang ya napa-tula kar deta hai,[37]
    • Ilm ka maamla kya hai?
    • Jis ko Hum yani Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) khair ata karna chahte hain, uss ko hum Deen ki samajh dete hain, Quran aur Hadith ki understanding dete hain.[38]

Aakhri lafz teesri ayat ka Yunfiqoon hai.

YUNFIQUUN (They Spend) يُنْفِقُوْنَ 2:3

Lafz-e-Yunfiqoon ka root ya maddah (ن ف ق) hai, aur iss ke maane, Wo Kharch karte hain. Aur lafz-e-Infaq jo issi root ya maddah se bana hai, uss ka matlab sadaqah nahi balke Kharch karna hai;

  • Aur ye hum uss me se karch kare jo Allah ne hume diya hai,[39]
  • Kyun ke, hamara kuch nahi, har cheez ka malik Allah hai,[40]
  • Hum to sirf uss ke diye huwe rizq ke nigahbaan hain, custodians hain, chaukidaar hain, aur hume kharch karte waqt uss ke ahkamat ki tameel karna chahiye.[41]

Ahadith me bhi, ye lafz karch karne ke maano me istemaal huwa hai;

  • Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, Sab se afzal Dinar wo hai jo aadmi apne ghar walon par kharch kare, ek Dinar wo hai jisay wo Allah ke Raste me apne janwaron ya apni sawari par kharch karta hai, aur ek wo Allah ke Raste me apne sathiyon par kharch karta hai.[42]
  • Hadith-e-Qudsi hai, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) farmata hai ke, Karch kar Aye Ibn-e-Adam, tujh par bhi karch kiya jayega.[43]
  • Ek hadith me aya hai ke, poochha gaya ke, Mubazzireen kaun hain, fuzool kharch karne wale kaun hain, to jawab ke kaha gaya ke, wo log jo ghalat jagah kharch karte hain.[44]

Iss hadith me Lafz-e-Yunfiq aya hai, jiss ke maane Promote karne ke aye hain;

  • Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, Khareed-o-Farokht ke dauran kasrat se qasam khaane se bacho, kyun ke, iss se tijarat ko promote karlogay, lekin ye amal barkat ko khatam kar deta hai.[45]

To iss ayat me Muttaqiyon ki teesri sifat kya hai,

وَمِمَّا رَزَقۡنٰهُمۡ يُنۡفِقُوۡنَۙ‏

…Aur humne jo unhe diya hai, uss me se kharch karte hain.

Ye maal-o-daulat hamari hai hi nahi, ye Allah ki di huwi hai. To jo cheez hamari nahi, uss ko kharch karne se kyun rukna chahiye.

Ownership kay concept ko negate kiya ja raha hai,

  • I own this, ye cheez meri hai, ye gadi meri hai,
  • Mein,
  • Mera,
  • Meri zindagi, it’s my life,
  • My money,
  • My property,
  • My asset,

Ye ownership ka concept hamari zindagi mein iss qadar gehra asar kar gaya hai ki inteha per pahunch chuka hai,

  • bhai-bhai ko, property ke chakkar mein qatal kar de raha hai,
  • budhe maa-baap ko ghar se be-ghar kar diya ja raha hai, property ke chakkar mein,
  • Aur bohot misaalein di ja sakti hain.

Science ki roshni mein, Sense of Ownership (SoO) disorder, ek bimari hai;

  • Sense of ownership, urdu me kahenge, milkiyat ka ehsas, ye har insaan me hota hai, jaisa abhi hum ne kaha, meri gaadi, mera ghar, meri zindagi, mera jism, waghairah, nafsiyati taur par ya insan ki psychology me ye cheezen maaine rakhti hain.
  • Aur jo psychological ownership hai, uss ki wajah se logon ka bartao ya unn ka behaviour mutassir hota hai.[46]
  • To jo disorder hai, uss me chand cheezen hain,
    • ek to ye ke, insaan samjhe ke mera jism mera nahi hai, to ye ek qism ki bimari hai,[47]
    • aise log bohot violent hote hain, apne aap ko bhi nukhsan pahuncha sakte hain,
    • doosra ye ke, jo cheez apni nahi hai, uss ko paane ki chaah, uss me itne aagay badh jana ke, kuch bhi karne ko tayyar ho jana, yahan tak ke qatl.
    • teesra ye ke, Fuzool kharchi karna, impulsive buying, ye bhi ek qism ki bimari hai,
    • kisi ne mujh se kaha tha ke, mai naam nahi le raha hoon, fulan shaks me mujhe Rolls Royce ke showroom saath chalne kaha, wahan ja kar uss ne gaadi nahi khareedi, maine khareed li,
    • aisa ek waqt nahi, kayee waqt huwa, mere paas aaj 8 gadiyan hai. Bimari hai khareedne ki,
    • ab agar ye bimari ameeron me hai to phir bhi, fuzool kharchi hogi,
    • Lekin haath me nahi kaudi, aap chale khareedne, ye mamela phir mushkil ho jayega,
    • chohta ye ke, Cheezon ko kharch na karna, unn ka zakheera karna,
    • ye cheez meri hai, mai kisi ko nahi doonga, sadh jaye lekin koi usay istemaal na kare, ye bhi bimari ki ek qism hai.[48]

Quran shuru hote hi, ye bata diya ja raha hai ke, cheezon ke tum malik nahi, balke asli malik Allah hai. To ye bimariyon ki jadh kaat di ja rahi hai, na tum soncho ke tum Allah ki di huwi cheezon ke malik ho, aur na ye bimariyan tum me ayengi. Ye jaan lo ke, haqeeqi malik – Allah hai, wo chahe tumhe de, ya chahe tumhe na de, kisi aur ko de, wo uss ki marzi hai.

Bahar-haal, ye manna padega ke ye sab Allah ka hai, nai maanay toh iss kitab ko kitna bhi padlo, muttaqi nahi bann sakte, aur hidayat ke mustahaq nahi ho sakte.

Lekin saath mein ye bhi jaan lo ke, sense of ownership insani fitrat ka hissa hai,

  • iss kaam ko own karo,
  • hadith mein biwi ko property kaha gaya hai, iss liye ke jab own karoge to unn ka khayal achhe se rakh sakoge.

Toh Humne jo tumko diya hai, uss mein se kharch karo,

  • Hamare ustaad Dr. Aneesuddin sahab, iss ko ek misaal se samjahya karte thay ke,
  • Kisi shaks ne ye tayy kiya ke, wo Allah ki raah me paisa kharch karega,
  • Aur uss ne, ek aur shaks ki madad li ke, main jisay kahoo paise dete chaliye,
  • Toh pehla jo shaks mila wo ek faqeer tha, to uss shaks ne apne saathi se kaha ke, iss faqeer ko 5,000 rupay de dijiye.
  • To wo saathi ne kaha ke, faqeer ko 5,000 rupay kyun de rahe ho?
  • To jiss ka paisa hai, wo kya kahega?
  • Bhai paisa mera hain, main jo chahoo wo karoon.
  • Aap ke paise thode hi main kharch kar raha hoon.
  • Main jisay chahe doon, jisay chahe na doon, aap ko kyun takleef ho rahi hai.
  • Aisa hi haal hamara hai, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ke saath.
  • Jahan Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) chahte hain ke, hum kharch kare wahan kharch karna chahiye.
  • Iss me apni marzi na chalaye.
  • Surah al-Baqarah me aagay aya hai ke, Aye logo jo iman laye ho, humne jo tum ko diya hai uss me se kharch karo iss se pehle ke wo din aye, jiss me na khareed-o-farokht hogi, na dosti kaam ayegi, aur na shifarish chalegi…[49]
  • Toh sawal ye paida hota hai ke, kis per kharch karein?
    • Allah ki raah me kharch karo aur apne aap ko halakat me na daalo, aur neki karo, beshak Allah neki karne walon ko dost rakhta hai,[50]
    • Aye Muhammad (صلى الله عليه وسلم), log aap se poochhte hain, Allah ki raah me kharch karne ke baare me, aap (صلى الله عليه وسلم) keh dijiye ke, jo kuch tum kharch karna chaho apne walidain par, rishtedaaron par, yateemo par, aur miskeeno par aur musafiron par kharch karo, aur jo kuch bhalai bhi tum karoge, Allah uss se ba-khabar hai,[51]
    • Phir lafz-e-yunfiqoon me humne ahadith suni ke, behtareen kharch wo hai jo insaan apni family par kharch kare, phir Allah ki raah me sawari par aur Allah ki raah me apne sathiyon par.
    • Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, jo shaks apne ghar walon par kharch kare, aur uss ka ajr chaahe, to wo uss ke liye sadaqah likha jayega.[52]
    • Abu Sufyan ki biwi Hind, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) se poochhti hain ke, Abu Sufyan ek kanjoos aadmi hai jo mere aur mere bachhe par kharch nahi karta, kya main uss ke maal me se, uss ke jaane baghair maal le sakti hoon? Aap (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, jo kuch tumhare bachhe aur tumhare liye kafi hai, usay maqool buniyad par, reasonable basis par le lo.[53]
    • Agar koi haram maal kamaye aur uss ka ek hissa sadaqa kare to, uss ka koi ajar nahi milega, aur jo bach gaya wo uss ke marne ke baad istemaal kiya jayega to wo uss ke liye jahannam ka saman hoga. Allah burai ko burai se nahi mitaata, balke burai ko achai se mitaata hai.[54]
    • Yateemo ke wali ko chahiye ke, yateemo par unn ki zaroorat ke hisaab se kharch kare,[55]
    • Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya ke, Koi musalman namazi aisa nahi hai jo, apne har qism ke maal me se Allah ki raah me ek ek jode par kharch kare, magar jannat ke daroga uss ka isteqbaal karenge, sab usay unn ke paas jo ajar hai uss ki taraf bulayenge…[56]
    • Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ke zamane me, Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) ne ek baagh sadaqah kiya, to Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne unhe hukum diya ke iss baagh ko waqf kardo, takay iss ki zameen ko aur pedon ko na to becha ja sakay, na gift ke taur par diya ja sakay, aur na wasiyat ki ja sakay, balke uss ka mewa sadaqah kiya jaye. To wo baagh, Allah ke liye waqf kar diya gaya, ghulamo ko azad karne ke liye, ghareebon ke liye, mehmano ko liye, musafiron ke liye, aur rishtedaaron ke liye…[57]
    • Jab Uthman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) ke ghar ko unn ki shahadat se pehle gher liya gaya, to unhone apne ghar ke ooper se unhe dekha aur kaha ke, Main tumhe Allah ki khatir yaad dilaata hoon ke,
      • Jab Jabal-e-Noor (jisme ghaar-e-hira hai) laraz raha tha, to Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne farmaya, Aye Hira tham ja, iss par ek Rasool, ek Siddique aur ek shaheed hai, unhone kaha haan yaad hai,
      • Phir Uthman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) ne phir yaad dilaya ke, Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne Jaish-e-Usra ke baare me kaha tha ke, joi koi iss par kharch karega, Allah uss ko qabool karega, to maine uss fauj ko tayyar kiya tha, unhone kaha haan yaad hai,
      • Phir Uthman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْه) ne phir yaad dilaya ke, Rumah ke kuwe ka paani koi nahi pi sakta tha, jab tak ke paani nikaalne ke liye paise na de, to maine uss kuwe ko khareed kar har ek ke liye, aam-o-khaas ke istemaal ke liye de diya tha, unhone kaha haan yaad hai,
      • Aur unhone aur jo sadaqaat kiye the, wo logon ko yaad dilaye,[58]
    • Jo shaks Allah ki raah me kharch kare, uss ke liye ajr 700 gunah likha jayega.[59]
  • Phir Surah at-Tauba me aya hai ke, Aur jo log Allah ki raah me kharch nahi karte aur sone aur chaandi ke zakheere jama karte hain, unhe sakht tareen azab ki khabar de do.[60]

Ab sawal paida hota hai ke kitna kharch kare? Iss sawal ka jawab Quran aur Hadith se agle hafte diya jayega. In Sha Allah.

References

[1] 49:14

[2] Explaining the verse, “say ; You have no faith, but you only say : We have submitted our wills to Allah”, Al-Zuhri said : We think that ISLAM is a word, and faith is an action.

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عُبَيْدٍ، حَدَّثَنَا ابْنُ ثَوْرٍ، عَنْ مَعْمَرٍ، قَالَ وَقَالَ الزُّهْرِيُّ ‏{‏ قُلْ لَمْ تُؤْمِنُوا وَلَكِنْ قُولُوا أَسْلَمْنَا ‏}‏ قَالَ نَرَى أَنَّ الإِسْلاَمَ الْكَلِمَةُ وَالإِيمَانَ الْعَمَلُ ‏.‏ حكم : صحيح الإسناد مقطوع (الألباني)

https://sunnah.com/abudawud:4684

[3] Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (ﷺ) said, “Iman has sixty odd or seventy odd branches. The uppermost of all these is the Testimony of Faith: ‘La ilaha illallah’ (there is no true god except Allah) while the least of them is the removal of harmful object from the road. And shyness is a branch of Iman.” [Al-Bukhari and Muslim].

-وعن أبى هريرة رضي الله عنه، أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال‏:‏ “الإيمان بضع وسبعون، أو بضع وستون شعبة، فأفضلها قول لا إله إلا الله، وأدناها إماطة الأذى عن الطريق، والحياء شعبة من الإيمان” ‏(‏‏(‏متفق عليه‏)‏‏)‏ ‏.‏

https://sunnah.com/riyadussalihin:682

[4] On the authority of Abu Sa`eed al-Khudree (may Allah be pleased with him) who said: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say, “Whosoever of you sees an evil, let him change it with his hand; and if he is not able to do so, then [let him change it] with his tongue; and if he is not able to do so, then with his heart — and that is the weakest of faith.” [Muslim]

عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيّ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ قَالَ سَمِعْت رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه و سلم يَقُولُ: “مَنْ رَأَى مِنْكُمْ مُنْكَرًا فَلْيُغَيِّرْهُ بِيَدِهِ، فَإِنْ لَمْ يَسْتَطِعْ فَبِلِسَانِهِ، فَإِنْ لَمْ يَسْتَطِعْ فَبِقَلْبِهِ، وَذَلِكَ أَضْعَفُ الْإِيمَانِ” . [رَوَاهُ مُسْلِمٌ].

Reference : Hadith 34, 40 Hadith an-Nawawi, https://sunnah.com/nawawi40:34 

[5] 2:21

[6] 2:183

[7] 49:13

[8] Source: https://www.khaleejtimes.com/article/taqwa-the-fear-of-allah-keeps-a-believer-awake

[9] Hidayat uss ko mili kyun ke wo nek amal karta tha, aur wo musalman ho gaya, hadith….

[10] Narrated Jabir: that the Prophet (ﷺ) said: “Between disbelief and faith is abandoning the Salat.”

حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ، حَدَّثَنَا جَرِيرٌ، وَأَبُو مُعَاوِيَةَ عَنِ الأَعْمَشِ، عَنْ أَبِي سُفْيَانَ، عَنْ جَابِرٍ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ “‏ بَيْنَ الْكُفْرِ وَالإِيمَانِ تَرْكُ الصَّلاَةِ ‏”‏ ‏.‏

https://sunnah.com/tirmidhi:2618

[11] It was narrated from Ibn Muhairiz that a man from Banu Kinanah who was called Al-Mukhdaji heard a man in Ash-Sham, who was known as Abu Muhammad, saying that Witr was obligatory. Al-Mukhdaji said: “In the morning I went to ‘Ubadah bin As-Samit, and I met him while he was on his way to the Masjid. I told him what Abu Muhammad said, and ‘Ubadah said: ‘Abu Muhammad is wrong. I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: ‘Five prayers are those that Allah has decreed for (His) slaves, whoever does them, and does not neglect any of them out of disregard toward them, will have a promise from Allah that He will admit him to Paradise. And whoever does not to them will have no such promise from Allah; if He wills he will punish him and if He wills He will admit him to Paradise.

أَخْبَرَنَا قُتَيْبَةُ، عَنْ مَالِكٍ، عَنْ يَحْيَى بْنِ سَعِيدٍ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يَحْيَى بْنِ حَبَّانَ، عَنِ ابْنِ مُحَيْرِيزٍ، أَنَّ رَجُلاً، مِنْ بَنِي كِنَانَةَ يُدْعَى الْمُخْدَجِيَّ سَمِعَ رَجُلاً، بِالشَّامِ يُكْنَى أَبَا مُحَمَّدٍ يَقُولُ الْوِتْرُ وَاجِبٌ ‏.‏ قَالَ الْمُخْدَجِيُّ فَرُحْتُ إِلَى عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ فَاعْتَرَضْتُ لَهُ وَهُوَ رَائِحٌ إِلَى الْمَسْجِدِ فَأَخْبَرْتُهُ بِالَّذِي قَالَ أَبُو مُحَمَّدٍ فَقَالَ عُبَادَةُ كَذَبَ أَبُو مُحَمَّدٍ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏ “‏ خَمْسُ صَلَوَاتٍ كَتَبَهُنَّ اللَّهُ عَلَى الْعِبَادِ مَنْ جَاءَ بِهِنَّ لَمْ يُضَيِّعْ مِنْهُنَّ شَيْئًا اسْتِخْفَافًا بِحَقِّهِنَّ كَانَ لَهُ عِنْدَ اللَّهِ عَهْدٌ أَنْ يُدْخِلَهُ الْجَنَّةَ وَمَنْ لَمْ يَأْتِ بِهِنَّ فَلَيْسَ لَهُ عِنْدَ اللَّهِ عَهْدٌ إِنْ شَاءَ عَذَّبَهُ وَإِنْ شَاءَ أَدْخَلَهُ الْجَنَّةَ ‏”‏ ‏.‏

 https://sunnah.com/nasai:461

[12] 30:40

[13] 45:5

[14] 50:9, 2:60

[15] 35:3

[16] 11:7

[17] https://downdetector.com/status/whatsapp/

[18] 2:254

[19] 3:169

[20] 2:25

[21] 15:20

[22] 2:233

[23] 11:6

[24] 13:26

[25] 62:11

[26] 51:58

[27] Yahya related to me from Malik that he heard that this was said “No one will die until his provision is completed for him, so behave correctly in your seeking it.”

وَحَدَّثَنِي عَنْ مَالِكٍ، أَنَّهُ بَلَغَهُ أَنَّهُ كَانَ يُقَالُ إِنَّ أَحَدًا لَنْ يَمُوتَ حَتَّى يَسْتَكْمِلَ رِزْقَهُ فَأَجْمِلُوا فِي الطَّلَبِ ‏.‏

https://sunnah.com/malik/46/10

[28] Anas (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (ﷺ) said, “He who desires ample provisions and his life be prolonged, should maintain good ties with his blood relations”. [Al-Bukhari and Muslim].

وعن أنس رضي الله عنه أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال‏:‏ ‏ “‏ من أحب أن يبسط له في رزقه، وينسأ له في أثره، فليصل رحمه‏”‏ ‏(‏‏(‏متفق عليه‏)‏‏)‏‏.‏

https://sunnah.com/riyadussalihin:319

[29] ‘Abdullah bin ‘Amr bin Al-‘as (May Allah be pleased with them) reported: Messenger of Allah (ﷺ) said, “Successful is the one who enters the fold of Islam and is provided with sustenance which is sufficient for his day’s needs, and Allah makes him content with what He has bestowed upon him.” [Muslim].

-وعن عبد الله بن عمرو بن العاص رضي الله عنهما ، أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال ‏:‏ ‏ “‏ قد أفلح من أسلم ، وكان رزقه كفافا ، وقنعه الله بما آتاه ‏”‏ ‏(‏‏(‏رواه مسلم ‏)‏‏)‏‏.‏

https://sunnah.com/riyadussalihin:511

[30] Ibn ‘Abbas (May Allah be pleased with them) said: The Messenger of Allah (ﷺ) said, “If anyone constantly seeks pardon (from Allah), Allah will appoint for him a way out of every distress and a relief from every anxiety, and will provide sustenance for him from where he expects not.” [Abu Dawud].

وعن ابن عباس رضي الله عنه قال‏:‏ قال رسول الله صلى الله عليه وسلم ‏:‏ “من لزم الاستغفار ، جعل الله له من كل ضيق مخرجاً ومن كل هم فرجاً، ورزقه من حيث لا يحتسب‏”‏ رواه أبو داود‏‏.‏

https://sunnah.com/riyadussalihin:1873

[31] Abu Hurairah narrated that the Messenger of Allah said:

“Whoever eats or drinks forgetfully, then he has not broken (the fast), for it was only a provision that Allah provided for him.”

حَدَّثَنَا أَبُو سَعِيدٍ الأَشَجُّ، حَدَّثَنَا أَبُو خَالِدٍ الأَحْمَرُ، عَنْ حَجَّاجِ بْنِ أَرْطَاةَ، عَنْ قَتَادَةَ، عَنِ ابْنِ سِيرِينَ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ مَنْ أَكَلَ أَوْ شَرِبَ نَاسِيًا فَلاَ يُفْطِرْ فَإِنَّمَا هُوَ رِزْقٌ رَزَقَهُ اللَّهُ ‏”‏ ‏.‏

https://sunnah.com/tirmidhi:721

[32] Abud Darda’ reported God’s messenger as saying, “God has preordained five things for every man He has created: his period of life, his action, his lying down, his moving about, and his provision.” Ahmad transmitted it.

عَن أبي الدرداد قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ فَرَغَ إِلَى كُلِّ عَبْدٍ مِنْ خَلْقِهِ مِنْ خَمْسٍ: مِنْ أَجَلِهِ وَعَمَلِهِ وَمَضْجَعِهِ وَأَثَرِهِ وَرِزْقِهِ “. رَوَاهُ أَحْمَدُ

https://sunnah.com/mishkat:113

[33] Buraida said that once when Bilal went in to visit God’s messenger while he was having his morning meal he invited him to join him, and when Bilal replied that he was fasting, he said, “We are eating our provision and Bilal’s superior provision is in paradise. Did you know, Bilal, that the bones of one who fasts extol God and that the angels ask forgiveness for him as long as people eat beside him?” Baihaqi transmitted it in Shu’ab al-iman.

عَن بُرَيْدَة قَالَ: دَخَلَ بِلَالٌ عَلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَهُوَ يَتَغَدَّى فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «الْغَدَاءَ يَا بِلَالُ» . قَالَ: إِنِّي صَائِمٌ يَا رَسُولَ اللَّهِ فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «نَأْكُلُ رِزْقَنَا وَفَضْلُ رِزْقِ بِلَالٍ فِي الْجَنَّةِ أشعرت يَا بِلَال أَن الصَّائِم نُسَبِّح عِظَامه وَتَسْتَغْفِر لَهُ الْمَلَائِكَةُ مَا أَكَلَ عِنْدَهُ؟» . رَوَاهُ الْبَيْهَقِيُّ فِي شعب الْإِيمَان

https://sunnah.com/mishkat:2082

[34] Source: https://ostego.com/intermittent-fasting/

[35] Narrated Abu Talhat al-Ansari: I heard the Prophet (ﷺ) say: The angels do not enter a house which contains a dog or a picture. Zaid b. Khalid al-Juhani said to Sa’id b. Yasar al-Ansari, the transmitter of this tradition: Go with me to ‘Aishah, Mother of Faithful, so that we ask about it. So we went and said to her: Mother of Faithful, Abu Talhah has transmitted to us a tradition so-and-so. Have you heard the Prophet (ﷺ) mentioning that ? She replied: No but I tell what I saw him doing. The Messenger of Allah (ﷺ) went on an expedition and I was waiting for his return. I got a carpet which I hung as a screen on a stick over the door. When he came I received him and said: Peace be upon you, Messenger of Allah, His mercy and His blessings. Praise to be Allah Who gave you dominance and respect. Then he looked at the house and saw the carpet; and he did not respond to me at all. I found (signs of) disapproval in his face. He then came to the carpet and tore it down. He then said: Allah has not commanded us to clothe stones and clay out of the sustenance He has given us. She said: I then cut it to pieces and made two pillows out of it and stuffed them with palm fibre, and he did not disapprove of it to me.

حَدَّثَنَا وَهْبُ بْنُ بَقِيَّةَ، أَخْبَرَنَا خَالِدٌ، عَنْ سُهَيْلٍ، – يَعْنِي ابْنَ أَبِي صَالِحٍ – عَنْ سَعِيدِ بْنِ يَسَارٍ الأَنْصَارِيِّ، عَنْ زَيْدِ بْنِ خَالِدٍ الْجُهَنِيِّ، عَنْ أَبِي طَلْحَةَ الأَنْصَارِيِّ، قَالَ سَمِعْتُ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏”‏ لاَ تَدْخُلُ الْمَلاَئِكَةُ بَيْتًا فِيهِ كَلْبٌ وَلاَ تِمْثَالٌ ‏”‏ ‏.‏ وَقَالَ انْطَلِقْ بِنَا إِلَى أُمِّ الْمُؤْمِنِينَ عَائِشَةَ نَسْأَلُهَا عَنْ ذَلِكَ ‏.‏ فَانْطَلَقْنَا فَقُلْنَا يَا أُمَّ الْمُؤْمِنِينَ إِنَّ أَبَا طَلْحَةَ حَدَّثَنَا عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم بِكَذَا وَكَذَا فَهَلْ سَمِعْتِ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم يَذْكُرُ ذَلِكَ قَالَتْ لاَ وَلَكِنْ سَأُحَدِّثُكُمْ بِمَا رَأَيْتُهُ فَعَلَ خَرَجَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فِي بَعْضِ مَغَازِيهِ وَكُنْتُ أَتَحَيَّنُ قُفُولَهُ فَأَخَذْتُ نَمَطًا كَانَ لَنَا فَسَتَرْتُهُ عَلَى الْعَرَضِ فَلَمَّا جَاءَ اسْتَقْبَلْتُهُ فَقُلْتُ السَّلاَمُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللَّهِ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَعَزَّكَ وَأَكْرَمَكَ فَنَظَرَ إِلَى الْبَيْتِ فَرَأَى النَّمَطَ فَلَمْ يَرُدَّ عَلَىَّ شَيْئًا وَرَأَيْتُ الْكَرَاهِيَةَ فِي وَجْهِهِ فَأَتَى النَّمَطَ حَتَّى هَتَكَهُ ثُمَّ قَالَ ‏”‏ إِنَّ اللَّهَ لَمْ يَأْمُرْنَا فِيمَا رَزَقَنَا أَنْ نَكْسُوَ الْحِجَارَةَ وَاللَّبِنَ ‏”‏ ‏.‏ قَالَتْ فَقَطَعْتُهُ وَجَعَلْتُهُ وِسَادَتَيْنِ وَحَشَوْتُهُمَا لِيفًا فَلَمْ يُنْكِرْ ذَلِكَ عَلَىَّ ‏.‏

[36] Anas reported God’s messenger as stating that the Lord who is glorious and exalted says, “By my might and glory, I will not take out of the world anyone I intend to forgive till I get payment for every sin which hangs on his neck by illness in his body and scarcity in his provision.” Razin transmitted it.

وَعَنْ أَنَسٍ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: ” إِنَّ الرَّبَّ سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى يَقُولُ: وَعِزَّتِي وَجَلَالِي لَا أُخْرِجُ أَحَدًا مِنَ الدُّنْيَا أُرِيد أَغْفِرَ لَهُ حَتَّى أَسْتَوْفِيَ كُلَّ خَطِيئَةٍ فِي عُنُقِهِ بِسَقَمٍ فِي بَدَنِهِ وَإِقْتَارٍ فِي رِزْقِهِ “. رَوَاهُ رزين

https://sunnah.com/mishkat:1585

[37] 13:26

[38] Mu’awiyah reported: The Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, said, “To whomever Allah wills goodness, He grants him understanding of the religion.” Source: Ṣaḥīḥ al-Bukhārī 71, Ṣaḥīḥ Muslim 1037. Grade: Muttafaqun Alayhi (authenticity agreed upon) according to Al-Bukhari and Muslim.

عَنْ مُعَاوِيَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه و سلم مَنْ يُرِدْ اللَّهُ بِهِ خَيْرًا يُفَقِّهْهُ فِي الدِّينِ – 71 صحيح البخاري كتاب العلم باب من يرد الله به خيرا يفقهه في الدين‏‏‏ – 1037 صحيح مسلم كتاب الزكاة باب النهي عن المسألة

https://www.abuaminaelias.com/dailyhadithonline/2011/08/20/if-allah-intends-good-fiqh/

[39] Al Quran, Surah al-Baqarah, Chapter 2: Verse 3

[40] 14:2

[41] This word is incomplete explanation. due to shortage of time.

[42] Thauban reported God’s messenger as saying, “The most excellent dinar a man spends is one he spends on his family, one which he spends on his animal in God’s path, and one he spends on his companions in God’s path.” Muslim transmitted it.

وَعَنْ ثَوْبَانَ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «أَفْضَلُ دِينَارٍ يُنْفِقُهُ الرَّجُلُ دِينَارٌ يُنْفِقُهُ عَلَى عِيَالِهِ وَدِينَارٌ يُنْفِقُهُ عَلَى دَابَّتِهِ فِي سَبِيلِ اللَّهِ وَدِينَارٌ يُنْفِقُهُ عَلَى أَصْحَابه فِي سَبِيل الله» . رَوَاهُ مُسلم – حكم : صَحِيح (الألباني)

https://sunnah.com/mishkat:1932

It was narrated from Thawban that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “The best Dinar that a man can spend is a Dinar that he spends on his family, a Dinar that he spends on a horse in the cause of Allah, and a Dinar that a man spends on his companions in the cause of Allah.”

حَدَّثَنَا عِمْرَانُ بْنُ مُوسَى اللَّيْثِيُّ، حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ زَيْدٍ، حَدَّثَنَا أَيُّوبُ، عَنْ أَبِي قِلاَبَةَ، عَنْ أَبِي أَسْمَاءَ، عَنْ ثَوْبَانَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ أَفْضَلُ دِينَارٍ يُنْفِقُهُ الرَّجُلُ دِينَارٌ يُنْفِقُهُ عَلَى عِيَالِهِ وَدِينَارٌ يُنْفِقُهُ عَلَى فَرَسٍ فِي سَبِيلِ اللَّهِ وَدِينَارٌ يُنْفِقُهُ الرَّجُلُ عَلَى أَصْحَابِهِ فِي سَبِيلِ اللَّهِ ‏”‏ ‏.‏

https://sunnah.com/ibnmajah:2760

[43] Abu Hurairah (May Allah be pleased with him) reported: Messenger of Allah (ﷺ) said, “Allah, the Exalted, says, ‘Spend, O son of Adam, you will also be spent upon.” [Al-Bukhari and Muslim].

وعنه أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال‏:‏ “قال الله تعالى‏:‏ انفق يا ابن آدم ينفق عليك” ‏(‏‏(‏متفق عليه‏)‏‏)‏‏.‏

https://sunnah.com/riyadussalihin:548

[44] Abu’l-‘Ubaydayn said, “I asked ‘Abdullah about those who squander and he said, ‘They are those who spend incorrectly.'”

حَدَّثَنَا قَبِيصَةُ، قَالَ‏:‏ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنْ سَلَمَةَ، عَنْ مُسْلِمٍ الْبَطِينِ، عَنْ أَبِي الْعُبَيْدَيْنِ قَالَ‏:‏ سَأَلْتُ عَبْدَ اللهِ عَنِ الْمُبَذِّرِينَ، قَالَ‏:‏ الَّذِينَ يُنْفِقُونَ فِي غَيْرِ حَقٍّ‏.‏

https://sunnah.com/adab:444

[45] Abu Qatadah (May Allah be pleased with him) said: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) saying, “Beware of excessive swearing in sale, because it may promote trade but this practice will eliminate the blessing.” [Muslim].

عن أبي قتادة رضي الله عنه أنه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول‏:‏ ‏ “‏إياكم وكثرة الحلف في البيع، فإنه ينفق ثم يمحق‏”‏ ‏(‏‏(‏رواه مسلم‏)‏‏)‏‏.‏

https://sunnah.com/riyadussalihin:1721

[46] Source: https://www.sciencedirect.com/science/article/abs/pii/S0277953619302795

[47] Source: https://onlinelibrary.wiley.com/doi/abs/10.1111/phpr.12657

[48] Source: https://www.mhgc21.org/en/mhgc21/events/october2018/MHGC-Proceedings-2018/Psychological-Sense-of-Ownership-from-Disorders-to-Norm

[49] 2:254

[50] 2:195

[51] 2:215

[52] Abu Mas’ud Al-Badri (May Allah be pleased with him) reported:

The Prophet (ﷺ) said, “When someone spends on his family seeking his reward for it from Allah, it is counted as a charity from him”.

[Al-Bukhari and Muslim].

وعن أبي مسعود البدري رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال‏:‏ ‏ “‏ إذا أنفق الرجل على أهله نفقة يحتسبها فهي له صدقة‏”‏ ‏(‏‏(‏متفق عليه‏)‏‏)‏‏.‏

https://sunnah.com/riyadussalihin:293

[53] It was narrated that ‘Aishah said:

“Hind came to the Messenger of Allah [SAW] and said : ‘O Messenger of Allah, Abu Sufyan is a stingy man who does not spend enough on my child and I. Can I take from his wealth without him realizing?’ He said: ‘Take what is sufficient for you and your child on a reasonable basis.'”

أَخْبَرَنَا إِسْحَاقُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ، قَالَ أَنْبَأَنَا وَكِيعٌ، قَالَ حَدَّثَنَا هِشَامُ بْنُ عُرْوَةَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ جَاءَتْ هِنْدٌ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَقَالَتْ يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنَّ أَبَا سُفْيَانَ رَجُلٌ شَحِيحٌ وَلاَ يُنْفِقُ عَلَىَّ وَوَلَدِي مَا يَكْفِينِي أَفَآخُذُ مِنْ مَالِهِ وَلاَ يَشْعُرُ قَالَ ‏ “‏ خُذِي مَا يَكْفِيكِ وَوَلَدَكِ بِالْمَعْرُوفِ ‏”‏ ‏.‏

https://sunnah.com/nasai:5420

[54] ‘Abdallah b. Mas’ud reported God’s Messenger as saying, “No man who acquires unlawful property and gives some of it in alms will have it accepted from him; neither will he receive a blessing for it if he con-tributes some of it; and if he leaves some of it behind him (i.e. when he dies) it will be his provision for hell. God does not obliterate an evil deed by an evil one, but He obliterates an evil deed by a good one. What is impure does not obliterate what is impure.” Ahmad transmitted it, and the same is given in Sharh as-sunna.

وَعَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مَسْعُودٍ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «لَا يكْسب عبد مَال حرَام فتيصدق مِنْهُ فَيُقْبَلُ مِنْهُ وَلَا يُنْفِقُ مِنْهُ فَيُبَارَكُ لَهُ فِيهِ وَلَا يَتْرُكُهُ خَلْفَ ظَهْرِهِ إِلَّا كَانَ زَادَهُ إِلَى النَّارِ. إِنَّ اللَّهَ لَا يَمْحُو السَّيِّئَ بِالسَّيِّئِ وَلَكِنْ يَمْحُو السَّيِّئَ بِالْحَسَنِ إِنَّ الْخَبِيثَ لَا يَمْحُو الْخَبِيثَ» . رَوَاهُ أَحْمَدُ وَكَذَا فِي شرح السّنة

https://sunnah.com/mishkat:2771

[55] Nafi’ said: “Ibn ‘Umar never refused to be appointed as guardian.” The most beloved thing to Ibn Sirin concerning an orphan’s wealth was that the orphan’s advisor and guardians would assemble to decide what is best for him. When Tawus was asked about something concerning an orphan’s affairs, he would recite: ‘…And Allah knows him who means mischief from him who means good…’ (V 2:220). ‘Ata said concerning some orphans, “The guardian is to provide for the young and the old orphans according to their needs from their shares.”

وَقَالَ لَنَا سُلَيْمَانُ حَدَّثَنَا حَمَّادٌ، عَنْ أَيُّوبَ، عَنْ نَافِعٍ، قَالَ مَا رَدَّ ابْنُ عُمَرَ عَلَى أَحَدٍ وَصِيَّةً‏.‏ وَكَانَ ابْنُ سِيرِينَ أَحَبَّ الأَشْيَاءِ إِلَيْهِ فِي مَالِ الْيَتِيمِ أَنْ يَجْتَمِعَ إِلَيْهِ نُصَحَاؤُهُ وَأَوْلِيَاؤُهُ فَيَنْظُرُوا الَّذِي هُوَ خَيْرٌ لَهُ‏.‏ وَكَانَ طَاوُسٌ إِذَا سُئِلَ عَنْ شَىْءٍ مِنْ أَمْرِ الْيَتَامَى قَرَأَ ‏{‏وَاللَّهُ يَعْلَمُ الْمُفْسِدَ مِنَ الْمُصْلِحِ‏}‏‏.‏ وَقَالَ عَطَاءٌ فِي يَتَامَى الصَّغِيرُ وَالْكَبِيرُ يُنْفِقُ الْوَلِيُّ عَلَى كُلِّ إِنْسَانٍ بِقَدْرِهِ مِنْ حِصَّتِهِ‏.‏

https://sunnah.com/bukhari:2767

[56] It was narrated that Sa’sa’ah bin Mu’awiyah said:

“I met Abu Dharr and said: ‘Tell me a Hadith.’ He said. Yes, the Messenger of Allah (ﷺ) said: There is no Muslim worshiper who spends from each type of his wealth on a pair (of things) in the cause of Allah, but the keepers of Paradise will welcome him, all of them calling him to what they have (of reward).’ I said: “How is that?” He said: “If it is camels, he gives two, and if it is cows, he gives two.'”

أَخْبَرَنَا إِسْمَاعِيلُ بْنُ مَسْعُودٍ، قَالَ حَدَّثَنَا بِشْرُ بْنُ الْمُفَضَّلِ، عَنْ يُونُسَ، عَنِ الْحَسَنِ، عَنْ صَعْصَعَةَ بْنِ مُعَاوِيَةَ، قَالَ لَقِيتُ أَبَا ذَرٍّ قَالَ قُلْتُ حَدِّثْنِي ‏.‏ قَالَ نَعَمْ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ مَا مِنْ عَبْدٍ مُسْلِمٍ يُنْفِقُ مِنْ كُلِّ مَالٍ لَهُ زَوْجَيْنِ فِي سَبِيلِ اللَّهِ إِلاَّ اسْتَقْبَلَتْهُ حَجَبَةُ الْجَنَّةِ كُلُّهُمْ يَدْعُوهُ إِلَى مَا عِنْدَهُ ‏”‏ ‏.‏ قُلْتُ وَكَيْفَ ذَلِكَ قَالَ ‏”‏ إِنْ كَانَتْ إِبِلاً فَبَعِيرَيْنِ وَإِنْ كَانَتْ بَقَرًا فَبَقَرَتَيْنِ ‏”‏ ‏.‏

https://sunnah.com/nasai:3185

[57] Narrated Ibn `Umar: In the lifetime of Allah’s Messenger (ﷺ) , `Umar gave in charity some of his property, a garden of date-palms called Thamgh. `Umar said, “O Allah’s Messenger (ﷺ)! I have some property which I prize highly and I want to give it in charity.” The Prophet; said, “Give it in charity (i.e. as an endowment) with its land and trees on the condition that the land and trees will neither be sold nor given as a present, nor bequeathed, but the fruits are to be spent in charity.” So `Umar gave it in charity, and it was for Allah’s Cause, the emancipation of slaves, for the poor, for guests, for travelers, and for kinsmen. The person acting as its administrator could eat from it reasonably and fairly, and could let a friend of his eat from it provided he had no intention of becoming wealthy by its means.

حَدَّثَنَا هَارُونُ، حَدَّثَنَا أَبُو سَعِيدٍ، مَوْلَى بَنِي هَاشِمٍ حَدَّثَنَا صَخْرُ بْنُ جُوَيْرِيَةَ، عَنْ نَافِعٍ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ ـ رضى الله عنهما ـ أَنَّ عُمَرَ، تَصَدَّقَ بِمَالٍ لَهُ عَلَى عَهْدِ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم وَكَانَ يُقَالُ لَهُ ثَمْغٌ، وَكَانَ نَخْلاً، فَقَالَ عُمَرُ يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنِّي اسْتَفَدْتُ مَالاً وَهُوَ عِنْدِي نَفِيسٌ فَأَرَدْتُ أَنْ أَتَصَدَّقَ بِهِ‏.‏ فَقَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ تَصَدَّقْ بِأَصْلِهِ، لاَ يُبَاعُ وَلاَ يُوهَبُ وَلاَ يُورَثُ، وَلَكِنْ يُنْفَقُ ثَمَرُهُ ‏”‏‏.‏ فَتَصَدَّقَ بِهِ عُمَرُ، فَصَدَقَتُهُ ذَلِكَ فِي سَبِيلِ اللَّهِ وَفِي الرِّقَابِ وَالْمَسَاكِينِ وَالضَّيْفِ وَابْنِ السَّبِيلِ وَلِذِي الْقُرْبَى، وَلاَ جُنَاحَ عَلَى مَنْ وَلِيَهُ أَنْ يَأْكُلَ مِنْهُ بِالْمَعْرُوفِ، أَوْ يُوكِلَ صَدِيقَهُ غَيْرَ مُتَمَوِّلٍ بِهِ‏.‏

https://sunnah.com/bukhari:2764

[58] Narrated Abu ‘Abdur-Rahman As-Sulami: “When ‘Uthman was besieged, he looked out over them from atop his house and said: ‘I remind you by Allah. Do you know that when (mount) Hira shook, the Messenger of Allah (ﷺ) said: “Be firm O Hira! For there is none upon you except a Prophet, a Siddiq, and a martyr?”‘ They said: ‘Yes.’ He said: ‘I remind you by Allah! Do you know that the Messenger of Allah (ﷺ) said, about the army of distress (Al-‘Usrah): “Who will spend something which shall be accepted (by Allah)?” And the people were struggling during difficult times, so I prepared that army?’ They said: ‘Yes.’ Then he said: ‘I remind you by Allah. Do you know that no one drank from the well of Rumah but have to pay for it, then I bought it and made it for the rich, the poor, and the wayfarer?’ They said: ‘O Allah! Yes!'” And he listed other things. This Hadith is Hasan Sahih Gharib from this route; as a narration of Abu ‘Abdur-Rahman As-Sulami from ‘Uthman.

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، قَالَ أَخْبَرَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ جَعْفَرٍ الرَّقِّيُّ، قَالَ حَدَّثَنَا عُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ عَمْرٍو، عَنْ زَيْدٍ، هُوَ ابْنُ أَبِي أُنَيْسَةَ عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ، عَنْ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ السُّلَمِيِّ، قَالَ لَمَّا حُصِرَ عُثْمَانُ أَشْرَفَ عَلَيْهِمْ فَوْقَ دَارِهِ ثُمَّ قَالَ أُذَكِّرُكُمْ بِاللَّهِ هَلْ تَعْلَمُونَ أَنَّ حِرَاءَ حِينَ انْتَفَضَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ اثْبُتْ حِرَاءُ فَلَيْسَ عَلَيْكَ إِلاَّ نَبِيٌّ أَوْ صِدِّيقٌ أَوْ شَهِيدٌ ‏”‏ ‏.‏ قَالُوا نَعَمْ ‏.‏ قَالَ أُذَكِّرُكُمْ بِاللَّهِ هَلْ تَعْلَمُونَ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ فِي جَيْشِ الْعُسْرَةِ ‏”‏ مَنْ يُنْفِقُ نَفَقَةً مُتَقَبَّلَةً ‏”‏ ‏.‏ وَالنَّاسُ مُجْهَدُونَ مُعْسِرُونَ فَجَهَّزْتُ ذَلِكَ الْجَيْشَ قَالُوا نَعَمْ ‏.‏ ثُمَّ قَالَ أُذَكِّرُكُمْ بِاللَّهِ هَلْ تَعْلَمُونَ أَنَّ بِئْرَ رُومَةَ لَمْ يَكُنْ يَشْرَبُ مِنْهَا أَحَدٌ إِلاَّ بِثَمَنٍ فَابْتَعْتُهَا فَجَعَلْتُهَا لِلْغَنِيِّ وَالْفَقِيرِ وَابْنِ السَّبِيلِ قَالُوا اللَّهُمَّ نَعَمْ وَأَشْيَاءُ عَدَّدَهَا ‏.‏ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ غَرِيبٌ مِنْ هَذَا الْوَجْهِ مِنْ حَدِيثِ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ السُّلَمِيِّ عَنْ عُثْمَانَ ‏.‏

https://sunnah.com/tirmidhi:3699

[59] Abu Yahya Khuraim bin Fatik (May Allah be pleased with him) reported: The Messenger of Allah (ﷺ) said, “He who makes a contribution in Allah’s way, will have his reward seven hundred times recorded to his credit.” [At-Tirmidhi].

وعن أبي يحيي خريم بن فاتك رضي الله عنه قال‏:‏ قال رسول الله صلى الله عليه وسلم ‏:‏ ‏ “‏من أنفق نفقة في سبيل الله كتب له سبعمائة ضعف‏”‏ ‏(‏‏(‏رواه الترمذي وقال‏:‏ حديث حسن‏)‏‏)‏‏.‏

https://sunnah.com/riyadussalihin:1338

[60] 9:34

Comments are closed.