Tafseer Surah al-Baqarah Part 13

Tafseer Surah al-Baqarah Part 13


Aoozu Billahi as-Samee al-Aleemi minash Shaitanir Rajeem

Bismillah, Alhamdulillahi wahdah was salaatu was salaamu ala man la nabiya ba’adah

Rabbish sharah li sadri wa yassirli amri wahlul uqdatam min lisaani yafqahu qauli

As Salaamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Pichle Dars me humne, Momino aur Kafiron par ek analysis suna, jis me momino ko jaza aur kafiron ko saza hone ke wujoohat par ghaur kiya, aaj hum science ki roshni me dil-o-dimagh aur kaano par mohr aur aankhon par parda kya hai analyze karenge,

Tarjuma wa Tafseer

Scientific Explanation

Iss hidayat walay process ko teesray angle se bhi analyze karke dekhte hain,

  • Kya scientifically bhi aisay koi parda bannay ki gunjaish hai?
  • Aaj ke iss jadeed tareen scientific daur mein mohar aur parday ko kaise samjha ja sakta hai?
  • Pehlay kuch cheezein science ki roshni mein samajhne ki koshish karte hain
Qalb kya hai aur Qalb par mohr?
  • Surah al-Baqarah ke 9we hisse me, humne Qalb ki tafseel suni, ye hamare Quranic Resources ke Youtube channel par maujood hai, wahan tafseel dekh sakte hain.
  • Uss me, science ki rooh se jo points humne bayan kiye the, uss me kaha tha ke, lafz-e-Qalb ka tarjuma dil-o-dimagh ke kiye gaye hain, kyun ke, Quran me lafz-e-Qalb kabhi dil ke mano me aya hai, to kabhi dimagh ke mano me,
  • Aur phir ye bhi kaha tha ke, dimagh – dil ke baghair nahi chal sakta, kyun ke, khoon ke zariye ghiza, aur jo kuch dimagh ko kaam karne ke liye chahiye wo dil hi pahunchata rehta hai,
  • Qalb ya dil, ek pump hai, jo dimagh ko hi nahi balke saare jism me khoon ki ravangi qayem rakhta hai,
  • Dil me chaar chambers ya khaane hote hain, do ooper ki taraf aur do neeche ki taraf, to jo ooper – seedhe haath wala chamber hai, uss me kuch cells aise hote hain jo electrical pulse generate karte hain, jo dil ke andar se, ek khaas raaste ke zariye dil ke chaaro chambers ko electrical signal pahunchate rehte hain, jiss ki wajah se dil ek minute me 60-100 waqt dhadakta hai,
  • Hamara Dil, din bhar me average 100K times ya, 1lakh waqt dhadakte huwe 2,000 gallon yani taqreeban 7.5K liter khoon pump karta hai,[1]
  • Jis me se, 15-20% khoon sirf dimagh ko chahiye, matlab din bhar me, 1500 liters khoon ki supply sirf dimagh ko chahiye,[2]
  • Ye khoon ki rawangi ko ya blood circulation ko khayem rakhne ke liye dimagh se aur insaani jism ke alag alag hisson se dil ko signal milta rehta hai, jo heart rate ko kum ya zyada karta hai,[3]
  • Emotions ya jazbaat dimagh me process hote hain, lekin hum khushi ya gham ko dil se relate karte hain, asal me ye dil-o-dimagh ka coordination hota hai, jo extreme emotions ke dauran, dil – dimagh ke requirement ko poora nahi kar sakta aur fail ho jata hai ya dimagh ki requirement ko poora karne ke liye jo blood pressure dil develop karta hai, jo dimagh ki nasein bardasht nahi kar sakti aur phatt jaati hain,[4]
  • Surah Muhammad ki 24wi ayat me aya hai ke, “Kya ye Quran par ghaur-o-fikr nahi karte, ya inn ke dilon par taale pade huwe hain”[5]
  • Ghaur-o-Fikr to dimagh me hoti hai, insaan apne dimagh se sonchta hai, lekin qalb par taala padhne ka matlab dil-o-dimagh par taala padhna hai, kyun ke, dil-o-dimagh ek doosre se connected hain, to pata chala ke Quran par ghaur-o-fikr na karna wajah hai, dil-o-dimagh hidayat ke liye band kar diye jaane ki,
  • Kya sachai ke liye, hidayat ke liye, signal dimagh se ata hai ke, ye rate par khoon pump karo, warna dimagh inn cheezon ko process nahi kar sakta?
  • Signal nahi aya to dil wo rate par khoon nahi pump karega aur sachai ya hidayat process nahi hogi, aur continuously ghaur-o-fikr na karne ki wajah se, Allah par iman na laane ki wajah se, mohr lag jaati hai.
  • Introduction to Psychology ek kitab hai jo Canada me chhapi aur Indian Journal of Psychiatry ke mutabiq, Insan ke dimagh ke saamne ka hissa zimmadar hai, sonchne ki salahiyat ke liye,[6] aur iman laane ke liye, dimagh ke iss saamne wale hisse ke sath sath doosre hisse bhi coordinate karte hain, lekin jo saamne ka hissa hai wo analysis, ghaur-o-fikr ke liye zimmadar hai,[7]

The major structure in the Human Brain, Source: Introduction to Psycholory – 1st Canadian Edition

  • Ye dimagh ki tasveer hai, bakre ka bheja ya magaz to humne dekha hai, aur maze uda kar khaya bhi hai, to dimagh ke saamne wala hissa, yahan ye process hota hai,
  • Issi silsilay me, Khatm-e-Quran ki jo masnoon dua hai, wo poori dua to hamare Quranic Resources ke YouTube channel par maujood hai, wahan tafseel dekh sakte hain, uss dua me aap (صلى الله عليه وسلم) ne ek kalima aisa farmaya ke, …Nasiyati biyadika…, Meri Peshani (Allah) teri mutthi me hai, aur abhi humne suna ke, sonchne, ghaur-o-fikr karne aur imaan laane ke liye, dimagh ka saamne wala hissa, peshani ke peeche wala hissa zimmadar hai, to ye koi coincidence nahi, ye dua deliberately maangi ja rahi hai, ke meri peshani, mera iman, mera sonchna teri mutthi me hai, tu jahan uss ko pher de, aur Quran ke khatam par ye dua aap (صلى الله عليه وسلم) ne maangi.
  • Aur yehi wajah hai, jo Quran me azmat wali, Allah ki Qudrat wali jo ayaat hain, jo sajde wali ayaat hain, uss par hum apni peshani ko sajde me Allah ke saamne jhuka dete hain, ye Allah ki mutthi me hai, wo chahe to samajh aa jaye, wo na chahe to hum Iman bhi nahi la sakte aur agar wo Mohr laga de to koi cheez andar na jaye.
Kaan kya hai aur kaano par mohr?
  • Kaan ka maamla kya ho raha hai? aiyye iss ko samjhte hain,
  • kisi bhi cheez ki awaz ya sound hamare kaan me dakhil hoti hai,
  • kaan me ek parda hai, ya ear drum hota hai, jo iss awaz se vibrate hota hai ya hilne lagta hai,
  • iss ko iss photo se samjhiye ke,[8]

How do we hear?, source: National Institute on Deafness and Other Communication Disorders[9]

  • Kaan ke parde ke hilne ki wajah se, kaan ke parde ke peeche ki 3 bareek haddiyon ko hilata hai, ya wo eardrum ke vibration ki wajah se ye teen haddiyan bhi vibrate hoti hain,
  • Ye 3 haddiyan iss tarah bani hain ke, wo sound vibration ko amplify karti hain ya hilne ki raftar ko tez karti hain, aur

3 thin bones, source: Mayo Clinic – How you hear[10]

  • kaan ke andarooni hissay me ek cochlea nami cheez hoti hai, jo helix ya snail ki shakal ka hota hai, aur taqreeban matar ke daane ke size ka hota hai,
  • Ye haddiyon ke vibrations, iss cochlea tak ye vibrations ko pahunchate hain, jis me pani ya ek liquid bhara hota hai,
  • Inn vibrations ki wajah se, cochlea me jo liquid hai, uss me lehren banti hain,
  • Ye lehren, cochlea ke andar hair bundles hote hain, ya baal numa guchhe hote hain, unn ko hilatay hain,

Hair bundles inside cochlea, source: MED-EL Blog[11]

  • Aur ye hair bundles alag alag jagah par hain aur har jagah ke hair bundles alag alag frequency ko respond karte,
  • jis ki wajah se ye vibrations electrical signals me convert hote hain aur jo ragg kaan se dimagh ko jaati hai, auditory nerve, ye electrical signals ko dimagh tak pahunchati hai,

Signals to the Brain, Source: Mayo Clinic – How you hear[12]

  • Ab kaan ki redundancy dekho, har kaan ka signal split ho kar dimagh ke dono hisson ko ja raha hai,

Diagram of a sound source through the ear and turning into neural signals reaching auditory cortex, Source: Frontiers[13]

  • Beech me switching ho rahi hai, dono kaano ka signal dimagh ke dono hisson me ja raha hai, kya network hai, Kya shaan hai Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ki.
  • Kaan se le kar dimagh tak ke raaste me, mohr kahin bhi lag sakti hai,
  • Agar kaan ke parde se shuru karein to, wo jis tarah vibrate karta hai ya hilta hai, uss me thoda sa bhi farq padh gaya ya, vibration ki frequency me farq aa jaye to ye Mohr ho sakti hai,
    • ho Sakta hai ke, sach ki ek frequency hai,
    • ho sakta hai ke, wo frequency ko ear drum ya kaan ka parda aagay Nahi bhej Raha hai,
    • Iss tarah Mohr lag sakti hai,
  • Phir uss ke baad jo teen haddiyan hain, unn ka movement bohot important hai, ear drum ko lagay huwe ye haddiyon ka movement me thoda sa farq aa jaye to ye mohr ho sakti hai,
  • Phir ye haddiyan cochlea ko hilati hain, jis me ek fluid bhari huwi hai, aur wahan ripples, ya lehrein banti hain. To ye fluid kis tarah ki hai, jo itne sensitive vibrations ko detect kar ke, unn vibrations ko transmit karti hai, iss ki viscosity ya uss ka composition kya hai? Jo bhi hai, uss ki detail me gaye baghair,
  • uss ke composition me thoda sa farq bhi, insaan ke sunne ki salahiyat ko khatam kar sakta hai, aur iss ki wajah se jo vibrations ho rahe hain uss me aur jo voltage ye fluid ki wajah se generate ho raha hai uss me farq aane se dimagh ko kya message jayega, uss par farq padhta hai,
  • to yahan iss tarah mohr lag sakti hai, uss fluid ka jo pH value hai, wo 7.4 hai, ek minute percentage bhi pH me farq padh jaye to cheezen sunayee na de, Kya sach ko, ya hidayat ko filter karne ka ek pH hai?
  • phir dimagh par aaiyye, to itni circuitry hai dimagh me, yahan mohr lagne ke kayee chances hain, connections ke beech me koi filter aa jaye, hume to pata bhi nahi chalega, itna bareek hai ye sara mamela,
  • Hum kya samajh sakte hain?
Aankh kya hai aur aankhon par parda?
  • Phir aankh par aaiyye,
  • aankh ek golay ki tarha hai, bakre ki aankh toh aapne dekhi hogi,…, binayi tez hoti bol ker khaye bhi honge,
  • aankh mein jo kala deeda hai, uss ke peeche ek lens hota hai,
  • aur jo andar ki golayi hai, uss ke peeche ki taraf retina hota hai,
  • jo ke 249 micro meter ki ek jild hoti hai,[14] 249 micro meter, matlab 0.249 milli meter ki thickness hoti hai, matlab ek millimeter ka ek-chohthai (¼) samjhiye, jo orange color ka ya naranji rang ka, santray ya malte ke rang ka hota hai,[15]

Image Source: Webvision: Simple Anatomy of Retina

  • iss retina ko microscope mein dekhenge, toh iss mein ek structure nazar aata hai, iss structure ko vertebrate retina kehte hain,[16]
  • Aankh me jo retina hota hai, uss ka structure kuch iss tarha hai ke, jiss mein 10 layers hai,[17]

Image Source: Webvision: 10 Layers in Retina

  • Iss photo me jo cheezen yaad rakhne ki hai, wo hai, rods and cones, ye hum apne school me biology me parrhe the,
  • Aur yahan dekhiye ke, jo cones hain wo 3 alag color ke hain, Red, Green, Blue.
  • Aur hamari aankh, har color ke 100 shades me farq kar sakti hai, yani Red ke 100 shades, Green ke 100 aur Blue ke 100 shades me farq kar sakti hai, to ye tamam color mill kar, 100 x 100 x 100, kitne ho gaye? 1 million colors yani 10 lakh rang ya shades me hamari aankh farq kar sakti hai,[18]
  • Hume andhere mein kuch dikhai nahi deta,
  • hum koi bhi cheez, tab hi dekh sakte hain, jab uss per roshni ya light padhti hai, aur woh uss cheez se takra kar ya reflect hokar insan ki ankhon mein, jo lens hai uss ke zariye, retina par padhti hai ya image form hota hai,
  • toh retina mein jo photoreceptor cells hain, yani ke rods and cones, uss light ko, uss image ke information ko, electrical signals mein convert kar dete hain, aur jo ragg ankhon se dimagh ko jaati hai, jisay optic nerve kehte hain, wo ye signals ko dimagh tak pahunchati hai, aur dimagh inn signals ko images me convert karta hai, jis se hum dekh sakte hain,[19]
  • ek research ke mutabiq, 30 hisse hain dimagh me jahan ye information process hota hai jo ye identify karta hai ke, jo cheez dikh rahi hai,
    • uss cheez ki shakal ya form kaisa hai,
    • uss ka color ya rang kya hai,
    • wo kitni badi ya choti hai,
    • kya wo cheez harkat ya movement mein hai ya nahi,[20]
  • Iss ko samajhne ke liye, ye dekhiye ke,

Visual Pathways, Source: drslotnickblog.com

  • Ye dimagh me kaisa ya kis raste se ye information dimagh ke alag alag hisson me pahunch raha hai,[21]
  • Dimagh ke peeche, Visual Cortex, hai jo visual memory hai,

Visual Pathways, Source: Perkins School for the Blind

  • Aur ye dekhiye, kitne links hain, jahan par aankhon se jo signals aa rahe hain wo kaise information ko link karte hain,[22]
  • Koi bhi network engineer dekh kar bolega, kya redundancy hai, ek aankh bhi agar sahih kaam kar rahi hai to insaan ko poora dikhta hai, kyun ke, wo dimagh ke dono hisson ko connected hai,
  • Ab sonch kar dekhiye, ye parda kahin par bhi parrh sakta hai, itni jagah information relay ho raha hai, hum kya samajh sakte ke, kahan aur kaise Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) cheezon ko rok denge?
  • Pehli cheez ye ho rahi hai ke, roshni aankh ke bade hissay per, continuously padhti rehti hai, jis se insan ko koi ek cheez nahi balke kai sari cheezein dikhayi deti hai, jitna dikhai dene ki range hai utni sari chezein dikhayi deti hain,
    • latest research ke mutabiq, insaan ki aankh me jo retina hai wo kayi cheezon ko filter kar deta hai,
    • toh, jo chezein nahi chahiye, unn ko filter kar ke ya nikaalne ka process aankh hi mein shuru ho jata hai.[23]
  • Ye kaise filter ho raha hai? Uss ke liye 3 filtering layers, inn sab ko samjhana kuch ziyada hojayega, aisa na ho ke ye tafseer ki jagah medical college ki class ho jaye,
  • Sirf itna samjh li jiye ke, cheezen hamare saamne hoti hain, lekin phir bhi dikhayee nahi deti, iss ko ye photo se samajhne ki koshish karte hain,

Visual Illusion, Source: Live Science[24]

  • Iss photo me ek ladki hai ya boodhi aurat? Bataiyye…
  • Sirf dekhne ka farq hai aur ye dimagh hi pehchaan sakta hai, aankh to dono ko dekh rahi hai,
  • Jab ladki dikh rahi hai to boodhi aurat nahi dikh rahi hai, aur jab boodhi aurat dikh rahi hai to ladki nahi dikh rahi hai, isay Visual Agnosia kehte hain.
  • Baaz logon me ye problem hoti hai ke, wo sirf ladki ko hi dekh sakte hain, boodhi aurat unhe hargiz dikhayi nahi deti, ya vice versa, aur ye bhi Visual Agnosia ka hissa hai.
  • Aur agar sachai ka filter Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) aankhon par laga de to jhoot hi dakhil ho sakta hai,
  • Quran aur Hadith ka filter lag gaya to, hidayat dakhil nahi ho sakti.
  • Surah Hajj ki 46wi ayat me farmaya ke, …dar-asal baat ye hai ke, aankhein andhi nahi hoti balke dil jo seeno me hai wo andhe hote hain.[25]

Ab yahan ek cheez analyze karna ye hai ke,

  • Ye sawal paida hota hai ke, aankh ko kis ne bataya ke ye filtration hona chahiye ya nahi?
  • dimagh tak toh baat gayi hi nahi ke, dimagh se signal wapas aaye ke ye cheez dekhni hai aur ye nahi,
  • ankhon ke saamne asal sachai hai, Quran hai, neki hai, Allah ki nishaniyan hai, lekin parda pada huwa hai, filter ho ja raha hai aur – dikhayi nahi de raha.

Conclusion

Dil-o-Dimagh par aur kaano par mohr kya hai, aur aankhon par parda kya ho sakta hai, ye samajhne ki koshish humne ki,

  • Surah Aaraf ki 198th ayat me farmaya ke, “Agar tum unn ko seedhe raste ki taraf, hidayat ki taraf bulao, ya rehnumai ki taraf dawat do to ye sunn na sakenge, aur tumhe aisa nazar aata hai ke, ye tumhari taraf dekh rahe hain lekin ye kuch nahi dekhte”[26] – Matlab ye baatein unn ki samajh se bahar hai, unn ka dimagh inn ko process nahi kar sakta,
  • Phir issi surah ki 179th ayat me farmaya ke, aur humne bohot se jinn aur insaan dozakh ke liye paida kiye hain, unn ke dil-o-dimagh hain ke unn se samajhte nahi, aur unn ki aankhein hain magar unn se dekhte nahi aur unn ke kaan hain par unn se suntay nahi, ye chaar paayon ki tarah hai, ya uss se bhi zyada bhatke huwe,…[27]
  • Phir kaafiron ki, mushrikon ki misaal dete huwe farmaya ke, “Aur unn me baaz aise hain, ke aap (صلى الله عليه وسلم) ki baaton ko badi tawajjoh se sunte hain, halanke humne unn ke dil-o-dimagh par parda daal diya hai ke, wo unn baaton ko samajh na sakein, aur unn ke kaano ke andar bhaari pan paida kar diya hai,… ye imaan nahi layenge…[28]
  • Phir ahadith me bhi hum dekhte hain ke, duaon me Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) ne aankhon ko, kaano ko aur badan ko alag alag kar ke dua maangi,
  • Bukhari, Musnad Ahmed, Abu Dawood, Ibn As Sunni mein Rivayat hai ke Rasoolullah (صلى الله عليه وسلم) subah aur shaam 3 martaba, ye dua kiya karte the;
    • Allāhumma `āfinī fī badanī, Allāhumma `āfinī fī sam`ī, Allāhumma `āfinī fī baṣarī, lā ilāha illā ant.
    • Ae Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) mere jism mein aafiyat ata kijiye, mere kaano mein aafiyat dijiye aur meri aankhon mein aafiyat dijiye,[29]

Ek aur baat yahan batana zaroori hai ke, ye itni Science jo humne suni, ye iss liye nahi hai ke, hum iss se Quran ko prove karne ki koshish kar rahe hain,

  • Quran to proven hai ke, ye Allah ka kalam hai,
  • Ye Science ki class jo aaj huwi, ye hamare samajhne ke liye hai ke,
  • Dil-o-dimagh par ya kaano par mohr kaise lag sakti hai,
  • Ankhon par parda kaise parrh sakta hai,
  • Science kya hai, ye wo ilm hai, jis tarah Allah ne kayenaat ko aur hume banaya, uss ilm ko le kar hi hum Quran ko behtar samajh sakte hain,
  • Ye hamare samajhne ke liye hai, agar hum Allah ki Qudrat ko samajh gaye to uss ke saamne jhukna asan ho jayega. Aur ho sakta hai ke Iman me izafa ho jaye,
  • Iss ayat par main aaj ki baat ko khatam karta hoon, itni cheezen sunne ke baad ke, Allah (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى) ne surah fussilat ki 53wi ayat me farmaya ke,

سَنُرِيۡهِمۡ اٰيٰتِنَا فِى الۡاٰفَاقِ وَفِىۡۤ اَنۡفُسِهِمۡ حَتّٰى يَتَبَيَّنَ لَهُمۡ اَنَّهُ الۡحَـقُّ ؕ …

Hum anqareeb unn ko atraafe aalam me, aafaaq me bhi, yani horizon me bhi, aur khud unn ki zaat ke andar bhi hamari nishaniya dikha denge, yahan tak ke unn par zahir ho jaye, ke ye Quran Haq hai…[30]

Baaz log ye kehte hain ke, (Khatama Allahu ala Quloobihim wa ala sam’ihim…) jaisi ayaat parable hai, ya allegorical statements hai Quran me, misalein hain. Nahi ye Haq hai, aur sirf aur sirf haq hai. Soncho – ghaur-o-fikr karo, dekho aankh kaise kaam kar rahi hai, kaan kaise kaam kar raha hai, dil-o-dimagh kaise kaam kar rahe hain, iss Quran ki to misaalein bhi haq hai, uss me sachai hai.

Yahan aaj ka dars rok denge

Al hamdulillahi Rabbil Alameen

Allahumma Silli wa Sallim wa Barik ala Muhammad wa ala aalihi wa azwaajihi wa barik wa sallam

Rabbana aatina fid duniya…

References

[1] Heart rate & pumping capacity, Source: How the Heart Works & Pumps Blood Through The Human Body (webmd.com)

[2] Blood supply requirements for Brain, Source: Neuroscience For Kids – blood supply of the brain (washington.edu)

[3] Electrical System of the Heart, Source: Electrical System of the Heart (alberta.ca)

[4] Heart-Mind coordination, Source: Emotional Rescue: The Heart-Brain Connection – PMC (nih.gov)

[5] Al Quran, Surah Muhammad, Chapter 47: Verse 24

[6] Introduction to Psychology, Source: 4.2 Our Brains Control Our Thoughts, Feelings, and Behaviour – Introduction to Psychology – 1st Canadian Edition (opentextbc.ca)

[7] The biochemistry of belief, Source: The biochemistry of belief – PMC (nih.gov)

[8] How do we hear? Source: How Do We Hear? | NIDCD (nih.gov)

[9] How do we hear? Source: How Do We Hear? | NIDCD (nih.gov)

[10] 3 thin bones, Source: Slide show: How you hear – Mayo Clinic

[11] Hair bundles inside cochlea, Source: How the Ear Hears Sound | The MED-EL Blog (medel.com)

[12] How you hear, Source: Slide show: How you hear – Mayo Clinic

[13] Diagram of a sound source traveling through the ear canal and turning into neural signals that reach the auditory cortex, Source: Hear and There: Sounds from Everywhere | frontiersin.org

[14] The mean retinal thickness of all subjects was 249.0 (SD 21.8) μm. Source: https://bjo.bmj.com/content/87/7/899

[15] Orange Glow, Source: https://www.discovermagazine.com/health/an-up-close-look-at-the-retina

[16] Source: Simple Anatomy of the Retina by Helga Kolb – Webvision

[17] Source: The cells in the vertebrate retina | Researchgate

[18] The average number of colors we can distinguish is around a million, Source: What are the limits of human vision? – BBC Future

[19] When light hits the retina (a light-sensitive layer of tissue at the back of the eye), special cells called photoreceptors turn the light into electrical signals. Source: How the Eyes Work | National Eye Institute.

[20] There are 30 different areas in brain for vision, Source: When Blindness Is in the Mind, Not the Eyes – Scientific American

[21] Visual pathways, Source: The Visual Pathways: Roadmaps and impacts following brain injury | Dr. Samantha Slotnick

[22] links and intersections, Source: The visual pathway from the eye to the brain – Perkins School for the Blind

[23] Source: Eye smarter than scientists believed: neural computations in circuits of the retina | Pubmed

[24] Optical Illusion, Source: What You See in This Famous Optical Illusion | Live Science

[25] Al Quran, Surah al-Hajj, Chapter 22: Verse 46

[26] Al Quran, Surah al-Aaraf, Chapter 7: Verse 198

[27] Al Quran, Surah al-Aaraf, Chapter 7: Verse 179

[28] Al Quran, Surah al-Anam, Chapter 6: Verse 25

[29] Allāhumma `āfinī fī badanī, Allāhumma `āfinī fī sam`ī, Allāhumma `āfinī fī baṣarī, lā ilāha illā ant.

Allāhumma innī a`ūdhu bika mina ‘l-kufri, wa ‘l-faqr, wa a`ūdhu bika min `adhābi ‘l-qabr, lā ilāha illā ant.

O Allah, make me healthy in my body. O Allah, preserve for me my hearing. O Allah, preserve for me my sight. There is none worthy of worship but You. O Allah, I seek refuge in You from disbelief and poverty, and I seek refuge in You from the punishment of the grave. There is none worthy of worship but You. (Recite three times in Arabic.)

Reference: Abu Dawud 4/324, Ahmad 5/42, An-Nasa’i, ‘Amalul-Yawm wal-Laylah (no. 22), Ibn As-Sunni (no. 69), Al-Bukhari Al-‘Adab Al-Mufrad. Its chain of transmission is good (Hasan), Ibn Baz, p. 26.

اللّهُـمَّ عافِـني في بَدَنـي، اللّهُـمَّ عافِـني في سَمْـعي، اللّهُـمَّ عافِـني في بَصَـري، لا إلهَ إلاّ اللّه أَنْـتَ. اللّهُـمَّ إِنّـي أَعـوذُبِكَ مِنَ الْكُـفر، وَالفَـقْر، وَأَعـوذُ بِكَ مِنْ عَذابِ القَـبْر، لا إلهَ إلاّ أَنْـتَ. (ثلاث مرات)

Reference : Hisn al-Muslim 82

[30]

Comments are closed.